nahin nigah mein manzil to justuju hi sahi
nahin nigah men manzil to justuju hi sahi
nahin visal mayassar to aarzu hi sahi
na tan men khuun faraham na ashk ankhon men
namaz-e-shauq to vajib hai be-vuzu hi sahi
kisi tarah to jame bazm mai-kade vaalo
nahin jo bada-o-saghhar to hav-hu hi sahi
gar intizar kathin hai to jab talak ai dil
kisi ke vada-e-farda ki guftugu hi sahi
dayar-e-ghhair men mahram agar nahin koi
to 'faiz' zikr-e-vatan apne ru-ba-ru hi sahi
nahin nigah mein manzil to justuju hi sahi
nahin visal mayassar to aarzu hi sahi
na tan mein khun faraham na ashk aankhon mein
namaz-e-shauq to wajib hai be-wuzu hi sahi
kisi tarah to jame bazm mai-kade walo
nahin jo baada-o-saghar to haw-hu hi sahi
gar intizar kathin hai to jab talak ai dil
kisi ke wada-e-farda ki guftugu hi sahi
dayar-e-ghair mein mahram agar nahin koi
to 'faiz' zikr-e-watan apne ru-ba-ru hi sahi
wahi taj hai wahi takht hai wahi zahr hai wahi jam hai
vahi taaj hai vahi takht hai vahi zahr hai vahi jaam hai
ye vahi khuda ki zamin hai ye vahi buton ka nizam hai
bade shauq se mira ghar jala koi aanch tujh pe na aaegi
ye zaban kisi ne kharid li ye qalam kisi ka ghhulam hai
yahan ek bachche ke khuun se jo likha hua hai use padhen
tira kirtan abhi paap hai abhi mera sajda haram hai
main ye manta huun mire diye tiri andhiyon ne bujha diye
magar ek jugnu havaon men abhi raushni ka imaam hai
mire fikr-o-fan tiri anjuman na uruuj tha na zaval hai
mire lab pe tera hi naam tha mire lab pe tera hi naam hai
wahi taj hai wahi takht hai wahi zahr hai wahi jam hai
ye wahi khuda ki zamin hai ye wahi buton ka nizam hai
bade shauq se mera ghar jala koi aanch tujh pe na aaegi
ye zaban kisi ne kharid li ye qalam kisi ka ghulam hai
yahan ek bachche ke khun se jo likha hua hai use padhen
tera kirtan abhi pap hai abhi mera sajda haram hai
main ye manta hun mere diye teri aandhiyon ne bujha diye
magar ek jugnu hawaon mein abhi raushni ka imam hai
mere fikr-o-fan teri anjuman na uruj tha na zawal hai
mere lab pe tera hi nam tha mere lab pe tera hi nam hai
hai ajib shahr ki zindagi na safar raha na qayam hai
hai ajiib shahr ki zindagi na safar raha na qayam hai
kahin karobar si dopahar kahin bad-mizaj si shaam hai
yunhi roz milne ki aarzu badi rakh-rakhav ki guftugu
ye sharafaten nahin be-ghharaz ise aap se koi kaam hai
kahan ab duaon ki barkaten vo nasihaten vo hidayaten
ye mutalbon ka khulus hai ye zaruraton ka salam hai
vo dilon men aag lagaega main dilon ki aag bujhaunga
use apne kaam se kaam hai mujhe apne kaam se kaam hai
na udaas ho na malal kar kisi baat ka na khayal kar
kai saal baad mile hain ham tire naam aaj ki shaam hai
koi naghhma dhuup ke gaanv sa koi naghhma shaam ki chhanv sa
zara in parindon se puchhna ye kalam kis ka kalam hai
hai ajib shahr ki zindagi na safar raha na qayam hai
kahin karobar si dopahar kahin bad-mizaj si sham hai
yunhi roz milne ki aarzu badi rakh-rakhaw ki guftugu
ye sharafaten nahin be-gharaz ise aap se koi kaam hai
kahan ab duaon ki barkaten wo nasihaten wo hidayaten
ye mutalbon ka khulus hai ye zaruraton ka salam hai
wo dilon mein aag lagaega main dilon ki aag bujhaunga
use apne kaam se kaam hai mujhe apne kaam se kaam hai
na udas ho na malal kar kisi baat ka na khayal kar
kai sal baad mile hain hum tere nam aaj ki sham hai
koi naghma dhup ke ganw sa koi naghma sham ki chhanw sa
zara in parindon se puchhna ye kalam kis ka kalam hai
rang pairahan ka khushbu zulf lahrane ka nam
rang pairahan ka khushbu zulf lahrane ka naam
mausam-e-gul hai tumhare baam par aane ka naam
dosto us chashm o lab ki kuchh kaho jis ke baghhair
gulsitan ki baat rangin hai na mai-khane ka naam
phir nazar men phuul mahke dil men phir shamen jalin
phir tasavvur ne liya us bazm men jaane ka naam
dilbari thahra zaban-e-khalq khulvane ka naam
ab nahin lete pari-ru zulf bikhrane ka naam
ab kisi laila ko bhi iqrar-e-mahbubi nahin
in dinon badnam hai har ek divane ka naam
mohtasib ki khair uncha hai usi ke faiz se
rind ka saaqi ka mai ka khum ka paimane ka naam
ham se kahte hain chaman vaale ghhariban-e-chaman
