mere junun ka natija zarur niklega
mire junun ka natija zarur niklega
isi siyah samundar se nuur niklega
gira diya hai to sahil pe intizar na kar
agar vo duub gaya hai to duur niklega
usi ka shahr vahi muddai vahi munsif
hamen yaqin tha hamara qusur niklega
yaqin na aae to ik baat puchh kar dekho
jo hans raha hai vo zakhmon se chuur niklega
us astin se ashkon ko pochhne vaale
us astin se khanjar zarur niklega
mere junun ka natija zarur niklega
isi siyah samundar se nur niklega
gira diya hai to sahil pe intizar na kar
agar wo dub gaya hai to dur niklega
usi ka shahr wahi muddai wahi munsif
hamein yaqin tha hamara qusur niklega
yaqin na aae to ek baat puchh kar dekho
jo hans raha hai wo zakhmon se chur niklega
us aastin se ashkon ko pochhne wale
us aastin se khanjar zarur niklega
mere hi lahu par guzar-auqat karo ho
mere hi lahu par guzar-auqat karo ho
mujh se hi amiron ki tarah baat karo ho
din ek sitam ek sitam raat karo ho
vo dost ho dushman ko bhi tum maat karo ho
ham khak-nashin tum sukhan-ara-e-sar-e-bam
paas aa ke milo duur se kya baat karo ho
ham ko jo mila hai vo tumhin se to mila hai
ham aur bhula den tumhen kya baat karo ho
yuun to kabhi munh pher ke dekho bhi nahin ho
jab vaqt pade hai to mudarat karo ho
daman pe koi chhint na khanjar pe koi daaghh
tum qatl karo ho ki karamat karo ho
bakne bhi do 'ajiz' ko jo bole hai bake hai
divana hai divane se kya baat karo ho
mere hi lahu par guzar-auqat karo ho
mujh se hi amiron ki tarah baat karo ho
din ek sitam ek sitam raat karo ho
wo dost ho dushman ko bhi tum mat karo ho
hum khak-nashin tum sukhan-ara-e-sar-e-baam
pas aa ke milo dur se kya baat karo ho
hum ko jo mila hai wo tumhin se to mila hai
hum aur bhula den tumhein kya baat karo ho
yun to kabhi munh pher ke dekho bhi nahin ho
jab waqt pade hai to mudaraat karo ho
daman pe koi chhint na khanjar pe koi dagh
tum qatl karo ho ki karamat karo ho
bakne bhi do 'ajiz' ko jo bole hai bake hai
diwana hai diwane se kya baat karo ho
rang pairahan ka khushbu zulf lahrane ka nam
rang pairahan ka khushbu zulf lahrane ka naam
mausam-e-gul hai tumhare baam par aane ka naam
dosto us chashm o lab ki kuchh kaho jis ke baghhair
gulsitan ki baat rangin hai na mai-khane ka naam
phir nazar men phuul mahke dil men phir shamen jalin
phir tasavvur ne liya us bazm men jaane ka naam
dilbari thahra zaban-e-khalq khulvane ka naam
ab nahin lete pari-ru zulf bikhrane ka naam
ab kisi laila ko bhi iqrar-e-mahbubi nahin
in dinon badnam hai har ek divane ka naam
mohtasib ki khair uncha hai usi ke faiz se
rind ka saaqi ka mai ka khum ka paimane ka naam
ham se kahte hain chaman vaale ghhariban-e-chaman
tum koi achchha sa rakh lo apne virane ka naam
'faiz' un ko hai taqaza-e-vafa ham se jinhen
ashna ke naam se pyara hai begane ka naam
rang pairahan ka khushbu zulf lahrane ka nam
mausam-e-gul hai tumhaare baam par aane ka nam
dosto us chashm o lab ki kuchh kaho jis ke baghair
gulsitan ki baat rangin hai na mai-khane ka nam
phir nazar mein phul mahke dil mein phir shamen jalin
phir tasawwur ne liya us bazm mein jaane ka nam
