tum haqiqat nahin ho hasrat ho
tum haqiqat nahin ho hasrat ho
jo mile khvab men vo daulat ho
main tumhare hi dam se zinda huun
mar hi jaun jo tum se fursat ho
tum ho khushbu ke khvab ki khushbu
aur utni hi be-muravvat ho
tum ho pahlu men par qarar nahin
yaani aisa hai jaise furqat ho
tum ho angdai rang-o-nikhat ki
kaise angdai se shikayat ho
kis tarah chhod duun tumhen janan
tum miri zindagi ki aadat ho
kis liye dekhti ho aina
tum to khud se bhi khub-surat ho
dastan khatm hone vaali hai
tum miri akhri mohabbat ho
tum haqiqat nahin ho hasrat ho
jo mile khwab mein wo daulat ho
main tumhaare hi dam se zinda hun
mar hi jaun jo tum se fursat ho
tum ho khushbu ke khwab ki khushbu
aur utni hi be-murawwat ho
tum ho pahlu mein par qarar nahin
yani aisa hai jaise furqat ho
tum ho angdai rang-o-nikhat ki
kaise angdai se shikayat ho
kis tarah chhod dun tumhein jaanan
tum meri zindagi ki aadat ho
kis liye dekhti ho aaina
tum to khud se bhi khub-surat ho
dastan khatm hone wali hai
tum meri aakhri mohabbat ho
ujde hue logon se gurezan na hua kar
ujde hue logon se gurezan na hua kar
halat ki qabron ke ye katbe bhi padha kar
kya janiye kyuun tez hava soch men gum hai
khvabida parindon ko darakhton se uda kar
us shakhs ke tum se bhi marasim hain to honge
vo jhuut na bolega mire samne aa kar
har vaqt ka hansna tujhe barbad na kar de
tanhai ke lamhon men kabhi ro bhi liya kar
vo aaj bhi sadiyon ki masafat pe khada hai
dhunda tha jise vaqt ki divar gira kar
ai dil tujhe dushman ki bhi pahchan kahan hai
tu halqa-e-yaran men bhi mohtat raha kar
is shab ke muqaddar men sahar hi nahin 'mohsin'
dekha hai kai baar charaghhon ko bujha kar
ujde hue logon se gurezan na hua kar
haalat ki qabron ke ye katbe bhi padha kar
kya jaaniye kyun tez hawa soch mein gum hai
khwabida parindon ko darakhton se uda kar
us shakhs ke tum se bhi marasim hain to honge
wo jhut na bolega mere samne aa kar
har waqt ka hansna tujhe barbaad na kar de
tanhai ke lamhon mein kabhi ro bhi liya kar
wo aaj bhi sadiyon ki masafat pe khada hai
dhunda tha jise waqt ki diwar gira kar
ai dil tujhe dushman ki bhi pahchan kahan hai
tu halqa-e-yaran mein bhi mohtat raha kar
is shab ke muqaddar mein sahar hi nahin 'mohsin'
dekha hai kai bar charaghon ko bujha kar
meri dastan-e-hasrat wo suna suna ke roe
miri dastan-e-hasrat vo suna suna ke roe
mire azmane vaale mujhe aazma ke roe
koi aisa ahl-e-dil ho ki fasana-e-mohabbat
main use suna ke rouun vo mujhe suna ke roe
miri aarzu ki duniya dil-e-na-tavan ki hasrat
jise kho ke shadman the use aaj pa ke roe
tiri bevafaiyon par tiri kaj-adaiyon par
kabhi sar jhuka ke roe kabhi munh chhupa ke roe
jo sunai anjuman men shab-e-ghham ki ap-biti
kai ro ke muskurae kai muskura ke roe
meri dastan-e-hasrat wo suna suna ke roe
mere aazmane wale mujhe aazma ke roe
koi aisa ahl-e-dil ho ki fasana-e-mohabbat
main use suna ke roun wo mujhe suna ke roe
meri aarzu ki duniya dil-e-na-tawan ki hasrat
jise kho ke shadman the use aaj pa ke roe
teri bewafaiyon par teri kaj-adaiyon par
kabhi sar jhuka ke roe kabhi munh chhupa ke roe
jo sunai anjuman mein shab-e-gham ki aap-biti
kai ro ke muskurae kai muskura ke roe
chehre pe mere zulf ko phailao kisi din
chehre pe mire zulf ko phailao kisi din
kya roz garajte ho baras jaao kisi din
razon ki tarah utro mire dil men kisi shab
dastak pe mire haath ki khul jaao kisi din
pedon ki tarah husn ki barish men naha luun
badal ki tarah jhuum ke ghar aao kisi din
khushbu ki tarah guzro mire dil ki gali se
phulon ki tarah mujh pe bikhar jaao kisi din
guzren jo mere ghar se to ruk jaaen sitare
is tarah miri raat ko chamkao kisi din
main apni har ik saans usi raat ko de duun
sar rakh ke mire siine pe so jaao kisi din
chehre pe mere zulf ko phailao kisi din
kya roz garajte ho baras jao kisi din
raazon ki tarah utro mere dil mein kisi shab
dastak pe mere hath ki khul jao kisi din
pedon ki tarah husn ki barish mein naha lun
baadal ki tarah jhum ke ghar aao kisi din
khushbu ki tarah guzro mere dil ki gali se
phulon ki tarah mujh pe bikhar jao kisi din
guzren jo mere ghar se to ruk jaen sitare
is tarah meri raat ko chamkao kisi din
main apni har ek sans usi raat ko de dun
sar rakh ke mere sine pe so jao kisi din
har haqiqat majaz ho jae
har haqiqat majaz ho jaae
kafiron ki namaz ho jaae
dil rahin-e-niyaz ho jaae
