Poetry Collection

Romantic

You may well appreciate how dull this life would be without romance. This romance could be for anything—the images of nature, or those aspects related with human relationships. Life confronts us with its stark realities and we seek our redemption through romance with various objects of life. Here you have different facets of romance drawn from diverse manifestations of life.

Total

100

Sher

50

Ghazal

50

Nazm

0

Featured Picks

Is collection se writer-diverse top picks for quick reading.

GhazalRead Full

umr guzregi imtihan mein kya

umr guzregi imtihan men kya daaghh hi denge mujh ko daan men kya meri har baat be-asar hi rahi nuqs hai kuchh mire bayan men kya mujh ko to koi tokta bhi nahin yahi hota hai khandan men kya apni mahrumiyan chhupate hain ham ghharibon ki an-ban men kya khud ko jaana juda zamane se aa gaya tha mire guman men kya shaam hi se dukan-e-did hai band nahin nuqsan tak dukan men kya ai mire subh-o-sham-e-dil ki shafaq tu nahati hai ab bhi baan men kya bolte kyuun nahin mire haq men aable pad gae zaban men kya khamushi kah rahi hai kaan men kya aa raha hai mire guman men kya dil ki aate hain jis ko dhyan bahut khud bhi aata hai apne dhyan men kya vo mile to ye puchhna hai mujhe ab bhi huun main tiri amaan men kya yuun jo takta hai asman ko tu koi rahta hai asman men kya hai nasim-e-bahar gard-alud khaak udti hai us makan men kya ye mujhe chain kyuun nahin padta ek hi shakhs tha jahan men kya umr guzregi imtihan mein kya dagh hi denge mujh ko dan mein kya meri har baat be-asar hi rahi nuqs hai kuchh mere bayan mein kya mujh ko to koi tokta bhi nahin yahi hota hai khandan mein kya apni mahrumiyan chhupate hain hum gharibon ki aan-ban mein kya khud ko jaana juda zamane se aa gaya tha mere guman mein kya sham hi se dukan-e-did hai band nahin nuqsan tak dukan mein kya ai mere subh-o-sham-e-dil ki shafaq tu nahati hai ab bhi ban mein kya bolte kyun nahin mere haq mein aable pad gae zaban mein kya khamushi kah rahi hai kan mein kya aa raha hai mere guman mein kya dil ki aate hain jis ko dhyan bahut khud bhi aata hai apne dhyan mein kya wo mile to ye puchhna hai mujhe ab bhi hun main teri aman mein kya yun jo takta hai aasman ko tu koi rahta hai aasman mein kya hai nasim-e-bahaar gard-alud khak udti hai us makan mein kya ye mujhe chain kyun nahin padta ek hi shakhs tha jahan mein kya

ujale apni yaadon ke hamare sath rahne do na jaane kis gali mein zindagi ki sham ho jae