dilbari thahra zaban-e-khalq khulwane ka nam
ab nahin lete pari-ru zulf bikhrane ka nam
ab kisi laila ko bhi iqrar-e-mahbubi nahin
in dinon badnam hai har ek diwane ka nam
mohtasib ki khair uncha hai usi ke faiz se
rind ka saqi ka mai ka khum ka paimane ka nam
hum se kahte hain chaman wale ghariban-e-chaman
tum koi achchha sa rakh lo apne virane ka nam
'faiz' un ko hai taqaza-e-wafa hum se jinhen
aashna ke nam se pyara hai begane ka nam
wo shakhs ki main jis se mohabbat nahin karta
vo shakhs ki main jis se mohabbat nahin karta
hansta hai mujhe dekh ke nafrat nahin karta
pakda hi gaya huun to mujhe daar pe khincho
sachcha huun magar apni vakalat nahin karta
kyuun bakhsh diya mujh se gunahgar ko maula
munsif to kisi se bhi riayat nahin karta
ghar valon ko ghhaflat pe sabhi kos rahe hain
choron ko magar koi malamat nahin karta
kis qaum ke dil men nahin jazbat-e-barahim
kis mulk pe namrud hukumat nahin karta
dete hain ujale mire sajdon ki gavahi
main chhup ke andhere men ibadat nahin karta
bhula nahin main aaj bhi adab-e-javani
main aaj bhi auron ko nasihat nahin karta
insan ye samjhen ki yahan dafn khuda hai
main aise mazaron ki ziyarat nahin karta
duniya men 'qatil' us sa munafiq nahin koi
jo zulm to sahta hai baghhavat nahin karta
wo shakhs ki main jis se mohabbat nahin karta
hansta hai mujhe dekh ke nafrat nahin karta
pakda hi gaya hun to mujhe dar pe khincho
sachcha hun magar apni wakalat nahin karta
kyun bakhsh diya mujh se gunahgar ko maula
munsif to kisi se bhi riayat nahin karta
ghar walon ko ghaflat pe sabhi kos rahe hain
choron ko magar koi malamat nahin karta
kis qaum ke dil mein nahin jazbaat-e-barahim
kis mulk pe namrud hukumat nahin karta
dete hain ujale mere sajdon ki gawahi
main chhup ke andhere mein ibaadat nahin karta
bhula nahin main aaj bhi aadab-e-jawani
main aaj bhi auron ko nasihat nahin karta
insan ye samjhen ki yahan dafn khuda hai
main aise mazaron ki ziyarat nahin karta
duniya mein 'qatil' us sa munafiq nahin koi
jo zulm to sahta hai baghawat nahin karta
pa-ba-gil sab hain rihai ki kare tadbir kaun
pa-ba-gil sab hain rihai ki kare tadbir kaun
dast-basta shahr men khole miri zanjir kaun
mera sar hazir hai lekin mera munsif dekh le
kar raha hai meri fard-e-jurm ko tahrir kaun
aaj darvazon pe dastak jaani pahchani si hai
aaj mere naam laata hai miri taazir kaun
koi maqtal ko gaya tha muddaton pahle magar
hai dar-e-khema pe ab tak surat-e-tasvir kaun
meri chadar to chhini thi shaam ki tanhai men
be-ridai ko miri phir de gaya tashhir kaun
sach jahan pa-basta mulzim ke katahre men mile
us adalat men sunega adl ki tafsir kaun
niind jab khvabon se pyari ho to aise ahd men
khvab dekhe kaun aur khvabon ko de tabir kaun
ret abhi pichhle makanon ki na vapas aai thi
phir lab-e-sahil gharaunda kar gaya taamir kaun
saare rishte hijraton men saath dete hain to phir
shahr se jaate hue hota hai daman-gir kaun
dushmanon ke saath mere dost bhi azad hain
dekhna hai khinchta hai mujh pe pahla tiir kaun
pa-ba-gil sab hain rihai ki kare tadbir kaun
dast-basta shahr mein khole meri zanjir kaun
mera sar hazir hai lekin mera munsif dekh le
