nahin nigah mein manzil to justuju hi sahi
nahin nigah men manzil to justuju hi sahi
nahin visal mayassar to aarzu hi sahi
na tan men khuun faraham na ashk ankhon men
namaz-e-shauq to vajib hai be-vuzu hi sahi
kisi tarah to jame bazm mai-kade vaalo
nahin jo bada-o-saghhar to hav-hu hi sahi
gar intizar kathin hai to jab talak ai dil
kisi ke vada-e-farda ki guftugu hi sahi
dayar-e-ghhair men mahram agar nahin koi
to 'faiz' zikr-e-vatan apne ru-ba-ru hi sahi
nahin nigah mein manzil to justuju hi sahi
nahin visal mayassar to aarzu hi sahi
na tan mein khun faraham na ashk aankhon mein
namaz-e-shauq to wajib hai be-wuzu hi sahi
kisi tarah to jame bazm mai-kade walo
nahin jo baada-o-saghar to haw-hu hi sahi
gar intizar kathin hai to jab talak ai dil
kisi ke wada-e-farda ki guftugu hi sahi
dayar-e-ghair mein mahram agar nahin koi
to 'faiz' zikr-e-watan apne ru-ba-ru hi sahi
subh hote hi nikal aate hain bazar mein log
gathriyan sar pe uthae hue imanon ki
wahi taj hai wahi takht hai wahi zahr hai wahi jam hai
vahi taaj hai vahi takht hai vahi zahr hai vahi jaam hai
ye vahi khuda ki zamin hai ye vahi buton ka nizam hai
bade shauq se mira ghar jala koi aanch tujh pe na aaegi
ye zaban kisi ne kharid li ye qalam kisi ka ghhulam hai
yahan ek bachche ke khuun se jo likha hua hai use padhen
tira kirtan abhi paap hai abhi mera sajda haram hai
main ye manta huun mire diye tiri andhiyon ne bujha diye
magar ek jugnu havaon men abhi raushni ka imaam hai
mire fikr-o-fan tiri anjuman na uruuj tha na zaval hai
mire lab pe tera hi naam tha mire lab pe tera hi naam hai
wahi taj hai wahi takht hai wahi zahr hai wahi jam hai
ye wahi khuda ki zamin hai ye wahi buton ka nizam hai
bade shauq se mera ghar jala koi aanch tujh pe na aaegi
ye zaban kisi ne kharid li ye qalam kisi ka ghulam hai
yahan ek bachche ke khun se jo likha hua hai use padhen
tera kirtan abhi pap hai abhi mera sajda haram hai
main ye manta hun mere diye teri aandhiyon ne bujha diye
magar ek jugnu hawaon mein abhi raushni ka imam hai
mere fikr-o-fan teri anjuman na uruj tha na zawal hai
mere lab pe tera hi nam tha mere lab pe tera hi nam hai
bachchon ke sath aaj use dekha to dukh hua
un mein se koi ek bhi man par nahin gaya
hai ajib shahr ki zindagi na safar raha na qayam hai
hai ajiib shahr ki zindagi na safar raha na qayam hai
kahin karobar si dopahar kahin bad-mizaj si shaam hai
yunhi roz milne ki aarzu badi rakh-rakhav ki guftugu
ye sharafaten nahin be-ghharaz ise aap se koi kaam hai
kahan ab duaon ki barkaten vo nasihaten vo hidayaten
ye mutalbon ka khulus hai ye zaruraton ka salam hai
vo dilon men aag lagaega main dilon ki aag bujhaunga
use apne kaam se kaam hai mujhe apne kaam se kaam hai
na udaas ho na malal kar kisi baat ka na khayal kar
kai saal baad mile hain ham tire naam aaj ki shaam hai
koi naghhma dhuup ke gaanv sa koi naghhma shaam ki chhanv sa
zara in parindon se puchhna ye kalam kis ka kalam hai
hai ajib shahr ki zindagi na safar raha na qayam hai
kahin karobar si dopahar kahin bad-mizaj si sham hai
yunhi roz milne ki aarzu badi rakh-rakhaw ki guftugu
ye sharafaten nahin be-gharaz ise aap se koi kaam hai
kahan ab duaon ki barkaten wo nasihaten wo hidayaten
ye mutalbon ka khulus hai ye zaruraton ka salam hai
wo dilon mein aag lagaega main dilon ki aag bujhaunga
use apne kaam se kaam hai mujhe apne kaam se kaam hai
na udas ho na malal kar kisi baat ka na khayal kar
kai sal baad mile hain hum tere nam aaj ki sham hai
koi naghma dhup ke ganw sa koi naghma sham ki chhanw sa
zara in parindon se puchhna ye kalam kis ka kalam hai
ye dhup to har rukh se pareshan karegi
kyun dhund rahe ho kisi diwar ka saya
rang pairahan ka khushbu zulf lahrane ka nam
rang pairahan ka khushbu zulf lahrane ka naam
mausam-e-gul hai tumhare baam par aane ka naam
dosto us chashm o lab ki kuchh kaho jis ke baghhair
gulsitan ki baat rangin hai na mai-khane ka naam
