wo jo hum mein tum mein qarar tha tumhein yaad ho ki na yaad ho
vo jo ham men tum men qarar tha tumhen yaad ho ki na yaad ho
vahi yaani vaada nibah ka tumhen yaad ho ki na yaad ho
the love that 'tween us used to be, you may, may not recall
those promises of constancy, you may, may not recall
vo jo lutf mujh pe the beshtar vo karam ki tha mire haal par
mujhe sab hai yaad zara zara tumhen yaad ho ki na yaad ho
those favours that you did bestow, the kindness that you once did show
i can recall them all somehow, you may, may not recall
vo nae gile vo shikayaten vo maze maze ki hikayaten
vo har ek baat pe ruthna tumhen yaad ho ki na yaad ho
new complaints each every night, stories so full of delight
at every word your feigning slight, you may, may not recall
kabhi baithe sab men jo ru-ba-ru to isharaton hi se guftugu
vo bayan shauq ka barmala tumhen yaad ho ki na yaad ho
sitting in midst of company, talking in gestures openly
that expression of love publicly, you may, may not recall
hue ittifaq se gar baham to vafa jatane ko dam-ba-dam
gila-e-malamat-e-aqriba tumhen yaad ho ki na yaad ho
if face to face we chanced to be, to constantly prove loyalty
those plaints of folks' rebukes to me, you may, may not recall
koi baat aisi agar hui ki tumhare ji ko buri lagi
to bayan se pahle hi bhulna tumhen yaad ho ki na yaad ho
a word of mine if were to be, which hurt you to any degree
forgetting it most instantly, you may, may not recall
kabhi ham men tum men bhi chaah thi kabhi ham se tum se bhi raah thi
kabhi ham bhi tum bhi the ashna tumhen yaad ho ki na yaad ho
friendship twixt us once used to be, a path there was from you to me
once "i" and "you" were not, but we, you may, may not recall
suno zikr hai kai saal ka ki kiya ik aap ne vaada tha
so nibahane ka to zikr kya tumhen yaad ho ki na yaad ho
long past though it appears to be,there was something you promised me
to fulfil each vow truthfully, you may, may not recall
kaha main ne baat vo kothe ki mire dil se saaf utar gai
to kaha ki jaane miri bala tumhen yaad ho ki na yaad ho
---
---
vo bigadna vasl ki raat ka vo na manna kisi baat ka
vo nahin nahin ki har aan ada tumhen yaad ho ki na yaad ho
you getting angry when we met, at everything getting upset
your nay saying i can't forget, you may, may not recall
jise aap ginte the ashna jise aap kahte the ba-vafa
main vahi huun 'momin'-e-mubtala tumhen yaad ho ki na yaad ho
the one you once held close to you, the one whom once you deemed as true
i am that distressed momin, blue, you may, may not recall
wo jo hum mein tum mein qarar tha tumhein yaad ho ki na yaad ho
wahi yani wada nibah ka tumhein yaad ho ki na yaad ho
the love that 'tween us used to be, you may, may not recall
those promises of constancy, you may, may not recall
wo jo lutf mujh pe the beshtar wo karam ki tha mere haal par
mujhe sab hai yaad zara zara tumhein yaad ho ki na yaad ho
those favours that you did bestow, the kindness that you once did show
i can recall them all somehow, you may, may not recall
wo nae gile wo shikayaten wo maze maze ki hikayaten
wo har ek baat pe ruthna tumhein yaad ho ki na yaad ho
new complaints each every night, stories so full of delight
at every word your feigning slight, you may, may not recall
kabhi baithe sab mein jo ru-ba-ru to ishaaraton hi se guftugu
wo bayan shauq ka barmala tumhein yaad ho ki na yaad ho
sitting in midst of company, talking in gestures openly
that expression of love publicly, you may, may not recall
hue ittifaq se gar baham to wafa jatane ko dam-ba-dam
gila-e-malamat-e-aqriba tumhein yaad ho ki na yaad ho
if face to face we chanced to be, to constantly prove loyalty
those plaints of folks' rebukes to me, you may, may not recall
koi baat aisi agar hui ki tumhaare ji ko buri lagi
to bayan se pahle hi bhulna tumhein yaad ho ki na yaad ho
a word of mine if were to be, which hurt you to any degree
forgetting it most instantly, you may, may not recall
kabhi hum mein tum mein bhi chah thi kabhi hum se tum se bhi rah thi
kabhi hum bhi tum bhi the aashna tumhein yaad ho ki na yaad ho
friendship twixt us once used to be, a path there was from you to me
once "i" and "you" were not, but we, you may, may not recall
suno zikr hai kai sal ka ki kiya ek aap ne wada tha
so nibahane ka to zikr kya tumhein yaad ho ki na yaad ho
long past though it appears to be,there was something you promised me
to fulfil each vow truthfully, you may, may not recall
