bhadkaen meri pyas ko aksar teri aankhen
bhadkaen miri pyaas ko aksar tiri ankhen
sahra mira chehra hai samundar tiri ankhen
phir kaun bhala dad-e-tabassum unhen dega
roengi bahut mujh se bichhad kar tiri ankhen
khali jo hui sham-e-ghhariban ki hatheli
kya kya na lutati rahin gauhar teri ankhen
bojhal nazar aati hain ba-zahir mujhe lekin
khulti hain bahut dil men utar kar tiri ankhen
ab tak miri yadon se mitae nahin mitta
bhigi hui ik shaam ka manzar tiri ankhen
mumkin ho to ik taaza ghhazal aur bhi kah luun
phir odh na len khvab ki chadar tiri ankhen
main sang-sifat ek hi raste men khada huun
shayad mujhe dekhengi palat kar tiri ankhen
yuun dekhte rahna use achchha nahin 'mohsin'
vo kanch ka paikar hai to patthar tiri ankhen
bhadkaen meri pyas ko aksar teri aankhen
sahra mera chehra hai samundar teri aankhen
phir kaun bhala dad-e-tabassum unhen dega
roengi bahut mujh se bichhad kar teri aankhen
khali jo hui sham-e-ghariban ki hatheli
kya kya na lutati rahin gauhar teri aankhen
bojhal nazar aati hain ba-zahir mujhe lekin
khulti hain bahut dil mein utar kar teri aankhen
ab tak meri yaadon se mitae nahin mitta
bhigi hui ek sham ka manzar teri aankhen
mumkin ho to ek taza ghazal aur bhi kah lun
phir odh na len khwab ki chadar teri aankhen
main sang-sifat ek hi raste mein khada hun
shayad mujhe dekhengi palat kar teri aankhen
yun dekhte rahna use achchha nahin 'mohsin'
wo kanch ka paikar hai to patthar teri aankhen
har tarah ke jazbaat ka elan hain aankhen
har tarah ke jazbat ka elaan hain ankhen
shabnam kabhi shoala kabhi tufan hain ankhen
ankhon se badi koi tarazu nahin hoti
tulta hai bashar jis men vo mizan hain ankhen
ankhen hi milati hain zamane men dilon ko
anjan hain ham tum agar anjan hain ankhen
lab kuchh bhi kahen is se haqiqat nahin khulti
insan ke sach jhuut ki pahchan hain ankhen
ankhen na jhukin teri kisi ghhair ke aage
duniya men badi chiiz miri jaan! hain ankhen
har tarah ke jazbaat ka elan hain aankhen
shabnam kabhi shoala kabhi tufan hain aankhen
aankhon se badi koi taraazu nahin hoti
tulta hai bashar jis mein wo mizan hain aankhen
aankhen hi milati hain zamane mein dilon ko
anjaan hain hum tum agar anjaan hain aankhen
lab kuchh bhi kahen is se haqiqat nahin khulti
insan ke sach jhut ki pahchan hain aankhen
aankhen na jhukin teri kisi ghair ke aage
duniya mein badi chiz meri jaan! hain aankhen
in aankhon ki masti ke mastane hazaron hain
in ankhon ki masti ke mastane hazaron hain
in ankhon se vabasta afsane hazaron hain
ik tum hi nahin tanha ulfat men miri rusva
is shahr men tum jaise divane hazaron hain
ik sirf hamin mai ko ankhon se pilate hain
kahne ko to duniya men mai-khane hazaron hain
is sham-e-farozan ko andhi se darate ho
is sham-e-farozan ke parvane hazaron hain
in aankhon ki masti ke mastane hazaron hain
in aankhon se wabasta afsane hazaron hain
ek tum hi nahin tanha ulfat mein meri ruswa
is shahr mein tum jaise diwane hazaron hain
ek sirf hamin mai ko aankhon se pilate hain
kahne ko to duniya mein mai-khane hazaron hain
is sham-e-farozan ko aandhi se daraate ho
is sham-e-farozan ke parwane hazaron hain
jab tere nain muskuraate hain
