Poetry Collection

Raat

Night, to many of us, is much more interesting than the day. Night hides and day reveals. The hidden ones call our imagination to play. Poets have gone into the depths of the night and brought forth shining veses, some of which are here for you.

Total

87

Sher

50

Ghazal

37

Nazm

0

Featured Picks

Is collection se writer-diverse top picks for quick reading.

ye sard raat ye aawargi ye nind ka bojh hum apne shahr mein hote to ghar gae hote यह शे’र उर्दू के मशहूर अशआर में से एक है। इसमें जो स्थिति पाई जाती है उसे अत्यंत एकांत अवस्था की कल्पना की जा सकती है। इसके विधानों में शिद्दत भी है और एहसास भी। “सर्द रात”, “आवारगी” और “नींद का बोझ” ये ऐसी तीन अवस्थाएं हैं जिनसे तन्हाई की तस्वीर बनती है और जब ये कहा कि “हम अपने शहर में होते तो घर गए होते” तो जैसे तन्हाई के साथ साथ बेघर होने की त्रासदी को भी चित्रित किया गया है। शे’र का मुख्य विषय तन्हाई और बेघर होना और अजनबीयत है। शायर किसी और शहर में है और सर्द रात में आँखों पर नींद का बोझ लिये आवारा घूम रहा है। स्पष्ट है कि वो शहर में अजनबी है इसलिए किसी के घर नहीं जा सकता वरना सर्द रात, आवारगी और नींद का बोझ वो मजबूरियाँ हैं जो किसी ठिकाने की मांग करती हैं। मगर शायर की त्रासदी यह है कि वो तन्हाई के शहर में किसी को जानता नहीं इसीलिए कहता है कि अगर मैं अपने शहर में होता तो अपने घर चला गया होता। shafaq sopori

GhazalRead Full

ze-haal-e-miskin makun taghaful durae nainan banae batiyan

ze-hal-e-miskin makun taghhaful durae nainan banae batiyan ki tab-e-hijran nadaram ai jaan na lehu kaahe lagae chhatiyan shaban-e-hijran daraz chuun zulf o roz-e-vaslat chuun umr-e-kotah sakhi piya ko jo main na dekhun to kaise katun andheri ratiyan yakayak az dil do chashm jaadu ba-sad-farebam ba-burd taskin kise padi hai jo ja sunave piyare pi ko hamari batiyan chuun sham-e-sozan chuun zarra hairan z mehr-e-an-mah bagashtam akhir na niind nainan na ang chainan na aap aave na bheje patiyan ba-haqq-e-roz-e-visal-e-dilbar ki daad maara ghharib 'khusrav' sapit man ke varae rakhun jo ja ke paun piya ki khatiyan ze-haal-e-miskin makun taghaful durae nainan banae batiyan ki tab-e-hijran nadaram ai jaan na lehu kahe lagae chhatiyan shaban-e-hijran daraaz chun zulf o roz-e-waslat chun umr-e-kotah sakhi piya ko jo main na dekhun to kaise katun andheri ratiyan yakayak az dil do chashm jadu ba-sad-farebam ba-burd taskin kise padi hai jo ja sunawe piyare pi ko hamari batiyan chun sham-e-sozan chun zarra hairan z mehr-e-an-mah bagashtam aakhir na nind nainan na ang chainan na aap aawe na bheje patiyan ba-haqq-e-roz-e-visal-e-dilbar ki dad mara gharib 'khusraw' sapit man ke warae rakhun jo ja ke paun piya ki khatiyan

ye sard raat ye aawargi ye nind ka bojh hum apne shahr mein hote to ghar gae hote यह शे’र उर्दू के मशहूर अशआर में से एक है। इसमें जो स्थिति पाई जाती है उसे अत्यंत एकांत अवस्था की कल्पना की जा सकती है। इसके विधानों में शिद्दत भी है और एहसास भी। “सर्द रात”, “आवारगी” और “नींद का बोझ” ये ऐसी तीन अवस्थाएं हैं जिनसे तन्हाई की तस्वीर बनती है और जब ये कहा कि “हम अपने शहर में होते तो घर गए होते” तो जैसे तन्हाई के साथ साथ बेघर होने की त्रासदी को भी चित्रित किया गया है। शे’र का मुख्य विषय तन्हाई और बेघर होना और अजनबीयत है। शायर किसी और शहर में है और सर्द रात में आँखों पर नींद का बोझ लिये आवारा घूम रहा है। स्पष्ट है कि वो शहर में अजनबी है इसलिए किसी के घर नहीं जा सकता वरना सर्द रात, आवारगी और नींद का बोझ वो मजबूरियाँ हैं जो किसी ठिकाने की मांग करती हैं। मगर शायर की त्रासदी यह है कि वो तन्हाई के शहर में किसी को जानता नहीं इसीलिए कहता है कि अगर मैं अपने शहर में होता तो अपने घर चला गया होता। shafaq sopori

