Poetry Collection

Mazi

Past may have many avatars—good and bad. But past has memories also that sustain us through all times and help us live a life differently. These verses recreate the moments gone by and help us perceive life as a rich continuity. These verses bring various facets of the past from which we cannot ever disassociate.

Total

46

Sher

19

Ghazal

27

Nazm

0

Featured Picks

Is collection se writer-diverse top picks for quick reading.

GhazalRead Full

aisa nahin ki un se mohabbat nahin rahi

aisa nahin ki un se mohabbat nahin rahi jazbat men vo pahli si shiddat nahin rahi zof-e-quva ne amad-e-piri ki di naved vo dil nahin raha vo tabiat nahin rahi sar men vo intizar ka sauda nahin raha dil par vo dhadkanon ki hukumat nahin rahi kamzori-e-nigah ne sanjida kar diya jalvon se chhed-chhad ki aadat nahin rahi hathon se intiqam liya irtiash ne daman-e-yar se koi nisbat nahin rahi paiham tavaf-e-kucha-e-janan ke din gae pairon men chalne phirne ki taqat nahin rahi chehre ko jhurriyon ne bhayanak bana diya aina dekhne ki bhi himmat nahin rahi allah jaane maut kahan mar gai 'khumar' ab mujh ko zindagi ki zarurat nahin rahi aisa nahin ki un se mohabbat nahin rahi jazbaat mein wo pahli si shiddat nahin rahi zof-e-quwa ne aamad-e-piri ki di nawed wo dil nahin raha wo tabiat nahin rahi sar mein wo intizar ka sauda nahin raha dil par wo dhadkanon ki hukumat nahin rahi kamzori-e-nigah ne sanjida kar diya jalwon se chhed-chhad ki aadat nahin rahi hathon se intiqam liya irtiash ne daman-e-yar se koi nisbat nahin rahi paiham tawaf-e-kucha-e-jaanan ke din gae pairon mein chalne phirne ki taqat nahin rahi chehre ko jhurriyon ne bhayanak bana diya aaina dekhne ki bhi himmat nahin rahi allah jaane maut kahan mar gai 'khumar' ab mujh ko zindagi ki zarurat nahin rahi

GhazalRead Full

ab wo ghar ek virana tha bas virana zinda tha

ab vo ghar ik virana tha bas virana zinda tha sab ankhen dam tod chuki thiin aur main tanha zinda tha saari gali sunsan padi thi bad-e-fana ke pahre men hijr ke dalan aur angan men bas ik saaya zinda tha vo jo kabutar us mukhe men rahte the kis des ude ek ka naam navazinda tha aur ik ka bazinda tha vo dopahr apni rukhsat ki aisa-vaisa dhoka thi apne andar apni laash uthae main jhuta zinda tha thiin vo ghar raten bhi kahani vaade aur phir din ginna aana tha jaane vaale ko jaane vaala zinda tha dastak dene vaale bhi the dastak sunne vaale bhi tha abad mohalla saara har darvaza zinda tha piile patton ko sah-pahr ki vahshat pursa deti thi angan men ik aundhe ghade par bas ik kavva zinda tha ab wo ghar ek virana tha bas virana zinda tha sab aankhen dam tod chuki thin aur main tanha zinda tha sari gali sunsan padi thi baad-e-fana ke pahre mein hijr ke dalan aur aangan mein bas ek saya zinda tha wo jo kabutar us mukhe mein rahte the kis des ude ek ka nam nawazinda tha aur ek ka bazinda tha wo dopahr apni rukhsat ki aisa-waisa dhoka thi apne andar apni lash uthae main jhuta zinda tha thin wo ghar raaten bhi kahani wade aur phir din ginna aana tha jaane wale ko jaane wala zinda tha dastak dene wale bhi the dastak sunne wale bhi tha aabaad mohalla sara har darwaza zinda tha pile patton ko sah-pahr ki wahshat pursa deti thi aangan mein ek aundhe ghade par bas ek kawwa zinda tha