GhazalRead Full

suna hai log use aankh bhar ke dekhte hain

suna hai log use aankh bhar ke dekhte hain so us ke shahr men kuchh din thahar ke dekhte hain suna hai rabt hai us ko kharab-halon se so apne aap ko barbad kar ke dekhte hain suna hai dard ki gahak hai chashm-e-naz us ki so ham bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain suna hai us ko bhi hai sher o shairi se shaghhaf so ham bhi moajize apne hunar ke dekhte hain suna hai bole to baton se phuul jhadte hain ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain suna hai raat use chand takta rahta hai sitare bam-e-falak se utar ke dekhte hain suna hai din ko use titliyan satati hain suna hai raat ko jugnu thahar ke dekhte hain suna hai hashr hain us ki ghhazal si ankhen suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain suna hai raat se badh kar hain kakulen us ki suna hai shaam ko saae guzar ke dekhte hain suna hai us ki siyah-chashmagi qayamat hai so us ko surma-farosh aah bhar ke dekhte hain suna hai us ke labon se gulab jalte hain so ham bahar pe ilzam dhar ke dekhte hain suna hai aaina timsal hai jabin us ki jo saada dil hain use ban-sanvar ke dekhte hain suna hai jab se hamail hain us ki gardan men mizaj aur hi laal o guhar ke dekhte hain suna hai chashm-e-tasavvur se dasht-e-imkan men palang zaviye us ki kamar ke dekhte hain suna hai us ke badan ki tarash aisi hai ki phuul apni qabaen katar ke dekhte hain vo sarv-qad hai magar be-gul-e-murad nahin ki us shajar pe shagufe samar ke dekhte hain bas ik nigah se lutta hai qafila dil ka so rah-ravan-e-tamanna bhi dar ke dekhte hain suna hai us ke shabistan se muttasil hai bahisht makin udhar ke bhi jalve idhar ke dekhte hain ruke to gardishen us ka tavaf karti hain chale to us ko zamane thahar ke dekhte hain kise nasib ki be-pairahan use dekhe kabhi kabhi dar o divar ghar ke dekhte hain kahaniyan hi sahi sab mubalghhe hi sahi agar vo khvab hai tabir kar ke dekhte hain ab us ke shahr men thahren ki kuuch kar jaaen 'faraz' aao sitare safar ke dekhte hain suna hai log use aankh bhar ke dekhte hain so us ke shahr mein kuchh din thahar ke dekhte hain suna hai rabt hai us ko kharab-haalon se so apne aap ko barbaad kar ke dekhte hain suna hai dard ki gahak hai chashm-e-naz us ki so hum bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain suna hai us ko bhi hai sher o shairi se shaghaf so hum bhi moajize apne hunar ke dekhte hain suna hai bole to baaton se phul jhadte hain ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain suna hai raat use chand takta rahta hai sitare baam-e-falak se utar ke dekhte hain suna hai din ko use titliyan satati hain suna hai raat ko jugnu thahar ke dekhte hain suna hai hashr hain us ki ghazal si aankhen suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain suna hai raat se badh kar hain kakulen us ki suna hai sham ko sae guzar ke dekhte hain suna hai us ki siyah-chashmagi qayamat hai so us ko surma-farosh aah bhar ke dekhte hain suna hai us ke labon se gulab jalte hain so hum bahaar pe ilzam dhar ke dekhte hain suna hai aaina timsal hai jabin us ki jo sada dil hain use ban-sanwar ke dekhte hain suna hai jab se hamail hain us ki gardan mein mizaj aur hi lal o guhar ke dekhte hain suna hai chashm-e-tasawwur se dasht-e-imkan mein palang zawiye us ki kamar ke dekhte hain suna hai us ke badan ki tarash aisi hai ki phul apni qabaen katar ke dekhte hain wo sarw-qad hai magar be-gul-e-murad nahin ki us shajar pe shagufe samar ke dekhte hain bas ek nigah se lutta hai qafila dil ka so rah-rawan-e-tamanna bhi dar ke dekhte hain suna hai us ke shabistan se muttasil hai bahisht makin udhar ke bhi jalwe idhar ke dekhte hain ruke to gardishen us ka tawaf karti hain chale to us ko zamane thahar ke dekhte hain kise nasib ki be-pairahan use dekhe kabhi kabhi dar o diwar ghar ke dekhte hain kahaniyan hi sahi sab mubaalghe hi sahi agar wo khwab hai tabir kar ke dekhte hain ab us ke shahr mein thahren ki kuch kar jaen 'faraaz' aao sitare safar ke dekhte hain

hum ne us ko itna dekha jitna dekha ja sakta tha lekin phir bhi do aankhon se kitna dekha ja sakta tha