kar raha hai meri fard-e-jurm ko tahrir kaun
aaj darwazon pe dastak jaani pahchani si hai
aaj mere nam lata hai meri tazir kaun
koi maqtal ko gaya tha muddaton pahle magar
hai dar-e-khema pe ab tak surat-e-taswir kaun
meri chadar to chhini thi sham ki tanhai mein
be-ridai ko meri phir de gaya tashhir kaun
sach jahan pa-basta mulzim ke katahre mein mile
us adalat mein sunega adl ki tafsir kaun
nind jab khwabon se pyari ho to aise ahd mein
khwab dekhe kaun aur khwabon ko de tabir kaun
ret abhi pichhle makanon ki na wapas aai thi
phir lab-e-sahil gharaunda kar gaya tamir kaun
sare rishte hijraton mein sath dete hain to phir
shahr se jate hue hota hai daman-gir kaun
dushmanon ke sath mere dost bhi aazad hain
dekhna hai khinchta hai mujh pe pahla tir kaun
meri sari zindagi ko be-samar usne kiya
meri saari zindagi ko be-samar us ne kiya
umr meri thi magar us ko basar us ne kiya
main bahut kamzor tha is mulk men hijrat ke baad
par mujhe is mulk men kamzor-tar us ne kiya
rahbar mera bana gumrah karne ke liye
mujh ko sidhe raste se dar-ba-dar us ne kiya
shahr men vo mo'atabar meri gavahi se hua
phir mujhe is shahr men na-mo'tabar us ne kiya
shahr ko barbad kar ke rakh diya us ne 'munir'
shahr par ye zulm mere naam par us ne kiya
meri sari zindagi ko be-samar us ne kiya
umr meri thi magar us ko basar us ne kiya
main bahut kamzor tha is mulk mein hijrat ke baad
par mujhe is mulk mein kamzor-tar us ne kiya
rahbar mera bana gumrah karne ke liye
mujh ko sidhe raste se dar-ba-dar us ne kiya
shahr mein wo mo'atabar meri gawahi se hua
phir mujhe is shahr mein na-mo'tabar us ne kiya
shahr ko barbaad kar ke rakh diya us ne 'munir'
shahr par ye zulm mere nam par us ne kiya
hath aankhon pe rakh lene se khatra nahin jata
haath ankhon pe rakh lene se khatra nahin jaata
divar se bhaunchal ko roka nahin jaata
daavon ki tarazu men to azmat nahin tulti
fiite se to kirdar ko naapa nahin jaata
farman se pedon pe kabhi phal nahin lagte
talvar se mausam koi badla nahin jaata
chor apne gharon men to nahin naqb lagate
apni hi kamai ko to luuta nahin jaata
auron ke khayalat ki lete hain talashi
aur apne gareban men jhanka nahin jaata
faulad se faulad to kat sakta hai lekin
qanun se qanun ko badla nahin jaata
zulmat ko ghata kahne se barish nahin hoti
shoalon ko havaon se to dhanpa nahin jaata
tufan men ho naav to kuchh sabr bhi aa jaae
sahil pe khade ho ke to duuba nahin jaata
dariya ke kinare to pahunch jaate hain pyase
pyason ke gharon tak koi dariya nahin jaata
allah jise chahe use milti hai 'muzaffar'
izzat ko dukanon se kharida nahin jaata
hath aankhon pe rakh lene se khatra nahin jata
diwar se bhaunchaal ko roka nahin jata
dawon ki taraazu mein to azmat nahin tulti
fite se to kirdar ko napa nahin jata
farman se pedon pe kabhi phal nahin lagte
talwar se mausam koi badla nahin jata
chor apne gharon mein to nahin naqb lagate
apni hi kamai ko to luta nahin jata
auron ke khayalat ki lete hain talashi
aur apne gareban mein jhanka nahin jata
faulad se faulad to kat sakta hai lekin
qanun se qanun ko badla nahin jata