GhazalRead Full

aisa nahin ki un se mohabbat nahin rahi

aisa nahin ki un se mohabbat nahin rahi jazbat men vo pahli si shiddat nahin rahi zof-e-quva ne amad-e-piri ki di naved vo dil nahin raha vo tabiat nahin rahi sar men vo intizar ka sauda nahin raha dil par vo dhadkanon ki hukumat nahin rahi kamzori-e-nigah ne sanjida kar diya jalvon se chhed-chhad ki aadat nahin rahi hathon se intiqam liya irtiash ne daman-e-yar se koi nisbat nahin rahi paiham tavaf-e-kucha-e-janan ke din gae pairon men chalne phirne ki taqat nahin rahi chehre ko jhurriyon ne bhayanak bana diya aina dekhne ki bhi himmat nahin rahi allah jaane maut kahan mar gai 'khumar' ab mujh ko zindagi ki zarurat nahin rahi aisa nahin ki un se mohabbat nahin rahi jazbaat mein wo pahli si shiddat nahin rahi zof-e-quwa ne aamad-e-piri ki di nawed wo dil nahin raha wo tabiat nahin rahi sar mein wo intizar ka sauda nahin raha dil par wo dhadkanon ki hukumat nahin rahi kamzori-e-nigah ne sanjida kar diya jalwon se chhed-chhad ki aadat nahin rahi hathon se intiqam liya irtiash ne daman-e-yar se koi nisbat nahin rahi paiham tawaf-e-kucha-e-jaanan ke din gae pairon mein chalne phirne ki taqat nahin rahi chehre ko jhurriyon ne bhayanak bana diya aaina dekhne ki bhi himmat nahin rahi allah jaane maut kahan mar gai 'khumar' ab mujh ko zindagi ki zarurat nahin rahi

GhazalRead Full

ab wo ghar ek virana tha bas virana zinda tha

ab vo ghar ik virana tha bas virana zinda tha sab ankhen dam tod chuki thiin aur main tanha zinda tha saari gali sunsan padi thi bad-e-fana ke pahre men hijr ke dalan aur angan men bas ik saaya zinda tha vo jo kabutar us mukhe men rahte the kis des ude ek ka naam navazinda tha aur ik ka bazinda tha vo dopahr apni rukhsat ki aisa-vaisa dhoka thi apne andar apni laash uthae main jhuta zinda tha thiin vo ghar raten bhi kahani vaade aur phir din ginna aana tha jaane vaale ko jaane vaala zinda tha dastak dene vaale bhi the dastak sunne vaale bhi tha abad mohalla saara har darvaza zinda tha piile patton ko sah-pahr ki vahshat pursa deti thi angan men ik aundhe ghade par bas ik kavva zinda tha ab wo ghar ek virana tha bas virana zinda tha sab aankhen dam tod chuki thin aur main tanha zinda tha sari gali sunsan padi thi baad-e-fana ke pahre mein hijr ke dalan aur aangan mein bas ek saya zinda tha wo jo kabutar us mukhe mein rahte the kis des ude ek ka nam nawazinda tha aur ek ka bazinda tha wo dopahr apni rukhsat ki aisa-waisa dhoka thi apne andar apni lash uthae main jhuta zinda tha thin wo ghar raaten bhi kahani wade aur phir din ginna aana tha jaane wale ko jaane wala zinda tha dastak dene wale bhi the dastak sunne wale bhi tha aabaad mohalla sara har darwaza zinda tha pile patton ko sah-pahr ki wahshat pursa deti thi aangan mein ek aundhe ghade par bas ek kawwa zinda tha

