chalti phirti hui aaankhon se azan dekhi hai main ne jannat to nahin dekhi hai man dekhi hai
Poetry Collection
Mother
Mother is also a beloved in poetry. She has figured abundantly in poetry and in as many ways as one may possibly image. We have made a selection on the figure of the mother who emerges now as an image, now a metaphor, and now a myth. Get into these verses and enjoy the warmth of motherly love and compassion.
Total
56
Sher
51
Ghazal
5
Nazm
0
Featured Picks
Is collection se writer-diverse top picks for quick reading.
chalti phirti hui aaankhon se azan dekhi hai main ne jannat to nahin dekhi hai man dekhi hai
kisi ko ghar mila hisse mein ya koi dukan aai
kisi ko ghar mila hisse men ya koi dukan aai main ghar men sab se chhota tha mire hisse men maan aai yahan se jaane vaala laut kar koi nahin aaya main rota rah gaya lekin na vapas ja ke maan aai adhure raste se lautna achchha nahin hota bulane ke liye duniya bhi aai to kahan aai kisi ko gaanv se pardes le jaegi phir shayad udati rail-gadi dher saara phir dhuan aai mire bachchon men saari adaten maujud hain meri to phir in bad-nasibon ko na kyuun urdu zaban aai qafas men mausamon ka koi andaza nahin hota khuda jaane bahar aai chaman men ya khizan aai gharaunde to gharaunde hain chatanen tuut jaati hain udane ke liye andhi agar nam-o-nishan aai kabhi ai khush-nasibi mere ghar ka rukh bhi kar leti idhar pahunchi udhar pahunchi yahan aai vahan aai kisi ko ghar mila hisse mein ya koi dukan aai main ghar mein sab se chhota tha mere hisse mein man aai yahan se jaane wala laut kar koi nahin aaya main rota rah gaya lekin na wapas ja ke man aai adhure raste se lautna achchha nahin hota bulane ke liye duniya bhi aai to kahan aai kisi ko ganw se pardes le jaegi phir shayad udati rail-gadi dher sara phir dhuan aai mere bachchon mein sari aadaten maujud hain meri to phir in bad-nasibon ko na kyun urdu zaban aai qafas mein mausamon ka koi andaza nahin hota khuda jaane bahaar aai chaman mein ya khizan aai gharaunde to gharaunde hain chatanen tut jati hain udane ke liye aandhi agar nam-o-nishan aai kabhi ai khush-nasibi mere ghar ka rukh bhi kar leti idhar pahunchi udhar pahunchi yahan aai wahan aai
auratein beesiyon, saikdon ho sakti hain, maan sirf eik hoti hai.
ek muddat se meri man nahin soi 'tabish' main ne ek bar kaha tha mujhe dar lagta hai
mujhko yaqin hai sach kahti thin jo bhi ammi kahti thin
mujh ko yaqin hai sach kahti thiin jo bhi ammi kahti thiin jab mere bachpan ke din the chand men pariyan rahti thiin ek ye din jab apnon ne bhi ham se naata tod liya ek vo din jab ped ki shakhen bojh hamara sahti thiin ek ye din jab saari sadken ruthi ruthi lagti hain ek vo din jab aao khelen saari galiyan kahti thiin ek ye din jab jaagi raten divaron ko takti hain ek vo din jab shamon ki bhi palken bojhal rahti thiin ek ye din jab zehn men saari ayyari ki baten hain ek vo din jab dil men bholi-bhali baten rahti thiin ek ye din jab lakhon ghham aur kaal pada hai aansu ka ek vo din jab ek zara si baat pe nadiyan bahti thiin ek ye ghar jis ghar men mera saz-o-saman rahta hai ek vo ghar jis ghar men meri budhi naani rahti thiin mujh ko yaqin hai sach kahti thin jo bhi ammi kahti thin jab mere bachpan ke din the chand mein pariyan rahti thin ek ye din jab apnon ne bhi