log tut jate hain ek ghar banane mein tum taras nahin khate bastiyan jalane mein
Poetry Collection
Fasad
Rioting among human beings is an ugly reality. Poets have not put this reality aside; in fact they have commented on the ills of rioting in their own creative ways. Here is a sampler to help you see the ugliness of violence and appreciate how it damages us.
Total
27
Sher
20
Ghazal
7
Nazm
0
Featured Picks
Is collection se writer-diverse top picks for quick reading.
dekhoge to har mod pe mil jaengi lashen dhundoge to is shahr mein qatil na milega
main ye kis ke nam likkhun jo alam guzar rahe hain
main ye kis ke naam likkhun jo alam guzar rahe hain mire shahr jal rahe hain mire log mar rahe hain koi ghhuncha ho ki gul ho koi shakh ho shajar ho vo hava-e-gulsitan hai ki sabhi bikhar rahe hain kabhi rahmaten thiin nazil isi khitta-e-zamin par vahi khitta-e-zamin hai ki 'azab utar rahe hain vahi taeron ke jhurmut jo hava men jhulte the vo faza ko dekhte hain to ab aah bhar rahe hain badi aarzu thi ham ko nae khvab dekhne ki so ab apni zindagi men nae khvab bhar rahe hain koi aur to nahin hai pas-e-khanjar-azmai hamin qatl ho rahe hain hamin qatl kar rahe hain main ye kis ke nam likkhun jo alam guzar rahe hain mere shahr jal rahe hain mere log mar rahe hain koi ghuncha ho ki gul ho koi shakh ho shajar ho wo hawa-e-gulsitan hai ki sabhi bikhar rahe hain kabhi rahmaten thin nazil isi khitta-e-zamin par wahi khitta-e-zamin hai ki 'azab utar rahe hain wahi taeron ke jhurmut jo hawa mein jhulte the wo faza ko dekhte hain to ab aah bhar rahe hain badi aarzu thi hum ko nae khwab dekhne ki so ab apni zindagi mein nae khwab bhar rahe hain koi aur to nahin hai pas-e-khanjar-azmai hamin qatl ho rahe hain hamin qatl kar rahe hain
log tut jate hain ek ghar banane mein tum taras nahin khate bastiyan jalane mein
log tut jate hain ek ghar banane mein
log tuut jaate hain ek ghar banane men tum taras nahin khate bastiyan jalane men aur jaam tutenge is sharab-khane men mausamon ke aane men mausamon ke jaane men har dhadakte patthar ko log dil samajhte hain umren biit jaati hain dil ko dil banane men fakhta ki majburi ye bhi kah nahin sakti kaun saanp rakhta hai us ke ashiyane men dusri koi ladki zindagi men aaegi kitni der lagti hai us ko bhuul jaane men log tut jate hain ek ghar banane mein tum taras nahin khate bastiyan jalane mein aur jam tutenge is sharab-khane mein mausamon ke aane mein mausamon ke jaane mein har dhadakte patthar ko log dil samajhte hain umren bit jati hain dil ko dil banane mein fakhta ki majburi ye bhi kah nahin sakti kaun sanp rakhta hai us ke aashiyane mein dusri koi ladki zindagi mein aaegi kitni der lagti hai us ko bhul jaane mein
dekhoge to har mod pe mil jaengi lashen dhundoge to is shahr mein qatil na milega
main ye kis ke nam likkhun jo alam guzar rahe hain
main ye kis ke naam likkhun jo alam guzar rahe hain mire shahr jal rahe hain mire log mar rahe hain koi ghhuncha ho ki gul ho koi shakh ho shajar ho vo hava-e-gulsitan hai ki sabhi bikhar rahe hain kabhi rahmaten thiin nazil isi khitta-e-zamin par vahi khitta-e-zamin hai ki 'azab utar rahe hain vahi taeron ke jhurmut jo hava men jhulte the vo faza ko dekhte hain to ab aah bhar rahe hain badi aarzu thi ham ko nae khvab dekhne ki so ab apni zindagi men nae khvab bhar rahe hain koi aur to nahin hai pas-e-khanjar-azmai hamin qatl ho rahe hain hamin qatl kar rahe hain main ye kis ke nam likkhun jo alam guzar rahe hain mere shahr jal rahe hain mere log mar rahe hain koi ghuncha ho ki gul ho koi shakh ho shajar ho wo hawa-e-gulsitan hai ki sabhi bikhar rahe hain kabhi rahmaten thin nazil isi khitta-e-zamin par wahi khitta-e-zamin hai ki 'azab utar rahe hain wahi taeron ke jhurmut jo hawa mein jhulte the wo faza ko dekhte hain to ab aah bhar rahe hain badi aarzu thi hum ko nae khwab dekhne ki so ab apni zindagi mein nae khwab bhar rahe hain koi aur to nahin hai pas-e-khanjar-azmai hamin qatl ho rahe hain hamin qatl kar rahe hain
mil ke hoti thi kabhi eid bhi diwali bhi ab ye haalat hai ki dar dar ke gale milte hain
