naya ek rishta paida kyun karen hum
naya ik rishta paida kyuun karen ham
bichhadna hai to jhagda kyuun karen ham
khamoshi se ada ho rasm-e-duri
koi hangama barpa kyuun karen ham
ye kaafi hai ki ham dushman nahin hain
vafa-dari ka daava kyuun karen ham
vafa ikhlas qurbani mohabbat
ab in lafzon ka pichha kyuun karen ham
suna den ismat-e-mariyam ka qissa
par ab is baab ko va kyon karen ham
zulekha-e-azizan baat ye hai
bhala ghate ka sauda kyon karen ham
hamari hi tamanna kyuun karo tum
tumhari hi tamanna kyuun karen ham
kiya tha ahd jab lamhon men ham ne
to saari umr iifa kyuun karen ham
utha kar kyon na phenken saari chizen
faqat kamron men tahla kyon karen ham
jo ik nasl-e-faromaya ko pahunche
vo sarmaya ikattha kyon karen ham
nahin duniya ko jab parva hamari
to phir duniya ki parva kyuun karen ham
barahna hain sar-e-bazar to kya
bhala andhon se parda kyon karen ham
hain bashinde usi basti ke ham bhi
so khud par bhi bharosa kyon karen ham
chaba len kyon na khud hi apna dhancha
tumhen ratib muhayya kyon karen ham
padi rahne do insanon ki lashen
zamin ka bojh halka kyon karen ham
ye basti hai musalmanon ki basti
yahan kar-e-masiha kyuun karen ham
naya ek rishta paida kyun karen hum
bichhadna hai to jhagda kyun karen hum
khamoshi se ada ho rasm-e-duri
koi hangama barpa kyun karen hum
ye kafi hai ki hum dushman nahin hain
wafa-dari ka dawa kyun karen hum
wafa ikhlas qurbani mohabbat
ab in lafzon ka pichha kyun karen hum
suna den ismat-e-mariyam ka qissa
par ab is bab ko wa kyon karen hum
zulekha-e-azizan baat ye hai
bhala ghate ka sauda kyon karen hum
hamari hi tamanna kyun karo tum
tumhaari hi tamanna kyun karen hum
kiya tha ahd jab lamhon mein hum ne
to sari umr ifa kyun karen hum
utha kar kyon na phenken sari chizen
faqat kamron mein tahla kyon karen hum
jo ek nasl-e-faromaya ko pahunche
wo sarmaya ikattha kyon karen hum
nahin duniya ko jab parwa hamari
to phir duniya ki parwa kyun karen hum
barahna hain sar-e-bazar to kya
bhala andhon se parda kyon karen hum
hain bashinde usi basti ke hum bhi
so khud par bhi bharosa kyon karen hum
chaba len kyon na khud hi apna dhancha
tumhein raatib muhayya kyon karen hum
padi rahne do insanon ki lashen
zamin ka bojh halka kyon karen hum
ye basti hai musalmanon ki basti
yahan kar-e-masiha kyun karen hum
jhuki jhuki si nazar be-qarar hai ki nahin
jhuki jhuki si nazar be-qarar hai ki nahin
daba daba sa sahi dil men pyaar hai ki nahin
tu apne dil ki javan dhadkanon ko gin ke bata
miri tarah tira dil be-qarar hai ki nahin
vo pal ki jis men mohabbat javan hoti hai
us ek pal ka tujhe intizar hai ki nahin
tiri umiid pe thukra raha huun duniya ko
tujhe bhi apne pe ye e'tibar hai ki nahin
jhuki jhuki si nazar be-qarar hai ki nahin
daba daba sa sahi dil mein pyar hai ki nahin
tu apne dil ki jawan dhadkanon ko gin ke bata
meri tarah tera dil be-qarar hai ki nahin
wo pal ki jis mein mohabbat jawan hoti hai
us ek pal ka tujhe intizar hai ki nahin
teri umid pe thukra raha hun duniya ko