tum koi achchha sa rakh lo apne virane ka naam
'faiz' un ko hai taqaza-e-vafa ham se jinhen
ashna ke naam se pyara hai begane ka naam
rang pairahan ka khushbu zulf lahrane ka nam
mausam-e-gul hai tumhaare baam par aane ka nam
dosto us chashm o lab ki kuchh kaho jis ke baghair
gulsitan ki baat rangin hai na mai-khane ka nam
phir nazar mein phul mahke dil mein phir shamen jalin
phir tasawwur ne liya us bazm mein jaane ka nam
dilbari thahra zaban-e-khalq khulwane ka nam
ab nahin lete pari-ru zulf bikhrane ka nam
ab kisi laila ko bhi iqrar-e-mahbubi nahin
in dinon badnam hai har ek diwane ka nam
mohtasib ki khair uncha hai usi ke faiz se
rind ka saqi ka mai ka khum ka paimane ka nam
hum se kahte hain chaman wale ghariban-e-chaman
tum koi achchha sa rakh lo apne virane ka nam
'faiz' un ko hai taqaza-e-wafa hum se jinhen
aashna ke nam se pyara hai begane ka nam
main ye kis ke nam likkhun jo alam guzar rahe hain
main ye kis ke naam likkhun jo alam guzar rahe hain
mire shahr jal rahe hain mire log mar rahe hain
koi ghhuncha ho ki gul ho koi shakh ho shajar ho
vo hava-e-gulsitan hai ki sabhi bikhar rahe hain
kabhi rahmaten thiin nazil isi khitta-e-zamin par
vahi khitta-e-zamin hai ki 'azab utar rahe hain
vahi taeron ke jhurmut jo hava men jhulte the
vo faza ko dekhte hain to ab aah bhar rahe hain
badi aarzu thi ham ko nae khvab dekhne ki
so ab apni zindagi men nae khvab bhar rahe hain
koi aur to nahin hai pas-e-khanjar-azmai
hamin qatl ho rahe hain hamin qatl kar rahe hain
main ye kis ke nam likkhun jo alam guzar rahe hain
mere shahr jal rahe hain mere log mar rahe hain
koi ghuncha ho ki gul ho koi shakh ho shajar ho
wo hawa-e-gulsitan hai ki sabhi bikhar rahe hain
kabhi rahmaten thin nazil isi khitta-e-zamin par
wahi khitta-e-zamin hai ki 'azab utar rahe hain
wahi taeron ke jhurmut jo hawa mein jhulte the
wo faza ko dekhte hain to ab aah bhar rahe hain
badi aarzu thi hum ko nae khwab dekhne ki
so ab apni zindagi mein nae khwab bhar rahe hain
koi aur to nahin hai pas-e-khanjar-azmai
hamin qatl ho rahe hain hamin qatl kar rahe hain
sansar ki har shai ka itna hi fasana hai
sansar ki har shai ka itna hi fasana hai
ik dhund se aana hai ik dhund men jaana hai
ye raah kahan se hai ye raah kahan tak hai
ye raaz koi raahi samjha hai na jaana hai
ik pal ki palak par hai thahri hui ye duniya
ik pal ke jhapakne tak har khel suhana hai
kya jaane koi kis par kis mod pe kya biite
is raah men ai raahi har mod bahana hai
ham log khilauna hain ik aise khiladi ka
jis ko abhi sadiyon tak ye khel rachana hai
sansar ki har shai ka itna hi fasana hai
ek dhund se aana hai ek dhund mein jaana hai
ye rah kahan se hai ye rah kahan tak hai
ye raaz koi rahi samjha hai na jaana hai
ek pal ki palak par hai thahri hui ye duniya
ek pal ke jhapakne tak har khel suhana hai
kya jaane koi kis par kis mod pe kya bite
is rah mein ai rahi har mod bahana hai
hum log khilauna hain ek aise khiladi ka
jis ko abhi sadiyon tak ye khel rachana hai
kaam ab koi na aaega bas ek dil ke siwa
kaam ab koi na aaega bas ik dil ke siva
raste band hain sab kucha-e-qatil ke siva
bais-e-rashk hai tanha-ravi-e-rah-rav-e-shauq
ham-safar koi nahin duri-e-manzil ke siva
ham ne duniya ki har ik shai se uthaya dil ko
lekin ek shokh ke hangama-e-mahfil ke siva
teghh munsif ho jahan dar-o-rasan hon shahid
be-gunah kaun hai us shahr men qatil ke siva
jaane kis rang se aai hai gulistan men bahar
koi naghhma hi nahin shor-e-salasil ke siva
kaam ab koi na aaega bas ek dil ke siwa
raste band hain sab kucha-e-qatil ke siwa
bais-e-rashk hai tanha-rawi-e-rah-raw-e-shauq
ham-safar koi nahin duri-e-manzil ke siwa
hum ne duniya ki har ek shai se uthaya dil ko
lekin ek shokh ke hangama-e-mahfil ke siwa
tegh munsif ho jahan dar-o-rasan hon shahid
be-gunah kaun hai us shahr mein qatil ke siwa
jaane kis rang se aai hai gulistan mein bahaar
koi naghma hi nahin shor-e-salasil ke siwa
meri sari zindagi ko be-samar usne kiya
meri saari zindagi ko be-samar us ne kiya
umr meri thi magar us ko basar us ne kiya
main bahut kamzor tha is mulk men hijrat ke baad