hum se nata tod liya ek wo din jab ped ki shakhen bojh hamara sahti thin ek ye din jab sari sadken ruthi ruthi lagti hain ek wo din jab aao khelen sari galiyan kahti thin ek ye din jab jagi raaten diwaron ko takti hain ek wo din jab shamon ki bhi palken bojhal rahti thin ek ye din jab zehn mein sari ayyari ki baaten hain ek wo din jab dil mein bholi-bhaali baaten rahti thin ek ye din jab lakhon gham aur kal pada hai aansu ka ek wo din jab ek zara si baat pe nadiyan bahti thin ek ye ghar jis ghar mein mera saz-o-saman rahta hai ek wo ghar jis ghar mein meri budhi nani rahti thin
abhi zinda hai man meri mujhe kuchh bhi nahin hoga main ghar se jab nikalta hun dua bhi sath chalti hai
ye kaamyabiyan izzat ye nam tum se hai
ye kamyabiyan izzat ye naam tum se hai ai meri maan mira saara maqam tum se hai tumhare dam se hain mere lahu men khilte gulab mire vajud ka saara nizam tum se hai gali gali men jo avara phir raha hota jahan-bhar men vahi nek-nam tum se hai kahan bisat-e-jahan aur main kamsin-o-nadan ye meri jiit ka sab ehtimam tum se hai jahan jahan hai miri dushmani sabab men huun jahan jahan hai mira ehtiram tum se hai ai meri maan mujhe har-pal rahe tumhara khayal tum hi se subh miri meri shaam tum se hai ye kamyabiyan izzat ye naam tum se hai ai meri maan mira saara maqam tum se hai ye kaamyabiyan izzat ye nam tum se hai ai meri man mera sara maqam tum se hai tumhaare dam se hain mere lahu mein khilte gulab mere wajud ka sara nizam tum se hai gali gali mein jo aawara phir raha hota jahan-bhar mein wahi nek-nam tum se hai kahan bisat-e-jahan aur main kamsin-o-nadan ye meri jit ka sab ehtimam tum se hai jahan jahan hai meri dushmani sabab mein hun jahan jahan hai mera ehtiram tum se hai ai meri man mujhe har-pal rahe tumhaara khayal tum hi se subh meri meri sham tum se hai ye kaamyabiyan izzat ye nam tum se hai ai meri man mera sara maqam tum se hai
is tarah mere gunahon ko wo dho deti hai man bahut ghusse mein hoti hai to ro deti hai
besan ki saundhi roti par khatti chatni jaisi man
besan ki saundhi roti par khatti chatni jaisi maan yaad aati hai! chauka basan chimta phukni jaisi maan baans ki kharri khaat ke uupar har aahat par kaan dhare aadhi soi aadhi jaagi thaki do-pahri jaisi maan chidiyon ki chahkar men gunje radha mohan ali ali murghhe ki avaz se bajti ghar ki kundi jaisi maan biivi beti bahan padosan thodi thodi si sab men din bhar ik rassi ke uupar chalti natni jaisi maan baant ke apna chehra matha ankhen jaane kahan gai phate purane ik album men chanchal ladki jaisi maan besan ki saundhi roti par khatti chatni jaisi man yaad aati hai! chauka basan chimta phukni jaisi man bans ki kharri khat ke upar har aahat par kan dhare aadhi soi aadhi jagi thaki do-pahri jaisi man chidiyon ki chahkar mein gunje radha mohan ali ali murghe ki aawaz se bajti ghar ki kundi jaisi man biwi beti bahan padosan thodi thodi si sab mein din bhar ek rassi ke upar chalti natni jaisi man bant ke apna chehra matha aankhen jaane kahan gai phate purane ek album mein chanchal ladki jaisi man
dua ko hat uthate hue larazta hun kabhi dua nahin mangi thi man ke hote hue
kuchh faede bhi hote hain ujde makan ke