kaha main ne baat wo kothe ki mere dil se saf utar gai
to kaha ki jaane meri bala tumhein yaad ho ki na yaad ho
---
---
wo bigadna wasl ki raat ka wo na manna kisi baat ka
wo nahin nahin ki har aan ada tumhein yaad ho ki na yaad ho
you getting angry when we met, at everything getting upset
your nay saying i can't forget, you may, may not recall
jise aap ginte the aashna jise aap kahte the ba-wafa
main wahi hun 'momin'-e-mubtala tumhein yaad ho ki na yaad ho
the one you once held close to you, the one whom once you deemed as true
i am that distressed momin, blue, you may, may not recall
ab ke tajdid-e-wafa ka nahin imkan jaanan
ab ke tajdid-e-vafa ka nahin imkan janan
yaad kya tujh ko dilaen tira paiman janan
yunhi mausam ki ada dekh ke yaad aaya hai
kis qadar jald badal jaate hain insan janan
zindagi teri ata thi so tire naam ki hai
ham ne jaise bhi basar ki tira ehsan janan
dil ye kahta hai ki shayad hai fasurda tu bhi
dil ki kya baat karen dil to hai nadan janan
avval avval ki mohabbat ke nashe yaad to kar
be-piye bhi tira chehra tha gulistan janan
akhir akhir to ye aalam hai ki ab hosh nahin
rag-e-mina sulag utthi ki rag-e-jan janan
muddaton se yahi aalam na tavaqqo na umiid
dil pukare hi chala jaata hai janan janan
ham bhi kya saada the ham ne bhi samajh rakkha tha
ghham-e-dauran se juda hai ghham-e-janan janan
ab ke kuchh aisi saji mahfil-e-yaran janan
sar-ba-zanu hai koi sar-ba-gareban janan
har koi apni hi avaz se kaanp uthta hai
har koi apne hi saae se hirasan janan
jis ko dekho vahi zanjir-ba-pa lagta hai
shahr ka shahr hua dakhil-e-zindan janan
ab tira zikr bhi shayad hi ghhazal men aae
aur se aur hue dard ke unvan janan
ham ki ruthi hui rut ko bhi mana lete the
ham ne dekha hi na tha mausam-e-hijran janan
hosh aaya to sabhi khvab the reza reza
jaise udte hue auraq-e-pareshan janan
ab ke tajdid-e-wafa ka nahin imkan jaanan
yaad kya tujh ko dilaen tera paiman jaanan
yunhi mausam ki ada dekh ke yaad aaya hai
kis qadar jald badal jate hain insan jaanan
zindagi teri ata thi so tere nam ki hai
hum ne jaise bhi basar ki tera ehsan jaanan
dil ye kahta hai ki shayad hai fasurda tu bhi
dil ki kya baat karen dil to hai nadan jaanan
awwal awwal ki mohabbat ke nashe yaad to kar
be-piye bhi tera chehra tha gulistan jaanan
aakhir aakhir to ye aalam hai ki ab hosh nahin
rag-e-mina sulag utthi ki rag-e-jaan jaanan
muddaton se yahi aalam na tawaqqo na umid
dil pukare hi chala jata hai jaanan jaanan
hum bhi kya sada the hum ne bhi samajh rakkha tha
gham-e-dauran se juda hai gham-e-jaanan jaanan
ab ke kuchh aisi saji mahfil-e-yaran jaanan
sar-ba-zanu hai koi sar-ba-gareban jaanan
har koi apni hi aawaz se kanp uthta hai
har koi apne hi sae se hirasan jaanan
jis ko dekho wahi zanjir-ba-pa lagta hai
shahr ka shahr hua dakhil-e-zindan jaanan
ab tera zikr bhi shayad hi ghazal mein aae
aur se aur hue dard ke unwan jaanan
hum ki ruthi hui rut ko bhi mana lete the
hum ne dekha hi na tha mausam-e-hijran jaanan
hosh aaya to sabhi khwab the reza reza
jaise udte hue auraq-e-pareshan jaanan
dost ban kar bhi nahin sath nibhane wala
dost ban kar bhi nahin saath nibhane vaala
vahi andaz hai zalim ka zamane vaala
ab use log samajhte hain giraftar mira
sakht nadim hai mujhe daam men laane vaala
subh-dam chhod gaya nikhat-e-gul ki surat
raat ko ghhuncha-e-dil men simat aane vaala
kya kahen kitne marasim the hamare us se
vo jo ik shakhs hai munh pher ke jaane vaala
tere hote hue aa jaati thi saari duniya
aaj tanha huun to koi nahin aane vaala
muntazir kis ka huun tuuti hui dahliz pe main
kaun aaega yahan kaun hai aane vaala
kya khabar thi jo miri jaan men ghula hai itna
hai vahi mujh ko sar-e-dar bhi laane vaala
main ne dekha hai baharon men chaman ko jalte
hai koi khvab ki tabir batane vaala
tum takalluf ko bhi ikhlas samajhte ho 'faraz'
dost hota nahin har haath milane vaala
dost ban kar bhi nahin sath nibhane wala
wahi andaz hai zalim ka zamane wala
ab use log samajhte hain giraftar mera
sakht nadim hai mujhe dam mein lane wala
subh-dam chhod gaya nikhat-e-gul ki surat
raat ko ghuncha-e-dil mein simat aane wala
kya kahen kitne marasim the hamare us se
wo jo ek shakhs hai munh pher ke jaane wala
tere hote hue aa jati thi sari duniya
aaj tanha hun to koi nahin aane wala
muntazir kis ka hun tuti hui dahliz pe main
kaun aaega yahan kaun hai aane wala
kya khabar thi jo meri jaan mein ghula hai itna
hai wahi mujh ko sar-e-dar bhi lane wala
main ne dekha hai bahaaron mein chaman ko jalte