par mujhe is mulk men kamzor-tar us ne kiya
rahbar mera bana gumrah karne ke liye
mujh ko sidhe raste se dar-ba-dar us ne kiya
shahr men vo mo'atabar meri gavahi se hua
phir mujhe is shahr men na-mo'tabar us ne kiya
shahr ko barbad kar ke rakh diya us ne 'munir'
shahr par ye zulm mere naam par us ne kiya
meri sari zindagi ko be-samar us ne kiya
umr meri thi magar us ko basar us ne kiya
main bahut kamzor tha is mulk mein hijrat ke baad
par mujhe is mulk mein kamzor-tar us ne kiya
rahbar mera bana gumrah karne ke liye
mujh ko sidhe raste se dar-ba-dar us ne kiya
shahr mein wo mo'atabar meri gawahi se hua
phir mujhe is shahr mein na-mo'tabar us ne kiya
shahr ko barbaad kar ke rakh diya us ne 'munir'
shahr par ye zulm mere nam par us ne kiya
hath aankhon pe rakh lene se khatra nahin jata
haath ankhon pe rakh lene se khatra nahin jaata
divar se bhaunchal ko roka nahin jaata
daavon ki tarazu men to azmat nahin tulti
fiite se to kirdar ko naapa nahin jaata
farman se pedon pe kabhi phal nahin lagte
talvar se mausam koi badla nahin jaata
chor apne gharon men to nahin naqb lagate
apni hi kamai ko to luuta nahin jaata
auron ke khayalat ki lete hain talashi
aur apne gareban men jhanka nahin jaata
faulad se faulad to kat sakta hai lekin
qanun se qanun ko badla nahin jaata
zulmat ko ghata kahne se barish nahin hoti
shoalon ko havaon se to dhanpa nahin jaata
tufan men ho naav to kuchh sabr bhi aa jaae
sahil pe khade ho ke to duuba nahin jaata
dariya ke kinare to pahunch jaate hain pyase
pyason ke gharon tak koi dariya nahin jaata
allah jise chahe use milti hai 'muzaffar'
izzat ko dukanon se kharida nahin jaata
hath aankhon pe rakh lene se khatra nahin jata
diwar se bhaunchaal ko roka nahin jata
dawon ki taraazu mein to azmat nahin tulti
fite se to kirdar ko napa nahin jata
farman se pedon pe kabhi phal nahin lagte
talwar se mausam koi badla nahin jata
chor apne gharon mein to nahin naqb lagate
apni hi kamai ko to luta nahin jata
auron ke khayalat ki lete hain talashi
aur apne gareban mein jhanka nahin jata
faulad se faulad to kat sakta hai lekin
qanun se qanun ko badla nahin jata
zulmat ko ghata kahne se barish nahin hoti
shoalon ko hawaon se to dhanpa nahin jata
tufan mein ho naw to kuchh sabr bhi aa jae
sahil pe khade ho ke to duba nahin jata
dariya ke kinare to pahunch jate hain pyase
pyason ke gharon tak koi dariya nahin jata
allah jise chahe use milti hai 'muzaffar'
izzat ko dukanon se kharida nahin jata
nazar jo koi bhi tujh sa hasin nahin aata
nazar jo koi bhi tujh sa hasin nahin aata
kisi ko kya mujhe khud bhi yaqin nahin aata
tira khayal bhi teri tarah sitamgar hai
jahan pe chahiye aana vahin nahin aata
jo hone vaala hai ab us ki fikr kya kiije
jo ho chuka hai usi par yaqin nahin aata
ye mera dil hai ki manzar ujaad basti ka
khule hue hain sabhi dar makin nahin aata
bichhadna hai to bichhad ja isi do-rahe par
ki mod aage safar men kahin nahin aata
nazar jo koi bhi tujh sa hasin nahin aata
kisi ko kya mujhe khud bhi yaqin nahin aata
tera khayal bhi teri tarah sitamgar hai
jahan pe chahiye aana wahin nahin aata
jo hone wala hai ab us ki fikr kya kije
jo ho chuka hai usi par yaqin nahin aata
ye mera dil hai ki manzar ujad basti ka
khule hue hain sabhi dar makin nahin aata
bichhadna hai to bichhad ja isi do-rahe par
ki mod aage safar mein kahin nahin aata
achchhe din kab aaenge
achchhe din kab aenge
kya yuun hi mar jaenge
apne-ap ko khvabon se
kab tak ham bahlaenge
bambai men thahrenge kahan
dilli men kya khaenge
khilte hain to khilne do
phuul abhi murjhaenge
kitni achchhi ladki hai
barson bhuul na paenge
maut na aai to 'alvi'
chhutti men ghar jaenge
achchhe din kab aaenge
kya yun hi mar jaenge
apne-ap ko khwabon se
kab tak hum bahlaenge
bambai mein thahrenge kahan
dilli mein kya khaenge
khilte hain to khilne do
phul abhi murjhaenge
kitni achchhi ladki hai
barson bhul na paenge
maut na aai to 'alwi'
chhutti mein ghar jaenge
koi hindu koi muslim koi isai hai
koi hindu koi muslim koi isai hai
sab ne insan na banne ki qasam khaai hai
itni khun-khar na thiin pahle ibadat-gahen
