haalat-e-haal ke sabab haalat-e-haal hi gai
halat-e-hal ke sabab halat-e-hal hi gai
shauq men kuchh nahin gaya shauq ki zindagi gai
tera firaq jan-e-jan aish tha kya mire liye
yaani tire firaq men khuub sharab pi gai
tere visal ke liye apne kamal ke liye
halat-e-dil ki thi kharab aur kharab ki gai
us ki umid-e-naz ka ham se ye maan tha ki aap
umr guzar dijiye umr guzar di gai
ek hi hadsa to hai aur vo ye ki aaj tak
baat nahin kahi gai baat nahin suni gai
baad bhi tere jan-e-jan dil men raha ajab saman
yaad rahi tiri yahan phir tiri yaad bhi gai
us ke badan ko di numud ham ne sukhan men aur phir
us ke badan ke vaste ek qaba bhi si gai
mina-ba-mina mai-ba-mai jam-ba-jam jam-ba-jam
naf-piyale ki tire yaad ajab sahi gai
kahni hai mujh ko ek baat aap se yaani aap se
aap ke shahr-e-vasl men lazzat-e-hijr bhi gai
sehn-e-khayal-e-yar men ki na basar shab-e-firaq
jab se vo chandna gaya jab se vo chandni gai
haalat-e-haal ke sabab haalat-e-haal hi gai
shauq mein kuchh nahin gaya shauq ki zindagi gai
tera firaq jaan-e-jaan aish tha kya mere liye
yani tere firaq mein khub sharab pi gai
tere visal ke liye apne kamal ke liye
haalat-e-dil ki thi kharab aur kharab ki gai
us ki umid-e-naz ka hum se ye man tha ki aap
umr guzar dijiye umr guzar di gai
ek hi hadsa to hai aur wo ye ki aaj tak
baat nahin kahi gai baat nahin suni gai
baad bhi tere jaan-e-jaan dil mein raha ajab saman
yaad rahi teri yahan phir teri yaad bhi gai
us ke badan ko di numud hum ne sukhan mein aur phir
us ke badan ke waste ek qaba bhi si gai
mina-ba-mina mai-ba-mai jam-ba-jam jam-ba-jam
naf-piyale ki tere yaad ajab sahi gai
kahni hai mujh ko ek baat aap se yani aap se
aap ke shahr-e-wasl mein lazzat-e-hijr bhi gai
sehn-e-khayal-e-yar mein ki na basar shab-e-firaq
jab se wo chandna gaya jab se wo chandni gai
be-dili kya yunhi din guzar jaenge
be-dili kya yunhi din guzar jaenge
sirf zinda rahe ham to mar jaenge
raqs hai rang par rang ham-raqs hain
sab bichhad jaenge sab bikhar jaenge
ye kharabatiyan-e-khirad-bakhta
subh hote hi sab kaam par jaenge
kitni dilkash ho tum kitna dil-ju huun main
kya sitam hai ki ham log mar jaenge
hai ghhanimat ki asrar-e-hasti se ham
be-khabar aae hain be-khabar jaenge
be-dili kya yunhi din guzar jaenge
sirf zinda rahe hum to mar jaenge
raqs hai rang par rang ham-raqs hain
sab bichhad jaenge sab bikhar jaenge
ye kharabaatiyan-e-khirad-bakhta
subh hote hi sab kaam par jaenge
kitni dilkash ho tum kitna dil-ju hun main
kya sitam hai ki hum log mar jaenge
hai ghanimat ki asrar-e-hasti se hum
be-khabar aae hain be-khabar jaenge
itna to zindagi mein kisi ke khalal pade
itna to zindagi men kisi ke khalal pade
hansne se ho sukun na rone se kal pade
jis tarah hans raha huun main pi pi ke garm ashk
yuun dusra hanse to kaleja nikal pade
ik tum ki tum ko fikr-e-nasheb-o-faraz hai
ik ham ki chal pade to bahar-hal chal pade
saaqi sabhi ko hai ghham-e-tishna-labi magar
mai hai usi ki naam pe jis ke ubal pade
muddat ke baad us ne jo ki lutf ki nigah
ji khush to ho gaya magar aansu nikal pade
itna to zindagi mein kisi ke khalal pade
hansne se ho sukun na rone se kal pade
jis tarah hans raha hun main pi pi ke garm ashk
yun dusra hanse to kaleja nikal pade
ek tum ki tum ko fikr-e-nasheb-o-faraaz hai
ek hum ki chal pade to bahar-haal chal pade
saqi sabhi ko hai gham-e-tishna-labi magar
mai hai usi ki nam pe jis ke ubal pade
muddat ke baad us ne jo ki lutf ki nigah
ji khush to ho gaya magar aansu nikal pade
