aah ko chahiye ek umr asar hote tak
aah ko chahiye ik umr asar hote tak
kaun jiita hai tiri zulf ke sar hote tak
a prayer needs a lifetime, an answer to obtain
who can live until the time that you decide to deign
dam-e-har-mauj men hai halqa-e-sad-kam-e-nahang
dekhen kya guzre hai qatre pe guhar hote tak
snares are spread in every wave, and reptiles in each lure
see, till it turns into a pearl, what must a drop endure
ashiqi sabr-talab aur tamanna betab
dil ka kya rang karun khun-e-jigar hote tak
love has a need for patience, desires are a strain
as long my ache persists, how shall my heart sustain
ham ne maana ki taghhaful na karoge lekin
khaak ho jaenge ham tum ko khabar hote tak
---
---
partav-e-khur se hai shabnam ko fana ki taalim
main bhi huun ek inayat ki nazar hote tak
agreed, you won't ignore me, i know but then again
into dust will i be turned, your audience till i gain
yak nazar besh nahin fursat-e-hasti ghhafil
garmi-e-bazm hai ik raqs-e-sharar hote tak
the sun's burning intensity is the dewdrop's bane
so till i'm favoured with a glance, i too shall remain
ghham-e-hasti ka 'asad' kis se ho juz marg ilaaj
shama har rang men jalti hai sahar hote tak
o ignorant, less than a glance does life's leisure remain
for the dancing of the spark will the warmth sustain
ta-qayamat shab-e-furqat men guzar jaegi umr
saat din ham pe bhi bhari hain sahar hote tak
save death, asad what else release from this life of pain?
a lamp must burn in every hue till dawn is there again
aah ko chahiye ek umr asar hote tak
kaun jita hai teri zulf ke sar hote tak
a prayer needs a lifetime, an answer to obtain
who can live until the time that you decide to deign
dam-e-har-mauj mein hai halqa-e-sad-kaam-e-nahang
dekhen kya guzre hai qatre pe guhar hote tak
snares are spread in every wave, and reptiles in each lure
see, till it turns into a pearl, what must a drop endure
aashiqi sabr-talab aur tamanna betab
dil ka kya rang karun khun-e-jigar hote tak
love has a need for patience, desires are a strain
as long my ache persists, how shall my heart sustain
hum ne mana ki taghaful na karoge lekin
khak ho jaenge hum tum ko khabar hote tak
---
---
partaw-e-khur se hai shabnam ko fana ki talim
main bhi hun ek inayat ki nazar hote tak
agreed, you won't ignore me, i know but then again
into dust will i be turned, your audience till i gain
yak nazar besh nahin fursat-e-hasti ghafil
garmi-e-bazm hai ek raqs-e-sharar hote tak
the sun's burning intensity is the dewdrop's bane
so till i'm favoured with a glance, i too shall remain
gham-e-hasti ka 'asad' kis se ho juz marg ilaj
shama har rang mein jalti hai sahar hote tak
o ignorant, less than a glance does life's leisure remain
for the dancing of the spark will the warmth sustain
ta-qayamat shab-e-furqat mein guzar jaegi umr
sat din hum pe bhi bhaari hain sahar hote tak
save death, asad what else release from this life of pain?
a lamp must burn in every hue till dawn is there again
be-qarari si be-qarari hai
be-qarari si be-qarari hai
vasl hai aur firaq taari hai
jo guzari na ja saki ham se
ham ne vo zindagi guzari hai
nighare kya hue ki logon par
apna saaya bhi ab to bhari hai
bin tumhare kabhi nahin aai
kya miri niind bhi tumhari hai
aap men kaise aauun main tujh bin
saans jo chal rahi hai aari hai
us se kahiyo ki dil ki galiyon men
raat din teri intizari hai
hijr ho ya visal ho kuchh ho
ham hain aur us ki yadgari hai
ik mahak samt-e-dil se aai thi
main ye samjha tiri savari hai
hadson ka hisab hai apna
varna har aan sab ki baari hai
khush rahe tu ki zindagi apni
umr bhar ki umid-vari hai
be-qarari si be-qarari hai
wasl hai aur firaq tari hai
jo guzari na ja saki hum se
hum ne wo zindagi guzari hai
nighare kya hue ki logon par
apna saya bhi ab to bhaari hai
bin tumhaare kabhi nahin aai
kya meri nind bhi tumhaari hai
aap mein kaise aaun main tujh bin
sans jo chal rahi hai aari hai
us se kahiyo ki dil ki galiyon mein
raat din teri intizari hai
hijr ho ya visal ho kuchh ho
hum hain aur us ki yaadgari hai
ek mahak samt-e-dil se aai thi
main ye samjha teri sawari hai
hadson ka hisab hai apna
warna har aan sab ki bari hai
khush rahe tu ki zindagi apni
umr bhar ki umid-wari hai
ai mohabbat tere anjam pe rona aaya
ai mohabbat tire anjam pe rona aaya
jaane kyuun aaj tire naam pe rona aaya
love your sad conclusion makes me weep
wonder why your mention makes me weep
yuun to har shaam umidon men guzar jaati hai
aaj kuchh baat hai jo shaam pe rona aaya
every evening was, by hope, sustained
this evening's desperation makes me weep
kabhi taqdir ka matam kabhi duniya ka gila
manzil-e-ishq men har gaam pe rona aaya
lamenting fate, complaining of this life
in course of love each station makes me weep