ye aqide hain ki insan ki tanhai hai
tiin chauthai se zaaid hain jo abadi men
un ke hi vaste har bhuuk hai mahngai hai
dekhe kab talak baaqi rahe saj-dhaj us ki
aaj jis chehra se tasvir utarvai hai
ab nazar aata nahin kuchh bhi dukanon ke siva
ab na badal hain na chidiyan hain na purvai hai
koi hindu koi muslim koi isai hai
sab ne insan na banne ki qasam khai hai
itni khun-khar na thin pahle ibaadat-gahen
ye aqide hain ki insan ki tanhai hai
tin chauthai se zaid hain jo aabaadi mein
un ke hi waste har bhuk hai mahngai hai
dekhe kab talak baqi rahe saj-dhaj us ki
aaj jis chehra se taswir utarwai hai
ab nazar aata nahin kuchh bhi dukanon ke siwa
ab na baadal hain na chidiyan hain na purwai hai
insan mein haiwan yahan bhi hai wahan bhi
insan men haivan yahan bhi hai vahan bhi
allah nigahban yahan bhi hai vahan bhi
khun-khvar darindon ke faqat naam alag hain
har shahr bayaban yahan bhi hai vahan bhi
hindu bhi sukun se hai musalman bhi sukun se
insan pareshan yahan bhi hai vahan bhi
rahman ki rahmat ho ki bhagvan ki murat
har khel ka maidan yahan bhi hai vahan bhi
uthta hai dil-o-jan se dhuan donon taraf hi
ye 'mir' ka divan yahan bhi hai vahan bhi
insan mein haiwan yahan bhi hai wahan bhi
allah nigahban yahan bhi hai wahan bhi
khun-khwar darindon ke faqat nam alag hain
har shahr bayaban yahan bhi hai wahan bhi
hindu bhi sukun se hai musalman bhi sukun se
insan pareshan yahan bhi hai wahan bhi
rahman ki rahmat ho ki bhagwan ki murat
har khel ka maidan yahan bhi hai wahan bhi
uthta hai dil-o-jaan se dhuan donon taraf hi
ye 'mir' ka diwan yahan bhi hai wahan bhi
hairan hai jabin aaj kidhar sajda rawa hai
hairan hai jabin aaj kidhar sajda rava hai
sar par hain khudavand sar-e-arsh khuda hai
kab tak ise sinchoge tamanna-e-samar men
ye sabr ka pauda to na phula na phala hai
milta hai khiraj us ko tiri nan-e-javin se
har badshah-e-vaqt tire dar ka gada hai
har ek uqubat se hai talkhi men sava-tar
vo rang jo na-karda gunahon ki saza hai
ehsan liye kitne masiha-nafason ke
kya kijiye dil ka na jala hai na bujha hai
hairan hai jabin aaj kidhar sajda rawa hai
sar par hain khudawand sar-e-arsh khuda hai
kab tak ise sinchoge tamanna-e-samar mein
ye sabr ka pauda to na phula na phala hai
milta hai khiraj us ko teri nan-e-jawin se
har baadshah-e-waqt tere dar ka gada hai
har ek uqubat se hai talkhi mein sawa-tar
wo rang jo na-karda gunahon ki saza hai
ehsan liye kitne masiha-nafason ke
kya kijiye dil ka na jala hai na bujha hai
ek naghma ek tara ek ghuncha ek jam
ek naghhma ek taara ek ghhuncha ek jaam
ai ghham-e-dauran ghham-e-dauran tujhe mera salam
zulf avara gareban chaak ghabrai nazar
in dinon ye hai jahan men zindagani ka nizam
chand taare tuut kar daman men mere aa gire
main ne puchha tha sitaron se tire ghham ka maqam
kah rahe hain chand bichhde rahravon ke naqsh-e-pa
ham karenge inqalab-e-justuju ka ehtimam
pad gaiin pairahan-e-subh-e-chaman par silvaten
yaad aa kar rah gai hai be-khudi ki ek shaam
teri ismat ho ki ho mere hunar ki chandni
vaqt ke bazar men har chiiz ke lagte hain daam
ham banaenge yahan 'saghhar' nai tasvir-e-shauq
ham takhayyul ke mujaddid ham tasavvur ke imaam
ek naghma ek tara ek ghuncha ek jam
ai gham-e-dauran gham-e-dauran tujhe mera salam
zulf aawara gareban chaak ghabrai nazar
in dinon ye hai jahan mein zindagani ka nizam
chand tare tut kar daman mein mere aa gire
main ne puchha tha sitaron se tere gham ka maqam
kah rahe hain chand bichhde rahrawon ke naqsh-e-pa
hum karenge inqalab-e-justuju ka ehtimam
pad gain pairahan-e-subh-e-chaman par silwaten
yaad aa kar rah gai hai be-khudi ki ek sham
teri ismat ho ki ho mere hunar ki chandni
waqt ke bazar mein har chiz ke lagte hain dam
hum banaenge yahan 'saghar' nai taswir-e-shauq
hum takhayyul ke mujaddid hum tasawwur ke imam
kahan tak waqt ke dariya ko hum thahra hua dekhen
kahan tak vaqt ke dariya ko ham thahra hua dekhen
ye hasrat hai ki in ankhon se kuchh hota hua dekhen
bahut muddat hui ye aarzu karte hue ham ko
kabhi manzar kahin ham koi an-dekha hua dekhen
sukut-e-sham se pahle ki manzil sakht hoti hai