GhazalRead Full

dil hijr ke dard se bojhal hai ab aan milo to behtar ho

dil hijr ke dard se bojhal hai ab aan milo to behtar ho is baat se ham ko kya matlab ye kaise ho ye kyunkar ho ik bhiik ke donon kaase hain ik pyaas ke dono pyase hain ham kheti hain tum badal ho ham nadiyan hain tum sagar ho ye dil hai ki jalte siine men ik dard ka phoda allhad sa na gupt rahe na phuut bahe koi marham ho koi nishtar ho ham sanjh samay ki chhaya hain tum chadhti raat ke chandraman ham jaate hain tum aate ho phir mel ki surat kyunkar ho ab husn ka rutba 'aali hai ab husn se sahra khali hai chal basti men banjara ban chal nagri men saudagar ho jis chiiz se tujh ko nisbat hai jis chiiz ki tujh ko chahat hai vo sona hai vo hiira hai vo maati ho ya kankar ho ab 'insha'-ji ko bulana kya ab pyaar ke diip jalana kya jab dhuup aur chhaya ek se hon jab din aur raat barabar ho vo raten chand ke saath gaiin vo baten chand ke saath gaiin ab sukh ke sapne kya dekhen jab dukh ka suraj sar par ho dil hijr ke dard se bojhal hai ab aan milo to behtar ho is baat se hum ko kya matlab ye kaise ho ye kyunkar ho ek bhik ke donon kase hain ek pyas ke dono pyase hain hum kheti hain tum baadal ho hum nadiyan hain tum sagar ho ye dil hai ki jalte sine mein ek dard ka phoda allhad sa na gupt rahe na phut bahe koi marham ho koi nishtar ho hum sanjh samay ki chhaya hain tum chadhti raat ke chandraman hum jate hain tum aate ho phir mel ki surat kyunkar ho ab husn ka rutba 'ali hai ab husn se sahra khali hai chal basti mein banjara ban chal nagri mein saudagar ho jis chiz se tujh ko nisbat hai jis chiz ki tujh ko chahat hai wo sona hai wo hira hai wo mati ho ya kankar ho ab 'insha'-ji ko bulana kya ab pyar ke dip jalana kya jab dhup aur chhaya ek se hon jab din aur raat barabar ho wo raaten chand ke sath gain wo baaten chand ke sath gain ab sukh ke sapne kya dekhen jab dukh ka suraj sar par ho

yaadon ki bauchhaaron se jab palken bhigne lagti hain sondhi sondhi lagti hai tab mazi ki ruswai bhi

GhazalRead Full

agarche main ek chatan sa aadmi raha hun

agarche main ik chatan sa aadmi raha huun magar tire baad hausla hai ki ji raha huun vo reza reza mire badan men utar raha hai main qatra qatra usi ki ankhon ko pi raha huun tiri hatheli pe kis ne likkha hai qatl mera mujhe to lagta hai main tira dost bhi raha huun khuli hain ankhen magar badan hai tamam patthar koi batae main mar chuka huun ki ji raha huun kahan milegi misal meri sitamgari ki ki main gulabon ke zakhm kanton se si raha huun na puchh mujh se ki shahr valon ka haal kya tha ki main to khud apne ghar men bhi do ghadi raha huun mila to biite dinon ka sach us ki aankh men tha vo ashna jis se muddaton ajnabi raha huun bhula de mujh ko ki bevafai baja hai lekin ganva na mujh ko ki main tiri zindagi raha huun vo ajnabi ban ke ab mile bhi to kya hai 'mohsin' ye naaz kam hai ki main bhi us ka kabhi raha huun agarche main ek chatan sa aadmi raha hun magar tere baad hausla hai ki ji raha hun wo reza reza mere badan mein utar raha hai main qatra qatra usi ki aankhon ko pi raha hun teri hatheli pe kis ne likkha hai qatl mera mujhe to lagta hai main tera dost bhi raha hun khuli hain aankhen magar badan hai tamam patthar koi batae main mar chuka hun ki ji raha hun kahan milegi misal meri sitamgari ki ki main gulabon ke zakhm kanton se si raha hun na puchh mujh se ki shahr walon ka haal kya tha ki main to khud apne ghar mein bhi do ghadi raha hun mila to bite dinon ka sach us ki aankh mein tha wo aashna jis se muddaton ajnabi raha hun bhula de mujh ko ki bewafai baja hai lekin ganwa na mujh ko ki main teri zindagi raha hun wo ajnabi ban ke ab mile bhi to kya hai 'mohsin' ye naz kam hai ki main bhi us ka kabhi raha hun