phir nazar men phuul mahke dil men phir shamen jalin
phir tasavvur ne liya us bazm men jaane ka naam
dilbari thahra zaban-e-khalq khulvane ka naam
ab nahin lete pari-ru zulf bikhrane ka naam
ab kisi laila ko bhi iqrar-e-mahbubi nahin
in dinon badnam hai har ek divane ka naam
mohtasib ki khair uncha hai usi ke faiz se
rind ka saaqi ka mai ka khum ka paimane ka naam
ham se kahte hain chaman vaale ghhariban-e-chaman
tum koi achchha sa rakh lo apne virane ka naam
'faiz' un ko hai taqaza-e-vafa ham se jinhen
ashna ke naam se pyara hai begane ka naam
rang pairahan ka khushbu zulf lahrane ka nam
mausam-e-gul hai tumhaare baam par aane ka nam
dosto us chashm o lab ki kuchh kaho jis ke baghair
gulsitan ki baat rangin hai na mai-khane ka nam
phir nazar mein phul mahke dil mein phir shamen jalin
phir tasawwur ne liya us bazm mein jaane ka nam
dilbari thahra zaban-e-khalq khulwane ka nam
ab nahin lete pari-ru zulf bikhrane ka nam
ab kisi laila ko bhi iqrar-e-mahbubi nahin
in dinon badnam hai har ek diwane ka nam
mohtasib ki khair uncha hai usi ke faiz se
rind ka saqi ka mai ka khum ka paimane ka nam
hum se kahte hain chaman wale ghariban-e-chaman
tum koi achchha sa rakh lo apne virane ka nam
'faiz' un ko hai taqaza-e-wafa hum se jinhen
aashna ke nam se pyara hai begane ka nam
haalat se khauf kha raha hun
shishe ke mahal bana raha hun
main ye kis ke nam likkhun jo alam guzar rahe hain
main ye kis ke naam likkhun jo alam guzar rahe hain
mire shahr jal rahe hain mire log mar rahe hain
koi ghhuncha ho ki gul ho koi shakh ho shajar ho
vo hava-e-gulsitan hai ki sabhi bikhar rahe hain
kabhi rahmaten thiin nazil isi khitta-e-zamin par
vahi khitta-e-zamin hai ki 'azab utar rahe hain
vahi taeron ke jhurmut jo hava men jhulte the
vo faza ko dekhte hain to ab aah bhar rahe hain
badi aarzu thi ham ko nae khvab dekhne ki
so ab apni zindagi men nae khvab bhar rahe hain
koi aur to nahin hai pas-e-khanjar-azmai
hamin qatl ho rahe hain hamin qatl kar rahe hain
main ye kis ke nam likkhun jo alam guzar rahe hain
mere shahr jal rahe hain mere log mar rahe hain
koi ghuncha ho ki gul ho koi shakh ho shajar ho
wo hawa-e-gulsitan hai ki sabhi bikhar rahe hain
kabhi rahmaten thin nazil isi khitta-e-zamin par
wahi khitta-e-zamin hai ki 'azab utar rahe hain
wahi taeron ke jhurmut jo hawa mein jhulte the
wo faza ko dekhte hain to ab aah bhar rahe hain
badi aarzu thi hum ko nae khwab dekhne ki
so ab apni zindagi mein nae khwab bhar rahe hain
koi aur to nahin hai pas-e-khanjar-azmai
hamin qatl ho rahe hain hamin qatl kar rahe hain
mere haalat ko bas yun samajh lo
parinde par shajar rakkha hua hai
sansar ki har shai ka itna hi fasana hai
sansar ki har shai ka itna hi fasana hai
ik dhund se aana hai ik dhund men jaana hai
ye raah kahan se hai ye raah kahan tak hai
ye raaz koi raahi samjha hai na jaana hai
ik pal ki palak par hai thahri hui ye duniya
ik pal ke jhapakne tak har khel suhana hai
kya jaane koi kis par kis mod pe kya biite
is raah men ai raahi har mod bahana hai
ham log khilauna hain ik aise khiladi ka
jis ko abhi sadiyon tak ye khel rachana hai
sansar ki har shai ka itna hi fasana hai
ek dhund se aana hai ek dhund mein jaana hai
ye rah kahan se hai ye rah kahan tak hai
ye raaz koi rahi samjha hai na jaana hai
ek pal ki palak par hai thahri hui ye duniya
ek pal ke jhapakne tak har khel suhana hai
kya jaane koi kis par kis mod pe kya bite
is rah mein ai rahi har mod bahana hai
hum log khilauna hain ek aise khiladi ka
jis ko abhi sadiyon tak ye khel rachana hai
agar badal na diya aadmi ne duniya ko
to jaan lo ki yahan aadmi ki khair nahin
the couplet is a stern warning: human welfare depends on human action. “changing the world” stands for reforming injustice, cruelty, and stagnant ways. if people remain passive, the same world will turn hostile to them, leaving no “khair” (peace, protection, good outcome). the emotional core is urgent responsibility tied to survival.
