roz taron ko numaish mein khalal padta hai
roz taron ko numaish men khalal padta hai
chand pagal hai andhere men nikal padta hai
ek divana musafir hai miri ankhon men
vaqt-be-vaqt thahar jaata hai chal padta hai
apni taabir ke chakkar men mira jagta khvab
roz suraj ki tarah ghar se nikal padta hai
roz patthar ki himayat men ghhazal likhte hain
roz shishon se koi kaam nikal padta hai
us ki yaad aai hai sanso zara ahista chalo
dhadkanon se bhi ibadat men khalal padta hai
roz taron ko numaish mein khalal padta hai
chand pagal hai andhere mein nikal padta hai
ek diwana musafir hai meri aankhon mein
waqt-be-waqt thahar jata hai chal padta hai
apni tabir ke chakkar mein mera jagta khwab
roz suraj ki tarah ghar se nikal padta hai
roz patthar ki himayat mein ghazal likhte hain
roz shishon se koi kaam nikal padta hai
us ki yaad aai hai sanso zara aahista chalo
dhadkanon se bhi ibaadat mein khalal padta hai
hamara dil sawere ka sunahra jam ho jae
hamara dil savere ka sunahra jaam ho jaae
charaghhon ki tarah ankhen jalen jab shaam ho jaae
kabhi to asman se chand utre jaam ho jaae
tumhare naam ki ik khub-surat shaam ho jaae
ajab halat the yuun dil ka sauda ho gaya akhir
mohabbat ki haveli jis tarah nilam ho jaae
samundar ke safar men is tarah avaz de ham ko
havaen tez hon aur kashtiyon men shaam ho jaae
mujhe malum hai us ka thikana phir kahan hoga
parinda asman chhune men jab nakam ho jaae
ujale apni yadon ke hamare saath rahne do
na jaane kis gali men zindagi ki shaam ho jaae
hamara dil sawere ka sunahra jam ho jae
charaghon ki tarah aankhen jalen jab sham ho jae
kabhi to aasman se chand utre jam ho jae
tumhaare nam ki ek khub-surat sham ho jae
ajab haalat the yun dil ka sauda ho gaya aakhir
mohabbat ki haweli jis tarah nilam ho jae
samundar ke safar mein is tarah aawaz de hum ko
hawaen tez hon aur kashtiyon mein sham ho jae
mujhe malum hai us ka thikana phir kahan hoga
parinda aasman chhune mein jab nakaam ho jae
ujale apni yaadon ke hamare sath rahne do
na jaane kis gali mein zindagi ki sham ho jae
pura dukh aur aadha chand
puura dukh aur aadha chand
hijr ki shab aur aisa chand
din men vahshat bahal gai
raat hui aur nikla chand
kis maqtal se guzra hoga
itna sahma sahma chand
yadon ki abad gali men
ghuum raha hai tanha chand
meri karvat par jaag utthe
niind ka kitna kachcha chand
mere munh ko kis hairat se
dekh raha hai bhola chand
itne ghane badal ke pichhe
kitna tanha hoga chand
aansu roke nuur nahae
dil dariya tan sahra chand
itne raushan chehre par bhi
suraj ka hai saaya chand
jab paani men chehra dekha
tu ne kis ko socha chand
bargad ki ik shakh hata kar
jaane kis ko jhanka chand
badal ke resham jhule men
bhor samay tak soya chand
raat ke shane par sar rakkhe
dekh raha hai sapna chand
sukhe patton ke jhurmut par
shabnam thi ya nanha chand
haath hila kar rukhsat hoga
us ki surat hijr ka chand
sahra sahra bhatak raha hai
apne ishq men sachcha chand
raat ke shayad ek baje hain
sota hoga mera chand
pura dukh aur aadha chand
hijr ki shab aur aisa chand
din mein wahshat bahal gai
raat hui aur nikla chand
kis maqtal se guzra hoga
itna sahma sahma chand
yaadon ki aabaad gali mein
ghum raha hai tanha chand
meri karwat par jag utthe
nind ka kitna kachcha chand
mere munh ko kis hairat se
dekh raha hai bhola chand
itne ghane baadal ke pichhe
kitna tanha hoga chand
aansu roke nur nahae
dil dariya tan sahra chand
itne raushan chehre par bhi
suraj ka hai saya chand
jab pani mein chehra dekha
tu ne kis ko socha chand
bargad ki ek shakh hata kar
jaane kis ko jhanka chand
baadal ke resham jhule mein
bhor samay tak soya chand
raat ke shane par sar rakkhe