shikasta-haal sa be-asra sa lagta hai
shikasta-hal sa be-asra sa lagta hai ye shahr dil se ziyada dukha sa lagta hai har ik ke saath koi vaqia sa lagta hai jise bhi dekho vo khoya hua sa lagta hai zamin hai so vo apni gardishon men kahin jo chand hai so vo tuuta hua sa lagta hai mere vatan pe utarte hue andheron ko jo tum kaho mujhe qahr-e-khuda sa lagta hai jo shaam aai to phir shaam ka laga darbar jo din hua to vo din karbala sa lagta hai ye raat kha gai ik ek kar ke saare charaghh jo rah gaya hai vo bujhta hua sa lagta hai dua karo ki main us ke liye dua ho jaun vo ek shakhs jo dil ko dua sa lagta hai to dil men bujhne si lagti hai kaenat tamam kabhi kabhi jo mujhe tu bujha sa lagta hai jo aa rahi hai sada ghhaur se suno us ko ki is sada men khuda bolta sa lagta hai abhi kharid len duniya kahan ki mahngi hai magar zamir ka sauda bura sa lagta hai ye maut hai ya koi akhiri visal ke baad ajab sukun men soya hua sa lagta hai hava-e-rang-e-do-alam men jagti hui lai 'alim' hi kahin naghhma-sara sa lagta hai shikasta-haal sa be-asra sa lagta hai ye shahr dil se ziyaada dukha sa lagta hai har ek ke sath koi waqia sa lagta hai jise bhi dekho wo khoya hua sa lagta hai zamin hai so wo apni gardishon mein kahin jo chand hai so wo tuta hua sa lagta hai mere watan pe utarte hue andheron ko jo tum kaho mujhe qahr-e-khuda sa lagta hai jo sham aai to phir sham ka laga darbar jo din hua to wo din karbala sa lagta hai ye raat kha gai ek ek kar ke sare charagh jo rah gaya hai wo bujhta hua sa lagta hai dua karo ki main us ke liye dua ho jaun wo ek shakhs jo dil ko dua sa lagta hai to dil mein bujhne si lagti hai kaenat tamam kabhi kabhi jo mujhe tu bujha sa lagta hai jo aa rahi hai sada ghaur se suno us ko ki is sada mein khuda bolta sa lagta hai abhi kharid len duniya kahan ki mahngi hai magar zamir ka sauda bura sa lagta hai ye maut hai ya koi aakhiri visal ke baad ajab sukun mein soya hua sa lagta hai hawa-e-rang-e-do-alam mein jagti hui lai 'alim' hi kahin naghma-sara sa lagta hai
tum abhi shahr mein kya nae aae ho ruk gae rah mein hadsa dekh kar
ashk pine ke liye khak udane ke liye
ashk piine ke liye khaak udane ke liye ab mire paas khazana hai lutane ke liye aisi dafa na laga jis men zamanat mil jaae mere kirdar ko chun apne nishane ke liye kin zaminon pe utaroge ab imdad ka qahr kaun sa shahr ujadoge basane ke liye main ne hathon se bujhai hai dahakti hui aag apne bachche ke khilaune ko bachane ke liye ho gai hai miri ujdi hui duniya abad main use dhundh raha huun ye batane ke liye nafraten bechne valon ki bhi majburi hai maal to chahiye dukan chalane ke liye ji to kahta hai ki bistar se na utrun kai roz ghar men saman to ho baith ke khane ke liye ashk pine ke liye khak udane ke liye ab mere pas khazana hai lutane ke liye aisi dafa na laga jis mein zamanat mil jae mere kirdar ko chun apne nishane ke liye kin zaminon pe utaroge ab imdad ka qahr kaun sa shahr ujadoge basane ke liye main ne hathon se bujhai hai dahakti hui aag apne bachche ke khilaune ko bachane ke liye ho gai hai meri ujdi hui duniya aabaad main use dhundh raha hun ye batane ke liye nafraten bechne walon ki bhi majburi hai mal to chahiye dukan chalane ke liye ji to kahta hai ki bistar se na utrun kai roz ghar mein saman to ho baith ke khane ke liye
jo dil ko hai khabar kahin milti nahin khabar har subh ek azab hai akhbar dekhna
tuti mez aur jali kitaben rah jaengi
tuuti mez aur jali kitaben rah jaengi drone girega amn ki baten rah jaengi ladne vaale raushan subhen le jaenge meri khatir andhi shamen rah jaengi sach likhne vaale sab hijrat kar jaenge bazaron men qalam davaten rah jaengi yuun lagta hai raste men sab lut jaega ghar pahunchunga to kuchh sansen rah jaengi ummidon par barf ka mausam aa jaega divaron par diip aur ankhen rah jaengi ham darvaze men hi rote rah jaenge jaane valon ki bas baten rah jaengi tuti mez aur jali kitaben rah jaengi drone girega amn ki baaten rah jaengi ladne wale raushan subhen le jaenge meri khatir andhi shamen rah jaengi sach likhne wale sab hijrat kar jaenge bazaron mein qalam dawaten rah jaengi yun lagta hai raste mein sab lut jaega ghar pahunchunga to kuchh sansen rah jaengi ummidon par barf ka mausam aa jaega diwaron par dip aur aankhen rah jaengi hum darwaze mein hi rote rah jaenge jaane walon ki bas baaten rah jaengi