zulmat ko ghata kahne se barish nahin hoti
shoalon ko hawaon se to dhanpa nahin jata
tufan mein ho naw to kuchh sabr bhi aa jae
sahil pe khade ho ke to duba nahin jata
dariya ke kinare to pahunch jate hain pyase
pyason ke gharon tak koi dariya nahin jata
allah jise chahe use milti hai 'muzaffar'
izzat ko dukanon se kharida nahin jata
khula hai jhut ka bazar aao sach bolen
khula hai jhuut ka bazar aao sach bolen
na ho bala se kharidar aao sach bolen
sukut chhaya hai insaniyat ki qadron par
yahi hai mauqa-e-izhar aao sach bolen
hamen gavah banaya hai vaqt ne apna
ba-nam-e-azmat-e-kirdar aao sach bolen
suna hai vaqt ka hakim bada hi munsif hai
pukar kar sar-e-darbar aao sach bolen
tamam shahr men kya ek bhi nahin mansur
kahenge kya rasan-o-dar aao sach bolen
baja ki khu-e-vafa ek bhi hasin men nahin
kahan ke ham bhi vafadar aao sach bolen
jo vasf ham men nahin kyuun karen kisi men talash
agar zamir hai bedar aao sach bolen
chhupae se kahin chhupte hain daaghh chehre ke
nazar hai aina-bardar aao sach bolen
'qatil' jin pe sada pattharon ko pyaar aaya
kidhar gae vo gunahgar aao sach bolen
khula hai jhut ka bazar aao sach bolen
na ho bala se kharidar aao sach bolen
sukut chhaya hai insaniyat ki qadron par
yahi hai mauqa-e-izhaar aao sach bolen
hamein gawah banaya hai waqt ne apna
ba-nam-e-azmat-e-kirdar aao sach bolen
suna hai waqt ka hakim bada hi munsif hai
pukar kar sar-e-darbar aao sach bolen
tamam shahr mein kya ek bhi nahin mansur
kahenge kya rasan-o-dar aao sach bolen
baja ki khu-e-wafa ek bhi hasin mein nahin
kahan ke hum bhi wafadar aao sach bolen
jo wasf hum mein nahin kyun karen kisi mein talash
agar zamir hai bedar aao sach bolen
chhupae se kahin chhupte hain dagh chehre ke
nazar hai aaina-bardar aao sach bolen
'qatil' jin pe sada pattharon ko pyar aaya
kidhar gae wo gunahgar aao sach bolen
ye qarz to mera hai chukaega koi aur
ye qarz to mera hai chukaega koi aur
dukh mujh ko hai aur niir bahaega koi aur
kya phir yunhi di jaegi ujrat pe gavahi
kya teri saza ab ke bhi paega koi aur
anjam ko pahunchunga main anjam se pahle
khud meri kahani bhi sunaega koi aur
tab hogi khabar kitni hai raftar-e-taghhayyur
jab shaam dhale laut ke aaega koi aur
ummid-e-sahar bhi to virasat men hai shamil
shayad ki diya ab ke jalaega koi aur
kab bar-e-tabassum mire honton se uthega
ye bojh bhi lagta hai uthaega koi aur
is baar huun dushman ki rasai se bahut duur
is baar magar zakhm lagaega koi aur
shamil pas-e-parda bhi hain is khel men kuchh log
bolega koi hont hilaega koi aur
ye qarz to mera hai chukaega koi aur
dukh mujh ko hai aur nir bahaega koi aur
kya phir yunhi di jaegi ujrat pe gawahi
kya teri saza ab ke bhi paega koi aur
anjam ko pahunchunga main anjam se pahle
khud meri kahani bhi sunaega koi aur
tab hogi khabar kitni hai raftar-e-taghayyur
jab sham dhale laut ke aaega koi aur
ummid-e-sahar bhi to wirasat mein hai shamil
shayad ki diya ab ke jalaega koi aur
kab bar-e-tabassum mere honton se uthega
ye bojh bhi lagta hai uthaega koi aur
is bar hun dushman ki rasai se bahut dur
is bar magar zakhm lagaega koi aur
