donon jahan teri mohabbat mein haar ke
donon jahan teri mohabbat men haar ke
vo ja raha hai koi shab-e-ghham guzar ke
having lost out both the worlds in his love for you
having spent a night of sorrow someone bids adieu
viran hai mai-kada khum-o-saghhar udaas hain
tum kya gae ki ruuth gae din bahar ke
the tavern is forlorn the goblet flask too are blue
now that you have left the days of spring have too
ik fursat-e-gunah mili vo bhi chaar din
dekhe hain ham ne hausle parvardigar ke
leave to sin i did obtain but for days two and two
courage of the lord divine is there for all to view
duniya ne teri yaad se begana kar diya
tujh se bhi dil-fareb hain ghham rozgar ke
this world has caused me to forget all thoughts of you
the sorrows of subsistence are more deceitful than you
bhule se muskura to diye the vo aaj 'faiz'
mat puchh valvale dil-e-na-karda-kar ke
she did smile, by mistake, today at me anew
the joy of my dejected heart i cannot tell you
donon jahan teri mohabbat mein haar ke
wo ja raha hai koi shab-e-gham guzar ke
having lost out both the worlds in his love for you
having spent a night of sorrow someone bids adieu
viran hai mai-kada khum-o-saghar udas hain
tum kya gae ki ruth gae din bahaar ke
the tavern is forlorn the goblet flask too are blue
now that you have left the days of spring have too
ek fursat-e-gunah mili wo bhi chaar din
dekhe hain hum ne hausle parwardigar ke
leave to sin i did obtain but for days two and two
courage of the lord divine is there for all to view
duniya ne teri yaad se begana kar diya
tujh se bhi dil-fareb hain gham rozgar ke
this world has caused me to forget all thoughts of you
the sorrows of subsistence are more deceitful than you
bhule se muskura to diye the wo aaj 'faiz'
mat puchh walwale dil-e-na-karda-kar ke
she did smile, by mistake, today at me anew
the joy of my dejected heart i cannot tell you
zindagi se yahi gila hai mujhe
zindagi se yahi gila hai mujhe
tu bahut der se mila hai mujhe
tu mohabbat se koi chaal to chal
haar jaane ka hausla hai mujhe
dil dhadakta nahin tapakta hai
kal jo khvahish thi aabla hai mujhe
ham-safar chahiye hujum nahin
ik musafir bhi qafila hai mujhe
kohkan ho ki qais ho ki 'faraz'
sab men ik shakhs hi mila hai mujhe
zindagi se yahi gila hai mujhe
tu bahut der se mila hai mujhe
tu mohabbat se koi chaal to chal
haar jaane ka hausla hai mujhe
dil dhadakta nahin tapakta hai
kal jo khwahish thi aabla hai mujhe
ham-safar chahiye hujum nahin
ek musafir bhi qafila hai mujhe
kohkan ho ki qais ho ki 'faraaz'
sab mein ek shakhs hi mila hai mujhe
safar mein dhup to hogi jo chal sako to chalo
safar men dhuup to hogi jo chal sako to chalo
sabhi hain bhiid men tum bhi nikal sako to chalo
kisi ke vaste rahen kahan badalti hain
tum apne aap ko khud hi badal sako to chalo
yahan kisi ko koi rasta nahin deta
mujhe gira ke agar tum sambhal sako to chalo
kahin nahin koi suraj dhuan dhuan hai faza
khud apne aap se bahar nikal sako to chalo
yahi hai zindagi kuchh khvab chand ummiden
inhin khilaunon se tum bhi bahal sako to chalo
safar mein dhup to hogi jo chal sako to chalo
sabhi hain bhid mein tum bhi nikal sako to chalo
kisi ke waste rahen kahan badalti hain
tum apne aap ko khud hi badal sako to chalo
yahan kisi ko koi rasta nahin deta
mujhe gira ke agar tum sambhal sako to chalo
kahin nahin koi suraj dhuan dhuan hai faza
khud apne aap se bahar nikal sako to chalo
yahi hai zindagi kuchh khwab chand ummiden
inhin khilaunon se tum bhi bahal sako to chalo
sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil mein hai
sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil men hai
dekhna hai zor kitna bazu-e-qatil men hai
ai shahid-e-mulk-o-millat main tire uupar nisar
le tiri himmat ka charcha ghhair ki mahfil men hai
vaae qismat paanv ki ai zoaf kuchh chalti nahin
karvan apna abhi tak pahli hi manzil men hai
rahrav-e-rah-e-mohabbat rah na jaana raah men
lazzat-e-sahra-navardi duri-e-manzil men hai
shauq se rah-e-mohabbat ki musibat jhel le
ik khushi ka raaz pinhan jada-e-manzil men hai
aaj phir maqtal men qatil kah raha hai baar baar
aaen vo shauq-e-shahadat jin ke jin ke dil men hai
marne vaalo aao ab gardan katao shauq se
ye ghhanimat vaqt hai khanjar kaf-e-qatil men hai
mane-e-izhar tum ko hai haya, ham ko adab
kuchh tumhare dil ke andar kuchh hamare dil men hai
mai-kada sunsan khum ulte pade hain jaam chuur
sar-nigun baitha hai saaqi jo tiri mahfil men hai
vaqt aane de dikha denge tujhe ai asman
ham abhi se kyuun bataen kya hamare dil men hai
ab na agle valvale hain aur na vo arman ki bhiid
sirf mit jaane ki ik hasrat dil-e-'bismil' men hai
sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil mein hai
