kise khabar hai ki umr bas us pe ghaur karne mein kat rahi hai
kise khabar hai ki umr bas us pe ghhaur karne men kat rahi hai
ki ye udasi hamare jismon se kis khushi men lipat rahi hai
ajiib dukh hai ham us ke ho kar bhi us ko chhune se dar rahe hain
ajiib dukh hai hamare hisse ki aag auron men bat rahi hai
main us ko har roz bas yahi ek jhuut sunne ko phone karta
suno yahan koi masala hai tumhari avaz kat rahi hai
mujh aise pedon ke sukhne aur sabz hone se kya kisi ko
ye bel shayad kisi musibat men hai jo mujh se lipat rahi hai
ye vaqt aane pe apni aulad apne ajdad bech degi
jo fauj dushman ko apna salar girvi rakh kar palat rahi hai
so is ta'alluq men jo ghhalat-fahmiyan thiin ab duur ho rahi hain
ruki hui gadiyon ke chalne ka vaqt hai dhundh chhat rahi hai
kise khabar hai ki umr bas us pe ghaur karne mein kat rahi hai
ki ye udasi hamare jismon se kis khushi mein lipat rahi hai
ajib dukh hai hum us ke ho kar bhi us ko chhune se dar rahe hain
ajib dukh hai hamare hisse ki aag auron mein bat rahi hai
main us ko har roz bas yahi ek jhut sunne ko phone karta
suno yahan koi masala hai tumhaari aawaz kat rahi hai
mujh aise pedon ke sukhne aur sabz hone se kya kisi ko
ye bel shayad kisi musibat mein hai jo mujh se lipat rahi hai
ye waqt aane pe apni aulad apne ajdad bech degi
jo fauj dushman ko apna salar girwi rakh kar palat rahi hai
so is ta'alluq mein jo ghalat-fahmiyan thin ab dur ho rahi hain
ruki hui gadiyon ke chalne ka waqt hai dhundh chhat rahi hai
dost ban kar bhi nahin sath nibhane wala
dost ban kar bhi nahin saath nibhane vaala
vahi andaz hai zalim ka zamane vaala
ab use log samajhte hain giraftar mira
sakht nadim hai mujhe daam men laane vaala
subh-dam chhod gaya nikhat-e-gul ki surat
raat ko ghhuncha-e-dil men simat aane vaala
kya kahen kitne marasim the hamare us se
vo jo ik shakhs hai munh pher ke jaane vaala
tere hote hue aa jaati thi saari duniya
aaj tanha huun to koi nahin aane vaala
muntazir kis ka huun tuuti hui dahliz pe main
kaun aaega yahan kaun hai aane vaala
kya khabar thi jo miri jaan men ghula hai itna
hai vahi mujh ko sar-e-dar bhi laane vaala
main ne dekha hai baharon men chaman ko jalte
hai koi khvab ki tabir batane vaala
tum takalluf ko bhi ikhlas samajhte ho 'faraz'
dost hota nahin har haath milane vaala
dost ban kar bhi nahin sath nibhane wala
wahi andaz hai zalim ka zamane wala
ab use log samajhte hain giraftar mera
sakht nadim hai mujhe dam mein lane wala
subh-dam chhod gaya nikhat-e-gul ki surat
raat ko ghuncha-e-dil mein simat aane wala
kya kahen kitne marasim the hamare us se
wo jo ek shakhs hai munh pher ke jaane wala
tere hote hue aa jati thi sari duniya
aaj tanha hun to koi nahin aane wala
muntazir kis ka hun tuti hui dahliz pe main
kaun aaega yahan kaun hai aane wala
kya khabar thi jo meri jaan mein ghula hai itna
hai wahi mujh ko sar-e-dar bhi lane wala
main ne dekha hai bahaaron mein chaman ko jalte
hai koi khwab ki tabir batane wala
tum takalluf ko bhi ikhlas samajhte ho 'faraaz'
dost hota nahin har hath milane wala
pyar ka pahla khat likhne mein waqt to lagta hai
pyaar ka pahla khat likhne men vaqt to lagta hai
nae parindon ko udne men vaqt to lagta hai
jism ki baat nahin thi un ke dil tak jaana tha
lambi duuri tai karne men vaqt to lagta hai
ganth agar lag jaae to phir rishte hon ya dori