jab tire nain muskurate hain
ziist ke ranj bhuul jaate hain
kyuun shikan dalte ho mathe par
bhuul kar aa gae hain jaate hain
kashtiyan yuun bhi duub jaati hain
nakhuda kis liye darate hain
ik hasin aankh ke ishare par
qafile raah bhuul jaate hain
jab tere nain muskuraate hain
zist ke ranj bhul jate hain
kyun shikan dalte ho mathe par
bhul kar aa gae hain jate hain
kashtiyan yun bhi dub jati hain
nakhuda kis liye daraate hain
ek hasin aankh ke ishaare par
qafile rah bhul jate hain
ai husn-e-lala-fam! zara aankh to mila
ai husn-e-lala-fam! zara aankh to mila
khali pade hain jaam! zara aankh to mila
kahte hain aankh aankh se milna hai bandagi
duniya ke chhod kaam! zara aankh to mila
kya vo na aaj aenge taron ke saath saath
tanhaiyon ki sham! zara aankh to mila
ye jaam ye subu ye tasavvur ki chandni
saaqi kahan mudam! zara aankh to mila
saaqi mujhe bhi chahiye ik jam-e-arzu
kitne lagenge daam! zara aankh to mila
pamal ho na jaae sitaron ki aabru
ai mere khush-khiram! zara aankh to mila
hain rah-e-kahkashan men azal se khade hue
'saghhar' tire ghhulam! zara aankh to mila
ai husn-e-lala-fam! zara aankh to mila
khali pade hain jam! zara aankh to mila
kahte hain aankh aankh se milna hai bandagi
duniya ke chhod kaam! zara aankh to mila
kya wo na aaj aaenge taron ke sath sath
tanhaiyon ki sham! zara aankh to mila
ye jam ye subu ye tasawwur ki chandni
saqi kahan mudam! zara aankh to mila
saqi mujhe bhi chahiye ek jam-e-arzu
kitne lagenge dam! zara aankh to mila
pamal ho na jae sitaron ki aabru
ai mere khush-khiram! zara aankh to mila
hain rah-e-kahkashan mein azal se khade hue
'saghar' tere ghulam! zara aankh to mila
kya kah gai kisi ki nazar kuchh na puchhiye
kya kah gai kisi ki nazar kuchh na puchhiye
kya kuchh hua hai dil pe asar kuchh na puchhiye
vo dekhna kisi ka kanakhiyon se baar baar
vo baar baar us ka asar kuchh na puchhiye
ro ro ke kis tarah se kati raat kya kahen
mar mar ke kaise ki hai sahar kuchh na puchhiye
'akhtar' dayar-e-husn men pahunche hain mar ke ham
kyun-kar hua hai tai ye safar kuchh na puchhiye
kya kah gai kisi ki nazar kuchh na puchhiye
kya kuchh hua hai dil pe asar kuchh na puchhiye
wo dekhna kisi ka kanakhiyon se bar bar
wo bar bar us ka asar kuchh na puchhiye
ro ro ke kis tarah se kati raat kya kahen
mar mar ke kaise ki hai sahar kuchh na puchhiye
'akhtar' dayar-e-husn mein pahunche hain mar ke hum
kyun-kar hua hai tai ye safar kuchh na puchhiye
ruki hui hai abhi tak bahaar aankhon mein
ruki hui hai abhi tak bahar ankhon men
shab-e-visal ka jaise khumar ankhon men
mita sakegi use gard-e-mah-o-sal kahan
khinchi hui hai jo tasvir-e-yar ankhon men
bas ek shab ki masafat thi aur ab tak hai
mah o nujum ka saara ghhubar ankhon men
hazar sahib-e-rakhsh-e-saba-mizaj aae
basa hua hai vahi shah-savar ankhon men
vo ek tha pa kiya us ko jab tah-e-talvar
to bat gaya vahi chehra hazar ankhon men
ruki hui hai abhi tak bahaar aankhon mein
shab-e-visal ka jaise khumar aankhon mein
mita sakegi use gard-e-mah-o-sal kahan
khinchi hui hai jo taswir-e-yar aankhon mein
bas ek shab ki masafat thi aur ab tak hai
mah o nujum ka sara ghubar aankhon mein