bekasi karsaz ho jaae
minnat-e-chara-saz kaun kare
dard jab jan-navaz ho jaae
ishq dil men rahe to rusva ho
lab pe aae to raaz ho jaae
lutf ka intizar karta huun
jaur ta hadd-e-naz ho jaae
umr be-sud kat rahi hai 'faiz'
kaash ifsha-e-raz ho jaae
har haqiqat majaz ho jae
kafiron ki namaz ho jae
dil rahin-e-niyaz ho jae
bekasi karsaz ho jae
minnat-e-chaara-saz kaun kare
dard jab jaan-nawaz ho jae
ishq dil mein rahe to ruswa ho
lab pe aae to raaz ho jae
lutf ka intizar karta hun
jaur ta hadd-e-naz ho jae
umr be-sud kat rahi hai 'faiz'
kash ifsha-e-raaz ho jae
bhuli hui sada hun mujhe yaad kijiye
bhuli hui sada huun mujhe yaad kijiye
tum se kahin mila huun mujhe yaad kijiye
manzil nahin huun khizr nahin rahzan nahin
manzil ka rasta huun mujhe yaad kijiye
meri nigah-e-shauq se har gul hai devta
main ishq ka khuda huun mujhe yaad kijiye
naghhmon ki ibtida thi kabhi mere naam se
ashkon ki intiha huun mujhe yaad kijiye
gum-sum khadi hain donon jahan ki haqiqaten
main un se kah raha huun mujhe yaad kijiye
'saghhar' kisi ke husn-e-taghhaful-shiar ki
bahki hui ada huun mujhe yaad kijiye
bhuli hui sada hun mujhe yaad kijiye
tum se kahin mila hun mujhe yaad kijiye
manzil nahin hun khizr nahin rahzan nahin
manzil ka rasta hun mujhe yaad kijiye
meri nigah-e-shauq se har gul hai dewta
main ishq ka khuda hun mujhe yaad kijiye
naghmon ki ibtida thi kabhi mere nam se
ashkon ki intiha hun mujhe yaad kijiye
gum-sum khadi hain donon jahan ki haqiqaten
main un se kah raha hun mujhe yaad kijiye
'saghar' kisi ke husn-e-taghaful-shiar ki
bahki hui ada hun mujhe yaad kijiye
bada viran mausam hai kabhi milne chale aao
bada viran mausam hai kabhi milne chale aao
har ik janib tira ghham hai kabhi milne chale aao
hamara dil kisi gahri judai ke bhanvar men hai
hamari aankh bhi nam hai kabhi milne chale aao
mire hamrah garche duur tak logon ki raunaq hai
magar jaise koi kam hai kabhi milne chale aao
tumhen to ilm hai mere dil-e-vahshi ke zakhmon ko
tumhara vasl marham hai kabhi milne chale aao
andheri raat ki gahri khamoshi aur tanha dil
diye ki lau bhi maddham hai kabhi milne chale aao
tumhare ruuth ke jaane se ham ko aisa lagta hai
muqaddar ham se barham hai kabhi milne chale aao
havaon aur phulon ki nai khushbu batati hai
tire aane ka mausam hai kabhi milne chale aao
bada viran mausam hai kabhi milne chale aao
har ek jaanib tera gham hai kabhi milne chale aao
hamara dil kisi gahri judai ke bhanwar mein hai
hamari aankh bhi nam hai kabhi milne chale aao
mere hamrah garche dur tak logon ki raunaq hai
magar jaise koi kam hai kabhi milne chale aao
tumhein to ilm hai mere dil-e-wahshi ke zakhmon ko
tumhaara wasl marham hai kabhi milne chale aao
andheri raat ki gahri khamoshi aur tanha dil
diye ki lau bhi maddham hai kabhi milne chale aao
tumhaare ruth ke jaane se hum ko aisa lagta hai
muqaddar hum se barham hai kabhi milne chale aao
hawaon aur phulon ki nai khushbu batati hai
tere aane ka mausam hai kabhi milne chale aao
ai husn-e-lala-fam! zara aankh to mila
ai husn-e-lala-fam! zara aankh to mila
khali pade hain jaam! zara aankh to mila
kahte hain aankh aankh se milna hai bandagi
duniya ke chhod kaam! zara aankh to mila
kya vo na aaj aenge taron ke saath saath
tanhaiyon ki sham! zara aankh to mila
ye jaam ye subu ye tasavvur ki chandni
saaqi kahan mudam! zara aankh to mila
saaqi mujhe bhi chahiye ik jam-e-arzu
kitne lagenge daam! zara aankh to mila
pamal ho na jaae sitaron ki aabru
ai mere khush-khiram! zara aankh to mila
hain rah-e-kahkashan men azal se khade hue
'saghhar' tire ghhulam! zara aankh to mila
ai husn-e-lala-fam! zara aankh to mila
khali pade hain jam! zara aankh to mila
kahte hain aankh aankh se milna hai bandagi
duniya ke chhod kaam! zara aankh to mila
kya wo na aaj aaenge taron ke sath sath
tanhaiyon ki sham! zara aankh to mila
ye jam ye subu ye tasawwur ki chandni
saqi kahan mudam! zara aankh to mila
saqi mujhe bhi chahiye ek jam-e-arzu
kitne lagenge dam! zara aankh to mila
pamal ho na jae sitaron ki aabru
ai mere khush-khiram! zara aankh to mila
hain rah-e-kahkashan mein azal se khade hue
'saghar' tere ghulam! zara aankh to mila
jo ab bhi na taklif farmaiyega
jo ab bhi na taklif farmaiyega
to bas haath malte hi rah jaiyega
nigahon se chhup kar kahan jaiyega
jahan jaiyega hamen paiyega
mira jab bura haal sun paiyega
