log tut jate hain ek ghar banane mein
log tuut jaate hain ek ghar banane men
tum taras nahin khate bastiyan jalane men
aur jaam tutenge is sharab-khane men
mausamon ke aane men mausamon ke jaane men
har dhadakte patthar ko log dil samajhte hain
umren biit jaati hain dil ko dil banane men
fakhta ki majburi ye bhi kah nahin sakti
kaun saanp rakhta hai us ke ashiyane men
dusri koi ladki zindagi men aaegi
kitni der lagti hai us ko bhuul jaane men
log tut jate hain ek ghar banane mein
tum taras nahin khate bastiyan jalane mein
aur jam tutenge is sharab-khane mein
mausamon ke aane mein mausamon ke jaane mein
har dhadakte patthar ko log dil samajhte hain
umren bit jati hain dil ko dil banane mein
fakhta ki majburi ye bhi kah nahin sakti
kaun sanp rakhta hai us ke aashiyane mein
dusri koi ladki zindagi mein aaegi
kitni der lagti hai us ko bhul jaane mein
duniya jise kahte hain jadu ka khilauna hai
duniya jise kahte hain jaadu ka khilauna hai
mil jaae to mitti hai kho jaae to sona hai
achchha sa koi mausam tanha sa koi aalam
har vaqt ka rona to be-kar ka rona hai
barsat ka badal to divana hai kya jaane
kis raah se bachna hai kis chhat ko bhigona hai
ye vaqt jo tera hai ye vaqt jo mera hai
har gaam pe pahra hai phir bhi ise khona hai
ghham ho ki khushi donon kuchh duur ke sathi hain
phir rasta hi rasta hai hansna hai na rona hai
avara-mizaji ne phaila diya angan ko
akash ki chadar hai dharti ka bichhauna hai
duniya jise kahte hain jadu ka khilauna hai
mil jae to mitti hai kho jae to sona hai
achchha sa koi mausam tanha sa koi aalam
har waqt ka rona to be-kar ka rona hai
barsat ka baadal to diwana hai kya jaane
kis rah se bachna hai kis chhat ko bhigona hai
ye waqt jo tera hai ye waqt jo mera hai
har gam pe pahra hai phir bhi ise khona hai
gham ho ki khushi donon kuchh dur ke sathi hain
phir rasta hi rasta hai hansna hai na rona hai
aawara-mizaji ne phaila diya aangan ko
aakash ki chadar hai dharti ka bichhauna hai
kahin chand rahon mein kho gaya kahin chandni bhi bhatak gai
kahin chand rahon men kho gaya kahin chandni bhi bhatak gai
main charaghh vo bhi bujha hua meri raat kaise chamak gai
miri dastan ka uruuj tha tiri narm palkon ki chhanv men
mire saath tha tujhe jagna tiri aankh kaise jhapak gai
bhala ham mile bhi to kya mile vahi duriyan vahi fasle
na kabhi hamare qadam badhe na kabhi tumhari jhijak gai
tire haath se mere hont tak vahi intizar ki pyaas hai
mire naam ki jo sharab thi kahin raste men chhalak gai
tujhe bhuul jaane ki koshishen kabhi kamyab na ho sakin
tiri yaad shakh-e-gulab hai jo hava chali to lachak gai
kahin chand rahon mein kho gaya kahin chandni bhi bhatak gai
main charagh wo bhi bujha hua meri raat kaise chamak gai
meri dastan ka uruj tha teri narm palkon ki chhanw mein
mere sath tha tujhe jagna teri aankh kaise jhapak gai
bhala hum mile bhi to kya mile wahi duriyan wahi fasle
na kabhi hamare qadam badhe na kabhi tumhaari jhijak gai
tere hath se mere hont tak wahi intizar ki pyas hai
mere nam ki jo sharab thi kahin raste mein chhalak gai
tujhe bhul jaane ki koshishen kabhi kaamyab na ho sakin
teri yaad shakh-e-gulab hai jo hawa chali to lachak gai
itna to zindagi mein kisi ke khalal pade
itna to zindagi men kisi ke khalal pade