hazar sahib-e-rakhsh-e-saba-mizaj aae
basa hua hai wahi shah-sawar aankhon mein
wo ek tha pa kiya us ko jab tah-e-talwar
to bat gaya wahi chehra hazar aankhon mein
dil mein ek taswir chhupi thi aan basi hai aankhon mein
dil men ik tasvir chhupi thi aan basi hai ankhon men
shayad ham ne aaj ghhazal si baat likhi hai ankhon men
jaise ik harijan ladki mandir ke darvaze par
shaam diyon ki thaal sajae jhank rahi hai ankhon men
is rumal ko kaam men laao apni palken saaf karo
maila maila chand nahin hai dhuul jami hai ankhon men
padhta ja ye manzar-nama zard aziim pahadon ka
dhuup khili palkon ke uupar barf jami hai ankhon men
main ne ik novel likkha hai aane vaali subh ke naam
kitni raton ka jaaga huun niind bhari hai ankhon men
dil mein ek taswir chhupi thi aan basi hai aankhon mein
shayad hum ne aaj ghazal si baat likhi hai aankhon mein
jaise ek harijan ladki mandir ke darwaze par
sham diyon ki thaal sajae jhank rahi hai aankhon mein
is rumal ko kaam mein lao apni palken saf karo
maila maila chand nahin hai dhul jami hai aankhon mein
padhta ja ye manzar-nama zard azim pahadon ka
dhup khili palkon ke upar barf jami hai aankhon mein
main ne ek nowel likkha hai aane wali subh ke nam
kitni raaton ka jaga hun nind bhari hai aankhon mein
mata-e-kausar-o-zamzam ke paimane teri aankhen
mata-e-kausar-o-zamzam ke paimane tiri ankhen
farishton ko bana deti hain divane tiri ankhen
jahan-e-rang-o-bu uljha hua hai un ke doron men
lagi hain kakul-e-taqdir suljhane tiri ankhen
isharon se dilon ko chhed kar iqrar karti hain
uthati hain bahar-e-nau ke nazrane tiri ankhen
vo divane zamam-e-lala-o-gul thaam lete hain
jinhen mansub kar deti hain virane tiri ankhen
shagufon ko shararon ka machalta ruup deti hain
haqiqat ko bana deti hain afsane tiri ankhen
mata-e-kausar-o-zamzam ke paimane teri aankhen
farishton ko bana deti hain diwane teri aankhen
jahan-e-rang-o-bu uljha hua hai un ke doron mein
lagi hain kakul-e-taqdir suljhane teri aankhen
ishaaron se dilon ko chhed kar iqrar karti hain
uthati hain bahaar-e-nau ke nazrane teri aankhen
wo diwane zamam-e-lala-o-gul tham lete hain
jinhen mansub kar deti hain virane teri aankhen
shagufon ko shararon ka machalta rup deti hain
haqiqat ko bana deti hain afsane teri aankhen
zara si der ko aae the khwab aankhon mein
zara si der ko aae the khvab ankhon men
phir us ke baad musalsal azaab ankhon men
vo jis ke naam ki nisbat se raushni tha vajud
khatak raha hai vahi aftab ankhon men
jinhen mata-e-dil-o-jan samajh rahe the ham
vo aaine bhi hue be-hijab ankhon men
ajab tarah ka hai mausam ki khaak udti hai
vo din bhi the ki khile the gulab ankhon men
mire ghhazal tiri vahshaton ki khair ki hai
bahut dinon se bahut iztirab ankhon men
na jaane kaisi qayamat ka pesh-khema hai
ye uljhanen tiri be-intisab ankhon men
javaz kya hai mire kam-sukhan bata to sahi
ba-nam-e-khush-nigahi har javab ankhon men
zara si der ko aae the khwab aankhon mein
phir us ke baad musalsal azab aankhon mein
wo jis ke nam ki nisbat se raushni tha wajud
khatak raha hai wahi aaftab aankhon mein
jinhen mata-e-dil-o-jaan samajh rahe the hum
wo aaine bhi hue be-hijab aankhon mein