laakh karen koshish khulne men vaqt to lagta hai
ham ne ilaj-e-zakhm-e-dil to dhund liya lekin
gahre zakhmon ko bharne men vaqt to lagta hai
pyar ka pahla khat likhne mein waqt to lagta hai
nae parindon ko udne mein waqt to lagta hai
jism ki baat nahin thi un ke dil tak jaana tha
lambi duri tai karne mein waqt to lagta hai
ganth agar lag jae to phir rishte hon ya dori
lakh karen koshish khulne mein waqt to lagta hai
hum ne ilaj-e-zakhm-e-dil to dhund liya lekin
gahre zakhmon ko bharne mein waqt to lagta hai
dukh fasana nahin ki tujhse kahen
dukh fasana nahin ki tujh se kahen
dil bhi maana nahin ki tujh se kahen
aaj tak apni bekali ka sabab
khud bhi jaana nahin ki tujh se kahen
be-tarah hal-e-dil hai aur tujh se
dostana nahin ki tujh se kahen
ek tu harf-e-ashna tha magar
ab zamana nahin ki tujh se kahen
qasida ham faqir logon ka
ik thikana nahin ki tujh se kahen
ai khuda dard-e-dil hai bakhshish-e-dost
ab-o-dana nahin ki tujh se kahen
ab to apna bhi us gali men 'faraz'
aana jaana nahin ki tujh se kahen
dukh fasana nahin ki tujh se kahen
dil bhi mana nahin ki tujh se kahen
aaj tak apni bekali ka sabab
khud bhi jaana nahin ki tujh se kahen
be-tarah haal-e-dil hai aur tujh se
dostana nahin ki tujh se kahen
ek tu harf-e-ashna tha magar
ab zamana nahin ki tujh se kahen
qasida hum faqir logon ka
ek thikana nahin ki tujh se kahen
ai khuda dard-e-dil hai bakhshish-e-dost
aab-o-dana nahin ki tujh se kahen
ab to apna bhi us gali mein 'faraaz'
aana jaana nahin ki tujh se kahen
aadmi waqt par gaya hoga
aadmi vaqt par gaya hoga
vaqt pahle guzar gaya hoga
vo hamari taraf na dekh ke bhi
koi ehsan dhar gaya hoga
khud se mayus ho ke baitha huun
aaj har shakhs mar gaya hoga
shaam tere dayar men akhir
koi to apne ghar gaya hoga
marham-e-hijr tha ajab iksir
ab to har zakhm bhar gaya hoga
aadmi waqt par gaya hoga
waqt pahle guzar gaya hoga
wo hamari taraf na dekh ke bhi
koi ehsan dhar gaya hoga
khud se mayus ho ke baitha hun
aaj har shakhs mar gaya hoga
sham tere dayar mein aakhir
koi to apne ghar gaya hoga
marham-e-hijr tha ajab iksir
ab to har zakhm bhar gaya hoga
mil hi jaega kabhi dil ko yaqin rahta hai
mil hi jaega kabhi dil ko yaqin rahta hai
vo isi shahr ki galiyon men kahin rahta hai
jis ki sanson se mahakte the dar-o-bam tire
ai makan bol kahan ab vo makin rahta hai
ik zamana tha ki sab ek jagah rahte the
aur ab koi kahin koi kahin rahta hai
roz milne pe bhi lagta tha ki jug biit gae
ishq men vaqt ka ehsas nahin rahta hai
dil fasurda to hua dekh ke us ko lekin
umr bhar kaun javan kaun hasin rahta hai
mil hi jaega kabhi dil ko yaqin rahta hai
wo isi shahr ki galiyon mein kahin rahta hai
jis ki sanson se mahakte the dar-o-baam tere
ai makan bol kahan ab wo makin rahta hai
ek zamana tha ki sab ek jagah rahte the
aur ab koi kahin koi kahin rahta hai
roz milne pe bhi lagta tha ki jug bit gae
ishq mein waqt ka ehsas nahin rahta hai
dil fasurda to hua dekh ke us ko lekin
umr bhar kaun jawan kaun hasin rahta hai
main dhundta hun jise wo jahan nahin milta
main dhundta huun jise vo jahan nahin milta
nai zamin naya asman nahin milta
nai zamin naya asman bhi mil jaae
nae bashar ka kahin kuchh nishan nahin milta
vo teghh mil gai jis se hua hai qatl mira
kisi ke haath ka us par nishan nahin milta
vo mera gaanv hai vo mere gaanv ke chulhe
