ze-haal-e-miskin makun taghaful durae nainan banae batiyan
ze-hal-e-miskin makun taghhaful durae nainan banae batiyan
ki tab-e-hijran nadaram ai jaan na lehu kaahe lagae chhatiyan
shaban-e-hijran daraz chuun zulf o roz-e-vaslat chuun umr-e-kotah
sakhi piya ko jo main na dekhun to kaise katun andheri ratiyan
yakayak az dil do chashm jaadu ba-sad-farebam ba-burd taskin
kise padi hai jo ja sunave piyare pi ko hamari batiyan
chuun sham-e-sozan chuun zarra hairan z mehr-e-an-mah bagashtam akhir
na niind nainan na ang chainan na aap aave na bheje patiyan
ba-haqq-e-roz-e-visal-e-dilbar ki daad maara ghharib 'khusrav'
sapit man ke varae rakhun jo ja ke paun piya ki khatiyan
ze-haal-e-miskin makun taghaful durae nainan banae batiyan
ki tab-e-hijran nadaram ai jaan na lehu kahe lagae chhatiyan
shaban-e-hijran daraaz chun zulf o roz-e-waslat chun umr-e-kotah
sakhi piya ko jo main na dekhun to kaise katun andheri ratiyan
yakayak az dil do chashm jadu ba-sad-farebam ba-burd taskin
kise padi hai jo ja sunawe piyare pi ko hamari batiyan
chun sham-e-sozan chun zarra hairan z mehr-e-an-mah bagashtam aakhir
na nind nainan na ang chainan na aap aawe na bheje patiyan
ba-haqq-e-roz-e-visal-e-dilbar ki dad mara gharib 'khusraw'
sapit man ke warae rakhun jo ja ke paun piya ki khatiyan
aap ki yaad aati rahi raat bhar
''aap ki yaad aati rahi raat bhar''
chandni dil dukhati rahi raat bhar
gaah jalti hui gaah bujhti hui
sham-e-ghham jhilmilati rahi raat bhar
koi khushbu badalti rahi pairahan
koi tasvir gaati rahi raat bhar
phir saba saya-e-shakh-e-gul ke tale
koi qissa sunati rahi raat bhar
jo na aaya use koi zanjir-e-dar
har sada par bulati rahi raat bhar
ek ummid se dil bahalta raha
ik tamanna satati rahi raat bhar
aap ki yaad aati rahi raat bhar
chandni dil dukhati rahi raat bhar
gah jalti hui gah bujhti hui
sham-e-gham jhilmilati rahi raat bhar
koi khushbu badalti rahi pairahan
koi taswir gati rahi raat bhar
phir saba saya-e-shakh-e-gul ke tale
koi qissa sunati rahi raat bhar
jo na aaya use koi zanjir-e-dar
har sada par bulati rahi raat bhar
ek ummid se dil bahalta raha
ek tamanna satati rahi raat bhar
aap ki yaad aati rahi raat bhar
aap ki yaad aati rahi raat bhar
chashm-e-nam muskurati rahi raat bhar
raat bhar dard ki shama jalti rahi
ghham ki lau thartharati rahi raat bhar
bansuri ki surili suhani sada
yaad ban ban ke aati rahi raat bhar
yaad ke chand dil men utarte rahe
chandni jagmagati rahi raat bhar
koi divana galiyon men phirta raha
koi avaz aati rahi raat bhar
aap ki yaad aati rahi raat bhar
chashm-e-nam muskuraati rahi raat bhar
raat bhar dard ki shama jalti rahi
gham ki lau thartharaati rahi raat bhar
bansuri ki surili suhani sada
yaad ban ban ke aati rahi raat bhar
yaad ke chand dil mein utarte rahe
chandni jagmagati rahi raat bhar
koi diwana galiyon mein phirta raha
koi aawaz aati rahi raat bhar
tu ne dekha hai kabhi ek nazar sham ke baad
tu ne dekha hai kabhi ek nazar shaam ke baad
kitne chup-chap se lagte hain shajar shaam ke baad
itne chup-chap ki raste bhi rahenge la-ilm
chhod jaenge kisi roz nagar shaam ke baad
main ne aise hi gunah teri judai men kiye
jaise tufan men koi chhod de ghar shaam ke baad
shaam se pahle vo mast apni udanon men raha
jis ke hathon men the tuute hue par shaam ke baad
raat biiti to gine aable aur phir socha
kaun tha bais-e-aghhaz-e-safar shaam ke baad
tu hai suraj tujhe maalum kahan raat ka dukh
tu kisi roz mire ghar men utar shaam ke baad
laut aae na kisi roz vo avara-mizaj
khol rakhte hain isi aas pe dar shaam ke baad
tu ne dekha hai kabhi ek nazar sham ke baad
kitne chup-chap se lagte hain shajar sham ke baad
itne chup-chap ki raste bhi rahenge la-ilm
chhod jaenge kisi roz nagar sham ke baad
main ne aise hi gunah teri judai mein kiye
jaise tufan mein koi chhod de ghar sham ke baad
sham se pahle wo mast apni udanon mein raha