barud ke badle hathon mein aa jae kitab to achchha ho ai kash hamari aankhon ka ikkiswan khwab to achchha ho
ba-nam-e-amn-o-aman kaun mara jaega
ba-nam-e-amn-o-aman kaun maara jaega na jaane aaj yahan kaun maara jaega liye hue hain sabhi apna sar hatheli par kise khabar hai kahan kaun maara jaega ajiib maarka barpa hai, kuchh khabar hi nahin kise milegi amaan kaun maara jaega namaz padhne ki mohlat mile, mile na mile! na jaane vaqt-e-azan kaun maara jaega jo tiir bhi hai, itaat-guzar hai us ka ye janti hai kaman kaun maara jaega kiye gae hain jo itne hifazati iqdam ye dekhna hai yahan kaun maara jaega kisi ke lab pe 'nasim'-e-sahar dua kaisi yahi hai vird-e-zaban kaun maara jaega ba-nam-e-amn-o-aman kaun mara jaega na jaane aaj yahan kaun mara jaega liye hue hain sabhi apna sar hatheli par kise khabar hai kahan kaun mara jaega ajib marka barpa hai, kuchh khabar hi nahin kise milegi aman kaun mara jaega namaz padhne ki mohlat mile, mile na mile! na jaane waqt-e-azan kaun mara jaega jo tir bhi hai, itaat-guzar hai us ka ye jaanti hai kaman kaun mara jaega kiye gae hain jo itne hifazati iqdam ye dekhna hai yahan kaun mara jaega kisi ke lab pe 'nasim'-e-sahar dua kaisi yahi hai wird-e-zaban kaun mara jaega
yahan ek bachche ke khun se jo likha hua hai use padhen tera kirtan abhi pap hai abhi mera sajda haram hai
zindabaad ai dasht ke manzar zindabaad
zindabad ai dasht ke manzar zindabad shahr men hai jalta hua har ghar zindabad kitne nau-umron ke qisse paak kiye curfew men chalta hua khanjar zindabad tere mere rishton ke sangin gavah tuuti masjid jalta mandar zindabad aag lagi hai man ke bahar kya kahiye phuul khile hain man ke andar zindabad dil par ik ghanghor ghata si chhai hai ankhon men phirta hai samundar zindabad zindabaad ai dasht ke manzar zindabaad shahr mein hai jalta hua har ghar zindabaad kitne nau-umron ke qisse pak kiye curfew mein chalta hua khanjar zindabaad tere mere rishton ke sangin gawah tuti masjid jalta mandar zindabaad aag lagi hai man ke bahar kya kahiye phul khile hain man ke andar zindabaad dil par ek ghanghor ghata si chhai hai aankhon mein phirta hai samundar zindabaad
is qadar main ne sulagte hue ghar dekhe hain ab to chubhne lage aankhon mein ujale mujh ko
diwar-o-dar pe khun ke chhinte hain ja-ba-ja bikhra hua hai rang-e-hina tere shahar mein
junun ko hosh kahan ehtimam-e-ghaarat ka fasad jo bhi jahan mein hua khirad se hua
main jag jag ke kis kis ka intizar karun jo log ghar nahin pahunche wo mar gae honge
chaaron taraf hain shole ham-sae jal rahe hain main ghar mein baitha baitha bas hath mal raha hun
jale makanon mein bhut baithe badi matanat se sochte hain ki jangalon se nikal kar aane ki kya zarurat thi aadmi ko
ye kaun aag lagane pe hai yahan mamur ye kaun shahr ko maqtal banane wala hai
jala hai shahr to kya kuchh na kuchh to hai mahfuz kahin ghubar kahin raushni salamat hai
gharon mein qaid hain basti ke shorafa sadak par hain fasadi aur ghunde
har ek kucha hai sakit har ek sadak viran hamare shahar mein taqrir kar gaya ye kaun
aaj khelenge mere khun se holi sab log kitna rangin har ek shakhs ka daman hoga
har ek shakh thi larzan faza mein chikh-o-pukar hawa ke hath mein ek aab-dar khanjar tha
aisi hawa bahi ki hai chaaron taraf fasad juz saya-e-khuda kahin dar-ul-aman nahin
You have reached the end.
Explore Similar Collections
Fasad FAQs
Fasad collection me kya milega?
Fasad se related curated sher, selected ghazal excerpts aur context-friendly reading flow milega.
Kya is page ki links internal hain?
Haan, collection links, writer links aur detail links sab Kuch Alfaaz ke internal routes par map kiye gaye hain.
Collection ko kaise explore karein?
Type filter (Sher/Ghazal/Nazm), featured picks aur similar collections rail use karke fast discovery kar sakte hain.