kaam ab koi na aaega bas ek dil ke siwa
kaam ab koi na aaega bas ik dil ke siva
raste band hain sab kucha-e-qatil ke siva
bais-e-rashk hai tanha-ravi-e-rah-rav-e-shauq
ham-safar koi nahin duri-e-manzil ke siva
ham ne duniya ki har ik shai se uthaya dil ko
lekin ek shokh ke hangama-e-mahfil ke siva
teghh munsif ho jahan dar-o-rasan hon shahid
be-gunah kaun hai us shahr men qatil ke siva
jaane kis rang se aai hai gulistan men bahar
koi naghhma hi nahin shor-e-salasil ke siva
kaam ab koi na aaega bas ek dil ke siwa
raste band hain sab kucha-e-qatil ke siwa
bais-e-rashk hai tanha-rawi-e-rah-raw-e-shauq
ham-safar koi nahin duri-e-manzil ke siwa
hum ne duniya ki har ek shai se uthaya dil ko
lekin ek shokh ke hangama-e-mahfil ke siwa
tegh munsif ho jahan dar-o-rasan hon shahid
be-gunah kaun hai us shahr mein qatil ke siwa
jaane kis rang se aai hai gulistan mein bahaar
koi naghma hi nahin shor-e-salasil ke siwa
jama karti hai mujhe raat bahut mushkil se
subh ko ghar se nikalte hi bikharne ke liye
meri sari zindagi ko be-samar usne kiya
meri saari zindagi ko be-samar us ne kiya
umr meri thi magar us ko basar us ne kiya
main bahut kamzor tha is mulk men hijrat ke baad
par mujhe is mulk men kamzor-tar us ne kiya
rahbar mera bana gumrah karne ke liye
mujh ko sidhe raste se dar-ba-dar us ne kiya
shahr men vo mo'atabar meri gavahi se hua
phir mujhe is shahr men na-mo'tabar us ne kiya
shahr ko barbad kar ke rakh diya us ne 'munir'
shahr par ye zulm mere naam par us ne kiya
meri sari zindagi ko be-samar us ne kiya
umr meri thi magar us ko basar us ne kiya
main bahut kamzor tha is mulk mein hijrat ke baad
par mujhe is mulk mein kamzor-tar us ne kiya
rahbar mera bana gumrah karne ke liye
mujh ko sidhe raste se dar-ba-dar us ne kiya
shahr mein wo mo'atabar meri gawahi se hua
phir mujhe is shahr mein na-mo'tabar us ne kiya
shahr ko barbaad kar ke rakh diya us ne 'munir'
shahr par ye zulm mere nam par us ne kiya
an-ginat khuni masail ki hawa aisi chali
ranj-o-gham ki gard mein lipta har ek chehra mila
hath aankhon pe rakh lene se khatra nahin jata
haath ankhon pe rakh lene se khatra nahin jaata
divar se bhaunchal ko roka nahin jaata
daavon ki tarazu men to azmat nahin tulti
fiite se to kirdar ko naapa nahin jaata
farman se pedon pe kabhi phal nahin lagte
talvar se mausam koi badla nahin jaata
chor apne gharon men to nahin naqb lagate
apni hi kamai ko to luuta nahin jaata
auron ke khayalat ki lete hain talashi
aur apne gareban men jhanka nahin jaata
faulad se faulad to kat sakta hai lekin
qanun se qanun ko badla nahin jaata
zulmat ko ghata kahne se barish nahin hoti
shoalon ko havaon se to dhanpa nahin jaata
tufan men ho naav to kuchh sabr bhi aa jaae
sahil pe khade ho ke to duuba nahin jaata
dariya ke kinare to pahunch jaate hain pyase
pyason ke gharon tak koi dariya nahin jaata
allah jise chahe use milti hai 'muzaffar'
izzat ko dukanon se kharida nahin jaata
hath aankhon pe rakh lene se khatra nahin jata
diwar se bhaunchaal ko roka nahin jata
dawon ki taraazu mein to azmat nahin tulti
fite se to kirdar ko napa nahin jata
farman se pedon pe kabhi phal nahin lagte
talwar se mausam koi badla nahin jata
chor apne gharon mein to nahin naqb lagate
apni hi kamai ko to luta nahin jata