mujh pe hi khatm hua silsila-e-nauhagari
is qadar gardish-e-ayyam pe rona aaya
the cycle of all mourning stops at me
life's inconstant rotation makes me weep
jab hua zikr zamane men mohabbat ka 'shakil'
mujh ko apne dil-e-nakam pe rona aaya
whenever talk of happiness i hear
my failure and frustration makes me weep
ai mohabbat tere anjam pe rona aaya
jaane kyun aaj tere nam pe rona aaya
love your sad conclusion makes me weep
wonder why your mention makes me weep
yun to har sham umidon mein guzar jati hai
aaj kuchh baat hai jo sham pe rona aaya
every evening was, by hope, sustained
this evening's desperation makes me weep
kabhi taqdir ka matam kabhi duniya ka gila
manzil-e-ishq mein har gam pe rona aaya
lamenting fate, complaining of this life
in course of love each station makes me weep
mujh pe hi khatm hua silsila-e-nauhagari
is qadar gardish-e-ayyam pe rona aaya
the cycle of all mourning stops at me
life's inconstant rotation makes me weep
jab hua zikr zamane mein mohabbat ka 'shakil'
mujh ko apne dil-e-nakaam pe rona aaya
whenever talk of happiness i hear
my failure and frustration makes me weep
hasti apni habab ki si hai
hasti apni habab ki si hai
ye numaish sarab ki si hai
my life is like a bubble now
mirage-like appears this show
nazuki us ke lab ki kya kahiye
pankhudi ik gulab ki si hai
the softness of her lips is close
to velvet petals of a rose
chashm-e-dil khol is bhi aalam par
yaan ki auqat khvab ki si hai
do let your heart's eye see this world
tis but a dreamlike state unfurled
baar baar us ke dar pe jaata huun
halat ab iztirab ki si hai
repeatedly to her address
i go, lo, such is my distress
nuqta-e-khal se tira abru
bait ik intikhab ki si hai
your brow inscribed upon your skin
a line of poetry akin
main jo bola kaha ki ye avaz
usi khana-kharab ki si hai
when i spoke out, she did complain
"that derelict is here again"
atish-e-ghham men dil bhuna shayad
der se bu kabab ki si hai
this heart long burnt in sorrow's hell
there is a barbecue like smell
dekhiye abr ki tarah ab ke
meri chashm-e-pur-ab ki si hai
just as a monsoon cloud appears
these eyes of mine are full of tears
'mir' un nim-baz ankhon men
saari masti sharab ki si hai
miir in her half-ope eyes there is
the fullness of wine's heady bliss
hasti apni habab ki si hai
ye numaish sarab ki si hai
my life is like a bubble now
mirage-like appears this show
nazuki us ke lab ki kya kahiye
pankhudi ek gulab ki si hai
the softness of her lips is close
to velvet petals of a rose
chashm-e-dil khol is bhi aalam par
yan ki auqat khwab ki si hai
do let your heart's eye see this world
tis but a dreamlike state unfurled
bar bar us ke dar pe jata hun
haalat ab iztirab ki si hai
repeatedly to her address
i go, lo, such is my distress
nuqta-e-khal se tera abru
bait ek intikhab ki si hai
your brow inscribed upon your skin
a line of poetry akin
main jo bola kaha ki ye aawaz
usi khana-kharab ki si hai
when i spoke out, she did complain
"that derelict is here again"
aatish-e-gham mein dil bhuna shayad
der se bu kabab ki si hai
this heart long burnt in sorrow's hell
there is a barbecue like smell
dekhiye abr ki tarah ab ke
meri chashm-e-pur-ab ki si hai
just as a monsoon cloud appears
these eyes of mine are full of tears
'mir' un nim-baz aankhon mein
sari masti sharab ki si hai
miir in her half-ope eyes there is
the fullness of wine's heady bliss
ek hi muzhda subh lati hai
ek hi muzhda subh laati hai
dhuup angan men phail jaati hai
rang-e-mausam hai aur bad-e-saba
shahr kuchon men khaak udati hai
farsh par kaghhaz udte phirte hain
mez par gard jamti jaati hai
sochta huun ki us ki yaad akhir
ab kise raat bhar jagati hai
main bhi izn-e-nava-gari chahun
be-dili bhi to lab hilati hai
so gae ped jaag uthi khushbu
zindagi khvab kyuun dikhati hai
us sarapa vafa ki furqat men
khvahish-e-ghhair kyuun satati hai
aap apne se ham-sukhan rahna
ham-nashin saans phuul jaati hai
kya sitam hai ki ab tiri surat
ghhaur karne pe yaad aati hai
kaun is ghar ki dekh-bhal kare
roz ik chiiz tuut jaati hai
ek hi muzhda subh lati hai
dhup aangan mein phail jati hai
rang-e-mausam hai aur baad-e-saba
shahr kuchon mein khak udati hai
farsh par kaghaz udte phirte hain
mez par gard jamti jati hai
sochta hun ki us ki yaad aakhir
ab kise raat bhar jagati hai
main bhi izn-e-nawa-gari chahun
be-dili bhi to lab hilati hai
so gae ped jag uthi khushbu
zindagi khwab kyun dikhati hai
us sarapa wafa ki furqat mein
khwahish-e-ghair kyun satati hai
aap apne se ham-sukhan rahna
ham-nashin sans phul jati hai
kya sitam hai ki ab teri surat
ghaur karne pe yaad aati hai
kaun is ghar ki dekh-bhaal kare
roz ek chiz tut jati hai
aadmi waqt par gaya hoga
aadmi vaqt par gaya hoga
