aisa nahin ki un se mohabbat nahin rahi
aisa nahin ki un se mohabbat nahin rahi
jazbat men vo pahli si shiddat nahin rahi
zof-e-quva ne amad-e-piri ki di naved
vo dil nahin raha vo tabiat nahin rahi
sar men vo intizar ka sauda nahin raha
dil par vo dhadkanon ki hukumat nahin rahi
kamzori-e-nigah ne sanjida kar diya
jalvon se chhed-chhad ki aadat nahin rahi
hathon se intiqam liya irtiash ne
daman-e-yar se koi nisbat nahin rahi
paiham tavaf-e-kucha-e-janan ke din gae
pairon men chalne phirne ki taqat nahin rahi
chehre ko jhurriyon ne bhayanak bana diya
aina dekhne ki bhi himmat nahin rahi
allah jaane maut kahan mar gai 'khumar'
ab mujh ko zindagi ki zarurat nahin rahi
aisa nahin ki un se mohabbat nahin rahi
jazbaat mein wo pahli si shiddat nahin rahi
zof-e-quwa ne aamad-e-piri ki di nawed
wo dil nahin raha wo tabiat nahin rahi
sar mein wo intizar ka sauda nahin raha
dil par wo dhadkanon ki hukumat nahin rahi
kamzori-e-nigah ne sanjida kar diya
jalwon se chhed-chhad ki aadat nahin rahi
hathon se intiqam liya irtiash ne
daman-e-yar se koi nisbat nahin rahi
paiham tawaf-e-kucha-e-jaanan ke din gae
pairon mein chalne phirne ki taqat nahin rahi
chehre ko jhurriyon ne bhayanak bana diya
aaina dekhne ki bhi himmat nahin rahi
allah jaane maut kahan mar gai 'khumar'
ab mujh ko zindagi ki zarurat nahin rahi
ab wo ghar ek virana tha bas virana zinda tha
ab vo ghar ik virana tha bas virana zinda tha
sab ankhen dam tod chuki thiin aur main tanha zinda tha
saari gali sunsan padi thi bad-e-fana ke pahre men
hijr ke dalan aur angan men bas ik saaya zinda tha
vo jo kabutar us mukhe men rahte the kis des ude
ek ka naam navazinda tha aur ik ka bazinda tha
vo dopahr apni rukhsat ki aisa-vaisa dhoka thi
apne andar apni laash uthae main jhuta zinda tha
thiin vo ghar raten bhi kahani vaade aur phir din ginna
aana tha jaane vaale ko jaane vaala zinda tha
dastak dene vaale bhi the dastak sunne vaale bhi
tha abad mohalla saara har darvaza zinda tha
piile patton ko sah-pahr ki vahshat pursa deti thi
angan men ik aundhe ghade par bas ik kavva zinda tha
ab wo ghar ek virana tha bas virana zinda tha
sab aankhen dam tod chuki thin aur main tanha zinda tha
sari gali sunsan padi thi baad-e-fana ke pahre mein
hijr ke dalan aur aangan mein bas ek saya zinda tha
wo jo kabutar us mukhe mein rahte the kis des ude
ek ka nam nawazinda tha aur ek ka bazinda tha
wo dopahr apni rukhsat ki aisa-waisa dhoka thi
apne andar apni lash uthae main jhuta zinda tha
thin wo ghar raaten bhi kahani wade aur phir din ginna
aana tha jaane wale ko jaane wala zinda tha
dastak dene wale bhi the dastak sunne wale bhi
tha aabaad mohalla sara har darwaza zinda tha
pile patton ko sah-pahr ki wahshat pursa deti thi
aangan mein ek aundhe ghade par bas ek kawwa zinda tha
dil hijr ke dard se bojhal hai ab aan milo to behtar ho
dil hijr ke dard se bojhal hai ab aan milo to behtar ho
is baat se ham ko kya matlab ye kaise ho ye kyunkar ho
ik bhiik ke donon kaase hain ik pyaas ke dono pyase hain
ham kheti hain tum badal ho ham nadiyan hain tum sagar ho
ye dil hai ki jalte siine men ik dard ka phoda allhad sa
na gupt rahe na phuut bahe koi marham ho koi nishtar ho
ham sanjh samay ki chhaya hain tum chadhti raat ke chandraman
ham jaate hain tum aate ho phir mel ki surat kyunkar ho
ab husn ka rutba 'aali hai ab husn se sahra khali hai
chal basti men banjara ban chal nagri men saudagar ho
jis chiiz se tujh ko nisbat hai jis chiiz ki tujh ko chahat hai
vo sona hai vo hiira hai vo maati ho ya kankar ho
ab 'insha'-ji ko bulana kya ab pyaar ke diip jalana kya
jab dhuup aur chhaya ek se hon jab din aur raat barabar ho
vo raten chand ke saath gaiin vo baten chand ke saath gaiin
ab sukh ke sapne kya dekhen jab dukh ka suraj sar par ho
dil hijr ke dard se bojhal hai ab aan milo to behtar ho
is baat se hum ko kya matlab ye kaise ho ye kyunkar ho
ek bhik ke donon kase hain ek pyas ke dono pyase hain
