kise khabar hai ki umr bas us pe ghaur karne mein kat rahi hai
kise khabar hai ki umr bas us pe ghhaur karne men kat rahi hai
ki ye udasi hamare jismon se kis khushi men lipat rahi hai
ajiib dukh hai ham us ke ho kar bhi us ko chhune se dar rahe hain
ajiib dukh hai hamare hisse ki aag auron men bat rahi hai
main us ko har roz bas yahi ek jhuut sunne ko phone karta
suno yahan koi masala hai tumhari avaz kat rahi hai
mujh aise pedon ke sukhne aur sabz hone se kya kisi ko
ye bel shayad kisi musibat men hai jo mujh se lipat rahi hai
ye vaqt aane pe apni aulad apne ajdad bech degi
jo fauj dushman ko apna salar girvi rakh kar palat rahi hai
so is ta'alluq men jo ghhalat-fahmiyan thiin ab duur ho rahi hain
ruki hui gadiyon ke chalne ka vaqt hai dhundh chhat rahi hai
kise khabar hai ki umr bas us pe ghaur karne mein kat rahi hai
ki ye udasi hamare jismon se kis khushi mein lipat rahi hai
ajib dukh hai hum us ke ho kar bhi us ko chhune se dar rahe hain
ajib dukh hai hamare hisse ki aag auron mein bat rahi hai
main us ko har roz bas yahi ek jhut sunne ko phone karta
suno yahan koi masala hai tumhaari aawaz kat rahi hai
mujh aise pedon ke sukhne aur sabz hone se kya kisi ko
ye bel shayad kisi musibat mein hai jo mujh se lipat rahi hai
ye waqt aane pe apni aulad apne ajdad bech degi
jo fauj dushman ko apna salar girwi rakh kar palat rahi hai
so is ta'alluq mein jo ghalat-fahmiyan thin ab dur ho rahi hain
ruki hui gadiyon ke chalne ka waqt hai dhundh chhat rahi hai
subh hoti hai sham hoti hai
umr yunhi tamam hoti hai
waqt rahta nahin kahin tik kar
aadat is ki bhi aadmi si hai
dost ban kar bhi nahin sath nibhane wala
dost ban kar bhi nahin saath nibhane vaala
vahi andaz hai zalim ka zamane vaala
ab use log samajhte hain giraftar mira
sakht nadim hai mujhe daam men laane vaala
subh-dam chhod gaya nikhat-e-gul ki surat
raat ko ghhuncha-e-dil men simat aane vaala
kya kahen kitne marasim the hamare us se
vo jo ik shakhs hai munh pher ke jaane vaala
tere hote hue aa jaati thi saari duniya
aaj tanha huun to koi nahin aane vaala
muntazir kis ka huun tuuti hui dahliz pe main
kaun aaega yahan kaun hai aane vaala
kya khabar thi jo miri jaan men ghula hai itna
hai vahi mujh ko sar-e-dar bhi laane vaala
main ne dekha hai baharon men chaman ko jalte
hai koi khvab ki tabir batane vaala
tum takalluf ko bhi ikhlas samajhte ho 'faraz'
dost hota nahin har haath milane vaala
dost ban kar bhi nahin sath nibhane wala
wahi andaz hai zalim ka zamane wala
ab use log samajhte hain giraftar mera
sakht nadim hai mujhe dam mein lane wala
subh-dam chhod gaya nikhat-e-gul ki surat
raat ko ghuncha-e-dil mein simat aane wala
kya kahen kitne marasim the hamare us se
wo jo ek shakhs hai munh pher ke jaane wala
tere hote hue aa jati thi sari duniya
aaj tanha hun to koi nahin aane wala
muntazir kis ka hun tuti hui dahliz pe main
kaun aaega yahan kaun hai aane wala
kya khabar thi jo meri jaan mein ghula hai itna
hai wahi mujh ko sar-e-dar bhi lane wala
main ne dekha hai bahaaron mein chaman ko jalte
hai koi khwab ki tabir batane wala
tum takalluf ko bhi ikhlas samajhte ho 'faraaz'
dost hota nahin har hath milane wala
waqt karta hai parwarish barson
hadisa ek dam nahin hota
pyar ka pahla khat likhne mein waqt to lagta hai
pyaar ka pahla khat likhne men vaqt to lagta hai
nae parindon ko udne men vaqt to lagta hai
jism ki baat nahin thi un ke dil tak jaana tha
lambi duuri tai karne men vaqt to lagta hai