GhazalRead Full

ab wo galiyan wo makan yaad nahin

ab vo galiyan vo makan yaad nahin kaun rahta tha kahan yaad nahin jalva-e-husn-e-azal the vo dayar jin ke ab nam-o-nishan yaad nahin koi ujla sa bhala sa ghar tha kis ko dekha tha vahan yaad nahin yaad hai zina-e-pechan us ka dar-o-divar-e-makan yaad nahin yaad hai zamzama-e-saz-e-bahar shor-e-avaz-e-khizan yaad nahin ab wo galiyan wo makan yaad nahin kaun rahta tha kahan yaad nahin jalwa-e-husn-e-azal the wo dayar jin ke ab nam-o-nishan yaad nahin koi ujla sa bhala sa ghar tha kis ko dekha tha wahan yaad nahin yaad hai zina-e-pechan us ka dar-o-diwar-e-makan yaad nahin yaad hai zamzama-e-saz-e-bahaar shor-e-awaz-e-khizan yaad nahin

ishq ki har dastan mein ek hi nukta mila ishq ka mazi hua karta hai mustaqbil nahin in every tale of love is a common theme to wit love only has a past but no future's there for it

GhazalRead Full

baat phulon ki suna karte the

baat phulon ki suna karte the ham kabhi sher kaha karte the mishalen le ke tumhare ghham ki ham andheron men chala karte the ab kahan aisi tabiat vaale chot kha kar jo dua karte the tark-e-ehsas-e-mohabbat mushkil haan magar ahl-e-vafa karte the bikhri bikhri hui zulfon vaale qafile rok liya karte the aaj gulshan men shagufe 'saghhar' shikva-e-bad-e-saba karte the baat phulon ki suna karte the hum kabhi sher kaha karte the mishalen le ke tumhaare gham ki hum andheron mein chala karte the ab kahan aisi tabiat wale chot kha kar jo dua karte the tark-e-ehsas-e-mohabbat mushkil han magar ahl-e-wafa karte the bikhri bikhri hui zulfon wale qafile rok liya karte the aaj gulshan mein shagufe 'saghar' shikwa-e-baad-e-saba karte the

kabhi milenge jo raste mein to munh phira kar palat padenge kahin sunenge jo nam tera to chup rahenge nazar jhuka ke

wo mazi jo hai ek majmua ashkon aur aahon ka na jaane mujh ko is mazi se kyun itni mohabbat hai

GhazalRead Full

wo dushman-e-jaan jaan se pyara bhi kabhi tha

vo dushman-e-jan jaan se pyara bhi kabhi tha ab kis se kahen koi hamara bhi kabhi tha utra hai rag-o-pai men to dil kat sa gaya hai ye zahr-e-judai ki gavara bhi kabhi tha har dost jahan abr-e-gurezan ki tarah hai ye shahr kabhi shahr hamara bhi kabhi tha titli ke taaqub men koi phuul sa bachcha aisa hi koi khvab hamara bhi kabhi tha ab agle zamane ke milen log to puchhen jo haal hamara hai tumhara bhi kabhi tha har bazm men ham ne use afsurda hi dekha kahte hain 'faraz' anjuman-ara bhi kabhi tha wo dushman-e-jaan jaan se pyara bhi kabhi tha ab kis se kahen koi hamara bhi kabhi tha utra hai rag-o-pai mein to dil kat sa gaya hai ye zahr-e-judai ki gawara bhi kabhi tha har dost jahan abr-e-gurezan ki tarah hai ye shahr kabhi shahr hamara bhi kabhi tha titli ke taaqub mein koi phul sa bachcha aisa hi koi khwab hamara bhi kabhi tha ab agle zamane ke milen log to puchhen jo haal hamara hai tumhaara bhi kabhi tha har bazm mein hum ne use afsurda hi dekha kahte hain 'faraaz' anjuman-ara bhi kabhi tha