khiraman khiraman chale aiyega
mita kar hamen aap pachhtaiyega
kami koi mahsus farmaiyega
nahin khel naseh junun ki haqiqat
samajh lijiyega to samjhaiyega
hamen bhi ye ab dekhna hai ki ham par
kahan tak tavajjoh na farmaiyega
sitam 'ishq men aap asan na samjhen
tadap jaiyega jo tadpaiyega
ye dil hai ise dil hi bas rahne diije
karam kijiyega to pachhtaiyega
kahin chup rahi hai zaban-e-mohabbat
na farmaiyega to farmaiyega
bhulana hamara mubarak mubarak
magar shart ye hai na yaad aiyega
hamen bhi na ab chain aaega jab tak
in ankhon men aansu na bhar laiyega
tira jazba-e-shauq hai be-haqiqat
zara phir to irshad farmaiyega
hamin jab na honge to kya rang-e-mahfil
kise dekh kar aap sharmaiyega
ye maana ki de kar hamen ranj-e-furqat
mudava-e-furqat na farmaiyega
mohabbat mohabbat hi rahti hai lekin
kahan tak tabi'at ko behlaiyega
na hoga hamara hi aghhosh khali
kuchh apna bhi pahlu tahi paiyega
junun ki 'jigar' koi had bhi hai akhir
kahan tak kisi par sitam dhaiyega
jo ab bhi na taklif farmaiyega
to bas hath malte hi rah jaiyega
nigahon se chhup kar kahan jaiyega
jahan jaiyega hamein paiyega
mera jab bura haal sun paiyega
khiraman khiraman chale aaiyega
mita kar hamein aap pachhtaiyega
kami koi mahsus farmaiyega
nahin khel naseh junun ki haqiqat
samajh lijiyega to samjhaiyega
hamein bhi ye ab dekhna hai ki hum par
kahan tak tawajjoh na farmaiyega
sitam 'ishq mein aap aasan na samjhen
tadap jaiyega jo tadpaiyega
ye dil hai ise dil hi bas rahne dije
karam kijiyega to pachhtaiyega
kahin chup rahi hai zaban-e-mohabbat
na farmaiyega to farmaiyega
bhulana hamara mubarak mubarak
magar shart ye hai na yaad aaiyega
hamein bhi na ab chain aaega jab tak
in aankhon mein aansu na bhar laiyega
tera jazba-e-shauq hai be-haqiqat
zara phir to irshad farmaiyega
hamin jab na honge to kya rang-e-mahfil
kise dekh kar aap sharmaiyega
ye mana ki de kar hamein ranj-e-furqat
mudawa-e-furqat na farmaiyega
mohabbat mohabbat hi rahti hai lekin
kahan tak tabi'at ko behlaiyega
na hoga hamara hi aaghosh khali
kuchh apna bhi pahlu tahi paiyega
junun ki 'jigar' koi had bhi hai aakhir
kahan tak kisi par sitam dhaiyega
zakhmon ke nae phul khilane ke liye aa
zakhmon ke nae phuul khilane ke liye aa
phir mausam-e-gul yaad dilane ke liye aa
masti liye ankhon men bikhere hue zulfen
aa phir mujhe divana banane ke liye aa
ab lutf isi men hai maza hai to isi men
aa ai mire mahbub satane ke liye aa
aa rakh dahan-e-zakhm pe phir ungliyan apni
dil bansuri teri hai bajane ke liye aa
haan kuchh bhi to derina mohabbat ka bharam rakh
dil se na aa duniya ko dikhane ke liye aa
maana ki mire ghar se adavat hi tujhe hai
rahne ko na aa aag lagane ke liye aa
pyare tiri surat se bhi achchhi hai jo tasvir
main ne tujhe rakkhi hai dikhane ke liye, aa
ashufta kahe hai koi divana kahe hai
main kaun huun duniya ko batane ke liye aa
kuchh roz se ham shahr men rusva na hue hain
aa phir koi ilzam lagane ke liye aa
ab ke jo vo aa jaae to 'ajiz' use le kar
mahfil men ghhazal apni sunane ke liye aa
zakhmon ke nae phul khilane ke liye aa
phir mausam-e-gul yaad dilane ke liye aa
masti liye aankhon mein bikhere hue zulfen
aa phir mujhe diwana banane ke liye aa
ab lutf isi mein hai maza hai to isi mein
aa ai mere mahbub satane ke liye aa
aa rakh dahan-e-zakhm pe phir ungliyan apni
dil bansuri teri hai bajaane ke liye aa
han kuchh bhi to derina mohabbat ka bharam rakh
dil se na aa duniya ko dikhane ke liye aa
mana ki mere ghar se adawat hi tujhe hai
rahne ko na aa aag lagane ke liye aa
pyare teri surat se bhi achchhi hai jo taswir
main ne tujhe rakkhi hai dikhane ke liye, aa
aashufta kahe hai koi diwana kahe hai
main kaun hun duniya ko batane ke liye aa
kuchh roz se hum shahr mein ruswa na hue hain
aa phir koi ilzam lagane ke liye aa
ab ke jo wo aa jae to 'ajiz' use le kar
mahfil mein ghazal apni sunane ke liye aa
hum ashk-e-gham hain agar tham rahe rahe na rahe
ham ashk-e-ghham hain agar tham rahe rahe na rahe
mizha pe aan ke tuk jam rahe rahe na rahe
rahen vo shakhs jo bazm-e-jahan ki raunaq hain
hamari kya hai agar ham rahe rahe na rahe
mujhe hai nazaa vo aata hai dekhne ab aah
ki us ke aane talak dam rahe rahe na rahe
baqa hamari jo puchho to juun charaghh-e-mazar
hava ke biich koi dam rahe rahe na rahe
milo jo ham se to mil lo ki ham ba-nok-e-giyah
misal-e-qatra-e-shabnam rahe rahe na rahe
