ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa
ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa
aa phir se mujhe chhod ke jaane ke liye aa
even if you are annoyed come just to give me pain
come even if you have to then leave me yet again
kuchh to mire pindar-e-mohabbat ka bharam rakh
tu bhi to kabhi mujh ko manane ke liye aa
the notion of my love's self-pride please do pacify
you should surely come one day and try to mollify
pahle se marasim na sahi phir bhi kabhi to
rasm-o-rah-e-duniya hi nibhane ke liye aa
even tho no longer close we are as used to be
come even if it's purely for sake of formality
kis kis ko bataenge judai ka sabab ham
tu mujh se khafa hai to zamane ke liye aa
the reason for our parting to whom should i relate
if cross with methen come and to the world narrate
ik 'umr se huun lazzat-e-girya se bhi mahrum
ai rahat-e-jan mujh ko rulane ke liye aa
a lifetime have i missed the joy of tearful ecstasy
life's comfort thus to make me cry, you should come to me
ab tak dil-e-khush-fahm ko tujh se hain umiden
ye akhiri sham'en bhi bujhane ke liye aa
my heart is optimistic yet, its hopes are still alive
come to snuff it out, let not this final flame survive
ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa
aa phir se mujhe chhod ke jaane ke liye aa
even if you are annoyed come just to give me pain
come even if you have to then leave me yet again
kuchh to mere pindar-e-mohabbat ka bharam rakh
tu bhi to kabhi mujh ko manane ke liye aa
the notion of my love's self-pride please do pacify
you should surely come one day and try to mollify
pahle se marasim na sahi phir bhi kabhi to
rasm-o-rah-e-duniya hi nibhane ke liye aa
even tho no longer close we are as used to be
come even if it's purely for sake of formality
kis kis ko bataenge judai ka sabab hum
tu mujh se khafa hai to zamane ke liye aa
the reason for our parting to whom should i relate
if cross with methen come and to the world narrate
ek 'umr se hun lazzat-e-girya se bhi mahrum
ai rahat-e-jaan mujh ko rulane ke liye aa
a lifetime have i missed the joy of tearful ecstasy
life's comfort thus to make me cry, you should come to me
ab tak dil-e-khush-fahm ko tujh se hain umiden
ye aakhiri sham'en bhi bujhane ke liye aa
my heart is optimistic yet, its hopes are still alive
come to snuff it out, let not this final flame survive
mere ham-nafas mere ham-nawa mujhe dost ban ke dagha na de
mire ham-nafas mire ham-nava mujhe dost ban ke daghha na de
main huun dard-e-'ishq se jan-ba-lab mujhe zindagi ki du'a na de
my companion, my intimate, be not a friend and yet betray
the pain of love is fatal now, for my life please do not pray
mire daghh-e-dil se hai raushni isi raushni se hai zindagi
mujhe dar hai ai mire chara-gar ye charaghh tu hi bujha na de
the fire of this heart gives light, this light gives me sustenance
i am afraid o healer mine, this lamp you may snuff away
mujhe chhod de mire haal par tira kya bharosa hai chara-gar
ye tiri navazish-e-mukhtasar mira dard aur badha na de
leave me to my present state, i do not trust your medicine
your mercy minor though may be,might increase my pain today
mira 'azm itna buland hai ki parae sho'lon ka dar nahin
mujhe khauf atish-e-gul se hai ye kahin chaman ko jala na de
my confidence in self is strong, i'm unafraid of foreign flames
i'm scared those sparks may ignite, that in the blossom's bosom lay
vo uthe hain le ke khum-o-subu are o 'shakil' kahan hai tu
tira jaam lene ko bazm men koi aur haath badha na de
she rises with the flask and cup, o shakeel where have you gone
that cup which is yours perchance, someone else might take away
mere ham-nafas mere ham-nawa mujhe dost ban ke dagha na de
main hun dard-e-'ishq se jaan-ba-lab mujhe zindagi ki du'a na de
my companion, my intimate, be not a friend and yet betray
the pain of love is fatal now, for my life please do not pray
mere dagh-e-dil se hai raushni isi raushni se hai zindagi
mujhe dar hai ai mere chaara-gar ye charagh tu hi bujha na de
the fire of this heart gives light, this light gives me sustenance
i am afraid o healer mine, this lamp you may snuff away
mujhe chhod de mere haal par tera kya bharosa hai chaara-gar
ye teri nawazish-e-mukhtasar mera dard aur badha na de
leave me to my present state, i do not trust your medicine
your mercy minor though may be,might increase my pain today
mera 'azm itna buland hai ki parae sho'lon ka dar nahin
mujhe khauf aatish-e-gul se hai ye kahin chaman ko jala na de
my confidence in self is strong, i'm unafraid of foreign flames
i'm scared those sparks may ignite, that in the blossom's bosom lay