hai koi khwab ki tabir batane wala
tum takalluf ko bhi ikhlas samajhte ho 'faraaz'
dost hota nahin har hath milane wala
hum ko kis ke gham ne mara ye kahani phir sahi
ham ko kis ke ghham ne maara ye kahani phir sahi
kis ne toda dil hamara ye kahani phir sahi
dil ke lutne ka sabab puchho na sab ke samne
naam aaega tumhara ye kahani phir sahi
nafraton ke tiir kha kar doston ke shahr men
ham ne kis kis ko pukara ye kahani phir sahi
kya bataen pyaar ki baazi vafa ki raah men
kaun jiita kaun haara ye kahani phir sahi
hum ko kis ke gham ne mara ye kahani phir sahi
kis ne toda dil hamara ye kahani phir sahi
dil ke lutne ka sabab puchho na sab ke samne
nam aaega tumhaara ye kahani phir sahi
nafraton ke tir kha kar doston ke shahr mein
hum ne kis kis ko pukara ye kahani phir sahi
kya bataen pyar ki bazi wafa ki rah mein
kaun jita kaun haara ye kahani phir sahi
ujde hue logon se gurezan na hua kar
ujde hue logon se gurezan na hua kar
halat ki qabron ke ye katbe bhi padha kar
kya janiye kyuun tez hava soch men gum hai
khvabida parindon ko darakhton se uda kar
us shakhs ke tum se bhi marasim hain to honge
vo jhuut na bolega mire samne aa kar
har vaqt ka hansna tujhe barbad na kar de
tanhai ke lamhon men kabhi ro bhi liya kar
vo aaj bhi sadiyon ki masafat pe khada hai
dhunda tha jise vaqt ki divar gira kar
ai dil tujhe dushman ki bhi pahchan kahan hai
tu halqa-e-yaran men bhi mohtat raha kar
is shab ke muqaddar men sahar hi nahin 'mohsin'
dekha hai kai baar charaghhon ko bujha kar
ujde hue logon se gurezan na hua kar
haalat ki qabron ke ye katbe bhi padha kar
kya jaaniye kyun tez hawa soch mein gum hai
khwabida parindon ko darakhton se uda kar
us shakhs ke tum se bhi marasim hain to honge
wo jhut na bolega mere samne aa kar
har waqt ka hansna tujhe barbaad na kar de
tanhai ke lamhon mein kabhi ro bhi liya kar
wo aaj bhi sadiyon ki masafat pe khada hai
dhunda tha jise waqt ki diwar gira kar
ai dil tujhe dushman ki bhi pahchan kahan hai
tu halqa-e-yaran mein bhi mohtat raha kar
is shab ke muqaddar mein sahar hi nahin 'mohsin'
dekha hai kai bar charaghon ko bujha kar
tujhse mil kar to ye lagta hai ki ai ajnabi dost
tujh se mil kar to ye lagta hai ki ai ajnabi dost
tu miri pahli mohabbat thi miri akhiri dost
log har baat ka afsana bana dete hain
ye to duniya hai miri jaan kai dushman kai dost
tere qamat se bhi lipti hai amar-bel koi
meri chahat ko bhi duniya ki nazar kha gai dost
yaad aai hai to phir tuut ke yaad aai hai
koi guzri hui manzil koi bhuli hui dost
ab bhi aae ho to ehsan tumhara lekin
vo qayamat jo guzarni thi guzar bhi gai dost
tere lahje ki thakan men tira dil shamil hai
aisa lagta hai judai ki ghadi aa gai dost
barish-e-sang ka mausam hai mire shahr men to
tu ye shishe sa badan le ke kahan aa gai dost
main use ahd-shikan kaise samajh luun jis ne
akhiri khat men ye likkha tha faqat aap ki dost
tujh se mil kar to ye lagta hai ki ai ajnabi dost
tu meri pahli mohabbat thi meri aakhiri dost
log har baat ka afsana bana dete hain
ye to duniya hai meri jaan kai dushman kai dost
tere qamat se bhi lipti hai amar-bel koi
meri chahat ko bhi duniya ki nazar kha gai dost
yaad aai hai to phir tut ke yaad aai hai
koi guzri hui manzil koi bhuli hui dost
ab bhi aae ho to ehsan tumhaara lekin
wo qayamat jo guzarni thi guzar bhi gai dost
tere lahje ki thakan mein tera dil shamil hai
aisa lagta hai judai ki ghadi aa gai dost
barish-e-sang ka mausam hai mere shahr mein to
tu ye shishe sa badan le ke kahan aa gai dost
main use ahd-shikan kaise samajh lun jis ne
aakhiri khat mein ye likkha tha faqat aap ki dost
tumhaari anjuman se uth ke diwane kahan jate
tumhari anjuman se uth ke divane kahan jaate
jo vabasta hue tum se vo afsane kahan jaate
departing from your company, where could your lovers go?
what would happen to those legends that around you grow?
nikal kar dair-o-kaaba se agar milta na mai-khana
to thukrae hue insan khuda jaane kahan jaate
if on leaving temple,mosque no tavern were be found
what refuge would outcasts find? this only god would know
tumhari be-rukhi ne laaj rakh li bada-khane ki
tum ankhon se pila dete to paimane kahan jaate
your indifference has managed to preserve the tavern's name
had we feasted from your eyes, what then would wine bestow?
chalo achchha hua kaam aa gai divangi apni
vagarna ham zamane bhar ko samjhane kahan jaate
twas a good thing that my madness was to some avail
else, for my state, what other reason could the world i show?