yahi hai azm ki dil bhar ke aaj ro liije
ki kal ye dida-e-pur-nam rahe rahe na rahe
tumhare ghham men ghharaz ham to de chuke hain ji
bala se tum ko bhi ab ghham rahe rahe na rahe
yahi samajh lo hamen tum ki ik musafir hain
jo chalte chalte kahin tham rahe rahe na rahe
'nazir' aaj hi chal kar buton se mil liije
phir ishtiyaq ka aalam rahe rahe na rahe
hum ashk-e-gham hain agar tham rahe rahe na rahe
mizha pe aan ke tuk jam rahe rahe na rahe
rahen wo shakhs jo bazm-e-jahan ki raunaq hain
hamari kya hai agar hum rahe rahe na rahe
mujhe hai naza wo aata hai dekhne ab aah
ki us ke aane talak dam rahe rahe na rahe
baqa hamari jo puchho to jun charagh-e-mazar
hawa ke bich koi dam rahe rahe na rahe
milo jo hum se to mil lo ki hum ba-nok-e-giyah
misal-e-qatra-e-shabnam rahe rahe na rahe
yahi hai azm ki dil bhar ke aaj ro lije
ki kal ye dida-e-pur-nam rahe rahe na rahe
tumhaare gham mein gharaz hum to de chuke hain ji
bala se tum ko bhi ab gham rahe rahe na rahe
yahi samajh lo hamein tum ki ek musafir hain
jo chalte chalte kahin tham rahe rahe na rahe
'nazir' aaj hi chal kar buton se mil lije
phir ishtiyaq ka aalam rahe rahe na rahe
awwalin chand ne kya baat sujhai mujhko
avvalin chand ne kya baat sujhai mujh ko
yaad aai tiri angusht-e-hinai mujh ko
sar-e-aivan-e-tarab naghhma-sara tha koi
raat bhar us ne tiri yaad dilai mujh ko
dekhte dekhte taron ka safar khatm hua
so gaya chand magar niind na aai mujh ko
inhi ankhon ne dikhae kai bharpur jamal
inhin ankhon ne shab-e-hijr dikhai mujh ko
saae ki tarah mire saath rahe ranj o alam
gardish-e-vaqt kahin raas na aai mujh ko
dhuup idhar dhalti thi dil dubta jaata tha idhar
aaj tak yaad hai vo sham-e-judai mujh ko
shahr-e-lahore tiri raunaqen daaim abad
teri galiyon ki hava khinch ke laai mujh ko
awwalin chand ne kya baat sujhai mujh ko
yaad aai teri angusht-e-hinai mujh ko
sar-e-aiwan-e-tarab naghma-sara tha koi
raat bhar us ne teri yaad dilai mujh ko
dekhte dekhte taron ka safar khatm hua
so gaya chand magar nind na aai mujh ko
inhi aankhon ne dikhae kai bharpur jamal
inhin aankhon ne shab-e-hijr dikhai mujh ko
sae ki tarah mere sath rahe ranj o alam
gardish-e-waqt kahin ras na aai mujh ko
dhup idhar dhalti thi dil dubta jata tha idhar
aaj tak yaad hai wo sham-e-judai mujh ko
shahr-e-lahore teri raunaqen daim aabaad
teri galiyon ki hawa khinch ke lai mujh ko
hum bahr-e-haal dil o jaan se tumhaare hote
ham bahar haal dil o jaan se tumhare hote
tum bhi ik-adh ghadi kaash hamare hote
aks paani men mohabbat ke utare hote
ham jo baithe hue dariya ke kinare hote
jo mah o saal guzare hain bichhad kar ham ne
vo mah o saal agar saath guzare hote
kya abhi biich men divar koi baaqi hai
kaun sa ghham hai bhala tum ko hamare hote
aap to aap hain khaliq bhi hamara hota
ham zarurat men kisi ko na pukare hote
saath ahbab ke hasid bhi zaruri hain 'adim'
ham sukhan apna sunate jahan saare hote
hum bahar haal dil o jaan se tumhaare hote
tum bhi ik-adh ghadi kash hamare hote
aks pani mein mohabbat ke utare hote
hum jo baithe hue dariya ke kinare hote
jo mah o sal guzare hain bichhad kar hum ne
wo mah o sal agar sath guzare hote
kya abhi bich mein diwar koi baqi hai
kaun sa gham hai bhala tum ko hamare hote
aap to aap hain khaliq bhi hamara hota
hum zarurat mein kisi ko na pukare hote
sath ahbab ke hasid bhi zaruri hain 'adim'
hum sukhan apna sunate jahan sare hote
zindagi kawish-e-baatil hai mera sath na chhod
zindagi kavish-e-batil hai mira saath na chhod
tu hi ik umr ka hasil hai mira saath na chhod
log milte hain sar-e-rah guzar jaate hain
tu hi ik ham-safar-e-dil hai mira saath na chhod
tu ne socha hai mujhe tu ne sanvara hai mujhe
tu mira zehn mira dil hai mira saath na chhod
tu na hoga to kahan ja ke jalunga shab bhar
tujh se hi garmi-e-mahfil hai mira saath na chhod
main ki biphre hue tufan men huun lahron lahron
tu ki asuda-e-sahil hai mira saath na chhod
is rifaqat ko sipar apni bana len ji len
shahr ka shahr hi qatil hai mira saath na chhod
ek main ne hi ugaae nahin khvabon ke gulab
tu bhi is jurm men shamil hai mira saath na chhod
ab kisi raah pe jalte nahin chahat ke charag
tu miri akhiri manzil hai mira saath na chhod
zindagi kawish-e-baatil hai mera sath na chhod
tu hi ek umr ka hasil hai mera sath na chhod
log milte hain sar-e-rah guzar jate hain