jis ke hathon mein the tute hue par sham ke baad
raat biti to gine aable aur phir socha
kaun tha bais-e-aghaz-e-safar sham ke baad
tu hai suraj tujhe malum kahan raat ka dukh
tu kisi roz mere ghar mein utar sham ke baad
laut aae na kisi roz wo aawara-mizaj
khol rakhte hain isi aas pe dar sham ke baad
kab thahrega dard ai dil kab raat basar hogi
kab thahrega dard ai dil kab raat basar hogi
sunte the vo aenge sunte the sahar hogi
kab jaan lahu hogi kab ashk guhar hoga
kis din tiri shunvai ai dida-e-tar hogi
kab mahkegi fasl-e-gul kab bahkega mai-khana
kab subh-e-sukhan hogi kab sham-e-nazar hogi
vaaiz hai na zahid hai naseh hai na qatil hai
ab shahr men yaron ki kis tarah basar hogi
kab tak abhi rah dekhen ai qamat-e-janana
kab hashr muayyan hai tujh ko to khabar hogi
kab thahrega dard ai dil kab raat basar hogi
sunte the wo aaenge sunte the sahar hogi
kab jaan lahu hogi kab ashk guhar hoga
kis din teri shunwai ai dida-e-tar hogi
kab mahkegi fasl-e-gul kab bahkega mai-khana
kab subh-e-sukhan hogi kab sham-e-nazar hogi
waiz hai na zahid hai naseh hai na qatil hai
ab shahr mein yaron ki kis tarah basar hogi
kab tak abhi rah dekhen ai qamat-e-jaanana
kab hashr muayyan hai tujh ko to khabar hogi
chandni raat badi der ke baad aai hai
chandni raat badi der ke baa'd aai hai
lab pe ik baat badi der ke baa'd aai hai
jhuum kar aaj ye shab-rang laten bikhra de
dekh barsat badi der ke baa'd aai hai
dil-e-majruh ki ujdi hui khamoshi se
bu-e-naghhmat badi der ke baa'd aai hai
aaj ki raat vo aae hain badi der ke baa'd
aaj ki raat badi der ke baa'd aai hai
aah taskin bhi ab 'saif' shab-e-hijran men
aksar auqat badi der ke baa'd aai hai
chandni raat badi der ke ba'd aai hai
lab pe ek baat badi der ke ba'd aai hai
jhum kar aaj ye shab-rang laten bikhra de
dekh barsat badi der ke ba'd aai hai
dil-e-majruh ki ujdi hui khamoshi se
bu-e-naghmat badi der ke ba'd aai hai
aaj ki raat wo aae hain badi der ke ba'd
aaj ki raat badi der ke ba'd aai hai
aah taskin bhi ab 'saif' shab-e-hijran mein
aksar auqat badi der ke ba'd aai hai
ishq ke shoale ko bhadkao ki kuchh raat kate
ishq ke shoale ko bhadkao ki kuchh raat kate
dil ke angare ko dahkao ki kuchh raat kate
hijr men milne shab-e-mah ke ghham aae hain
charasazon ko bhi bulvao ki kuchh raat kate
koi jalta hi nahin koi pighalta hi nahin
mom ban jaao pighal jaao ki kuchh raat kate
chashm o rukhsar ke azkar ko jaari rakkho
pyaar ke naame ko doharao ki kuchh raat kate
aaj ho jaane do har ek ko bad-mast-o-kharab
aaj ek ek ko pilvao ki kuchh raat kate
koh-e-ghham aur giran aur giran aur giran
ghham-zado teshe ko chamkao ki kuchh raat kate
ishq ke shoale ko bhadkao ki kuchh raat kate
dil ke angare ko dahkao ki kuchh raat kate
hijr mein milne shab-e-mah ke gham aae hain
chaarasazon ko bhi bulwao ki kuchh raat kate
koi jalta hi nahin koi pighalta hi nahin
mom ban jao pighal jao ki kuchh raat kate
chashm o rukhsar ke azkar ko jari rakkho
pyar ke name ko doharao ki kuchh raat kate
aaj ho jaane do har ek ko bad-mast-o-kharab
aaj ek ek ko pilwao ki kuchh raat kate
koh-e-gham aur giran aur giran aur giran
gham-zado teshe ko chamkao ki kuchh raat kate
khwabon se na jao ki abhi raat bahut hai
khvabon se na jaao ki abhi raat bahut hai
pahlu men tum aao ki abhi raat bahut hai
ji bhar ke tumhen dekh luun taskin ho kuchh to
mat shama bujhao ki abhi raat bahut hai
kab pau phate kab raat kate kaun ye jaane
mat chhod ke jaao ki abhi raat bahut hai
rahne do abhi chand sa chehra mire aage
mai aur pilao ki abhi raat bahut hai
kat jaae yunhi pyaar ki baton men har ik pal
kuchh jaago jagao ki abhi raat bahut hai
khwabon se na jao ki abhi raat bahut hai
pahlu mein tum aao ki abhi raat bahut hai
ji bhar ke tumhein dekh lun taskin ho kuchh to
mat shama bujhao ki abhi raat bahut hai
kab pau phate kab raat kate kaun ye jaane
mat chhod ke jao ki abhi raat bahut hai
rahne do abhi chand sa chehra mere aage