ki jin men shole to shole dhuan nahin milta
jo ik khuda nahin milta to itna matam kyuun
yahan to koi mira ham-zaban nahin milta
khada huun kab se main chehron ke ek jangal men
tumhare chehre ka kuchh bhi yahan nahin milta
main dhundta hun jise wo jahan nahin milta
nai zamin naya aasman nahin milta
nai zamin naya aasman bhi mil jae
nae bashar ka kahin kuchh nishan nahin milta
wo tegh mil gai jis se hua hai qatl mera
kisi ke hath ka us par nishan nahin milta
wo mera ganw hai wo mere ganw ke chulhe
ki jin mein shole to shole dhuan nahin milta
jo ek khuda nahin milta to itna matam kyun
yahan to koi mera ham-zaban nahin milta
khada hun kab se main chehron ke ek jangal mein
tumhaare chehre ka kuchh bhi yahan nahin milta
uske dushman hain bahut aadmi achchha hoga
us ke dushman hain bahut aadmi achchha hoga
vo bhi meri hi tarah shahr men tanha hoga
itna sach bol ki honton ka tabassum na bujhe
raushni khatm na kar aage andhera hoga
pyaas jis nahr se takrai vo banjar nikli
jis ko pichhe kahin chhod aae vo dariya hoga
mire baare men koi raae to hogi us ki
us ne mujh ko bhi kabhi tod ke dekha hoga
ek mahfil men kai mahfilen hoti hain sharik
jis ko bhi paas se dekhoge akela hoga
us ke dushman hain bahut aadmi achchha hoga
wo bhi meri hi tarah shahr mein tanha hoga
itna sach bol ki honton ka tabassum na bujhe
raushni khatm na kar aage andhera hoga
pyas jis nahr se takrai wo banjar nikli
jis ko pichhe kahin chhod aae wo dariya hoga
mere bare mein koi rae to hogi us ki
us ne mujh ko bhi kabhi tod ke dekha hoga
ek mahfil mein kai mahfilen hoti hain sharik
jis ko bhi pas se dekhoge akela hoga
ab teri yaad se wahshat nahin hoti mujhko
ab tiri yaad se vahshat nahin hoti mujh ko
zakhm khulte hain aziyyat nahin hoti mujh ko
ab koi aae chala jaae main khush rahta huun
ab kisi shakhs ki aadat nahin hoti mujh ko
aisa badla huun tire shahr ka paani pi kar
jhuut bolun to nadamat nahin hoti mujh ko
hai amanat men khayanat so kisi ki khatir
koi marta hai to hairat nahin hoti mujh ko
tu jo badle tiri tasvir badal jaati hai
rang bharne men suhulat nahin hoti mujh ko
aksar auqat main taabir bata deta huun
baaz auqat ijazat nahin hoti mujh ko
itna masruf huun jiine ki havas men 'shahid'
saans lene ki bhi fursat nahin hoti mujh ko
ab teri yaad se wahshat nahin hoti mujh ko
zakhm khulte hain aziyyat nahin hoti mujh ko
ab koi aae chala jae main khush rahta hun
ab kisi shakhs ki aadat nahin hoti mujh ko
aisa badla hun tere shahr ka pani pi kar
jhut bolun to nadamat nahin hoti mujh ko
hai amanat mein khayanat so kisi ki khatir
koi marta hai to hairat nahin hoti mujh ko
tu jo badle teri taswir badal jati hai
rang bharne mein suhulat nahin hoti mujh ko
aksar auqat main tabir bata deta hun
baz auqat ijazat nahin hoti mujh ko
itna masruf hun jine ki hawas mein 'shahid'
sans lene ki bhi fursat nahin hoti mujh ko
achchhe din kab aaenge
achchhe din kab aenge
kya yuun hi mar jaenge
apne-ap ko khvabon se
kab tak ham bahlaenge
bambai men thahrenge kahan
dilli men kya khaenge
khilte hain to khilne do
phuul abhi murjhaenge
kitni achchhi ladki hai
barson bhuul na paenge
maut na aai to 'alvi'
chhutti men ghar jaenge
achchhe din kab aaenge
kya yun hi mar jaenge
apne-ap ko khwabon se
kab tak hum bahlaenge
bambai mein thahrenge kahan