ajab tarah ka hai mausam ki khak udti hai
wo din bhi the ki khile the gulab aankhon mein
mere ghazal teri wahshaton ki khair ki hai
bahut dinon se bahut iztirab aankhon mein
na jaane kaisi qayamat ka pesh-khema hai
ye uljhanen teri be-intisab aankhon mein
jawaz kya hai mere kam-sukhan bata to sahi
ba-nam-e-khush-nigahi har jawab aankhon mein
kahun to kya main kahun pyari pyari aankhon ko
kahun to kya main kahun pyari pyari ankhon ko
subu kahun ki surahi tumhari ankhon ko
kuchh aisa chhaya hai dil par mire ghhubar-e-alam
gulon ke saae bhi lagte hain bhari ankhon ko
jhalak rahe hain vo palkon pe ansuon ki tarah
vo ghham jo tum ne diye hain hamari ankhon ko
jhuken jo palken to ruk jaaen dhadkanen dil ki
uthen to chuum len taare tumhari ankhon ko
lahu gulon ka baha hai ba-surat-e-ansu
khizan ne luuta hai jab bhi hamari ankhon ko
duaen karte hain nargis ke phuul gulshan men
nazar lage na kisi ki tumhari ankhon ko
sulagti raat ke siine pe barf si rakh di
ghhazal men dhaal ke goya tumhari ankhon ko
mahakte phuul sanakti hava ye mausam-e-gul
chaman men dekhte hain sab tumhari ankhon ko
kahun to kya main kahun pyari pyari aankhon ko
subu kahun ki surahi tumhaari aankhon ko
kuchh aisa chhaya hai dil par mere ghubar-e-alam
gulon ke sae bhi lagte hain bhaari aankhon ko
jhalak rahe hain wo palkon pe aansuon ki tarah
wo gham jo tum ne diye hain hamari aankhon ko
jhuken jo palken to ruk jaen dhadkanen dil ki
uthen to chum len tare tumhaari aankhon ko
lahu gulon ka baha hai ba-surat-e-ansu
khizan ne luta hai jab bhi hamari aankhon ko
duaen karte hain nargis ke phul gulshan mein
nazar lage na kisi ki tumhaari aankhon ko
sulagti raat ke sine pe barf si rakh di
ghazal mein dhaal ke goya tumhaari aankhon ko
mahakte phul sanakti hawa ye mausam-e-gul
chaman mein dekhte hain sab tumhaari aankhon ko
main bikhar jaun sameten mujhe uski aankhen
main bikhar jaun sameten mujhe us ki ankhen
apni palkon pe saja len mujhe us ki ankhen
ruuth jaun to ishare se mana len mujh ko
aur kho jaun to dhunden mujhe us ki ankhen
ghar ki dahliz se lag kar mira rasta dekhen
der se aauun to bolen mujhe us ki ankhen
rat-bhar mere ta'aqub men phiren galiyon men
subh ho jaae to roen mujhe us ki ankhen
ghar men mil jaaen to chhup jaaen miri ankhon se
raah men paaen to chheden mujhe us ki ankhen
main jo chhup jaun kabhi raat ki tariki men
apni palkon se tatolen mujhe us ki ankhen
khatm ho jaae ye honton ke jaziron ka safar
pyaas bujh jaae dubo den mujhe us ki ankhen
ab yahan koi nahin rahta magar phir bhi 'shakil'
jaise khidki se pukaren mujhe us ki ankhen
main bikhar jaun sameten mujhe us ki aankhen
apni palkon pe saja len mujhe us ki aankhen
ruth jaun to ishaare se mana len mujh ko
aur kho jaun to dhunden mujhe us ki aankhen
ghar ki dahliz se lag kar mera rasta dekhen
der se aaun to bolen mujhe us ki aankhen
raat-bhar mere ta'aqub mein phiren galiyon mein
subh ho jae to roen mujhe us ki aankhen
ghar mein mil jaen to chhup jaen meri aankhon se
rah mein paen to chheden mujhe us ki aankhen
main jo chhup jaun kabhi raat ki tariki mein
apni palkon se tatolen mujhe us ki aankhen