mai aur pilao ki abhi raat bahut hai
kat jae yunhi pyar ki baaton mein har ek pal
kuchh jago jagao ki abhi raat bahut hai
wo chup-chap aansu bahane ki raaten
vo chup-chap aansu bahane ki raten
vo ik shakhs ke yaad aane ki raten
shab-e-mah ki vo thandi anchen vo shabnam
tire husn ke rasmasane ki raten
javani ki doshizgi ka tabassum
gul-e-zar ke vo khilane ki raten
phuvaren si naghhmon ki padti hon jaise
kuchh us lab ke sunne-sunane ki raten
mujhe yaad hai teri har subh-e-rukhsat
mujhe yaad hain tere aane ki raten
pur-asrar si meri arz-e-tamanna
vo kuchh zer-e-lab muskurane ki raten
sar-e-sham se ratjaga ke vo saman
vo pichhle pahar niind aane ki raten
sar-e-sham se ta-sahar qurb-e-janan
na jaane vo thiin kis zamane ki raten
sar-e-mai-kada tishnagi ki vo qasmen
vo saaqi se baten banane ki raten
ham-aghhoshiyan shahid-e-mehrban ki
zamane ke ghham bhuul jaane ki raten
'firaq' apni qismat men shayad nahin the
thikane ke din ya thikane ki raten
wo chup-chap aansu bahane ki raaten
wo ek shakhs ke yaad aane ki raaten
shab-e-mah ki wo thandi aanchen wo shabnam
tere husn ke rasmasane ki raaten
jawani ki doshizgi ka tabassum
gul-e-zar ke wo khilane ki raaten
phuwaren si naghmon ki padti hon jaise
kuchh us lab ke sunne-sunane ki raaten
mujhe yaad hai teri har subh-e-rukhsat
mujhe yaad hain tere aane ki raaten
pur-asrar si meri arz-e-tamanna
wo kuchh zer-e-lab muskurane ki raaten
sar-e-sham se ratjaga ke wo saman
wo pichhle pahar nind aane ki raaten
sar-e-sham se ta-sahar qurb-e-jaanan
na jaane wo thin kis zamane ki raaten
sar-e-mai-kada tishnagi ki wo qasmen
wo saqi se baaten banane ki raaten
ham-aghoshiyan shahid-e-mehrban ki
zamane ke gham bhul jaane ki raaten
'firaq' apni qismat mein shayad nahin the
thikane ke din ya thikane ki raaten
charagh-o-aftab gum badi hasin raat thi
charaghh-o-aftab gum badi hasin raat thi
shabab ki naqab gum badi hasin raat thi
mujhe pila rahe the vo ki khud hi sham' bujh gai
gilas gum sharab gum badi hasin raat thi
likha tha jis kitab men ki 'ishq to haram hai
hui vahi kitab gum badi hasin raat thi
labon se lab jo mil gae labon se lab hi sil gae
saval gum javab gum badi hasin raat thi
charagh-o-aftab gum badi hasin raat thi
shabab ki naqab gum badi hasin raat thi
mujhe pila rahe the wo ki khud hi sham' bujh gai
gilas gum sharab gum badi hasin raat thi
likha tha jis kitab mein ki 'ishq to haram hai
hui wahi kitab gum badi hasin raat thi
labon se lab jo mil gae labon se lab hi sil gae
sawal gum jawab gum badi hasin raat thi
pahle nahai os mein phir aansuon mein raat
pahle nahai os men phir ansuon men raat
yuun buund buund utri hamare gharon men raat
kuchh bhi dikhai deta nahin duur duur tak
chubhti hai suiyon ki tarah jab ragon men raat
vo khurduri chatanen vo dariya vo abshar
sab kuchh samet le gai apne paron men raat
ankhon ko sab ki niind bhi di khvab bhi diye
ham ko shumar karti rahi dushmanon men raat
be-samt manzilon ne bulaya hai phir hamen
sannate phir bichhane lagi raston men raat
pahle nahai os mein phir aansuon mein raat
yun bund bund utri hamare gharon mein raat
kuchh bhi dikhai deta nahin dur dur tak
chubhti hai suiyon ki tarah jab ragon mein raat
wo khurduri chatanen wo dariya wo aabshaar
sab kuchh samet le gai apne paron mein raat
aankhon ko sab ki nind bhi di khwab bhi diye
hum ko shumar karti rahi dushmanon mein raat
be-samt manzilon ne bulaya hai phir hamein
sannate phir bichhane lagi raston mein raat
aur koi dam ki mehman hai guzar jaegi raat
aur koi dam ki mehman hai guzar jaegi raat
dhalte dhalte ap-apni maut mar jaegi raat
zindagi men aur bhi kuchh zahr bhar jaegi raat
ab agar thahri rag-o-pai men utar jaegi raat
jo bhi hain parvarda-e-shab jo bhi hain zulmat parast
vo to jaenge usi janib jidhar jaegi raat
ahl-e-tufan be-hisi ka gar yahi aalam raha
mauj-e-khun ban kar har ik sar se guzar jaegi raat