hum kheti hain tum baadal ho hum nadiyan hain tum sagar ho
ye dil hai ki jalte sine mein ek dard ka phoda allhad sa
na gupt rahe na phut bahe koi marham ho koi nishtar ho
hum sanjh samay ki chhaya hain tum chadhti raat ke chandraman
hum jate hain tum aate ho phir mel ki surat kyunkar ho
ab husn ka rutba 'ali hai ab husn se sahra khali hai
chal basti mein banjara ban chal nagri mein saudagar ho
jis chiz se tujh ko nisbat hai jis chiz ki tujh ko chahat hai
wo sona hai wo hira hai wo mati ho ya kankar ho
ab 'insha'-ji ko bulana kya ab pyar ke dip jalana kya
jab dhup aur chhaya ek se hon jab din aur raat barabar ho
wo raaten chand ke sath gain wo baaten chand ke sath gain
ab sukh ke sapne kya dekhen jab dukh ka suraj sar par ho
agarche main ek chatan sa aadmi raha hun
agarche main ik chatan sa aadmi raha huun
magar tire baad hausla hai ki ji raha huun
vo reza reza mire badan men utar raha hai
main qatra qatra usi ki ankhon ko pi raha huun
tiri hatheli pe kis ne likkha hai qatl mera
mujhe to lagta hai main tira dost bhi raha huun
khuli hain ankhen magar badan hai tamam patthar
koi batae main mar chuka huun ki ji raha huun
kahan milegi misal meri sitamgari ki
ki main gulabon ke zakhm kanton se si raha huun
na puchh mujh se ki shahr valon ka haal kya tha
ki main to khud apne ghar men bhi do ghadi raha huun
mila to biite dinon ka sach us ki aankh men tha
vo ashna jis se muddaton ajnabi raha huun
bhula de mujh ko ki bevafai baja hai lekin
ganva na mujh ko ki main tiri zindagi raha huun
vo ajnabi ban ke ab mile bhi to kya hai 'mohsin'
ye naaz kam hai ki main bhi us ka kabhi raha huun
agarche main ek chatan sa aadmi raha hun
magar tere baad hausla hai ki ji raha hun
wo reza reza mere badan mein utar raha hai
main qatra qatra usi ki aankhon ko pi raha hun
teri hatheli pe kis ne likkha hai qatl mera
mujhe to lagta hai main tera dost bhi raha hun
khuli hain aankhen magar badan hai tamam patthar
koi batae main mar chuka hun ki ji raha hun
kahan milegi misal meri sitamgari ki
ki main gulabon ke zakhm kanton se si raha hun
na puchh mujh se ki shahr walon ka haal kya tha
ki main to khud apne ghar mein bhi do ghadi raha hun
mila to bite dinon ka sach us ki aankh mein tha
wo aashna jis se muddaton ajnabi raha hun
bhula de mujh ko ki bewafai baja hai lekin
ganwa na mujh ko ki main teri zindagi raha hun
wo ajnabi ban ke ab mile bhi to kya hai 'mohsin'
ye naz kam hai ki main bhi us ka kabhi raha hun
ab wo galiyan wo makan yaad nahin
ab vo galiyan vo makan yaad nahin
kaun rahta tha kahan yaad nahin
jalva-e-husn-e-azal the vo dayar
jin ke ab nam-o-nishan yaad nahin
koi ujla sa bhala sa ghar tha
kis ko dekha tha vahan yaad nahin
yaad hai zina-e-pechan us ka
dar-o-divar-e-makan yaad nahin
yaad hai zamzama-e-saz-e-bahar
shor-e-avaz-e-khizan yaad nahin
ab wo galiyan wo makan yaad nahin
kaun rahta tha kahan yaad nahin
jalwa-e-husn-e-azal the wo dayar
jin ke ab nam-o-nishan yaad nahin
koi ujla sa bhala sa ghar tha
kis ko dekha tha wahan yaad nahin
yaad hai zina-e-pechan us ka
dar-o-diwar-e-makan yaad nahin
yaad hai zamzama-e-saz-e-bahaar
shor-e-awaz-e-khizan yaad nahin
baat phulon ki suna karte the
baat phulon ki suna karte the
ham kabhi sher kaha karte the
mishalen le ke tumhare ghham ki
ham andheron men chala karte the
ab kahan aisi tabiat vaale
chot kha kar jo dua karte the
tark-e-ehsas-e-mohabbat mushkil
haan magar ahl-e-vafa karte the
bikhri bikhri hui zulfon vaale
qafile rok liya karte the
aaj gulshan men shagufe 'saghhar'
shikva-e-bad-e-saba karte the
baat phulon ki suna karte the
hum kabhi sher kaha karte the
mishalen le ke tumhaare gham ki
hum andheron mein chala karte the
ab kahan aisi tabiat wale
chot kha kar jo dua karte the
tark-e-ehsas-e-mohabbat mushkil
han magar ahl-e-wafa karte the
bikhri bikhri hui zulfon wale
qafile rok liya karte the
aaj gulshan mein shagufe 'saghar'
shikwa-e-baad-e-saba karte the
wo dushman-e-jaan jaan se pyara bhi kabhi tha