dekhna hai zor kitna bazu-e-qatil mein hai
ai shahid-e-mulk-o-millat main tere upar nisar
le teri himmat ka charcha ghair ki mahfil mein hai
wae qismat panw ki ai zoaf kuchh chalti nahin
karwan apna abhi tak pahli hi manzil mein hai
rahraw-e-rah-e-mohabbat rah na jaana rah mein
lazzat-e-sahra-nawardi duri-e-manzil mein hai
shauq se rah-e-mohabbat ki musibat jhel le
ek khushi ka raaz pinhan jada-e-manzil mein hai
aaj phir maqtal mein qatil kah raha hai bar bar
aaen wo shauq-e-shahadat jin ke jin ke dil mein hai
marne walo aao ab gardan katao shauq se
ye ghanimat waqt hai khanjar kaf-e-qatil mein hai
mane-e-izhaar tum ko hai haya, hum ko adab
kuchh tumhaare dil ke andar kuchh hamare dil mein hai
mai-kada sunsan khum ulte pade hain jam chur
sar-nigun baitha hai saqi jo teri mahfil mein hai
waqt aane de dikha denge tujhe ai aasman
hum abhi se kyun bataen kya hamare dil mein hai
ab na agle walwale hain aur na wo arman ki bhid
sirf mit jaane ki ek hasrat dil-e-'bismil' mein hai
manzilen lakh kathin aaen guzar jaunga
manzilen laakh kathin aaen guzar jaunga
hausla haar ke baithunga to mar jaunga
chal rahe the jo mere saath kahan hain vo log
jo ye kahte the ki raste men bikhar jaunga
dar-ba-dar hone se pahle kabhi socha bhi na tha
ghar mujhe raas na aaya to kidhar jaunga
yaad rakkhe mujhe duniya tiri tasvir ke saath
rang aise tiri tasvir men bhar jaunga
laakh roken ye andhere mira rasta lekin
main jidhar raushni jaegi udhar jaunga
raas aai na mohabbat mujhe varna 'saqi'
main ne socha tha ki har dil men utar jaunga
manzilen lakh kathin aaen guzar jaunga
hausla haar ke baithunga to mar jaunga
chal rahe the jo mere sath kahan hain wo log
jo ye kahte the ki raste mein bikhar jaunga
dar-ba-dar hone se pahle kabhi socha bhi na tha
ghar mujhe ras na aaya to kidhar jaunga
yaad rakkhe mujhe duniya teri taswir ke sath
rang aise teri taswir mein bhar jaunga
lakh roken ye andhere mera rasta lekin
main jidhar raushni jaegi udhar jaunga
ras aai na mohabbat mujhe warna 'saqi'
main ne socha tha ki har dil mein utar jaunga
mere junun ka natija zarur niklega
mire junun ka natija zarur niklega
isi siyah samundar se nuur niklega
gira diya hai to sahil pe intizar na kar
agar vo duub gaya hai to duur niklega
usi ka shahr vahi muddai vahi munsif
hamen yaqin tha hamara qusur niklega
yaqin na aae to ik baat puchh kar dekho
jo hans raha hai vo zakhmon se chuur niklega
us astin se ashkon ko pochhne vaale
us astin se khanjar zarur niklega
mere junun ka natija zarur niklega
isi siyah samundar se nur niklega
gira diya hai to sahil pe intizar na kar
agar wo dub gaya hai to dur niklega
usi ka shahr wahi muddai wahi munsif
hamein yaqin tha hamara qusur niklega
yaqin na aae to ek baat puchh kar dekho
jo hans raha hai wo zakhmon se chur niklega
us aastin se ashkon ko pochhne wale
us aastin se khanjar zarur niklega
dariya ho ya pahad ho takrana chahiye
dariya ho ya pahad ho takrana chahiye
jab tak na saans tuute jiye jaana chahiye
yuun to qadam qadam pe hai divar samne
koi na ho to khud se ulajh jaana chahiye
jhukti hui nazar ho ki simta hua badan
har ras-bhari ghata ko baras jaana chahiye
chaurahe baaghh buildingen sab shahr to nahin
kuchh aise vaise logon se yarana chahiye
apni talash apni nazar apna tajraba
rasta ho chahe saaf bhatak jaana chahiye
chup chup makan raste gum-sum nidhal vaqt
is shahr ke liye koi divana chahiye
bijli ka qumquma na ho kaala dhuan to ho
ye bhi agar nahin ho to bujh jaana chahiye
dariya ho ya pahad ho takrana chahiye
jab tak na sans tute jiye jaana chahiye
yun to qadam qadam pe hai diwar samne
koi na ho to khud se ulajh jaana chahiye
jhukti hui nazar ho ki simta hua badan
har ras-bhari ghata ko baras jaana chahiye
chaurahe bagh buildingen sab shahr to nahin
kuchh aise waise logon se yarana chahiye
apni talash apni nazar apna tajraba
rasta ho chahe saf bhatak jaana chahiye
chup chup makan raste gum-sum nidhaal waqt
is shahr ke liye koi diwana chahiye
bijli ka qumquma na ho kala dhuan to ho
ye bhi agar nahin ho to bujh jaana chahiye
har tarah ke jazbaat ka elan hain aankhen
har tarah ke jazbat ka elaan hain ankhen
shabnam kabhi shoala kabhi tufan hain ankhen
ankhon se badi koi tarazu nahin hoti
tulta hai bashar jis men vo mizan hain ankhen
ankhen hi milati hain zamane men dilon ko
anjan hain ham tum agar anjan hain ankhen
lab kuchh bhi kahen is se haqiqat nahin khulti
insan ke sach jhuut ki pahchan hain ankhen
ankhen na jhukin teri kisi ghhair ke aage
duniya men badi chiiz miri jaan! hain ankhen
har tarah ke jazbaat ka elan hain aankhen
shabnam kabhi shoala kabhi tufan hain aankhen
aankhon se badi koi taraazu nahin hoti