tujhe bhi apne pe ye e'tibar hai ki nahin
sina dahak raha ho to kya chup rahe koi
siina dahak raha ho to kya chup rahe koi
kyuun chikh chikh kar na gala chhil le koi
sabit hua sukun-e-dil-o-jan kahin nahin
rishton men dhundhta hai to dhunda kare koi
tark-e-taalluqat koi masala nahin
ye to vo rasta hai ki bas chal pade koi
divar janta tha jise main vo dhuul thi
ab mujh ko e'timad ki davat na de koi
main khud ye chahta huun ki halat hon kharab
mere khilaf zahr ugalta phire koi
ai shakhs ab to mujh ko sabhi kuchh qubul hai
ye bhi qubul hai ki tujhe chhin le koi
haan thiik hai main apni ana ka mariz huun
akhir mire mizaj men kyuun dakhl de koi
ik shakhs kar raha hai abhi tak vafa ka zikr
kaash us zaban-daraz ka munh noch le koi
sina dahak raha ho to kya chup rahe koi
kyun chikh chikh kar na gala chhil le koi
sabit hua sukun-e-dil-o-jaan kahin nahin
rishton mein dhundhta hai to dhunda kare koi
tark-e-talluqat koi masala nahin
ye to wo rasta hai ki bas chal pade koi
diwar jaanta tha jise main wo dhul thi
ab mujh ko e'timad ki dawat na de koi
main khud ye chahta hun ki haalat hon kharab
mere khilaf zahr ugalta phire koi
ai shakhs ab to mujh ko sabhi kuchh qubul hai
ye bhi qubul hai ki tujhe chhin le koi
han thik hai main apni ana ka mariz hun
aakhir mere mizaj mein kyun dakhl de koi
ek shakhs kar raha hai abhi tak wafa ka zikr
kash us zaban-daraaz ka munh noch le koi
hain rawan us rah par jis ki koi manzil na ho
hain ravan us raah par jis ki koi manzil na ho
justuju karte hain us ki jo hamen hasil na ho
dasht-e-najd-e-yas men divangi ho har taraf
har taraf mahmil ka shak ho par kahin mahmil na ho
vahm ye tujh ko ajab hai ai jamal-e-kam-numa
jaise sab kuchh ho magar tu diid ke qabil na ho
vo khada hai ek bab-e-ilm ki dahliz par
main ye kahta huun use is khauf men dakhil na ho
chahta huun main 'munir' is umr ke anjam par
ek aisi zindagi jo is tarah mushkil na ho
hain rawan us rah par jis ki koi manzil na ho
justuju karte hain us ki jo hamein hasil na ho
dasht-e-najd-e-yas mein diwangi ho har taraf
har taraf mahmil ka shak ho par kahin mahmil na ho
wahm ye tujh ko ajab hai ai jamal-e-kam-numa
jaise sab kuchh ho magar tu did ke qabil na ho
wo khada hai ek bab-e-ilm ki dahliz par
main ye kahta hun use is khauf mein dakhil na ho
chahta hun main 'munir' is umr ke anjam par
ek aisi zindagi jo is tarah mushkil na ho
itni hasin itni jawan raat kya karen
itni hasin itni javan raat kya karen
jaage hain kuchh ajiib se jazbat kya karen
pedon ke bazuon men mahakti hai chandni
bechain ho rahe hain khayalat kya karen
sanson men ghul rahi hai kisi saans ki mahak
daman ko chhu raha hai koi haat kya karen
shayad tumhare aane se ye bhed khul sake
hairan hain ki aaj nai baat kya karen
itni hasin itni jawan raat kya karen
jage hain kuchh ajib se jazbaat kya karen
pedon ke bazuon mein mahakti hai chandni
bechain ho rahe hain khayalat kya karen
sanson mein ghul rahi hai kisi sans ki mahak
daman ko chhu raha hai koi hat kya karen
shayad tumhaare aane se ye bhed khul sake