vo dushman-e-jan jaan se pyara bhi kabhi tha
ab kis se kahen koi hamara bhi kabhi tha
utra hai rag-o-pai men to dil kat sa gaya hai
ye zahr-e-judai ki gavara bhi kabhi tha
har dost jahan abr-e-gurezan ki tarah hai
ye shahr kabhi shahr hamara bhi kabhi tha
titli ke taaqub men koi phuul sa bachcha
aisa hi koi khvab hamara bhi kabhi tha
ab agle zamane ke milen log to puchhen
jo haal hamara hai tumhara bhi kabhi tha
har bazm men ham ne use afsurda hi dekha
kahte hain 'faraz' anjuman-ara bhi kabhi tha
wo dushman-e-jaan jaan se pyara bhi kabhi tha
ab kis se kahen koi hamara bhi kabhi tha
utra hai rag-o-pai mein to dil kat sa gaya hai
ye zahr-e-judai ki gawara bhi kabhi tha
har dost jahan abr-e-gurezan ki tarah hai
ye shahr kabhi shahr hamara bhi kabhi tha
titli ke taaqub mein koi phul sa bachcha
aisa hi koi khwab hamara bhi kabhi tha
ab agle zamane ke milen log to puchhen
jo haal hamara hai tumhaara bhi kabhi tha
har bazm mein hum ne use afsurda hi dekha
kahte hain 'faraaz' anjuman-ara bhi kabhi tha
ab aise chaak par kuza-gari hoti nahin thi
ab aise chaak par kuza-gari hoti nahin thi
kabhi hoti thi mitti aur kabhi hoti nahin thi
bahut pahle se afsurda chale aate hain ham to
bahut pahle ki jab afsurdagi hoti nahin thi
hamen in halon hona bhi koi asan tha kya
mohabbat ek thi aur ek bhi hoti nahin thi
diya pahuncha nahin tha aag pahunchi thi gharon tak
phir aisi aag jis se raushni hoti nahin thi
nikal jaate the sar par be-sar-o-samani laade
bhari lagti thi gathri aur bhari hoti nahin thi
hamen ye ishq tab se hai ki jab din ban raha tha
shab-e-hijran jab itni sarsari hoti nahin thi
hamen ja ja ke kahna padta tha ham hain yahin hain
ki jab maujudgi maujudgi hoti nahin thi
bahut takrar rahti thi bhare ghar men kisi se
jo shai darkar hoti thi vahi hoti nahin thi
tumhi ko ham basar karte the aur din mapte the
hamara vaqt achchha tha ghadi hoti nahin thi
ab aise chaak par kuza-gari hoti nahin thi
kabhi hoti thi mitti aur kabhi hoti nahin thi
bahut pahle se afsurda chale aate hain hum to
bahut pahle ki jab afsurdagi hoti nahin thi
hamein in haalon hona bhi koi aasan tha kya
mohabbat ek thi aur ek bhi hoti nahin thi
diya pahuncha nahin tha aag pahunchi thi gharon tak
phir aisi aag jis se raushni hoti nahin thi
nikal jate the sar par be-sar-o-samani lade
bhari lagti thi gathri aur bhari hoti nahin thi
hamein ye ishq tab se hai ki jab din ban raha tha
shab-e-hijran jab itni sarsari hoti nahin thi
hamein ja ja ke kahna padta tha hum hain yahin hain
ki jab maujudgi maujudgi hoti nahin thi
bahut takrar rahti thi bhare ghar mein kisi se
jo shai darkar hoti thi wahi hoti nahin thi
tumhi ko hum basar karte the aur din mapte the
hamara waqt achchha tha ghadi hoti nahin thi
wo chup-chap aansu bahane ki raaten
vo chup-chap aansu bahane ki raten
vo ik shakhs ke yaad aane ki raten
shab-e-mah ki vo thandi anchen vo shabnam
tire husn ke rasmasane ki raten
javani ki doshizgi ka tabassum
gul-e-zar ke vo khilane ki raten
phuvaren si naghhmon ki padti hon jaise
kuchh us lab ke sunne-sunane ki raten
mujhe yaad hai teri har subh-e-rukhsat
mujhe yaad hain tere aane ki raten
pur-asrar si meri arz-e-tamanna
vo kuchh zer-e-lab muskurane ki raten
sar-e-sham se ratjaga ke vo saman
vo pichhle pahar niind aane ki raten
sar-e-sham se ta-sahar qurb-e-janan
na jaane vo thiin kis zamane ki raten
sar-e-mai-kada tishnagi ki vo qasmen
vo saaqi se baten banane ki raten
ham-aghhoshiyan shahid-e-mehrban ki
zamane ke ghham bhuul jaane ki raten
'firaq' apni qismat men shayad nahin the
thikane ke din ya thikane ki raten
wo chup-chap aansu bahane ki raaten
wo ek shakhs ke yaad aane ki raaten
shab-e-mah ki wo thandi aanchen wo shabnam
tere husn ke rasmasane ki raaten
jawani ki doshizgi ka tabassum
gul-e-zar ke wo khilane ki raaten
phuwaren si naghmon ki padti hon jaise
kuchh us lab ke sunne-sunane ki raaten
mujhe yaad hai teri har subh-e-rukhsat