tu hi ek ham-safar-e-dil hai mera sath na chhod
tu ne socha hai mujhe tu ne sanwara hai mujhe
tu mera zehn mera dil hai mera sath na chhod
tu na hoga to kahan ja ke jalunga shab bhar
tujh se hi garmi-e-mahfil hai mera sath na chhod
main ki biphre hue tufan mein hun lahron lahron
tu ki aasuda-e-sahil hai mera sath na chhod
is rifaqat ko sipar apni bana len ji len
shahr ka shahr hi qatil hai mera sath na chhod
ek main ne hi ugae nahin khwabon ke gulab
tu bhi is jurm mein shamil hai mera sath na chhod
ab kisi rah pe jalte nahin chahat ke charag
tu meri aakhiri manzil hai mera sath na chhod
tu qarib aae to qurbat ka yun izhaar karun
tu qarib aae to qurbat ka yuun izhar karun
aaina samne rakh kar tira didar karun
samne tere karun haar ka apni elaan
aur akele men tiri jiit se inkar karun
pahle sochun use phir us ki banaun tasvir
aur phir us men hi paida dar-o-divar karun
mire qabze men na mitti hai na badal na hava
phir bhi chahat hai ki har shakh samar-bar karun
subh hote hi ubhar aati hai salim ho kar
vahi divar jise roz main mismar karun
tu qarib aae to qurbat ka yun izhaar karun
aaina samne rakh kar tera didar karun
samne tere karun haar ka apni elan
aur akele mein teri jit se inkar karun
pahle sochun use phir us ki banaun taswir
aur phir us mein hi paida dar-o-diwar karun
mere qabze mein na mitti hai na baadal na hawa
phir bhi chahat hai ki har shakh samar-bar karun
subh hote hi ubhar aati hai salim ho kar
wahi diwar jise roz main mismar karun
sukut-e-sham-e-khizan hai qarib aa jao
sukut-e-sham-e-khizan hai qarib aa jaao
bada udaas saman hai qarib aa jaao
na tum ko khud pe bharosa na ham ko zom-e-vafa
na e'tibar-e-jahan hai qarib aa jaao
rah-e-talab men kisi ko kisi ka dhyan nahin
hujum-e-ham-safaran hai qarib aa jaao
jo dasht-e-ishq men bichhde vo umr bhar na mile
yahan dhuan hi dhuan hai qarib aa jaao
ye andhiyan hain to shahr-e-vafa ki khair nahin
zamana khak-fishan hai qarib aa jaao
faqih-e-shahr ki majlis nahin ki duur raho
ye bazm-e-pir-e-mughhan hai qarib aa jaao
'faraz' duur ke suraj ghhurub samjhe gae
ye daur-e-kam-nazaran hai qarib aa jaao
sukut-e-sham-e-khizan hai qarib aa jao
bada udas saman hai qarib aa jao
na tum ko khud pe bharosa na hum ko zom-e-wafa
na e'tibar-e-jahan hai qarib aa jao
rah-e-talab mein kisi ko kisi ka dhyan nahin
hujum-e-ham-safaran hai qarib aa jao
jo dasht-e-ishq mein bichhde wo umr bhar na mile
yahan dhuan hi dhuan hai qarib aa jao
ye aandhiyan hain to shahr-e-wafa ki khair nahin
zamana khak-fishan hai qarib aa jao
faqih-e-shahr ki majlis nahin ki dur raho
ye bazm-e-pir-e-mughan hai qarib aa jao
'faraaz' dur ke suraj ghurub samjhe gae
ye daur-e-kam-nazaran hai qarib aa jao
phir chahe jitni qamat le kar aa jaana
phir chahe jitni qamat le kar aa jaana
pahle apni zaat se tum bahar aa jaana
tanha tai kar lunga saare mushkil raste
shart ye hai ki tum darvaze par aa jaana
main divar pe rakh aunga diip jala kar
saaya ban kar tum darvaze par aa jaana
tum ne ham ko thukraya ye zarf tumhara
jab tum ko thukra den log idhar aa jaana
baton ka bhi zakhm bahut gahra hota hai
qatl bhi karna ho to be-khanjar aa jaana
tum kyuun apni satah pe ham ko laana chaho
mushkil hai gahrai ka uupar aa jaana
jab thak jaae zehn khudai karte karte
bandon se milne banda-parvar aa jaana
ham ne ye tahzib parindon se sikhi hai
subh ko ghar se jaana shaam ko ghar aa jaana
rasta rasta ek ajaib-gah 'muzaffar'
hansti ankhon se jaana shashdar aa jaana
phir chahe jitni qamat le kar aa jaana
pahle apni zat se tum bahar aa jaana
tanha tai kar lunga sare mushkil raste
shart ye hai ki tum darwaze par aa jaana
main diwar pe rakh aaunga dip jala kar
saya ban kar tum darwaze par aa jaana
tum ne hum ko thukraya ye zarf tumhaara
jab tum ko thukra den log idhar aa jaana
baaton ka bhi zakhm bahut gahra hota hai
qatl bhi karna ho to be-khanjar aa jaana
tum kyun apni satah pe hum ko lana chaho
mushkil hai gahrai ka upar aa jaana
jab thak jae zehn khudai karte karte
bandon se milne banda-parwar aa jaana
hum ne ye tahzib parindon se sikhi hai
subh ko ghar se jaana sham ko ghar aa jaana
rasta rasta ek ajaib-gah 'muzaffar'
hansti aankhon se jaana shashdar aa jaana
ghazlon ki dhanak odh mere shoala-badan tu
ghhazlon ki dhanak odh mire shoala-badan tu
hai mera sukhan tu mira mauzu-e-sukhan tu
kaliyon ki tarah phuut sar-e-shakh-e-tamanna