shamil pas-e-parda bhi hain is khel mein kuchh log
bolega koi hont hilaega koi aur
bikhar jaenge hum kya jab tamasha khatm hoga
bikhar jaenge ham kya jab tamasha khatm hoga
mire maabud akhir kab tamasha khatm hoga
charaghh-e-hujra-e-darvesh ki bujhti hui lau
hava se kah gai hai ab tamasha khatm hoga
kahani men nae kirdar shamil ho gae hain
nahin maalum ab kis dhab tamasha khatm hoga
kahani aap uljhi hai ki uljhai gai hai
ye uqda tab khulega jab tamasha khatm hoga
zamin jab adl se bhar jaegi nurun-ala-nur
ba-nam-e-maslak-o-mazhab tamasha khatm hoga
ye sab kath-putliyan raqsan rahengi raat ki raat
sahar se pahle pahle sab tamasha khatm hoga
tamasha karne valon ko khabar di ja chuki hai
ki parda kab girega kab tamasha khatm hoga
dil-e-na-mutmain aisa bhi kya mayus rahna
jo khalq utthi to sab kartab tamasha khatm hoga
bikhar jaenge hum kya jab tamasha khatm hoga
mere mabud aakhir kab tamasha khatm hoga
charagh-e-hujra-e-darwesh ki bujhti hui lau
hawa se kah gai hai ab tamasha khatm hoga
kahani mein nae kirdar shamil ho gae hain
nahin malum ab kis dhab tamasha khatm hoga
kahani aap uljhi hai ki uljhai gai hai
ye uqda tab khulega jab tamasha khatm hoga
zamin jab adl se bhar jaegi nurun-ala-nur
ba-nam-e-maslak-o-mazhab tamasha khatm hoga
ye sab kath-putliyan raqsan rahengi raat ki raat
sahar se pahle pahle sab tamasha khatm hoga
tamasha karne walon ko khabar di ja chuki hai
ki parda kab girega kab tamasha khatm hoga
dil-e-na-mutmain aisa bhi kya mayus rahna
jo khalq utthi to sab kartab tamasha khatm hoga
insan mein haiwan yahan bhi hai wahan bhi
insan men haivan yahan bhi hai vahan bhi
allah nigahban yahan bhi hai vahan bhi
khun-khvar darindon ke faqat naam alag hain
har shahr bayaban yahan bhi hai vahan bhi
hindu bhi sukun se hai musalman bhi sukun se
insan pareshan yahan bhi hai vahan bhi
rahman ki rahmat ho ki bhagvan ki murat
har khel ka maidan yahan bhi hai vahan bhi
uthta hai dil-o-jan se dhuan donon taraf hi
ye 'mir' ka divan yahan bhi hai vahan bhi
insan mein haiwan yahan bhi hai wahan bhi
allah nigahban yahan bhi hai wahan bhi
khun-khwar darindon ke faqat nam alag hain
har shahr bayaban yahan bhi hai wahan bhi
hindu bhi sukun se hai musalman bhi sukun se
insan pareshan yahan bhi hai wahan bhi
rahman ki rahmat ho ki bhagwan ki murat
har khel ka maidan yahan bhi hai wahan bhi
uthta hai dil-o-jaan se dhuan donon taraf hi
ye 'mir' ka diwan yahan bhi hai wahan bhi
ashk pine ke liye khak udane ke liye
ashk piine ke liye khaak udane ke liye
ab mire paas khazana hai lutane ke liye
aisi dafa na laga jis men zamanat mil jaae
mere kirdar ko chun apne nishane ke liye
kin zaminon pe utaroge ab imdad ka qahr
kaun sa shahr ujadoge basane ke liye
main ne hathon se bujhai hai dahakti hui aag
apne bachche ke khilaune ko bachane ke liye
ho gai hai miri ujdi hui duniya abad
main use dhundh raha huun ye batane ke liye
nafraten bechne valon ki bhi majburi hai
maal to chahiye dukan chalane ke liye
ji to kahta hai ki bistar se na utrun kai roz
ghar men saman to ho baith ke khane ke liye
ashk pine ke liye khak udane ke liye