hansne se ho sukun na rone se kal pade
jis tarah hans raha huun main pi pi ke garm ashk
yuun dusra hanse to kaleja nikal pade
ik tum ki tum ko fikr-e-nasheb-o-faraz hai
ik ham ki chal pade to bahar-hal chal pade
saaqi sabhi ko hai ghham-e-tishna-labi magar
mai hai usi ki naam pe jis ke ubal pade
muddat ke baad us ne jo ki lutf ki nigah
ji khush to ho gaya magar aansu nikal pade
itna to zindagi mein kisi ke khalal pade
hansne se ho sukun na rone se kal pade
jis tarah hans raha hun main pi pi ke garm ashk
yun dusra hanse to kaleja nikal pade
ek tum ki tum ko fikr-e-nasheb-o-faraaz hai
ek hum ki chal pade to bahar-haal chal pade
saqi sabhi ko hai gham-e-tishna-labi magar
mai hai usi ki nam pe jis ke ubal pade
muddat ke baad us ne jo ki lutf ki nigah
ji khush to ho gaya magar aansu nikal pade
taskin-e-dil-e-mahzun na hui wo sai-e-karam farma bhi gae
taskin-e-dil-e-mahzun na hui vo sai-e-karam farma bhi gae
is sai-e-karam ko kya kahiye bahla bhi gae tadpa bhi gae
ham arz-e-vafa bhi kar na sake kuchh kah na sake kuchh sun na sake
yaan ham ne zaban hi kholi thi vaan aankh jhuki sharma bhi gae
ashuftagi-e-vahshat ki qasam hairat ki qasam hasrat ki qasam
ab aap kahen kuchh ya na kahen ham raz-e-tabassum pa bhi gae
rudad-e-ghham-e-ulfat un se ham kya kahte kyunkar kahte
ik harf na nikla honton se aur aankh men aansu aa bhi gae
arbab-e-junun par furqat men ab kya kahiye kya kya guzri
aae the savad-e-ulfat men kuchh kho bhi gae kuchh pa bhi gae
ye rang-e-bahar-e-alam hai kyuun fikr hai tujh ko ai saaqi
mahfil to tiri suuni na hui kuchh uth bhi gae kuchh aa bhi gae
us mahfil-e-kaif-o-masti men us anjuman-e-irfani men
sab jam-ba-kaf baithe hi rahe ham pi bhi gae chhalka bhi gae
taskin-e-dil-e-mahzun na hui wo sai-e-karam farma bhi gae
is sai-e-karam ko kya kahiye bahla bhi gae tadpa bhi gae
hum arz-e-wafa bhi kar na sake kuchh kah na sake kuchh sun na sake
yan hum ne zaban hi kholi thi wan aankh jhuki sharma bhi gae
aashuftagi-e-wahshat ki qasam hairat ki qasam hasrat ki qasam
ab aap kahen kuchh ya na kahen hum raaz-e-tabassum pa bhi gae
rudad-e-gham-e-ulfat un se hum kya kahte kyunkar kahte
ek harf na nikla honton se aur aankh mein aansu aa bhi gae
arbab-e-junun par furqat mein ab kya kahiye kya kya guzri
aae the sawad-e-ulfat mein kuchh kho bhi gae kuchh pa bhi gae
ye rang-e-bahaar-e-alam hai kyun fikr hai tujh ko ai saqi
mahfil to teri suni na hui kuchh uth bhi gae kuchh aa bhi gae
us mahfil-e-kaif-o-masti mein us anjuman-e-irfani mein
sab jam-ba-kaf baithe hi rahe hum pi bhi gae chhalka bhi gae
rudad-e-mohabbat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhul gae
rudad-e-mohabbat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhuul gae
do din ki masarrat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhuul gae
jab jaam diya tha saaqi ne jab daur chala tha mahfil men
ik hosh ki saaat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhuul gae
ab vaqt ke nazuk honton par majruh tarannum raqsan hai
bedad-e-mashiyyat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhuul gae
ehsas ke mai-khane men kahan ab fikr-o-nazar ki qindilen
alam ki shiddat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhuul gae
kuchh haal ke andhe sathi the kuchh maazi ke ayyar sajan