vaqt pahle guzar gaya hoga
vo hamari taraf na dekh ke bhi
koi ehsan dhar gaya hoga
khud se mayus ho ke baitha huun
aaj har shakhs mar gaya hoga
shaam tere dayar men akhir
koi to apne ghar gaya hoga
marham-e-hijr tha ajab iksir
ab to har zakhm bhar gaya hoga
aadmi waqt par gaya hoga
waqt pahle guzar gaya hoga
wo hamari taraf na dekh ke bhi
koi ehsan dhar gaya hoga
khud se mayus ho ke baitha hun
aaj har shakhs mar gaya hoga
sham tere dayar mein aakhir
koi to apne ghar gaya hoga
marham-e-hijr tha ajab iksir
ab to har zakhm bhar gaya hoga
tere gham ko jaan ki talash thi tere jaan-nisar chale gae
tire ghham ko jaan ki talash thi tire jan-nisar chale gae
tiri rah men karte the sar talab sar-e-rahguzar chale gae
tiri kaj-adai se haar ke shab-e-intizar chali gai
mire zabt-e-hal se ruuth kar mire ghham-gusar chale gae
na saval-e-vasl na arz-e-ghham na hikayaten na shikayaten
tire ahd men dil-e-zar ke sabhi ikhtiyar chale gae
ye hamin the jin ke libas par sar-e-rah siyahi likhi gai
yahi daaghh the jo saja ke ham sar-e-bazm-e-yar chale gae
na raha junun-e-rukh-e-vafa ye rasan ye daar karoge kya
jinhen jurm-e-ishq pe naaz tha vo gunahgar chale gae
tere gham ko jaan ki talash thi tere jaan-nisar chale gae
teri rah mein karte the sar talab sar-e-rahguzar chale gae
teri kaj-adai se haar ke shab-e-intizar chali gai
mere zabt-e-haal se ruth kar mere gham-gusar chale gae
na sawal-e-wasl na arz-e-gham na hikayaten na shikayaten
tere ahd mein dil-e-zar ke sabhi ikhtiyar chale gae
ye hamin the jin ke libas par sar-e-rah siyahi likhi gai
yahi dagh the jo saja ke hum sar-e-bazm-e-yar chale gae
na raha junun-e-rukh-e-wafa ye rasan ye dar karoge kya
jinhen jurm-e-ishq pe naz tha wo gunahgar chale gae
kiya hai pyar jise humne zindagi ki tarah
kiya hai pyaar jise ham ne zindagi ki tarah
vo ashna bhi mila ham se ajnabi ki tarah
kise khabar thi badhegi kuchh aur tariki
chhupega vo kisi badli men chandni ki tarah
badha ke pyaas miri us ne haath chhod diya
vo kar raha tha muravvat bhi dil-lagi ki tarah
sitam to ye hai ki vo bhi na ban saka apna
qubul ham ne kiye jis ke ghham khushi ki tarah
kabhi na socha tha ham ne 'qatil' us ke liye
karega ham pe sitam vo bhi har kisi ki tarah
kiya hai pyar jise hum ne zindagi ki tarah
wo aashna bhi mila hum se ajnabi ki tarah
kise khabar thi badhegi kuchh aur tariki
chhupega wo kisi badli mein chandni ki tarah
badha ke pyas meri us ne hath chhod diya
wo kar raha tha murawwat bhi dil-lagi ki tarah
sitam to ye hai ki wo bhi na ban saka apna
qubul hum ne kiye jis ke gham khushi ki tarah
kabhi na socha tha hum ne 'qatil' us ke liye
karega hum pe sitam wo bhi har kisi ki tarah
tere aane ka dhoka sa raha hai
tire aane ka dhoka sa raha hai
diya sa raat bhar jalta raha hai
ajab hai raat se ankhon ka aalam
ye dariya raat bhar chadhta raha hai
suna hai raat bhar barsa hai badal
magar vo shahr jo pyasa raha hai
vo koi dost tha achchhe dinon ka
jo pichhli raat se yaad aa raha hai
kise dhundoge in galiyon men 'nasir'
chalo ab ghar chalen din ja raha hai
tere aane ka dhoka sa raha hai
diya sa raat bhar jalta raha hai
ajab hai raat se aankhon ka aalam
ye dariya raat bhar chadhta raha hai
suna hai raat bhar barsa hai baadal
magar wo shahr jo pyasa raha hai
wo koi dost tha achchhe dinon ka
jo pichhli raat se yaad aa raha hai
kise dhundoge in galiyon mein 'nasir'
chalo ab ghar chalen din ja raha hai
yaaden pagal kar deti hain
yaden pagal kar deti hain
baten pagal kar deti hain
chehra hosh uda deta hai
ankhen pagal kar deti hain
tanha chalne valon ko ye
rahen pagal kar deti hain
din to khair guzar jaata hai
raten pagal kar deti hain
yaaden pagal kar deti hain
baaten pagal kar deti hain
chehra hosh uda deta hai
aankhen pagal kar deti hain
tanha chalne walon ko ye
rahen pagal kar deti hain
din to khair guzar jata hai
raaten pagal kar deti hain
ya mujhe afsar-e-shahana banaya hota
ya mujhe afsar-e-shahana banaya hota
ya mira taaj gadayana banaya hota
apna divana banaya mujhe hota tu ne
kyuun khirad-mand banaya na banaya hota
khaksari ke liye garche banaya tha mujhe
kaash khak-e-dar-e-janana banaya hota
nashsha-e-ishq ka gar zarf diya tha mujh ko
umr ka tang na paimana banaya hota
dil-e-sad-chak banaya to bala se lekin
zulf-e-mushkin ka tire shana banaya hota
sufiyon ke jo na tha laeq-e-sohbat to mujhe
qabil-e-jalsa-e-rindana banaya hota
tha jalana hi agar duri-e-saqi se mujhe
to charaghh-e-dar-e-mai-khana banaya hota
shola-e-husn chaman men na dikhaya us ne
varna bulbul ko bhi parvana banaya hota
roz mamura-e-duniya men kharabi hai 'zafar'
aisi basti ko to virana banaya hota
ya mujhe afsar-e-shahana banaya hota
ya mera taj gadayana banaya hota
apna diwana banaya mujhe hota tu ne
kyun khirad-mand banaya na banaya hota
