har aadmi mein hote hain das bis aadmi jis ko bhi dekhna ho kai bar dekhna
Poetry Collection
Philosophical
Philosophy is the essence while the manifestations of life are the matter. All poetry must have their foundation in one philosophical thought or the other. Philosophy provides the material by which we live and sustain ourselves. This selection would help you appreciate the deeper layers of meaning that life entails. Indulge into these gems and appreciate their worth in our lives.
Total
24
Sher
15
Ghazal
9
Nazm
0
Featured Picks
Is collection se writer-diverse top picks for quick reading.
bade tahammul se rafta rafta nikalna hai
bade tahammul se rafta rafta nikalna hai bacha hai jo tujh men mera hissa nikalna hai ye ruuh barson se dafn hai tum madad karoge badan ke malbe se is ko zinda nikalna hai nazar men rakhna kahin koi ghham-shanas gahak mujhe sukhan bechna hai kharcha nikalna hai nikal laaya huun ek pinjre se ik parinda ab is parinde ke dil se pinjra nikalna hai ye tiis barson se kuchh baras pichhe chal rahi hai mujhe ghadi ka kharab purza nikalna hai khayal hai khandan ko ittilaa de duun jo kat gaya us shajar ka shajara nikalna hai main ek kirdar se bada tang huun qalamkar mujhe kahani men daal ghhussa nikalna hai bade tahammul se rafta rafta nikalna hai bacha hai jo tujh mein mera hissa nikalna hai ye ruh barson se dafn hai tum madad karoge badan ke malbe se is ko zinda nikalna hai nazar mein rakhna kahin koi gham-shanas gahak mujhe sukhan bechna hai kharcha nikalna hai nikal laya hun ek pinjre se ek parinda ab is parinde ke dil se pinjra nikalna hai ye tis barson se kuchh baras pichhe chal rahi hai mujhe ghadi ka kharab purza nikalna hai khayal hai khandan ko ittilaa de dun jo kat gaya us shajar ka shajara nikalna hai main ek kirdar se bada tang hun qalamkar mujhe kahani mein dal ghussa nikalna hai
apne hone ka kuchh ehsas na hone se hua khud se milna mera ek shakhs ke khone se hua
har aadmi mein hote hain das bis aadmi jis ko bhi dekhna ho kai bar dekhna
bade tahammul se rafta rafta nikalna hai
bade tahammul se rafta rafta nikalna hai bacha hai jo tujh men mera hissa nikalna hai ye ruuh barson se dafn hai tum madad karoge badan ke malbe se is ko zinda nikalna hai nazar men rakhna kahin koi ghham-shanas gahak mujhe sukhan bechna hai kharcha nikalna hai nikal laaya huun ek pinjre se ik parinda ab is parinde ke dil se pinjra nikalna hai ye tiis barson se kuchh baras pichhe chal rahi hai mujhe ghadi ka kharab purza nikalna hai khayal hai khandan ko ittilaa de duun jo kat gaya us shajar ka shajara nikalna hai main ek kirdar se bada tang huun qalamkar mujhe kahani men daal ghhussa nikalna hai bade tahammul se rafta rafta nikalna hai bacha hai jo tujh mein mera hissa nikalna hai ye ruh barson se dafn hai tum madad karoge badan ke malbe se is ko zinda nikalna hai nazar mein rakhna kahin koi gham-shanas gahak mujhe sukhan bechna hai kharcha nikalna hai nikal laya hun ek pinjre se ek parinda ab is parinde ke dil se pinjra nikalna hai ye tis barson se kuchh baras pichhe chal rahi hai mujhe ghadi ka kharab purza nikalna hai khayal hai khandan ko ittilaa de dun jo kat gaya us shajar ka shajara nikalna hai main ek kirdar se bada tang hun qalamkar mujhe kahani mein dal ghussa nikalna hai