'qatil' apna muqaddar ghham se begana agar hota
to phir apne parae ham se pahchane kahan jaate
had pain and misery been strangers to my life somehow
how would then i know the difference between friend and foe
tumhaari anjuman se uth ke diwane kahan jate
jo wabasta hue tum se wo afsane kahan jate
departing from your company, where could your lovers go?
what would happen to those legends that around you grow?
nikal kar dair-o-kaba se agar milta na mai-khana
to thukrae hue insan khuda jaane kahan jate
if on leaving temple,mosque no tavern were be found
what refuge would outcasts find? this only god would know
tumhaari be-rukhi ne laj rakh li baada-khane ki
tum aankhon se pila dete to paimane kahan jate
your indifference has managed to preserve the tavern's name
had we feasted from your eyes, what then would wine bestow?
chalo achchha hua kaam aa gai diwangi apni
wagarna hum zamane bhar ko samjhane kahan jate
twas a good thing that my madness was to some avail
else, for my state, what other reason could the world i show?
'qatil' apna muqaddar gham se begana agar hota
to phir apne parae hum se pahchane kahan jate
had pain and misery been strangers to my life somehow
how would then i know the difference between friend and foe
agarche main ek chatan sa aadmi raha hun
agarche main ik chatan sa aadmi raha huun
magar tire baad hausla hai ki ji raha huun
vo reza reza mire badan men utar raha hai
main qatra qatra usi ki ankhon ko pi raha huun
tiri hatheli pe kis ne likkha hai qatl mera
mujhe to lagta hai main tira dost bhi raha huun
khuli hain ankhen magar badan hai tamam patthar
koi batae main mar chuka huun ki ji raha huun
kahan milegi misal meri sitamgari ki
ki main gulabon ke zakhm kanton se si raha huun
na puchh mujh se ki shahr valon ka haal kya tha
ki main to khud apne ghar men bhi do ghadi raha huun
mila to biite dinon ka sach us ki aankh men tha
vo ashna jis se muddaton ajnabi raha huun
bhula de mujh ko ki bevafai baja hai lekin
ganva na mujh ko ki main tiri zindagi raha huun
vo ajnabi ban ke ab mile bhi to kya hai 'mohsin'
ye naaz kam hai ki main bhi us ka kabhi raha huun
agarche main ek chatan sa aadmi raha hun
magar tere baad hausla hai ki ji raha hun
wo reza reza mere badan mein utar raha hai
main qatra qatra usi ki aankhon ko pi raha hun
teri hatheli pe kis ne likkha hai qatl mera
mujhe to lagta hai main tera dost bhi raha hun
khuli hain aankhen magar badan hai tamam patthar
koi batae main mar chuka hun ki ji raha hun
kahan milegi misal meri sitamgari ki
ki main gulabon ke zakhm kanton se si raha hun
na puchh mujh se ki shahr walon ka haal kya tha
ki main to khud apne ghar mein bhi do ghadi raha hun
mila to bite dinon ka sach us ki aankh mein tha
wo aashna jis se muddaton ajnabi raha hun
bhula de mujh ko ki bewafai baja hai lekin
ganwa na mujh ko ki main teri zindagi raha hun
wo ajnabi ban ke ab mile bhi to kya hai 'mohsin'
ye naz kam hai ki main bhi us ka kabhi raha hun
wo siwa yaad aae bhulane ke baad
vo siva yaad aae bhulane ke baad
zindagi badh gai zahr khane ke baad
dil sulagta raha ashiyane ke baad
aag thandi hui ik zamane ke baad
raushni ke liye dil jalana pada
aisi zulmat badhi tere jaane ke baad
jab na kuchh ban pada arz-e-ghham ka javab
vo khafa ho gae muskurane ke baad
dushmanon se pasheman hona pada
doston ka khulus azmane ke baad
ranj had se guzar ke khushi ban gaya
ho gae paar ham duub jaane ke baad
bakhsh de ya rab ahl-e-havas ko bahisht
mujh ko kya chahiye tujh ko paane ke baad
kaise kaise gile yaad aae 'khumar'
un ke aane se qabl un ke jaane ke baad
wo siwa yaad aae bhulane ke baad
zindagi badh gai zahr khane ke baad
dil sulagta raha aashiyane ke baad
aag thandi hui ek zamane ke baad
raushni ke liye dil jalana pada
aisi zulmat badhi tere jaane ke baad
jab na kuchh ban pada arz-e-gham ka jawab
wo khafa ho gae muskurane ke baad
dushmanon se pasheman hona pada
doston ka khulus aazmane ke baad
ranj had se guzar ke khushi ban gaya
ho gae par hum dub jaane ke baad
bakhsh de ya rab ahl-e-hawas ko bahisht
mujh ko kya chahiye tujh ko pane ke baad
kaise kaise gile yaad aae 'khumar'
un ke aane se qabl un ke jaane ke baad
baat jab doston ki aati hai
baat jab doston ki aati hai
dosti kaanp kaanp jaati hai
mujh se ai dost phir khafa ho ja
ishq ko niind aai jaati hai
ab qayamat se kya dare koi
ab qayamat to roz aati hai
bhagta huun main zindagi se 'khumar'
aur ye nagin dase hi jaati hai
baat jab doston ki aati hai
dosti kanp kanp jati hai
mujh se ai dost phir khafa ho ja
ishq ko nind aai jati hai
ab qayamat se kya dare koi