GhazalRead Full

ze-haal-e-miskin makun taghaful durae nainan banae batiyan

ze-hal-e-miskin makun taghhaful durae nainan banae batiyan ki tab-e-hijran nadaram ai jaan na lehu kaahe lagae chhatiyan shaban-e-hijran daraz chuun zulf o roz-e-vaslat chuun umr-e-kotah sakhi piya ko jo main na dekhun to kaise katun andheri ratiyan yakayak az dil do chashm jaadu ba-sad-farebam ba-burd taskin kise padi hai jo ja sunave piyare pi ko hamari batiyan chuun sham-e-sozan chuun zarra hairan z mehr-e-an-mah bagashtam akhir na niind nainan na ang chainan na aap aave na bheje patiyan ba-haqq-e-roz-e-visal-e-dilbar ki daad maara ghharib 'khusrav' sapit man ke varae rakhun jo ja ke paun piya ki khatiyan ze-haal-e-miskin makun taghaful durae nainan banae batiyan ki tab-e-hijran nadaram ai jaan na lehu kahe lagae chhatiyan shaban-e-hijran daraaz chun zulf o roz-e-waslat chun umr-e-kotah sakhi piya ko jo main na dekhun to kaise katun andheri ratiyan yakayak az dil do chashm jadu ba-sad-farebam ba-burd taskin kise padi hai jo ja sunawe piyare pi ko hamari batiyan chun sham-e-sozan chun zarra hairan z mehr-e-an-mah bagashtam aakhir na nind nainan na ang chainan na aap aawe na bheje patiyan ba-haqq-e-roz-e-visal-e-dilbar ki dad mara gharib 'khusraw' sapit man ke warae rakhun jo ja ke paun piya ki khatiyan

GhazalRead Full

aap ki yaad aati rahi raat bhar

''aap ki yaad aati rahi raat bhar'' chandni dil dukhati rahi raat bhar gaah jalti hui gaah bujhti hui sham-e-ghham jhilmilati rahi raat bhar koi khushbu badalti rahi pairahan koi tasvir gaati rahi raat bhar phir saba saya-e-shakh-e-gul ke tale koi qissa sunati rahi raat bhar jo na aaya use koi zanjir-e-dar har sada par bulati rahi raat bhar ek ummid se dil bahalta raha ik tamanna satati rahi raat bhar aap ki yaad aati rahi raat bhar chandni dil dukhati rahi raat bhar gah jalti hui gah bujhti hui sham-e-gham jhilmilati rahi raat bhar koi khushbu badalti rahi pairahan koi taswir gati rahi raat bhar phir saba saya-e-shakh-e-gul ke tale koi qissa sunati rahi raat bhar jo na aaya use koi zanjir-e-dar har sada par bulati rahi raat bhar ek ummid se dil bahalta raha ek tamanna satati rahi raat bhar

GhazalRead Full

aap ki yaad aati rahi raat bhar

aap ki yaad aati rahi raat bhar chashm-e-nam muskurati rahi raat bhar raat bhar dard ki shama jalti rahi ghham ki lau thartharati rahi raat bhar bansuri ki surili suhani sada yaad ban ban ke aati rahi raat bhar yaad ke chand dil men utarte rahe chandni jagmagati rahi raat bhar koi divana galiyon men phirta raha koi avaz aati rahi raat bhar aap ki yaad aati rahi raat bhar chashm-e-nam muskuraati rahi raat bhar raat bhar dard ki shama jalti rahi gham ki lau thartharaati rahi raat bhar bansuri ki surili suhani sada yaad ban ban ke aati rahi raat bhar yaad ke chand dil mein utarte rahe chandni jagmagati rahi raat bhar koi diwana galiyon mein phirta raha koi aawaz aati rahi raat bhar