dilli mein kya khaenge
khilte hain to khilne do
phul abhi murjhaenge
kitni achchhi ladki hai
barson bhul na paenge
maut na aai to 'alwi'
chhutti mein ghar jaenge
kis shai pe yahan waqt ka saya nahin hota
kis shai pe yahan vaqt ka saaya nahin hota
ik khvab-e-mohabbat hai ki budha nahin hota
vo vaqt bhi aata hai jab ankhon men hamari
phirti hain vo shaklen jinhen dekha nahin hota
barish vo barasti hai ki bhar jaate hain jal-thal
dekho to kahin abr ka tukda nahin hota
ghir jaata hai dil dard ki har band gali men
chaho ki nikal jaaen to rasta nahin hota
yadon pe bhi jam jaati hai jab gard-e-zamana
milta hai vo paighham ki pahuncha nahin hota
tanhai men karni to hai ik baat kisi se
lekin vo kisi vaqt akela nahin hota
kya us se gila kijiye barbadi-e-dil ka
ham se bhi to izhar-e-tamanna nahin hota
kis shai pe yahan waqt ka saya nahin hota
ek khwab-e-mohabbat hai ki budha nahin hota
wo waqt bhi aata hai jab aankhon mein hamari
phirti hain wo shaklen jinhen dekha nahin hota
barish wo barasti hai ki bhar jate hain jal-thal
dekho to kahin abr ka tukda nahin hota
ghir jata hai dil dard ki har band gali mein
chaho ki nikal jaen to rasta nahin hota
yaadon pe bhi jam jati hai jab gard-e-zamana
milta hai wo paigham ki pahuncha nahin hota
tanhai mein karni to hai ek baat kisi se
lekin wo kisi waqt akela nahin hota
kya us se gila kijiye barbaadi-e-dil ka
hum se bhi to izhaar-e-tamanna nahin hota
mahfil-ara the magar phir kam-numa hote gae
mahfil-ara the magar phir kam-numa hote gae
dekhte hi dekhte ham kya se kya hote gae
na-shanasi dahr ki tanha hamen karti gai
hote hote ham zamane se juda hote gae
muntazir jaise the dar shahr-e-firaq-asar ke
ik zara dastak hui dar dam men va hote gae
harf parda-posh the izhare-e-dil ke baab men
harf jitne shahr men the harf-e-la hote gae
vaqt kis tezi se guzra roz-marra men 'munir'
aaj kal hota gaya aur din hava hote gae
mahfil-ara the magar phir kam-numa hote gae
dekhte hi dekhte hum kya se kya hote gae
na-shanasi dahr ki tanha hamein karti gai
hote hote hum zamane se juda hote gae
muntazir jaise the dar shahr-e-firaq-asar ke
ek zara dastak hui dar dam mein wa hote gae
harf parda-posh the izhaare-e-dil ke bab mein
harf jitne shahr mein the harf-e-la hote gae
waqt kis tezi se guzra roz-marra mein 'munir'
aaj kal hota gaya aur din hawa hote gae
jam takrao waqt nazuk hai
jaam takrao vaqt nazuk hai
rang chhalkao vaqt nazuk hai
hasraton ki hasin qabron par
phuul barsao vaqt nazuk hai
ik fareb aur zindagi ke liye
haath phailao vaqt nazuk hai
rang udne laga hai phulon ka
ab to aa jaao vaqt nazuk hai
tishnagi tishnagi are tauba
zulf lahrao vaqt nazuk hai
bazm-e-'saghhar' hai gosh-bar-avaz
kuchh to farmao vaqt nazuk hai
jam takrao waqt nazuk hai
rang chhalkao waqt nazuk hai
hasraton ki hasin qabron par
phul barsao waqt nazuk hai
ek fareb aur zindagi ke liye
hath phailao waqt nazuk hai
rang udne laga hai phulon ka
ab to aa jao waqt nazuk hai
tishnagi tishnagi are tauba
zulf lahrao waqt nazuk hai
bazm-e-'saghar' hai gosh-bar-awaz
kuchh to farmao waqt nazuk hai
bahut din se tumhein dekha nahin tha
bahut din se tumhen dekha nahin tha
badan itna kabhi suuna nahin tha
vo kaisi shab thi jo kaali nahin thi
vo kaisa din tha jo ujla nahin tha
ye virana na tha viran itna
ye sahra is qadar sahra nahin tha
vo sab kuchh sochna ab pad raha hai