wo uthe hain le ke khum-o-subu are o 'shakil' kahan hai tu
tera jam lene ko bazm mein koi aur hath badha na de
she rises with the flask and cup, o shakeel where have you gone
that cup which is yours perchance, someone else might take away
ujde hue logon se gurezan na hua kar
ujde hue logon se gurezan na hua kar
halat ki qabron ke ye katbe bhi padha kar
kya janiye kyuun tez hava soch men gum hai
khvabida parindon ko darakhton se uda kar
us shakhs ke tum se bhi marasim hain to honge
vo jhuut na bolega mire samne aa kar
har vaqt ka hansna tujhe barbad na kar de
tanhai ke lamhon men kabhi ro bhi liya kar
vo aaj bhi sadiyon ki masafat pe khada hai
dhunda tha jise vaqt ki divar gira kar
ai dil tujhe dushman ki bhi pahchan kahan hai
tu halqa-e-yaran men bhi mohtat raha kar
is shab ke muqaddar men sahar hi nahin 'mohsin'
dekha hai kai baar charaghhon ko bujha kar
ujde hue logon se gurezan na hua kar
haalat ki qabron ke ye katbe bhi padha kar
kya jaaniye kyun tez hawa soch mein gum hai
khwabida parindon ko darakhton se uda kar
us shakhs ke tum se bhi marasim hain to honge
wo jhut na bolega mere samne aa kar
har waqt ka hansna tujhe barbaad na kar de
tanhai ke lamhon mein kabhi ro bhi liya kar
wo aaj bhi sadiyon ki masafat pe khada hai
dhunda tha jise waqt ki diwar gira kar
ai dil tujhe dushman ki bhi pahchan kahan hai
tu halqa-e-yaran mein bhi mohtat raha kar
is shab ke muqaddar mein sahar hi nahin 'mohsin'
dekha hai kai bar charaghon ko bujha kar
kathin hai rahguzar thodi dur sath chalo
kathin hai rahguzar thodi duur saath chalo
bahut kada hai safar thodi duur saath chalo
tamam umr kahan koi saath deta hai
ye janta huun magar thodi duur saath chalo
nashe men chuur huun main bhi tumhen bhi hosh nahin
bada maza ho agar thodi duur saath chalo
ye ek shab ki mulaqat bhi ghhanimat hai
kise hai kal ki khabar thodi duur saath chalo
abhi to jaag rahe hain charaghh rahon ke
abhi hai duur sahar thodi duur saath chalo
tavaf-e-manzil-e-janan hamen bhi karna hai
'faraz' tum bhi agar thodi duur saath chalo
kathin hai rahguzar thodi dur sath chalo
bahut kada hai safar thodi dur sath chalo
tamam umr kahan koi sath deta hai
ye jaanta hun magar thodi dur sath chalo
nashe mein chur hun main bhi tumhein bhi hosh nahin
bada maza ho agar thodi dur sath chalo
ye ek shab ki mulaqat bhi ghanimat hai
kise hai kal ki khabar thodi dur sath chalo
abhi to jag rahe hain charagh rahon ke
abhi hai dur sahar thodi dur sath chalo
tawaf-e-manzil-e-jaanan hamein bhi karna hai
'faraaz' tum bhi agar thodi dur sath chalo
dil chiz kya hai aap meri jaan lijiye
dil chiiz kya hai aap miri jaan lijiye
bas ek baar mera kaha maan lijiye
is anjuman men aap ko aana hai baar baar
divar-o-dar ko ghhaur se pahchan lijiye
maana ki doston ko nahin dosti ka paas
lekin ye kya ki ghhair ka ehsan lijiye
kahiye to asman ko zamin par utaar laaen
mushkil nahin hai kuchh bhi agar thaan lijiye
dil chiz kya hai aap meri jaan lijiye
bas ek bar mera kaha man lijiye
is anjuman mein aap ko aana hai bar bar
diwar-o-dar ko ghaur se pahchan lijiye
mana ki doston ko nahin dosti ka pas
lekin ye kya ki ghair ka ehsan lijiye
kahiye to aasman ko zamin par utar laen
mushkil nahin hai kuchh bhi agar than lijiye
tumhein jab kabhi milen fursaten mere dil se bojh utar do
tumhen jab kabhi milen fursaten mire dil se bojh utaar do
main bahut dinon se udaas huun mujhe koi shaam udhar do
mujhe apne ruup ki dhuup do ki chamak saken mire khal-o-khad
mujhe apne rang men rang do mire saare rang utaar do
kisi aur ko mire haal se na ghharaz hai koi na vasta
main bikhar gaya huun samet lo main bigad gaya huun sanvar do
tumhein jab kabhi milen fursaten mere dil se bojh utar do
main bahut dinon se udas hun mujhe koi sham udhaar do
mujhe apne rup ki dhup do ki chamak saken mere khal-o-khad
mujhe apne rang mein rang do mere sare rang utar do
kisi aur ko mere haal se na gharaz hai koi na wasta
main bikhar gaya hun samet lo main bigad gaya hun sanwar do
shoala tha jal-bujha hun hawaen mujhe na do
shoala tha jal-bujha huun havaen mujhe na do
main kab ka ja chuka huun sadaen mujhe na do
jo zahr pi chuka huun tumhin ne mujhe diya
ab tum to zindagi ki duaen mujhe na do
ye bhi bada karam hai salamat hai jism abhi
ai khusravan-e-shahr qabaen mujhe na do
aisa na ho kabhi ki palat kar na aa sakun
har baar duur ja ke sadaen mujhe na do
kab mujh ko e'tiraf-e-mohabbat na tha 'faraz'
kab main ne ye kaha hai sazaen mujhe na do
shoala tha jal-bujha hun hawaen mujhe na do
main kab ka ja chuka hun sadaen mujhe na do
jo zahr pi chuka hun tumhin ne mujhe diya
ab tum to zindagi ki duaen mujhe na do
ye bhi bada karam hai salamat hai jism abhi