khushbu ki tarah phail chaman-ta-ba-chaman tu
nazil ho kabhi zehn pe ayat ki surat
ayat men dhal ja kabhi jibril dahan tu
ab kyuun na sajaun main tujhe diida o dil men
lagta hai andhere men savere ki kiran tu
pahle na koi ramz-e-sukhan thi na kinaya
ab nuqta-e-takmil-e-hunar mehvar-e-fan tu
ye kam to nahin tu mira meyar-e-nazar hai
ai dost mire vaste kuchh aur na ban tu
mumkin ho to rahne de mujhe zulmat-e-jan men
dhundega kahan chandni raton ka kafan tu
ghazlon ki dhanak odh mere shoala-badan tu
hai mera sukhan tu mera mauzu-e-sukhan tu
kaliyon ki tarah phut sar-e-shakh-e-tamanna
khushbu ki tarah phail chaman-ta-ba-chaman tu
nazil ho kabhi zehn pe aayat ki surat
aayat mein dhal ja kabhi jibril dahan tu
ab kyun na sajaun main tujhe dida o dil mein
lagta hai andhere mein sawere ki kiran tu
pahle na koi ramz-e-sukhan thi na kinaya
ab nuqta-e-takmil-e-hunar mehwar-e-fan tu
ye kam to nahin tu mera meyar-e-nazar hai
ai dost mere waste kuchh aur na ban tu
mumkin ho to rahne de mujhe zulmat-e-jaan mein
dhundega kahan chandni raaton ka kafan tu
jaane wale mujhe kuchh apni nishani de ja
jaane vaale mujhe kuchh apni nishani de ja
ruuh pyasi na rahe aankh men paani de ja
vaqt ke saath khad-o-khal badal jaate hain
jo na badle vahi tasvir purani de ja
tire mathe pe mira naam chamakta tha kabhi
un dinon ki koi pahchan purani de ja
jis ki aghhosh men kat jaaen hazaron raten
meri tanhai ko chhu kar vo kahani de ja
rakh na mahrum khud apni hi rifaqat se mujhe
aaina mujh ko dikha de mira saani de ja
jaane wale mujhe kuchh apni nishani de ja
ruh pyasi na rahe aankh mein pani de ja
waqt ke sath khad-o-khal badal jate hain
jo na badle wahi taswir purani de ja
tere mathe pe mera nam chamakta tha kabhi
un dinon ki koi pahchan purani de ja
jis ki aaghosh mein kat jaen hazaron raaten
meri tanhai ko chhu kar wo kahani de ja
rakh na mahrum khud apni hi rifaqat se mujhe
aaina mujh ko dikha de mera sani de ja
tum bhatak jao to kuchh zauq-e-safar aa jaega
tum bhatak jaao to kuchh zauq-e-safar aa jaega
mukhtalif raston pe chalne ka hunar aa jaega
main khala men dekhta rahta huun is ummid par
ek din mujh ko achanak tu nazar aa jaega
tez itna hi agar chalna hai tanha jaao tum
baat puuri bhi na hogi aur ghar aa jaega
ye makan girta hua jab chhod jaenge makin
ik parinda baithne divar par aa jaega
koi meri mukhbiri karta rahega aur phir
jurm ki taftish karne be-khabar aa jaega
ho gaya mitti agar mera pasina suukh kar
dekhna mere darakhton par samar aa jaega
bandagi men ishq si divangi paida karo
ek dam 'asim' duaon men asar aa jaega
tum bhatak jao to kuchh zauq-e-safar aa jaega
mukhtalif raston pe chalne ka hunar aa jaega
main khala mein dekhta rahta hun is ummid par
ek din mujh ko achanak tu nazar aa jaega
tez itna hi agar chalna hai tanha jao tum
baat puri bhi na hogi aur ghar aa jaega
ye makan girta hua jab chhod jaenge makin
ek parinda baithne diwar par aa jaega
koi meri mukhbiri karta rahega aur phir
jurm ki taftish karne be-khabar aa jaega
ho gaya mitti agar mera pasina sukh kar
dekhna mere darakhton par samar aa jaega
bandagi mein ishq si diwangi paida karo
ek dam 'asim' duaon mein asar aa jaega
main apna nam tere jism par likha dekhun
main apna naam tire jism par likha dekhun
dikhai dega abhi battiyan bujha dekhun
phir us ko paun mira intizar karte hue
phir us makan ka darvaza adh-khula dekhun
ghataen aaen to ghar ghar ko dubta paun
hava chale to har ik ped ko gira dekhun
kitab kholun to harfon men khalbali mach jaae
qalam uthaun to kaghhaz ko phailta dekhun
utaar phenkun badan se phati purani qamis
badan qamis se badh kar kata-phata dekhun
vahin kahin na padi ho tamanna jiine ki
phir ek baar unhin jangalon men ja dekhun
vo roz shaam ko 'alvi' idhar se jaati hai
to kya main aaj use apne ghar bula dekhun
main apna nam tere jism par likha dekhun
dikhai dega abhi battiyan bujha dekhun
phir us ko paun mera intizar karte hue
phir us makan ka darwaza adh-khula dekhun
ghataen aaen to ghar ghar ko dubta paun
hawa chale to har ek ped ko gira dekhun
kitab kholun to harfon mein khalbali mach jae
qalam uthaun to kaghaz ko phailta dekhun
utar phenkun badan se phati purani qamis
badan qamis se badh kar kata-phata dekhun
wahin kahin na padi ho tamanna jine ki
phir ek bar unhin jangalon mein ja dekhun
wo roz sham ko 'alwi' idhar se jati hai