tire baare men jo socha nahin tha
kisi ik zakhm ke lab khul gae the
main itni zor se chikha nahin tha
mujhe tum se koi shikva nahin hai
bahut din ho gae roya nahin tha
kai atraf khulte ja rahe hain
vo dushman tha magar itna nahin tha
bahut din se tumhein dekha nahin tha
badan itna kabhi suna nahin tha
wo kaisi shab thi jo kali nahin thi
wo kaisa din tha jo ujla nahin tha
ye virana na tha viran itna
ye sahra is qadar sahra nahin tha
wo sab kuchh sochna ab pad raha hai
tere bare mein jo socha nahin tha
kisi ek zakhm ke lab khul gae the
main itni zor se chikha nahin tha
mujhe tum se koi shikwa nahin hai
bahut din ho gae roya nahin tha
kai atraf khulte ja rahe hain
wo dushman tha magar itna nahin tha
din ek ke baad ek guzarte hue bhi dekh
din ik ke baa'd ek guzarte hue bhi dekh
ik din tu apne aap ko marte hue bhi dekh
har vaqt khilte phuul ki janib taka na kar
murjha ke pattiyon ko bikharte hue bhi dekh
haan dekh barf girti hui baal baal par
tapte hue khayal thithurte hue bhi dekh
apnon men rah ke kis liye sahma hua hai tu
aa mujh ko dushmanon se na darte hue bhi dekh
paivand badalon ke lage dekh ja-ba-ja
baglon ko asman katarte hue bhi dekh
hairan mat ho tairti machhli ko dekh kar
paani men raushni ko utarte hue bhi dekh
us ko khabar nahin hai abhi apne husn ki
aina de ke bante-e-sanvarte hue bhi dekh
dekha na hoga tu ne magar intizar men
chalte hue samay ko thaharte hue bhi dekh
tarif sun ke dost se 'alvi' tu khush na ho
us ko tiri buraiyan karte hue bhi dekh
din ek ke ba'd ek guzarte hue bhi dekh
ek din tu apne aap ko marte hue bhi dekh
har waqt khilte phul ki jaanib taka na kar
murjha ke pattiyon ko bikharte hue bhi dekh
han dekh barf girti hui baal baal par
tapte hue khayal thithurte hue bhi dekh
apnon mein rah ke kis liye sahma hua hai tu
aa mujh ko dushmanon se na darte hue bhi dekh
paiwand baadalon ke lage dekh ja-ba-ja
baglon ko aasman katarte hue bhi dekh
hairan mat ho tairti machhli ko dekh kar
pani mein raushni ko utarte hue bhi dekh
us ko khabar nahin hai abhi apne husn ki
aaina de ke bante-e-sanwarte hue bhi dekh
dekha na hoga tu ne magar intizar mein
chalte hue samay ko thaharte hue bhi dekh
tarif sun ke dost se 'alwi' tu khush na ho
us ko teri buraiyan karte hue bhi dekh
dil hai badi khushi se ise paemal kar
dil hai badi khushi se ise paemal kar
lekin tire nisar zara dekh-bhal kar
itna to dil-fareb na tha dam-e-zindagi
le aae e'tibar ke sanche men dhaal kar
saaqi mire khulus ki shiddat ko dekhna
phir aa gaya huun gardish-e-dauran ko taal kar
ai dost teri zulf-e-pareshan ki khair ho
meri tabahiyon ka na itna khayal kar
aaya huun yuun bacha ke havadis se ziist ko
laate hain jaise koh se chashma nikal kar
thode se fasle men bhi haael hain laghhzishen
saaqi sambhal kar mire saaqi sambhal kar
ham se 'adam' chhupao to khud bhi na pi sako
rakkha hai tum ne kuchh to surahi men daal kar
dil hai badi khushi se ise paemal kar
lekin tere nisar zara dekh-bhaal kar
itna to dil-fareb na tha dam-e-zindagi
le aae e'tibar ke sanche mein dhaal kar
saqi mere khulus ki shiddat ko dekhna
phir aa gaya hun gardish-e-dauran ko tal kar
ai dost teri zulf-e-pareshan ki khair ho
meri tabahiyon ka na itna khayal kar
aaya hun yun bacha ke hawadis se zist ko
late hain jaise koh se chashma nikal kar