ganth agar lag jaae to phir rishte hon ya dori
laakh karen koshish khulne men vaqt to lagta hai
ham ne ilaj-e-zakhm-e-dil to dhund liya lekin
gahre zakhmon ko bharne men vaqt to lagta hai
pyar ka pahla khat likhne mein waqt to lagta hai
nae parindon ko udne mein waqt to lagta hai
jism ki baat nahin thi un ke dil tak jaana tha
lambi duri tai karne mein waqt to lagta hai
ganth agar lag jae to phir rishte hon ya dori
lakh karen koshish khulne mein waqt to lagta hai
hum ne ilaj-e-zakhm-e-dil to dhund liya lekin
gahre zakhmon ko bharne mein waqt to lagta hai
waqt achchha bhi aaega 'nasir'
gham na kar zindagi padi hai abhi
dukh fasana nahin ki tujhse kahen
dukh fasana nahin ki tujh se kahen
dil bhi maana nahin ki tujh se kahen
aaj tak apni bekali ka sabab
khud bhi jaana nahin ki tujh se kahen
be-tarah hal-e-dil hai aur tujh se
dostana nahin ki tujh se kahen
ek tu harf-e-ashna tha magar
ab zamana nahin ki tujh se kahen
qasida ham faqir logon ka
ik thikana nahin ki tujh se kahen
ai khuda dard-e-dil hai bakhshish-e-dost
ab-o-dana nahin ki tujh se kahen
ab to apna bhi us gali men 'faraz'
aana jaana nahin ki tujh se kahen
dukh fasana nahin ki tujh se kahen
dil bhi mana nahin ki tujh se kahen
aaj tak apni bekali ka sabab
khud bhi jaana nahin ki tujh se kahen
be-tarah haal-e-dil hai aur tujh se
dostana nahin ki tujh se kahen
ek tu harf-e-ashna tha magar
ab zamana nahin ki tujh se kahen
qasida hum faqir logon ka
ek thikana nahin ki tujh se kahen
ai khuda dard-e-dil hai bakhshish-e-dost
aab-o-dana nahin ki tujh se kahen
ab to apna bhi us gali mein 'faraaz'
aana jaana nahin ki tujh se kahen
aadmi waqt par gaya hoga
aadmi vaqt par gaya hoga
vaqt pahle guzar gaya hoga
vo hamari taraf na dekh ke bhi
koi ehsan dhar gaya hoga
khud se mayus ho ke baitha huun
aaj har shakhs mar gaya hoga
shaam tere dayar men akhir
koi to apne ghar gaya hoga
marham-e-hijr tha ajab iksir
ab to har zakhm bhar gaya hoga
aadmi waqt par gaya hoga
waqt pahle guzar gaya hoga
wo hamari taraf na dekh ke bhi
koi ehsan dhar gaya hoga
khud se mayus ho ke baitha hun
aaj har shakhs mar gaya hoga
sham tere dayar mein aakhir
koi to apne ghar gaya hoga
marham-e-hijr tha ajab iksir
ab to har zakhm bhar gaya hoga
sada aish dauran dikhata nahin
gaya waqt phir hath aata nahin
un ka zikr un ki tamanna un ki yaad
waqt kitna qimti hai aaj kal
her mention, her yearning her memory
o how precious time now seems to me
mil hi jaega kabhi dil ko yaqin rahta hai
mil hi jaega kabhi dil ko yaqin rahta hai
vo isi shahr ki galiyon men kahin rahta hai
jis ki sanson se mahakte the dar-o-bam tire
ai makan bol kahan ab vo makin rahta hai
ik zamana tha ki sab ek jagah rahte the
aur ab koi kahin koi kahin rahta hai
roz milne pe bhi lagta tha ki jug biit gae
ishq men vaqt ka ehsas nahin rahta hai
dil fasurda to hua dekh ke us ko lekin
umr bhar kaun javan kaun hasin rahta hai
mil hi jaega kabhi dil ko yaqin rahta hai
wo isi shahr ki galiyon mein kahin rahta hai
jis ki sanson se mahakte the dar-o-baam tere
ai makan bol kahan ab wo makin rahta hai
ek zamana tha ki sab ek jagah rahte the
aur ab koi kahin koi kahin rahta hai
roz milne pe bhi lagta tha ki jug bit gae
ishq mein waqt ka ehsas nahin rahta hai
dil fasurda to hua dekh ke us ko lekin
umr bhar kaun jawan kaun hasin rahta hai
ek sal gaya ek sal naya hai aane ko
par waqt ka ab bhi hosh nahin diwane ko
main dhundta hun jise wo jahan nahin milta
main dhundta huun jise vo jahan nahin milta