mujhe yaad hain tere aane ki raaten
pur-asrar si meri arz-e-tamanna
wo kuchh zer-e-lab muskurane ki raaten
sar-e-sham se ratjaga ke wo saman
wo pichhle pahar nind aane ki raaten
sar-e-sham se ta-sahar qurb-e-jaanan
na jaane wo thin kis zamane ki raaten
sar-e-mai-kada tishnagi ki wo qasmen
wo saqi se baaten banane ki raaten
ham-aghoshiyan shahid-e-mehrban ki
zamane ke gham bhul jaane ki raaten
'firaq' apni qismat mein shayad nahin the
thikane ke din ya thikane ki raaten
ai maut unhen bhulae zamane guzar gae
ai maut unhen bhulae zamane guzar gae
aa ja ki zahr khaae zamane guzar gae
o jaane vaale aa ki tire intizar men
raste ko ghar banae zamane guzar gae
ghham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najat paae zamane guzar gae
kya laiq-e-sitam bhi nahin ab main dosto
patthar bhi ghar men aae zamane guzar gae
jan-e-bahar phuul nahin aadmi huun main
aa ja ki muskurae zamane guzar gae
kya kya tavaqquat thiin aahon se ai 'khumar'
ye tiir bhi chalae zamane guzar gae
ai maut unhen bhulae zamane guzar gae
aa ja ki zahr khae zamane guzar gae
o jaane wale aa ki tere intizar mein
raste ko ghar banae zamane guzar gae
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yas
sab se najat pae zamane guzar gae
kya laiq-e-sitam bhi nahin ab main dosto
patthar bhi ghar mein aae zamane guzar gae
jaan-e-bahaar phul nahin aadmi hun main
aa ja ki muskurae zamane guzar gae
kya kya tawaqquat thin aahon se ai 'khumar'
ye tir bhi chalae zamane guzar gae
jab yar ne rakht-e-safar bandha kab zabt ka yara us din tha
jab yaar ne rakht-e-safar bandha kab zabt ka yaara us din tha
har dard ne dil ko sahlaya kya haal hamara us din tha
jab khvab huiin us ki ankhen jab dhund hua us ka chehra
har ashk sitara us shab tha har zakhm angara us din tha
sab yaron ke hote sote ham kis se gale mil kar rote
kab galiyan apni galiyan thiin kab shahr hamara us din tha
jab tujh se zara ghhafil thahre har yaad ne dil par dastak di
jab lab pe tumhara naam na tha har dukh ne pukara us din tha
ik tum hi 'faraz' na the tanha ab ke to bala vajib aai
ik bhiid lagi thi maqtal men har dard ka maara us din tha
jab yar ne rakht-e-safar bandha kab zabt ka yara us din tha
har dard ne dil ko sahlaya kya haal hamara us din tha
jab khwab huin us ki aankhen jab dhund hua us ka chehra
har ashk sitara us shab tha har zakhm angara us din tha
sab yaron ke hote sote hum kis se gale mil kar rote
kab galiyan apni galiyan thin kab shahr hamara us din tha
jab tujh se zara ghafil thahre har yaad ne dil par dastak di
jab lab pe tumhaara nam na tha har dukh ne pukara us din tha
ek tum hi 'faraaz' na the tanha ab ke to bala wajib aai
ek bhid lagi thi maqtal mein har dard ka mara us din tha
munh-zabani quran padhte the
munh-zabani quran padhte the
pahle bachche bhi kitne budhe the
ik parinda suna raha tha ghhazal
chaar chhe ped mil ke sunte the
jin ko socha tha aur dekha bhi
aise do-char hi to chehre the
ab to chup-chap shaam aati hai
pahle chidiyon ke shor hote the
raat utra tha shakh par ik gul
char-su khushbuon ke pahre the
aaj ki subh kitni halki hai
yaad padta hai raat roe the
ye kahan doston men aa baithe
ham to marne ko ghar se nikle the
ye bhi din hain ki aag girti hai
vo bhi din the ki phuul barse the
ab vo ladki nazar nahin aati
ham jise roz dekh lete the
ankhen kholin to kuchh na tha 'alvi'
band ankhon men lakhon jalve the
munh-zabani quran padhte the
pahle bachche bhi kitne budhe the
ek parinda suna raha tha ghazal
chaar chhe ped mil ke sunte the
jin ko socha tha aur dekha bhi
aise do-chaar hi to chehre the
ab to chup-chap sham aati hai
pahle chidiyon ke shor hote the
raat utra tha shakh par ek gul
chaar-su khushbuon ke pahre the
aaj ki subh kitni halki hai
yaad padta hai raat roe the
ye kahan doston mein aa baithe
hum to marne ko ghar se nikle the
ye bhi din hain ki aag girti hai
wo bhi din the ki phul barse the
ab wo ladki nazar nahin aati
hum jise roz dekh lete the