to kya main aaj use apne ghar bula dekhun
be-kaif jawani hai be-dard zamana hai
be-kaif javani hai be-dard zamana hai
nakam-e-mohabbat ka itna hi fasana hai
savan ka mahina hai mausam bhi suhana hai
aa jaao jo aana hai aa jaao jo aana hai
ai kaash koi kah de us chashm-e-fusun-gar se
nazron ka churana hi nazron ka milana hai
aghhaz-e-mohabbat se anjam-e-mohabbat tak
''ik aag ka dariya hai aur duub ke jaana hai''
be-kaif jawani hai be-dard zamana hai
nakaam-e-mohabbat ka itna hi fasana hai
sawan ka mahina hai mausam bhi suhana hai
aa jao jo aana hai aa jao jo aana hai
ai kash koi kah de us chashm-e-fusun-gar se
nazron ka churana hi nazron ka milana hai
aaghaz-e-mohabbat se anjam-e-mohabbat tak
ik aag ka dariya hai aur dub ke jaana hai
bundon ki tarah chhat se tapakte hue aa jao
bundon ki tarah chhat se tapakte hue aa jaao
barsat ka mausam hai baraste hue aa jaao
khushbu ho to jhonke ki tarah phuul se niklo
dil ho to miri jaan dhadakte hue aa jaao
do gaam pe mai-khana hai daftar se nikal kar
is bhigte mausam men tahalte hue aa jaao
mausam ke bahane gul-o-gulzar nikal aae
tum bhi koi bahrup badalte hue aa jaao
bundon ki tarah chhat se tapakte hue aa jao
barsat ka mausam hai baraste hue aa jao
khushbu ho to jhonke ki tarah phul se niklo
dil ho to meri jaan dhadakte hue aa jao
do gam pe mai-khana hai daftar se nikal kar
is bhigte mausam mein tahalte hue aa jao
mausam ke bahane gul-o-gulzar nikal aae
tum bhi koi bahrup badalte hue aa jao
aaghosh-e-sitam mein hi chhupa le koi aa kar
aghhosh-e-sitam men hi chhupa le koi aa kar
tanha to tadapne se bacha le koi aa kar
sahra men uga huun ki miri chhanv koi paae
hilta huun ki patton ki hava le koi aa kar
bikta to nahin huun na mire daam bahut hain
raste men pada huun ki utha le koi aa kar
kashti huun mujhe koi kinare se to khole
tufan ke hi kar jaae havale koi aa kar
jab khinch liya hai mujhe maidan-e-sitam men
dil khol ke hasrat bhi nikale koi aa kar
do chaar kharashon se ho taskin-e-jafa kya
shisha huun to patthar pe uchhale koi aa kar
mere kisi ehsan ka badla na chukae
apni hi vafaon ka sila le koi aa kar
aaghosh-e-sitam mein hi chhupa le koi aa kar
tanha to tadapne se bacha le koi aa kar
sahra mein uga hun ki meri chhanw koi pae
hilta hun ki patton ki hawa le koi aa kar
bikta to nahin hun na mere dam bahut hain
raste mein pada hun ki utha le koi aa kar
kashti hun mujhe koi kinare se to khole
tufan ke hi kar jae hawale koi aa kar
jab khinch liya hai mujhe maidan-e-sitam mein
dil khol ke hasrat bhi nikale koi aa kar
do chaar kharashon se ho taskin-e-jafa kya
shisha hun to patthar pe uchhaale koi aa kar
mere kisi ehsan ka badla na chukae
apni hi wafaon ka sila le koi aa kar
is shahr mein kahin pe hamara makan bhi ho
is shahr men kahin pe hamara makan bhi ho
bazar hai to ham pe kabhi mehrban bhi ho
jagen to as-pas kinara dikhai de
dariya ho pur-sukun khula badban bhi ho
ik dost aisa ho ki miri baat baat ko
sach manta ho aur zara bad-guman bhi ho
raste men ek ped ho tanha khada hua
aur us ki ek shakh pe ik ashiyan bhi ho
us se mile zamana hua lekin aaj bhi
dil se dua nikalti hai khush ho jahan bhi ho
ham us jagah chale hain jahan ye zamin nahin
achchha ho gar vahan pe naya asman bhi ho
is shahr mein kahin pe hamara makan bhi ho
bazar hai to hum pe kabhi mehrban bhi ho
jagen to aas-pas kinara dikhai de
dariya ho pur-sukun khula baadban bhi ho
ek dost aisa ho ki meri baat baat ko
sach manta ho aur zara bad-guman bhi ho
raste mein ek ped ho tanha khada hua
aur us ki ek shakh pe ek aashiyan bhi ho
us se mile zamana hua lekin aaj bhi
dil se dua nikalti hai khush ho jahan bhi ho
hum us jagah chale hain jahan ye zamin nahin
achchha ho gar wahan pe naya aasman bhi ho
ye khayal tha kabhi khwab mein tujhe dekhte
ye khayal tha kabhi khvab men tujhe dekhte
kabhi zindagi ki kitab men tujhe dekhte
mire maah tum to hijab hi men rahe magar
hamen taab thi tab-o-tab men tujhe dekhte
kabhi koi babat-e-husn ham se jo puchhta
to ham ahl-e-ishq javab men tujhe dekhte
kisi aur dhaj se banate tera mujassama
kabhi ham jo ain-shabab men tujhe dekhte
kabhi dekhte tujhe tirgi ke jamal men
kabhi raushni ke sarab men tujhe dekhte
ye khayal tha kabhi khwab mein tujhe dekhte
kabhi zindagi ki kitab mein tujhe dekhte
mere mah tum to hijab hi mein rahe magar
hamein tab thi tab-o-tab mein tujhe dekhte