khatm ho jae ye honton ke jaziron ka safar
pyas bujh jae dubo den mujhe us ki aankhen
ab yahan koi nahin rahta magar phir bhi 'shakil'
jaise khidki se pukaren mujhe us ki aankhen
ab uthao naqab aankhon se
ab uthao naqab ankhon se
ham bhi chun len gulab ankhon se
aap ke paas mai ke pyale hain
ham piyenge sharab ankhon se
laakh roka tumhare anchal ne
ham ne dekha hijab ankhon se
uljhi uljhi hai zulf savan ki
barsa barsa shabab ankhon se
log karte hain khvab ki baten
ham ne dekha hai khvab ankhon se
aabru rakh lo aaj mausam ki
mil gaya hai javab ankhon se
ab uthao naqab aankhon se
hum bhi chun len gulab aankhon se
aap ke pas mai ke pyale hain
hum piyenge sharab aankhon se
lakh roka tumhaare aanchal ne
hum ne dekha hijab aankhon se
uljhi uljhi hai zulf sawan ki
barsa barsa shabab aankhon se
log karte hain khwab ki baaten
hum ne dekha hai khwab aankhon se
aabru rakh lo aaj mausam ki
mil gaya hai jawab aankhon se
rone ki ye shiddat hai ki ghabra gain aankhen
rone ki ye shiddat hai ki ghabra gaiin ankhen
ashkon ki ye kasrat hai ki tang aa gaiin ankhen
dil sakht hi kafir ka par ankhon men haya hai
sunte hi jafa ka gila sharma gaiin ankhen
mehrab men hota nahin maston ka guzara
abru ke tale khuub jagah pa gaiin ankhen
vo talib-e-didar ke paas aaen magar kya
hairat ka ye aalam hai ki kuuba gaiin ankhen
farhad ne kya dekh ke sar teshe se phoda
sujha na kuchh is ru se ki tihra gaiin ankhen
dil de ke raha girya-e-khuni ka mujhe shaghhl
baaqi tha jigar so use yuun kaha gaiin ankhen
chadhte nahin ab meri nazar men mah-o-khurshid
dekha tujhe kya main ne ki itra gaiin ankhen
aa kar tire kuche men na kuchh ham se ban aai
jaate hue ik munh tha ki barsa gaiin ankhen
itna bhi na samjhe ki bala-e-dil-o-din hai
'nazim' tumhen kyuun us ki pasand aa gaiin ankhen
rone ki ye shiddat hai ki ghabra gain aankhen
ashkon ki ye kasrat hai ki tang aa gain aankhen
dil sakht hi kafir ka par aankhon mein haya hai
sunte hi jafa ka gila sharma gain aankhen
mehrab mein hota nahin maston ka guzara
abru ke tale khub jagah pa gain aankhen
wo talib-e-didar ke pas aaen magar kya
hairat ka ye aalam hai ki kuba gain aankhen
farhad ne kya dekh ke sar teshe se phoda
sujha na kuchh is ru se ki tihra gain aankhen
dil de ke raha girya-e-khuni ka mujhe shaghl
baqi tha jigar so use yun kaha gain aankhen
chadhte nahin ab meri nazar mein mah-o-khurshid
dekha tujhe kya main ne ki itra gain aankhen
aa kar tere kuche mein na kuchh hum se ban aai
jate hue ek munh tha ki barsa gain aankhen
itna bhi na samjhe ki bala-e-dil-o-din hai
'nazim' tumhein kyun us ki pasand aa gain aankhen
unki surat hamein aai thi pasand aankhon se
un ki surat hamen aai thi pasand ankhon se
aur phir ho gai bala-o-buland ankhon se
koi zanjir nahin tar-e-nazar se mazbut
ham ne is chand pe daali hai kamand ankhon se
thahr sakti hai kahan us rukh-e-taban pe nazar
dekh sakta hai use aadmi band ankhon se
ham uthate hain maza talkhi o shirini ka
mai piyale se pilata hai vo qand ankhon se
baat karte ho to hota hai zaban se sadma
dekhte ho to pahunchta hai gazand ankhon se
har mulaqat men hoti hain hamare mabain
chand baten lab-e-guftar se chand ankhon se