kuchh faede bhi hote hain ujde makan ke alfaz is men gunjte hain raftagan ke ai chand is men teri bhi sazish zarur hai taare kidhar gae hain mire asman ke ud jaega yaqin ke pinjre ko tod kar thode se par nikalne do vahm-o-guman ke ghhazlen miri bacha lo bure vaqt ke liye alfaz bech dalna mujh be-zaban ke karbal ki ret dekh ke itne the mutmain jaise ki muntazir hon isi imtihan ke ik baar mere lafzon ko padh kar zaban se kirdar zinda kar do miri dastan ke itna asar to rakhti hai maan ki du'a 'ali' dekhe hain main ne khulte kivad asman ke kuchh faede bhi hote hain ujde makan ke alfaz is mein gunjte hain raftagan ke ai chand is mein teri bhi sazish zarur hai tare kidhar gae hain mere aasman ke ud jaega yaqin ke pinjre ko tod kar thode se par nikalne do wahm-o-guman ke ghazlen meri bacha lo bure waqt ke liye alfaz bech dalna mujh be-zaban ke karbal ki ret dekh ke itne the mutmain jaise ki muntazir hon isi imtihan ke ek bar mere lafzon ko padh kar zaban se kirdar zinda kar do meri dastan ke itna asar to rakhti hai man ki du'a 'ali' dekhe hain main ne khulte kiwad aasman ke
kisi ko ghar mila hisse mein ya koi dukan aai main ghar mein sab se chhota tha mere hisse mein man aai
man bap aur ustad sab hain khuda ki rahmat hai rok-tok un ki haq mein tumhaare neamat
jab bhi kashti meri sailab mein aa jati hai man dua karti hui khwab mein aa jati hai translation whenever my boat comes amidst tempest, mother comes praying in my dreams. sagar akbarabadi
ghar laut ke roenge man bap akele mein mitti ke khilaune bhi saste na the mele mein
man ki dua na bap ki shafqat ka saya hai aaj apne sath apna janam din manaya hai
tere daman mein sitare hain to honge ai falak mujh ko apni man ki maili odhni achchhi lagi
munawwar man ke aage yun kabhi khul kar nahin rona jahan buniyaad ho itni nami achchhi nahin hoti
barbaad kar diya hamein pardes ne magar man sab se kah rahi hai ki beta maze mein hai
kal apne-ap ko dekha tha man ki aankhon mein ye aaina hamein budha nahin batata hai
muddaton ba'd mayassar hua man ka aanchal muddaton ba'd hamein nind suhani aai
man ki aaghosh mein kal maut ki aaghosh mein aaj hum ko duniya mein ye do waqt suhane se mile
ye aisa qarz hai jo main ada kar hi nahin sakta main jab tak ghar na lautun meri man sajde mein rahti hai
kitabon se nikal kar titliyan ghazlen sunati hain tiffin rakhti hai meri man to basta muskuraata hai
shahr mein aa kar padhne wale bhul gae kis ki man ne kitna zewar becha tha
ghar ki is bar mukammal main talashi lunga gham chhupa kar mere man bap kahan rakhte the
ai raat mujhe man ki tarah god mein le le din bhar ki mashaqqat se badan tut raha hai
main ne kal shab chahaton ki sab kitaben phad den sirf ek kaghaz pe likkha lafz-e-man rahne diya
sab ne mana marne wala dahshat-gard aur qatil tha man ne phir bhi qabr pe us ki raj-dulara likkha tha
jab tak matha chum ke rukhsat karne wali zinda thi darwaze ke bahar tak bhi munh mein luqma hota tha
Explore Similar Collections
Mother FAQs
Mother collection me kya milega?
Mother se related curated sher, selected ghazal excerpts aur context-friendly reading flow milega.
Kya is page ki links internal hain?
Haan, collection links, writer links aur detail links sab Kuch Alfaaz ke internal routes par map kiye gaye hain.
Collection ko kaise explore karein?
Type filter (Sher/Ghazal/Nazm), featured picks aur similar collections rail use karke fast discovery kar sakte hain.