hai ufuq se ek sang-e-aftab aane ki der
tuut kar manind-e-aina bikhar jaegi raat
ham to jaane kab se hain avara-e-zulmat magar
tum thahar jaao to pal bhar men guzar jaegi raat
raat ka anjam bhi maalum hai mujh ko 'surur'
laakh apni had se guzre ta-sahar jaegi raat
aur koi dam ki mehman hai guzar jaegi raat
dhalte dhalte aap-apni maut mar jaegi raat
zindagi mein aur bhi kuchh zahr bhar jaegi raat
ab agar thahri rag-o-pai mein utar jaegi raat
jo bhi hain parwarda-e-shab jo bhi hain zulmat parast
wo to jaenge usi jaanib jidhar jaegi raat
ahl-e-tufan be-hisi ka gar yahi aalam raha
mauj-e-khun ban kar har ek sar se guzar jaegi raat
hai ufuq se ek sang-e-aftab aane ki der
tut kar manind-e-aina bikhar jaegi raat
hum to jaane kab se hain aawara-e-zulmat magar
tum thahar jao to pal bhar mein guzar jaegi raat
raat ka anjam bhi malum hai mujh ko 'surur'
lakh apni had se guzre ta-sahar jaegi raat
aankhon mein chubh gain teri yaadon ki kirchiyan
ankhon men chubh gaiin tiri yadon ki kirchiyan
kandhon pe ghham ki shaal hai aur chand raat hai
dil tod ke khamosh nazaron ka kya mila
shabnam ka ye saval hai aur chand raat hai
campus ki nahr par hai tira haath haath men
mausam bhi la-zaval hai aur chand raat hai
har ik kali ne odh liya matami libas
har phuul pur-malal hai aur chand raat hai
chhalka sa pad raha hai 'vasi' vahshaton ka rang
har chiiz pe zaval hai aur chand raat hai
aankhon mein chubh gain teri yaadon ki kirchiyan
kandhon pe gham ki shaal hai aur chand raat hai
dil tod ke khamosh nazaron ka kya mila
shabnam ka ye sawal hai aur chand raat hai
campus ki nahr par hai tera hath hath mein
mausam bhi la-zawal hai aur chand raat hai
har ek kali ne odh liya matami libas
har phul pur-malal hai aur chand raat hai
chhalka sa pad raha hai 'wasi' wahshaton ka rang
har chiz pe zawal hai aur chand raat hai
ek jam khanakta jam ki saqi raat guzarne wali hai
ik jaam khanakta jaam ki saaqi raat guzarne vaali hai
ik hosh-ruba inaam ki saaqi raat guzarne vaali hai
vo dekh sitaron ke moti har aan bikharte jaate hain
aflak pe hai kohram ki saaqi raat guzarne vaali hai
go dekh chuka huun pahle bhi nazzara dariya-noshi ka
ek aur sala-e-am ki saaqi raat guzarne vaali hai
ye vaqt nahin hai baton ka palkon ke saae kaam men la
ilham koi ilham ki saaqi raat guzarne vaali hai
mad-hoshi men ehsas ke unche ziine se gir jaane de
is vaqt na mujh ko thaam ki saaqi raat guzarne vaali hai
ek jam khanakta jam ki saqi raat guzarne wali hai
ek hosh-ruba inam ki saqi raat guzarne wali hai
wo dekh sitaron ke moti har aan bikharte jate hain
aflak pe hai kohram ki saqi raat guzarne wali hai
go dekh chuka hun pahle bhi nazzara dariya-noshi ka
ek aur sala-e-am ki saqi raat guzarne wali hai
ye waqt nahin hai baaton ka palkon ke sae kaam mein la
ilham koi ilham ki saqi raat guzarne wali hai
mad-hoshi mein ehsas ke unche zine se gir jaane de
is waqt na mujh ko tham ki saqi raat guzarne wali hai
dur kisi ko yaad aata hun raat mujhe pagal karti hai
duur kisi ko yaad aata huun raat mujhe pagal karti hai
ghar se duur nikal jaata huun raat mujhe pagal karti hai
ik anjane shahr men dekhun shakl koi jani-pahchani
us ki or khincha jaata huun raat mujhe pagal karti hai
duur des ik ghar hai apna jaise koi ik sundar sapna
sapne men khud ko paata huun raat mujhe pagal karti hai
'pashi' dil ko chain na aae gheren un ki yaad ke saae
raat aae to ghabrata huun raat mujhe pagal karti hai
dur kisi ko yaad aata hun raat mujhe pagal karti hai
ghar se dur nikal jata hun raat mujhe pagal karti hai
ek anjaane shahr mein dekhun shakl koi jaani-pahchani
us ki or khincha jata hun raat mujhe pagal karti hai
dur des ek ghar hai apna jaise koi ek sundar sapna
sapne mein khud ko pata hun raat mujhe pagal karti hai
'pashi' dil ko chain na aae gheren un ki yaad ke sae
raat aae to ghabraata hun raat mujhe pagal karti hai
hamein khabar hai wo mehman ek raat ka hai