khaksari ke liye garche banaya tha mujhe
kash khak-e-dar-e-jaanana banaya hota
nashsha-e-ishq ka gar zarf diya tha mujh ko
umr ka tang na paimana banaya hota
dil-e-sad-chaak banaya to bala se lekin
zulf-e-mushkin ka tere shana banaya hota
sufiyon ke jo na tha laeq-e-sohbat to mujhe
qabil-e-jalsa-e-rindana banaya hota
tha jalana hi agar duri-e-saqi se mujhe
to charagh-e-dar-e-mai-khana banaya hota
shola-e-husn chaman mein na dikhaya us ne
warna bulbul ko bhi parwana banaya hota
roz mamura-e-duniya mein kharabi hai 'zafar'
aisi basti ko to virana banaya hota
marne ki duaen kyun mangun jine ki tamanna kaun kare
marne ki duaen kyuun mangun jiine ki tamanna kaun kare
ye duniya ho ya vo duniya ab khvahish-e-duniya kaun kare
jab kashti sabit-o-salim thi sahil ki tamanna kis ko thi
ab aisi shikasta kashti par sahil ki tamanna kaun kare
jo aag lagai thi tum ne us ko to bujhaya ashkon ne
jo ashkon ne bhadkai hai us aag ko thanda kaun kare
duniya ne hamen chhoda 'jazbi' ham chhod na den kyuun duniya ko
duniya ko samajh kar baithe hain ab duniya duniya kaun kare
marne ki duaen kyun mangun jine ki tamanna kaun kare
ye duniya ho ya wo duniya ab khwahish-e-duniya kaun kare
jab kashti sabit-o-salim thi sahil ki tamanna kis ko thi
ab aisi shikasta kashti par sahil ki tamanna kaun kare
jo aag lagai thi tum ne us ko to bujhaya ashkon ne
jo ashkon ne bhadkai hai us aag ko thanda kaun kare
duniya ne hamein chhoda 'jazbi' hum chhod na den kyun duniya ko
duniya ko samajh kar baithe hain ab duniya duniya kaun kare
aisa nahin ki un se mohabbat nahin rahi
aisa nahin ki un se mohabbat nahin rahi
jazbat men vo pahli si shiddat nahin rahi
zof-e-quva ne amad-e-piri ki di naved
vo dil nahin raha vo tabiat nahin rahi
sar men vo intizar ka sauda nahin raha
dil par vo dhadkanon ki hukumat nahin rahi
kamzori-e-nigah ne sanjida kar diya
jalvon se chhed-chhad ki aadat nahin rahi
hathon se intiqam liya irtiash ne
daman-e-yar se koi nisbat nahin rahi
paiham tavaf-e-kucha-e-janan ke din gae
pairon men chalne phirne ki taqat nahin rahi
chehre ko jhurriyon ne bhayanak bana diya
aina dekhne ki bhi himmat nahin rahi
allah jaane maut kahan mar gai 'khumar'
ab mujh ko zindagi ki zarurat nahin rahi
aisa nahin ki un se mohabbat nahin rahi
jazbaat mein wo pahli si shiddat nahin rahi
zof-e-quwa ne aamad-e-piri ki di nawed
wo dil nahin raha wo tabiat nahin rahi
sar mein wo intizar ka sauda nahin raha
dil par wo dhadkanon ki hukumat nahin rahi
kamzori-e-nigah ne sanjida kar diya
jalwon se chhed-chhad ki aadat nahin rahi
hathon se intiqam liya irtiash ne
daman-e-yar se koi nisbat nahin rahi
paiham tawaf-e-kucha-e-jaanan ke din gae
pairon mein chalne phirne ki taqat nahin rahi
chehre ko jhurriyon ne bhayanak bana diya
aaina dekhne ki bhi himmat nahin rahi
allah jaane maut kahan mar gai 'khumar'
ab mujh ko zindagi ki zarurat nahin rahi
saqi sharab la ki tabiat udas hai
saaqi sharab la ki tabiat udaas hai
mutrib rubab utha ki tabiat udaas hai
ruk ruk ke saaz chhed ki dil mutmain nahin
tham tham ke mai pila ki tabiat udaas hai
chubhti hai qalb o jaan men sitaron ki raushni
ai chand duub ja ki tabiat udaas hai
mujh se nazar na pher ki barham hai zindagi
mujh se nazar mila ki tabiat udaas hai
shayad tire labon ki chatak se ho ji bahal
ai dost muskura ki tabiat udaas hai
hai husn ka fusun bhi ilaj-e-fasurdagi
rukh se naqab utha ki tabiat udaas hai
main ne kabhi ye zid to nahin ki par aaj shab
ai mah-jabin na ja ki tabiat udaas hai
imshab gurez-o-ram ka nahin hai koi mahal
aghhosh men dar aa ki tabiat udaas hai
kaifiyyat-e-sukut se badhta hai aur ghham
qissa koi suna ki tabiat udaas hai
yunhi durust hogi tabiat tiri 'adam'
kam-bakht bhuul ja ki tabiat udaas hai
tauba to kar chuka huun magar phir bhi ai 'adam'
thoda sa zahr la ki tabiat udaas hai
saqi sharab la ki tabiat udas hai
mutrib rubab utha ki tabiat udas hai
ruk ruk ke saz chhed ki dil mutmain nahin
tham tham ke mai pila ki tabiat udas hai
chubhti hai qalb o jaan mein sitaron ki raushni
ai chand dub ja ki tabiat udas hai
mujh se nazar na pher ki barham hai zindagi
mujh se nazar mila ki tabiat udas hai
shayad tere labon ki chatak se ho ji bahaal
ai dost muskura ki tabiat udas hai
hai husn ka fusun bhi ilaj-e-fasurdagi
rukh se naqab utha ki tabiat udas hai
main ne kabhi ye zid to nahin ki par aaj shab
ai mah-jabin na ja ki tabiat udas hai
imshab gurez-o-ram ka nahin hai koi mahal
aaghosh mein dar aa ki tabiat udas hai
kaifiyyat-e-sukut se badhta hai aur gham
qissa koi suna ki tabiat udas hai
yunhi durust hogi tabiat teri 'adam'
kam-bakht bhul ja ki tabiat udas hai
tauba to kar chuka hun magar phir bhi ai 'adam'
thoda sa zahr la ki tabiat udas hai
khalq kahti hai jise dil tere diwane ka