GhazalRead Full

ab aise chaak par kuza-gari hoti nahin thi

ab aise chaak par kuza-gari hoti nahin thi kabhi hoti thi mitti aur kabhi hoti nahin thi bahut pahle se afsurda chale aate hain ham to bahut pahle ki jab afsurdagi hoti nahin thi hamen in halon hona bhi koi asan tha kya mohabbat ek thi aur ek bhi hoti nahin thi diya pahuncha nahin tha aag pahunchi thi gharon tak phir aisi aag jis se raushni hoti nahin thi nikal jaate the sar par be-sar-o-samani laade bhari lagti thi gathri aur bhari hoti nahin thi hamen ye ishq tab se hai ki jab din ban raha tha shab-e-hijran jab itni sarsari hoti nahin thi hamen ja ja ke kahna padta tha ham hain yahin hain ki jab maujudgi maujudgi hoti nahin thi bahut takrar rahti thi bhare ghar men kisi se jo shai darkar hoti thi vahi hoti nahin thi tumhi ko ham basar karte the aur din mapte the hamara vaqt achchha tha ghadi hoti nahin thi ab aise chaak par kuza-gari hoti nahin thi kabhi hoti thi mitti aur kabhi hoti nahin thi bahut pahle se afsurda chale aate hain hum to bahut pahle ki jab afsurdagi hoti nahin thi hamein in haalon hona bhi koi aasan tha kya mohabbat ek thi aur ek bhi hoti nahin thi diya pahuncha nahin tha aag pahunchi thi gharon tak phir aisi aag jis se raushni hoti nahin thi nikal jate the sar par be-sar-o-samani lade bhari lagti thi gathri aur bhari hoti nahin thi hamein ye ishq tab se hai ki jab din ban raha tha shab-e-hijran jab itni sarsari hoti nahin thi hamein ja ja ke kahna padta tha hum hain yahin hain ki jab maujudgi maujudgi hoti nahin thi bahut takrar rahti thi bhare ghar mein kisi se jo shai darkar hoti thi wahi hoti nahin thi tumhi ko hum basar karte the aur din mapte the hamara waqt achchha tha ghadi hoti nahin thi

hansi mein katti thin raaten khushi mein din guzarta tha 'kanwal' mazi ka afsana na tum bhule na hum bhule

GhazalRead Full

wo chup-chap aansu bahane ki raaten

vo chup-chap aansu bahane ki raten vo ik shakhs ke yaad aane ki raten shab-e-mah ki vo thandi anchen vo shabnam tire husn ke rasmasane ki raten javani ki doshizgi ka tabassum gul-e-zar ke vo khilane ki raten phuvaren si naghhmon ki padti hon jaise kuchh us lab ke sunne-sunane ki raten mujhe yaad hai teri har subh-e-rukhsat mujhe yaad hain tere aane ki raten pur-asrar si meri arz-e-tamanna vo kuchh zer-e-lab muskurane ki raten sar-e-sham se ratjaga ke vo saman vo pichhle pahar niind aane ki raten sar-e-sham se ta-sahar qurb-e-janan na jaane vo thiin kis zamane ki raten sar-e-mai-kada tishnagi ki vo qasmen vo saaqi se baten banane ki raten ham-aghhoshiyan shahid-e-mehrban ki zamane ke ghham bhuul jaane ki raten 'firaq' apni qismat men shayad nahin the thikane ke din ya thikane ki raten wo chup-chap aansu bahane ki raaten wo ek shakhs ke yaad aane ki raaten shab-e-mah ki wo thandi aanchen wo shabnam tere husn ke rasmasane ki raaten jawani ki doshizgi ka tabassum gul-e-zar ke wo khilane ki raaten phuwaren si naghmon ki padti hon jaise kuchh us lab ke sunne-sunane ki raaten mujhe yaad hai teri har subh-e-rukhsat mujhe yaad hain tere aane ki raaten pur-asrar si meri arz-e-tamanna wo kuchh zer-e-lab muskurane ki raaten sar-e-sham se ratjaga ke wo saman wo pichhle pahar nind aane ki raaten sar-e-sham se ta-sahar qurb-e-jaanan na jaane wo thin kis zamane ki raaten sar-e-mai-kada tishnagi ki wo qasmen wo saqi se baaten banane ki raaten ham-aghoshiyan shahid-e-mehrban ki zamane ke gham bhul jaane ki raaten 'firaq' apni qismat mein shayad nahin the thikane ke din ya thikane ki raaten