hamen khabar hai vo mehman ek raat ka hai
hamare paas bhi saman ek raat ka hai
safine barson na rakkhenge sahilon pe qadam
tumhen guman hai ki tufan ek raat ka hai
hai ek shab ki iqamat sara-e-duniya men
ye saara khel miri jaan ek raat ka hai
khulegi aankh to samjhoge khvab dekha tha
ye saara khel miri jaan ek raat ka hai
tumhari shaan hamari bisat kya hai yahan
shikoh-e-khusrav-e-khaqan ek raat ka hai
bas ek shab ka ujala hai us ke daman men
ki ye charaghh nigahban ek raat ka hai
hamein khabar hai wo mehman ek raat ka hai
hamare pas bhi saman ek raat ka hai
safine barson na rakkhenge sahilon pe qadam
tumhein guman hai ki tufan ek raat ka hai
hai ek shab ki iqamat sara-e-duniya mein
ye sara khel meri jaan ek raat ka hai
khulegi aankh to samjhoge khwab dekha tha
ye sara khel meri jaan ek raat ka hai
tumhaari shan hamari bisat kya hai yahan
shikoh-e-khusraw-e-khaqan ek raat ka hai
bas ek shab ka ujala hai us ke daman mein
ki ye charagh nigahban ek raat ka hai
hail thi bich mein jo razai tamam shab
haail thi biich men jo razai tamam shab
is ghham se ham ko niind na aai tamam shab
ki yaas se havas ne ladai tamam shab
tum ne to khuub raah dikhai tamam shab
phir bhi to khatm ho na saki aarzu ki baat
har chand ham ne un ko sunai tamam shab
bebak milte hi jo hue ham to sharm se
aankh us pari ne phir na milai tamam shab
dil khuub janta hai ki tum kis khayal se
karte rahe adu ki burai tamam shab
phir shaam hi se kyuun vo chale the chhuda ke haath
dukhti rahi jo un ki kalai tamam shab
'hasrat' se kuchh vo aate hi aise hue khafa
phir ho saki na un se safai tamam shab
hail thi bich mein jo razai tamam shab
is gham se hum ko nind na aai tamam shab
ki yas se hawas ne ladai tamam shab
tum ne to khub rah dikhai tamam shab
phir bhi to khatm ho na saki aarzu ki baat
har chand hum ne un ko sunai tamam shab
bebak milte hi jo hue hum to sharm se
aankh us pari ne phir na milai tamam shab
dil khub jaanta hai ki tum kis khayal se
karte rahe adu ki burai tamam shab
phir sham hi se kyun wo chale the chhuda ke hath
dukhti rahi jo un ki kalai tamam shab
'hasrat' se kuchh wo aate hi aise hue khafa
phir ho saki na un se safai tamam shab
sochte rahte hain aksar raat mein
sochte rahte hain aksar raat men
duub kyuun jaate hain manzar raat men
kis ne lahrai hain zulfen duur tak
kaun phirta hai khule-sar raat men
chandni pi kar bahak jaati hai raat
chand ban jaata hai saghhar raat men
chuum lete hain kinaron ki haden
jhuum uthte hain samundar raat men
khidkiyon se jhankti hai raushni
battiyan jalti hain ghar ghar raat men
raat ka ham par bada ehsan hai
ro liya karte hain khul kar raat men
dil ka pahlu men guman hota nahin
aankh ban jaati hai patthar raat men
'alvi' sahab vaqt hai aram ka
so raho sab kuchh bhula kar raat men
sochte rahte hain aksar raat mein
dub kyun jate hain manzar raat mein
kis ne lahrai hain zulfen dur tak
kaun phirta hai khule-sar raat mein
chandni pi kar bahak jati hai raat
chand ban jata hai saghar raat mein
chum lete hain kinaron ki haden
jhum uthte hain samundar raat mein
khidkiyon se jhankti hai raushni
battiyan jalti hain ghar ghar raat mein
raat ka hum par bada ehsan hai
ro liya karte hain khul kar raat mein
dil ka pahlu mein guman hota nahin
aankh ban jati hai patthar raat mein
'alwi' sahab waqt hai aaram ka
so raho sab kuchh bhula kar raat mein
dosto durd pilao ki kadi raat kate
dosto durd pilao ki kadi raat kate
mai men kuchh aur milao ki kadi raat kate
ansuon se ye kadi raat nahin kat sakti
aaj mai-khana lundhao ki kadi raat kate
naghhme bazar men mahnge hain to kya ghham yaaro
nauhe ko naghhma banao ki kadi raat kate
ziist aur maut asatir-e-kuhan hain yaaro
naya afsana sunao ki kadi raat kate
koi mashhud hai ab aur na koi shahid
aur agar hai to dikhao ki kadi raat kate
ye bhi iman hi ka dusra rukh hai logo
kufr ko diin banao ki kadi raat kate
ye andhera ye samundar ye talatum aao