kaho logon se suraj ko na yuun dhalta hua dekhen
havaen badban kholin lahu-asar barish ho
zamin-e-sakht tujh ko phulta-phalta hua dekhen
dhuen ke badalon men chhup gae ujle makan saare
ye chaha tha ki manzar shahr ka badla hua dekhen
hamari be-hisi pe rone vaala bhi nahin koi
chalo jaldi chalo phir shahr ko jalta hua dekhen
kahan tak waqt ke dariya ko hum thahra hua dekhen
ye hasrat hai ki in aankhon se kuchh hota hua dekhen
bahut muddat hui ye aarzu karte hue hum ko
kabhi manzar kahin hum koi an-dekha hua dekhen
sukut-e-sham se pahle ki manzil sakht hoti hai
kaho logon se suraj ko na yun dhalta hua dekhen
hawaen baadban kholin lahu-asar barish ho
zamin-e-sakht tujh ko phulta-phalta hua dekhen
dhuen ke baadalon mein chhup gae ujle makan sare
ye chaha tha ki manzar shahr ka badla hua dekhen
hamari be-hisi pe rone wala bhi nahin koi
chalo jaldi chalo phir shahr ko jalta hua dekhen
nai subh chahte hain nai sham chahte hain
nai subh chahte hain nai shaam chahte hain
jo ye roz o shab badal de vo nizam chahte hain
vahi shaah chahte hain jo ghhulam chahte hain
koi chahta hi kab hai jo avaam chahte hain
isi baat par hain barham ye sitamgaran-e-alam
ki jo chhin gaya hai ham se vo maqam chahte hain
kise harf-e-haq sunaun ki yahan to us ko sunna
na khavas chahte hain na avaam chahte hain
ye nahin ki tu ne bheja hi nahin payam koi
magar ik vahi na aaya jo payam chahte hain
tiri raah dekhti hain miri tishna-kam ankhen
tire jalve mere ghar ke dar-o-bam chahte hain
vo kitab-e-zindagi hi na hui murattab ab tak
ki ham intisab jis ka tire naam chahte hain
na murad hogi puuri kabhi un shikariyon ki
mujhe dekhna jo 'zahid' tah-e-dam chahte hain
nai subh chahte hain nai sham chahte hain
jo ye roz o shab badal de wo nizam chahte hain
wahi shah chahte hain jo ghulam chahte hain
koi chahta hi kab hai jo awam chahte hain
isi baat par hain barham ye sitamgaran-e-alam
ki jo chhin gaya hai hum se wo maqam chahte hain
kise harf-e-haq sunaun ki yahan to us ko sunna
na khawas chahte hain na awam chahte hain
ye nahin ki tu ne bheja hi nahin payam koi
magar ek wahi na aaya jo payam chahte hain
teri rah dekhti hain meri tishna-kaam aankhen
tere jalwe mere ghar ke dar-o-baam chahte hain
wo kitab-e-zindagi hi na hui murattab ab tak
ki hum intisab jis ka tere nam chahte hain
na murad hogi puri kabhi un shikariyon ki
mujhe dekhna jo 'zahid' tah-e-dam chahte hain
zarron mein kunmunati hui kaenat hun
zarron men kunmunati hui kaenat huun
jo muntazir hai jismon ki main vo hayat huun
donon ko pyasa maar raha hai koi yazid
ye zindagi husain hai aur main furat huun
neza zamin pe gaad ke ghode se kuud ja
par main zamin pe abla-pa khali haat huun
kaisa falak huun jis pe samundar savar hai
suraj bhi mere sar pe hai main kaisi raat huun
andhe kuen men maar ke jo phenk aae the
un bhaiyon se kahiyo abhi tak hayat huun
aati hui train ke jo aage rakh gai
us maan se ye na kahna ba-qaid-e-hayat huun
bazar ka naqib samajh kar mujhe na chhed
khamosh rahne de main tire ghar ki baat huun
zarron mein kunmunati hui kaenat hun
jo muntazir hai jismon ki main wo hayat hun
donon ko pyasa mar raha hai koi yazid
ye zindagi husain hai aur main furaat hun
neza zamin pe gad ke ghode se kud ja
par main zamin pe aabla-pa khali hat hun
kaisa falak hun jis pe samundar sawar hai
suraj bhi mere sar pe hai main kaisi raat hun
andhe kuen mein mar ke jo phenk aae the
un bhaiyon se kahiyo abhi tak hayat hun
aati hui train ke jo aage rakh gai
us man se ye na kahna ba-qaid-e-hayat hun
bazar ka naqib samajh kar mujhe na chhed
khamosh rahne de main tere ghar ki baat hun
mujhko kahaniyan na suna shahr ko bacha
mujh ko kahaniyan na suna shahr ko bacha
baton se mera dil na lubha shahr ko bacha
mere tahaffuzat hifazat se hain jude
mere tahaffuzat mita shahr ko bacha
tu is liye hai shahr ka hakim ki shahr hai
us ki baqa men teri baqa shahr ko bacha
tu jaag jaega to sabhi jaag jaenge
ai shahryar jaag zara shahr ko bacha
tu chahta hai ghar tira mahfuz ho agar
phir sirf apna ghar na bacha shahr ko bacha
koi nahin bachane ko aage badha huzur
har ik ne dusre se kaha shahr ko bacha