khalq kahti hai jise dil tire divane ka
ek gosha hai ye duniya isi virane ka
ik muamma hai samajhne ka na samjhane ka
zindagi kaahe ko hai khvab hai divane ka
husn hai zaat miri ishq sifat hai meri
huun to main shama magar bhes hai parvane ka
kaabe ko dil ki ziyarat ke liye jaata huun
astana hai haram mere sanam-khane ka
mukhtasar qissa-e-ghham ye hai ki dil rakhta huun
raz-e-kaunain khulasa hai is afsane ka
zindagi bhi to pasheman hai yahan la ke mujhe
dhundti hai koi hiila mire mar jaane ka
tum ne dekha hai kabhi ghar ko badalte hue rang
aao dekho na tamasha mire ghham-khane ka
ab ise daar pe le ja ke sula de saaqi
yuun bahakna nahin achchha tire mastane ka
dil se pahunchi to hain ankhon men lahu ki bunden
silsila shishe se milta to hai paimane ka
haddiyan hain kai lipti hui zanjiron men
liye jaate hain janaza tire divane ka
vahdat-e-husn ke jalvon ki ye kasrat ai ishq
dil ke har zarre men aalam hai pari-khane ka
chashm-e-saqi asar-e-mai se nahin hai gul-rang
dil mire khuun se labrez hai paimane ka
lauh dil ko ghham-e-ulfat ko qalam kahte hain
kun hai andaz-e-raqam husn ke afsane ka
ham ne chhani hain bahut dair o haram ki galiyan
kahin paaya na thikana tire divane ka
kis ki ankhen dam-e-akhir mujhe yaad aai hain
dil muraqqaa hai chhalakte hue paimane ka
kahte hain kya hi maze ka hai fasana 'fani'
aap ki jaan se duur aap ke mar jaane ka
har nafas umr-e-guzishta ki hai mayyat 'fani'
zindagi naam hai mar mar ke jiye jaane ka
khalq kahti hai jise dil tere diwane ka
ek gosha hai ye duniya isi virane ka
ek muamma hai samajhne ka na samjhane ka
zindagi kahe ko hai khwab hai diwane ka
husn hai zat meri ishq sifat hai meri
hun to main shama magar bhes hai parwane ka
kabe ko dil ki ziyarat ke liye jata hun
aastana hai haram mere sanam-khane ka
mukhtasar qissa-e-gham ye hai ki dil rakhta hun
raaz-e-kaunain khulasa hai is afsane ka
zindagi bhi to pasheman hai yahan la ke mujhe
dhundti hai koi hila mere mar jaane ka
tum ne dekha hai kabhi ghar ko badalte hue rang
aao dekho na tamasha mere gham-khane ka
ab ise dar pe le ja ke sula de saqi
yun bahakna nahin achchha tere mastane ka
dil se pahunchi to hain aankhon mein lahu ki bunden
silsila shishe se milta to hai paimane ka
haddiyan hain kai lipti hui zanjiron mein
liye jate hain janaza tere diwane ka
wahdat-e-husn ke jalwon ki ye kasrat ai ishq
dil ke har zarre mein aalam hai pari-khane ka
chashm-e-saqi asar-e-mai se nahin hai gul-rang
dil mere khun se labrez hai paimane ka
lauh dil ko gham-e-ulfat ko qalam kahte hain
kun hai andaz-e-raqam husn ke afsane ka
hum ne chhani hain bahut dair o haram ki galiyan
kahin paya na thikana tere diwane ka
kis ki aankhen dam-e-akhir mujhe yaad aai hain
dil muraqqa hai chhalakte hue paimane ka
kahte hain kya hi maze ka hai fasana 'fani'
aap ki jaan se dur aap ke mar jaane ka
har nafas umr-e-guzishta ki hai mayyat 'fani'
zindagi nam hai mar mar ke jiye jaane ka
mohabbat tark ki maine gareban si liya maine
mohabbat tark ki main ne gareban si liya main ne
zamane ab to khush ho zahr ye bhi pi liya main ne
love i have renounced and sewn the collar that was ripped
o world now you be happy for this poison i have sipped
abhi zinda huun lekin sochta rahta huun khalvat men
ki ab tak kis tamanna ke sahare ji liya main ne
though i am alive, i often think, when there is no throng
based on what desire, tell me, have i lived this long
unhen apna nahin sakta magar itna bhi kya kam hai
ki kuchh muddat hasin khvabon men kho kar ji liya main ne
though i cannot possess her, it's of major consequence
that for a while, her in my dreams, i did experience
bas ab to daman-e-dil chhod do bekar ummido
bahut dukh sah liye main ne bahut din ji liya main ne
the vestment of my heart o helpless hopes now leave alone
i've lived far too long and sorrows ample have i borne
mohabbat tark ki main ne gareban si liya main ne
zamane ab to khush ho zahr ye bhi pi liya main ne
love i have renounced and sewn the collar that was ripped
o world now you be happy for this poison i have sipped
abhi zinda hun lekin sochta rahta hun khalwat mein
ki ab tak kis tamanna ke sahaare ji liya main ne
though i am alive, i often think, when there is no throng
based on what desire, tell me, have i lived this long
unhen apna nahin sakta magar itna bhi kya kam hai
ki kuchh muddat hasin khwabon mein kho kar ji liya main ne
though i cannot possess her, it's of major consequence
that for a while, her in my dreams, i did experience
bas ab to daman-e-dil chhod do bekar ummido
bahut dukh sah liye main ne bahut din ji liya main ne
the vestment of my heart o helpless hopes now leave alone
i've lived far too long and sorrows ample have i borne
duniya meri bala jaane mahngi hai ya sasti hai