is safar mein nind aisi kho gai hum na soe raat thak kar so gai

~ Rahi Masoom Raza
GhazalRead Full

tu ne dekha hai kabhi ek nazar sham ke baad

tu ne dekha hai kabhi ek nazar shaam ke baad kitne chup-chap se lagte hain shajar shaam ke baad itne chup-chap ki raste bhi rahenge la-ilm chhod jaenge kisi roz nagar shaam ke baad main ne aise hi gunah teri judai men kiye jaise tufan men koi chhod de ghar shaam ke baad shaam se pahle vo mast apni udanon men raha jis ke hathon men the tuute hue par shaam ke baad raat biiti to gine aable aur phir socha kaun tha bais-e-aghhaz-e-safar shaam ke baad tu hai suraj tujhe maalum kahan raat ka dukh tu kisi roz mire ghar men utar shaam ke baad laut aae na kisi roz vo avara-mizaj khol rakhte hain isi aas pe dar shaam ke baad tu ne dekha hai kabhi ek nazar sham ke baad kitne chup-chap se lagte hain shajar sham ke baad itne chup-chap ki raste bhi rahenge la-ilm chhod jaenge kisi roz nagar sham ke baad main ne aise hi gunah teri judai mein kiye jaise tufan mein koi chhod de ghar sham ke baad sham se pahle wo mast apni udanon mein raha jis ke hathon mein the tute hue par sham ke baad raat biti to gine aable aur phir socha kaun tha bais-e-aghaz-e-safar sham ke baad tu hai suraj tujhe malum kahan raat ka dukh tu kisi roz mere ghar mein utar sham ke baad laut aae na kisi roz wo aawara-mizaj khol rakhte hain isi aas pe dar sham ke baad

shab-e-visal hai gul kar do in charaghon ko khushi ki bazm mein kya kaam jalne walon ka the speaker asks for the lamps to be put out because the night of union needs no artificial light—intimacy prefers darkness. “burning ones” are the lovers who suffer in longing; their inner fire clashes with the mood of celebration. the couplet carries a sharp irony: joy makes the grief-stricken feel unnecessary and pushed aside.

GhazalRead Full

kab thahrega dard ai dil kab raat basar hogi

kab thahrega dard ai dil kab raat basar hogi sunte the vo aenge sunte the sahar hogi kab jaan lahu hogi kab ashk guhar hoga kis din tiri shunvai ai dida-e-tar hogi kab mahkegi fasl-e-gul kab bahkega mai-khana kab subh-e-sukhan hogi kab sham-e-nazar hogi vaaiz hai na zahid hai naseh hai na qatil hai ab shahr men yaron ki kis tarah basar hogi kab tak abhi rah dekhen ai qamat-e-janana kab hashr muayyan hai tujh ko to khabar hogi kab thahrega dard ai dil kab raat basar hogi sunte the wo aaenge sunte the sahar hogi kab jaan lahu hogi kab ashk guhar hoga kis din teri shunwai ai dida-e-tar hogi kab mahkegi fasl-e-gul kab bahkega mai-khana kab subh-e-sukhan hogi kab sham-e-nazar hogi waiz hai na zahid hai naseh hai na qatil hai ab shahr mein yaron ki kis tarah basar hogi kab tak abhi rah dekhen ai qamat-e-jaanana kab hashr muayyan hai tujh ko to khabar hogi

GhazalRead Full

chandni raat badi der ke baad aai hai

chandni raat badi der ke baa'd aai hai lab pe ik baat badi der ke baa'd aai hai jhuum kar aaj ye shab-rang laten bikhra de dekh barsat badi der ke baa'd aai hai dil-e-majruh ki ujdi hui khamoshi se bu-e-naghhmat badi der ke baa'd aai hai aaj ki raat vo aae hain badi der ke baa'd aaj ki raat badi der ke baa'd aai hai aah taskin bhi ab 'saif' shab-e-hijran men aksar auqat badi der ke baa'd aai hai chandni raat badi der ke ba'd aai hai lab pe ek baat badi der ke ba'd aai hai jhum kar aaj ye shab-rang laten bikhra de dekh barsat badi der ke ba'd aai hai dil-e-majruh ki ujdi hui khamoshi se bu-e-naghmat badi der ke ba'd aai hai aaj ki raat wo aae hain badi der ke ba'd aaj ki raat badi der ke ba'd aai hai aah taskin bhi ab 'saif' shab-e-hijran mein aksar auqat badi der ke ba'd aai hai