ab qayamat to roz aati hai
bhagta hun main zindagi se 'khumar'
aur ye nagin dase hi jati hai
kis tarah jite hain ye log bata do yaro
kis tarah jiite hain ye log bata do yaaro
ham ko bhi jiine ka andaz sikha do yaaro
pyaar lete hain kahan se ye zamane vaale
un gali-kuchon ka rasta to dikha do yaaro
dard ke naam se vaqif na jahan ho koi
aisi mahfil men hamen bhi to bitha do yaaro
saath dena ho to khud piine ki aadat daalo
varna mai-khane ke dar ham se chhuda do yaaro
kis tarah jite hain ye log bata do yaro
hum ko bhi jine ka andaz sikha do yaro
pyar lete hain kahan se ye zamane wale
un gali-kuchon ka rasta to dikha do yaro
dard ke nam se waqif na jahan ho koi
aisi mahfil mein hamein bhi to bitha do yaro
sath dena ho to khud pine ki aadat dalo
warna mai-khane ke dar hum se chhuda do yaro
yaad rakkhega mera kaun fasana mere dost
yaad rakkhega mira kaun fasana mire dost
main na majnun huun na majnun ka zamana mire dost
hijr insan ke khad-o-khal badal deta hai
kabhi fursat men mujhe dekhne aana mire dost
shaam dhalne se faqat shaam nahin dhalti hai
umr dhal jaati hai jaldi palat aana mire dost
roz kuchh log mire shahr men mar jaate hain
ain mumkin hai thahar kar chale jaana mire dost
tum agar ab bhi khandar dekh ke khush hote ho
to kisi din miri janib nikal aana mire dost
jaise mitti ko hava saath liye phirti hai
main kahan aur kahan mera thikana mire dost
yaad rakkhega mera kaun fasana mere dost
main na majnun hun na majnun ka zamana mere dost
hijr insan ke khad-o-khal badal deta hai
kabhi fursat mein mujhe dekhne aana mere dost
sham dhalne se faqat sham nahin dhalti hai
umr dhal jati hai jaldi palat aana mere dost
roz kuchh log mere shahr mein mar jate hain
ain mumkin hai thahar kar chale jaana mere dost
tum agar ab bhi khandar dekh ke khush hote ho
to kisi din meri jaanib nikal aana mere dost
jaise mitti ko hawa sath liye phirti hai
main kahan aur kahan mera thikana mere dost
teri aankhen na rahin aaina-khana mere dost
teri ankhen na rahin aina-khana mire dost
kitni tezi se badalta hai zamana mire dost
jaane kis kaam men masruf raha barson tak
yaad aaya hi nahin tujh ko bhulana mire dost
puchhna mat ki ye kya haal bana rakkha hai
aina ban ke mira dil na dukhana mire dost
is mulaqat men jo ghhair-zaruri ho jaae
yaad rahta hai kise haath milana mire dost
dekhna mujh ko magar meri pazirai ko
apni ankhon men sitare na sajana mire dost
ab vo titli hai na vo umr taaqub vaali
main na kahta tha bahut duur na jaana mare dost
hijr taqdir men likkha tha ki majburi thi
chhod is baat se kya milna milana mire dost
tu ne ehsan kiya apna bana kar mujh ko
varna main kya tha haqiqat na fasana mire dost
is kahani men kise kaun kahan chhod gaya
yaad aa jaae to mujh ko bhi batana mire dost
chhod aaya huun havaon ki nigahbani men
vo samundar vo jazira vo khazana mire dost
aise raston pe jo aapas men kahin milte hon
kyuun na us mod se ho jaaen ravana mire dost
teri aankhen na rahin aaina-khana mere dost
kitni tezi se badalta hai zamana mere dost
jaane kis kaam mein masruf raha barson tak
yaad aaya hi nahin tujh ko bhulana mere dost
puchhna mat ki ye kya haal bana rakkha hai
aaina ban ke mera dil na dukhana mere dost
is mulaqat mein jo ghair-zaruri ho jae
yaad rahta hai kise hath milana mere dost
dekhna mujh ko magar meri pazirai ko
apni aankhon mein sitare na sajaana mere dost
ab wo titli hai na wo umr taaqub wali
main na kahta tha bahut dur na jaana mare dost
hijr taqdir mein likkha tha ki majburi thi
chhod is baat se kya milna milana mere dost
tu ne ehsan kiya apna bana kar mujh ko
warna main kya tha haqiqat na fasana mere dost
is kahani mein kise kaun kahan chhod gaya
yaad aa jae to mujh ko bhi batana mere dost
chhod aaya hun hawaon ki nigahbani mein
wo samundar wo jazira wo khazana mere dost
aise raston pe jo aapas mein kahin milte hon
kyun na us mod se ho jaen rawana mere dost
rakh-rakhaw mein koi khwar nahin hota yar
rakh-rakhav men koi khvar nahin hota yaar
dost hote hain, har ik yaar nahin hota yaar
do ghadi baitho mire paas, kaho kaisi ho
do ghadi baithne se pyaar nahin hota yaar
yaar! ye hijr ka ghham! is se to maut achchhi hai
jaan se yuun hi koi bezar nahin hota yaar
ruuh sunti hai mohabbat men badan bolte hain
lafz pairaya-e-izhar nahin hota yaar
naukri, shairi, ghar-bar, zamana, qadren
ik mohabbat hi ka azar nahin hota yaar
khush-dili aur hai aur ishq ka azar kuchh aur
pyaar ho jaae to iqrar nahin hota yaar
ladkiyan lafz ki tasvir chhupa leti hain
un ka izhar bhi izhar nahin hota yaar
aadmi ishq men bhi khud se nahin ghat sakta
aadmi saya-e-divar nahin hota yar!!