ishq men hausla-mandi bhi zaruri hai 'shuur'
dekhiye us ki taraf hausla-mand ankhon se
un ki surat hamein aai thi pasand aankhon se
aur phir ho gai baala-o-buland aankhon se
koi zanjir nahin tar-e-nazar se mazbut
hum ne is chand pe dali hai kamand aankhon se
thahr sakti hai kahan us rukh-e-taban pe nazar
dekh sakta hai use aadmi band aankhon se
hum uthate hain maza talkhi o shirini ka
mai piyale se pilata hai wo qand aankhon se
baat karte ho to hota hai zaban se sadma
dekhte ho to pahunchta hai gazand aankhon se
har mulaqat mein hoti hain hamare mabain
chand baaten lab-e-guftar se chand aankhon se
ishq mein hausla-mandi bhi zaruri hai 'shuur'
dekhiye us ki taraf hausla-mand aankhon se
kahan se dhundh ke laun purane khwab aankhon mein
kahan se dhundh ke laun purane khvab ankhon men
koi manzar nahin tikta miri sairab ankhon men
na ninden thiin na aansu the na khushiyan thiin magar tu tha
ki ab tu bhi nahin aata hai in be-khvab ankhon men
kisi bhi aaine men ab mira chehra nahin dikhta
mira chehra nikalta hai inhin betab ankhon men
jise ta'mir ka dar hai chala jaae vo bin bole
jo hain tayyar sach ko vo rahenge khvab ankhon men
dafaa kar 'ishq ka charcha kahin tu bhi na bah jaae
abhi to bandh ke rakkhen hain sab sailab ankhon men
kahan se dhundh ke laun purane khwab aankhon mein
koi manzar nahin tikta meri sairab aankhon mein
na ninden thin na aansu the na khushiyan thin magar tu tha
ki ab tu bhi nahin aata hai in be-khwab aankhon mein
kisi bhi aaine mein ab mera chehra nahin dikhta
mera chehra nikalta hai inhin betab aankhon mein
jise ta'mir ka dar hai chala jae wo bin bole
jo hain tayyar sach ko wo rahenge khwab aankhon mein
dafa kar 'ishq ka charcha kahin tu bhi na bah jae
abhi to bandh ke rakkhen hain sab sailab aankhon mein
yaad tum aae to phir ban gain baadal aankhen
yaad tum aae to phir ban gaiin badal ankhen
dil ke virane ko karne lagin jal-thal ankhen
meri ankhon ka koi abr se rishta hai zarur
tuut ke barsi ghata jab huiin bojhal ankhen
khvab ko khvab samajhti hi nahin jaane kyuun
dhundhti rahti hain ik shakhs ko pagal ankhen
kaisa rishta hai ta'alluq hai ye kaisa akhir
chot to dil pe lagi ho gaiin ghayal ankhen
shokhiyan sharm-o-haya nuur ke saae jhelen
'umr men pahle-pahal dekhen mukammal ankhen
jis tarah koi ghhazal likkhi ho matla' ke baghhair
yuun nazar aati hain aksar bina kajal ankhen
ai 'shakil' un se kaho pyaar se vo duur rahen
dard ka bojh na sah paengi chanchal ankhen
yaad tum aae to phir ban gain baadal aankhen
dil ke virane ko karne lagin jal-thal aankhen
meri aankhon ka koi abr se rishta hai zarur
tut ke barsi ghata jab huin bojhal aankhen
khwab ko khwab samajhti hi nahin jaane kyun
dhundhti rahti hain ek shakhs ko pagal aankhen
kaisa rishta hai ta'alluq hai ye kaisa aakhir
chot to dil pe lagi ho gain ghayal aankhen
shokhiyan sharm-o-haya nur ke sae jhelen
'umr mein pahle-pahal dekhen mukammal aankhen
jis tarah koi ghazal likkhi ho matla' ke baghair
yun nazar aati hain aksar bina kajal aankhen
ai 'shakil' un se kaho pyar se wo dur rahen
dard ka bojh na sah paengi chanchal aankhen
uski jaanib yun mod di aankhen
us ki janib yuun mod di ankhen