duniya meri bala jaane mahngi hai ya sasti hai
maut mile to muft na luun hasti ki kya hasti hai
abadi bhi dekhi hai virane bhi dekhe hain
jo ujde aur phir na base dil vo nirali basti hai
khud jo na hone ka ho adam kya use hona kahte hain
niist na ho to hast nahin ye hasti kya hasti hai
ijz-e-gunah ke dam tak hain ismat-e-kamil ke jalve
pasti hai to bulandi hai raz-e-bulandi pasti hai
jaan si shai bik jaati hai ek nazar ke badle men
aage marzi gahak ki in damon to sasti hai
vahshat-e-dil se phirna hai apne khuda se phir jaana
divane ye hosh nahin ye to hosh-parasti hai
jag suuna hai tere baghhair ankhon ka kya haal hua
jab bhi duniya basti thi ab bhi duniya basti hai
aansu the so khushk hue ji hai ki umda aata hai
dil pe ghata si chhai hai khulti hai na barasti hai
dil ka ujadna sahl sahi basna sahl nahin zalim
basti basna khel nahin baste baste basti hai
'fani' jis men aansu kya dil ke lahu ka kaal na tha
haae vo aankh ab paani ki do bundon ko tarasti hai
duniya meri bala jaane mahngi hai ya sasti hai
maut mile to muft na lun hasti ki kya hasti hai
aabaadi bhi dekhi hai virane bhi dekhe hain
jo ujde aur phir na base dil wo nirali basti hai
khud jo na hone ka ho adam kya use hona kahte hain
nist na ho to hast nahin ye hasti kya hasti hai
ijz-e-gunah ke dam tak hain ismat-e-kaamil ke jalwe
pasti hai to bulandi hai raaz-e-bulandi pasti hai
jaan si shai bik jati hai ek nazar ke badle mein
aage marzi gahak ki in damon to sasti hai
wahshat-e-dil se phirna hai apne khuda se phir jaana
diwane ye hosh nahin ye to hosh-parasti hai
jag suna hai tere baghair aankhon ka kya haal hua
jab bhi duniya basti thi ab bhi duniya basti hai
aansu the so khushk hue ji hai ki umda aata hai
dil pe ghata si chhai hai khulti hai na barasti hai
dil ka ujadna sahl sahi basna sahl nahin zalim
basti basna khel nahin baste baste basti hai
'fani' jis mein aansu kya dil ke lahu ka kal na tha
hae wo aankh ab pani ki do bundon ko tarasti hai
mahfilen lut gain jazbaat ne dam tod diya
mahfilen lut gaiin jazbat ne dam tod diya
saaz khamosh hain naghhmat ne dam tod diya
har masarrat ghham-e-diroz ka unvan bani
vaqt ki god men lamhat ne dam tod diya
an-ginat mahfilen mahrum-e-charaghhan hain abhi
kaun kahta hai ki zulmat ne dam tod diya
aaj phir bujh gae jal jal ke umidon ke charaghh
aaj phir taron bhari raat ne dam tod diya
jin se afsana-e-hasti men tasalsul tha kabhi
un mohabbat ki rivayat ne dam tod diya
jhilmilate hue ashkon ki ladi tuut gai
jagmagati hui barsat ne dam tod diya
haae adab-e-mohabbat ke taqaze 'saghhar'
lab hile aur shikayat ne dam tod diya
mahfilen lut gain jazbaat ne dam tod diya
saz khamosh hain naghmat ne dam tod diya
har masarrat gham-e-diroz ka unwan bani
waqt ki god mein lamhat ne dam tod diya
an-ginat mahfilen mahrum-e-charaghan hain abhi
kaun kahta hai ki zulmat ne dam tod diya
aaj phir bujh gae jal jal ke umidon ke charagh
aaj phir taron bhari raat ne dam tod diya
jin se afsana-e-hasti mein tasalsul tha kabhi
un mohabbat ki riwayat ne dam tod diya
jhilmilate hue ashkon ki ladi tut gai
jagmagati hui barsat ne dam tod diya
hae aadab-e-mohabbat ke taqaze 'saghar'
lab hile aur shikayat ne dam tod diya
wo apne ghar chala gaya afsos mat karo
vo apne ghar chala gaya afsos mat karo
itna hi us ka saath tha afsos mat karo
insan apne aap men majbur hai bahut
koi nahin hai bevafa afsos mat karo
is baar tum ko aane men kuchh der ho gai
thak-har ke vo so gaya afsos mat karo
duniya men aur chahne vaale bhi hain bahut
jo hona tha vo ho gaya afsos mat karo
is zindagi ke mujh pe kai qarz hain magar
main jald laut aunga afsos mat karo
ye dekho phir se aa gaiin phulon pe titliyan
ik roz vo bhi aaega afsos mat karo
vo tum se aaj duur hai kal paas aaega
phir se khuda milaega afsos mat karo
be-kar ji pe bojh liye phir rahe ho tum
dil hai tumhara phuul sa afsos mat karo
wo apne ghar chala gaya afsos mat karo
itna hi us ka sath tha afsos mat karo
insan apne aap mein majbur hai bahut
koi nahin hai bewafa afsos mat karo
is bar tum ko aane mein kuchh der ho gai
thak-haar ke wo so gaya afsos mat karo
duniya mein aur chahne wale bhi hain bahut
jo hona tha wo ho gaya afsos mat karo
is zindagi ke mujh pe kai qarz hain magar
main jald laut aaunga afsos mat karo
ye dekho phir se aa gain phulon pe titliyan
ek roz wo bhi aaega afsos mat karo
wo tum se aaj dur hai kal pas aaega
phir se khuda milaega afsos mat karo
be-kar ji pe bojh liye phir rahe ho tum
dil hai tumhaara phul sa afsos mat karo
yun hasraton ke dagh mohabbat mein dho liye
yuun hasraton ke daaghh mohabbat men dho liye
khud dil se dil ki baat kahi aur ro liye
ghar se chale the ham to khushi ki talash men
ghham raah men khade the vahi saath ho liye