ai khusrawan-e-shahr qabaen mujhe na do
aisa na ho kabhi ki palat kar na aa sakun
har bar dur ja ke sadaen mujhe na do
kab mujh ko e'tiraf-e-mohabbat na tha 'faraaz'
kab main ne ye kaha hai sazaen mujhe na do
dur rah kar na karo baat qarib aa jao
duur rah kar na karo baat qarib aa jaao
yaad rah jaegi ye raat qarib aa jaao
ek muddat se tamanna thi tumhen chhune ki
aaj bas men nahin jazbat qarib aa jaao
sard jhonkon se bhadakte hain badan men shoale
jaan le legi ye barsat qarib aa jaao
is qadar ham se jhijakne ki zarurat kya hai
zindagi bhar ka hai ab saath qarib aa jaao
dur rah kar na karo baat qarib aa jao
yaad rah jaegi ye raat qarib aa jao
ek muddat se tamanna thi tumhein chhune ki
aaj bas mein nahin jazbaat qarib aa jao
sard jhonkon se bhadakte hain badan mein shoale
jaan le legi ye barsat qarib aa jao
is qadar hum se jhijakne ki zarurat kya hai
zindagi bhar ka hai ab sath qarib aa jao
mujh pe hain saikdon ilzam mere sath na chal
mujh pe hain saikdon ilzam mire saath na chal
tu bhi ho jaega badnam mire saath na chal
tu nai subah ke suraj ki hai ujli si kiran
main huun ik dhuul bhari shaam mire saath na chal
apni khushiyan mire alam se mansub na kar
mujh se mat maang mira naam mire saath na chal
tu bhi kho jaegi tapke hue aansu ki tarah
dekh ai gardish-e-ayyam mire saath na chal
meri divar ko tu kitna sambhalega 'shakil'
tutta rahta huun har gaam mire saath na chal
mujh pe hain saikdon ilzam mere sath na chal
tu bhi ho jaega badnam mere sath na chal
tu nai subah ke suraj ki hai ujli si kiran
main hun ek dhul bhari sham mere sath na chal
apni khushiyan mere aalam se mansub na kar
mujh se mat mang mera nam mere sath na chal
tu bhi kho jaegi tapke hue aansu ki tarah
dekh ai gardish-e-ayyam mere sath na chal
meri diwar ko tu kitna sambhaalega 'shakil'
tutta rahta hun har gam mere sath na chal
sanwar nok-palak abruon mein kham kar de
sanvar nok-palak abruon men kham kar de
gire pade hue lafzon ko mohtaram kar de
ghhurur us pe bahut sajta hai magar kah do
isi men us ka bhala hai ghhurur kam kar de
yahan libas ki qimat hai aadmi ki nahin
mujhe gilas bade de sharab kam kar de
chamakne vaali hai tahrir meri qismat ki
koi charaghh ki lau ko zara sa kam kar de
kisi ne chuum ke ankhon ko ye dua di thi
zamin teri khuda motiyon se nam kar de
sanwar nok-palak abruon mein kham kar de
gire pade hue lafzon ko mohtaram kar de
ghurur us pe bahut sajta hai magar kah do
isi mein us ka bhala hai ghurur kam kar de
yahan libas ki qimat hai aadmi ki nahin
mujhe gilas bade de sharab kam kar de
chamakne wali hai tahrir meri qismat ki
koi charagh ki lau ko zara sa kam kar de
kisi ne chum ke aankhon ko ye dua di thi
zamin teri khuda motiyon se nam kar de
hans ke bola karo bulaya karo
hans ke bola karo bulaya karo
aap ka ghar hai aaya jaaya karo
muskurahat hai husn ka zevar
ruup badhta hai muskuraya karo
had se badh kar hasin lagte ho
jhuti qasmen zarur khaya karo
hukm karna bhi ik sakhavat hai
ham ko khidmat koi bataya karo
baat karna bhi badshahat hai
baat karna na bhuul jaaya karo
taaki duniya ki dilkashi na ghate
nit-nae pairahan men aaya karo
ham hasad se 'adam' nahin kahte
us gali men bahut na jaaya karo
hans ke bola karo bulaya karo
aap ka ghar hai aaya jaya karo
muskurahat hai husn ka zewar
rup badhta hai muskuraya karo
had se badh kar hasin lagte ho
jhuti qasmen zarur khaya karo
hukm karna bhi ek sakhawat hai
hum ko khidmat koi bataya karo
baat karna bhi baadshahat hai
baat karna na bhul jaya karo
taki duniya ki dilkashi na ghate
nit-nae pairahan mein aaya karo
hum hasad se 'adam' nahin kahte
us gali mein bahut na jaya karo
mere bare mein kuchh socho mujhe nind aa rahi hai
mire baare men kuchh socho mujhe niind aa rahi hai
mujhe zaaea na hone do mujhe niind aa rahi hai
mire andar ke dukh chehre se zahir ho rahe hain
miri tasvir mat khincho mujhe niind aa rahi hai
to kya saare gile-shikve abhi kar loge mujh se
kuchh ab kal ke liye rakkho mujhe niind aa rahi hai
sahar hogi to dekhenge ki hain kya kya masail
zara si der sone do mujhe niind aa rahi hai
tumhara kaam hai saari hisen bedar rakhna
mire shane pe sar rakkho mujhe niind aa rahi hai
bahut kuchh tum se kahna tha magar main kah na paaya
lo meri diary rakh lo mujhe niind aa rahi hai
mere bare mein kuchh socho mujhe nind aa rahi hai
mujhe zaea na hone do mujhe nind aa rahi hai
mere andar ke dukh chehre se zahir ho rahe hain
meri taswir mat khincho mujhe nind aa rahi hai
to kya sare gile-shikwe abhi kar loge mujh se
kuchh ab kal ke liye rakkho mujhe nind aa rahi hai
sahar hogi to dekhenge ki hain kya kya masail
zara si der sone do mujhe nind aa rahi hai