ahbab ki chahat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhuul gae
kanton se bhara hai daman-e-dil shabnam se sulagti hain palken
phulon ki sakhavat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhuul gae
ab apni haqiqat bhi 'saghhar' be-rabt kahani lagti hai
duniya ki haqiqat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhuul gae
rudad-e-mohabbat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhul gae
do din ki masarrat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhul gae
jab jam diya tha saqi ne jab daur chala tha mahfil mein
ek hosh ki saat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhul gae
ab waqt ke nazuk honton par majruh tarannum raqsan hai
bedad-e-mashiyyat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhul gae
ehsas ke mai-khane mein kahan ab fikr-o-nazar ki qindilen
aalam ki shiddat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhul gae
kuchh haal ke andhe sathi the kuchh mazi ke ayyar sajan
ahbab ki chahat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhul gae
kanton se bhara hai daman-e-dil shabnam se sulagti hain palken
phulon ki sakhawat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhul gae
ab apni haqiqat bhi 'saghar' be-rabt kahani lagti hai
duniya ki haqiqat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhul gae
chahat mein kya duniya-dari ishq mein kaisi majburi
chahat men kya duniya-dari ishq men kaisi majburi
logon ka kya samjhane do un ki apni majburi
main ne dil ki baat rakhi aur tu ne duniya valon ki
meri arz bhi majburi thi un ka hukm bhi majburi
rok sako to pahli barish ki bundon ko tum roko
kachchi mitti to mahkegi hai mitti ki majburi
zat-kade men pahron baten aur milin to mohr ba-lab
jabr-e-vaqt ne bakhshi ham ko ab ke kaisi majburi
jab tak hansta gaata mausam apna hai sab apne hain
vaqt pade to yaad aa jaati hai masnui majburi
ik avara badal se kyuun main ne saaya manga tha
meri bhi ye nadani thi us ki bhi thi majburi
muddat guzri ik vaade par aaj bhi qaaem hain 'mohsin'
ham ne saari umr nibahi apni pahli majburi
chahat mein kya duniya-dari ishq mein kaisi majburi
logon ka kya samjhane do un ki apni majburi
main ne dil ki baat rakhi aur tu ne duniya walon ki
meri arz bhi majburi thi un ka hukm bhi majburi
rok sako to pahli barish ki bundon ko tum roko
kachchi mitti to mahkegi hai mitti ki majburi
zat-kade mein pahron baaten aur milin to mohr ba-lab
jabr-e-waqt ne bakhshi hum ko ab ke kaisi majburi
jab tak hansta gata mausam apna hai sab apne hain
waqt pade to yaad aa jati hai masnui majburi
ek aawara baadal se kyun main ne saya manga tha
meri bhi ye nadani thi us ki bhi thi majburi
muddat guzri ek wade par aaj bhi qaem hain 'mohsin'
hum ne sari umr nibahi apni pahli majburi
un ko ye shikayat hai ki hum kuchh nahin kahte
un ko ye shikayat hai ki ham kuchh nahin kahte
apni to ye aadat hai ki ham kuchh nahin kahte
majbur bahut karta hai ye dil to zaban ko
kuchh aisi hi halat hai ki ham kuchh nahin kahte
kahne ko bahut kuchh tha agar kahne pe aate
duniya ki inayat hai ki ham kuchh nahin kahte
kuchh kahne pe tufan utha leti hai duniya
ab is pe qayamat hai ki ham kuchh nahin kahte
un ko ye shikayat hai ki hum kuchh nahin kahte