dekh raha hai sapna chand
sukhe patton ke jhurmut par
shabnam thi ya nanha chand
hath hila kar rukhsat hoga
us ki surat hijr ka chand
sahra sahra bhatak raha hai
apne ishq mein sachcha chand
raat ke shayad ek baje hain
sota hoga mera chand
chandni raat badi der ke baad aai hai
chandni raat badi der ke baa'd aai hai
lab pe ik baat badi der ke baa'd aai hai
jhuum kar aaj ye shab-rang laten bikhra de
dekh barsat badi der ke baa'd aai hai
dil-e-majruh ki ujdi hui khamoshi se
bu-e-naghhmat badi der ke baa'd aai hai
aaj ki raat vo aae hain badi der ke baa'd
aaj ki raat badi der ke baa'd aai hai
aah taskin bhi ab 'saif' shab-e-hijran men
aksar auqat badi der ke baa'd aai hai
chandni raat badi der ke ba'd aai hai
lab pe ek baat badi der ke ba'd aai hai
jhum kar aaj ye shab-rang laten bikhra de
dekh barsat badi der ke ba'd aai hai
dil-e-majruh ki ujdi hui khamoshi se
bu-e-naghmat badi der ke ba'd aai hai
aaj ki raat wo aae hain badi der ke ba'd
aaj ki raat badi der ke ba'd aai hai
aah taskin bhi ab 'saif' shab-e-hijran mein
aksar auqat badi der ke ba'd aai hai
chaak-e-daman ko jo dekha to mila eid ka chand
chak-e-daman ko jo dekha to mila eid ka chand
apni taqdir kahan bhuul gaya eid ka chand
un ke abru-e-khamida ki tarah tikha hai
apni ankhon men badi der chhupa eid ka chand
jaane kyuun aap ke rukhsar mahak uthte hain
jab kabhi kaan men chupke se kaha eid ka chand
duur viran basere men diya ho jaise
ghham ki divar se dekha to laga eid ka chand
le ke halat ke sahraon men aa jaata hai
aaj bhi khuld ki rangin faza eid ka chand
talkhiyan badh gaiin jab ziist ke paimane men
ghol kar dard ke maron ne piya eid ka chand
chashm to vusat-e-aflak men khoi 'saghhar'
dil ne ik aur jagah dhund liya eid ka chand
chaak-e-daman ko jo dekha to mila eid ka chand
apni taqdir kahan bhul gaya eid ka chand
un ke abru-e-khamida ki tarah tikha hai
apni aankhon mein badi der chhupa eid ka chand
jaane kyun aap ke rukhsar mahak uthte hain
jab kabhi kan mein chupke se kaha eid ka chand
dur viran basere mein diya ho jaise
gham ki diwar se dekha to laga eid ka chand
le ke haalat ke sahraon mein aa jata hai
aaj bhi khuld ki rangin faza eid ka chand
talkhiyan badh gain jab zist ke paimane mein
ghol kar dard ke maron ne piya eid ka chand
chashm to wusat-e-aflak mein khoi 'saghar'
dil ne ek aur jagah dhund liya eid ka chand
sukhi tahni tanha chidiya phika chand
sukhi tahni tanha chidiya phika chand
ankhon ke sahra men ek nami ka chand
us mathe ko chume kitne din biite
jis mathe ki khatir tha ik tiika chand
pahle tu lagti thi kitni begana
kitna mubham hota hai pahli ka chand
kam ho kaise in khushiyon se tera ghham
lahron men kab bahta hai naddi ka chand
aao ab ham is ke bhi tukde kar len
dhaka ravalpindi aur dilli ka chand
sukhi tahni tanha chidiya phika chand
aankhon ke sahra mein ek nami ka chand
us mathe ko chume kitne din bite
jis mathe ki khatir tha ek tika chand
pahle tu lagti thi kitni begana
kitna mubham hota hai pahli ka chand
kam ho kaise in khushiyon se tera gham
lahron mein kab bahta hai naddi ka chand
aao ab hum is ke bhi tukde kar len
dhaka rawalpindi aur dilli ka chand
ek pari ki zulfon mein yun phansa hua hai chand
ek pari ki zulfon men yuun phansa hua hai chand
ham ko lagta hai badal men chhupa hua hai chand
pahli shaam nazar aaya tha bilkul aisa jaise nakhun
chaudah din men dekho kitna bada hua hai chand
us ne ped se kuud ke jaane kitne ghhote khaae
bandar ko jab laga nadi men gira hua hai chand
thoda sa niche aae to us ko ham bhi chhu len
batti jaisa ye jo uupar jala hua hai chand
sach kya hai ye chand pe ja kar kaash ik din main dekhun
sab batlate hain patthar ka bana hua hai chand