tulta hai bashar jis mein wo mizan hain aankhen
aankhen hi milati hain zamane mein dilon ko
anjaan hain hum tum agar anjaan hain aankhen
lab kuchh bhi kahen is se haqiqat nahin khulti
insan ke sach jhut ki pahchan hain aankhen
aankhen na jhukin teri kisi ghair ke aage
duniya mein badi chiz meri jaan! hain aankhen
wo dil hi kya tere milne ki jo dua na kare
vo dil hi kya tire milne ki jo dua na kare
main tujh ko bhuul ke zinda rahun khuda na kare
rahega saath tira pyaar zindagi ban kar
ye aur baat miri zindagi vafa na kare
ye thiik hai nahin marta koi judai men
khuda kisi ko kisi se magar juda na kare
suna hai us ko mohabbat duaen deti hai
jo dil pe chot to khaae magar gila na kare
agar vafa pe bharosa rahe na duniya ko
to koi shakhs mohabbat ka hausla na kare
bujha diya hai nasibon ne mere pyaar ka chand
koi diya miri palkon pe ab jala na kare
zamana dekh chuka hai parakh chuka hai ise
'qatil' jaan se jaae par iltija na kare
wo dil hi kya tere milne ki jo dua na kare
main tujh ko bhul ke zinda rahun khuda na kare
rahega sath tera pyar zindagi ban kar
ye aur baat meri zindagi wafa na kare
ye thik hai nahin marta koi judai mein
khuda kisi ko kisi se magar juda na kare
suna hai us ko mohabbat duaen deti hai
jo dil pe chot to khae magar gila na kare
agar wafa pe bharosa rahe na duniya ko
to koi shakhs mohabbat ka hausla na kare
bujha diya hai nasibon ne mere pyar ka chand
koi diya meri palkon pe ab jala na kare
zamana dekh chuka hai parakh chuka hai ise
'qatil' jaan se jae par iltija na kare
aabaad rahenge virane shadab rahengi zanjiren
abad rahenge virane shadab rahengi zanjiren
jab tak divane zinda hain phulengi phalengi zanjiren
azadi ka darvaza bhi khud hi kholengi zanjiren
tukde tukde ho jaengi jab had se badhengi zanjiren
jab sab ke lab sil jaenge hathon se qalam chhin jaenge
batil se loha lene ka elaan karengi zanjiren
andhon bahron ki nagri men yuun kaun tavajjoh karta hai
mahaul sunega dekhega jis vaqt bajengi zanjiren
jo zanjiron se bahar hain azad unhen bhi mat samjho
jab haath katenge zalim ke us vaqt katengi zanjiren
aabaad rahenge virane shadab rahengi zanjiren
jab tak diwane zinda hain phulengi phalengi zanjiren
aazadi ka darwaza bhi khud hi kholengi zanjiren
tukde tukde ho jaengi jab had se badhengi zanjiren
jab sab ke lab sil jaenge hathon se qalam chhin jaenge
baatil se loha lene ka elan karengi zanjiren
andhon bahron ki nagri mein yun kaun tawajjoh karta hai
mahaul sunega dekhega jis waqt bajengi zanjiren
jo zanjiron se bahar hain aazad unhen bhi mat samjho
jab hath katenge zalim ke us waqt katengi zanjiren
hum karen baat dalilon se to rad hoti hai
ham karen baat dalilon se to rad hoti hai
us ke honton ki khamoshi bhi sanad hoti hai
saans lete hue insan bhi hain lashon ki tarah
ab dhadakte hue dil ki bhi lahad hoti hai
jis ki gardan men hai phanda vahi insan bada
suliyon se yahan paimaish-e-qad hoti hai
shoabda-gar bhi pahante hain khatibon ka libas
bolta jahl hai bad-nam khirad hoti hai
kuchh na kahne se bhi chhin jaata hai ejaz-e-sukhan
zulm sahne se bhi zalim ki madad hoti hai
hum karen baat dalilon se to rad hoti hai
us ke honton ki khamoshi bhi sanad hoti hai
sans lete hue insan bhi hain lashon ki tarah
ab dhadakte hue dil ki bhi lahad hoti hai
jis ki gardan mein hai phanda wahi insan bada
suliyon se yahan paimaish-e-qad hoti hai
shoabda-gar bhi pahante hain khatibon ka libas
bolta jahl hai bad-nam khirad hoti hai
kuchh na kahne se bhi chhin jata hai ejaz-e-sukhan
zulm sahne se bhi zalim ki madad hoti hai
wo shakhs ki main jis se mohabbat nahin karta
vo shakhs ki main jis se mohabbat nahin karta
hansta hai mujhe dekh ke nafrat nahin karta
pakda hi gaya huun to mujhe daar pe khincho
sachcha huun magar apni vakalat nahin karta
kyuun bakhsh diya mujh se gunahgar ko maula
munsif to kisi se bhi riayat nahin karta
ghar valon ko ghhaflat pe sabhi kos rahe hain
choron ko magar koi malamat nahin karta
kis qaum ke dil men nahin jazbat-e-barahim
kis mulk pe namrud hukumat nahin karta
dete hain ujale mire sajdon ki gavahi
main chhup ke andhere men ibadat nahin karta
bhula nahin main aaj bhi adab-e-javani
main aaj bhi auron ko nasihat nahin karta
insan ye samjhen ki yahan dafn khuda hai
main aise mazaron ki ziyarat nahin karta
duniya men 'qatil' us sa munafiq nahin koi
jo zulm to sahta hai baghhavat nahin karta
wo shakhs ki main jis se mohabbat nahin karta
hansta hai mujhe dekh ke nafrat nahin karta
pakda hi gaya hun to mujhe dar pe khincho
sachcha hun magar apni wakalat nahin karta
kyun bakhsh diya mujh se gunahgar ko maula
munsif to kisi se bhi riayat nahin karta
ghar walon ko ghaflat pe sabhi kos rahe hain