zaban rakhta hun lekin chup khada hun
zaban rakhta huun lekin chup khada huun
main avazon ke ban men ghir gaya huun
mire ghar ka daricha puchhta hai
main saara din kahan phirta raha huun
mujhe mere siva sab log samjhen
main apne aap se kam bolta huun
sitaron se hasad ki intiha hai
main qabron par charaghhan kar raha huun
sambhal kar ab havaon se ulajhna
main tujh se pesh-tar bujhne laga huun
miri qurbat se kyuun khaif hai duniya
samundar huun main khud men gunjta huun
mujhe kab tak sametega vo 'mohsin'
main andar se bahut tuuta hua huun
zaban rakhta hun lekin chup khada hun
main aawazon ke ban mein ghir gaya hun
mere ghar ka daricha puchhta hai
main sara din kahan phirta raha hun
mujhe mere siwa sab log samjhen
main apne aap se kam bolta hun
sitaron se hasad ki intiha hai
main qabron par charaghan kar raha hun
sambhal kar ab hawaon se ulajhna
main tujh se pesh-tar bujhne laga hun
meri qurbat se kyun khaif hai duniya
samundar hun main khud mein gunjta hun
mujhe kab tak sametega wo 'mohsin'
main andar se bahut tuta hua hun
ret bhari hai in aankhon mein aansu se tum dho lena
ret bhari hai in ankhon men aansu se tum dho lena
koi sukha ped mile to us se lipat ke ro lena
us ke baad bahut tanha ho jaise jangal ka rasta
jo bhi tum se pyaar se bole saath usi ke ho lena
kuchh to ret ki pyaas bujhao janam janam ki pyasi hai
sahil par chalne se pahle apne paanv bhigo lena
main ne dariya se sikhi hai paani ki ye parda-dari
uupar uupar hanste rahna gahrai men ro lena
rote kyuun ho dil valon ki qismat aisi hoti hai
saari raat yunhi jagoge din nikle to so lena
ret bhari hai in aankhon mein aansu se tum dho lena
koi sukha ped mile to us se lipat ke ro lena
us ke baad bahut tanha ho jaise jangal ka rasta
jo bhi tum se pyar se bole sath usi ke ho lena
kuchh to ret ki pyas bujhao janam janam ki pyasi hai
sahil par chalne se pahle apne panw bhigo lena
main ne dariya se sikhi hai pani ki ye parda-dari
upar upar hanste rahna gahrai mein ro lena
rote kyun ho dil walon ki qismat aisi hoti hai
sari raat yunhi jagoge din nikle to so lena
hum ko to gardish-e-haalat pe rona aaya
ham ko to gardish-e-halat pe rona aaya
rone vaale tujhe kis baat pe rona aaya
kaise jiite hain ye kis tarah jiye jaate hain
ahl-e-dil ki basar-auqat pe rona aaya
ji nahin aap se kya mujh ko shikayat hogi
haan mujhe talkhi-e-halat pe rona aaya
husn-e-maghhrur ka ye rang bhi dekha akhir
akhir un ko bhi kisi baat pe rona aaya
kaise mar mar ke guzari hai tumhen kya malum
raat bhar taron bhari raat pe rona aaya
kitne betab the rim-jhim men piyenge lekin
aai barsat to barsat pe rona aaya
husn ne apni jafaon pe bahae aansu
ishq ko apni shikayat pe rona aaya
kitne anjan hain kya sadgi se puchhte hain
kahiye kya meri kisi baat pe rona aaya
avval avval to bas ek aah nikal jaati thi
akhir akhir to mulaqat pe rona aaya
'saif' ye din to qayamat ki tarah guzra hai
jaane kya baat thi har baat pe rona aaya
hum ko to gardish-e-haalat pe rona aaya
rone wale tujhe kis baat pe rona aaya
kaise jite hain ye kis tarah jiye jate hain
ahl-e-dil ki basar-auqat pe rona aaya
ji nahin aap se kya mujh ko shikayat hogi
han mujhe talkhi-e-haalat pe rona aaya
husn-e-maghrur ka ye rang bhi dekha aakhir
aakhir un ko bhi kisi baat pe rona aaya
kaise mar mar ke guzari hai tumhein kya malum
raat bhar taron bhari raat pe rona aaya
kitne betab the rim-jhim mein piyenge lekin
aai barsat to barsat pe rona aaya
husn ne apni jafaon pe bahae aansu