tumhaara kaam hai sari hisen bedar rakhna
mere shane pe sar rakkho mujhe nind aa rahi hai
bahut kuchh tum se kahna tha magar main kah na paya
lo meri diary rakh lo mujhe nind aa rahi hai
bhuli hui sada hun mujhe yaad kijiye
bhuli hui sada huun mujhe yaad kijiye
tum se kahin mila huun mujhe yaad kijiye
manzil nahin huun khizr nahin rahzan nahin
manzil ka rasta huun mujhe yaad kijiye
meri nigah-e-shauq se har gul hai devta
main ishq ka khuda huun mujhe yaad kijiye
naghhmon ki ibtida thi kabhi mere naam se
ashkon ki intiha huun mujhe yaad kijiye
gum-sum khadi hain donon jahan ki haqiqaten
main un se kah raha huun mujhe yaad kijiye
'saghhar' kisi ke husn-e-taghhaful-shiar ki
bahki hui ada huun mujhe yaad kijiye
bhuli hui sada hun mujhe yaad kijiye
tum se kahin mila hun mujhe yaad kijiye
manzil nahin hun khizr nahin rahzan nahin
manzil ka rasta hun mujhe yaad kijiye
meri nigah-e-shauq se har gul hai dewta
main ishq ka khuda hun mujhe yaad kijiye
naghmon ki ibtida thi kabhi mere nam se
ashkon ki intiha hun mujhe yaad kijiye
gum-sum khadi hain donon jahan ki haqiqaten
main un se kah raha hun mujhe yaad kijiye
'saghar' kisi ke husn-e-taghaful-shiar ki
bahki hui ada hun mujhe yaad kijiye
udas raat hai koi to khwab de jao
udaas raat hai koi to khvab de jaao
mire gilas men thodi sharab de jaao
bahut se aur bhi ghar hain khuda ki basti men
faqir kab se khada hai javab de jaao
main zard patton pe shabnam saja ke laaya huun
kisi ne mujh se kaha tha hisab de jaao
adab nahin hai ye akhbar ke tarashe hain
gae zamanon ki koi kitab de jaao
phir us ke baa'd nazare nazar ko tarsenge
vo ja raha hai khizan ke gulab de jaao
miri nazar men rahe dubne ka manzar bhi
ghhurub hota hua aftab de jaao
hazar safhon ka divan kaun padhta hai
'bashir-badr' ka koi intikhab de jaao
udas raat hai koi to khwab de jao
mere gilas mein thodi sharab de jao
bahut se aur bhi ghar hain khuda ki basti mein
faqir kab se khada hai jawab de jao
main zard patton pe shabnam saja ke laya hun
kisi ne mujh se kaha tha hisab de jao
adab nahin hai ye akhbar ke tarashe hain
gae zamanon ki koi kitab de jao
phir us ke ba'd nazare nazar ko tarsenge
wo ja raha hai khizan ke gulab de jao
meri nazar mein rahe dubne ka manzar bhi
ghurub hota hua aaftab de jao
hazar safhon ka diwan kaun padhta hai
'bashir-badr' ka koi intikhab de jao
main jahan tumko bulata hun wahan tak aao
main jahan tum ko bulata huun vahan tak aao
meri nazron se guzar kar dil-o-jan tak aao
phir ye dekho ki zamane ki hava hai kaisi
saath mere mire firdaus-e-javan tak aao
hausla ho to udo mere tasavvur ki tarah
meri takhil ke gulzar-e-jinan tak aao
teghh ki tarah chalo chhod ke aghhosh-e-niyam
tiir ki tarah se aghhosh-e-kaman tak aao
phuul ke gird phiro baaghh men manind-e-nasim
misl-e-parvana kisi sham-e-tapan tak aao
lo vo sadiyon ke jahannam ki haden khatm huiin
ab hai firdaus hi firdaus jahan tak aao
chhod kar vahm-o-guman husn-e-yaqin tak pahuncho
par yaqin se bhi kabhi vahm-o-guman tak aao
isi duniya men dikha den tumhen jannat ki bahar
shaikh-ji tum bhi zara ku-e-butan tak aao
main jahan tum ko bulata hun wahan tak aao
meri nazron se guzar kar dil-o-jaan tak aao
phir ye dekho ki zamane ki hawa hai kaisi
sath mere mere firdaus-e-jawan tak aao
hausla ho to udo mere tasawwur ki tarah
meri takhil ke gulzar-e-jinan tak aao
tegh ki tarah chalo chhod ke aaghosh-e-niyam
tir ki tarah se aaghosh-e-kaman tak aao
phul ke gird phiro bagh mein manind-e-nasim
misl-e-parwana kisi sham-e-tapan tak aao
lo wo sadiyon ke jahannam ki haden khatm huin
ab hai firdaus hi firdaus jahan tak aao
chhod kar wahm-o-guman husn-e-yaqin tak pahuncho
par yaqin se bhi kabhi wahm-o-guman tak aao
isi duniya mein dikha den tumhein jannat ki bahaar
shaikh-ji tum bhi zara ku-e-butan tak aao
ai husn-e-lala-fam! zara aankh to mila
ai husn-e-lala-fam! zara aankh to mila
khali pade hain jaam! zara aankh to mila
kahte hain aankh aankh se milna hai bandagi
duniya ke chhod kaam! zara aankh to mila
kya vo na aaj aenge taron ke saath saath
tanhaiyon ki sham! zara aankh to mila
ye jaam ye subu ye tasavvur ki chandni
saaqi kahan mudam! zara aankh to mila
saaqi mujhe bhi chahiye ik jam-e-arzu
kitne lagenge daam! zara aankh to mila
pamal ho na jaae sitaron ki aabru
ai mere khush-khiram! zara aankh to mila
hain rah-e-kahkashan men azal se khade hue
'saghhar' tire ghhulam! zara aankh to mila
ai husn-e-lala-fam! zara aankh to mila
khali pade hain jam! zara aankh to mila
kahte hain aankh aankh se milna hai bandagi
duniya ke chhod kaam! zara aankh to mila
kya wo na aaj aaenge taron ke sath sath
tanhaiyon ki sham! zara aankh to mila
ye jam ye subu ye tasawwur ki chandni