ab mere pas khazana hai lutane ke liye
aisi dafa na laga jis mein zamanat mil jae
mere kirdar ko chun apne nishane ke liye
kin zaminon pe utaroge ab imdad ka qahr
kaun sa shahr ujadoge basane ke liye
main ne hathon se bujhai hai dahakti hui aag
apne bachche ke khilaune ko bachane ke liye
ho gai hai meri ujdi hui duniya aabaad
main use dhundh raha hun ye batane ke liye
nafraten bechne walon ki bhi majburi hai
mal to chahiye dukan chalane ke liye
ji to kahta hai ki bistar se na utrun kai roz
ghar mein saman to ho baith ke khane ke liye
masti-e-rindana hum sairabi-e-mai-khana hum
masti-e-rindana ham sairabi-e-mai-khana ham
gardish-e-taqdir se hain gardish-e-paimana ham
khun-e-dil se chashm-e-tar tak chashm-e-tar se ta-ba-khak
kar gae akhir gul-o-gulzar har virana ham
kya bala jabr-e-asiri hai ki azadi men bhi
dosh par apne liye phirte hain zindan-khana ham
raah men faujon ke pahre sar pe talvaron ki chhanv
aae hain zindan men bhi ba-shaukat-e-shahana ham
mitte mitte de gae ham zindagi ko rang-o-nur
rafta rafta ban gae is ahd ka afsana ham
ya jaga dete hain zarron ke dilon men mai-kade
ya bana lete hain mehr-o-mah ko paimana ham
qaid ho kar aur bhi zindan men udta hai khayal
raqs zanjiron men bhi karte hain azadana ham
masti-e-rindana hum sairabi-e-mai-khana hum
gardish-e-taqdir se hain gardish-e-paimana hum
khun-e-dil se chashm-e-tar tak chashm-e-tar se ta-ba-khak
kar gae aakhir gul-o-gulzar har virana hum
kya bala jabr-e-asiri hai ki aazadi mein bhi
dosh par apne liye phirte hain zindan-khana hum
rah mein faujon ke pahre sar pe talwaron ki chhanw
aae hain zindan mein bhi ba-shaukat-e-shahana hum
mitte mitte de gae hum zindagi ko rang-o-nur
rafta rafta ban gae is ahd ka afsana hum
ya jaga dete hain zarron ke dilon mein mai-kade
ya bana lete hain mehr-o-mah ko paimana hum
qaid ho kar aur bhi zindan mein udta hai khayal
raqs zanjiron mein bhi karte hain aazadana hum
de rahe hain jis ko topon ki salami aadmi
de rahe hain jis ko topon ki salami aadmi
kya kahun tum se ki hai kitna harami aadmi
bhiid chhat jaegi tab us ki samajh men aaega
ek akela aadmi hai azdahami aadmi
kya dikhate ho miyan, parcha hamen akhbar ka
ham ne dekhe hain bahut naami girami aadmi
paanv men juuta nahin hai, pet men roti nahin
le ke kya chatega khali nek-nami aadmi
uth ke ja baitha vahi ashrafiya ki god men
ham ghharibon ne jise samjha avami aadmi
qais sahab kis liye bhatkenge najd-e-shauq men
mil hi jaega koi ham sa maqami aadmi
dil ki hai shiraza-e-hasti hava ki zad pe hai
aadmi ai aadmi ai intizami aadmi
de rahe hain jis ko topon ki salami aadmi
kya kahun tum se ki hai kitna harami aadmi
bhid chhat jaegi tab us ki samajh mein aaega
ek akela aadmi hai azdahami aadmi
kya dikhate ho miyan, parcha hamein akhbar ka
hum ne dekhe hain bahut nami girami aadmi
panw mein juta nahin hai, pet mein roti nahin
le ke kya chatega khali nek-nami aadmi
uth ke ja baitha wahi ashrafiya ki god mein
hum gharibon ne jise samjha awami aadmi
qais sahab kis liye bhatkenge najd-e-shauq mein
mil hi jaega koi hum sa maqami aadmi
dil ki hai shiraaza-e-hasti hawa ki zad pe hai