nai zamin naya asman nahin milta
nai zamin naya asman bhi mil jaae
nae bashar ka kahin kuchh nishan nahin milta
vo teghh mil gai jis se hua hai qatl mira
kisi ke haath ka us par nishan nahin milta
vo mera gaanv hai vo mere gaanv ke chulhe
ki jin men shole to shole dhuan nahin milta
jo ik khuda nahin milta to itna matam kyuun
yahan to koi mira ham-zaban nahin milta
khada huun kab se main chehron ke ek jangal men
tumhare chehre ka kuchh bhi yahan nahin milta
main dhundta hun jise wo jahan nahin milta
nai zamin naya aasman nahin milta
nai zamin naya aasman bhi mil jae
nae bashar ka kahin kuchh nishan nahin milta
wo tegh mil gai jis se hua hai qatl mera
kisi ke hath ka us par nishan nahin milta
wo mera ganw hai wo mere ganw ke chulhe
ki jin mein shole to shole dhuan nahin milta
jo ek khuda nahin milta to itna matam kyun
yahan to koi mera ham-zaban nahin milta
khada hun kab se main chehron ke ek jangal mein
tumhaare chehre ka kuchh bhi yahan nahin milta
agar fursat mile pani ki tahriron ko padh lena
har ek dariya hazaron sal ka afsana likhta hai
uske dushman hain bahut aadmi achchha hoga
us ke dushman hain bahut aadmi achchha hoga
vo bhi meri hi tarah shahr men tanha hoga
itna sach bol ki honton ka tabassum na bujhe
raushni khatm na kar aage andhera hoga
pyaas jis nahr se takrai vo banjar nikli
jis ko pichhe kahin chhod aae vo dariya hoga
mire baare men koi raae to hogi us ki
us ne mujh ko bhi kabhi tod ke dekha hoga
ek mahfil men kai mahfilen hoti hain sharik
jis ko bhi paas se dekhoge akela hoga
us ke dushman hain bahut aadmi achchha hoga
wo bhi meri hi tarah shahr mein tanha hoga
itna sach bol ki honton ka tabassum na bujhe
raushni khatm na kar aage andhera hoga
pyas jis nahr se takrai wo banjar nikli
jis ko pichhe kahin chhod aae wo dariya hoga
mere bare mein koi rae to hogi us ki
us ne mujh ko bhi kabhi tod ke dekha hoga
ek mahfil mein kai mahfilen hoti hain sharik
jis ko bhi pas se dekhoge akela hoga
kahte hain umr-e-rafta kabhi lautti nahin
ja mai-kade se meri jawani utha ke la
tis said this fleeting life once gone never returns
go to the tavern and bring back my youth again
ab teri yaad se wahshat nahin hoti mujhko
ab tiri yaad se vahshat nahin hoti mujh ko
zakhm khulte hain aziyyat nahin hoti mujh ko
ab koi aae chala jaae main khush rahta huun
ab kisi shakhs ki aadat nahin hoti mujh ko
aisa badla huun tire shahr ka paani pi kar
jhuut bolun to nadamat nahin hoti mujh ko
hai amanat men khayanat so kisi ki khatir
koi marta hai to hairat nahin hoti mujh ko
tu jo badle tiri tasvir badal jaati hai
rang bharne men suhulat nahin hoti mujh ko
aksar auqat main taabir bata deta huun
baaz auqat ijazat nahin hoti mujh ko
itna masruf huun jiine ki havas men 'shahid'
saans lene ki bhi fursat nahin hoti mujh ko
ab teri yaad se wahshat nahin hoti mujh ko
zakhm khulte hain aziyyat nahin hoti mujh ko
ab koi aae chala jae main khush rahta hun
ab kisi shakhs ki aadat nahin hoti mujh ko
aisa badla hun tere shahr ka pani pi kar
jhut bolun to nadamat nahin hoti mujh ko
hai amanat mein khayanat so kisi ki khatir
koi marta hai to hairat nahin hoti mujh ko
tu jo badle teri taswir badal jati hai
rang bharne mein suhulat nahin hoti mujh ko
aksar auqat main tabir bata deta hun
baz auqat ijazat nahin hoti mujh ko
itna masruf hun jine ki hawas mein 'shahid'
sans lene ki bhi fursat nahin hoti mujh ko
sab kuchh to hai kya dhundti rahti hain nigahen