gher leti hai koi zulf, koi bu-e-badan
jaan kar koi giraftar nahin hota yaar
yahi ham aap hain hasti ki kahani, is men
koi afsanvi kirdar nahin hota yaar
rakh-rakhaw mein koi khwar nahin hota yar
dost hote hain, har ek yar nahin hota yar
do ghadi baitho mere pas, kaho kaisi ho
do ghadi baithne se pyar nahin hota yar
yar! ye hijr ka gham! is se to maut achchhi hai
jaan se yun hi koi bezar nahin hota yar
ruh sunti hai mohabbat mein badan bolte hain
lafz pairaya-e-izhaar nahin hota yar
naukri, shairi, ghar-bar, zamana, qadren
ek mohabbat hi ka aazar nahin hota yar
khush-dili aur hai aur ishq ka aazar kuchh aur
pyar ho jae to iqrar nahin hota yar
ladkiyan lafz ki taswir chhupa leti hain
un ka izhaar bhi izhaar nahin hota yar
aadmi ishq mein bhi khud se nahin ghat sakta
aadmi saya-e-diwar nahin hota yar!!
gher leti hai koi zulf, koi bu-e-badan
jaan kar koi giraftar nahin hota yar
yahi hum aap hain hasti ki kahani, is mein
koi afsanwi kirdar nahin hota yar
tum koi is se tawaqqo na lagana mare dost
tum koi is se tavaqqo na lagana mare dost
ye zamana hai zamana hai zamana mire dost
samne to ho tasavvur men kahani koi
ik haqiqat se bada ek fasana mire dost
mere bete main tumhen dost samajhne laga huun
tum bade ho ke mujhe duniya dikhana mire dost
dekh sakta bhi nahin mujh ko zarurat bhi nahin
meri tasvir magar us ko dikhana mire dost
kahne vaale ne kaha dekh ke chehra mera
ghham-e-khazana hai ise sab se chhupana mire dost
teri mahfil ke liye bais-e-barkat hoga
na-muradan-e-mohabbat ko bulana mire dost
tum ko maalum to hai mujh pe jo guzri 'taimur'
puchh kar mujh se zaruri hai rulana mire dost
tum koi is se tawaqqo na lagana mare dost
ye zamana hai zamana hai zamana mere dost
samne to ho tasawwur mein kahani koi
ek haqiqat se bada ek fasana mere dost
mere bete main tumhein dost samajhne laga hun
tum bade ho ke mujhe duniya dikhana mere dost
dekh sakta bhi nahin mujh ko zarurat bhi nahin
meri taswir magar us ko dikhana mere dost
kahne wale ne kaha dekh ke chehra mera
gham-e-khazana hai ise sab se chhupana mere dost
teri mahfil ke liye bais-e-barkat hoga
na-muradan-e-mohabbat ko bulana mere dost
tum ko malum to hai mujh pe jo guzri 'taimur'
puchh kar mujh se zaruri hai rulana mere dost
kuchh khaar hi nahin mere daman ke yar hain
kuchh khaar hi nahin mire daman ke yaar hain
gardan men tauq bhi to ladakpan ke yaar hain
siina ho kushtagan-e-mohabbat ka ya gala
donon ye tere khanjar-e-ahan ke yaar hain
khatir hamari karta hai dair-o-haram men kaun
ham to na shaikh ke na barahman ke yaar hain
kya puchhta hai mujh se nishan sail-o-barq ka
donon qadim se mire khirman ke yaar hain
kya garm hain ki kahte hain khuban-e-lucknow
london ko jaaen vo jo firangan ke yaar hain
vo dushmani karen to karen ikhtiyar hai
ham to adu ke dost hain dushman ke yaar hain
kuchh is chaman men sabza-e-begana ham nahin
nargis ke dost lala-o-sausan ke yaar hain
kante hain jitne vadi-e-ghhurbat ke ai junun
sab astin ke jeb ke daman ke yaar hain
gum-gashtagi men raah batata hai ham ko kaun
hai khizr jin ka naam vo rahzan ke yaar hain
chalte hain shauq-e-barq-e-tajalli men kya hai khauf
chite tamam vadi-e-aiman ke yaar hain
piiri mujhe chhudati hai ahbab se 'amir'
dandan nahin ye mere ladakpan ke yaar hain
kuchh khar hi nahin mere daman ke yar hain
gardan mein tauq bhi to ladakpan ke yar hain
sina ho kushtagan-e-mohabbat ka ya gala
donon ye tere khanjar-e-ahan ke yar hain
khatir hamari karta hai dair-o-haram mein kaun
hum to na shaikh ke na barahman ke yar hain
kya puchhta hai mujh se nishan sail-o-barq ka
donon qadim se mere khirman ke yar hain
kya garm hain ki kahte hain khuban-e-lucknow
london ko jaen wo jo firangan ke yar hain
wo dushmani karen to karen ikhtiyar hai
hum to adu ke dost hain dushman ke yar hain
kuchh is chaman mein sabza-e-begana hum nahin
nargis ke dost lala-o-sausan ke yar hain
kante hain jitne wadi-e-ghurbat ke ai junun
sab aastin ke jeb ke daman ke yar hain
gum-gashtagi mein rah batata hai hum ko kaun
hai khizr jin ka nam wo rahzan ke yar hain
chalte hain shauq-e-barq-e-tajalli mein kya hai khauf
chite tamam wadi-e-aiman ke yar hain
piri mujhe chhudati hai ahbab se 'amir'
dandan nahin ye mere ladakpan ke yar hain
tumhaare ghar pe main aa to nahin raha mere dost
tumhare ghar pe main aa to nahin raha mire dost
ghuma phira ke batao na rasta mire dost
hava ho garm ki thandi pasina sukhta hai
vo mera dost hai achchha hai ya bura mire dost
bichhadte vaqt zarurat nahin hoi mahsus
aur ab na rabta number na rabta mire dost
main yuun to ek mohabbat ke qaelin men tha
tujhe mila to raha hi nahin gaya mire dost
hamari aankh men quvvat hai rang chakhne ki
hamari aankh batati hai zaiqa mire dost
purane giit men shamil kiye hain saaz nae
sukhan men itna to hissa raha mira mire dost
tumhaare ghar pe main aa to nahin raha mere dost
ghuma phira ke batao na rasta mere dost
hawa ho garm ki thandi pasina sukhta hai
wo mera dost hai achchha hai ya bura mere dost
bichhadte waqt zarurat nahin hoi mahsus
aur ab na rabta number na rabta mere dost
main yun to ek mohabbat ke qaelin mein tha
tujhe mila to raha hi nahin gaya mere dost
hamari aankh mein quwwat hai rang chakhne ki
hamari aankh batati hai zaiqa mere dost
purane git mein shamil kiye hain saz nae
sukhan mein itna to hissa raha mera mere dost
ye kaj-adai ye ghamza tera kabhi phir yar!