lagta hai log ab na bacha paenge ise
allah madad ko tu miri aa shahr ko bacha
tarikh-dan likkhega 'taimur' ye zarur
ik shakhs tha jo kahta raha shahr ko bacha
mujh ko kahaniyan na suna shahr ko bacha
baaton se mera dil na lubha shahr ko bacha
mere tahaffuzat hifazat se hain jude
mere tahaffuzat mita shahr ko bacha
tu is liye hai shahr ka hakim ki shahr hai
us ki baqa mein teri baqa shahr ko bacha
tu jag jaega to sabhi jag jaenge
ai shahryar jag zara shahr ko bacha
tu chahta hai ghar tera mahfuz ho agar
phir sirf apna ghar na bacha shahr ko bacha
koi nahin bachane ko aage badha huzur
har ek ne dusre se kaha shahr ko bacha
lagta hai log ab na bacha paenge ise
allah madad ko tu meri aa shahr ko bacha
tarikh-dan likkhega 'taimur' ye zarur
ek shakhs tha jo kahta raha shahr ko bacha
de rahe hain jis ko topon ki salami aadmi
de rahe hain jis ko topon ki salami aadmi
kya kahun tum se ki hai kitna harami aadmi
bhiid chhat jaegi tab us ki samajh men aaega
ek akela aadmi hai azdahami aadmi
kya dikhate ho miyan, parcha hamen akhbar ka
ham ne dekhe hain bahut naami girami aadmi
paanv men juuta nahin hai, pet men roti nahin
le ke kya chatega khali nek-nami aadmi
uth ke ja baitha vahi ashrafiya ki god men
ham ghharibon ne jise samjha avami aadmi
qais sahab kis liye bhatkenge najd-e-shauq men
mil hi jaega koi ham sa maqami aadmi
dil ki hai shiraza-e-hasti hava ki zad pe hai
aadmi ai aadmi ai intizami aadmi
de rahe hain jis ko topon ki salami aadmi
kya kahun tum se ki hai kitna harami aadmi
bhid chhat jaegi tab us ki samajh mein aaega
ek akela aadmi hai azdahami aadmi
kya dikhate ho miyan, parcha hamein akhbar ka
hum ne dekhe hain bahut nami girami aadmi
panw mein juta nahin hai, pet mein roti nahin
le ke kya chatega khali nek-nami aadmi
uth ke ja baitha wahi ashrafiya ki god mein
hum gharibon ne jise samjha awami aadmi
qais sahab kis liye bhatkenge najd-e-shauq mein
mil hi jaega koi hum sa maqami aadmi
dil ki hai shiraaza-e-hasti hawa ki zad pe hai
aadmi ai aadmi ai intizami aadmi
khirad walo junun walon ke viranon mein aa jao
khirad vaalo junun valon ke viranon men aa jaao
dilon ke baaghh zakhmon ke gulistanon men aa jaao
ye daman o gareban ab salamat rah nahin sakte
abhi tak kuchh nahin bigda hai divanon men aa jaao
sitam ki teghh khud dast-e-sitam ko kaat deti hai
sitam-rano tum ab apne aza-khanon men aa jaao
ye kab tak sard lashen be-hisi ke barf-khanon men
charaghh-e-dard se raushan shabistanon men aa jaao
ye kab tak sim-o-zar ke jangalon men mashk-e-khun-khvari
ye insanon ki basti hai ab insanon men aa jaao
kabhi shabnam ka qatra ban ke chamko lala-o-gul par
kabhi dariyaon ki surat bayabanon men aa jaao
hava hai sakht ab ashkon ke parcham ud nahin sakte
lahu ke surkh parcham le ke maidanon men aa jaao
jarahat-khana-e-dil hai talash-e-rang-o-nikhat men
kahan ho ai gulistano garebanon men aa jaao
zamana kar raha hai ehtimam-e-jashn-e-bedari
gareban chaak kar ke shoala-damanon men aa jaao
khirad walo junun walon ke viranon mein aa jao
dilon ke bagh zakhmon ke gulistanon mein aa jao
ye daman o gareban ab salamat rah nahin sakte
abhi tak kuchh nahin bigda hai diwanon mein aa jao
sitam ki tegh khud dast-e-sitam ko kat deti hai
sitam-rano tum ab apne aza-khanon mein aa jao
ye kab tak sard lashen be-hisi ke barf-khanon mein
charagh-e-dard se raushan shabistanon mein aa jao
ye kab tak sim-o-zar ke jangalon mein mashk-e-khun-khwari
ye insanon ki basti hai ab insanon mein aa jao
kabhi shabnam ka qatra ban ke chamko lala-o-gul par
kabhi dariyaon ki surat bayabanon mein aa jao
hawa hai sakht ab ashkon ke parcham ud nahin sakte
lahu ke surkh parcham le ke maidanon mein aa jao
jarahat-khana-e-dil hai talash-e-rang-o-nikhat mein
kahan ho ai gulistano garebanon mein aa jao
zamana kar raha hai ehtimam-e-jashn-e-bedari
gareban chaak kar ke shoala-damanon mein aa jao
kala ambar pili dharti ya allah
kaala ambar piili dharti ya allah
ha-ha he-he hi-hi-hi-hi ya allah
kargil aur kashmir hi tere naam hon kyuun
bhaai bahan mahbuba beti ya allah
piir payambar ko ab aur na zahmat de