apne hone ka kuchh ehsas na hone se hua khud se milna mera ek shakhs ke khone se hua
hai fasilen utha raha mujh mein
hai fasilen utha raha mujh men jaane ye kaun aa raha mujh men 'jaun' mujh ko jila-vatan kar ke vo mire bin bhala raha mujh men mujh se us ko rahi talash-e-umid so bahut din chhupa raha mujh men tha qayamat sukut ka ashob hashr sa ik bapa raha mujh men pas-e-parda koi na tha phir bhi ek parda khincha raha mujh men mujh men aa ke gira tha ik zakhmi jaane kab tak pada raha mujh men itna khali tha andarun mera kuchh dinon to khuda raha mujh men hai fasilen utha raha mujh mein jaane ye kaun aa raha mujh mein 'jaun' mujh ko jila-watan kar ke wo mere bin bhala raha mujh mein mujh se us ko rahi talash-e-umid so bahut din chhupa raha mujh mein tha qayamat sukut ka aashob hashr sa ek bapa raha mujh mein pas-e-parda koi na tha phir bhi ek parda khincha raha mujh mein mujh mein aa ke gira tha ek zakhmi jaane kab tak pada raha mujh mein itna khali tha andarun mera kuchh dinon to khuda raha mujh mein
kabhi ai haqiqat-e-muntazar nazar aa libas-e-majaz mein ki hazaron sajde tadap rahe hain meri jabin-e-niyaz mein the poet addresses the ultimate truth (god) as something long-awaited, asking it to become perceptible through ordinary, earthly forms. “garment of metaphor” suggests the seen world as a veil through which the unseen may be recognized. the “thousands of sajdahs” are intense inner urges to worship, restless for a direct encounter. emotionally, it is a prayer of yearning: devotion so overflowing that it begs for a sign.
ab ikhtiyar mein maujen na ye rawani hai
ab ikhtiyar men maujen na ye ravani hai main bah raha huun ki mera vajud paani hai main aur meri tarah tu bhi ik haqiqat hai phir is ke baad jo bachta hai vo kahani hai tire vajud men kuchh hai jo is zamin ka nahin tire khayal ki rangat bhi asmani hai zara bhi dakhl nahin is men in havaon ka hamen to maslahatan apni khaak udani hai ye khvab-gah ye ankhen ye mera ishq-e-qadim har ek chiiz miri zaat men purani hai vo ek din jo tujhe sochne men guzra tha tamam umr usi din ki tarjumani hai navah-e-jan men bhatakti hain khushbuen jis ki vo ek phuul ki lagta hai rat-rani hai iradatan to kahin kuchh nahin hua lekin main ji raha huun ye sanson ki khush-gumani hai ab ikhtiyar mein maujen na ye rawani hai main bah raha hun ki mera wajud pani hai main aur meri tarah tu bhi ek haqiqat hai phir is ke baad jo bachta hai wo kahani hai tere wajud mein kuchh hai jo is zamin ka nahin tere khayal ki rangat bhi aasmani hai zara bhi dakhl nahin is mein in hawaon ka hamein to maslahatan apni khak udani hai ye khwab-gah ye aankhen ye mera ishq-e-qadim har ek chiz meri zat mein purani hai wo ek din jo tujhe sochne mein guzra tha tamam umr usi din ki tarjumani hai nawah-e-jaan mein bhatakti hain khushbuen jis ki wo ek phul ki lagta hai raat-rani hai iradatan to kahin kuchh nahin hua lekin main ji raha hun ye sanson ki khush-gumani hai
aisi tarikiyan aankhon mein basi hain ki 'faraaz' raat to raat hai hum din ko jalate hain charagh
tu apni aawaz mein gum hai main apni aawaz mein chup