thode se fasle mein bhi hael hain laghzishen
saqi sambhaal kar mere saqi sambhaal kar
hum se 'adam' chhupao to khud bhi na pi sako
rakkha hai tum ne kuchh to surahi mein dal kar
bahaar aai kisi ka samna karne ka waqt aaya
bahar aai kisi ka samna karne ka vaqt aaya
sambhal ai dil ki izhar-e-vafa karne ka vaqt aaya
unhen amada-e-mehr-o-vafa karne ka vaqt aaya
badi muddat men arz-e-muddaa karne ka vaqt aaya
ravan hain apne markaz ki taraf asuda ummiden
hujum-e-yas ko dil se juda karne ka vaqt aaya
phir ik gum-karda-rah-e-zindagi ko mil gai manzil
sujud-e-shukr-e-be-payan ada karne ka vaqt aaya
kabhi duuri thi lekin ab khayal-e-khauf-e-duri hai
fughhan ki saaten guzrin dua karne ka vaqt aaya
kahan tak khatm rahta darmiyan par dil ka afsana
bil-akhir darmiyan se ibtida karne ka vaqt aaya
har ik jurm-e-mohabbat us nigah-e-lutf ke sadqe
naved-e-afiyat le kar khata karne ka vaqt aaya
nigah o dil se ab tafsir-o-sharh-e-azru hogi
zaban o lab se tark-e-iltija karne ka vaqt aaya
vo aate hain 'shakil' ab apne dil se haath dho baitho
nigah-e-naz ki qimat ada karne ka vaqt aaya
bahaar aai kisi ka samna karne ka waqt aaya
sambhal ai dil ki izhaar-e-wafa karne ka waqt aaya
unhen aamada-e-mehr-o-wafa karne ka waqt aaya
badi muddat mein arz-e-muddaa karne ka waqt aaya
rawan hain apne markaz ki taraf aasuda ummiden
hujum-e-yas ko dil se juda karne ka waqt aaya
phir ek gum-karda-rah-e-zindagi ko mil gai manzil
sujud-e-shukr-e-be-payan ada karne ka waqt aaya
kabhi duri thi lekin ab khayal-e-khauf-e-duri hai
fughan ki saaten guzrin dua karne ka waqt aaya
kahan tak khatm rahta darmiyan par dil ka afsana
bil-akhir darmiyan se ibtida karne ka waqt aaya
har ek jurm-e-mohabbat us nigah-e-lutf ke sadqe
nawed-e-afiyat le kar khata karne ka waqt aaya
nigah o dil se ab tafsir-o-sharh-e-azru hogi
zaban o lab se tark-e-iltija karne ka waqt aaya
wo aate hain 'shakil' ab apne dil se hath dho baitho
nigah-e-naz ki qimat ada karne ka waqt aaya
ye jagah ahl-e-junun ab nahin rahne wali
ye jagah ahl-e-junun ab nahin rahne vaali
fursat-e-ishq mayassar kahan pahle vaali
koi dariya ho kahin jo mujhe sairab kare
ek hasrat hai jo puuri nahin hone vaali
vaqt koshish kare main chahun magar yaad tiri
dhundli ho sakti hai dil se nahin mitne vaali
ab mire khvabon ki baari hai yahi lagta hai
niind to chhin chuki kab ki mire hisse vaali
in dinon main bhi huun kuchh kar-e-jahan men masruf
baat tujh men bhi nahin rah gai pahle vaali
ye jagah ahl-e-junun ab nahin rahne wali
fursat-e-ishq mayassar kahan pahle wali
koi dariya ho kahin jo mujhe sairab kare
ek hasrat hai jo puri nahin hone wali
waqt koshish kare main chahun magar yaad teri
dhundli ho sakti hai dil se nahin mitne wali
ab mere khwabon ki bari hai yahi lagta hai
nind to chhin chuki kab ki mere hisse wali
in dinon main bhi hun kuchh kar-e-jahan mein masruf
baat tujh mein bhi nahin rah gai pahle wali
hawa chale waraq-e-arzu palat jae
hava chale varaq-e-arzu palat jaae
tulua ho koi chehra to dhund chhat jaae
yahi hai vaqt ki khvabon ke badban kholo
kahin na phir se nadi ansuon ki ghat jaae
bulandiyon ki havas hi zamin par laai
kaho falak se ki ab raste se hat jaae
giraft dhili karo vaqt ko guzarne do
ki dor phir na kahin saaton ki kat jaae
isi liye nahin sote hain ham ki duniya men
shab-e-firaq ki saughhat sab men bat jaae