aao aur mujh men samao ki kadi raat kate
dosto durd pilao ki kadi raat kate
mai mein kuchh aur milao ki kadi raat kate
aansuon se ye kadi raat nahin kat sakti
aaj mai-khana lundhao ki kadi raat kate
naghme bazar mein mahnge hain to kya gham yaro
nauhe ko naghma banao ki kadi raat kate
zist aur maut asatir-e-kuhan hain yaro
naya afsana sunao ki kadi raat kate
koi mashhud hai ab aur na koi shahid
aur agar hai to dikhao ki kadi raat kate
ye bhi iman hi ka dusra rukh hai logo
kufr ko din banao ki kadi raat kate
ye andhera ye samundar ye talatum aao
aao aur mujh mein samao ki kadi raat kate
saghar-o-jam ko chhalkao ki kuchh raat kate
saghhar-o-jam ko chhalkao ki kuchh raat kate
jaam ko jaam se takrao ki kuchh raat kate
khaae jaati hai ye tanhai ye tariki-e-shab
do ghadi ke liye aa jaao ki kuchh raat kate
chup tumhari mujhe divana bana deti hai
aaj lillah na sharmao ki kuchh raat kate
haan ye vaada raha ab phir nahin rokenge kabhi
aaj kuchh der thahar jaao ki kuchh raat kate
saz-o-naghhma hi sahi haan mai-o-mina hi sahi
saqiya jaam hi bhar laao ki kuchh raat kate
ai 'zaki' hijr ki raten nahin kaate kattin
koi achchhi si ghhazal gaao ki kuchh raat kate
saghar-o-jam ko chhalkao ki kuchh raat kate
jam ko jam se takrao ki kuchh raat kate
khae jati hai ye tanhai ye tariki-e-shab
do ghadi ke liye aa jao ki kuchh raat kate
chup tumhaari mujhe diwana bana deti hai
aaj lillah na sharmao ki kuchh raat kate
han ye wada raha ab phir nahin rokenge kabhi
aaj kuchh der thahar jao ki kuchh raat kate
saz-o-naghma hi sahi han mai-o-mina hi sahi
saqiya jam hi bhar lao ki kuchh raat kate
ai 'zaki' hijr ki raaten nahin kate kattin
koi achchhi si ghazal gao ki kuchh raat kate
waqt ki taq pe donon ki sajai hui raat
vaqt ki taaq pe donon ki sajai hui raat
kis pe kharchi hai bata meri kamai hui raat
aur phir yuun hua ankhon ne lahu barsaya
yaad aai koi barish men bitai hui raat
hijr ke ban men hiran apna bhi mera hi gaya
usrat-e-ram se bahar-hal rihai hui raat
tu to ik lafz-e-mohabbat ko liye baitha hai
to kahan jaati mire jism pe aai hui raat
dil ko chain aaya to uthne laga taron ka ghhubar
subh le nikli mire haath men aai hui raat
aur phir niind hi aai na koi khvab aaya
main ne chahi thi mire khvab men aai hui raat
waqt ki taq pe donon ki sajai hui raat
kis pe kharchi hai bata meri kamai hui raat
aur phir yun hua aankhon ne lahu barsaya
yaad aai koi barish mein bitai hui raat
hijr ke ban mein hiran apna bhi mera hi gaya
usrat-e-ram se bahar-haal rihai hui raat
tu to ek lafz-e-mohabbat ko liye baitha hai
to kahan jati mere jism pe aai hui raat
dil ko chain aaya to uthne laga taron ka ghubar
subh le nikli mere hath mein aai hui raat
aur phir nind hi aai na koi khwab aaya
main ne chahi thi mere khwab mein aai hui raat
abhi to aap hi hail hai rasta shab ka
abhi to aap hi haail hai rasta shab ka
qarib aae to dekhenge hausla shab ka
chali to aai thi kuchh duur saath saath mire
phir is ke baad khuda jaane kya hua shab ka
mire khayal ke vahshat-kade men aate hi
junun ki nok se phuta hai aabla shab ka
sahar ki pahli kiran ne use bikher diya
mujhe sametne aaya tha jab khuda shab ka
zamin pe aa ke sitaron ne ye kaha mujh se
tire qarib se guzra hai qafila shab ka
sahar ka lams miri zindagi badha deta
magar garan tha bahut mujh pe katna shab ka
kabhi kabhi to ye vahshat bhi ham pe guzri hai
ki dil ke saath hi dekha hai dubna shab ka
chatakh uthi hai rag-e-jan to ye khayal aaya
kisi ki yaad se judta hai silsila shab ka
abhi to aap hi hail hai rasta shab ka
qarib aae to dekhenge hausla shab ka
chali to aai thi kuchh dur sath sath mere
phir is ke baad khuda jaane kya hua shab ka
mere khayal ke wahshat-kade mein aate hi
junun ki nok se phuta hai aabla shab ka
sahar ki pahli kiran ne use bikher diya
mujhe sametne aaya tha jab khuda shab ka
zamin pe aa ke sitaron ne ye kaha mujh se