hairan hain ki aaj nai baat kya karen
tujhse badh kar koi pyara bhi nahin ho sakta
tujh se badh kar koi pyara bhi nahin ho sakta
par tira saath gavara bhi nahin ho sakta
rasta bhi ghhalat ho sakta hai manzil bhi ghhalat
har sitara to sitara bhi nahin ho sakta
paanv rakhte hi phisal sakta hai mitti ho ki ret
har kinara to kinara bhi nahin ho sakta
us tak avaz pahunchni bhi badi mushkil hai
aur na dekhe to ishara bhi nahin ho sakta
tere bandon ki maishat ka ajab haal hua
aish kaisa ki guzara bhi nahin ho sakta
apna dushman hi dikhai nahin deta ho jise
aisa lashkar to saf-ara bhi nahin ho sakta
pahle hi lazzat-e-inkar se vaqif nahin jo
us se inkar dobara bhi nahin ho sakta
husn aisa ki chaka-chaund hui hain ankhen
hairat aisi ki nazzara bhi nahin ho sakta
chaliye vo shakhs hamara to kabhi tha hi nahin
dukh to ye hai ki tumhara bhi nahin ho sakta
duniya achchhi bhi nahin lagti ham aison ko 'salim'
aur duniya se kinara bhi nahin ho sakta
tujh se badh kar koi pyara bhi nahin ho sakta
par tera sath gawara bhi nahin ho sakta
rasta bhi ghalat ho sakta hai manzil bhi ghalat
har sitara to sitara bhi nahin ho sakta
panw rakhte hi phisal sakta hai mitti ho ki ret
har kinara to kinara bhi nahin ho sakta
us tak aawaz pahunchni bhi badi mushkil hai
aur na dekhe to ishaara bhi nahin ho sakta
tere bandon ki maishat ka ajab haal hua
aish kaisa ki guzara bhi nahin ho sakta
apna dushman hi dikhai nahin deta ho jise
aisa lashkar to saf-ara bhi nahin ho sakta
pahle hi lazzat-e-inkar se waqif nahin jo
us se inkar dobara bhi nahin ho sakta
husn aisa ki chaka-chaund hui hain aankhen
hairat aisi ki nazzara bhi nahin ho sakta
chaliye wo shakhs hamara to kabhi tha hi nahin
dukh to ye hai ki tumhaara bhi nahin ho sakta
duniya achchhi bhi nahin lagti hum aison ko 'salim'
aur duniya se kinara bhi nahin ho sakta
ye kya hai mohabbat mein to aisa nahin hota
ye kya hai mohabbat men to aisa nahin hota
main tujh se juda ho ke bhi tanha nahin hota
is mod se aage bhi koi mod hai varna
yuun mere liye tu kabhi thahra nahin hota
kyuun mera muqaddar hai ujalon ki siyahi
kyuun raat ke dhalne pe savera nahin hota
ya itni na tabdil hui hoti ye duniya
ya main ne ise khvab men dekha nahin hota
sunte hain sabhi ghhaur se avaz-e-jaras ko
manzil ki taraf koi ravana nahin hota
dil tark-e-taalluq pe bhi amada nahin hai
aur haq bhi ada is se vafa ka nahin hota
ye kya hai mohabbat mein to aisa nahin hota
main tujh se juda ho ke bhi tanha nahin hota
is mod se aage bhi koi mod hai warna
yun mere liye tu kabhi thahra nahin hota
kyun mera muqaddar hai ujalon ki siyahi
kyun raat ke dhalne pe sawera nahin hota
ya itni na tabdil hui hoti ye duniya
ya main ne ise khwab mein dekha nahin hota
sunte hain sabhi ghaur se aawaz-e-jaras ko
manzil ki taraf koi rawana nahin hota
dil tark-e-talluq pe bhi aamada nahin hai
aur haq bhi ada is se wafa ka nahin hota
na tera qurb na baada hai kya kiya jae
na tera qurb na baada hai kya kiya jaae
phir aaj dukh bhi ziyada hai kya kiya jaae