aankhen kholin to kuchh na tha 'alwi'
band aankhon mein lakhon jalwe the
zakhm purane phul sabhi basi ho jaenge
zakhm purane phuul sabhi baasi ho jaenge
dard ke sab qisse yad-e-mazi ho jaenge
sansen leti tasviron ko chup lag jaegi
saare naqsh karishmon se aari ho jaenge
ankhon se masti na labon se amrit tapkega
shisha-o-jam sharabon se khali ho jaenge
khuli chhaton se chandni raten katra jaengi
kuchh ham bhi tanhai ke aadi ho jaenge
kucha-e-jan par gahre badal chhae rahenge 'zeb'
us ki khidki ke parde bhari ho jaenge
zakhm purane phul sabhi basi ho jaenge
dard ke sab qisse yaad-e-mazi ho jaenge
sansen leti taswiron ko chup lag jaegi
sare naqsh karishmon se aari ho jaenge
aankhon se masti na labon se amrit tapkega
shisha-o-jam sharabon se khali ho jaenge
khuli chhaton se chandni raaten katra jaengi
kuchh hum bhi tanhai ke aadi ho jaenge
kucha-e-jaan par gahre baadal chhae rahenge 'zeb'
us ki khidki ke parde bhaari ho jaenge
roz khwabon mein nae rang bhara karta tha
roz khvabon men nae rang bhara karta tha
kaun tha jo miri ankhon men raha karta tha
ungliyan kaat ke vo apne lahu se aksar
phuul patton pe mira naam likha karta tha
kaisa qatil tha jo hathon men liye tha khanjar
chupke chupke mire jiine ki dua karta tha
haae qismat ki yahi chhod ke jaane vaala
umr bhar saath nibahenge kaha karta tha
phuul sa jism sulagte hue sandal ki tarah
dil ke mandir men sar-e-sham jala karta tha
vo jo ik lamha kisi yaad men katta tha 'nazir'
dil ke jalte hue shoalon ko hava karta tha
roz khwabon mein nae rang bhara karta tha
kaun tha jo meri aankhon mein raha karta tha
ungliyan kat ke wo apne lahu se aksar
phul patton pe mera nam likha karta tha
kaisa qatil tha jo hathon mein liye tha khanjar
chupke chupke mere jine ki dua karta tha
hae qismat ki yahi chhod ke jaane wala
umr bhar sath nibahenge kaha karta tha
phul sa jism sulagte hue sandal ki tarah
dil ke mandir mein sar-e-sham jala karta tha
wo jo ek lamha kisi yaad mein katta tha 'nazir'
dil ke jalte hue shoalon ko hawa karta tha
nae des ka rang naya tha
nae des ka rang naya tha
dharti se akash mila tha
duur ke dariyaon ka sona
hare samundar men girta tha
chalti nadiyan gaate nauke
nokon men ik shahr basa tha
nauke hi men rain-basera
nauke hi men din katta tha
nauka hi bachchon ka jhula
nauka hi piiri ka asa tha
machhli jaal men tadap rahi thi
nauka lahron men uljha tha
hansta paani rota paani
mujh ko avazen deta tha
tere dhyan ki kashti le kar
main ne dariya paar kiya tha
nae des ka rang naya tha
dharti se aakash mila tha
dur ke dariyaon ka sona
hare samundar mein girta tha
chalti nadiyan gate nauke
nokon mein ek shahr basa tha
nauke hi mein rain-basera
nauke hi mein din katta tha
nauka hi bachchon ka jhula
nauka hi piri ka asa tha
machhli jal mein tadap rahi thi
nauka lahron mein uljha tha
hansta pani rota pani
mujh ko aawazen deta tha
tere dhyan ki kashti le kar
main ne dariya par kiya tha
koi mausam ho bhale lagte the
koi mausam ho bhale lagte the
din kahan itne kade lagte the
khush to pahle bhi nahin the lekin
yuun na andar se bujhe lagte the
roz ke dekhe hue manzar the
phir bhi har roz nae lagte the
un dinon ghar se ajab rishta tha
saare darvaze gale lagte the
rah samajhti thiin andheri galiyan
log pahchane hue lagte the
jhilen paani se bhari rahti thiin
sab ke sab ped hare lagte the
shahr the unchi fasilon vaale
dar zamane ke pare lagte the
bandh rakkha tha zamin ne 'alvi'
ham magar phir bhi ade lagte the
koi mausam ho bhale lagte the
din kahan itne kade lagte the
khush to pahle bhi nahin the lekin
yun na andar se bujhe lagte the
roz ke dekhe hue manzar the
phir bhi har roz nae lagte the
un dinon ghar se ajab rishta tha
sare darwaze gale lagte the
rah samajhti thin andheri galiyan
log pahchane hue lagte the
jhilen pani se bhari rahti thin
sab ke sab ped hare lagte the
shahr the unchi fasilon wale
dar zamane ke pare lagte the
bandh rakkha tha zamin ne 'alwi'
hum magar phir bhi ade lagte the