murjha chuka hai phir bhi ye dil phuul hi to hai
ab aap ki khushi ise kanton men toliye
honton ko si chuke to zamane ne ye kaha
yuun chup si kyuun lagi hai aji kuchh to boliye
yun hasraton ke dagh mohabbat mein dho liye
khud dil se dil ki baat kahi aur ro liye
ghar se chale the hum to khushi ki talash mein
gham rah mein khade the wahi sath ho liye
murjha chuka hai phir bhi ye dil phul hi to hai
ab aap ki khushi ise kanton mein toliye
honton ko si chuke to zamane ne ye kaha
yun chup si kyun lagi hai aji kuchh to boliye
qarib maut khadi hai zara thahar jao
qarib maut khadi hai zara thahar jaao
qaza se aankh ladi hai zara thahar jaao
thaki thaki si fazaen bujhe bujhe taare
badi udaas ghadi hai zara thahar jaao
nahin umiid ki ham aaj ki sahar dekhen
ye raat ham pe kadi hai zara thahar jaao
abhi na jaao ki taron ka dil dhadakta hai
tamam raat padi hai zara thahar jaao
phir is ke baa'd kabhi ham na tum ko rokenge
labon pe saans adi hai zara thahar jaao
dam-e-firaq main ji bhar ke tum ko dekh to luun
ye faisle ki ghadi hai zara thahar jaao
qarib maut khadi hai zara thahar jao
qaza se aankh ladi hai zara thahar jao
thaki thaki si fazaen bujhe bujhe tare
badi udas ghadi hai zara thahar jao
nahin umid ki hum aaj ki sahar dekhen
ye raat hum pe kadi hai zara thahar jao
abhi na jao ki taron ka dil dhadakta hai
tamam raat padi hai zara thahar jao
phir is ke ba'd kabhi hum na tum ko rokenge
labon pe sans adi hai zara thahar jao
dam-e-firaq main ji bhar ke tum ko dekh to lun
ye faisle ki ghadi hai zara thahar jao
main kal tanha tha khilqat so rahi thi
main kal tanha tha khilqat so rahi thi
mujhe khud se bhi vahshat ho rahi thi
use jakda hua tha zindagi ne
sirhane maut baithi ro rahi thi
khula mujh par ki meri khush-nasibi
mire raste men kante bo rahi thi
mujhe bhi na-rasai ka samar de
mujhe teri tamanna jo rahi thi
mira qatil mire andar chhupa tha
magar bad-nam khilqat ho rahi thi
baghhavat kar ke khud apne lahu se
ghhulami daaghh apne dho rahi thi
labon par tha sukut-e-marg lekin
mire dil men qayamat so rahi thi
ba-juz mauj-e-fana duniya men 'mohsin'
hamari justuju kis ko rahi thi
main kal tanha tha khilqat so rahi thi
mujhe khud se bhi wahshat ho rahi thi
use jakda hua tha zindagi ne
sirhane maut baithi ro rahi thi
khula mujh par ki meri khush-nasibi
mere raste mein kante bo rahi thi
mujhe bhi na-rasai ka samar de
mujhe teri tamanna jo rahi thi
mera qatil mere andar chhupa tha
magar bad-nam khilqat ho rahi thi
baghawat kar ke khud apne lahu se
ghulami dagh apne dho rahi thi
labon par tha sukut-e-marg lekin
mere dil mein qayamat so rahi thi
ba-juz mauj-e-fana duniya mein 'mohsin'
hamari justuju kis ko rahi thi
lazim hai apne aap ki imdad kuchh karun
lazim hai apne aap ki imdad kuchh karun
siine men vo khala hai ki ijad kuchh karun
har lamha apne aap men paata huun kuchh kami
har lamha apne aap men izad kuchh karun
rukar se to apni main lagta huun paedar
buniyad rah gai pa-e-buniyad kuchh karun
taari hua hai lamha-e-maujud is tarah
kuchh bhi na yaad aae agar yaad kuchh karun
mausam ka mujh se koi taqaza hai dam-ba-dam
be-silsila nahin nafas-e-bad kuchh karun
lazim hai apne aap ki imdad kuchh karun
sine mein wo khala hai ki ijad kuchh karun
har lamha apne aap mein pata hun kuchh kami
har lamha apne aap mein izad kuchh karun
rukar se to apni main lagta hun paedar
buniyaad rah gai pa-e-buniyaad kuchh karun
tari hua hai lamha-e-maujud is tarah
kuchh bhi na yaad aae agar yaad kuchh karun
mausam ka mujh se koi taqaza hai dam-ba-dam
be-silsila nahin nafas-e-baad kuchh karun
baat jab doston ki aati hai
baat jab doston ki aati hai
dosti kaanp kaanp jaati hai
mujh se ai dost phir khafa ho ja
ishq ko niind aai jaati hai
ab qayamat se kya dare koi
ab qayamat to roz aati hai
bhagta huun main zindagi se 'khumar'
aur ye nagin dase hi jaati hai
baat jab doston ki aati hai
dosti kanp kanp jati hai
mujh se ai dost phir khafa ho ja
ishq ko nind aai jati hai
ab qayamat se kya dare koi
ab qayamat to roz aati hai
bhagta hun main zindagi se 'khumar'
aur ye nagin dase hi jati hai
aasman kuchh bhi nahin ab tere karne ke liye
asman kuchh bhi nahin ab tere karne ke liye
main ne sab tayyariyan kar li hain marne ke liye
is bulandi khauf se azad ho us ne kaha
chand se jab bhi kaha niche utarne ke liye
ab zamin kyuun tere naqshe se nahin hatti nazar
rang kya koi bacha hai is men bharne ke liye
ye jagah hairat-sarae hai kahan thi ye khabar
yunhi aa nikla tha main to sair karne ke liye
kitna asan lag raha hai mujh ko aage ka safar
chhod aaya pichhe parchhain ko darne ke liye
aasman kuchh bhi nahin ab tere karne ke liye
main ne sab tayyariyan kar li hain marne ke liye
is bulandi khauf se aazad ho us ne kaha
chand se jab bhi kaha niche utarne ke liye