ye kaj-adai ye ghhamza tira kabhi phir yaar!
ki tera shahr naya aur main musafir yaar!
tu aur kuchh na sahi, dost to hai akhir yaar!
dukhi raha hai bahut aaj tera shair yaar!
kahan ka lams, kahan ki havas, kahan ka visal
tadap raha huun tiri hamdami ki khatir yaar!
sambhal bhi jaata tha dil tere hijr men, yaani
raha huun main bhi tiri aarzu ka munkir yaar!
pukarti hain mujhe ghantiyan tiri aise
ki jaisa tera madina ho koi mandir yaar!
ye kaj-adai ye ghamza tera kabhi phir yar!
ki tera shahr naya aur main musafir yar!
tu aur kuchh na sahi, dost to hai aakhir yar!
dukhi raha hai bahut aaj tera shair yar!
kahan ka lams, kahan ki hawas, kahan ka visal
tadap raha hun teri hamdami ki khatir yar!
sambhal bhi jata tha dil tere hijr mein, yani
raha hun main bhi teri aarzu ka munkir yar!
pukarti hain mujhe ghantiyan teri aise
ki jaisa tera madina ho koi mandir yar!
aaj dekha jo koi shakhs diwana mere dost
aaj dekha jo koi shakhs divana mire dost
yaad phir aaya mujhe mera fasana mire dost
main tire hijr men chup-chap chale jaata huun
dil ko aata hai kahan koi bahana mire dost
khud se niklun to nae shahr ka naqsha dekhun
ik zamane se huun mahrum-e-zamana mire dost
dil ki basti men faqat akhiri tum hi ho makin
ek ik kar ke hue dil se ravana mire dost
ham se ankhen na milao ki ham avara hain
aise logon ka kahan ek thikana mire dost
aaj dekha jo koi shakhs diwana mere dost
yaad phir aaya mujhe mera fasana mere dost
main tere hijr mein chup-chap chale jata hun
dil ko aata hai kahan koi bahana mere dost
khud se niklun to nae shahr ka naqsha dekhun
ek zamane se hun mahrum-e-zamana mere dost
dil ki basti mein faqat aakhiri tum hi ho makin
ek ek kar ke hue dil se rawana mere dost
hum se aankhen na milao ki hum aawara hain
aise logon ka kahan ek thikana mere dost
dariya ki taraf dekh lo ek bar mere yar
dariya ki taraf dekh lo ik baar mire yaar
ik mauj ki kahti hai mire yaar mire yaar
virani-e-gulshan pe hi maamur hai mausam
mitti se nikalte nahin ashjar mire yaar
kya khaak kisi ghhair pe dil ko ho bharosa
apne bhi hue jaate hain aghhyar mire yaar
maqtal si faza rahti hai is mulk men har-dam
dekhe hain manazir kai khun-bar mire yaar
ham khak-nashinon ki yahan kaun sunega
unche hain bahut khvab ke darbar mire yaar
dekho ye chalan thiik nahin ishq men hargiz
vaade se mukar jaate ho har baar mire yaar
do chaar hi alfaz mohabbat se bhare hon
to dasht ko kar dete hain gulzar mire yaar
'hassan' javan khuub tiri mashq-e-sukhan hai
har roz kahe jaate ho ashar mire yaar
dariya ki taraf dekh lo ek bar mere yar
ek mauj ki kahti hai mere yar mere yar
virani-e-gulshan pe hi mamur hai mausam
mitti se nikalte nahin ashjar mere yar
kya khak kisi ghair pe dil ko ho bharosa
apne bhi hue jate hain aghyar mere yar
maqtal si faza rahti hai is mulk mein har-dam
dekhe hain manazir kai khun-bar mere yar
hum khak-nashinon ki yahan kaun sunega
unche hain bahut khwab ke darbar mere yar
dekho ye chalan thik nahin ishq mein hargiz
wade se mukar jate ho har bar mere yar
do chaar hi alfaz mohabbat se bhare hon
to dasht ko kar dete hain gulzar mere yar
'hassan' jawan khub teri mashq-e-sukhan hai
har roz kahe jate ho ashaar mere yar
roz wahshat koi nai mere dost
roz vahshat koi nai mire dost
is ko kahte hain zindagi mire dost
alam ehsas agahi mire dost
saari baten hain kaghhzi mire dost
dekh izhariye badal gae hain
ye hai ikkisvin sadi mire dost
kya charaghhon ka tazkira karna
raushni ghut ke mar gai mire dost
haan kisi alamiye se kam kahan hai
miri halat tiri hansi mire dost
saath dene ki baat saare karen
aur nibhae koi koi mire dost
itni galiyan ug aaiin basti men
bhuul baitha tiri gali mire dost