hawa chale waraq-e-arzu palat jae
tulua ho koi chehra to dhund chhat jae
yahi hai waqt ki khwabon ke baadban kholo
kahin na phir se nadi aansuon ki ghat jae
bulandiyon ki hawas hi zamin par lai
kaho falak se ki ab raste se hat jae
giraft dhili karo waqt ko guzarne do
ki dor phir na kahin saaton ki kat jae
isi liye nahin sote hain hum ki duniya mein
shab-e-firaq ki saughat sab mein bat jae
marifat ke liye aagahi ke liye
ma'rifat ke liye agahi ke liye
nur-e-haq chahiye raushni ke liye
ji rahe hain kisi ki khushi ke liye
varna kya hai yahan zindagi ke liye
aap apna ta'aruf sar-e-anjuman
kitna mushkil hai ik ajnabi ke liye
dasht-e-ghhurbat men kuchh aur mumkin nahin
jugnuon ke siva raushni ke liye
rakh diye absharon ne dil khol kar
dasht men ek pyasi nadi ke liye
vaqt ke aage us ne bhi rakh di sipar
jo tha mashhur apni khudi ke liye
'rahbar' e'zaz 'ohda qayadat ana
masala ban gae aadmi ke liye
ma'rifat ke liye aagahi ke liye
nur-e-haq chahiye raushni ke liye
ji rahe hain kisi ki khushi ke liye
warna kya hai yahan zindagi ke liye
aap apna ta'aruf sar-e-anjuman
kitna mushkil hai ek ajnabi ke liye
dasht-e-ghurbat mein kuchh aur mumkin nahin
jugnuon ke siwa raushni ke liye
rakh diye aabshaaron ne dil khol kar
dasht mein ek pyasi nadi ke liye
waqt ke aage us ne bhi rakh di sipar
jo tha mashhur apni khudi ke liye
'rahbar' e'zaz 'ohda qayaadat ana
masala ban gae aadmi ke liye
~ Rahbar Tabani Dariyabadi
gham ka tufan guzar nahin jata
ghham ka tufan guzar nahin jaata
dil ka dariya utar nahin jaata
'umr guzri to ye khula ki koi
laakh tanha ho mar nahin jaata
shahr rakhta hai us ko avara
vo sar-e-sham ghar nahin jaata
kis ko dekha ki aaj tak dil se
khvab jaisa asar nahin jaata
us ke band-e-qaba ke khulte hi
husn kya kya nikhar nahin jaata
raah se jaise ho nishan na alag
sar se ye zakhm-e-sar nahin jaata
vaqt ka sail hi muqaddar hai
koi lamha thahar nahin jaata
gham ka tufan guzar nahin jata
dil ka dariya utar nahin jata
'umr guzri to ye khula ki koi
lakh tanha ho mar nahin jata
shahr rakhta hai us ko aawara
wo sar-e-sham ghar nahin jata
kis ko dekha ki aaj tak dil se
khwab jaisa asar nahin jata
us ke band-e-qaba ke khulte hi
husn kya kya nikhar nahin jata
rah se jaise ho nishan na alag
sar se ye zakhm-e-sar nahin jata
waqt ka sail hi muqaddar hai
koi lamha thahar nahin jata
anjam kahani ka ye hai ta-umr hamein nashad kiya
anjam kahani ka ye hai ta-'umr hamen nashad kiya
is bahs se ab kya hasil hai kis kis ne hamen barbad kiya
har aankh ki binai the kabhi ham kar-e-masihai the kabhi
us basti par phir bojh bane jis basti ko abad kiya
ham khvab kabhi the gulshan ka ummid the har ik mausam ki
phir vaqt ne ham ko yuun barta har rishte se azad kiya
ham raste banaya karte the chalna bhi sikhaya karte the
ye 'ishq jo tum ab karte ho ham jaison ne ijad kiya
ham log purana qissa hain ham log purani rasmen hain
vo said hain jis ne apni khushi kuchh yadon ko sayyad kiya
naseh na bana 'abrak' koi kab koi chara-saz mila
tab zakhmon ko aram aaya jab se hai khuda ko yaad kiya
anjam kahani ka ye hai ta-'umr hamein nashad kiya
is bahs se ab kya hasil hai kis kis ne hamein barbaad kiya
har aankh ki binai the kabhi hum kar-e-masihai the kabhi
us basti par phir bojh bane jis basti ko aabaad kiya
hum khwab kabhi the gulshan ka ummid the har ek mausam ki