saqi kahan mudam! zara aankh to mila
saqi mujhe bhi chahiye ek jam-e-arzu
kitne lagenge dam! zara aankh to mila
pamal ho na jae sitaron ki aabru
ai mere khush-khiram! zara aankh to mila
hain rah-e-kahkashan mein azal se khade hue
'saghar' tere ghulam! zara aankh to mila
labon par yunhi si hansi bhej de
labon par yunhi si hansi bhej de
mujhe meri pahli khushi bhej de
andhera hai kaise tira khat padhun
lifafe men kuchh raushni bhej de
main pyasa huun khali kuaan hai to kya
surahi liye ik pari bhej de
bahut nek bande hain ab bhi tire
kisi par to ya-rab vahi bhej de
kahin kho na jaae qayamat ka din
ye achchha samay hai abhi bhej de
labon par yunhi si hansi bhej de
mujhe meri pahli khushi bhej de
andhera hai kaise tera khat padhun
lifafe mein kuchh raushni bhej de
main pyasa hun khali kuan hai to kya
surahi liye ek pari bhej de
bahut nek bande hain ab bhi tere
kisi par to ya-rab wahi bhej de
kahin kho na jae qayamat ka din
ye achchha samay hai abhi bhej de
qarib maut khadi hai zara thahar jao
qarib maut khadi hai zara thahar jaao
qaza se aankh ladi hai zara thahar jaao
thaki thaki si fazaen bujhe bujhe taare
badi udaas ghadi hai zara thahar jaao
nahin umiid ki ham aaj ki sahar dekhen
ye raat ham pe kadi hai zara thahar jaao
abhi na jaao ki taron ka dil dhadakta hai
tamam raat padi hai zara thahar jaao
phir is ke baa'd kabhi ham na tum ko rokenge
labon pe saans adi hai zara thahar jaao
dam-e-firaq main ji bhar ke tum ko dekh to luun
ye faisle ki ghadi hai zara thahar jaao
qarib maut khadi hai zara thahar jao
qaza se aankh ladi hai zara thahar jao
thaki thaki si fazaen bujhe bujhe tare
badi udas ghadi hai zara thahar jao
nahin umid ki hum aaj ki sahar dekhen
ye raat hum pe kadi hai zara thahar jao
abhi na jao ki taron ka dil dhadakta hai
tamam raat padi hai zara thahar jao
phir is ke ba'd kabhi hum na tum ko rokenge
labon pe sans adi hai zara thahar jao
dam-e-firaq main ji bhar ke tum ko dekh to lun
ye faisle ki ghadi hai zara thahar jao
zakhmon ke nae phul khilane ke liye aa
zakhmon ke nae phuul khilane ke liye aa
phir mausam-e-gul yaad dilane ke liye aa
masti liye ankhon men bikhere hue zulfen
aa phir mujhe divana banane ke liye aa
ab lutf isi men hai maza hai to isi men
aa ai mire mahbub satane ke liye aa
aa rakh dahan-e-zakhm pe phir ungliyan apni
dil bansuri teri hai bajane ke liye aa
haan kuchh bhi to derina mohabbat ka bharam rakh
dil se na aa duniya ko dikhane ke liye aa
maana ki mire ghar se adavat hi tujhe hai
rahne ko na aa aag lagane ke liye aa
pyare tiri surat se bhi achchhi hai jo tasvir
main ne tujhe rakkhi hai dikhane ke liye, aa
ashufta kahe hai koi divana kahe hai
main kaun huun duniya ko batane ke liye aa
kuchh roz se ham shahr men rusva na hue hain
aa phir koi ilzam lagane ke liye aa
ab ke jo vo aa jaae to 'ajiz' use le kar
mahfil men ghhazal apni sunane ke liye aa
zakhmon ke nae phul khilane ke liye aa
phir mausam-e-gul yaad dilane ke liye aa
masti liye aankhon mein bikhere hue zulfen
aa phir mujhe diwana banane ke liye aa
ab lutf isi mein hai maza hai to isi mein
aa ai mere mahbub satane ke liye aa
aa rakh dahan-e-zakhm pe phir ungliyan apni
dil bansuri teri hai bajaane ke liye aa
han kuchh bhi to derina mohabbat ka bharam rakh
dil se na aa duniya ko dikhane ke liye aa
mana ki mere ghar se adawat hi tujhe hai
rahne ko na aa aag lagane ke liye aa
pyare teri surat se bhi achchhi hai jo taswir
main ne tujhe rakkhi hai dikhane ke liye, aa
aashufta kahe hai koi diwana kahe hai
main kaun hun duniya ko batane ke liye aa
kuchh roz se hum shahr mein ruswa na hue hain
aa phir koi ilzam lagane ke liye aa
ab ke jo wo aa jae to 'ajiz' use le kar
mahfil mein ghazal apni sunane ke liye aa
shoala hi sahi aag lagane ke liye aa
shoala hi sahi aag lagane ke liye aa
phir nuur ke manzar ko dikhane ke liye aa
ye kis ne kaha hai miri taqdir bana de
aa apne hi hathon se mitane ke liye aa
ai dost mujhe gardish-e-halat ne ghera
tu zulf ki kamli men chhupane ke liye aa
divar hai duniya ise rahon se hata de
har rasm-e-mohabbat ko mitane ke liye aa
matlab tiri aamad se hai darman se nahin hai
'hasrat' ki qasam dil hi dukhane ke liye aa
shoala hi sahi aag lagane ke liye aa
phir nur ke manzar ko dikhane ke liye aa
ye kis ne kaha hai meri taqdir bana de
aa apne hi hathon se mitane ke liye aa
ai dost mujhe gardish-e-haalat ne ghera
tu zulf ki kamli mein chhupane ke liye aa
diwar hai duniya ise rahon se hata de
har rasm-e-mohabbat ko mitane ke liye aa
matlab teri aamad se hai darman se nahin hai
'hasrat' ki qasam dil hi dukhane ke liye aa
tum aaina hi na har bar dekhte jao
tum aina hi na har baar dekhte jaao