chulha chakki roti sabzi ya allah
ghi misri bhi bhej kabhi akhbaron men
kai dinon se chaae hai kadvi ya allah
tu hi phuul sitara savan hariyali
aur kabhi tu nagasaki ya allah
kala ambar pili dharti ya allah
ha-ha he-he hi-hi-hi-hi ya allah
kargil aur kashmir hi tere nam hon kyun
bhai bahan mahbuba beti ya allah
pir payambar ko ab aur na zahmat de
chulha chakki roti sabzi ya allah
ghi misri bhi bhej kabhi akhbaron mein
kai dinon se chae hai kadwi ya allah
tu hi phul sitara sawan hariyali
aur kabhi tu nagasaki ya allah
europe jis wahshat se ab bhi sahma sahma rahta hai
europe jis vahshat se ab bhi sahma sahma rahta hai
khatra hai vo vahshat mere mulk men aag lagaegi
german gass-kadon se ab tak khuun ki badbu aati hai
andhi vatan-parasti ham ko us raste le jaegi
andhe kuen men jhuth ki naav tez chali thi maan liya
lekin bahar raushan duniya tum se sach bulvaegi
nafrat men jo pale-badhe hain nafrat men jo khele hain
nafrat dekho aage aage un se kya karvaegi
fankaron se puchh rahe ho kyon lautae hain samman
puchho kitne chup baithe hain sharm unhen kab aaegi
ye mat khaao vo mat pahno 'ishq to bilkul karna mat
desh-droh ki chhap tumhare uupar bhi lag jaegi
ye mat bhulo agli naslen raushan sho'la hoti hain
aag kuredoge chingari daman tak to aaegi
europe jis wahshat se ab bhi sahma sahma rahta hai
khatra hai wo wahshat mere mulk mein aag lagaegi
german gass-kadon se ab tak khun ki badbu aati hai
andhi watan-parasti hum ko us raste le jaegi
andhe kuen mein jhuth ki naw tez chali thi man liya
lekin bahar raushan duniya tum se sach bulwaegi
nafrat mein jo pale-badhe hain nafrat mein jo khele hain
nafrat dekho aage aage un se kya karwaegi
fankaron se puchh rahe ho kyon lautae hain samman
puchho kitne chup baithe hain sharm unhen kab aaegi
ye mat khao wo mat pahno 'ishq to bilkul karna mat
desh-droh ki chhap tumhaare upar bhi lag jaegi
ye mat bhulo agli naslen raushan sho'la hoti hain
aag kuredoge chingari daman tak to aaegi
bahte dariyaon mein pani ki kami dekhna hai
bahte dariyaon men paani ki kami dekhna hai
umr bhar mujh ko yahi tishna-labi dekhna hai
ranj dil ko hai ki ji bhar ke nahin dekha tujhe
khauf is ka tha jo ainda kabhi dekhna hai
shab ki tariki dar-e-khvab hamesha ko band
chand din baad to duniya men yahi dekhna hai
khuun ke qatron ne tufan utha rakkha hai
ab rag-o-pai men mujhe barf jami dekhna hai
kis tarah rengne lagte hain ye chalte hue log
yaaro kal dekhoge ya aaj abhi dekhna hai
bahte dariyaon mein pani ki kami dekhna hai
umr bhar mujh ko yahi tishna-labi dekhna hai
ranj dil ko hai ki ji bhar ke nahin dekha tujhe
khauf is ka tha jo aainda kabhi dekhna hai
shab ki tariki dar-e-khwab hamesha ko band
chand din baad to duniya mein yahi dekhna hai
khun ke qatron ne tufan utha rakkha hai
ab rag-o-pai mein mujhe barf jami dekhna hai
kis tarah rengne lagte hain ye chalte hue log
yaro kal dekhoge ya aaj abhi dekhna hai
humne khulne na diya be-sar-o-samani ko
ham ne khulne na diya be-sar-o-samani ko
kahan le jaaen magar shahr ki virani ko
sirf guftar se zakhmon ka rafu chahte hain
ye siyasat hai to phir kya kahin nadani ko
koi taqsim nai kar ke chala jaata hai
jo bhi aata hai mire ghar ki nigahbani ko
ab kahan jaun ki ghar men bhi huun dushman apna
aur bahar mira dushman hai nigahbani ko
be-hisi vo hai ki karta nahin insan mahsus
apni hi ruuh men aai hui tughhyani ko
aaj bhi us ko faraz aaj bhi aali hai vahi
vahi sajda jo kare vaqt ki sultani ko
aaj yusuf pe agar vaqt ye laae ho to kya
kal tumhin takht bhi doge isi zindani ko
subh khalne ki ho ya shaam bikhar jaane ki
ham ne khushbu hi kiya apni pareshani ko
vo bhi har-an naya meri mohabbat bhi nai
jalva-e-husn kashish hai miri hairani ko
kuza-e-harf men laaya huun tumhari khatir
ruuh par utre hue ek ajab paani ko
hum ne khulne na diya be-sar-o-samani ko
kahan le jaen magar shahr ki virani ko
sirf guftar se zakhmon ka rafu chahte hain
ye siyasat hai to phir kya kahin nadani ko
koi taqsim nai kar ke chala jata hai
jo bhi aata hai mere ghar ki nigahbani ko
ab kahan jaun ki ghar mein bhi hun dushman apna
aur bahar mera dushman hai nigahbani ko