phir waqt ne hum ko yun barta har rishte se aazad kiya
hum raste banaya karte the chalna bhi sikhaya karte the
ye 'ishq jo tum ab karte ho hum jaison ne ijad kiya
hum log purana qissa hain hum log purani rasmen hain
wo said hain jis ne apni khushi kuchh yaadon ko sayyaad kiya
naseh na bana 'abrak' koi kab koi chaara-saz mila
tab zakhmon ko aaram aaya jab se hai khuda ko yaad kiya
tere khutut ke purze shumar karte hue
tere khutut ke purze shumar karte hue
phaphak ke roya main tohfe shumar karte hue
main chahta huun mire ghar ke paas jangal ho
main din guzarun parinde shumar karte hue
bas itna padhna hai mujh ko ki pass ho jaun
kitab padhta huun safhe shumar karte hue
main aaj haar kar aaya phir ek aah bhari
purani jiit ke tamghhe shumar karte hue
hamari ginti men bas valdain aate hain
jahan bhar men se apne shumar karte hue
tere khutut ke purze shumar karte hue
phaphak ke roya main tohfe shumar karte hue
main chahta hun mere ghar ke pas jangal ho
main din guzarun parinde shumar karte hue
bas itna padhna hai mujh ko ki pass ho jaun
kitab padhta hun safhe shumar karte hue
main aaj haar kar aaya phir ek aah bhari
purani jit ke tamghe shumar karte hue
hamari ginti mein bas waldain aate hain
jahan bhar mein se apne shumar karte hue
rafta rafta sitare sabhi bujh gae chand dhalne laga
rafta rafta sitare sabhi bujh gae chand dhalne laga
raat rukhsat hui aur diya niind ki samt chalne laga
log maazi ke marghat se chunne lage sar kati vahshaten
vaqt ki kokh men ik naya saniha phir se palne laga
manzilon ka ta'ayyun zaruri hai aghhaz se pesh-tar
varna ghhaza safar ka to be-kar chehre pe malne laga
duur 'ufuq par kahin surmai badalon ki jhalak dekh kar
dhuup be-kal hui aur sahraon ka dam nikalne laga
pahle pahle to samjha tha main zindagi tere bin kuchh nahin
rafta rafta magar zakhm bharne lage dil sanbhalne laga
rafta rafta sitare sabhi bujh gae chand dhalne laga
raat rukhsat hui aur diya nind ki samt chalne laga
log mazi ke marghat se chunne lage sar kati wahshaten
waqt ki kokh mein ek naya saniha phir se palne laga
manzilon ka ta'ayyun zaruri hai aaghaz se pesh-tar
warna ghaza safar ka to be-kar chehre pe malne laga
dur 'ufuq par kahin surmai baadalon ki jhalak dekh kar
dhup be-kal hui aur sahraon ka dam nikalne laga
pahle pahle to samjha tha main zindagi tere bin kuchh nahin
rafta rafta magar zakhm bharne lage dil sanbhalne laga
is qadar talkhi-e-haalat nahin thi pahle
is qadar talkhi-e-halat nahin thi pahle
kuchh na kuchh thi bhi to ye baat nahin thi pahle
'ishq bhi manzil-e-taslim pe ruk jaata tha
'aql mahsur-e-khurafat nahin thi pahle
shaam ko shaam ki surat men nahin dekha tha
subh masruf-e-munajat nahin thi pahle
main andhere se dara sahma hua rahta tha
meri suraj se mulaqat nahin thi pahle
main bhi azadi ki vaadi men raha karta tha
vo bhi parvarda-e-khadshat nahin thi pahle
is qadar talkhi-e-haalat nahin thi pahle
kuchh na kuchh thi bhi to ye baat nahin thi pahle
'ishq bhi manzil-e-taslim pe ruk jata tha
'aql mahsur-e-khurafat nahin thi pahle
sham ko sham ki surat mein nahin dekha tha
subh masruf-e-munajat nahin thi pahle
main andhere se dara sahma hua rahta tha
meri suraj se mulaqat nahin thi pahle
main bhi aazadi ki wadi mein raha karta tha
wo bhi parwarda-e-khadshat nahin thi pahle
You have reached the end.