hamen bhi arz-e-tamanna ka dhab nahin aata
mizaj-e-yar bhi saada hai kya kiya jaae
kuchh apne dost bhi tarkash-ba-dosh phirte hain
kuchh apna dil bhi kushada hai kya kiya jaae
vo mehrban hai magar dil ki hirs bhi kam ho
talab karam se ziyada hai kya kiya jaae
na us se tark-e-taalluq ki baat kar paaen
na hamdami ka irada hai kya kiya jaae
suluk-e-yar se dil dubne laga hai 'faraz'
magar ye mahfil-e-ada hai kya kiya jaae
na tera qurb na baada hai kya kiya jae
phir aaj dukh bhi ziyaada hai kya kiya jae
hamein bhi arz-e-tamanna ka dhab nahin aata
mizaj-e-yar bhi sada hai kya kiya jae
kuchh apne dost bhi tarkash-ba-dosh phirte hain
kuchh apna dil bhi kushada hai kya kiya jae
wo mehrban hai magar dil ki hirs bhi kam ho
talab karam se ziyaada hai kya kiya jae
na us se tark-e-talluq ki baat kar paen
na hamdami ka irada hai kya kiya jae
suluk-e-yar se dil dubne laga hai 'faraaz'
magar ye mahfil-e-ada hai kya kiya jae
sab se behtar hai ki mujh par mehrban koi na ho
sab se behtar hai ki mujh par mehrban koi na ho
ham-nashin koi na ho aur raz-dan koi na ho
mariye is hasrat men gar qatil na haath aave kahin
roiye apne pe khud gar nauha-khvan koi na ho
biich men hai mere us ke tu hi ai ah-e-hazin
sulh kyunkar hove jab tak darmiyan koi na ho
shikva kis se kijiye khaliq ki marzi hai yahi
nukta-chin paida hon lakhon nukta-dan koi na ho
mujh talak qatil to qatil maut bhi aati nahin
kis ko diije jaan jab khvahan-e-jan koi na ho
maane gar koi nasihat 'arif'-e-dil-khasta ki
bhuul kar bhi vala-e-atish-bajan koi na ho
sab se behtar hai ki mujh par mehrban koi na ho
ham-nashin koi na ho aur raaz-dan koi na ho
mariye is hasrat mein gar qatil na hath aawe kahin
roiye apne pe khud gar nauha-khwan koi na ho
bich mein hai mere us ke tu hi ai aah-e-hazin
sulh kyunkar howe jab tak darmiyan koi na ho
shikwa kis se kijiye khaliq ki marzi hai yahi
nukta-chin paida hon lakhon nukta-dan koi na ho
mujh talak qatil to qatil maut bhi aati nahin
kis ko dije jaan jab khwahan-e-jaan koi na ho
mane gar koi nasihat 'arif'-e-dil-khasta ki
bhul kar bhi wala-e-atish-bajaan koi na ho
har shai tujhi ko samne lae to kya karun
har shai tujhi ko samne laae to kya karun
har shai men tu hi tu nazar aae to kya karun
tham tham ke aankh ashk bahae to kya karun
rah rah ke teri yaad satae to kya karun
ye to batate jaao agar ja rahe ho tum!
mujh ko tumhari yaad satae to kya karun
maana sukun-navaz hai har shai bahar men
tere baghhair chain na aae to kya karun
har she'r men suna to gaya huun main hal-e-dil
lekin tiri samajh men na aae to kya karun
ab 'ishq se ziyada ghham-e-tark-e-ishq hai
ye aag bujh ke aur jalae to kya karun
dil ho gaya hai khugar-e-bedad 'ishq men
un ki vafa bhi raas na aae to kya karun
us sharm-gin nazar ka tasavvur agar 'shamim'
bijli dil-o-nazar pe girae to kya karun
har shai tujhi ko samne lae to kya karun
har shai mein tu hi tu nazar aae to kya karun
tham tham ke aankh ashk bahae to kya karun
rah rah ke teri yaad satae to kya karun
ye to batate jao agar ja rahe ho tum!