tere qarib se guzra hai qafila shab ka
sahar ka lams meri zindagi badha deta
magar garan tha bahut mujh pe katna shab ka
kabhi kabhi to ye wahshat bhi hum pe guzri hai
ki dil ke sath hi dekha hai dubna shab ka
chatakh uthi hai rag-e-jaan to ye khayal aaya
kisi ki yaad se judta hai silsila shab ka
misal-e-aina yaro nikhar gaya kal shab
misal-e-aina yaaro nikhar gaya kal shab
ajiib saneha dil pe guzar gaya kal shab
bisat-e-dasht pe yuun chandni thi raqs-kunan
ki jaise chand ka har zakhm bhar gaya kal shab
siyah raat ka vo rahib-e-charaghh-ba-kaf
suno vo kirmak-e-shab-tab bhar gaya kal shab
kuchh itna chehra bhayanak tha khvab men us ka
ki apne aap se 'pasha' bhi dar gaya kal shab
misal-e-aina yaro nikhar gaya kal shab
ajib saneha dil pe guzar gaya kal shab
bisat-e-dasht pe yun chandni thi raqs-kunan
ki jaise chand ka har zakhm bhar gaya kal shab
siyah raat ka wo rahib-e-charagh-ba-kaf
suno wo kirmak-e-shab-tab bhar gaya kal shab
kuchh itna chehra bhayanak tha khwab mein us ka
ki apne aap se 'pasha' bhi dar gaya kal shab
subu utha mere saqi ki raat jati hai
subu utha mire saaqi ki raat jaati hai
nazar mila mire saaqi ki raat jaati hai
ki tu manae mujhe is liye main rutha huun
mujhe mana mire saaqi ki raat jaati hai
hai meri jaan miri jaan tire tabassum men
tu muskura mire saaqi ki raat jaati hai
shab-e-visal ki khushbu faza ki rangini
kahin se la mire saaqi ki raat jaati hai
kisi bahar ka naghhma koi suhani ghhazal
tu gunguna mire saaqi ki raat jaati hai
phir ik fareb men ye shab guzar na jaae kahin
qasam na kha mire saaqi ki raat jaati hai
qarib ho ke bhi 'azim' ke tu qarib nahin
palat ke aa mire saaqi ki raat jaati hai
subu utha mere saqi ki raat jati hai
nazar mila mere saqi ki raat jati hai
ki tu manae mujhe is liye main rutha hun
mujhe mana mere saqi ki raat jati hai
hai meri jaan meri jaan tere tabassum mein
tu muskura mere saqi ki raat jati hai
shab-e-visal ki khushbu faza ki rangini
kahin se la mere saqi ki raat jati hai
kisi bahaar ka naghma koi suhani ghazal
tu gunguna mere saqi ki raat jati hai
phir ek fareb mein ye shab guzar na jae kahin
qasam na kha mere saqi ki raat jati hai
qarib ho ke bhi 'azim' ke tu qarib nahin
palat ke aa mere saqi ki raat jati hai
gunjta hai nala-e-mahtab aadhi raat ko
gunjta hai nala-e-mahtab aadhi raat ko
tuut jaate hain suhane khvab aadhi raat ko
bhagte sayon ki chikhen tutte taron ka shor
main huun aur ik mahshar-e-be-khvab aadhi raat ko
shaam hi se bazm-e-anjum nashsha-e-ghhaflat men thi
chand ne bhi pi liya zahrab aadhi raat ko
ik shikasta khvab ki kadiyan milane aae hain
der se bichhde hue ahbab aadhi raat ko
daulat-e-ehsas-e-ghham ki itni arzani hui
niind si shai ho gai nayab aadhi raat ko
gunjta hai nala-e-mahtab aadhi raat ko
tut jate hain suhane khwab aadhi raat ko
bhagte sayon ki chikhen tutte taron ka shor
main hun aur ek mahshar-e-be-khwab aadhi raat ko
sham hi se bazm-e-anjum nashsha-e-ghaflat mein thi
chand ne bhi pi liya zahrab aadhi raat ko
ek shikasta khwab ki kadiyan milane aae hain
der se bichhde hue ahbab aadhi raat ko
daulat-e-ehsas-e-gham ki itni arzani hui
nind si shai ho gai nayab aadhi raat ko
~ Shakeb Jalali
kya karoge bachaw suraj ka
kya karoge bachav suraj ka
jante ho subhav suraj ka
garm hai vo to kam nahin ham bhi
kaun sahta hai taao suraj ka
mere ghar ka charaghh bujhte hi
chadh gaya kitna bhaav suraj ka
surmai shaam aae kamre men
ab to parda hatao suraj ka
raat se jang kar ke aaya hai
taaza taaza hai ghaav suraj ka
milne jaata hai raat se chhup kar
ik fasana banao suraj ka
asmanon se dosti kar ke
badh gaya hai tanav suraj ka
ho gai shaam sochte kya ho
ab janaza uthao suraj ka
raat bhar munh chhupae phirta raha
kam nahin phir bhi taao suraj ka
roz dariya kinare baith ke ham
jodte hain ghatao suraj ka
jugnuon se muqabla tha 'fahim'
kaun karta bachao suraj ka
kya karoge bachaw suraj ka
jaante ho subhaw suraj ka