ek pari ki zulfon mein yun phansa hua hai chand
hum ko lagta hai baadal mein chhupa hua hai chand
pahli sham nazar aaya tha bilkul aisa jaise nakhun
chaudah din mein dekho kitna bada hua hai chand
us ne ped se kud ke jaane kitne ghote khae
bandar ko jab laga nadi mein gira hua hai chand
thoda sa niche aae to us ko hum bhi chhu len
batti jaisa ye jo upar jala hua hai chand
sach kya hai ye chand pe ja kar kash ek din main dekhun
sab batlate hain patthar ka bana hua hai chand
nil-gagan mein tair raha hai ujla ujla pura chand
nil-gagan men tair raha hai ujla ujla puura chand
maan ki lori sa bachche ke duudh katore jaisa chand
munni ki bholi baton si chatkin taron ki kaliyan
pappu ki khamoshi shararat sa chhup chhup kar ubhra chand
mujh se puchho kaise kaati main ne parbat jaisi raat
tum ne to godi men le kar ghanton chuma hoga chand
pardesi suuni ankhon men shoale se lahrate hain
bhabi ki chhedon sa badal aapa ki chutki sa chand
tum bhi likhna tum ne us shab kitni baar piya paani
tum ne bhi to chhajje uupar dekha hoga puura chand
nil-gagan mein tair raha hai ujla ujla pura chand
man ki lori sa bachche ke dudh katore jaisa chand
munni ki bholi baaton si chatkin taron ki kaliyan
pappu ki khamoshi shararat sa chhup chhup kar ubhra chand
mujh se puchho kaise kati main ne parbat jaisi raat
tum ne to godi mein le kar ghanton chuma hoga chand
pardesi suni aankhon mein shoale se lahraate hain
bhabi ki chhedon sa baadal aapa ki chutki sa chand
tum bhi likhna tum ne us shab kitni bar piya pani
tum ne bhi to chhajje upar dekha hoga pura chand
aankhon mein chubh gain teri yaadon ki kirchiyan
ankhon men chubh gaiin tiri yadon ki kirchiyan
kandhon pe ghham ki shaal hai aur chand raat hai
dil tod ke khamosh nazaron ka kya mila
shabnam ka ye saval hai aur chand raat hai
campus ki nahr par hai tira haath haath men
mausam bhi la-zaval hai aur chand raat hai
har ik kali ne odh liya matami libas
har phuul pur-malal hai aur chand raat hai
chhalka sa pad raha hai 'vasi' vahshaton ka rang
har chiiz pe zaval hai aur chand raat hai
aankhon mein chubh gain teri yaadon ki kirchiyan
kandhon pe gham ki shaal hai aur chand raat hai
dil tod ke khamosh nazaron ka kya mila
shabnam ka ye sawal hai aur chand raat hai
campus ki nahr par hai tera hath hath mein
mausam bhi la-zawal hai aur chand raat hai
har ek kali ne odh liya matami libas
har phul pur-malal hai aur chand raat hai
chhalka sa pad raha hai 'wasi' wahshaton ka rang
har chiz pe zawal hai aur chand raat hai
mere pyar ka qissa to har basti mein mashhur hai chand
mere pyaar ka qissa to har basti men mashhur hai chand
tu kis dhun men ghhaltan pechan kis nashshe men chuur hai chand
teri khanda-peshani men kab tak farq na aaega
tu sadiyon se ahl-e-zamin ki khidmat par mamur hai chand
ahl-e-nazar hans hans kar tujh ko mah-e-kamil kahte hain!
tere dil ka daaghh tujhi par tanz hai aur bharpur hai chand
tere rukh par zardi chhai main ab tak mayus nahin
teri manzil paas aa pahunchi meri manzil duur hai chand
koi nahin hamraz-e-tamanna koi nahin dam-saz-e-safar
rah-e-vafa men tanha tanha chalne par majbur hai chand
ishq hai aur kanton ka bistar husn hai aur phulon ki sej
tujh ko kaise samjhaun ye duniya ka dastur hai chand
teri tabish se raushan hain gul bhi aur virane bhi
kya tu bhi is hansti-gati duniya ka mazdur hai chand
mere pyar ka qissa to har basti mein mashhur hai chand
tu kis dhun mein ghaltan pechan kis nashshe mein chur hai chand
teri khanda-peshani mein kab tak farq na aaega
tu sadiyon se ahl-e-zamin ki khidmat par mamur hai chand
ahl-e-nazar hans hans kar tujh ko mah-e-kaamil kahte hain!
