dushmani jam kar karo lekin ye gunjaish rahe jab kabhi hum dost ho jaen to sharminda na hon bear enmity with all your might, but this we should decide if ever we be friends again, we are not mortified
Poetry Collection
Politics
Generally speaking, politics brings negative thoughts to our minds. Although it has its positive aspects as well, poets too have looked at politics and politicking rather negatively. In this selection you would come across various perspectives on politics that relate with those who play politics and offer political dispensation as a panacea.
Total
43
Sher
27
Ghazal
16
Nazm
0
Featured Picks
Is collection se writer-diverse top picks for quick reading.
mere junun ka natija zarur niklega
mire junun ka natija zarur niklega isi siyah samundar se nuur niklega gira diya hai to sahil pe intizar na kar agar vo duub gaya hai to duur niklega usi ka shahr vahi muddai vahi munsif hamen yaqin tha hamara qusur niklega yaqin na aae to ik baat puchh kar dekho jo hans raha hai vo zakhmon se chuur niklega us astin se ashkon ko pochhne vaale us astin se khanjar zarur niklega mere junun ka natija zarur niklega isi siyah samundar se nur niklega gira diya hai to sahil pe intizar na kar agar wo dub gaya hai to dur niklega usi ka shahr wahi muddai wahi munsif hamein yaqin tha hamara qusur niklega yaqin na aae to ek baat puchh kar dekho jo hans raha hai wo zakhmon se chur niklega us aastin se ashkon ko pochhne wale us aastin se khanjar zarur niklega
leader jab aansoo bahaa kar logon se kahte hain ki mazhab khatre mein hai to ismein koi haqeeqat nahi hoti. mazhab aisi cheez hi nahi ki khatre mein pad sake, agar kisi baat ka khatra hai to woh leaderon ka hai jo apna ulloo seedha karne ke liye mazhab ko khatre mein daalte hain.
dushmani jam kar karo lekin ye gunjaish rahe jab kabhi hum dost ho jaen to sharminda na hon bear enmity with all your might, but this we should decide if ever we be friends again, we are not mortified
mere junun ka natija zarur niklega
mire junun ka natija zarur niklega isi siyah samundar se nuur niklega gira diya hai to sahil pe intizar na kar agar vo duub gaya hai to duur niklega usi ka shahr vahi muddai vahi munsif hamen yaqin tha hamara qusur niklega yaqin na aae to ik baat puchh kar dekho jo hans raha hai vo zakhmon se chuur niklega us astin se ashkon ko pochhne vaale us astin se khanjar zarur niklega mere junun ka natija zarur niklega isi siyah samundar se nur niklega gira diya hai to sahil pe intizar na kar agar wo dub gaya hai to dur niklega usi ka shahr wahi muddai wahi munsif hamein yaqin tha hamara qusur niklega yaqin na aae to ek baat puchh kar dekho jo hans raha hai wo zakhmon se chur niklega us aastin se ashkon ko pochhne wale us aastin se khanjar zarur niklega
leader jab aansoo bahaa kar logon se kahte hain ki mazhab khatre mein hai to ismein koi haqeeqat nahi hoti. mazhab aisi cheez hi nahi ki khatre mein pad sake, agar kisi baat ka khatra hai to woh leaderon ka hai jo apna ulloo seedha karne ke liye mazhab ko khatre mein daalte hain.