auron ke khayalat ki lete hain talashi
aur apne gareban mein jhanka nahin jata
faulad se faulad to kat sakta hai lekin
qanun se qanun ko badla nahin jata
zulmat ko ghata kahne se barish nahin hoti
shoalon ko hawaon se to dhanpa nahin jata
tufan mein ho naw to kuchh sabr bhi aa jae
sahil pe khade ho ke to duba nahin jata
dariya ke kinare to pahunch jate hain pyase
pyason ke gharon tak koi dariya nahin jata
allah jise chahe use milti hai 'muzaffar'
izzat ko dukanon se kharida nahin jata
mujh se ziyaada kaun tamasha dekh sakega
gandhi-ji ke tinon bandar mere andar
nazar jo koi bhi tujh sa hasin nahin aata
nazar jo koi bhi tujh sa hasin nahin aata
kisi ko kya mujhe khud bhi yaqin nahin aata
tira khayal bhi teri tarah sitamgar hai
jahan pe chahiye aana vahin nahin aata
jo hone vaala hai ab us ki fikr kya kiije
jo ho chuka hai usi par yaqin nahin aata
ye mera dil hai ki manzar ujaad basti ka
khule hue hain sabhi dar makin nahin aata
bichhadna hai to bichhad ja isi do-rahe par
ki mod aage safar men kahin nahin aata
nazar jo koi bhi tujh sa hasin nahin aata
kisi ko kya mujhe khud bhi yaqin nahin aata
tera khayal bhi teri tarah sitamgar hai
jahan pe chahiye aana wahin nahin aata
jo hone wala hai ab us ki fikr kya kije
jo ho chuka hai usi par yaqin nahin aata
ye mera dil hai ki manzar ujad basti ka
khule hue hain sabhi dar makin nahin aata
bichhadna hai to bichhad ja isi do-rahe par
ki mod aage safar mein kahin nahin aata
main aaj zad pe agar hun to khush-guman na ho
charagh sab ke bujhenge hawa kisi ki nahin
achchhe din kab aaenge
achchhe din kab aenge
kya yuun hi mar jaenge
apne-ap ko khvabon se
kab tak ham bahlaenge
bambai men thahrenge kahan
dilli men kya khaenge
khilte hain to khilne do
phuul abhi murjhaenge
kitni achchhi ladki hai
barson bhuul na paenge
maut na aai to 'alvi'
chhutti men ghar jaenge
achchhe din kab aaenge
kya yun hi mar jaenge
apne-ap ko khwabon se
kab tak hum bahlaenge
bambai mein thahrenge kahan
dilli mein kya khaenge
khilte hain to khilne do
phul abhi murjhaenge
kitni achchhi ladki hai
barson bhul na paenge
maut na aai to 'alwi'
chhutti mein ghar jaenge
pareshani agar hai to pareshani ka hal bhi hai
pareshan-haal rahne se pareshani nahin jati
koi hindu koi muslim koi isai hai
koi hindu koi muslim koi isai hai
sab ne insan na banne ki qasam khaai hai
itni khun-khar na thiin pahle ibadat-gahen
ye aqide hain ki insan ki tanhai hai
tiin chauthai se zaaid hain jo abadi men
un ke hi vaste har bhuuk hai mahngai hai
dekhe kab talak baaqi rahe saj-dhaj us ki
aaj jis chehra se tasvir utarvai hai
ab nazar aata nahin kuchh bhi dukanon ke siva
ab na badal hain na chidiyan hain na purvai hai
koi hindu koi muslim koi isai hai
sab ne insan na banne ki qasam khai hai
itni khun-khar na thin pahle ibaadat-gahen
ye aqide hain ki insan ki tanhai hai
tin chauthai se zaid hain jo aabaadi mein
un ke hi waste har bhuk hai mahngai hai
dekhe kab talak baqi rahe saj-dhaj us ki
aaj jis chehra se taswir utarwai hai
ab nazar aata nahin kuchh bhi dukanon ke siwa
ab na baadal hain na chidiyan hain na purwai hai
mansub charaghon se taraf-dar hawa ke
tum log munafiq ho munafiq bhi bala ke
insan mein haiwan yahan bhi hai wahan bhi
insan men haivan yahan bhi hai vahan bhi
allah nigahban yahan bhi hai vahan bhi