tu apni avaz men gum hai main apni avaz men chup donon biich khadi hai duniya aina-e-alfaz men chup avval avval bol rahe the khvab-bhari hairani men phir ham donon chale gae patal se gahre raaz men chup khvab-sara-e-zat men zinda ek to surat aisi hai jaise koi devi baithi ho hujra-e-raz-o-niyaz men chup ab koi chhu ke kyuun nahin aata udhar sire ka jivan-ang jante hain par kya batlaen lag gai kyuun parvaz men chup phir ye khel-tamasha saara kis ke liye aur kyuun sahab jab is ke anjam men chup hai jab is ke aghhaz men chup nind-bhari ankhon se chuma diye ne suraj ko aur phir jaise shaam ko ab nahin jalna khinch li is andaz men chup ghhaib-samay ke gyaan men pagal kitni taan lagaega jitne sur hain saaz se bahar us se ziyada saaz men chup tu apni aawaz mein gum hai main apni aawaz mein chup donon bich khadi hai duniya aaina-e-alfaz mein chup awwal awwal bol rahe the khwab-bhari hairani mein phir hum donon chale gae patal se gahre raaz mein chup khwab-sara-e-zat mein zinda ek to surat aisi hai jaise koi dewi baithi ho hujra-e-raaz-o-niyaz mein chup ab koi chhu ke kyun nahin aata udhar sire ka jiwan-ang jaante hain par kya batlaen lag gai kyun parwaz mein chup phir ye khel-tamasha sara kis ke liye aur kyun sahab jab is ke anjam mein chup hai jab is ke aaghaz mein chup nind-bhari aankhon se chuma diye ne suraj ko aur phir jaise sham ko ab nahin jalna khinch li is andaz mein chup ghaib-samay ke gyan mein pagal kitni tan lagaega jitne sur hain saz se bahar us se ziyaada saz mein chup
na ibtida ki khabar hai na intiha malum raha ye wahm ki hum hain so wo bhi kya malum translation neither the beginning, nor the end do i know, as for this illusion that i am, but do i really know. sagar akbarabadi
din ek ke baad ek guzarte hue bhi dekh
din ik ke baa'd ek guzarte hue bhi dekh ik din tu apne aap ko marte hue bhi dekh har vaqt khilte phuul ki janib taka na kar murjha ke pattiyon ko bikharte hue bhi dekh haan dekh barf girti hui baal baal par tapte hue khayal thithurte hue bhi dekh apnon men rah ke kis liye sahma hua hai tu aa mujh ko dushmanon se na darte hue bhi dekh paivand badalon ke lage dekh ja-ba-ja baglon ko asman katarte hue bhi dekh hairan mat ho tairti machhli ko dekh kar paani men raushni ko utarte hue bhi dekh us ko khabar nahin hai abhi apne husn ki aina de ke bante-e-sanvarte hue bhi dekh dekha na hoga tu ne magar intizar men chalte hue samay ko thaharte hue bhi dekh tarif sun ke dost se 'alvi' tu khush na ho us ko tiri buraiyan karte hue bhi dekh din ek ke ba'd ek guzarte hue bhi dekh ek din tu apne aap ko marte hue bhi dekh har waqt khilte phul ki jaanib taka na kar murjha ke pattiyon ko bikharte hue bhi dekh han dekh barf girti hui baal baal par tapte hue khayal thithurte hue bhi dekh apnon mein rah ke kis liye sahma hua hai tu aa mujh ko dushmanon se na darte hue bhi dekh paiwand baadalon ke lage dekh ja-ba-ja baglon ko aasman katarte hue bhi dekh hairan mat ho tairti machhli ko dekh kar pani mein raushni ko utarte hue bhi dekh us ko khabar nahin hai abhi apne husn ki aaina de ke bante-e-sanwarte hue bhi dekh dekha na hoga tu ne magar intizar mein chalte hue samay ko thaharte hue bhi dekh tarif sun ke dost se 'alwi' tu khush na ho us ko teri buraiyan karte hue bhi dekh
dhoka hai ek fareb hai manzil ka har khayal sach puchhiye to sara safar wapsi ka hai
zamin chhod kar main kidhar jaunga