kya baat hai main waqt pe ghar kyun nahin jata
achchhe din kab aaenge
achchhe din kab aenge
kya yuun hi mar jaenge
apne-ap ko khvabon se
kab tak ham bahlaenge
bambai men thahrenge kahan
dilli men kya khaenge
khilte hain to khilne do
phuul abhi murjhaenge
kitni achchhi ladki hai
barson bhuul na paenge
maut na aai to 'alvi'
chhutti men ghar jaenge
achchhe din kab aaenge
kya yun hi mar jaenge
apne-ap ko khwabon se
kab tak hum bahlaenge
bambai mein thahrenge kahan
dilli mein kya khaenge
khilte hain to khilne do
phul abhi murjhaenge
kitni achchhi ladki hai
barson bhul na paenge
maut na aai to 'alwi'
chhutti mein ghar jaenge
ghazal us ne chhedi mujhe saz dena
zara umr-e-rafta ko aawaz dena
kis shai pe yahan waqt ka saya nahin hota
kis shai pe yahan vaqt ka saaya nahin hota
ik khvab-e-mohabbat hai ki budha nahin hota
vo vaqt bhi aata hai jab ankhon men hamari
phirti hain vo shaklen jinhen dekha nahin hota
barish vo barasti hai ki bhar jaate hain jal-thal
dekho to kahin abr ka tukda nahin hota
ghir jaata hai dil dard ki har band gali men
chaho ki nikal jaaen to rasta nahin hota
yadon pe bhi jam jaati hai jab gard-e-zamana
milta hai vo paighham ki pahuncha nahin hota
tanhai men karni to hai ik baat kisi se
lekin vo kisi vaqt akela nahin hota
kya us se gila kijiye barbadi-e-dil ka
ham se bhi to izhar-e-tamanna nahin hota
kis shai pe yahan waqt ka saya nahin hota
ek khwab-e-mohabbat hai ki budha nahin hota
wo waqt bhi aata hai jab aankhon mein hamari
phirti hain wo shaklen jinhen dekha nahin hota
barish wo barasti hai ki bhar jate hain jal-thal
dekho to kahin abr ka tukda nahin hota
ghir jata hai dil dard ki har band gali mein
chaho ki nikal jaen to rasta nahin hota
yaadon pe bhi jam jati hai jab gard-e-zamana
milta hai wo paigham ki pahuncha nahin hota
tanhai mein karni to hai ek baat kisi se
lekin wo kisi waqt akela nahin hota
kya us se gila kijiye barbaadi-e-dil ka
hum se bhi to izhaar-e-tamanna nahin hota
aur kya chahti hai gardish-e-ayyam ki hum
apna ghar bhul gae un ki gali bhul gae
mahfil-ara the magar phir kam-numa hote gae
mahfil-ara the magar phir kam-numa hote gae
dekhte hi dekhte ham kya se kya hote gae
na-shanasi dahr ki tanha hamen karti gai
hote hote ham zamane se juda hote gae
muntazir jaise the dar shahr-e-firaq-asar ke
ik zara dastak hui dar dam men va hote gae
harf parda-posh the izhare-e-dil ke baab men
harf jitne shahr men the harf-e-la hote gae
vaqt kis tezi se guzra roz-marra men 'munir'
aaj kal hota gaya aur din hava hote gae
mahfil-ara the magar phir kam-numa hote gae
dekhte hi dekhte hum kya se kya hote gae
na-shanasi dahr ki tanha hamein karti gai
hote hote hum zamane se juda hote gae
muntazir jaise the dar shahr-e-firaq-asar ke
ek zara dastak hui dar dam mein wa hote gae
harf parda-posh the izhaare-e-dil ke bab mein
harf jitne shahr mein the harf-e-la hote gae
waqt kis tezi se guzra roz-marra mein 'munir'
aaj kal hota gaya aur din hawa hote gae
dilli mein aaj bhik bhi milti nahin unhen
tha kal talak dimagh jinhen taj-o-takht ka
the couplet contrasts past grandeur with present destitution to show how swiftly fortune turns. “crown and throne” stand for power, prestige, and arrogant self-assurance, while “not even alms” marks utter helplessness. the emotional core is bitter irony: those intoxicated by rule are reduced to begging, yet even begging yields nothing. it warns that worldly authority is fragile and pride invites a harsh fall.