choron ko magar koi malamat nahin karta
kis qaum ke dil mein nahin jazbaat-e-barahim
kis mulk pe namrud hukumat nahin karta
dete hain ujale mere sajdon ki gawahi
main chhup ke andhere mein ibaadat nahin karta
bhula nahin main aaj bhi aadab-e-jawani
main aaj bhi auron ko nasihat nahin karta
insan ye samjhen ki yahan dafn khuda hai
main aise mazaron ki ziyarat nahin karta
duniya mein 'qatil' us sa munafiq nahin koi
jo zulm to sahta hai baghawat nahin karta
jab hua irfan to gham aaram-e-jaan banta gaya
jab hua irfan to ghham aram-e-jan banta gaya
soz-e-janan dil men soz-e-digaran banta gaya
rafta rafta munqalib hoti gai rasm-e-chaman
dhire dhire naghhma-e-dil bhi fughhan banta gaya
main akela hi chala tha janib-e-manzil magar
log saath aate gae aur karvan banta gaya
main to jab janun ki bhar de saghhar-e-har-khas-o-am
yuun to jo aaya vahi pir-e-mughhan banta gaya
jis taraf bhi chal pade ham abla-payan-e-shauq
khaar se gul aur gul se gulsitan banta gaya
sharh-e-ghham to mukhtasar hoti gai us ke huzur
lafz jo munh se na nikla dastan banta gaya
dahr men 'majruh' koi javedan mazmun kahan
main jise chhuta gaya vo javedan banta gaya
jab hua irfan to gham aaram-e-jaan banta gaya
soz-e-jaanan dil mein soz-e-digaran banta gaya
rafta rafta munqalib hoti gai rasm-e-chaman
dhire dhire naghma-e-dil bhi fughan banta gaya
main akela hi chala tha jaanib-e-manzil magar
log sath aate gae aur karwan banta gaya
main to jab jaanun ki bhar de saghar-e-har-khas-o-am
yun to jo aaya wahi pir-e-mughan banta gaya
jis taraf bhi chal pade hum aabla-payan-e-shauq
khar se gul aur gul se gulsitan banta gaya
sharh-e-gham to mukhtasar hoti gai us ke huzur
lafz jo munh se na nikla dastan banta gaya
dahr mein 'majruh' koi jawedan mazmun kahan
main jise chhuta gaya wo jawedan banta gaya
aarzuen hazar rakhte hain
arzuen hazar rakhte hain
to bhi ham dil ko maar rakhte hain
barq kam-hausla hai ham bhi to
dilak-e-be-qarar rakhte hain
ghhair hi maurid-e-inayat hai
ham bhi to tum se pyaar rakhte hain
na nigah ne payam ne vaada
naam ko ham bhi yaar rakhte hain
ham se khush-zamzama kahan yuun to
lab o lahja hazar rakhte hain
chotte dil ke hain butan mashhur
bas yahi e'tibar rakhte hain
phir bhi karte hain 'mir' sahab ishq
hain javan ikhtiyar rakhte hain
aarzuen hazar rakhte hain
to bhi hum dil ko mar rakhte hain
barq kam-hausla hai hum bhi to
dilak-e-be-qarar rakhte hain
ghair hi maurid-e-inayat hai
hum bhi to tum se pyar rakhte hain
na nigah ne payam ne wada
nam ko hum bhi yar rakhte hain
hum se khush-zamzama kahan yun to
lab o lahja hazar rakhte hain
chotte dil ke hain butan mashhur
bas yahi e'tibar rakhte hain
phir bhi karte hain 'mir' sahab ishq
hain jawan ikhtiyar rakhte hain
har ek baat ko chup-chap kyun suna jae
har ek baat ko chup-chap kyuun suna jaae
kabhi to hausla kar ke nahin kaha jaae
tumhara ghar bhi isi shahr ke hisar men hai
lagi hai aag kahan kyuun pata kiya jaae
juda hai hiir se ranjha kai zamanon se
nae sire se kahani ko phir likha jaae
kaha gaya hai sitaron ko chhuna mushkil hai
ye kitna sach hai kabhi tajraba kiya jaae
kitaben yuun to bahut si hain mere baare men
kabhi akele men khud ko bhi padh liya jaae
har ek baat ko chup-chap kyun suna jae
kabhi to hausla kar ke nahin kaha jae
tumhaara ghar bhi isi shahr ke hisar mein hai
lagi hai aag kahan kyun pata kiya jae
juda hai hir se ranjha kai zamanon se
nae sire se kahani ko phir likha jae
kaha gaya hai sitaron ko chhuna mushkil hai
ye kitna sach hai kabhi tajraba kiya jae
kitaben yun to bahut si hain mere bare mein
kabhi akele mein khud ko bhi padh liya jae
hausle zindagi ke dekhte hain
hausle zindagi ke dekhte hain
chaliye kuchh roz ji ke dekhte hain
niind pichhli sadi ki zakhmi hai
khvab agli sadi ke dekhte hain
roz ham ik andheri dhund ke paar
qafile raushni ke dekhte hain
dhuup itni karahti kyuun hai
chhanv ke zakhm si ke dekhte hain
tiktiki bandh li hai ankhon ne
raste vapsi ke dekhte hain
paniyon se to pyaas bujhti nahin
aaiye zahr pi ke dekhte hain
hausle zindagi ke dekhte hain
chaliye kuchh roz ji ke dekhte hain
nind pichhli sadi ki zakhmi hai
khwab agli sadi ke dekhte hain
roz hum ek andheri dhund ke par
qafile raushni ke dekhte hain
dhup itni karahti kyun hai
chhanw ke zakhm si ke dekhte hain
tiktiki bandh li hai aankhon ne
raste wapsi ke dekhte hain
paniyon se to pyas bujhti nahin
aaiye zahr pi ke dekhte hain
jala ke mishal-e-jaan hum junun-sifat chale
jala ke mishal-e-jan ham junun-sifat chale
jo ghar ko aag lagae hamare saath chale
dayar-e-sham nahin manzil-e-sahar bhi nahin
ajab nagar hai yahan din chale na raat chale
hamare lab na sahi vo dahan-e-zakhm sahi
vahin pahunchti hai yaaro kahin se baat chale