pani mein kankar barsaya karte the
paani men kankar barsaya karte the
vo din jab ham lamhe zaaya karte the
hod hava se aksar lagti thi apni
aksar us ko dhuul chataya karte the
dekh ke ham ko rahguzar muskati thi
ped bhi aage badh kar chhaya karte the
dhuup batora karte the ham saara din
shaam ko baant ke ghar le jaaya karte the
aaj ghata afsurda karti hai ham ko
ham barish men khuub nahaya karte the
ek yahi ham dekhen sab khamoshi se
ek yahi ham shor machaya karte the
'saurabh' shab thi ek varaq saada jis par
likh likh kar ham khvab mitaya karte the
pani mein kankar barsaya karte the
wo din jab hum lamhe zaya karte the
hod hawa se aksar lagti thi apni
aksar us ko dhul chataya karte the
dekh ke hum ko rahguzar muskati thi
ped bhi aage badh kar chhaya karte the
dhup batora karte the hum sara din
sham ko bant ke ghar le jaya karte the
aaj ghata afsurda karti hai hum ko
hum barish mein khub nahaya karte the
ek yahi hum dekhen sab khamoshi se
ek yahi hum shor machaya karte the
'saurabh' shab thi ek waraq sada jis par
likh likh kar hum khwab mitaya karte the
hawa ke takht par agar tamam umr tu raha
hava ke takht par agar tamam umr tu raha
mujhe khabar na ho saki pa saath saath main bhi tha
chamakte nuur ke dinon men tere astan se duur
vo main ki aftab ki safed shakh par khila
hijab aa gaya tha mujh ko dil ke iztirab par
yahi sabab hai tere dar pe laut kar na aa saka
vo kis makan ki dhuup thii, gali gali men bhar gai
vo kaun sabza-rukh tha jo ki mom sa pighal gaya
kabhi to chal ke dekho saae pipalon ke des ke
jahan ladakpana hamare haath se juda hua
hawa ke takht par agar tamam umr tu raha
mujhe khabar na ho saki pa sath sath main bhi tha
chamakte nur ke dinon mein tere aastan se dur
wo main ki aaftab ki safed shakh par khila
hijab aa gaya tha mujh ko dil ke iztirab par
yahi sabab hai tere dar pe laut kar na aa saka
wo kis makan ki dhup thi, gali gali mein bhar gai
wo kaun sabza-rukh tha jo ki mom sa pighal gaya
kabhi to chal ke dekho sae pipalon ke des ke
jahan ladakpana hamare hath se juda hua
dukhi dilon mein, dukhi sathiyon mein rahte the
dukhi dilon men, dukhi sathiyon men rahte the
ye aur baat ki ham muskura bhi lete the
vo ek shakhs burai pe tul gaya to chalo
saval ye hai ki ham bhi kahan farishte the
aur ab na aankh na aansu na dhadkanen dil men
tumhi kaho ki ye dariya kabhi utarte the
judaiyon ki ghadi naqsh naqsh bolti hai
vo barf-bar hava thii, vo daant bajte the
ab in ki guunj yahan tak sunai deti hai
vo qahqahe jo tiri anjuman men lagte the
vo ek din ki mohabbat ka din kahen jis ko
ki aag thi na tapish bas sulagte jaate the
kahan vo zabt ke daave kahan ye ham 'gauhar'
ki tutte the na phir tuut kar bikharte the
dukhi dilon mein, dukhi sathiyon mein rahte the
ye aur baat ki hum muskura bhi lete the
wo ek shakhs burai pe tul gaya to chalo
sawal ye hai ki hum bhi kahan farishte the
aur ab na aankh na aansu na dhadkanen dil mein
tumhi kaho ki ye dariya kabhi utarte the
judaiyon ki ghadi naqsh naqsh bolti hai
wo barf-bar hawa thi, wo dant bajte the
ab in ki gunj yahan tak sunai deti hai
wo qahqahe jo teri anjuman mein lagte the
wo ek din ki mohabbat ka din kahen jis ko
ki aag thi na tapish bas sulagte jate the
kahan wo zabt ke dawe kahan ye hum 'gauhar'
ki tutte the na phir tut kar bikharte the
jadu thi sehr thi bala thi
jaadu thi sehr thi bala thi
zalim ye tiri nigah kya thi
kidhar hai kahan hai khush-dili tu
ham se bhi kabhu tu ashna thi
shirin bhi tujhi si thi sitamgar
laila bhi agarche bevafa thi
farhad pe is qadar na tha zulm
majnun pe na ye ghhazab jafa thi
maara hai 'bayan' ko jin ne ai shokh
kya janiye kaun si ada thi
jadu thi sehr thi bala thi
zalim ye teri nigah kya thi
kidhar hai kahan hai khush-dili tu
hum se bhi kabhu tu aashna thi
shirin bhi tujhi si thi sitamgar
laila bhi agarche bewafa thi
farhad pe is qadar na tha zulm
majnun pe na ye ghazab jafa thi
mara hai 'bayan' ko jin ne ai shokh