apni to ye aadat hai ki hum kuchh nahin kahte
majbur bahut karta hai ye dil to zaban ko
kuchh aisi hi haalat hai ki hum kuchh nahin kahte
kahne ko bahut kuchh tha agar kahne pe aate
duniya ki inayat hai ki hum kuchh nahin kahte
kuchh kahne pe tufan utha leti hai duniya
ab is pe qayamat hai ki hum kuchh nahin kahte
uski aankhon mein utar jaane ko ji chahta hai
us ki ankhon men utar jaane ko ji chahta hai
shaam hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai
kisi kam-zarf ko ba-zarf agar kahna pade
aise jiine se to mar jaane ko ji chahta hai
ek ik baat men sachchai hai us ki lekin
apne va'don se mukar jaane ko ji chahta hai
qarz tuute hue khvabon ka ada ho jaae
zaat men apni bikhar jaane ko ji chahta hai
apni palkon pe sajae hue yadon ke diye
us ki nindon se guzar jaane ko ji chahta hai
ek ujde hue viran khandar men 'azar'
na-munasib hai magar jaane ko ji chahta hai
us ki aankhon mein utar jaane ko ji chahta hai
sham hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai
kisi kam-zarf ko ba-zarf agar kahna pade
aise jine se to mar jaane ko ji chahta hai
ek ek baat mein sachchai hai us ki lekin
apne wa'don se mukar jaane ko ji chahta hai
qarz tute hue khwabon ka ada ho jae
zat mein apni bikhar jaane ko ji chahta hai
apni palkon pe sajae hue yaadon ke diye
us ki nindon se guzar jaane ko ji chahta hai
ek ujde hue viran khandar mein 'azar'
na-munasib hai magar jaane ko ji chahta hai
meri zindagi bhi meri nahin ye hazar khanon mein bat gai
miri zindagi bhi miri nahin ye hazar khanon men bat gai
mujhe ek mutthi zamin de ye zamin kitni simat gai
tiri yaad aae to chup rahun zara chup rahun to ghhazal kahun
ye ‘ajib aag ki bel thi mire tan-badan se lipat gai
mujhe likhne vaala likhe bhi kya mujhe padhne vaala padhe bhi kya
jahan mera naam likha gaya vahin raushnai ulat gai
na koi khushi na malal hai ki sabhi ka ek sa haal hai
tire sukh ke din bhi guzar gae miri ghham ki raat bhi kat gai
miri band palkon pe tuut kar koi phuul raat bikhar gaya
mujhe siskiyon ne jaga diya miri kachchi niind uchat gai
meri zindagi bhi meri nahin ye hazar khanon mein bat gai
mujhe ek mutthi zamin de ye zamin kitni simat gai
teri yaad aae to chup rahun zara chup rahun to ghazal kahun
ye ‘ajib aag ki bel thi mere tan-badan se lipat gai
mujhe likhne wala likhe bhi kya mujhe padhne wala padhe bhi kya
jahan mera nam likha gaya wahin raushnai ulat gai
na koi khushi na malal hai ki sabhi ka ek sa haal hai
tere sukh ke din bhi guzar gae meri gham ki raat bhi kat gai
meri band palkon pe tut kar koi phul raat bikhar gaya
mujhe siskiyon ne jaga diya meri kachchi nind uchat gai
ab ke barish mein to ye kar-e-ziyan hona hi tha
ab ke barish men to ye kar-e-ziyan hona hi tha
apni kachchi bastiyon ko be-nishan hona hi tha
kis ke bas men tha hava ki vahshaton ko rokna
barg-e-gul ko khaak shoale ko dhuan hona hi tha
jab koi samt-e-safar tai thi na hadd-e-rahguzar
ai mire rah-rau safar to raegan hona hi tha
mujh ko rukna tha use jaana tha agle mod tak
faisla ye us ke mere darmiyan hona hi tha
chand ko chalna tha bahti sipiyon ke saath saath
moajiza ye bhi tah-e-ab-e-ravan hona hi tha
main nae chehron pe kahta tha nai ghhazlen sada
meri is aadat se us ko bad-guman hona hi tha