sutun-e-dar pe rakhte chalo saron ke charaghh
jahan talak ye sitam ki siyah raat chale
hua asiir koi ham-nava to duur talak
ba-pas-e-tarz-e-nava ham bhi saath saath chale
bacha ke laae ham ai yaar phir bhi naqd-e-vafa
agarche lutte rahe rahzanon ke haath chale
phir aai fasl ki manind barg-e-avara
hamare naam gulon ke muraslat chale
qatar-e-shisha hai ya karvan-e-ham-safaran
khiram-e-jam hai ya jaise kaenat chale
bhula hi baithe jab ahl-e-haram to ai 'majruh'
baghhal men ham bhi liye ik sanam ka haath chale
jala ke mishal-e-jaan hum junun-sifat chale
jo ghar ko aag lagae hamare sath chale
dayar-e-sham nahin manzil-e-sahar bhi nahin
ajab nagar hai yahan din chale na raat chale
hamare lab na sahi wo dahan-e-zakhm sahi
wahin pahunchti hai yaro kahin se baat chale
sutun-e-dar pe rakhte chalo saron ke charagh
jahan talak ye sitam ki siyah raat chale
hua asir koi ham-nawa to dur talak
ba-pas-e-tarz-e-nawa hum bhi sath sath chale
bacha ke lae hum ai yar phir bhi naqd-e-wafa
agarche lutte rahe rahzanon ke hath chale
phir aai fasl ki manind barg-e-awara
hamare nam gulon ke muraslat chale
qatar-e-shisha hai ya karwan-e-ham-safaran
khiram-e-jam hai ya jaise kaenat chale
bhula hi baithe jab ahl-e-haram to ai 'majruh'
baghal mein hum bhi liye ek sanam ka hath chale
ab ye sochun to bhanwar zehn mein pad jate hain
ab ye sochun to bhanvar zehn men pad jaate hain
kaise chehre hain jo milte hi bichhad jaate hain
kyuun tire dard ko den tohmat-e-virani-e-dil
zalzalon men to bhare shahr ujad jaate hain
mausam-e-zard men ik dil ko bachaun kaise
aisi rut men to ghane ped bhi jhad jaate hain
ab koi kya mire qadmon ke nishan dhundega
tez andhi men to kheme bhi ukhad jaate hain
shaghhl-e-arbab-e-hunar puchhte kya ho ki ye log
pattharon men bhi kabhi aaine jad jaati hain
soch ka aaina dhundla ho to phir vaqt ke saath
chand chehron ke khad-o-khal bigad jaate hain
shiddat-e-ghham men bhi zinda huun to hairat kaisi
kuchh diye tund havaon se bhi lad jaate hain
vo bhi kya log hain 'mohsin' jo vafa ki khatir
khud-tarashida usulon pe bhi ad jaate hain
ab ye sochun to bhanwar zehn mein pad jate hain
kaise chehre hain jo milte hi bichhad jate hain
kyun tere dard ko den tohmat-e-virani-e-dil
zalzalon mein to bhare shahr ujad jate hain
mausam-e-zard mein ek dil ko bachaun kaise
aisi rut mein to ghane ped bhi jhad jate hain
ab koi kya mere qadmon ke nishan dhundega
tez aandhi mein to kheme bhi ukhad jate hain
shaghl-e-arbab-e-hunar puchhte kya ho ki ye log
pattharon mein bhi kabhi aaine jad jati hain
soch ka aaina dhundla ho to phir waqt ke sath
chand chehron ke khad-o-khal bigad jate hain
shiddat-e-gham mein bhi zinda hun to hairat kaisi
kuchh diye tund hawaon se bhi lad jate hain
wo bhi kya log hain 'mohsin' jo wafa ki khatir
khud-tarashida usulon pe bhi ad jate hain
agar bazm-e-hasti mein aurat na hoti
agar bazm-e-hasti men aurat na hoti
khayalon ki rangin jannat na hoti
sitaron ke dilkash fasane na hote
baharon ki nazuk haqiqat na hoti
jabinon pe nur-e-masarrat na khilta
nigahon men shan-e-muravvat na hoti
ghataon ki aamad ko savan taraste
fazaon men bahki baghhavat na hoti
faqiron ko irfan-e-hasti na milta
ata zahidon ko ibadat na hoti
musafir sada manzilon par bhatakte
safinon ko sahil ki qurbat na hoti
har ik phuul ka rang phika sa rahta
nasim-e-baharan men nikhat na hoti
khudai ka insaf khamosh rahta
suna hai kisi ki shafaat na hoti
agar bazm-e-hasti mein aurat na hoti
khayalon ki rangin jannat na hoti
sitaron ke dilkash fasane na hote
bahaaron ki nazuk haqiqat na hoti
jabinon pe nur-e-masarrat na khilta
nigahon mein shan-e-murawwat na hoti
ghataon ki aamad ko sawan taraste
fazaon mein bahki baghawat na hoti
faqiron ko irfan-e-hasti na milta
ata zahidon ko ibaadat na hoti
musafir sada manzilon par bhatakte
safinon ko sahil ki qurbat na hoti
har ek phul ka rang phika sa rahta
nasim-e-bahaaran mein nikhat na hoti
khudai ka insaf khamosh rahta
suna hai kisi ki shafaat na hoti
raste mein lut gaya hai to kya qafila to hai
raste men lut gaya hai to kya qafila to hai
yaaro nae safar ka abhi hausla to hai
vamandgi se uth nahin sakta to kya hua
manzil se ashna na sahi naqsh-e-pa to hai
hathon men haath le ke yahan se guzar chalen
qadmon men pul-sirat sahi rasta to hai
mange ki raushni to koi raushni nahin
is daur-e-mustaar men apna diya to hai
ye kya zarur hai main kahun aur tu sune
jo mera haal hai vo tujhe bhi pata to hai
apni shikayaten na sahi tera ghham sahi
izhar-e-dastan ka koi silsila to hai
ham se koi ta'alluq-e-khatir to hai use
vo yaar ba-vafa na sahi bevafa to hai
vo aae ya na aae mulaqat ho na ho
rang-e-sahar ke paas khiram-e-saba to hai