ishq ko apni shikayat pe rona aaya
kitne anjaan hain kya sadgi se puchhte hain
kahiye kya meri kisi baat pe rona aaya
awwal awwal to bas ek aah nikal jati thi
aakhir aakhir to mulaqat pe rona aaya
'saif' ye din to qayamat ki tarah guzra hai
jaane kya baat thi har baat pe rona aaya
mustaqil mahrumiyon par bhi to dil mana nahin
mustaqil mahrumiyon par bhi to dil maana nahin
laakh samjhaya ki is mahfil men ab jaana nahin
khud-farebi hi sahi kya kijiye dil ka ilaaj
tu nazar phere to ham samjhen ki pahchana nahin
ek duniya muntazir hai aur teri bazm men
is tarah baithe hain ham jaise kahin jaana nahin
ji men jo aati hai kar guzro kahin aisa na ho
kal pasheman hon ki kyuun dil ka kaha maana nahin
zindagi par is se badh kar tanz kya hoga 'faraz'
us ka ye kahna ki tu shaer hai divana nahin
mustaqil mahrumiyon par bhi to dil mana nahin
lakh samjhaya ki is mahfil mein ab jaana nahin
khud-farebi hi sahi kya kijiye dil ka ilaj
tu nazar phere to hum samjhen ki pahchana nahin
ek duniya muntazir hai aur teri bazm mein
is tarah baithe hain hum jaise kahin jaana nahin
ji mein jo aati hai kar guzro kahin aisa na ho
kal pasheman hon ki kyun dil ka kaha mana nahin
zindagi par is se badh kar tanz kya hoga 'faraaz'
us ka ye kahna ki tu shaer hai diwana nahin
wo jo viran phira karta hai
vo jo viran phira karta hai
us ke sar men koi sahra hoga
tujh se dil tere parastaron ka
tutte tutte tuuta hoga
jhuk ke jo aap se milta hoga
us ka qad aap se uncha hoga
vo jo marne pe tula hai 'akhtar'
us ne ji kar bhi to dekha hoga
wo jo viran phira karta hai
us ke sar mein koi sahra hoga
tujh se dil tere parastaron ka
tutte tutte tuta hoga
jhuk ke jo aap se milta hoga
us ka qad aap se uncha hoga
wo jo marne pe tula hai 'akhtar'
us ne ji kar bhi to dekha hoga
panw padta hua rasta nahin dekha jata
paanv padta hua rasta nahin dekha jaata
jaane vaale tira jaana nahin dekha jaata
teri marzi hai jidhar ungli pakad kar le ja
mujh se ab tere alava nahin dekha jaata
ye hasad hai ki mohabbat ki ijara-dari
darmiyan apna bhi saaya nahin dekha jaata
tu bhi ai shakhs kahan tak mujhe bardasht kare
baar baar ek hi chehra nahin dekha jaata
ye tire chahne vaale bhi ajab hain janan
ishq karte hain ki hota nahin dekha jaata
ye tere baa'd khula hai ki judai kya hai
mujh se ab koi akela nahin dekha jaata
panw padta hua rasta nahin dekha jata
jaane wale tera jaana nahin dekha jata
teri marzi hai jidhar ungli pakad kar le ja
mujh se ab tere alawa nahin dekha jata
ye hasad hai ki mohabbat ki ijara-dari
darmiyan apna bhi saya nahin dekha jata
tu bhi ai shakhs kahan tak mujhe bardasht kare
bar bar ek hi chehra nahin dekha jata
ye tere chahne wale bhi ajab hain jaanan
ishq karte hain ki hota nahin dekha jata
ye tere ba'd khula hai ki judai kya hai
mujh se ab koi akela nahin dekha jata
ab ke barish mein to ye kar-e-ziyan hona hi tha
ab ke barish men to ye kar-e-ziyan hona hi tha
apni kachchi bastiyon ko be-nishan hona hi tha
kis ke bas men tha hava ki vahshaton ko rokna
barg-e-gul ko khaak shoale ko dhuan hona hi tha
jab koi samt-e-safar tai thi na hadd-e-rahguzar
ai mire rah-rau safar to raegan hona hi tha
mujh ko rukna tha use jaana tha agle mod tak
faisla ye us ke mere darmiyan hona hi tha
chand ko chalna tha bahti sipiyon ke saath saath
moajiza ye bhi tah-e-ab-e-ravan hona hi tha
main nae chehron pe kahta tha nai ghhazlen sada
meri is aadat se us ko bad-guman hona hi tha
shahr se bahar ki virani basana thi mujhe