mujh ko tumhaari yaad satae to kya karun
mana sukun-nawaz hai har shai bahaar mein
tere baghair chain na aae to kya karun
har she'r mein suna to gaya hun main haal-e-dil
lekin teri samajh mein na aae to kya karun
ab 'ishq se ziyaada gham-e-tark-e-ishq hai
ye aag bujh ke aur jalae to kya karun
dil ho gaya hai khugar-e-bedad 'ishq mein
un ki wafa bhi ras na aae to kya karun
us sharm-gin nazar ka tasawwur agar 'shamim'
bijli dil-o-nazar pe girae to kya karun
fikr-e-dildari-e-gulzar karun ya na karun
fikr-e-dildari-e-gulzar karun ya na karun
zikr-e-murghhan-e-giraftar karun ya na karun
qissa-e-sazish-e-aghhyar kahun ya na kahun
shikva-e-yar-e-tarah-dar karun ya na karun
jaane kya vaza hai ab rasm-e-vafa ki ai dil
vaz-e-derina pe israr karun ya na karun
jaane kis rang men tafsir karen ahl-e-havas
madh-e-zulf-o-lab-o-rukhsar karun ya na karun
yuun bahar aai hai imsal ki gulshan men saba
puchhti hai guzar is baar karun ya na karun
goya is soch men hai dil men lahu bhar ke gulab
daman o jeb ko gulnar karun ya na karun
hai faqat murghh-e-ghhazal-khvan ki jise fikr nahin
moatadil garmi-e-guftar karun ya na karun
fikr-e-dildari-e-gulzar karun ya na karun
zikr-e-murghan-e-giraftar karun ya na karun
qissa-e-sazish-e-aghyar kahun ya na kahun
shikwa-e-yar-e-tarah-dar karun ya na karun
jaane kya waza hai ab rasm-e-wafa ki ai dil
waz-e-derina pe israr karun ya na karun
jaane kis rang mein tafsir karen ahl-e-hawas
madh-e-zulf-o-lab-o-rukhsar karun ya na karun
yun bahaar aai hai imsal ki gulshan mein saba
puchhti hai guzar is bar karun ya na karun
goya is soch mein hai dil mein lahu bhar ke gulab
daman o jeb ko gulnar karun ya na karun
hai faqat murgh-e-ghazal-khwan ki jise fikr nahin
moatadil garmi-e-guftar karun ya na karun
be-tab hain aur ishq ka dawa nahin hum ko
be-tab hain aur ishq ka daava nahin ham ko
avara hain aur dasht ka sauda nahin ham ko
ghhairon ki mohabbat pe yaqin aane laga hai
yaron se agarche koi shikva nahin ham ko
nairangi-e-dil hai ki taghhaful ka karishma
kya baat hai jo teri tamanna nahin ham ko
ya tere alava bhi kisi shai ki talab hai
ya apni mohabbat pe bharosa nahin ham ko
ya tum bhi mudava-e-alam kar nahin sakte
ya charagaro fikr-e-mudava nahin ham ko
yuun barhami-e-kakul-e-imroz se khush hain
jaise ki khayal-e-rukh-e-farda nahin ham ko
be-tab hain aur ishq ka dawa nahin hum ko
aawara hain aur dasht ka sauda nahin hum ko
ghairon ki mohabbat pe yaqin aane laga hai
yaron se agarche koi shikwa nahin hum ko
nairangi-e-dil hai ki taghaful ka karishma
kya baat hai jo teri tamanna nahin hum ko
ya tere alawa bhi kisi shai ki talab hai
ya apni mohabbat pe bharosa nahin hum ko
ya tum bhi mudawa-e-alam kar nahin sakte
ya chaaragaro fikr-e-mudawa nahin hum ko
yun barhami-e-kakul-e-imroz se khush hain
jaise ki khayal-e-rukh-e-farda nahin hum ko
kucha-e-yar mein ab jaane guzar ho ki na ho
kucha-e-yar men ab jaane guzar ho ki na ho
vahi vahshat vahi sauda vahi sar ho ki na ho
jaane ik rang sa ab rukh pe tire aae na aae
nafas-e-shauq se gul shola-e-tar ho ki na ho
ab musalsal bhi jo dhadke dil-e-nashad mira
kis ko malum tire dil ko khabar ho ki na ho
qahr men lutf men mad-hoshi o hushyari men
vo mire vaste takhsis-e-nazar ho ki na ho