paanv ki chaap se miri dhadkan hai ham-nava
is dasht-e-haul men koi naghhma-sara to hai
suraj hamare ghar nahin aaya to kya hua
do-char anganon men ujala hua to hai
kanta nikal bhi jaega jab vaqt aaega
kante ke dil men bhi koi kanta chubha to hai
main reza reza udta phirunga hava ke saath
sadiyon men jhank kar bhi mujhe dekhna to hai
ashob-e-agahi ki shab-e-be-kanar men
tere liye 'jamil' koi sochta to hai
raste mein lut gaya hai to kya qafila to hai
yaro nae safar ka abhi hausla to hai
wamandgi se uth nahin sakta to kya hua
manzil se aashna na sahi naqsh-e-pa to hai
hathon mein hath le ke yahan se guzar chalen
qadmon mein pul-siraat sahi rasta to hai
mange ki raushni to koi raushni nahin
is daur-e-mustaar mein apna diya to hai
ye kya zarur hai main kahun aur tu sune
jo mera haal hai wo tujhe bhi pata to hai
apni shikayaten na sahi tera gham sahi
izhaar-e-dastan ka koi silsila to hai
hum se koi ta'alluq-e-khatir to hai use
wo yar ba-wafa na sahi bewafa to hai
wo aae ya na aae mulaqat ho na ho
rang-e-sahar ke pas khiram-e-saba to hai
panw ki chap se meri dhadkan hai ham-nawa
is dasht-e-haul mein koi naghma-sara to hai
suraj hamare ghar nahin aaya to kya hua
do-chaar aanganon mein ujala hua to hai
kanta nikal bhi jaega jab waqt aaega
kante ke dil mein bhi koi kanta chubha to hai
main reza reza udta phirunga hawa ke sath
sadiyon mein jhank kar bhi mujhe dekhna to hai
aashob-e-agahi ki shab-e-be-kanar mein
tere liye 'jamil' koi sochta to hai
ye misra kash naqsh-e-har-dar-o-diwar ho jae
ye misraa kaash naqsh-e-har-dar-o-divar ho jaae
jise jiina ho marne ke liye tayyar ho jaae
vahi mai-khvar hai jo is tarah mai-khvar ho jaae
ki shisha tod de aur be-piye sarshar ho jaae
dil-e-insan agar shaista-e-asrar ho jaae
lab-e-khamosh-fitrat hi lab-e-guftar ho jaae
har ik be-kar si hasti ba-ru-e-kar ho jaae
junun ki ruh-e-khvabida agar bedar ho jaae
suna hai hashr men har aankh use be-parda dekhegi
mujhe dar hai na tauhin-e-jamal-e-yar ho jaae
harim-e-naz men us ki rasai ho to kyunkar ho
ki jo asuda zer-e-saya-e-divar ho jaae
maaz-allah us ki vardat-e-ghham maaz-allah
chaman jis ka vatan ho aur chaman-be-zar ho jaae
yahi hai zindagi to zindagi se khud-kushi achchhi
ki insan alam-e-insaniyat par baar ho jaae
ik aisi shaan paida kar ki batil tharthara utthe
nazar talvar ban jaae nafas jhankar ho jaae
ye roz o shab ye subh o shaam ye basti ye virana
sabhi bedar hain insan agar bedar ho jaae
ye misra kash naqsh-e-har-dar-o-diwar ho jae
jise jina ho marne ke liye tayyar ho jae
wahi mai-khwar hai jo is tarah mai-khwar ho jae
ki shisha tod de aur be-piye sarshaar ho jae
dil-e-insan agar shaista-e-asrar ho jae
lab-e-khamosh-fitrat hi lab-e-guftar ho jae
har ek be-kar si hasti ba-ru-e-kar ho jae
junun ki ruh-e-khwabida agar bedar ho jae
suna hai hashr mein har aankh use be-parda dekhegi
mujhe dar hai na tauhin-e-jamal-e-yar ho jae
harim-e-naz mein us ki rasai ho to kyunkar ho
ki jo aasuda zer-e-saya-e-diwar ho jae
maaz-allah us ki wardat-e-gham maaz-allah
chaman jis ka watan ho aur chaman-be-zar ho jae
yahi hai zindagi to zindagi se khud-kushi achchhi
ki insan aalam-e-insaniyat par bar ho jae
ek aisi shan paida kar ki baatil tharthara utthe
nazar talwar ban jae nafas jhankar ho jae
ye roz o shab ye subh o sham ye basti ye virana
sabhi bedar hain insan agar bedar ho jae
tu samajhta hai hawadis hain satane ke liye
tu samajhta hai havadis hain satane ke liye
ye hua karte hain zahir azmane ke liye
tundi-e-bad-e-mukhalif se na ghabra ai uqaab
ye to chalti hai tujhe uncha udane ke liye
kamyabi ki hua karti hai nakami dalil
ranj aate hain tujhe rahat dilane ke liye
charkh-e-kaj-raftar hai phir mail-e-jaur-o-sitam
bijliyan shahid hain khirman ko jalane ke liye
nim-jan hai kis liye hal-e-khilafat dekh kar
dhund le koi dava is ko bachane ke liye
chain se rahne na de in ko na khud aram kar
mustaid hain jo khilafat ko mitane ke liye
dast-o-pa rakhte hain aur be-kar kyon baithe rahen
ham uthenge apni qismat ko banane ke liye
tu samajhta hai hawadis hain satane ke liye
ye hua karte hain zahir aazmane ke liye
tundi-e-baad-e-mukhalif se na ghabra ai uqab
ye to chalti hai tujhe uncha udane ke liye
kaamyabi ki hua karti hai nakaami dalil
ranj aate hain tujhe rahat dilane ke liye
charkh-e-kaj-raftar hai phir mail-e-jaur-o-sitam
bijliyan shahid hain khirman ko jalane ke liye
nim-jaan hai kis liye haal-e-khilafat dekh kar
dhund le koi dawa is ko bachane ke liye
chain se rahne na de in ko na khud aaram kar
mustaid hain jo khilafat ko mitane ke liye
dast-o-pa rakhte hain aur be-kar kyon baithe rahen
hum uthenge apni qismat ko banane ke liye
kis harf pe tu ne gosha-e-lab ai jaan-e-jahan ghammaz kiya