kya jaaniye kaun si ada thi
wo phul tha jadu-nagri mein jis phul ki khushbu bhai thi
vo phuul tha jadu-nagri men jis phuul ki khushbu bhaai thi
use laana jaan ganvana tha aur apni jaan parai thi
vo raat ka tul-tavil safar kya kahiye kaise aai sahar
kuchh main ne qissa chheda tha kuchh us ne aas bandhai thi
khvabon se udhar ki masafat men jo guzri hai kya puchhte ho
ik vahshat char-pahar ki thi ik jalti hui tanhai thi
vo raat ki jis ke kinaron par ham milte aur bichhadte the
ik baar mujhe tanha pa kar us ki bhi aankh bhar aai thi
har shaam ufuq ki duuri par koi sahma sahma phirta tha
tasvir jo us ki banai to khud apni shakl banai thi
wo phul tha jadu-nagri mein jis phul ki khushbu bhai thi
use lana jaan ganwana tha aur apni jaan parai thi
wo raat ka tul-tawil safar kya kahiye kaise aai sahar
kuchh main ne qissa chheda tha kuchh us ne aas bandhai thi
khwabon se udhar ki masafat mein jo guzri hai kya puchhte ho
ek wahshat chaar-pahar ki thi ek jalti hui tanhai thi
wo raat ki jis ke kinaron par hum milte aur bichhadte the
ek bar mujhe tanha pa kar us ki bhi aankh bhar aai thi
har sham ufuq ki duri par koi sahma sahma phirta tha
taswir jo us ki banai to khud apni shakl banai thi
misal-e-aina yaro nikhar gaya kal shab
misal-e-aina yaaro nikhar gaya kal shab
ajiib saneha dil pe guzar gaya kal shab
bisat-e-dasht pe yuun chandni thi raqs-kunan
ki jaise chand ka har zakhm bhar gaya kal shab
siyah raat ka vo rahib-e-charaghh-ba-kaf
suno vo kirmak-e-shab-tab bhar gaya kal shab
kuchh itna chehra bhayanak tha khvab men us ka
ki apne aap se 'pasha' bhi dar gaya kal shab
misal-e-aina yaro nikhar gaya kal shab
ajib saneha dil pe guzar gaya kal shab
bisat-e-dasht pe yun chandni thi raqs-kunan
ki jaise chand ka har zakhm bhar gaya kal shab
siyah raat ka wo rahib-e-charagh-ba-kaf
suno wo kirmak-e-shab-tab bhar gaya kal shab
kuchh itna chehra bhayanak tha khwab mein us ka
ki apne aap se 'pasha' bhi dar gaya kal shab
jab tak safed aandhi ke jhonke chale na the
jab tak safed andhi ke jhonke chale na the
itne ghane darakhton se patte gire na the
izhar par to pahle bhi pabandiyan na thiin
lekin badon ke samne ham bolte na the
un ke bhi apne khvab the apni zaruraten
ham-sae ka magar vo gala katte na the
pahle bhi log milte the lekin taalluqat
angdai ki tarah to kabhi tutte na the
pakke gharon ne niind bhi ankhon ki chhin li
kachche gharon men raat ko ham jagte na the
rahte the dastanon ke mahaul men magar
kya log the ki jhuut kabhi bolte na the
'azhar' vo maktabon ke padhe mo'atabar the log
baisakhiyon pe sirf sanad ki khade na the
jab tak safed aandhi ke jhonke chale na the
itne ghane darakhton se patte gire na the
izhaar par to pahle bhi pabandiyan na thin
lekin badon ke samne hum bolte na the
un ke bhi apne khwab the apni zaruraten
ham-sae ka magar wo gala katte na the
pahle bhi log milte the lekin talluqat
angdai ki tarah to kabhi tutte na the
pakke gharon ne nind bhi aankhon ki chhin li
kachche gharon mein raat ko hum jagte na the
rahte the dastanon ke mahaul mein magar
kya log the ki jhut kabhi bolte na the
'azhar' wo maktabon ke padhe mo'atabar the log
baisakhiyon pe sirf sanad ki khade na the
subhen kaisi aag lagane wali thin
subhen kaisi aag lagane vaali thiin
shamen kaisi dhuan uthane vaali thiin
kaisa athah samundar tha vo khayalon ka
maujen kitna shor machane vaali thiin
darvaze sab dil men aa kar khilte the
divaren chehron ko dikhane vaali thiin
raston men zinda thi aahat qadmon ki
galiyan kya khushbu mahkane vaali thiin
barsaten zakhmon ko hara kar deti thiin
aur havaen phuul khilane vaali thiin
kaisi virani ab in pe barasti hai
ye ankhen to diye jalane vaali thiin
in baton se dil ka khazana khali hai
vo baten jo agle zamane vaali thiin
subhen kaisi aag lagane wali thin
shamen kaisi dhuan uthane wali thin
kaisa athah samundar tha wo khayalon ka
maujen kitna shor machane wali thin
darwaze sab dil mein aa kar khilte the