lazmi hai khirad ki bedari
niind lekin kabhi kabhi mire dost
roz wahshat koi nai mere dost
is ko kahte hain zindagi mere dost
alam ehsas aagahi mere dost
sari baaten hain kaghzi mere dost
dekh izhaariye badal gae hain
ye hai ikkiswin sadi mere dost
kya charaghon ka tazkira karna
raushni ghut ke mar gai mere dost
han kisi alamiye se kam kahan hai
meri haalat teri hansi mere dost
sath dene ki baat sare karen
aur nibhae koi koi mere dost
itni galiyan ug aain basti mein
bhul baitha teri gali mere dost
lazmi hai khirad ki bedari
nind lekin kabhi kabhi mere dost
aankhon ko sujhta hi nahin kuchh siwa-e-dost
ankhon ko sujhta hi nahin kuchh siva-e-dost
kanon men aa rahi hai barabar sada-e-dost
kaisi vafa sitam se bhi us ne uthae haath
rah rah ke yaad ab aati hai tarz-e-jafa-e-dost
siine men daghh-ha-e-mohabbat ki hai bahar
phula hai khuub ye chaman dil-kusha-e-dost
dil men mire jigar men mire aankh men miri
har ja hai dost aur nahin milti hai ja-e-dost
muddat se paanv tode hue baithe the 'sharaf'
akhir uda ke le hi chali ab hava-e-dost
aankhon ko sujhta hi nahin kuchh siwa-e-dost
kanon mein aa rahi hai barabar sada-e-dost
kaisi wafa sitam se bhi us ne uthae hath
rah rah ke yaad ab aati hai tarz-e-jafa-e-dost
sine mein dagh-ha-e-mohabbat ki hai bahaar
phula hai khub ye chaman dil-kusha-e-dost
dil mein mere jigar mein mere aankh mein meri
har ja hai dost aur nahin milti hai ja-e-dost
muddat se panw tode hue baithe the 'sharaf'
aakhir uda ke le hi chali ab hawa-e-dost
aaj bhi tishna-labi tishna-labi hai ai dost
aaj bhi tishna-labi tishna-labi hai ai dost
kya na chhalkegi jo ankhon men bhari hai ai dost
jo kami pahle thi vo phir bhi kami hai ai dost
ye jo thodi si hansi zer-e-labi hai ai dost
aap ko dekh mire zauq-e-fana ko bhi dekh
ye tiri shishagari dard-sari hai ai dost
mai-e-gulfam men kuchh durd-e-tah-e-jam sahi
vo khushi kaisi khushi jis men kami hai ai dost
khaak men rang-e-gulistan ko bhala dekh sakun
miri ankhon men agar itni nami hai ai dost
tab-e-parvaz thi jin ko vo gae bhi 'masu'
ham kahan jaaen ki be-bal-o-pari hai ai dost
aaj bhi tishna-labi tishna-labi hai ai dost
kya na chhalkegi jo aankhon mein bhari hai ai dost
jo kami pahle thi wo phir bhi kami hai ai dost
ye jo thodi si hansi zer-e-labi hai ai dost
aap ko dekh mere zauq-e-fana ko bhi dekh
ye teri shishagari dard-sari hai ai dost
mai-e-gulfam mein kuchh durd-e-tah-e-jam sahi
wo khushi kaisi khushi jis mein kami hai ai dost
khak mein rang-e-gulistan ko bhala dekh sakun
meri aankhon mein agar itni nami hai ai dost
tab-e-parwaz thi jin ko wo gae bhi 'masu'
hum kahan jaen ki be-baal-o-pari hai ai dost
der tak uth na saka wan se wo diwana-e-dost
der tak uth na saka vaan se vo divana-e-dost
chhid gaya jab ki kahin baith ke afsana-e-dost
aaj uthe jaate hain darban ki jafa se lekin
zindagi bhar kahin chhutta hai dar-e-khana-e-dost
hijr men halat-e-dil ki hain vo ankhen nigaran
dekhi thi jin se kabhi raunaq-e-kashana-e-dost
rahbar shauq-e-dili sar pe ajal dil betab
be-khabar yuun main chala huun taraf-e-khana-e-dost
aaj kyuun had se siva dil ko khushi hai 'mahshar'
kya bulae hue jaate ho su-e-khana-e-dost
der tak uth na saka wan se wo diwana-e-dost
chhid gaya jab ki kahin baith ke afsana-e-dost
aaj uthe jate hain darban ki jafa se lekin
zindagi bhar kahin chhutta hai dar-e-khana-e-dost
hijr mein haalat-e-dil ki hain wo aankhen nigaran
dekhi thi jin se kabhi raunaq-e-kashana-e-dost
rahbar shauq-e-dili sar pe ajal dil betab
be-khabar yun main chala hun taraf-e-khana-e-dost
aaj kyun had se siwa dil ko khushi hai 'mahshar'
kya bulae hue jate ho su-e-khana-e-dost
You have reached the end.