kis harf pe tu ne gosha-e-lab ai jan-e-jahan ghhammaz kiya
elan-e-junun dil valon ne ab ke ba-hazar-andaz kiya
sau paikan the paivast-e-gulu jab chhedi shauq ki lai ham ne
so tiir tarazu the dil men jab ham ne raqs aghhaz kiya
be-hirs-o-hava be-khauf-o-khatar is haath pe sar is kaf pe jigar
yuun ku-e-sanam men vaqt-e-safar nazzara-e-bam-e-naz kiya
jis khaak men mil kar khaak hue vo surma-e-chashm-e-khalq bani
jis khaar pe ham ne khuun chhidka ham-rang-e-gul-e-tannaz kiya
lo vasl ki saaat aa pahunchi phir hukm-e-huzuri par ham ne
ankhon ke dariche band kiye aur siine ka dar baaz kiya
kis harf pe tu ne gosha-e-lab ai jaan-e-jahan ghammaz kiya
elan-e-junun dil walon ne ab ke ba-hazar-andaz kiya
sau paikan the paiwast-e-gulu jab chhedi shauq ki lai hum ne
so tir taraazu the dil mein jab hum ne raqs aaghaz kiya
be-hirs-o-hawa be-khauf-o-khatar is hath pe sar is kaf pe jigar
yun ku-e-sanam mein waqt-e-safar nazzara-e-baam-e-naz kiya
jis khak mein mil kar khak hue wo surma-e-chashm-e-khalq bani
jis khar pe hum ne khun chhidka ham-rang-e-gul-e-tannaz kiya
lo wasl ki saat aa pahunchi phir hukm-e-huzuri par hum ne
aankhon ke dariche band kiye aur sine ka dar baz kiya
masti-e-rindana hum sairabi-e-mai-khana hum
masti-e-rindana ham sairabi-e-mai-khana ham
gardish-e-taqdir se hain gardish-e-paimana ham
khun-e-dil se chashm-e-tar tak chashm-e-tar se ta-ba-khak
kar gae akhir gul-o-gulzar har virana ham
kya bala jabr-e-asiri hai ki azadi men bhi
dosh par apne liye phirte hain zindan-khana ham
raah men faujon ke pahre sar pe talvaron ki chhanv
aae hain zindan men bhi ba-shaukat-e-shahana ham
mitte mitte de gae ham zindagi ko rang-o-nur
rafta rafta ban gae is ahd ka afsana ham
ya jaga dete hain zarron ke dilon men mai-kade
ya bana lete hain mehr-o-mah ko paimana ham
qaid ho kar aur bhi zindan men udta hai khayal
raqs zanjiron men bhi karte hain azadana ham
masti-e-rindana hum sairabi-e-mai-khana hum
gardish-e-taqdir se hain gardish-e-paimana hum
khun-e-dil se chashm-e-tar tak chashm-e-tar se ta-ba-khak
kar gae aakhir gul-o-gulzar har virana hum
kya bala jabr-e-asiri hai ki aazadi mein bhi
dosh par apne liye phirte hain zindan-khana hum
rah mein faujon ke pahre sar pe talwaron ki chhanw
aae hain zindan mein bhi ba-shaukat-e-shahana hum
mitte mitte de gae hum zindagi ko rang-o-nur
rafta rafta ban gae is ahd ka afsana hum
ya jaga dete hain zarron ke dilon mein mai-kade
ya bana lete hain mehr-o-mah ko paimana hum
qaid ho kar aur bhi zindan mein udta hai khayal
raqs zanjiron mein bhi karte hain aazadana hum
tute dil se koi ummid laga kar rakhna
tuute dil se koi ummid laga kar rakhna
itna asan nahin phuul pe patthar rakhna
us ko aadat ye pareshan bahut rakkhegi
us ki aadat thi mira haath pakad kar rakhna
is ka kya shikva use rok nahin paae ham
ek muflis ko kahan aata hai zevar rakhna
haae vo ishq chhupane ke zamane 'mohan'
yaad aata hai ghhalat naam se number rakhna
tute dil se koi ummid laga kar rakhna
itna aasan nahin phul pe patthar rakhna
us ko aadat ye pareshan bahut rakkhegi
us ki aadat thi mera hath pakad kar rakhna
is ka kya shikwa use rok nahin pae hum
ek muflis ko kahan aata hai zewar rakhna
hae wo ishq chhupane ke zamane 'mohan'
yaad aata hai ghalat nam se number rakhna
badhe chalo ki zamane ko ye dikhana hai
badhe chalo ki zamane ko ye dikhana hai
jahan hamare qadam hain vahin zamana hai
ye husn-o-ishq ki tafriq ik bahana hai
kahin nazar ko kahin dil ko azmana hai
ab is junun-e-talab ka koi thikana hai
ki apne aap ko kho kar bhi un ko paana hai
bas ek ishq hi aisa sharab-khana hai
jahan surur ka mafhum hosh aana hai
ilahi tamkanat-e-husn-o-naz-e-husn ki khair
kuchh aaj ishq ka andaz valihana hai
main har gunah ki haqiqat bata to duun sar-e-hashr
magar unhen jo har ilzam se bachana hai
zara junun-e-tamanna se dil guzar jaae
phir is ke baad koi daam hai na daana hai
main janta huun jo hai farq-e-zat-o-partav-e-zat
miri nigah pas-e-parda-e-zamana hai
kise nasib ho sajda ye aur baat hai 'kaif'
har ik jabin ke qarib un ka astana hai
badhe chalo ki zamane ko ye dikhana hai
jahan hamare qadam hain wahin zamana hai
ye husn-o-ishq ki tafriq ek bahana hai
kahin nazar ko kahin dil ko aazmana hai
ab is junun-e-talab ka koi thikana hai
ki apne aap ko kho kar bhi un ko pana hai
bas ek ishq hi aisa sharab-khana hai
jahan surur ka mafhum hosh aana hai
ilahi tamkanat-e-husn-o-naz-e-husn ki khair
kuchh aaj ishq ka andaz walihana hai
main har gunah ki haqiqat bata to dun sar-e-hashr
magar unhen jo har ilzam se bachana hai
zara junun-e-tamanna se dil guzar jae
phir is ke baad koi dam hai na dana hai
main jaanta hun jo hai farq-e-zat-o-partaw-e-zat