us ke chehre pe chhod di ankhen
phir tire khvab dekhne ke liye
ham ne bistar pe chhod di ankhen
vo jo aae to jaag jaati hain
us ki aahat se jod di ankhen
ab ke bilkul bhula diya us ko
ab ke bilkul nichod di ankhen
us ki jaanib yun mod di aankhen
us ke chehre pe chhod di aankhen
phir tere khwab dekhne ke liye
hum ne bistar pe chhod di aankhen
wo jo aae to jag jati hain
us ki aahat se jod di aankhen
ab ke bilkul bhula diya us ko
ab ke bilkul nichod di aankhen
jab se hai wo raunaq-e-mahfil aankhon mein
jab se hai vo raunaq-e-mahfil ankhon men
jaan labon par rahti hai dil ankhon men
suukh rahi hai ju-e-girya-e-gard-nishan
chubhne lagi hai ab khak-e-dil ankhon men
hijr ki raten arsa-e-be-khvabi ka safar
kaat raha huun manzil manzil ankhon men
khuun ki lahren moti moti palkon par
nikla dil-dariya ka sahil ankhon men
dekh raha huun guzre vaqt ki tasviren
utre hain yadon ke mahmil ankhon men
jab se hai wo raunaq-e-mahfil aankhon mein
jaan labon par rahti hai dil aankhon mein
sukh rahi hai ju-e-girya-e-gard-nishan
chubhne lagi hai ab khak-e-dil aankhon mein
hijr ki raaten arsa-e-be-khwabi ka safar
kat raha hun manzil manzil aankhon mein
khun ki lahren moti moti palkon par
nikla dil-dariya ka sahil aankhon mein
dekh raha hun guzre waqt ki taswiren
utre hain yaadon ke mahmil aankhon mein
tujhse hi kya wafa ki nahin khush-nigah chashm
tujh se hi kya vafa ki nahin khush-nigah chashm
jitne safed-posh hain sab hain siyah-chashm
us mehr-vash ke hone na de girya ru-ba-ru
jab tak safed hove na manind-e-mah chashm
andher hai dayar-e-mohabbat men ham-daman
taqsir dil ki thahre kare jo gunah chashm
donon makan ghhair se khali hain aa ke baith
tere pasand khvah ye dil aae khvah chashm
us ki shab-e-firaq men itna tu ro ki ho
dariya-e-ashk men tiri kashti tabah chashm
mujh ko jala ke khaak kya aur baha diya
tum se to ye na thi mujhe ai ashk-o-ah chashm
'joshish' vo kaun sa hai jafa-kar jis par aaj
munh par lahu male hue hai dad-khvah chashm
tujh se hi kya wafa ki nahin khush-nigah chashm
jitne safed-posh hain sab hain siyah-chashm
us mehr-wash ke hone na de girya ru-ba-ru
jab tak safed howe na manind-e-mah chashm
andher hai dayar-e-mohabbat mein ham-daman
taqsir dil ki thahre kare jo gunah chashm
donon makan ghair se khali hain aa ke baith
tere pasand khwah ye dil aae khwah chashm
us ki shab-e-firaq mein itna tu ro ki ho
dariya-e-ashk mein teri kashti tabah chashm
mujh ko jala ke khak kya aur baha diya
tum se to ye na thi mujhe ai ashk-o-ah chashm
'joshish' wo kaun sa hai jafa-kar jis par aaj
munh par lahu male hue hai dad-khwah chashm
raat taswir numudar hui aankhon mein
raat tasvir numudar hui ankhon men
subh ke samne divar hui ankhon men
matla-e-dil pe phir ik chand pighal jaega
aaj ik tez chamak khaar hui ankhon men
aa tujhe laal karun zard-rukhi bint-e-khizan
surkh sailab ki yalghhar hui ankhon men
raat taswir numudar hui aankhon mein
subh ke samne diwar hui aankhon mein
matla-e-dil pe phir ek chand pighal jaega
aaj ek tez chamak khar hui aankhon mein
aa tujhe lal karun zard-rukhi bint-e-khizan
surkh sailab ki yalghaar hui aankhon mein
You have reached the end.