GhazalRead Full

ai maut unhen bhulae zamane guzar gae

ai maut unhen bhulae zamane guzar gae aa ja ki zahr khaae zamane guzar gae o jaane vaale aa ki tire intizar men raste ko ghar banae zamane guzar gae ghham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas sab se najat paae zamane guzar gae kya laiq-e-sitam bhi nahin ab main dosto patthar bhi ghar men aae zamane guzar gae jan-e-bahar phuul nahin aadmi huun main aa ja ki muskurae zamane guzar gae kya kya tavaqquat thiin aahon se ai 'khumar' ye tiir bhi chalae zamane guzar gae ai maut unhen bhulae zamane guzar gae aa ja ki zahr khae zamane guzar gae o jaane wale aa ki tere intizar mein raste ko ghar banae zamane guzar gae gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yas sab se najat pae zamane guzar gae kya laiq-e-sitam bhi nahin ab main dosto patthar bhi ghar mein aae zamane guzar gae jaan-e-bahaar phul nahin aadmi hun main aa ja ki muskurae zamane guzar gae kya kya tawaqquat thin aahon se ai 'khumar' ye tir bhi chalae zamane guzar gae

GhazalRead Full

jab yar ne rakht-e-safar bandha kab zabt ka yara us din tha

jab yaar ne rakht-e-safar bandha kab zabt ka yaara us din tha har dard ne dil ko sahlaya kya haal hamara us din tha jab khvab huiin us ki ankhen jab dhund hua us ka chehra har ashk sitara us shab tha har zakhm angara us din tha sab yaron ke hote sote ham kis se gale mil kar rote kab galiyan apni galiyan thiin kab shahr hamara us din tha jab tujh se zara ghhafil thahre har yaad ne dil par dastak di jab lab pe tumhara naam na tha har dukh ne pukara us din tha ik tum hi 'faraz' na the tanha ab ke to bala vajib aai ik bhiid lagi thi maqtal men har dard ka maara us din tha jab yar ne rakht-e-safar bandha kab zabt ka yara us din tha har dard ne dil ko sahlaya kya haal hamara us din tha jab khwab huin us ki aankhen jab dhund hua us ka chehra har ashk sitara us shab tha har zakhm angara us din tha sab yaron ke hote sote hum kis se gale mil kar rote kab galiyan apni galiyan thin kab shahr hamara us din tha jab tujh se zara ghafil thahre har yaad ne dil par dastak di jab lab pe tumhaara nam na tha har dukh ne pukara us din tha ek tum hi 'faraaz' na the tanha ab ke to bala wajib aai ek bhid lagi thi maqtal mein har dard ka mara us din tha

GhazalRead Full

munh-zabani quran padhte the

munh-zabani quran padhte the pahle bachche bhi kitne budhe the ik parinda suna raha tha ghhazal chaar chhe ped mil ke sunte the jin ko socha tha aur dekha bhi aise do-char hi to chehre the ab to chup-chap shaam aati hai pahle chidiyon ke shor hote the raat utra tha shakh par ik gul char-su khushbuon ke pahre the aaj ki subh kitni halki hai yaad padta hai raat roe the ye kahan doston men aa baithe ham to marne ko ghar se nikle the ye bhi din hain ki aag girti hai vo bhi din the ki phuul barse the ab vo ladki nazar nahin aati ham jise roz dekh lete the ankhen kholin to kuchh na tha 'alvi' band ankhon men lakhon jalve the munh-zabani quran padhte the pahle bachche bhi kitne budhe the ek parinda suna raha tha ghazal chaar chhe ped mil ke sunte the jin ko socha tha aur dekha bhi aise do-chaar hi to chehre the ab to chup-chap sham aati hai pahle chidiyon ke shor hote the raat utra tha shakh par ek gul chaar-su khushbuon ke pahre the aaj ki subh kitni halki hai yaad padta hai raat roe the ye kahan doston mein aa baithe hum to marne ko ghar se nikle the ye bhi din hain ki aag girti hai wo bhi din the ki phul barse the ab wo ladki nazar nahin aati hum jise roz dekh lete the aankhen kholin to kuchh na tha 'alwi' band aankhon mein lakhon jalwe the