meri nigah pas-e-parda-e-zamana hai
kise nasib ho sajda ye aur baat hai 'kaif'
har ek jabin ke qarib un ka aastana hai
bahut kathin hai bikharne ka hausla rakhna
bahut kathin hai bikharne ka hausla rakhna
sabab tumhin ho magar tum se kya gila rakhna
na jaane kaun se mausam se sabiqa pad jaae
hamare haq men duaon ka silsila rakhna
khuda kare ki use apni baat yaad rahe
gaya hai kah ke mujhe apna dar khula rakhna
mire baghhair ruton ko vo kaise katega
isi khayal men bas khud ko mubtala rakhna
ye zindagi badi mushkil se raam hoti hai
kabhi mile to mohabbat se rabta rakhna
tira suluk ho aisa to kaise mumkin hai
shahad zaban pe to lahje men shukriya rakhna
main be-niyaz mujhe kya ghharaz natije se
mira to kaam hai bas apna muddaa rakhna
jahan shikast ho aur vapsi ki khvahish bhi
us ek pal ko mire naam se bacha rakhna
bahut kathin hai bikharne ka hausla rakhna
sabab tumhin ho magar tum se kya gila rakhna
na jaane kaun se mausam se sabiqa pad jae
hamare haq mein duaon ka silsila rakhna
khuda kare ki use apni baat yaad rahe
gaya hai kah ke mujhe apna dar khula rakhna
mere baghair ruton ko wo kaise katega
isi khayal mein bas khud ko mubtala rakhna
ye zindagi badi mushkil se ram hoti hai
kabhi mile to mohabbat se rabta rakhna
tera suluk ho aisa to kaise mumkin hai
shahad zaban pe to lahje mein shukriya rakhna
main be-niyaz mujhe kya gharaz natije se
mera to kaam hai bas apna muddaa rakhna
jahan shikast ho aur wapsi ki khwahish bhi
us ek pal ko mere nam se bacha rakhna
khwab aankhon mein sajae rakhna
khvab ankhon men sajae rakhna
'azm ke diip jalae rakhna
daav chal jaae na shab-zadon ka
lau charaghhon ki badhae rakhna
mehrban maan ki tarah hai ye zamin
sar yahan apna jhukae rakhna
chand utre na zamin pe jab tak
asman sar pe uthae rakhna
zinda rahna hai to yaran-e-'aziz
haath se haath milae rakhna
jis ne ye ruup diya hai 'ummid'
vo zamin dil men basae rakhna
khwab aankhon mein sajae rakhna
'azm ke dip jalae rakhna
daw chal jae na shab-zadon ka
lau charaghon ki badhae rakhna
mehrban man ki tarah hai ye zamin
sar yahan apna jhukae rakhna
chand utre na zamin pe jab tak
aasman sar pe uthae rakhna
zinda rahna hai to yaran-e-'aziz
hath se hath milae rakhna
jis ne ye rup diya hai 'ummid'
wo zamin dil mein basae rakhna
buland barq ke aage bhi hausla rakhna
buland barq ke aage bhi hausla rakhna
jale jo ek nasheman to dusra rakhna
jo azmana ho mujh ko to phir mire aage
khum-o-surahi nahin saara mai-kada rakhna
vo sach ki khoj men kis kis ka dekhta chehra
jo khud hi bhuul gaya saath aaina rakhna
kahin uga ho vo gulshan ho ya ki sahra ho
hamesha phuul ki khushbu se vasta rakhna
dilon ke beach men divar tanne vaalo
khuli hava men nikalne ka rasta rakhna
vo ajnabi ki shanasa ho ye khayal rahe
milo jo us se to thoda sa fasla rakhna
saubaton se jo dil tutne lage 'kausar'
nazar ke samne tasvir-e-karbala rakhna
buland barq ke aage bhi hausla rakhna
jale jo ek nasheman to dusra rakhna
jo aazmana ho mujh ko to phir mere aage
khum-o-surahi nahin sara mai-kada rakhna
wo sach ki khoj mein kis kis ka dekhta chehra
jo khud hi bhul gaya sath aaina rakhna
kahin uga ho wo gulshan ho ya ki sahra ho
hamesha phul ki khushbu se wasta rakhna
dilon ke beach mein diwar tanne walo
khuli hawa mein nikalne ka rasta rakhna
wo ajnabi ki shanasa ho ye khayal rahe
milo jo us se to thoda sa fasla rakhna
saubaton se jo dil tutne lage 'kausar'
nazar ke samne taswir-e-karbala rakhna
abhi tawaqqoa banae rakhna abhi umiden jagae rahna
abhi tavaqqoa banae rakhna abhi umiden jagae rahna
bahut ghana hai andhera shab ka dilon ki shamen jalae rahna
khuda hi jaane ki aane vaali ruton men kya ho jahan ki halat
abhi ye naghhme na band karna abhi ye mahfil sajae rahna
ye dekhna hai ki dam hai kitna ghhanim lashkar ke bazuon men
safon ko apni sajae rakhna suron ko apne uthae rahna
yahan kahan bastiyon ki raunaq yahan to sannata chikhta hai
ujaad sahra ka ye safar hai dilon ki duniya basae rahna
abhi hai khatra nafas nafas par abhi hain qatil gali gali men
'shakil' ankhen na band karna 'shakil' khud ko jagae rahna
abhi tawaqqoa banae rakhna abhi umiden jagae rahna
bahut ghana hai andhera shab ka dilon ki shamen jalae rahna
khuda hi jaane ki aane wali ruton mein kya ho jahan ki haalat
abhi ye naghme na band karna abhi ye mahfil sajae rahna
ye dekhna hai ki dam hai kitna ghanim lashkar ke bazuon mein
safon ko apni sajae rakhna suron ko apne uthae rahna
yahan kahan bastiyon ki raunaq yahan to sannata chikhta hai
ujad sahra ka ye safar hai dilon ki duniya basae rahna
abhi hai khatra nafas nafas par abhi hain qatil gali gali mein
'shakil' aankhen na band karna 'shakil' khud ko jagae rahna