shahr se bahar ki virani basana thi mujhe
apni tanhai pe kuchh to mehrban hona hi tha
apni ankhen dafn karna thiin ghhubar-e-khak men
ye sitam bhi ham pe zer-e-asman hona hi tha
be-sada basti ki rasmen thiin yahi 'mohsin' mire
main zaban rakhta tha mujh ko be-zaban hona hi tha
ab ke barish mein to ye kar-e-ziyan hona hi tha
apni kachchi bastiyon ko be-nishan hona hi tha
kis ke bas mein tha hawa ki wahshaton ko rokna
barg-e-gul ko khak shoale ko dhuan hona hi tha
jab koi samt-e-safar tai thi na hadd-e-rahguzar
ai mere rah-rau safar to raegan hona hi tha
mujh ko rukna tha use jaana tha agle mod tak
faisla ye us ke mere darmiyan hona hi tha
chand ko chalna tha bahti sipiyon ke sath sath
moajiza ye bhi tah-e-ab-e-rawan hona hi tha
main nae chehron pe kahta tha nai ghazlen sada
meri is aadat se us ko bad-guman hona hi tha
shahr se bahar ki virani basana thi mujhe
apni tanhai pe kuchh to mehrban hona hi tha
apni aankhen dafn karna thin ghubar-e-khak mein
ye sitam bhi hum pe zer-e-asman hona hi tha
be-sada basti ki rasmen thin yahi 'mohsin' mere
main zaban rakhta tha mujh ko be-zaban hona hi tha
tere siwa kisi ki tamanna karunga main
tere siva kisi ki tamanna karunga main
aisa kabhi hua hai jo aisa karunga main
go ghham aziiz hai mujhe tere firaq ka
phir bhi is imtihan ka shikva karunga main
ankhon ko ashk o khuun bhi faraham karunga main
dil ke liye bhi dard muhayya karunga main
rahat bhi ranj, ranj bhi rahat ho jab to phir
kya etibar-e-khvahish-e-duniya karunga main
rakkha hai kya jahan men ye aur baat hai
ye aur baat hai ki taqaza karunga main
ye rahguzar ki ja-e-qayam-e-qarar thi
yaani ab us gali se bhi guzra karunga main
yaani kuchh is tarah ki tujhe bhi khabar na ho
is ehtiyat se tujhe dekha karunga main
hai dekhne ki chiiz to ye iltifat bhi
dekhoge tum gurez bhi aisa karunga main
hairan o dil-shikasta huun is hal-e-zar par
kab janta tha apna tamasha karunga main
haan khinch lunga vaqt ki zanjir paanv se
ab ke bahar aai to aisa karunga main
tere siwa kisi ki tamanna karunga main
aisa kabhi hua hai jo aisa karunga main
go gham aziz hai mujhe tere firaq ka
phir bhi is imtihan ka shikwa karunga main
aankhon ko ashk o khun bhi faraham karunga main
dil ke liye bhi dard muhayya karunga main
rahat bhi ranj, ranj bhi rahat ho jab to phir
kya etibar-e-khwahish-e-duniya karunga main
rakkha hai kya jahan mein ye aur baat hai
ye aur baat hai ki taqaza karunga main
ye rahguzar ki ja-e-qayam-e-qarar thi
yani ab us gali se bhi guzra karunga main
yani kuchh is tarah ki tujhe bhi khabar na ho
is ehtiyat se tujhe dekha karunga main
hai dekhne ki chiz to ye iltifat bhi
dekhoge tum gurez bhi aisa karunga main
hairan o dil-shikasta hun is haal-e-zar par
kab jaanta tha apna tamasha karunga main
han khinch lunga waqt ki zanjir panw se
ab ke bahaar aai to aisa karunga main
nazar ke samne rahna nazar nahin aana
nazar ke samne rahna nazar nahin aana
tire siva ye kisi ko hunar nahin aana
ye intizar magar ikhtiyar men bhi nahin
pata to hai ki use umr bhar nahin aana
ye hijraten hain zamin o zaman se aage ki
jo ja chuka hai use laut kar nahin aana
zara si ghhaib ki luknat zaban men laao
baghhair is ke sukhan men asar nahin aana
har aane vaala naya rasta dikhata hai