GhazalRead Full

ishq ke shoale ko bhadkao ki kuchh raat kate

ishq ke shoale ko bhadkao ki kuchh raat kate dil ke angare ko dahkao ki kuchh raat kate hijr men milne shab-e-mah ke ghham aae hain charasazon ko bhi bulvao ki kuchh raat kate koi jalta hi nahin koi pighalta hi nahin mom ban jaao pighal jaao ki kuchh raat kate chashm o rukhsar ke azkar ko jaari rakkho pyaar ke naame ko doharao ki kuchh raat kate aaj ho jaane do har ek ko bad-mast-o-kharab aaj ek ek ko pilvao ki kuchh raat kate koh-e-ghham aur giran aur giran aur giran ghham-zado teshe ko chamkao ki kuchh raat kate ishq ke shoale ko bhadkao ki kuchh raat kate dil ke angare ko dahkao ki kuchh raat kate hijr mein milne shab-e-mah ke gham aae hain chaarasazon ko bhi bulwao ki kuchh raat kate koi jalta hi nahin koi pighalta hi nahin mom ban jao pighal jao ki kuchh raat kate chashm o rukhsar ke azkar ko jari rakkho pyar ke name ko doharao ki kuchh raat kate aaj ho jaane do har ek ko bad-mast-o-kharab aaj ek ek ko pilwao ki kuchh raat kate koh-e-gham aur giran aur giran aur giran gham-zado teshe ko chamkao ki kuchh raat kate

GhazalRead Full

khwabon se na jao ki abhi raat bahut hai

khvabon se na jaao ki abhi raat bahut hai pahlu men tum aao ki abhi raat bahut hai ji bhar ke tumhen dekh luun taskin ho kuchh to mat shama bujhao ki abhi raat bahut hai kab pau phate kab raat kate kaun ye jaane mat chhod ke jaao ki abhi raat bahut hai rahne do abhi chand sa chehra mire aage mai aur pilao ki abhi raat bahut hai kat jaae yunhi pyaar ki baton men har ik pal kuchh jaago jagao ki abhi raat bahut hai khwabon se na jao ki abhi raat bahut hai pahlu mein tum aao ki abhi raat bahut hai ji bhar ke tumhein dekh lun taskin ho kuchh to mat shama bujhao ki abhi raat bahut hai kab pau phate kab raat kate kaun ye jaane mat chhod ke jao ki abhi raat bahut hai rahne do abhi chand sa chehra mere aage mai aur pilao ki abhi raat bahut hai kat jae yunhi pyar ki baaton mein har ek pal kuchh jago jagao ki abhi raat bahut hai

bahut dinon mein mohabbat ko ye hua malum jo tere hijr mein guzri wo raat raat hui the couplet captures how the meaning of separation becomes clear only through prolonged suffering. “night” is a metaphor for darkness, loneliness, and emotional heaviness, and repeating it (“night, night”) suggests an unbroken chain of sorrow. the beloved’s absence stretches time, so even a single period of waiting feels multiplied. the emotional core is a delayed realization: love learns its own depth through the cruelty of long, dark nights.

GhazalRead Full

wo chup-chap aansu bahane ki raaten

vo chup-chap aansu bahane ki raten vo ik shakhs ke yaad aane ki raten shab-e-mah ki vo thandi anchen vo shabnam tire husn ke rasmasane ki raten javani ki doshizgi ka tabassum gul-e-zar ke vo khilane ki raten phuvaren si naghhmon ki padti hon jaise kuchh us lab ke sunne-sunane ki raten mujhe yaad hai teri har subh-e-rukhsat mujhe yaad hain tere aane ki raten pur-asrar si meri arz-e-tamanna vo kuchh zer-e-lab muskurane ki raten sar-e-sham se ratjaga ke vo saman vo pichhle pahar niind aane ki raten sar-e-sham se ta-sahar qurb-e-janan na jaane vo thiin kis zamane ki raten sar-e-mai-kada tishnagi ki vo qasmen vo saaqi se baten banane ki raten ham-aghhoshiyan shahid-e-mehrban ki zamane ke ghham bhuul jaane ki raten 'firaq' apni qismat men shayad nahin the thikane ke din ya thikane ki raten wo chup-chap aansu bahane ki raaten wo ek shakhs ke yaad aane ki raaten shab-e-mah ki wo thandi aanchen wo shabnam tere husn ke rasmasane ki raaten jawani ki doshizgi ka tabassum gul-e-zar ke wo khilane ki raaten phuwaren si naghmon ki padti hon jaise kuchh us lab ke sunne-sunane ki raaten mujhe yaad hai teri har subh-e-rukhsat mujhe yaad hain tere aane ki raaten pur-asrar si meri arz-e-tamanna wo kuchh zer-e-lab muskurane ki raaten sar-e-sham se ratjaga ke wo saman wo pichhle pahar nind aane ki raaten sar-e-sham se ta-sahar qurb-e-jaanan na jaane wo thin kis zamane ki raaten sar-e-mai-kada tishnagi ki wo qasmen wo saqi se baaten banane ki raaten ham-aghoshiyan shahid-e-mehrban ki zamane ke gham bhul jaane ki raaten 'firaq' apni qismat mein shayad nahin the thikane ke din ya thikane ki raaten