zamin chhod kar main kidhar jaunga andheron ke andar utar jaunga miri pattiyan saari sukhi huiin nae mausamon men bikhar jaunga agar aa gaya aaina samne to apne hi chehre se dar jaunga vo ik aankh jo meri apni bhi hai na aai nazar to kidhar jaunga vo ik shakhs avaz dega agar main khali sadak par thahar jaunga palat kar na paaya kisi ko agar to apni hi aahat se dar jaunga tiri zaat men saans li hai sada tujhe chhod kar main kidhar jaunga zamin chhod kar main kidhar jaunga andheron ke andar utar jaunga meri pattiyan sari sukhi huin nae mausamon mein bikhar jaunga agar aa gaya aaina samne to apne hi chehre se dar jaunga wo ek aankh jo meri apni bhi hai na aai nazar to kidhar jaunga wo ek shakhs aawaz dega agar main khali sadak par thahar jaunga palat kar na paya kisi ko agar to apni hi aahat se dar jaunga teri zat mein sans li hai sada tujhe chhod kar main kidhar jaunga
jaane kitne log shamil the meri takhliq mein main to bas alfaz mein tha shaeri mein kaun tha
mitti tha main khamir tere naz se utha
mitti tha main khamir tire naaz se utha phir haft-asman miri parvaz se utha insan ho kisi bhi sadi ka kahin ka ho ye jab utha zamir ki avaz se utha subh-e-chaman men ek yahi aftab tha is aadmi ki laash ko eazaz se utha sau kartabon se likhkha gaya ek ek lafz lekin ye jab utha kisi eajaz se utha ai shahsavar-e-husn ye dil hai ye mera dil ye teri sar-zamin hai qadam naaz se utha main puchh luun ki kya hai mira jabr o ikhtiyar ya-rab ye masala kabhi aghhaz se utha vo abr shabnami tha ki nahla gaya vajud main khvab dekhta hua alfaz se utha shaer ki aankh ka vo sitara hua 'alim' qamat men jo qayamati andaz se utha mitti tha main khamir tere naz se utha phir haft-asman meri parwaz se utha insan ho kisi bhi sadi ka kahin ka ho ye jab utha zamir ki aawaz se utha subh-e-chaman mein ek yahi aaftab tha is aadmi ki lash ko eazaz se utha sau kartabon se likhkha gaya ek ek lafz lekin ye jab utha kisi eajaz se utha ai shahsawar-e-husn ye dil hai ye mera dil ye teri sar-zamin hai qadam naz se utha main puchh lun ki kya hai mera jabr o ikhtiyar ya-rab ye masala kabhi aaghaz se utha wo abr shabnami tha ki nahla gaya wajud main khwab dekhta hua alfaz se utha shaer ki aankh ka wo sitara hua 'alim' qamat mein jo qayamati andaz se utha
buton ko pujne walon ko kyun ilzam dete ho daro us se ki jis ne un ko is qabil banaya hai
zara socho to mere sath aisa kyun hua hai
zara socho to mere saath aisa kyuun hua hai badan tuuta hua tha paara paara kyuun hua hai khud apni mauj se begana dariya kyuun hua hai jo hona hi nahin tha aaj aisa kyuun hua hai suron par asman duuba hua hai badalon men dukhon ki jhiil ka paani bhi gahra kyuun hua hai khudaya ajizi se main ne manga kya mila kya asar meri duaon ka ye ulta kyuun hua hai ye kaisi raushni hai aur kin rahon se aai hai yakayak meri ankhon men andhera kyuun hua hai vahan ki ab-ju men tel bahta hai barabar yahan vaadi men apni khushk dariya kyuun hua hai kahan jaenge tujh ko chhod kar ai maan bata de tiri aghhosh men dushvar jiina kyuun hua hai ye kis ne kar diya do lakht mujh ko aaj 'hamdam' kahan huun main mira saaya akela kyuun hua hai zara socho to mere sath aisa kyun hua hai badan tuta hua tha para para kyun hua hai khud apni mauj se begana dariya kyun hua hai jo hona hi nahin tha aaj aisa kyun hua hai suron par aasman duba hua hai baadalon mein dukhon ki jhil ka pani bhi gahra kyun hua hai khudaya aajizi se main ne manga kya mila kya asar meri duaon ka ye ulta kyun hua hai ye kaisi raushni hai aur kin rahon se aai hai yakayak meri aankhon mein andhera kyun hua hai wahan ki aab-ju mein tel bahta hai barabar yahan wadi mein apni khushk dariya kyun hua hai kahan jaenge tujh ko chhod kar ai man bata de teri aaghosh mein dushwar jina kyun hua hai ye kis ne kar diya do lakht mujh ko aaj 'hamdam' kahan hun main mera saya akela kyun hua hai