isi liye to hamen raah par nahin aana
zara vo dusri khidki bhi khol kamre ki
nahin to taaza hava ne idhar nahin aana
karun masafaten na-afrida rahon ki
mujh aisa baad men avara-sar nahin aana
nazar ke samne rahna nazar nahin aana
tere siwa ye kisi ko hunar nahin aana
ye intizar magar ikhtiyar mein bhi nahin
pata to hai ki use umr bhar nahin aana
ye hijraten hain zamin o zaman se aage ki
jo ja chuka hai use laut kar nahin aana
zara si ghaib ki luknat zaban mein lao
baghair is ke sukhan mein asar nahin aana
har aane wala naya rasta dikhata hai
isi liye to hamein rah par nahin aana
zara wo dusri khidki bhi khol kamre ki
nahin to taza hawa ne idhar nahin aana
karun masafaten na-afrida rahon ki
mujh aisa baad mein aawara-sar nahin aana
un ko bulaen aur wo na aaen to kya karen
un ko bulaen aur vo na aaen to kya karen
bekar jaaen apni duaen to kya karen
ik zohara-vash hai aankh ke pardon men jalvagar
nazron men asman na samaen to kya karen
maana ki sab ke samne milne se hai hijab
lekin vo khvab men bhi na aaen to kya karen
ham laakh qasmen khaen na milne ki sab ghhalat
vo duur hi se dil ko lubhaen to kya karen
bad-qismaton ka yaad na karne pe hai ye haal
allah agar vo yaad hi aaen to kya karen
naseh hamari tauba men kuchh shak nahin magar
shana hilaen aa ke ghataen to kya karen
mai-khana duur rasta tarik ham mariz
munh pher den udhar jo havaen to kya karen
raton ke dil men yaad basaen kisi ki ham
'akhtar' haram men vo na bulaen to kya karen
un ko bulaen aur wo na aaen to kya karen
bekar jaen apni duaen to kya karen
ek zohara-wash hai aankh ke pardon mein jalwagar
nazron mein aasman na samaen to kya karen
mana ki sab ke samne milne se hai hijab
lekin wo khwab mein bhi na aaen to kya karen
hum lakh qasmen khaen na milne ki sab ghalat
wo dur hi se dil ko lubhaen to kya karen
bad-qismaton ka yaad na karne pe hai ye haal
allah agar wo yaad hi aaen to kya karen
naseh hamari tauba mein kuchh shak nahin magar
shana hilaen aa ke ghataen to kya karen
mai-khana dur rasta tarik hum mariz
munh pher den udhar jo hawaen to kya karen
raaton ke dil mein yaad basaen kisi ki hum
'akhtar' haram mein wo na bulaen to kya karen
koi nahin hai aane wala phir bhi koi aane ko hai
koi nahin hai aane vaala phir bhi koi aane ko hai
aate jaate raat aur din men kuchh to ji bahlane ko hai
chalo yahan se apni apni shakhon pe laut aae parinde
bhuli-bisri yadon ko phir tanhai dohrane ko hai
do darvaze ek haveli aamad rukhsat ek paheli
koi ja kar aane ko hai koi aa kar jaane ko hai
din bhar ka hangama saara shaam dhale phir bistar pyara
mera rasta ho ya tera har rasta ghar jaane ko hai
abadi ka shor-sharaba chhod ke dhundo koi kharaba
tanhai phir shama jala kar koi harf sunane ko hai
koi nahin hai aane wala phir bhi koi aane ko hai
aate jate raat aur din mein kuchh to ji bahlane ko hai
chalo yahan se apni apni shakhon pe laut aae parinde
bhuli-bisri yaadon ko phir tanhai dohrane ko hai
do darwaze ek haweli aamad rukhsat ek paheli
koi ja kar aane ko hai koi aa kar jaane ko hai
din bhar ka hangama sara sham dhale phir bistar pyara
mera rasta ho ya tera har rasta ghar jaane ko hai
aabaadi ka shor-sharaba chhod ke dhundo koi kharaba
tanhai phir shama jala kar koi harf sunane ko hai
You have reached the end.