har aadmi mein hote hain das bis aadmi jis ko bhi dekhna ho kai bar dekhna
mere hi lahu par guzar-auqat karo ho
mere hi lahu par guzar-auqat karo ho mujh se hi amiron ki tarah baat karo ho din ek sitam ek sitam raat karo ho vo dost ho dushman ko bhi tum maat karo ho ham khak-nashin tum sukhan-ara-e-sar-e-bam paas aa ke milo duur se kya baat karo ho ham ko jo mila hai vo tumhin se to mila hai ham aur bhula den tumhen kya baat karo ho yuun to kabhi munh pher ke dekho bhi nahin ho jab vaqt pade hai to mudarat karo ho daman pe koi chhint na khanjar pe koi daaghh tum qatl karo ho ki karamat karo ho bakne bhi do 'ajiz' ko jo bole hai bake hai divana hai divane se kya baat karo ho mere hi lahu par guzar-auqat karo ho mujh se hi amiron ki tarah baat karo ho din ek sitam ek sitam raat karo ho wo dost ho dushman ko bhi tum mat karo ho hum khak-nashin tum sukhan-ara-e-sar-e-baam pas aa ke milo dur se kya baat karo ho hum ko jo mila hai wo tumhin se to mila hai hum aur bhula den tumhein kya baat karo ho yun to kabhi munh pher ke dekho bhi nahin ho jab waqt pade hai to mudaraat karo ho daman pe koi chhint na khanjar pe koi dagh tum qatl karo ho ki karamat karo ho bakne bhi do 'ajiz' ko jo bole hai bake hai diwana hai diwane se kya baat karo ho
pahle mazhab seenon mein hota tha, aaj-kal topiyon mein hota hai. siyaasat bhi ab topiyon mein chali aayi hai. zindaabaad topiyaan.
kursi hai tumhaara ye janaza to nahin hai kuchh kar nahin sakte to utar kyon nahin jate
rang pairahan ka khushbu zulf lahrane ka nam
rang pairahan ka khushbu zulf lahrane ka naam mausam-e-gul hai tumhare baam par aane ka naam dosto us chashm o lab ki kuchh kaho jis ke baghhair gulsitan ki baat rangin hai na mai-khane ka naam phir nazar men phuul mahke dil men phir shamen jalin phir tasavvur ne liya us bazm men jaane ka naam dilbari thahra zaban-e-khalq khulvane ka naam ab nahin lete pari-ru zulf bikhrane ka naam ab kisi laila ko bhi iqrar-e-mahbubi nahin in dinon badnam hai har ek divane ka naam mohtasib ki khair uncha hai usi ke faiz se rind ka saaqi ka mai ka khum ka paimane ka naam ham se kahte hain chaman vaale ghhariban-e-chaman tum koi achchha sa rakh lo apne virane ka naam 'faiz' un ko hai taqaza-e-vafa ham se jinhen ashna ke naam se pyara hai begane ka naam rang pairahan ka khushbu zulf lahrane ka nam mausam-e-gul hai tumhaare baam par aane ka nam dosto us chashm o lab ki kuchh kaho jis ke baghair gulsitan ki baat rangin hai na mai-khane ka nam phir nazar mein phul mahke dil mein phir shamen jalin phir tasawwur ne liya us bazm mein jaane ka nam dilbari thahra zaban-e-khalq khulwane ka nam ab nahin lete pari-ru zulf bikhrane ka nam ab kisi laila ko bhi iqrar-e-mahbubi nahin in dinon badnam hai har ek diwane ka nam mohtasib ki khair uncha hai usi ke faiz se rind ka saqi ka mai ka khum ka paimane ka nam hum se kahte hain chaman wale ghariban-e-chaman tum koi achchha sa rakh lo apne virane ka nam 'faiz' un ko hai taqaza-e-wafa hum se jinhen aashna ke nam se pyara hai begane ka nam
hindustan ko un leaderon se bachaao jo mulk ki fiza bigaad rahe hain aur awaam ko gumraah kar rahe hain.