diwaren chehron ko dikhane wali thin
raston mein zinda thi aahat qadmon ki
galiyan kya khushbu mahkane wali thin
barsaten zakhmon ko hara kar deti thin
aur hawaen phul khilane wali thin
kaisi virani ab in pe barasti hai
ye aankhen to diye jalane wali thin
in baaton se dil ka khazana khali hai
wo baaten jo agle zamane wali thin
ek shakhs jawan khak-basar yaad to hoga
ik shakhs javan khak-basar yaad to hoga
vo apni nigahon ka asar yaad to hoga
vo dhuum zamane men mire josh-e-junun ki
vo ghhalghhala-e-sham-o-sahar yaad to hoga
bhule to na hoge vo tajalli ki hikayat
vo tazkira-e-daghh-e-jigar yaad to hoga
har gaam pe vo husn ki pur-hosh nigahen
vo ishq ka bad-mast safar yaad to hoga
har lamha vo duniya-e-mohabbat men taghhayyur
har saans men vo rang-e-digar yaad to hoga
vo dil ko tire husn-e-khud-ara se taalluq
vo khaak se paiman-e-nazar yaad to hoga
vo kargah-e-dahr se ik be-khabari si
vo taana-e-har-ahl-e-khabar yaad to hoga
vo diid ki tha ru-kash-e-araish-e-giti
pahron taraf-e-rah-guzar yaad to hoga
vo ishq ke jazbat ka bharpur talatum
tufan ki maujon men guzar yaad to hoga
gum-karda sukun pa ke mujhe apni gali men
kahna vo tajahul se kidhar yaad to hoga
bholi to na hogi miri ulfat ki haqiqat
muddat ka fasana hai magar yaad to hoga
ek shakhs jawan khak-basar yaad to hoga
wo apni nigahon ka asar yaad to hoga
wo dhum zamane mein mere josh-e-junun ki
wo ghalghala-e-sham-o-sahar yaad to hoga
bhule to na hoge wo tajalli ki hikayat
wo tazkira-e-dagh-e-jigar yaad to hoga
har gam pe wo husn ki pur-hosh nigahen
wo ishq ka bad-mast safar yaad to hoga
har lamha wo duniya-e-mohabbat mein taghayyur
har sans mein wo rang-e-digar yaad to hoga
wo dil ko tere husn-e-khud-ara se talluq
wo khak se paiman-e-nazar yaad to hoga
wo kargah-e-dahr se ek be-khabari si
wo tana-e-har-ahl-e-khabar yaad to hoga
wo did ki tha ru-kash-e-araish-e-giti
pahron taraf-e-rah-guzar yaad to hoga
wo ishq ke jazbaat ka bharpur talatum
tufan ki maujon mein guzar yaad to hoga
gum-karda sukun pa ke mujhe apni gali mein
kahna wo tajahul se kidhar yaad to hoga
bholi to na hogi meri ulfat ki haqiqat
muddat ka fasana hai magar yaad to hoga
ai ham-daman bhulao na tum yaad-e-raftagan
ai ham-daman bhulao na tum yad-e-raftagan
vamandgan ko hai yahi irshad-e-raftagan
jo ghhuncha na-shagufta hi jhad jaae shakh se
hai is chaman men vo dil-e-nashad-e-raftagan
chashm-o-dil-o-jigar ke liye ashk-e-dard-o-daghh
ham paas hai ye tohfa-e-imdad-e-raftagan
is karvan-sara men ye bang-e-jaras nahin
hai ye sada-e-nala-o-faryad-e-raftagan
asida-o-ravinda se puchha bahut 'muhib'
daryaft par na kuchh hui rudad-e-raftagan
ai ham-daman bhulao na tum yaad-e-raftagan
wamandgan ko hai yahi irshad-e-raftagan
jo ghuncha na-shagufta hi jhad jae shakh se
hai is chaman mein wo dil-e-nashad-e-raftagan
chashm-o-dil-o-jigar ke liye ashk-e-dard-o-dagh
hum pas hai ye tohfa-e-imdad-e-raftagan
is karwan-sara mein ye bang-e-jaras nahin
hai ye sada-e-nala-o-faryaad-e-raftagan
aasida-o-rawinda se puchha bahut 'muhib'
daryaft par na kuchh hui rudad-e-raftagan
dilon pe zakhm laga ke hazar guzri bahaar
dilon pe zakhm laga ke hazar guzri bahar
gai hai chhod ke ik yadgar guzri bahar
mire qarib jo koi gul-e-badan mahka
to aai yaad koi khush-gavar guzri bahar
kisi tarah mujhe pagal na kar saki varna
tire baghhair bhi aai bahar guzri bahar
har ek sarv-e-ravan par guman ki jaise vahi
ho mera maazi miri yadgar guzri bahar
mire nasib ka nauha khizan ye ahd-e-khizan
tire karam ka fasana bahar guzri bahar
dilon pe zakhm laga ke hazar guzri bahaar
gai hai chhod ke ek yaadgar guzri bahaar
mere qarib jo koi gul-e-badan mahka
to aai yaad koi khush-gawar guzri bahaar
kisi tarah mujhe pagal na kar saki warna
tere baghair bhi aai bahaar guzri bahaar
har ek sarw-e-rawan par guman ki jaise wahi
ho mera mazi meri yaadgar guzri bahaar
mere nasib ka nauha khizan ye ahd-e-khizan
tere karam ka fasana bahaar guzri bahaar
You have reached the end.