ek umr kat gai hai tere intizar mein aise bhi hain ki kat na saki jin se ek raat the couplet contrasts two measures of time to show the intensity of emotion: a lifetime can feel “spent” in patient longing for the beloved, while with certain people even one night becomes unbearable. waiting turns into proof of love and devotion, and the irony highlights how companionship can either soothe time or make it heavy. the emotional core is steadfast desire mixed with a sharp comparison.

GhazalRead Full

charagh-o-aftab gum badi hasin raat thi

charaghh-o-aftab gum badi hasin raat thi shabab ki naqab gum badi hasin raat thi mujhe pila rahe the vo ki khud hi sham' bujh gai gilas gum sharab gum badi hasin raat thi likha tha jis kitab men ki 'ishq to haram hai hui vahi kitab gum badi hasin raat thi labon se lab jo mil gae labon se lab hi sil gae saval gum javab gum badi hasin raat thi charagh-o-aftab gum badi hasin raat thi shabab ki naqab gum badi hasin raat thi mujhe pila rahe the wo ki khud hi sham' bujh gai gilas gum sharab gum badi hasin raat thi likha tha jis kitab mein ki 'ishq to haram hai hui wahi kitab gum badi hasin raat thi labon se lab jo mil gae labon se lab hi sil gae sawal gum jawab gum badi hasin raat thi

GhazalRead Full

pahle nahai os mein phir aansuon mein raat

pahle nahai os men phir ansuon men raat yuun buund buund utri hamare gharon men raat kuchh bhi dikhai deta nahin duur duur tak chubhti hai suiyon ki tarah jab ragon men raat vo khurduri chatanen vo dariya vo abshar sab kuchh samet le gai apne paron men raat ankhon ko sab ki niind bhi di khvab bhi diye ham ko shumar karti rahi dushmanon men raat be-samt manzilon ne bulaya hai phir hamen sannate phir bichhane lagi raston men raat pahle nahai os mein phir aansuon mein raat yun bund bund utri hamare gharon mein raat kuchh bhi dikhai deta nahin dur dur tak chubhti hai suiyon ki tarah jab ragon mein raat wo khurduri chatanen wo dariya wo aabshaar sab kuchh samet le gai apne paron mein raat aankhon ko sab ki nind bhi di khwab bhi diye hum ko shumar karti rahi dushmanon mein raat be-samt manzilon ne bulaya hai phir hamein sannate phir bichhane lagi raston mein raat

GhazalRead Full

aur koi dam ki mehman hai guzar jaegi raat

aur koi dam ki mehman hai guzar jaegi raat dhalte dhalte ap-apni maut mar jaegi raat zindagi men aur bhi kuchh zahr bhar jaegi raat ab agar thahri rag-o-pai men utar jaegi raat jo bhi hain parvarda-e-shab jo bhi hain zulmat parast vo to jaenge usi janib jidhar jaegi raat ahl-e-tufan be-hisi ka gar yahi aalam raha mauj-e-khun ban kar har ik sar se guzar jaegi raat hai ufuq se ek sang-e-aftab aane ki der tuut kar manind-e-aina bikhar jaegi raat ham to jaane kab se hain avara-e-zulmat magar tum thahar jaao to pal bhar men guzar jaegi raat raat ka anjam bhi maalum hai mujh ko 'surur' laakh apni had se guzre ta-sahar jaegi raat aur koi dam ki mehman hai guzar jaegi raat dhalte dhalte aap-apni maut mar jaegi raat zindagi mein aur bhi kuchh zahr bhar jaegi raat ab agar thahri rag-o-pai mein utar jaegi raat jo bhi hain parwarda-e-shab jo bhi hain zulmat parast wo to jaenge usi jaanib jidhar jaegi raat ahl-e-tufan be-hisi ka gar yahi aalam raha mauj-e-khun ban kar har ek sar se guzar jaegi raat hai ufuq se ek sang-e-aftab aane ki der tut kar manind-e-aina bikhar jaegi raat hum to jaane kab se hain aawara-e-zulmat magar tum thahar jao to pal bhar mein guzar jaegi raat raat ka anjam bhi malum hai mujh ko 'surur' lakh apni had se guzre ta-sahar jaegi raat

hum to raat ka matlab samjhen khwab, sitare, chand, charagh aage ka ahwal wo jaane jis ne raat guzari ho