lamhon ke azab sah raha hun main apne wajud ki saza hun
ajab ek parda hael hai jo sarkaya nahin jata
'ajab ik parda haael hai jo sarkaya nahin jaata bahut sidhi si baton ko bhi samjhaya nahin jaata kabhi ye naaz tha khud par ki mir-e-karvan ham hain lute phir qafile aise ki itraya nahin jaata bahut va'de hue ham se mudava lazmi hoga magar hai vaqt aisa qarz lautaya nahin jaata baharen jab nahin apni to phir kya aarzu rakhna ye gulshan mange ki khushbu se mahkaya nahin jaata na-jane kyuun sabhi rishte hue jaate hain ab laghhar ki duuri do qadam ki ho magar aaya nahin jaata kisi se mashvara kaisa kisi se puchhna kya ab mohabbat hai hunar aisa jo batlaya nahin jaata mire sayyad se keh do nahin ab lautna mumkin samundar men gire qatre ko phir paaya nahin jaata ab aage dhundte ho kya mujhe tum is kahani men main huun kirdar jo anjam tak laaya nahin jaata kahenge kya mujhe apne kahega ye zamana kya ho 'abrak' sach agar likhna to ghabraya nahin jaata 'ajab ek parda hael hai jo sarkaya nahin jata bahut sidhi si baaton ko bhi samjhaya nahin jata kabhi ye naz tha khud par ki mir-e-karwan hum hain lute phir qafile aise ki itraya nahin jata bahut wa'de hue hum se mudawa lazmi hoga magar hai waqt aisa qarz lautaya nahin jata bahaaren jab nahin apni to phir kya aarzu rakhna ye gulshan mange ki khushbu se mahkaya nahin jata na-jaane kyun sabhi rishte hue jate hain ab laghar ki duri do qadam ki ho magar aaya nahin jata kisi se mashwara kaisa kisi se puchhna kya ab mohabbat hai hunar aisa jo batlaya nahin jata mere sayyaad se keh do nahin ab lautna mumkin samundar mein gire qatre ko phir paya nahin jata ab aage dhundte ho kya mujhe tum is kahani mein main hun kirdar jo anjam tak laya nahin jata kahenge kya mujhe apne kahega ye zamana kya ho 'abrak' sach agar likhna to ghabraya nahin jata
mere fusun ne dikhai hai tere rukh ki sahar mere junun ne banai hai tere zulf ki sham
rup ki dhup kahan jati hai malum nahin sham kis tarah utar aati hai rukhsaron par
muddat ke ba'd aaj main office nahin gaya khud apne sath baith ke din bhar sharab pi
main bhi yahan hun is ki shahadat mein kis ko laun mushkil ye hai ki aap hun apni nazir main
gar josh pe tuk aaya dariyaw tabiat ka hum tum ko dikha denge phailaw tabiat ka
mujhe to lagta hai jaise ye kaenat tamam hai bazgasht yaqinan sada kisi ki nahin
You have reached the end.
Explore Similar Collections
Philosophical FAQs
Philosophical collection me kya milega?
Philosophical se related curated sher, selected ghazal excerpts aur context-friendly reading flow milega.
Kya is page ki links internal hain?
Haan, collection links, writer links aur detail links sab Kuch Alfaaz ke internal routes par map kiye gaye hain.
Collection ko kaise explore karein?
Type filter (Sher/Ghazal/Nazm), featured picks aur similar collections rail use karke fast discovery kar sakte hain.