jam takrao waqt nazuk hai
jaam takrao vaqt nazuk hai
rang chhalkao vaqt nazuk hai
hasraton ki hasin qabron par
phuul barsao vaqt nazuk hai
ik fareb aur zindagi ke liye
haath phailao vaqt nazuk hai
rang udne laga hai phulon ka
ab to aa jaao vaqt nazuk hai
tishnagi tishnagi are tauba
zulf lahrao vaqt nazuk hai
bazm-e-'saghhar' hai gosh-bar-avaz
kuchh to farmao vaqt nazuk hai
jam takrao waqt nazuk hai
rang chhalkao waqt nazuk hai
hasraton ki hasin qabron par
phul barsao waqt nazuk hai
ek fareb aur zindagi ke liye
hath phailao waqt nazuk hai
rang udne laga hai phulon ka
ab to aa jao waqt nazuk hai
tishnagi tishnagi are tauba
zulf lahrao waqt nazuk hai
bazm-e-'saghar' hai gosh-bar-awaz
kuchh to farmao waqt nazuk hai
jab aa jati hai duniya ghum phir kar apne markaz par
to wapas laut kar guzre zamane kyun nahin aate
bahut din se tumhein dekha nahin tha
bahut din se tumhen dekha nahin tha
badan itna kabhi suuna nahin tha
vo kaisi shab thi jo kaali nahin thi
vo kaisa din tha jo ujla nahin tha
ye virana na tha viran itna
ye sahra is qadar sahra nahin tha
vo sab kuchh sochna ab pad raha hai
tire baare men jo socha nahin tha
kisi ik zakhm ke lab khul gae the
main itni zor se chikha nahin tha
mujhe tum se koi shikva nahin hai
bahut din ho gae roya nahin tha
kai atraf khulte ja rahe hain
vo dushman tha magar itna nahin tha
bahut din se tumhein dekha nahin tha
badan itna kabhi suna nahin tha
wo kaisi shab thi jo kali nahin thi
wo kaisa din tha jo ujla nahin tha
ye virana na tha viran itna
ye sahra is qadar sahra nahin tha
wo sab kuchh sochna ab pad raha hai
tere bare mein jo socha nahin tha
kisi ek zakhm ke lab khul gae the
main itni zor se chikha nahin tha
mujhe tum se koi shikwa nahin hai
bahut din ho gae roya nahin tha
kai atraf khulte ja rahe hain
wo dushman tha magar itna nahin tha
ya wo the khafa hum se ya hum hain khafa un se
kal un ka zamana tha aaj apna zamana hai
din ek ke baad ek guzarte hue bhi dekh
din ik ke baa'd ek guzarte hue bhi dekh
ik din tu apne aap ko marte hue bhi dekh
har vaqt khilte phuul ki janib taka na kar
murjha ke pattiyon ko bikharte hue bhi dekh
haan dekh barf girti hui baal baal par
tapte hue khayal thithurte hue bhi dekh
apnon men rah ke kis liye sahma hua hai tu
aa mujh ko dushmanon se na darte hue bhi dekh
paivand badalon ke lage dekh ja-ba-ja
baglon ko asman katarte hue bhi dekh
hairan mat ho tairti machhli ko dekh kar
paani men raushni ko utarte hue bhi dekh
us ko khabar nahin hai abhi apne husn ki
aina de ke bante-e-sanvarte hue bhi dekh
dekha na hoga tu ne magar intizar men
chalte hue samay ko thaharte hue bhi dekh
tarif sun ke dost se 'alvi' tu khush na ho
us ko tiri buraiyan karte hue bhi dekh
din ek ke ba'd ek guzarte hue bhi dekh
ek din tu apne aap ko marte hue bhi dekh
har waqt khilte phul ki jaanib taka na kar
murjha ke pattiyon ko bikharte hue bhi dekh
han dekh barf girti hui baal baal par
tapte hue khayal thithurte hue bhi dekh
apnon mein rah ke kis liye sahma hua hai tu
aa mujh ko dushmanon se na darte hue bhi dekh
paiwand baadalon ke lage dekh ja-ba-ja
baglon ko aasman katarte hue bhi dekh
hairan mat ho tairti machhli ko dekh kar
pani mein raushni ko utarte hue bhi dekh
us ko khabar nahin hai abhi apne husn ki
aaina de ke bante-e-sanwarte hue bhi dekh
dekha na hoga tu ne magar intizar mein
chalte hue samay ko thaharte hue bhi dekh
tarif sun ke dost se 'alwi' tu khush na ho
us ko teri buraiyan karte hue bhi dekh