be-hisi wo hai ki karta nahin insan mahsus
apni hi ruh mein aai hui tughyani ko
aaj bhi us ko faraaz aaj bhi aali hai wahi
wahi sajda jo kare waqt ki sultani ko
aaj yusuf pe agar waqt ye lae ho to kya
kal tumhin takht bhi doge isi zindani ko
subh khalne ki ho ya sham bikhar jaane ki
hum ne khushbu hi kiya apni pareshani ko
wo bhi har-an naya meri mohabbat bhi nai
jalwa-e-husn kashish hai meri hairani ko
kuza-e-harf mein laya hun tumhaari khatir
ruh par utre hue ek ajab pani ko
libas tan pe salamat hain hath khaali hain
libas tan pe salamat hain haath khali hain
ham ek mulk-e-khuda-dad ke savali hain
na ham men aql-o-farasat na hikmat-o-tadbir
magar hai zoam ki jamiyyat-e-misali hain
munafiqat ne lahu tan men itna garmaya
ki guftugu men riya-kariyan saja li hain
khud apne aap se kad is qadar hamen hai ki ab
rivayaten hi gulistan ki phunk daali hain
hamare dil hain ab amaj-gah-e-hirs-o-havas
ki ham ne sinon men tarikiyan uga li hain
nashemanon ko ujada kuchh is tarah jaise
ki fakhtaen darakhton se udne vaali hain
kisi ghharib apahij faqir ki 'mohsin'
kisi amiir ne baisakhiyan chura li hain
libas tan pe salamat hain hath khali hain
hum ek mulk-e-khuda-dad ke sawali hain
na hum mein aql-o-farasat na hikmat-o-tadbir
magar hai zoam ki jamiyyat-e-misali hain
munafiqat ne lahu tan mein itna garmaya
ki guftugu mein riya-kariyan saja li hain
khud apne aap se kad is qadar hamein hai ki ab
riwayaten hi gulistan ki phunk dali hain
hamare dil hain ab aamaj-gah-e-hirs-o-hawas
ki hum ne sinon mein tarikiyan uga li hain
nashemanon ko ujada kuchh is tarah jaise
ki fakhtaen darakhton se udne wali hain
kisi gharib apahij faqir ki 'mohsin'
kisi amir ne baisakhiyan chura li hain
mere khwabon ka jo ghar tha wo khandar lagta hai
mere khvabon ka jo ghar tha vo khandar lagta hai
lag gai dekhne vaale ki nazar lagta hai
munfarid hain ye mahakte hue alfaz ke phuul
us ki baton men buzurgon ka asar lagta hai
gosha-e-zehn men afkar ka varid hona
mom se jism men ik raqs-e-sharar lagta hai
bad-gumani ka ye 'alam hai ki har chand unhen
saaf daman bhi mira khuun se tar lagta hai
apni baton ki safai men kahi baton se
phir nai baat na nikle mujhe dar lagta hai
mere qisse inhi bikhre hue malbon se suno
mere bachpan ka ye chhuta hua ghar lagta hai
rah badal leta huun main haal koi puchh na le
jaana pahchana hua koi agar lagta hai
kitna bach bach ke chalun rah-e-zaman men 'razi'
yuun to har gaam pe imkan-e-khatar lagta hai
mere khwabon ka jo ghar tha wo khandar lagta hai
lag gai dekhne wale ki nazar lagta hai
munfarid hain ye mahakte hue alfaz ke phul
us ki baaton mein buzurgon ka asar lagta hai
gosha-e-zehn mein afkar ka warid hona
mom se jism mein ek raqs-e-sharar lagta hai
bad-gumani ka ye 'alam hai ki har chand unhen
saf daman bhi mera khun se tar lagta hai
apni baaton ki safai mein kahi baaton se
phir nai baat na nikle mujhe dar lagta hai
mere qisse inhi bikhre hue malbon se suno
mere bachpan ka ye chhuta hua ghar lagta hai
rah badal leta hun main haal koi puchh na le
jaana pahchana hua koi agar lagta hai
kitna bach bach ke chalun rah-e-zaman mein 'raazi'
yun to har gam pe imkan-e-khatar lagta hai
is qadar talkhi-e-haalat nahin thi pahle
is qadar talkhi-e-halat nahin thi pahle
kuchh na kuchh thi bhi to ye baat nahin thi pahle
'ishq bhi manzil-e-taslim pe ruk jaata tha
'aql mahsur-e-khurafat nahin thi pahle
shaam ko shaam ki surat men nahin dekha tha
subh masruf-e-munajat nahin thi pahle
main andhere se dara sahma hua rahta tha
meri suraj se mulaqat nahin thi pahle
main bhi azadi ki vaadi men raha karta tha
vo bhi parvarda-e-khadshat nahin thi pahle
is qadar talkhi-e-haalat nahin thi pahle
kuchh na kuchh thi bhi to ye baat nahin thi pahle
'ishq bhi manzil-e-taslim pe ruk jata tha
'aql mahsur-e-khurafat nahin thi pahle
sham ko sham ki surat mein nahin dekha tha
subh masruf-e-munajat nahin thi pahle
main andhere se dara sahma hua rahta tha
meri suraj se mulaqat nahin thi pahle
main bhi aazadi ki wadi mein raha karta tha
wo bhi parwarda-e-khadshat nahin thi pahle
You have reached the end.