GhazalRead Full

zakhm purane phul sabhi basi ho jaenge

zakhm purane phuul sabhi baasi ho jaenge dard ke sab qisse yad-e-mazi ho jaenge sansen leti tasviron ko chup lag jaegi saare naqsh karishmon se aari ho jaenge ankhon se masti na labon se amrit tapkega shisha-o-jam sharabon se khali ho jaenge khuli chhaton se chandni raten katra jaengi kuchh ham bhi tanhai ke aadi ho jaenge kucha-e-jan par gahre badal chhae rahenge 'zeb' us ki khidki ke parde bhari ho jaenge zakhm purane phul sabhi basi ho jaenge dard ke sab qisse yaad-e-mazi ho jaenge sansen leti taswiron ko chup lag jaegi sare naqsh karishmon se aari ho jaenge aankhon se masti na labon se amrit tapkega shisha-o-jam sharabon se khali ho jaenge khuli chhaton se chandni raaten katra jaengi kuchh hum bhi tanhai ke aadi ho jaenge kucha-e-jaan par gahre baadal chhae rahenge 'zeb' us ki khidki ke parde bhaari ho jaenge

GhazalRead Full

roz khwabon mein nae rang bhara karta tha

roz khvabon men nae rang bhara karta tha kaun tha jo miri ankhon men raha karta tha ungliyan kaat ke vo apne lahu se aksar phuul patton pe mira naam likha karta tha kaisa qatil tha jo hathon men liye tha khanjar chupke chupke mire jiine ki dua karta tha haae qismat ki yahi chhod ke jaane vaala umr bhar saath nibahenge kaha karta tha phuul sa jism sulagte hue sandal ki tarah dil ke mandir men sar-e-sham jala karta tha vo jo ik lamha kisi yaad men katta tha 'nazir' dil ke jalte hue shoalon ko hava karta tha roz khwabon mein nae rang bhara karta tha kaun tha jo meri aankhon mein raha karta tha ungliyan kat ke wo apne lahu se aksar phul patton pe mera nam likha karta tha kaisa qatil tha jo hathon mein liye tha khanjar chupke chupke mere jine ki dua karta tha hae qismat ki yahi chhod ke jaane wala umr bhar sath nibahenge kaha karta tha phul sa jism sulagte hue sandal ki tarah dil ke mandir mein sar-e-sham jala karta tha wo jo ek lamha kisi yaad mein katta tha 'nazir' dil ke jalte hue shoalon ko hawa karta tha

GhazalRead Full

nae des ka rang naya tha

nae des ka rang naya tha dharti se akash mila tha duur ke dariyaon ka sona hare samundar men girta tha chalti nadiyan gaate nauke nokon men ik shahr basa tha nauke hi men rain-basera nauke hi men din katta tha nauka hi bachchon ka jhula nauka hi piiri ka asa tha machhli jaal men tadap rahi thi nauka lahron men uljha tha hansta paani rota paani mujh ko avazen deta tha tere dhyan ki kashti le kar main ne dariya paar kiya tha nae des ka rang naya tha dharti se aakash mila tha dur ke dariyaon ka sona hare samundar mein girta tha chalti nadiyan gate nauke nokon mein ek shahr basa tha nauke hi mein rain-basera nauke hi mein din katta tha nauka hi bachchon ka jhula nauka hi piri ka asa tha machhli jal mein tadap rahi thi nauka lahron mein uljha tha hansta pani rota pani mujh ko aawazen deta tha tere dhyan ki kashti le kar main ne dariya par kiya tha

Explore Similar Collections

Mazi FAQs

Mazi collection me kya milega?

Mazi se related curated sher, selected ghazal excerpts aur context-friendly reading flow milega.

Kya is page ki links internal hain?

Haan, collection links, writer links aur detail links sab Kuch Alfaaz ke internal routes par map kiye gaye hain.

Collection ko kaise explore karein?

Type filter (Sher/Ghazal/Nazm), featured picks aur similar collections rail use karke fast discovery kar sakte hain.