miri taraf bhi to sarkar dekhte jaao
na jaao hal-e-dil-e-zar dekhte jaao
ki ji na chahe to na-char dekhte jaao
bahar-e-umr men baghh-e-jahan ki sair karo
khila hua hai ye gulzar dekhte jaao
yahi to chashm-e-haqiqat nigar ka surma hai
niza-e-kafir-o-din-dar dekhte jaao
uthao aankh na sharmao ye to mahfil hai
ghhazab se janib-e-aghhyar dekhte jaao
nahin hai jins-e-vafa ki tumhen jo qadr na ho
banenge kitne kharidar dekhte jaao
tumhen ghharaz jo karo rahm paemalon par
tum apni shokhi-e-raftar dekhte jaao
qasam bhi khaai thi quran bhi uthaya tha
phir aaj hai vahi inkar dekhte jaao
ye shamat aai ki us ki gali men dil ne kaha
khula hai rauzan-e-divar dekhte jaao
hua hai kya abhi hangama aur kuchh hoga
fughhan men hashr ke asar dekhte jaao
shab-e-visal adu ki yahi nishani hai
nishan-e-bosa-e-rukhsar dekhte jaao
tumhari aankh mire dil se le sabab be-vajh
hui hai ladne ko tayyar dekhte jaao
idhar ko aa hi gae ab to hazrat-e-zahid
yahin hai khana-e-khummar dekhte jaao
raqib barsar-e-parkhash ham se hota hai
badhegi muft men takrar dekhte jaao
nahin hain jurm-e-mohabbat men sab ke sab mulzim
khata muaaf khata-var dekhte jaao
dikha rahi hai tamasha falak ki nairangi
naya hai shoabada har baar dekhte jaao
bana diya miri chahat ne ghhairat-e-yusuf
tum apni garmi-e-bazar dekhte jaao
na jaao band kiye aankh rah-ravan-e-adam
idhar udhar bhi khabar-dar dekhte jaao
suni-sunai pe hargiz kabhi amal na karo
hamare haal ke akhbar dekhte jaao
koi na koi har ik sher men hai baat zarur
janab-e-'daghh' ke ashar dekhte jaao
tum aaina hi na har bar dekhte jao
meri taraf bhi to sarkar dekhte jao
na jao haal-e-dil-e-zar dekhte jao
ki ji na chahe to na-chaar dekhte jao
bahaar-e-umr mein bagh-e-jahan ki sair karo
khila hua hai ye gulzar dekhte jao
yahi to chashm-e-haqiqat nigar ka surma hai
niza-e-kafir-o-din-dar dekhte jao
uthao aankh na sharmao ye to mahfil hai
ghazab se jaanib-e-aghyar dekhte jao
nahin hai jins-e-wafa ki tumhein jo qadr na ho
banenge kitne kharidar dekhte jao
tumhein gharaz jo karo rahm paemalon par
tum apni shokhi-e-raftar dekhte jao
qasam bhi khai thi quran bhi uthaya tha
phir aaj hai wahi inkar dekhte jao
ye shamat aai ki us ki gali mein dil ne kaha
khula hai rauzan-e-diwar dekhte jao
hua hai kya abhi hangama aur kuchh hoga
fughan mein hashr ke aasar dekhte jao
shab-e-visal adu ki yahi nishani hai
nishan-e-bosa-e-rukhsar dekhte jao
tumhaari aankh mere dil se le sabab be-wajh
hui hai ladne ko tayyar dekhte jao
idhar ko aa hi gae ab to hazrat-e-zahid
yahin hai khana-e-khummar dekhte jao
raqib barsar-e-parkhash hum se hota hai
badhegi muft mein takrar dekhte jao
nahin hain jurm-e-mohabbat mein sab ke sab mulzim
khata muaf khata-war dekhte jao
dikha rahi hai tamasha falak ki nairangi
naya hai shoabada har bar dekhte jao
bana diya meri chahat ne ghairat-e-yusuf
tum apni garmi-e-bazar dekhte jao
na jao band kiye aankh rah-rawan-e-adam
idhar udhar bhi khabar-dar dekhte jao
suni-sunai pe hargiz kabhi amal na karo
hamare haal ke akhbar dekhte jao
koi na koi har ek sher mein hai baat zarur
janab-e-'dagh' ke ashaar dekhte jao
sukut-e-sham-e-khizan hai qarib aa jao
sukut-e-sham-e-khizan hai qarib aa jaao
bada udaas saman hai qarib aa jaao
na tum ko khud pe bharosa na ham ko zom-e-vafa
na e'tibar-e-jahan hai qarib aa jaao
rah-e-talab men kisi ko kisi ka dhyan nahin
hujum-e-ham-safaran hai qarib aa jaao
jo dasht-e-ishq men bichhde vo umr bhar na mile
yahan dhuan hi dhuan hai qarib aa jaao
ye andhiyan hain to shahr-e-vafa ki khair nahin
zamana khak-fishan hai qarib aa jaao
faqih-e-shahr ki majlis nahin ki duur raho
ye bazm-e-pir-e-mughhan hai qarib aa jaao
'faraz' duur ke suraj ghhurub samjhe gae
ye daur-e-kam-nazaran hai qarib aa jaao
sukut-e-sham-e-khizan hai qarib aa jao
bada udas saman hai qarib aa jao
na tum ko khud pe bharosa na hum ko zom-e-wafa
na e'tibar-e-jahan hai qarib aa jao
rah-e-talab mein kisi ko kisi ka dhyan nahin
hujum-e-ham-safaran hai qarib aa jao
jo dasht-e-ishq mein bichhde wo umr bhar na mile
yahan dhuan hi dhuan hai qarib aa jao
ye aandhiyan hain to shahr-e-wafa ki khair nahin
zamana khak-fishan hai qarib aa jao
faqih-e-shahr ki majlis nahin ki dur raho
ye bazm-e-pir-e-mughan hai qarib aa jao
'faraaz' dur ke suraj ghurub samjhe gae
ye daur-e-kam-nazaran hai qarib aa jao
ghazlon ki dhanak odh mere shoala-badan tu
ghhazlon ki dhanak odh mire shoala-badan tu
hai mera sukhan tu mira mauzu-e-sukhan tu
kaliyon ki tarah phuut sar-e-shakh-e-tamanna
khushbu ki tarah phail chaman-ta-ba-chaman tu
nazil ho kabhi zehn pe ayat ki surat
ayat men dhal ja kabhi jibril dahan tu
ab kyuun na sajaun main tujhe diida o dil men
