ye sard raat ye aawargi ye nind ka bojh hum apne shahr mein hote to ghar gae hote यह शे’र उर्दू के मशहूर अशआर में से एक है। इसमें जो स्थिति पाई जाती है उसे अत्यंत एकांत अवस्था की कल्पना की जा सकती है। इसके विधानों में शिद्दत भी है और एहसास भी। “सर्द रात”, “आवारगी” और “नींद का बोझ” ये ऐसी तीन अवस्थाएं हैं जिनसे तन्हाई की तस्वीर बनती है और जब ये कहा कि “हम अपने शहर में होते तो घर गए होते” तो जैसे तन्हाई के साथ साथ बेघर होने की त्रासदी को भी चित्रित किया गया है। शे’र का मुख्य विषय तन्हाई और बेघर होना और अजनबीयत है। शायर किसी और शहर में है और सर्द रात में आँखों पर नींद का बोझ लिये आवारा घूम रहा है। स्पष्ट है कि वो शहर में अजनबी है इसलिए किसी के घर नहीं जा सकता वरना सर्द रात, आवारगी और नींद का बोझ वो मजबूरियाँ हैं जो किसी ठिकाने की मांग करती हैं। मगर शायर की त्रासदी यह है कि वो तन्हाई के शहर में किसी को जानता नहीं इसीलिए कहता है कि अगर मैं अपने शहर में होता तो अपने घर चला गया होता। shafaq sopori
Poetry Collection
Sardi
Winter is a season rather special to lovers. It also helps us enjoy the rays of the sun as well as the blazing embers in the fireplace. In such a season, the lovers in separation crave for each other. Urdu poets have represented this season both in physical and metaphorical terms. You may like to read the verses here and enjoy the various states of winter and how it impacts us.
Total
33
Sher
33
Ghazal
0
Nazm
0
Featured Picks
Is collection se writer-diverse top picks for quick reading.
ye sard raat ye aawargi ye nind ka bojh hum apne shahr mein hote to ghar gae hote यह शे’र उर्दू के मशहूर अशआर में से एक है। इसमें जो स्थिति पाई जाती है उसे अत्यंत एकांत अवस्था की कल्पना की जा सकती है। इसके विधानों में शिद्दत भी है और एहसास भी। “सर्द रात”, “आवारगी” और “नींद का बोझ” ये ऐसी तीन अवस्थाएं हैं जिनसे तन्हाई की तस्वीर बनती है और जब ये कहा कि “हम अपने शहर में होते तो घर गए होते” तो जैसे तन्हाई के साथ साथ बेघर होने की त्रासदी को भी चित्रित किया गया है। शे’र का मुख्य विषय तन्हाई और बेघर होना और अजनबीयत है। शायर किसी और शहर में है और सर्द रात में आँखों पर नींद का बोझ लिये आवारा घूम रहा है। स्पष्ट है कि वो शहर में अजनबी है इसलिए किसी के घर नहीं जा सकता वरना सर्द रात, आवारगी और नींद का बोझ वो मजबूरियाँ हैं जो किसी ठिकाने की मांग करती हैं। मगर शायर की त्रासदी यह है कि वो तन्हाई के शहर में किसी को जानता नहीं इसीलिए कहता है कि अगर मैं अपने शहर में होता तो अपने घर चला गया होता। shafaq sopori
kuchh to hawa bhi sard thi kuchh tha tera khayal bhi dil ko khushi ke sath sath hota raha malal bhi
december ki sardi hai us ke hi jaisi zara sa jo chhu le badan kanpta hai
ab udas phirte ho sardiyon ki shamon mein is tarah to hota hai is tarah ke kaamon mein
yaadon ki shaal odh ke aawara-gardiyan kati hain hum ne yun bhi december ki sardiyan
garmi lagi to khud se alag ho ke so gae sardi lagi to khud ko dobara pahan liya
sardi mein din sard mila har mausam bedard mila
wo gale se lipat ke sote hain aaj-kal garmiyan hain jadon mein
jab chali thandi hawa bachcha thithur kar rah gaya man ne apne lal ki takhti jala di raat ko
tum to sardi ki hasin dhup ka chehra ho jise dekhte rahte hain diwar se jate hue hum
baithe baithe phenk diya hai aatish-dan mein kya kya kuchh mausam itna sard nahin tha jitni aag jala li hai
mere suraj aa! mere jism pe apna saya kar badi tez hawa hai sardi aaj ghazab ki hai
raat bechain si sardi mein thithurti hai bahut din bhi har roz sulagta hai teri yaadon se
wo sardiyon ki dhup ki tarah ghurub ho gaya lipat rahi hai yaad jism se lihaf ki tarah
sardi aur garmi ke uzr nahin chalte mausam dekh ke sahab ishq nahin hota
'alwi' ye moajiza hai december ki dhup ka sare makan shahr ke dhoe hue se hain
ab ki sardi mein kahan hai wo alaw sina ab ki sardi mein mujhe khud ko jalana hoga
thodi sardi zara sa nazla hai shaeri ka mizaj patla hai
suraj lihaf odh ke soya tamam raat sardi se ek parinda dariche mein mar gaya
sakht sardi mein thithurti hai bahut ruh meri jism-e-yar aa ki bechaari ko sahaara mil jae
ek barf si jami rahe diwar-o-baam par ek aag mere kamre ke andar lagi rahe
tez dhup mein aai aisi lahar sardi ki mom ka har ek putla bach gaya pighalne se
itni sardi hai ki main banhon ki hararat mangun rut ye mauzun hai kahan ghar se nikalne ke liye
katraate hain bal khate hain ghabraate hain kyun log sardi hai to pani mein utar kyun nahin jate
sard jhonkon se bhadakte hain badan mein shoale jaan le legi ye barsat qarib aa jao
sardi hai ki is jism se phir bhi nahin jati suraj hai ki muddat se mere sar par khada hai
wo aag bujhi to hamein mausam ne jhinjhoda warna yahi lagta tha ki sardi nahin aai
aisi sardi mein shart chadar hai odhne ki ho ya bichhaune ki
sard raaton ka taqaza tha badan jal jae phir wo ek aag jo sine se lagai main ne
'zarif' ab faeda kya shairon ko sardi khane se ghazal hum padh chuke ghar jaen kyun be-kar baithe hain
Explore Similar Collections
Sardi FAQs
Sardi collection me kya milega?
Sardi se related curated sher, selected ghazal excerpts aur context-friendly reading flow milega.
Kya is page ki links internal hain?
Haan, collection links, writer links aur detail links sab Kuch Alfaaz ke internal routes par map kiye gaye hain.
Collection ko kaise explore karein?
Type filter (Sher/Ghazal/Nazm), featured picks aur similar collections rail use karke fast discovery kar sakte hain.