apni tanhai pe kuchh to mehrban hona hi tha
apni ankhen dafn karna thiin ghhubar-e-khak men
ye sitam bhi ham pe zer-e-asman hona hi tha
be-sada basti ki rasmen thiin yahi 'mohsin' mire
main zaban rakhta tha mujh ko be-zaban hona hi tha
ab ke barish mein to ye kar-e-ziyan hona hi tha
apni kachchi bastiyon ko be-nishan hona hi tha
kis ke bas mein tha hawa ki wahshaton ko rokna
barg-e-gul ko khak shoale ko dhuan hona hi tha
jab koi samt-e-safar tai thi na hadd-e-rahguzar
ai mere rah-rau safar to raegan hona hi tha
mujh ko rukna tha use jaana tha agle mod tak
faisla ye us ke mere darmiyan hona hi tha
chand ko chalna tha bahti sipiyon ke sath sath
moajiza ye bhi tah-e-ab-e-rawan hona hi tha
main nae chehron pe kahta tha nai ghazlen sada
meri is aadat se us ko bad-guman hona hi tha
shahr se bahar ki virani basana thi mujhe
apni tanhai pe kuchh to mehrban hona hi tha
apni aankhen dafn karna thin ghubar-e-khak mein
ye sitam bhi hum pe zer-e-asman hona hi tha
be-sada basti ki rasmen thin yahi 'mohsin' mere
main zaban rakhta tha mujh ko be-zaban hona hi tha
wo siwa yaad aae bhulane ke baad
vo siva yaad aae bhulane ke baad
zindagi badh gai zahr khane ke baad
dil sulagta raha ashiyane ke baad
aag thandi hui ik zamane ke baad
raushni ke liye dil jalana pada
aisi zulmat badhi tere jaane ke baad
jab na kuchh ban pada arz-e-ghham ka javab
vo khafa ho gae muskurane ke baad
dushmanon se pasheman hona pada
doston ka khulus azmane ke baad
ranj had se guzar ke khushi ban gaya
ho gae paar ham duub jaane ke baad
bakhsh de ya rab ahl-e-havas ko bahisht
mujh ko kya chahiye tujh ko paane ke baad
kaise kaise gile yaad aae 'khumar'
un ke aane se qabl un ke jaane ke baad
wo siwa yaad aae bhulane ke baad
zindagi badh gai zahr khane ke baad
dil sulagta raha aashiyane ke baad
aag thandi hui ek zamane ke baad
raushni ke liye dil jalana pada
aisi zulmat badhi tere jaane ke baad
jab na kuchh ban pada arz-e-gham ka jawab
wo khafa ho gae muskurane ke baad
dushmanon se pasheman hona pada
doston ka khulus aazmane ke baad
ranj had se guzar ke khushi ban gaya
ho gae par hum dub jaane ke baad
bakhsh de ya rab ahl-e-hawas ko bahisht
mujh ko kya chahiye tujh ko pane ke baad
kaise kaise gile yaad aae 'khumar'
un ke aane se qabl un ke jaane ke baad
ulfat ka jab kisi ne liya nam ro pade
ulfat ka jab kisi ne liya naam ro pade
apni vafa ka soch ke anjam ro pade
har shaam ye saval mohabbat se kya mila
har shaam ye javab ki har shaam ro pade
rah-e-vafa men ham ko khushi ki talash thi
do gaam hi chale the ki har gaam ro pade
rona nasib men hai to auron se kya gila
apne hi sar liya koi ilzam ro pade
ulfat ka jab kisi ne liya nam ro pade
apni wafa ka soch ke anjam ro pade
har sham ye sawal mohabbat se kya mila
har sham ye jawab ki har sham ro pade
rah-e-wafa mein hum ko khushi ki talash thi
do gam hi chale the ki har gam ro pade
rona nasib mein hai to auron se kya gila
apne hi sar liya koi ilzam ro pade
main faqat chalti rahi manzil ko sar usne kiya
main faqat chalti rahi manzil ko sar us ne kiya
saath mere raushni ban kar safar us ne kiya
is tarah khinchi hai mere gird divar-e-khabar
saare dushman rauzanon ko be-nazar us ne kiya
mujh men baste saare sannaton ki lai us se bani
pattharon ke darmiyan thi naghhma-gar us ne kiya
be-sar-o-saman pe dildari ki chadar daal di
be-dar-o-divar thi main mujh ko ghar us ne kiya
paniyon men ye bhi paani ek din tahlil tha
qatra-e-be-sarfa ko lekin guhar us ne kiya
ek maamuli si achchhai tarashi hai bahut