lagta hai andhere men savere ki kiran tu
pahle na koi ramz-e-sukhan thi na kinaya
ab nuqta-e-takmil-e-hunar mehvar-e-fan tu
ye kam to nahin tu mira meyar-e-nazar hai
ai dost mire vaste kuchh aur na ban tu
mumkin ho to rahne de mujhe zulmat-e-jan men
dhundega kahan chandni raton ka kafan tu
ghazlon ki dhanak odh mere shoala-badan tu
hai mera sukhan tu mera mauzu-e-sukhan tu
kaliyon ki tarah phut sar-e-shakh-e-tamanna
khushbu ki tarah phail chaman-ta-ba-chaman tu
nazil ho kabhi zehn pe aayat ki surat
aayat mein dhal ja kabhi jibril dahan tu
ab kyun na sajaun main tujhe dida o dil mein
lagta hai andhere mein sawere ki kiran tu
pahle na koi ramz-e-sukhan thi na kinaya
ab nuqta-e-takmil-e-hunar mehwar-e-fan tu
ye kam to nahin tu mera meyar-e-nazar hai
ai dost mere waste kuchh aur na ban tu
mumkin ho to rahne de mujhe zulmat-e-jaan mein
dhundega kahan chandni raaton ka kafan tu
tu phul ki manind na shabnam ki tarah aa
tu phuul ki manind na shabnam ki tarah aa
ab ke kisi be-nam se mausam ki tarah aa
har martaba aata hai mah-e-nau ki tarah tu
is baar zara meri shab-e-ghham ki tarah aa
hal karne hain mujh ko kai pechida masail
ai jan-e-vafa gesu-e-pur-kham ki tarah aa
zakhmon ko gavara nahin yak-rangi-e-halat
nashtar ki tarah aa kabhi marham ki tarah aa
nazdiki o duuri ki kashakash ko mita de
is jang men tu sulh ke parcham ki tarah aa
maana ki mira ghar tiri jannat to nahin hai
duniya men miri laghhzish-e-adam ki tarah aa
tu kuchh to mire zabt-e-mohabbat ka sila de
hangam-e-fana dida-e-pur-nam ki tarah aa
tu phul ki manind na shabnam ki tarah aa
ab ke kisi be-nam se mausam ki tarah aa
har martaba aata hai mah-e-nau ki tarah tu
is bar zara meri shab-e-gham ki tarah aa
hal karne hain mujh ko kai pechida masail
ai jaan-e-wafa gesu-e-pur-kham ki tarah aa
zakhmon ko gawara nahin yak-rangi-e-haalat
nashtar ki tarah aa kabhi marham ki tarah aa
nazdiki o duri ki kashakash ko mita de
is jang mein tu sulh ke parcham ki tarah aa
mana ki mera ghar teri jannat to nahin hai
duniya mein meri laghzish-e-adam ki tarah aa
tu kuchh to mere zabt-e-mohabbat ka sila de
hangam-e-fana dida-e-pur-nam ki tarah aa
jaane wale mujhe kuchh apni nishani de ja
jaane vaale mujhe kuchh apni nishani de ja
ruuh pyasi na rahe aankh men paani de ja
vaqt ke saath khad-o-khal badal jaate hain
jo na badle vahi tasvir purani de ja
tire mathe pe mira naam chamakta tha kabhi
un dinon ki koi pahchan purani de ja
jis ki aghhosh men kat jaaen hazaron raten
meri tanhai ko chhu kar vo kahani de ja
rakh na mahrum khud apni hi rifaqat se mujhe
aaina mujh ko dikha de mira saani de ja
jaane wale mujhe kuchh apni nishani de ja
ruh pyasi na rahe aankh mein pani de ja
waqt ke sath khad-o-khal badal jate hain
jo na badle wahi taswir purani de ja
tere mathe pe mera nam chamakta tha kabhi
un dinon ki koi pahchan purani de ja
jis ki aaghosh mein kat jaen hazaron raaten
meri tanhai ko chhu kar wo kahani de ja
rakh na mahrum khud apni hi rifaqat se mujhe
aaina mujh ko dikha de mera sani de ja
bahut dinon se mujhe tera intizar hai aa ja
bahut dinon se mujhe tera intizar hai aa ja
aur ab to khaas vahi mausam-e-bahar hai aa ja
kahan ye hosh ki uslub-e-taza se tujhe likhun
ki ruuh tere liye sakht be-qarar hai aa ja
guzar chali hain bahut ghham ki shorishen bhi hadon se
magar abhi to tira sab pe ikhtiyar hai aa ja
vo teri yaad ki ab tak sukun-e-qalb-e-tapan thi
tiri qasam hai ki ab vo bhi nagavar hai aa ja
ghhazal ke shikve ghhazal ke mu'amalat juda hain
miri hi tarah se to bhi vafa-shi'ar hai aa ja
badal raha ho zamana magar jahan-e-tamanna
tire liye to abad tak bhi sazgar hai aa ja
hazar tarah ke afkar dil ko raund rahe hain
muqable men tire ranj-e-rozgar hai aa ja
bahut dinon se mujhe tera intizar hai aa ja
aur ab to khas wahi mausam-e-bahaar hai aa ja
kahan ye hosh ki uslub-e-taza se tujhe likhun
ki ruh tere liye sakht be-qarar hai aa ja
guzar chali hain bahut gham ki shorishen bhi hadon se
magar abhi to tera sab pe ikhtiyar hai aa ja
wo teri yaad ki ab tak sukun-e-qalb-e-tapan thi
teri qasam hai ki ab wo bhi nagawar hai aa ja
ghazal ke shikwe ghazal ke mu'amalat juda hain
meri hi tarah se to bhi wafa-shi'ar hai aa ja
badal raha ho zamana magar jahan-e-tamanna
tere liye to abad tak bhi sazgar hai aa ja
hazar tarah ke afkar dil ko raund rahe hain
muqable mein tere ranj-e-rozgar hai aa ja
bundon ki tarah chhat se tapakte hue aa jao
bundon ki tarah chhat se tapakte hue aa jaao
barsat ka mausam hai baraste hue aa jaao
khushbu ho to jhonke ki tarah phuul se niklo
dil ho to miri jaan dhadakte hue aa jaao
do gaam pe mai-khana hai daftar se nikal kar
is bhigte mausam men tahalte hue aa jaao