nae kirdar aate ja rahe hain magar natak purana chal raha hai
wo shakhs ki main jis se mohabbat nahin karta
vo shakhs ki main jis se mohabbat nahin karta hansta hai mujhe dekh ke nafrat nahin karta pakda hi gaya huun to mujhe daar pe khincho sachcha huun magar apni vakalat nahin karta kyuun bakhsh diya mujh se gunahgar ko maula munsif to kisi se bhi riayat nahin karta ghar valon ko ghhaflat pe sabhi kos rahe hain choron ko magar koi malamat nahin karta kis qaum ke dil men nahin jazbat-e-barahim kis mulk pe namrud hukumat nahin karta dete hain ujale mire sajdon ki gavahi main chhup ke andhere men ibadat nahin karta bhula nahin main aaj bhi adab-e-javani main aaj bhi auron ko nasihat nahin karta insan ye samjhen ki yahan dafn khuda hai main aise mazaron ki ziyarat nahin karta duniya men 'qatil' us sa munafiq nahin koi jo zulm to sahta hai baghhavat nahin karta wo shakhs ki main jis se mohabbat nahin karta hansta hai mujhe dekh ke nafrat nahin karta pakda hi gaya hun to mujhe dar pe khincho sachcha hun magar apni wakalat nahin karta kyun bakhsh diya mujh se gunahgar ko maula munsif to kisi se bhi riayat nahin karta ghar walon ko ghaflat pe sabhi kos rahe hain choron ko magar koi malamat nahin karta kis qaum ke dil mein nahin jazbaat-e-barahim kis mulk pe namrud hukumat nahin karta dete hain ujale mere sajdon ki gawahi main chhup ke andhere mein ibaadat nahin karta bhula nahin main aaj bhi aadab-e-jawani main aaj bhi auron ko nasihat nahin karta insan ye samjhen ki yahan dafn khuda hai main aise mazaron ki ziyarat nahin karta duniya mein 'qatil' us sa munafiq nahin koi jo zulm to sahta hai baghawat nahin karta
yeh log jinhein urf-e-aam mein leader kahaa jaata hai, siyaasat aur mazhab ko langda, loolda aur zakhmi aadmi tasawwur karte hain.
ek aansu bhi hukumat ke liye khatra hai tum ne dekha nahin aaankhon ka samundar hona
pa-ba-gil sab hain rihai ki kare tadbir kaun
pa-ba-gil sab hain rihai ki kare tadbir kaun dast-basta shahr men khole miri zanjir kaun mera sar hazir hai lekin mera munsif dekh le kar raha hai meri fard-e-jurm ko tahrir kaun aaj darvazon pe dastak jaani pahchani si hai aaj mere naam laata hai miri taazir kaun koi maqtal ko gaya tha muddaton pahle magar hai dar-e-khema pe ab tak surat-e-tasvir kaun meri chadar to chhini thi shaam ki tanhai men be-ridai ko miri phir de gaya tashhir kaun sach jahan pa-basta mulzim ke katahre men mile us adalat men sunega adl ki tafsir kaun niind jab khvabon se pyari ho to aise ahd men khvab dekhe kaun aur khvabon ko de tabir kaun ret abhi pichhle makanon ki na vapas aai thi phir lab-e-sahil gharaunda kar gaya taamir kaun saare rishte hijraton men saath dete hain to phir shahr se jaate hue hota hai daman-gir kaun dushmanon ke saath mere dost bhi azad hain dekhna hai khinchta hai mujh pe pahla tiir kaun pa-ba-gil sab hain rihai ki kare tadbir kaun dast-basta shahr mein khole meri zanjir kaun mera sar hazir hai lekin mera munsif dekh le kar raha hai meri fard-e-jurm ko tahrir kaun aaj darwazon pe dastak jaani pahchani si hai aaj mere nam lata hai meri tazir kaun koi maqtal ko gaya tha muddaton pahle magar hai dar-e-khema pe ab tak surat-e-taswir kaun meri chadar to chhini thi sham ki tanhai mein be-ridai ko meri phir de gaya tashhir kaun sach jahan pa-basta mulzim ke katahre mein mile us adalat mein sunega adl ki tafsir kaun nind jab khwabon se pyari ho to aise ahd mein khwab dekhe kaun aur khwabon ko de tabir kaun ret abhi pichhle makanon ki na wapas aai thi phir lab-e-sahil gharaunda kar gaya tamir kaun sare rishte hijraton mein sath dete hain to phir shahr se jate hue hota hai daman-gir kaun dushmanon ke sath mere dost bhi aazad hain dekhna hai khinchta hai mujh pe pahla tir kaun
siyaasat aur mazhab ki laash hamaare naam-war leader apne kandhe par uthaae phirte hain aur seedhe-saade logon ko jo har baat maan lene ke aadi hote hain ye kahte-phirte hain ki woh is laash ko az sar-e-nau zindagi bakhsh rahe hain.