aadmi ai aadmi ai intizami aadmi
khirad walo junun walon ke viranon mein aa jao
khirad vaalo junun valon ke viranon men aa jaao
dilon ke baaghh zakhmon ke gulistanon men aa jaao
ye daman o gareban ab salamat rah nahin sakte
abhi tak kuchh nahin bigda hai divanon men aa jaao
sitam ki teghh khud dast-e-sitam ko kaat deti hai
sitam-rano tum ab apne aza-khanon men aa jaao
ye kab tak sard lashen be-hisi ke barf-khanon men
charaghh-e-dard se raushan shabistanon men aa jaao
ye kab tak sim-o-zar ke jangalon men mashk-e-khun-khvari
ye insanon ki basti hai ab insanon men aa jaao
kabhi shabnam ka qatra ban ke chamko lala-o-gul par
kabhi dariyaon ki surat bayabanon men aa jaao
hava hai sakht ab ashkon ke parcham ud nahin sakte
lahu ke surkh parcham le ke maidanon men aa jaao
jarahat-khana-e-dil hai talash-e-rang-o-nikhat men
kahan ho ai gulistano garebanon men aa jaao
zamana kar raha hai ehtimam-e-jashn-e-bedari
gareban chaak kar ke shoala-damanon men aa jaao
khirad walo junun walon ke viranon mein aa jao
dilon ke bagh zakhmon ke gulistanon mein aa jao
ye daman o gareban ab salamat rah nahin sakte
abhi tak kuchh nahin bigda hai diwanon mein aa jao
sitam ki tegh khud dast-e-sitam ko kat deti hai
sitam-rano tum ab apne aza-khanon mein aa jao
ye kab tak sard lashen be-hisi ke barf-khanon mein
charagh-e-dard se raushan shabistanon mein aa jao
ye kab tak sim-o-zar ke jangalon mein mashk-e-khun-khwari
ye insanon ki basti hai ab insanon mein aa jao
kabhi shabnam ka qatra ban ke chamko lala-o-gul par
kabhi dariyaon ki surat bayabanon mein aa jao
hawa hai sakht ab ashkon ke parcham ud nahin sakte
lahu ke surkh parcham le ke maidanon mein aa jao
jarahat-khana-e-dil hai talash-e-rang-o-nikhat mein
kahan ho ai gulistano garebanon mein aa jao
zamana kar raha hai ehtimam-e-jashn-e-bedari
gareban chaak kar ke shoala-damanon mein aa jao
libas tan pe salamat hain hath khaali hain
libas tan pe salamat hain haath khali hain
ham ek mulk-e-khuda-dad ke savali hain
na ham men aql-o-farasat na hikmat-o-tadbir
magar hai zoam ki jamiyyat-e-misali hain
munafiqat ne lahu tan men itna garmaya
ki guftugu men riya-kariyan saja li hain
khud apne aap se kad is qadar hamen hai ki ab
rivayaten hi gulistan ki phunk daali hain
hamare dil hain ab amaj-gah-e-hirs-o-havas
ki ham ne sinon men tarikiyan uga li hain
nashemanon ko ujada kuchh is tarah jaise
ki fakhtaen darakhton se udne vaali hain
kisi ghharib apahij faqir ki 'mohsin'
kisi amiir ne baisakhiyan chura li hain
libas tan pe salamat hain hath khali hain
hum ek mulk-e-khuda-dad ke sawali hain
na hum mein aql-o-farasat na hikmat-o-tadbir
magar hai zoam ki jamiyyat-e-misali hain
munafiqat ne lahu tan mein itna garmaya
ki guftugu mein riya-kariyan saja li hain
khud apne aap se kad is qadar hamein hai ki ab
riwayaten hi gulistan ki phunk dali hain
hamare dil hain ab aamaj-gah-e-hirs-o-hawas
ki hum ne sinon mein tarikiyan uga li hain
nashemanon ko ujada kuchh is tarah jaise
ki fakhtaen darakhton se udne wali hain
kisi gharib apahij faqir ki 'mohsin'
kisi amir ne baisakhiyan chura li hain
You have reached the end.