garm hai wo to kam nahin hum bhi
kaun sahta hai tao suraj ka
mere ghar ka charagh bujhte hi
chadh gaya kitna bhaw suraj ka
surmai sham aae kamre mein
ab to parda hatao suraj ka
raat se jang kar ke aaya hai
taza taza hai ghaw suraj ka
milne jata hai raat se chhup kar
ek fasana banao suraj ka
aasmanon se dosti kar ke
badh gaya hai tanaw suraj ka
ho gai sham sochte kya ho
ab janaza uthao suraj ka
raat bhar munh chhupae phirta raha
kam nahin phir bhi tao suraj ka
roz dariya kinare baith ke hum
jodte hain ghatao suraj ka
jugnuon se muqabla tha 'fahim'
kaun karta bachao suraj ka
kis ke matam mein ro rahi hai raat
kis ke matam men ro rahi hai raat
chhup ke banhon men so rahi hai raat
dukh hai thahra hua nigahon men
teri yaden bilo rahi hai raat
mujh ko khvabon ke baaghh men la kar
ghane jangal men kho rahi hai raat
raushni ne lagae jo ilzam
bahti ankhon se dho rahi hai raat
is ko banhon men bhar rahi huun main
chand khud men samo rahi hai raat
vasl ka din tulua hona hai
main to khush huun ki ho rahi hai raat
kis ke matam mein ro rahi hai raat
chhup ke banhon mein so rahi hai raat
dukh hai thahra hua nigahon mein
teri yaaden bilo rahi hai raat
mujh ko khwabon ke bagh mein la kar
ghane jangal mein kho rahi hai raat
raushni ne lagae jo ilzam
bahti aankhon se dho rahi hai raat
is ko banhon mein bhar rahi hun main
chand khud mein samo rahi hai raat
wasl ka din tulua hona hai
main to khush hun ki ho rahi hai raat
zahr piye madhosh andheri raat
zahr piye madhosh andheri raat
nagin si khamosh andheri raat
din ki surat mujh ko bhi kha ja aa kar
main bhi huun behosh andheri raat
shahron men khamoshi hi khamoshi thi
tufan tha pur-josh andheri raat
kya jaane kis ne odha mera paikar
main khvab-e-khargosh andheri raat
chandi jaisi kirnen mujh par mat daalo
mera to sar-posh andheri raat
niind kahan mere ghar aaegi 'badnam'
main khana-bar-dosh andheri raat
zahr piye madhosh andheri raat
nagin si khamosh andheri raat
din ki surat mujh ko bhi kha ja aa kar
main bhi hun behosh andheri raat
shahron mein khamoshi hi khamoshi thi
tufan tha pur-josh andheri raat
kya jaane kis ne odha mera paikar
main khwab-e-khargosh andheri raat
chandi jaisi kirnen mujh par mat dalo
mera to sar-posh andheri raat
nind kahan mere ghar aaegi 'badnam'
main khana-bar-dosh andheri raat
faisla ho gaya hai raat gae
faisla ho gaya hai raat gae
lautne vo gaya hai raat gae
vo sahar ka safir tha shayad
raushni bo gaya hai raat gae
ishq tu bhi zara tika le kamar
dil bhi ab so gaya hai raat gae
vaqt kante nae bichhaega
raste dho gaya hai raat gae
chain padta nahin 'naim' tujhe
jaane kya kho gaya hai raat gae
faisla ho gaya hai raat gae
lautne wo gaya hai raat gae
wo sahar ka safir tha shayad
raushni bo gaya hai raat gae
ishq tu bhi zara tika le kamar
dil bhi ab so gaya hai raat gae
waqt kante nae bichhaega
raste dho gaya hai raat gae
chain padta nahin 'naim' tujhe
jaane kya kho gaya hai raat gae
teri yaadon ke charaghon mein ye jalti hui raat
tiri yadon ke charaghhon men ye jalti hui raat
miri ankhon se chhalakti rahi dhalti hui raat
sam-e-imroz se maara hua haara hua din
kisi farda ki umidon pe bahalti hui raat
kabhi ankhon men ruke koi guzarta hua pal
kabhi sanson men atak jaati hai chalti hui raat
na tala hai kabhi zakhmon men sulagta hua din
na thami hai kabhi ashkon men ubalti hui raat
mire hathon ki lakiron men mashaqqat din ki
mire khvabon ke muqaddar men hai dhalti hui raat
teri yaadon ke charaghon mein ye jalti hui raat
meri aankhon se chhalakti rahi dhalti hui raat
sam-e-imroz se mara hua haara hua din
kisi farda ki umidon pe bahalti hui raat
kabhi aankhon mein ruke koi guzarta hua pal
kabhi sanson mein atak jati hai chalti hui raat
na tala hai kabhi zakhmon mein sulagta hua din
na thami hai kabhi ashkon mein ubalti hui raat
mere hathon ki lakiron mein mashaqqat din ki
mere khwabon ke muqaddar mein hai dhalti hui raat