kabhi koi babat-e-husn hum se jo puchhta
to hum ahl-e-ishq jawab mein tujhe dekhte
kisi aur dhaj se banate tera mujassama
kabhi hum jo ain-shabab mein tujhe dekhte
kabhi dekhte tujhe tirgi ke jamal mein
kabhi raushni ke sarab mein tujhe dekhte
lutf farma sako to aa jao
lutf farma sako to aa jaao
aaj bhi aa sako to aa jaao
apni vusat men kho chuka huun main
raah dikhla sako to aa jaao
ab vo dil hi nahin vo ghham hi nahin
aarzu la sako to aa jaao
ghham-gusaro bahut udaas huun main
aaj bahla sako to aa jaao
fursat-e-nama-o-payam kahan
ab tumhi aa sako to aa jaao
vo rahi 'saif' manzil-e-hasti
do qadam aa sako to aa jaao
lutf farma sako to aa jao
aaj bhi aa sako to aa jao
apni wusat mein kho chuka hun main
rah dikhla sako to aa jao
ab wo dil hi nahin wo gham hi nahin
aarzu la sako to aa jao
gham-gusaro bahut udas hun main
aaj bahla sako to aa jao
fursat-e-nama-o-payam kahan
ab tumhi aa sako to aa jao
wo rahi 'saif' manzil-e-hasti
do qadam aa sako to aa jao
mere khwabon mein khayalon mein mere pas raho
mire khvabon men khayalon men mire paas raho
tum mire saare savalon men mire paas raho
mere qatil mire dildar masiha mere
zakhm-o-marham ke havalon men mire paas raho
sham-e-rukhsar liye gesu-e-khamdar liye
sab andheron men ujalon men mire paas raho
kabhi khushbu kabhi saaya kabhi paikar ban kar
sabhi hijron men visalon men mire paas raho
ho tumhin juuhi tumhin roli tumhen parvati
husn-e-khuban ki misalon men mire paas raho
apni palkon pe sajae hue namnak charaghh
dam-e-akhir ke sambhalon men mire paas raho
mere khwabon mein khayalon mein mere pas raho
tum mere sare sawalon mein mere pas raho
mere qatil mere dildar masiha mere
zakhm-o-marham ke hawalon mein mere pas raho
sham-e-rukhsar liye gesu-e-khamdar liye
sab andheron mein ujalon mein mere pas raho
kabhi khushbu kabhi saya kabhi paikar ban kar
sabhi hijron mein visalon mein mere pas raho
ho tumhin juhi tumhin roli tumhein parwati
husn-e-khuban ki misalon mein mere pas raho
apni palkon pe sajae hue namnak charagh
dam-e-akhir ke sambhaalon mein mere pas raho
khuda-ra aa ke meri lo khabar kahan ho tum
khuda-ra aa ke miri lo khabar kahan ho tum
mire habib mire chara-gar kahan ho tum
na raston ki khabar aur na manzilon ka pata
kahan main jaun mire rahbar kahan ho tum
ai baghh-e-dil ke milansar baghhban-e-zaif
darakht dene lage hain samar kahan ho tum
sunai deti hai har pal mujhe tiri avaz
dikhai kyuun nahin dete magar, kahan ho tum?
ghhazab ki dhuup hai aur saeban koi nahin
main jal raha huun mire bam-o-dar kahan ho tum
kuchh un ki khair khabar saath le ke aae ho?
chale bhi aao mire nama-bar kahan ho tum
khuda-ra aa ke meri lo khabar kahan ho tum
mere habib mere chaara-gar kahan ho tum
na raston ki khabar aur na manzilon ka pata
kahan main jaun mere rahbar kahan ho tum
ai bagh-e-dil ke milansar baghban-e-zaif
darakht dene lage hain samar kahan ho tum
sunai deti hai har pal mujhe teri aawaz
dikhai kyun nahin dete magar, kahan ho tum?
ghazab ki dhup hai aur saeban koi nahin
main jal raha hun mere baam-o-dar kahan ho tum
kuchh un ki khair khabar sath le ke aae ho?
chale bhi aao mere nama-bar kahan ho tum
mera khat hai jahan yaro wo rashk-e-hur le jaana
mira khat hai jahan yaaro vo rashk-e-hur le jaana
kisi surat se vaan tak tum mira mazkur le jaana
agar vo shoala-ru puchhe mire dil ke phaphulon ko
to us ke samne ik khosha-e-angur le jaana
jo ye puchhe ki ab kitni hai us ke rang par zardi
to yaaro tum gul-e-sad-barg ya kafur le jaana
agar puchhe mire siine ke zakhmon ko to ai yaaro
kahin se dhundh kar ik khana-e-zambur le jaana
raqib-e-ru-siyah ke haal ka gar majra puchhe
to us ke samne jangal se ik langur le jaana
'nazir' ik din khushi se yaar ne hans kar kaha mujh ko
ki tu bhi ek bosa ham se ai ranjur le jaana
mera khat hai jahan yaro wo rashk-e-hur le jaana
kisi surat se wan tak tum mera mazkur le jaana
agar wo shoala-ru puchhe mere dil ke phaphulon ko
to us ke samne ek khosha-e-angur le jaana
jo ye puchhe ki ab kitni hai us ke rang par zardi
to yaro tum gul-e-sad-barg ya kafur le jaana
agar puchhe mere sine ke zakhmon ko to ai yaro
kahin se dhundh kar ek khana-e-zambur le jaana
raqib-e-ru-siyah ke haal ka gar majra puchhe
to us ke samne jangal se ek langur le jaana
'nazir' ek din khushi se yar ne hans kar kaha mujh ko
ki tu bhi ek bosa hum se ai ranjur le jaana