ab zamin kyun tere naqshe se nahin hatti nazar
rang kya koi bacha hai is mein bharne ke liye
ye jagah hairat-sarae hai kahan thi ye khabar
yunhi aa nikla tha main to sair karne ke liye
kitna aasan lag raha hai mujh ko aage ka safar
chhod aaya pichhe parchhain ko darne ke liye
jab jab tumhein bhulaya tum aur yaad aae
jab jab tumhen bhulaya tum aur yaad aae
jaate nahin hain dil se ab tak tumhare saae
tum se bichhad ke ham ne dil ko bahut sambhala
gulshan men ye na bahla sahra men bhi satae
marne ki aarzu men ham ji rahe hain aise
jaise ki laash apni khud hi koi uthae
jab jab tumhein bhulaya tum aur yaad aae
jate nahin hain dil se ab tak tumhaare sae
tum se bichhad ke hum ne dil ko bahut sambhaala
gulshan mein ye na bahla sahra mein bhi satae
marne ki aarzu mein hum ji rahe hain aise
jaise ki lash apni khud hi koi uthae
nazar-nawaz nazaron mein ji nahin lagta
nazar-navaz nazaron men ji nahin lagta
vo kya gae ki baharon men ji nahin lagta
shab-e-firaq ko ai chand aa ke chamka de
nazar udaas hai taron men ji nahin lagta
ghham-e-hayat ke maare to ham bhi hain lekin
ghham-e-hayat ke maron men ji nahin lagta
na puchh mujh se tire ghham men kya guzarti hai
yahi kahunga hazaron men ji nahin lagta
kuchh is qadar hai ghham-e-zindagi se dil mayus
khizan gai to baharon men ji nahin lagta
fasana-e-shab-e-ghham khatm hone vaala hai
'shakil' chand sitaron men ji nahin lagta
nazar-nawaz nazaron mein ji nahin lagta
wo kya gae ki bahaaron mein ji nahin lagta
shab-e-firaq ko ai chand aa ke chamka de
nazar udas hai taron mein ji nahin lagta
gham-e-hayat ke mare to hum bhi hain lekin
gham-e-hayat ke maron mein ji nahin lagta
na puchh mujh se tere gham mein kya guzarti hai
yahi kahunga hazaron mein ji nahin lagta
kuchh is qadar hai gham-e-zindagi se dil mayus
khizan gai to bahaaron mein ji nahin lagta
fasana-e-shab-e-gham khatm hone wala hai
'shakil' chand sitaron mein ji nahin lagta
hawa ke waste ek kaam chhod aaya hun
hava ke vaste ik kaam chhod aaya huun
diya jala ke sar-e-sham chhod aaya huun
kabhi nasib ho fursat to us ko padh lena
vo ek khat jo tire naam chhod aaya huun
hava-e-dasht-o-bayaban bhi mujh se barham hai
main apne ghar ke dar-o-bam chhod aaya huun
koi charaghh sar-e-rahguzar nahin na sahi
main naqsh-e-pa ko bahar-gam chhod aaya huun
abhi to aur bahut us pe tabsire honge
main guftugu men jo ibham chhod aaya huun
ye kam nahin hai vazahat miri asiri ki
paron ke rang tah-e-dam chhod aaya huun
vahan se ek qadam bhi na ja saki aage
jahan pe gardish-e-ayyam chhod aaya huun
mujhe jo dhundhna chahe vo dhundh le 'ejaz'
ki ab main kucha-e-gum-nam chhod aaya huun
hawa ke waste ek kaam chhod aaya hun
diya jala ke sar-e-sham chhod aaya hun
kabhi nasib ho fursat to us ko padh lena
wo ek khat jo tere nam chhod aaya hun
hawa-e-dasht-o-bayaban bhi mujh se barham hai
main apne ghar ke dar-o-baam chhod aaya hun
koi charagh sar-e-rahguzar nahin na sahi
main naqsh-e-pa ko bahar-gam chhod aaya hun
abhi to aur bahut us pe tabsire honge
main guftugu mein jo ibham chhod aaya hun
ye kam nahin hai wazahat meri asiri ki
paron ke rang tah-e-dam chhod aaya hun
wahan se ek qadam bhi na ja saki aage
jahan pe gardish-e-ayyam chhod aaya hun
mujhe jo dhundhna chahe wo dhundh le 'ejaz'
ki ab main kucha-e-gum-nam chhod aaya hun
kahin se maut ko lao ki gham ki raat kate
kahin se maut ko laao ki ghham ki raat kate
mira hi sog manao ki ghham ki raat kate
kare na pichha mira zindagi ko samjha do
ye raah us ko bhulao ki ghham ki raat kate
kaho baharon se ab shakh-e-dil na hogi hari
khizan ke giit sunao ki ghham ki raat kate
na chara-gar ki zarurat na kuchh dava ki hai
dua ko haath uthao ki ghham ki raat kate
kahin se maut ko lao ki gham ki raat kate
mera hi sog manao ki gham ki raat kate
kare na pichha mera zindagi ko samjha do
ye rah us ko bhulao ki gham ki raat kate
kaho bahaaron se ab shakh-e-dil na hogi hari
khizan ke git sunao ki gham ki raat kate
na chaara-gar ki zarurat na kuchh dawa ki hai
dua ko hath uthao ki gham ki raat kate
dil ko taskin-e-yar le dubi
dil ko taskin-e-yar le duubi
is chaman ko bahar le duubi
ashk to pi gae ham un ke huzur
ah-e-be-ikhtiyar le duubi
ishq ke karobar ko aksar
garmi-e-karobar le duubi
hal-e-ghham un se baar baar kaha
aur hansi baar baar le duubi
tere har mashvare ko ai naseh
aaj phir yad-e-yar le duubi
chaar din ka hi saath tha lekin
zindagi ai 'khumar' le duubi
dil ko taskin-e-yar le dubi
is chaman ko bahaar le dubi
ashk to pi gae hum un ke huzur
aah-e-be-ikhtiyar le dubi
ishq ke karobar ko aksar
garmi-e-karobar le dubi
haal-e-gham un se bar bar kaha
aur hansi bar bar le dubi
tere har mashware ko ai naseh
aaj phir yaad-e-yar le dubi
chaar din ka hi sath tha lekin
zindagi ai 'khumar' le dubi