kanton se guzar jata hun daman ko bacha kar phulon ki siyasat se main begana nahin hun
meri sari zindagi ko be-samar usne kiya
meri saari zindagi ko be-samar us ne kiya umr meri thi magar us ko basar us ne kiya main bahut kamzor tha is mulk men hijrat ke baad par mujhe is mulk men kamzor-tar us ne kiya rahbar mera bana gumrah karne ke liye mujh ko sidhe raste se dar-ba-dar us ne kiya shahr men vo mo'atabar meri gavahi se hua phir mujhe is shahr men na-mo'tabar us ne kiya shahr ko barbad kar ke rakh diya us ne 'munir' shahr par ye zulm mere naam par us ne kiya meri sari zindagi ko be-samar us ne kiya umr meri thi magar us ko basar us ne kiya main bahut kamzor tha is mulk mein hijrat ke baad par mujhe is mulk mein kamzor-tar us ne kiya rahbar mera bana gumrah karne ke liye mujh ko sidhe raste se dar-ba-dar us ne kiya shahr mein wo mo'atabar meri gawahi se hua phir mujhe is shahr mein na-mo'tabar us ne kiya shahr ko barbaad kar ke rakh diya us ne 'munir' shahr par ye zulm mere nam par us ne kiya
yeh log jo apne gharon ka nizaam durust nahi kar sakte, yeh log jinka character be-had past hota hai, siyaasat ke maidan mein apne watan ka nizaam theek karne aur logon ko akhlaaqiyaat ka sabaq dene ke liye nikalte hain... kis qadar mazhaka-khez cheez hai!
dekhoge to har mod pe mil jaengi lashen dhundoge to is shahr mein qatil na milega
hath aankhon pe rakh lene se khatra nahin jata
haath ankhon pe rakh lene se khatra nahin jaata divar se bhaunchal ko roka nahin jaata daavon ki tarazu men to azmat nahin tulti fiite se to kirdar ko naapa nahin jaata farman se pedon pe kabhi phal nahin lagte talvar se mausam koi badla nahin jaata chor apne gharon men to nahin naqb lagate apni hi kamai ko to luuta nahin jaata auron ke khayalat ki lete hain talashi aur apne gareban men jhanka nahin jaata faulad se faulad to kat sakta hai lekin qanun se qanun ko badla nahin jaata zulmat ko ghata kahne se barish nahin hoti shoalon ko havaon se to dhanpa nahin jaata tufan men ho naav to kuchh sabr bhi aa jaae sahil pe khade ho ke to duuba nahin jaata dariya ke kinare to pahunch jaate hain pyase pyason ke gharon tak koi dariya nahin jaata allah jise chahe use milti hai 'muzaffar' izzat ko dukanon se kharida nahin jaata hath aankhon pe rakh lene se khatra nahin jata diwar se bhaunchaal ko roka nahin jata dawon ki taraazu mein to azmat nahin tulti fite se to kirdar ko napa nahin jata farman se pedon pe kabhi phal nahin lagte talwar se mausam koi badla nahin jata chor apne gharon mein to nahin naqb lagate apni hi kamai ko to luta nahin jata auron ke khayalat ki lete hain talashi aur apne gareban mein jhanka nahin jata faulad se faulad to kat sakta hai lekin qanun se qanun ko badla nahin jata zulmat ko ghata kahne se barish nahin hoti shoalon ko hawaon se to dhanpa nahin jata tufan mein ho naw to kuchh sabr bhi aa jae sahil pe khade ho ke to duba nahin jata dariya ke kinare to pahunch jate hain pyase pyason ke gharon tak koi dariya nahin jata allah jise chahe use milti hai 'muzaffar' izzat ko dukanon se kharida nahin jata
siyaasiyaat se mujhe koi dilchaspi nahi. leaderon aur dawa-faroshon ko main eik hi zumre mein shumaar karta hun. leaderi aur dawa-faroshi, ye dono peshe hain. dawa-farosh aur leader dono doosron ke nuskhe istemaal karte hain.