hijr ki raat thi imkan-e-sahar se raushan
jaane ab us men vo imkan-e-sahar ho ki na ho
kucha-e-yar mein ab jaane guzar ho ki na ho
wahi wahshat wahi sauda wahi sar ho ki na ho
jaane ek rang sa ab rukh pe tere aae na aae
nafas-e-shauq se gul shola-e-tar ho ki na ho
ab musalsal bhi jo dhadke dil-e-nashad mera
kis ko malum tere dil ko khabar ho ki na ho
qahr mein lutf mein mad-hoshi o hushyari mein
wo mere waste takhsis-e-nazar ho ki na ho
hijr ki raat thi imkan-e-sahar se raushan
jaane ab us mein wo imkan-e-sahar ho ki na ho
ek aansu mein tere gham ka ahata karte
ek aansu men tire ghham ka ahata karte
umr lag jaegi is buund ko dariya karte
ishq men jaan se guzarna bhi kahan hai mushkil
jaan deni ho to ashiq nahin socha karte
ek tu hi nazar aata hai jidhar dekhta huun
aur ankhen nahin thakti hain tamasha karte
zindagi ne hamen fursat hi nahin di varna
samne tujh ko bitha baith ke dekha karte
ham saza-var-e-tamasha the hamen dekhna tha
apne hi qatl ka manzar tha magar kya karte
ab yahi sochte rahte hain bichhad kar tujh se
shayad aise nahin hota agar aisa karte
jo bhi ham dekhte hain saaf nazar aa jaata
chashm-e-hairat ko agar dida-e-bina karte
shahr ke log ab ilzam tumhen dete hain
khud bure ban gae 'asim' use achchha karte
ek aansu mein tere gham ka ahata karte
umr lag jaegi is bund ko dariya karte
ishq mein jaan se guzarna bhi kahan hai mushkil
jaan deni ho to aashiq nahin socha karte
ek tu hi nazar aata hai jidhar dekhta hun
aur aankhen nahin thakti hain tamasha karte
zindagi ne hamein fursat hi nahin di warna
samne tujh ko bitha baith ke dekha karte
hum saza-war-e-tamasha the hamein dekhna tha
apne hi qatl ka manzar tha magar kya karte
ab yahi sochte rahte hain bichhad kar tujh se
shayad aise nahin hota agar aisa karte
jo bhi hum dekhte hain saf nazar aa jata
chashm-e-hairat ko agar dida-e-bina karte
shahr ke log ab ilzam tumhein dete hain
khud bure ban gae 'asim' use achchha karte
ye jaan-gudaz safar dam-e-khwab ho na kahin
ye jan-gudaz safar dam-e-khvab ho na kahin
ravan hai jis men safina sarab ho na kahin
yuun hi utarta na ja sard gahre paani men
chamakta hai jo bahut sehr-e-ab ho na kahin
khada jo jhankta hai kab se garm kamron men
gali men thithura hua mahtab ho na kahin
hava ye kaun si chalti hai ar-par mire
khula hua kisi khvahish ka baab ho na kahin
dilon pe kyuun nahin kartin asar tiri baten
zamin to thiik hai paani kharab ho na kahin
ghhubar se bhari bojhal faza hai dil pe muhit
garaj raha hai jo sar men sahab ho na kahin
sajae phirta hai vo jis ko coat par 'shahin'
mire hi khuun ka mahakta gulab ho na kahin
ye jaan-gudaz safar dam-e-khwab ho na kahin
rawan hai jis mein safina sarab ho na kahin
yun hi utarta na ja sard gahre pani mein
chamakta hai jo bahut sehr-e-ab ho na kahin
khada jo jhankta hai kab se garm kamron mein
gali mein thithura hua mahtab ho na kahin
hawa ye kaun si chalti hai aar-par mere
khula hua kisi khwahish ka bab ho na kahin
dilon pe kyun nahin kartin asar teri baaten
zamin to thik hai pani kharab ho na kahin
ghubar se bhari bojhal faza hai dil pe muhit
garaj raha hai jo sar mein sahab ho na kahin
sajae phirta hai wo jis ko coat par 'shahin'
mere hi khun ka mahakta gulab ho na kahin
You have reached the end.