aur fikr-e-kham se sarf-e-nazar us ne kiya
phir to imkanat phulon ki tarah khulte gae
ek nanhe se shagufe ko shajar us ne kiya
taaq men rakkhe diye ko pyaar se raushan kiya
us diye ko phir charaghh-e-rahguzar us ne kiya
main faqat chalti rahi manzil ko sar us ne kiya
sath mere raushni ban kar safar us ne kiya
is tarah khinchi hai mere gird diwar-e-khabar
sare dushman rauzanon ko be-nazar us ne kiya
mujh mein baste sare sannaton ki lai us se bani
pattharon ke darmiyan thi naghma-gar us ne kiya
be-sar-o-saman pe dildari ki chadar dal di
be-dar-o-diwar thi main mujh ko ghar us ne kiya
paniyon mein ye bhi pani ek din tahlil tha
qatra-e-be-sarfa ko lekin guhar us ne kiya
ek mamuli si achchhai tarashi hai bahut
aur fikr-e-kham se sarf-e-nazar us ne kiya
phir to imkanat phulon ki tarah khulte gae
ek nanhe se shagufe ko shajar us ne kiya
taq mein rakkhe diye ko pyar se raushan kiya
us diye ko phir charagh-e-rahguzar us ne kiya
kyun ujad jati hai dil ki mahfil
kyuun ujad jaati hai dil ki mahfil
ye diya kaun bujha deta hai
vo nahin dekhte sahil ki taraf
jin ko tufan sada deta hai
shor din ko nahin sone deta
shab ko sannata jaga deta hai
tum to kahte the ki rut ka jaadu
dasht men phuul khila deta hai
us ki marzi hai vo har rahat men
ranj thoda sa mila deta hai
dukh to deta hai tira ghham lekin
dil ko iksir bana deta hai
tujh se pahle dil-e-betab mujhe
teri aamad ka pata deta hai
jan-e-man ek hasin chehra bhi
saari mahfil ko saja deta hai
ab tasalli bhi aziyyat hai mujhe
ab dilasa bhi rula deta hai
kyun ujad jati hai dil ki mahfil
ye diya kaun bujha deta hai
wo nahin dekhte sahil ki taraf
jin ko tufan sada deta hai
shor din ko nahin sone deta
shab ko sannata jaga deta hai
tum to kahte the ki rut ka jadu
dasht mein phul khila deta hai
us ki marzi hai wo har rahat mein
ranj thoda sa mila deta hai
dukh to deta hai tera gham lekin
dil ko iksir bana deta hai
tujh se pahle dil-e-betab mujhe
teri aamad ka pata deta hai
jaan-e-man ek hasin chehra bhi
sari mahfil ko saja deta hai
ab tasalli bhi aziyyat hai mujhe
ab dilasa bhi rula deta hai
dukhe hue hain hamein aur ab dukhao mat
dukhe hue hain hamen aur ab dukhao mat
jo ho gae ho fasana to yaad aao mat
khayal-o-khvab men parchhaiyan si nachti hain
ab is tarah to miri ruuh men samao mat
zamin ke log to kya do dilon ki chahat men
khuda bhi ho to use darmiyan laao mat
tumhara sar nahin tiflan-e-rah-guzar ke liye
dayar-e-sang men ghar se nikal ke jaao mat
sivae apne kisi ke bhi ho nahin sakte
ham aur log hain logo hamen satao mat
hamare ahd men ye rasm-e-ashiqi thahri
faqir ban ke raho aur sada lagao mat
vahi likho jo lahu ki zaban se milta hai
sukhan ko parda-e-alfaz men chhupao mat
supurd kar hi diya atish-e-hunar ke to phir
tamam khaak hi ho jaao kuchh bachao mat
dukhe hue hain hamein aur ab dukhao mat
jo ho gae ho fasana to yaad aao mat
khayal-o-khwab mein parchhaiyan si nachti hain
ab is tarah to meri ruh mein samao mat
zamin ke log to kya do dilon ki chahat mein
khuda bhi ho to use darmiyan lao mat
tumhaara sar nahin tiflan-e-rah-guzar ke liye
dayar-e-sang mein ghar se nikal ke jao mat
siwae apne kisi ke bhi ho nahin sakte
hum aur log hain logo hamein satao mat
hamare ahd mein ye rasm-e-ashiqi thahri
faqir ban ke raho aur sada lagao mat
wahi likho jo lahu ki zaban se milta hai
sukhan ko parda-e-alfaz mein chhupao mat
supurd kar hi diya aatish-e-hunar ke to phir
tamam khak hi ho jao kuchh bachao mat
You have reached the end.