khun-khvar darindon ke faqat naam alag hain
har shahr bayaban yahan bhi hai vahan bhi
hindu bhi sukun se hai musalman bhi sukun se
insan pareshan yahan bhi hai vahan bhi
rahman ki rahmat ho ki bhagvan ki murat
har khel ka maidan yahan bhi hai vahan bhi
uthta hai dil-o-jan se dhuan donon taraf hi
ye 'mir' ka divan yahan bhi hai vahan bhi
insan mein haiwan yahan bhi hai wahan bhi
allah nigahban yahan bhi hai wahan bhi
khun-khwar darindon ke faqat nam alag hain
har shahr bayaban yahan bhi hai wahan bhi
hindu bhi sukun se hai musalman bhi sukun se
insan pareshan yahan bhi hai wahan bhi
rahman ki rahmat ho ki bhagwan ki murat
har khel ka maidan yahan bhi hai wahan bhi
uthta hai dil-o-jaan se dhuan donon taraf hi
ye 'mir' ka diwan yahan bhi hai wahan bhi
kaise manun ki zamane ki khabar rakhti hai
gardish-e-waqt to bas mujh pe nazar rakhti hai
dekho to har baghal mein hai daftar daba hua
akhbar mein jo chhapna chaho khabar nahin
hairan hai jabin aaj kidhar sajda rawa hai
hairan hai jabin aaj kidhar sajda rava hai
sar par hain khudavand sar-e-arsh khuda hai
kab tak ise sinchoge tamanna-e-samar men
ye sabr ka pauda to na phula na phala hai
milta hai khiraj us ko tiri nan-e-javin se
har badshah-e-vaqt tire dar ka gada hai
har ek uqubat se hai talkhi men sava-tar
vo rang jo na-karda gunahon ki saza hai
ehsan liye kitne masiha-nafason ke
kya kijiye dil ka na jala hai na bujha hai
hairan hai jabin aaj kidhar sajda rawa hai
sar par hain khudawand sar-e-arsh khuda hai
kab tak ise sinchoge tamanna-e-samar mein
ye sabr ka pauda to na phula na phala hai
milta hai khiraj us ko teri nan-e-jawin se
har baadshah-e-waqt tere dar ka gada hai
har ek uqubat se hai talkhi mein sawa-tar
wo rang jo na-karda gunahon ki saza hai
ehsan liye kitne masiha-nafason ke
kya kijiye dil ka na jala hai na bujha hai
ek naghma ek tara ek ghuncha ek jam
ek naghhma ek taara ek ghhuncha ek jaam
ai ghham-e-dauran ghham-e-dauran tujhe mera salam
zulf avara gareban chaak ghabrai nazar
in dinon ye hai jahan men zindagani ka nizam
chand taare tuut kar daman men mere aa gire
main ne puchha tha sitaron se tire ghham ka maqam
kah rahe hain chand bichhde rahravon ke naqsh-e-pa
ham karenge inqalab-e-justuju ka ehtimam
pad gaiin pairahan-e-subh-e-chaman par silvaten
yaad aa kar rah gai hai be-khudi ki ek shaam
teri ismat ho ki ho mere hunar ki chandni
vaqt ke bazar men har chiiz ke lagte hain daam
ham banaenge yahan 'saghhar' nai tasvir-e-shauq
ham takhayyul ke mujaddid ham tasavvur ke imaam
ek naghma ek tara ek ghuncha ek jam
ai gham-e-dauran gham-e-dauran tujhe mera salam
zulf aawara gareban chaak ghabrai nazar
in dinon ye hai jahan mein zindagani ka nizam
chand tare tut kar daman mein mere aa gire
main ne puchha tha sitaron se tere gham ka maqam
kah rahe hain chand bichhde rahrawon ke naqsh-e-pa
hum karenge inqalab-e-justuju ka ehtimam
pad gain pairahan-e-subh-e-chaman par silwaten
yaad aa kar rah gai hai be-khudi ki ek sham
teri ismat ho ki ho mere hunar ki chandni
waqt ke bazar mein har chiz ke lagte hain dam
hum banaenge yahan 'saghar' nai taswir-e-shauq
hum takhayyul ke mujaddid hum tasawwur ke imam
tumhein to thik se barbaad karna bhi nahin aata
chalo pichhe hato apni ye haalat main banata hun