mausam ke bahane gul-o-gulzar nikal aae
tum bhi koi bahrup badalte hue aa jaao
bundon ki tarah chhat se tapakte hue aa jao
barsat ka mausam hai baraste hue aa jao
khushbu ho to jhonke ki tarah phul se niklo
dil ho to meri jaan dhadakte hue aa jao
do gam pe mai-khana hai daftar se nikal kar
is bhigte mausam mein tahalte hue aa jao
mausam ke bahane gul-o-gulzar nikal aae
tum bhi koi bahrup badalte hue aa jao
jo usne kiya use sila de
jo us ne kiya use sila de
maula mujhe sabr ki jaza de
ya mere diye ki lau badha de
ya raat ko subh se mila de
sach huun to mujhe amar bana de
jhuta huun to naqsh sab mita de
ye qaum ajiib ho gai hai
is qaum ko khu-e-ambiya de
utrega na koi asman se
ik aas men dil magar sada de
bachchon ki tarah ye lafz mere
maabud inhen bolna sikha de
dukh dahr ke apne naam likkhun
har dukh mujhe zaat ka maza de
ik mera vajud sun raha hai
ilham jo raat ki hava de
mujh se mira koi milne vaala
bichhda to nahin magar mila de
chehra mujhe apna dekhne ko
ab dast-e-havas men aina de
jis shakhs ne umar-e-hijr kaati
us shakhs ko ek raat kya de
dukhta hai badan ki phir mile vo
mil jaae to ruuh ko dikha de
kya chiiz hai khvahish-e-badan bhi
har baar naya hi zaiqa de
chhune men ye dar ki mar na jaun
chhu luun to vo zindagi siva de
jo us ne kiya use sila de
maula mujhe sabr ki jaza de
ya mere diye ki lau badha de
ya raat ko subh se mila de
sach hun to mujhe amar bana de
jhuta hun to naqsh sab mita de
ye qaum ajib ho gai hai
is qaum ko khu-e-ambiya de
utrega na koi aasman se
ek aas mein dil magar sada de
bachchon ki tarah ye lafz mere
mabud inhen bolna sikha de
dukh dahr ke apne nam likkhun
har dukh mujhe zat ka maza de
ek mera wajud sun raha hai
ilham jo raat ki hawa de
mujh se mera koi milne wala
bichhda to nahin magar mila de
chehra mujhe apna dekhne ko
ab dast-e-hawas mein aaina de
jis shakhs ne umar-e-hijr kati
us shakhs ko ek raat kya de
dukhta hai badan ki phir mile wo
mil jae to ruh ko dikha de
kya chiz hai khwahish-e-badan bhi
har bar naya hi zaiqa de
chhune mein ye dar ki mar na jaun
chhu lun to wo zindagi siwa de
sula kar tez dhaaron ko kinaro tum na so jaana
sula kar tez dharon ko kinaro tum na so jaana
ravani zindagani hai to dharo tum na so jaana
mujhe tum ko sunani hai mukammal dastan apni
adhuri dastan sun kar sitaro tum na so jaana
tumhare daere men zindagi mahfuz rahti hai
nizam-e-bazm-e-hasti ke hisaro tum na so jaana
tumhin se jagta hai dil men ehsas-e-rava-dari
qayam-e-rabt-e-baham ke saharo tum na so jaana
agar niind aa gai tum ko to chashme suukh jaenge
kabhi ghhaflat men pad kar kohsaro tum na so jaana
tumhin se bahr-e-hasti men ravan hai kashti-e-hasti
agar sahil bhi so jaaen to dharo tum na so jaana
sada-e-dard ki khatir tumhen 'kausar' ne chheda hai
shikasta-saz ke bedar taaro tum na so jaana
sula kar tez dhaaron ko kinaro tum na so jaana
rawani zindagani hai to dhaaro tum na so jaana
mujhe tum ko sunani hai mukammal dastan apni
adhuri dastan sun kar sitaro tum na so jaana
tumhaare daere mein zindagi mahfuz rahti hai
nizam-e-bazm-e-hasti ke hisaro tum na so jaana
tumhin se jagta hai dil mein ehsas-e-rawa-dari
qayam-e-rabt-e-baham ke sahaaro tum na so jaana
agar nind aa gai tum ko to chashme sukh jaenge
kabhi ghaflat mein pad kar kohsaro tum na so jaana
tumhin se bahr-e-hasti mein rawan hai kashti-e-hasti
agar sahil bhi so jaen to dhaaro tum na so jaana
sada-e-dard ki khatir tumhein 'kausar' ne chheda hai
shikasta-saz ke bedar taro tum na so jaana
dosto durd pilao ki kadi raat kate
dosto durd pilao ki kadi raat kate
mai men kuchh aur milao ki kadi raat kate
ansuon se ye kadi raat nahin kat sakti
aaj mai-khana lundhao ki kadi raat kate
naghhme bazar men mahnge hain to kya ghham yaaro
nauhe ko naghhma banao ki kadi raat kate
ziist aur maut asatir-e-kuhan hain yaaro
naya afsana sunao ki kadi raat kate
koi mashhud hai ab aur na koi shahid
aur agar hai to dikhao ki kadi raat kate
ye bhi iman hi ka dusra rukh hai logo
kufr ko diin banao ki kadi raat kate
ye andhera ye samundar ye talatum aao
aao aur mujh men samao ki kadi raat kate
dosto durd pilao ki kadi raat kate
mai mein kuchh aur milao ki kadi raat kate
aansuon se ye kadi raat nahin kat sakti
aaj mai-khana lundhao ki kadi raat kate
naghme bazar mein mahnge hain to kya gham yaro
nauhe ko naghma banao ki kadi raat kate
zist aur maut asatir-e-kuhan hain yaro
naya afsana sunao ki kadi raat kate
koi mashhud hai ab aur na koi shahid
aur agar hai to dikhao ki kadi raat kate
ye bhi iman hi ka dusra rukh hai logo
kufr ko din banao ki kadi raat kate
ye andhera ye samundar ye talatum aao
aao aur mujh mein samao ki kadi raat kate