tere dil ka dagh tujhi par tanz hai aur bharpur hai chand
tere rukh par zardi chhai main ab tak mayus nahin
teri manzil pas aa pahunchi meri manzil dur hai chand
koi nahin hamraaz-e-tamanna koi nahin dam-saz-e-safar
rah-e-wafa mein tanha tanha chalne par majbur hai chand
ishq hai aur kanton ka bistar husn hai aur phulon ki sej
tujh ko kaise samjhaun ye duniya ka dastur hai chand
teri tabish se raushan hain gul bhi aur virane bhi
kya tu bhi is hansti-gati duniya ka mazdur hai chand
kuchh faede bhi hote hain ujde makan ke
kuchh faede bhi hote hain ujde makan ke
alfaz is men gunjte hain raftagan ke
ai chand is men teri bhi sazish zarur hai
taare kidhar gae hain mire asman ke
ud jaega yaqin ke pinjre ko tod kar
thode se par nikalne do vahm-o-guman ke
ghhazlen miri bacha lo bure vaqt ke liye
alfaz bech dalna mujh be-zaban ke
karbal ki ret dekh ke itne the mutmain
jaise ki muntazir hon isi imtihan ke
ik baar mere lafzon ko padh kar zaban se
kirdar zinda kar do miri dastan ke
itna asar to rakhti hai maan ki du'a 'ali'
dekhe hain main ne khulte kivad asman ke
kuchh faede bhi hote hain ujde makan ke
alfaz is mein gunjte hain raftagan ke
ai chand is mein teri bhi sazish zarur hai
tare kidhar gae hain mere aasman ke
ud jaega yaqin ke pinjre ko tod kar
thode se par nikalne do wahm-o-guman ke
ghazlen meri bacha lo bure waqt ke liye
alfaz bech dalna mujh be-zaban ke
karbal ki ret dekh ke itne the mutmain
jaise ki muntazir hon isi imtihan ke
ek bar mere lafzon ko padh kar zaban se
kirdar zinda kar do meri dastan ke
itna asar to rakhti hai man ki du'a 'ali'
dekhe hain main ne khulte kiwad aasman ke
ras hai mujhko shab, tanha aawara chand
raas hai mujh ko shab, tanha avara chand
sartani huun main, mera sayyara chand
in ko sher karun, andar ki baat kahun
mausam raat ghata, suraj ik taara chand
main ne jiiti ye bazi, hai raat gavah
thak kar palta chaudhvin shab, phir haara chand
lahron lahron parchhain pamal hui
dekh raha hai hasrat se be-chara chand
main thahri man-jogan shab bhar kaahe ko
saath mire phirta hai maara maara chand
chaudhvin shab kyuun be-kal ho aur patkhe sar
jab tere ham-zad se khele dhara chand
main duubi phir ubhri akhir duub gai
mauj-e-bahr-e-dard thi aur kinara chand
ras hai mujh ko shab, tanha aawara chand
sartani hun main, mera sayyara chand
in ko sher karun, andar ki baat kahun
mausam raat ghata, suraj ek tara chand
main ne jiti ye bazi, hai raat gawah
thak kar palta chaudhwin shab, phir haara chand
lahron lahron parchhain pamal hui
dekh raha hai hasrat se be-chaara chand
main thahri man-jogan shab bhar kahe ko
sath mere phirta hai mara mara chand
chaudhwin shab kyun be-kal ho aur patkhe sar
jab tere ham-zad se khele dhaara chand
main dubi phir ubhri aakhir dub gai
mauj-e-bahr-e-dard thi aur kinara chand
kya jaane kis ki dhun mein raha dil-figar chand
kya jaane kis ki dhun men raha dil-figar chand
sangam pe roz-o-shab ke dhala baar baar chand
aai na raat bhar koi panghat pe sanvli
paani men chhup ke baitha raha be-qarar chand
kirnon ki doriyon se ulajhte ho kis liye
kuchh bhi na de sakega tujhe daghh-dar chand
baazu ke daere vo mahak chudiyan khanak
do-sae zard-chandni dhimi pukar chand
suraj tha vo to shaam se pahle hi dhal gaya
niile ufuq pe aur bhi hain be-shumar chand
har roz mere ghar men utarta hai kis liye
mujh ko bhi apne shahr men ik din utaar chand
basti ke log janiye kya sochte rahe
badal ki chhat pe soya raha sogvar chand
ab chandni ke naam se nafrat si ho gai
'ikram' zindagi ko lage aise chaar chand
kya jaane kis ki dhun mein raha dil-figar chand
sangam pe roz-o-shab ke dhala bar bar chand
aai na raat bhar koi panghat pe sanwli
pani mein chhup ke baitha raha be-qarar chand
kirnon ki doriyon se ulajhte ho kis liye
kuchh bhi na de sakega tujhe dagh-dar chand
bazu ke daere wo mahak chudiyan khanak
do-sae zard-chandni dhimi pukar chand
suraj tha wo to sham se pahle hi dhal gaya
nile ufuq pe aur bhi hain be-shumar chand
har roz mere ghar mein utarta hai kis liye
mujh ko bhi apne shahr mein ek din utar chand
basti ke log jaaniye kya sochte rahe
baadal ki chhat pe soya raha sogwar chand
ab chandni ke nam se nafrat si ho gai
'ikram' zindagi ko lage aise chaar chand
You have reached the end.