GhazalRead Full

aankhon mein chubh gain teri yaadon ki kirchiyan

ankhon men chubh gaiin tiri yadon ki kirchiyan kandhon pe ghham ki shaal hai aur chand raat hai dil tod ke khamosh nazaron ka kya mila shabnam ka ye saval hai aur chand raat hai campus ki nahr par hai tira haath haath men mausam bhi la-zaval hai aur chand raat hai har ik kali ne odh liya matami libas har phuul pur-malal hai aur chand raat hai chhalka sa pad raha hai 'vasi' vahshaton ka rang har chiiz pe zaval hai aur chand raat hai aankhon mein chubh gain teri yaadon ki kirchiyan kandhon pe gham ki shaal hai aur chand raat hai dil tod ke khamosh nazaron ka kya mila shabnam ka ye sawal hai aur chand raat hai campus ki nahr par hai tera hath hath mein mausam bhi la-zawal hai aur chand raat hai har ek kali ne odh liya matami libas har phul pur-malal hai aur chand raat hai chhalka sa pad raha hai 'wasi' wahshaton ka rang har chiz pe zawal hai aur chand raat hai

GhazalRead Full

ek jam khanakta jam ki saqi raat guzarne wali hai

ik jaam khanakta jaam ki saaqi raat guzarne vaali hai ik hosh-ruba inaam ki saaqi raat guzarne vaali hai vo dekh sitaron ke moti har aan bikharte jaate hain aflak pe hai kohram ki saaqi raat guzarne vaali hai go dekh chuka huun pahle bhi nazzara dariya-noshi ka ek aur sala-e-am ki saaqi raat guzarne vaali hai ye vaqt nahin hai baton ka palkon ke saae kaam men la ilham koi ilham ki saaqi raat guzarne vaali hai mad-hoshi men ehsas ke unche ziine se gir jaane de is vaqt na mujh ko thaam ki saaqi raat guzarne vaali hai ek jam khanakta jam ki saqi raat guzarne wali hai ek hosh-ruba inam ki saqi raat guzarne wali hai wo dekh sitaron ke moti har aan bikharte jate hain aflak pe hai kohram ki saqi raat guzarne wali hai go dekh chuka hun pahle bhi nazzara dariya-noshi ka ek aur sala-e-am ki saqi raat guzarne wali hai ye waqt nahin hai baaton ka palkon ke sae kaam mein la ilham koi ilham ki saqi raat guzarne wali hai mad-hoshi mein ehsas ke unche zine se gir jaane de is waqt na mujh ko tham ki saqi raat guzarne wali hai

GhazalRead Full

dur kisi ko yaad aata hun raat mujhe pagal karti hai

duur kisi ko yaad aata huun raat mujhe pagal karti hai ghar se duur nikal jaata huun raat mujhe pagal karti hai ik anjane shahr men dekhun shakl koi jani-pahchani us ki or khincha jaata huun raat mujhe pagal karti hai duur des ik ghar hai apna jaise koi ik sundar sapna sapne men khud ko paata huun raat mujhe pagal karti hai 'pashi' dil ko chain na aae gheren un ki yaad ke saae raat aae to ghabrata huun raat mujhe pagal karti hai dur kisi ko yaad aata hun raat mujhe pagal karti hai ghar se dur nikal jata hun raat mujhe pagal karti hai ek anjaane shahr mein dekhun shakl koi jaani-pahchani us ki or khincha jata hun raat mujhe pagal karti hai dur des ek ghar hai apna jaise koi ek sundar sapna sapne mein khud ko pata hun raat mujhe pagal karti hai 'pashi' dil ko chain na aae gheren un ki yaad ke sae raat aae to ghabraata hun raat mujhe pagal karti hai

Explore Similar Collections

Raat FAQs

Raat collection me kya milega?

Raat se related curated sher, selected ghazal excerpts aur context-friendly reading flow milega.

Kya is page ki links internal hain?

Haan, collection links, writer links aur detail links sab Kuch Alfaaz ke internal routes par map kiye gaye hain.

Collection ko kaise explore karein?

Type filter (Sher/Ghazal/Nazm), featured picks aur similar collections rail use karke fast discovery kar sakte hain.