dhuan jo kuchh gharon se uth raha hai na pure shahar par chhae to kahna
khula hai jhut ka bazar aao sach bolen
khula hai jhuut ka bazar aao sach bolen na ho bala se kharidar aao sach bolen sukut chhaya hai insaniyat ki qadron par yahi hai mauqa-e-izhar aao sach bolen hamen gavah banaya hai vaqt ne apna ba-nam-e-azmat-e-kirdar aao sach bolen suna hai vaqt ka hakim bada hi munsif hai pukar kar sar-e-darbar aao sach bolen tamam shahr men kya ek bhi nahin mansur kahenge kya rasan-o-dar aao sach bolen baja ki khu-e-vafa ek bhi hasin men nahin kahan ke ham bhi vafadar aao sach bolen jo vasf ham men nahin kyuun karen kisi men talash agar zamir hai bedar aao sach bolen chhupae se kahin chhupte hain daaghh chehre ke nazar hai aina-bardar aao sach bolen 'qatil' jin pe sada pattharon ko pyaar aaya kidhar gae vo gunahgar aao sach bolen khula hai jhut ka bazar aao sach bolen na ho bala se kharidar aao sach bolen sukut chhaya hai insaniyat ki qadron par yahi hai mauqa-e-izhaar aao sach bolen hamein gawah banaya hai waqt ne apna ba-nam-e-azmat-e-kirdar aao sach bolen suna hai waqt ka hakim bada hi munsif hai pukar kar sar-e-darbar aao sach bolen tamam shahr mein kya ek bhi nahin mansur kahenge kya rasan-o-dar aao sach bolen baja ki khu-e-wafa ek bhi hasin mein nahin kahan ke hum bhi wafadar aao sach bolen jo wasf hum mein nahin kyun karen kisi mein talash agar zamir hai bedar aao sach bolen chhupae se kahin chhupte hain dagh chehre ke nazar hai aaina-bardar aao sach bolen 'qatil' jin pe sada pattharon ko pyar aaya kidhar gae wo gunahgar aao sach bolen
badshaahon aur mutlaq-ul-anaan hukmaraanon ki mustaqil aur dil-pasand sawaari dar-haqeeqat ri'aayaa hoti hai.
ishq mein bhi siyasaten niklin qurbaton mein bhi fasla nikla
ye qarz to mera hai chukaega koi aur
ye qarz to mera hai chukaega koi aur dukh mujh ko hai aur niir bahaega koi aur kya phir yunhi di jaegi ujrat pe gavahi kya teri saza ab ke bhi paega koi aur anjam ko pahunchunga main anjam se pahle khud meri kahani bhi sunaega koi aur tab hogi khabar kitni hai raftar-e-taghhayyur jab shaam dhale laut ke aaega koi aur ummid-e-sahar bhi to virasat men hai shamil shayad ki diya ab ke jalaega koi aur kab bar-e-tabassum mire honton se uthega ye bojh bhi lagta hai uthaega koi aur is baar huun dushman ki rasai se bahut duur is baar magar zakhm lagaega koi aur shamil pas-e-parda bhi hain is khel men kuchh log bolega koi hont hilaega koi aur ye qarz to mera hai chukaega koi aur dukh mujh ko hai aur nir bahaega koi aur kya phir yunhi di jaegi ujrat pe gawahi kya teri saza ab ke bhi paega koi aur anjam ko pahunchunga main anjam se pahle khud meri kahani bhi sunaega koi aur tab hogi khabar kitni hai raftar-e-taghayyur jab sham dhale laut ke aaega koi aur ummid-e-sahar bhi to wirasat mein hai shamil shayad ki diya ab ke jalaega koi aur kab bar-e-tabassum mere honton se uthega ye bojh bhi lagta hai uthaega koi aur is bar hun dushman ki rasai se bahut dur is bar magar zakhm lagaega koi aur shamil pas-e-parda bhi hain is khel mein kuchh log bolega koi hont hilaega koi aur
mehnat-kash mazdooron ki sahi nafsiyaat kuch unka apna paseena hi ba-tareeq-e-ahsan bayaan kar sakta hai. usko daulat ke taur par istemaal kar ke uske paseene ki raushnaai mein qalam dubo-dubo kar grandeel lafzon mein manshoor likhne waale, ho sakta hai bade mukhlis aadmi hon, magar maaf kijiye main ab bhi unhein bahrupiya samajhta hun.
samajhne hi nahin deti siyasat hum ko sachchai kabhi chehra nahin milta kabhi darpan nahin milta
bikhar jaenge hum kya jab tamasha khatm hoga
bikhar jaenge ham kya jab tamasha khatm hoga mire maabud akhir kab tamasha khatm hoga charaghh-e-hujra-e-darvesh ki bujhti hui lau hava se kah gai hai ab tamasha khatm hoga kahani men nae kirdar shamil ho gae hain nahin maalum ab kis dhab tamasha khatm hoga kahani aap uljhi hai ki uljhai gai hai ye uqda tab khulega jab tamasha khatm hoga zamin jab adl se bhar jaegi nurun-ala-nur ba-nam-e-maslak-o-mazhab tamasha khatm hoga ye sab kath-putliyan raqsan rahengi raat ki raat sahar se pahle pahle sab tamasha khatm hoga tamasha karne valon ko khabar di ja chuki hai ki parda kab girega kab tamasha khatm hoga dil-e-na-mutmain aisa bhi kya mayus rahna jo khalq utthi to sab kartab tamasha khatm hoga bikhar jaenge hum kya jab tamasha khatm hoga mere mabud aakhir kab tamasha khatm hoga charagh-e-hujra-e-darwesh ki bujhti hui lau hawa se kah gai hai ab tamasha khatm hoga kahani mein nae kirdar shamil ho gae hain nahin malum ab kis dhab tamasha khatm hoga kahani aap uljhi hai ki uljhai gai hai ye uqda tab khulega jab tamasha khatm hoga zamin jab adl se bhar jaegi nurun-ala-nur ba-nam-e-maslak-o-mazhab tamasha khatm hoga ye sab kath-putliyan raqsan rahengi raat ki raat sahar se pahle pahle sab tamasha khatm hoga tamasha karne walon ko khabar di ja chuki hai ki parda kab girega kab tamasha khatm hoga dil-e-na-mutmain aisa bhi kya mayus rahna jo khalq utthi to sab kartab tamasha khatm hoga
in se ummid na rakh hain ye siyasat wale ye kisi se bhi mohabbat nahin karne wale
Explore Similar Collections
Politics FAQs
Politics collection me kya milega?
Politics se related curated sher, selected ghazal excerpts aur context-friendly reading flow milega.
Kya is page ki links internal hain?
Haan, collection links, writer links aur detail links sab Kuch Alfaaz ke internal routes par map kiye gaye hain.
Collection ko kaise explore karein?
Type filter (Sher/Ghazal/Nazm), featured picks aur similar collections rail use karke fast discovery kar sakte hain.