GhazalRead Full

kitne aish se rahte honge kitne itraate honge

kitne aish se rahte honge kitne itrate honge jaane kaise log vo honge jo us ko bhate honge shaam hue khush-bash yahan ke mere paas aa jaate hain mere bujhne ka nazzara karne aa jaate honge vo jo na aane vaala hai na us se mujh ko matlab tha aane valon se kya matlab aate hain aate honge us ki yaad ki bad-e-saba men aur to kya hota hoga yunhi mere baal hain bikhre aur bikhar jaate honge yaaro kuchh to zikr karo tum us ki qayamat banhon ka vo jo simatte honge un men vo to mar jaate honge mera saans ukhadte hi sab bain karenge roenge yaani mere baad bhi yaani saans liye jaate honge kitne aish se rahte honge kitne itraate honge jaane kaise log wo honge jo us ko bhate honge sham hue khush-bash yahan ke mere pas aa jate hain mere bujhne ka nazzara karne aa jate honge wo jo na aane wala hai na us se mujh ko matlab tha aane walon se kya matlab aate hain aate honge us ki yaad ki baad-e-saba mein aur to kya hota hoga yunhi mere baal hain bikhre aur bikhar jate honge yaro kuchh to zikr karo tum us ki qayamat banhon ka wo jo simatte honge un mein wo to mar jate honge mera sans ukhadte hi sab bain karenge roenge yani mere baad bhi yani sans liye jate honge

GhazalRead Full

chupke chupke raat din aansu bahana yaad hai

chupke chupke raat din aansu bahana yaad hai ham ko ab tak ashiqi ka vo zamana yaad hai ba-hazaran iztirab o sad-hazaran ishtiyaq tujh se vo pahle-pahal dil ka lagana yaad hai baar baar uthna usi janib nigah-e-shauq ka aur tira ghhurfe se vo ankhen ladana yaad hai tujh se kuchh milte hi vo bebak ho jaana mira aur tira danton men vo ungli dabana yaad hai khinch lena vo mira parde ka kona dafatan aur dupatte se tira vo munh chhupana yaad hai jaan kar sota tujhe vo qasd-e-pa-bosi mira aur tira thukra ke sar vo muskurana yaad hai tujh ko jab tanha kabhi paana to az-rah-e-lihaz hal-e-dil baton hi baton men jatana yaad hai jab siva mere tumhara koi divana na tha sach kaho kuchh tum ko bhi vo kar-khana yaad hai ghhair ki nazron se bach kar sab ki marzi ke khilaf vo tira chori-chhupe raton ko aana yaad hai aa gaya gar vasl ki shab bhi kahin zikr-e-firaq vo tira ro ro ke mujh ko bhi rulana yaad hai dopahar ki dhuup men mere bulane ke liye vo tira kothe pe nange paanv aana yaad hai aaj tak nazron men hai vo sohbat-e-raz-o-niyaz apna jaana yaad hai tera bulana yaad hai mithi mithi chhed kar baten nirali pyaar ki zikr dushman ka vo baton men udana yaad hai dekhna mujh ko jo bargashta to sau sau naaz se jab mana lena to phir khud ruuth jaana yaad hai chori chori ham se tum aa kar mile the jis jagah muddaten guzrin par ab tak vo thikana yaad hai shauq men mehndi ke vo be-dast-o-pa hona tira aur mira vo chhedna vo gudgudana yaad hai bavajud-e-iddia-e-ittiqa 'hasrat' mujhe aaj tak ahd-e-havas ka vo fasana yaad hai chupke chupke raat din aansu bahana yaad hai hum ko ab tak aashiqi ka wo zamana yaad hai ba-hazaran iztirab o sad-hazaran ishtiyaq tujh se wo pahle-pahal dil ka lagana yaad hai bar bar uthna usi jaanib nigah-e-shauq ka aur tera ghurfe se wo aankhen ladana yaad hai tujh se kuchh milte hi wo bebak ho jaana mera aur tera danton mein wo ungli dabana yaad hai khinch lena wo mera parde ka kona dafatan aur dupatte se tera wo munh chhupana yaad hai jaan kar sota tujhe wo qasd-e-pa-bosi mera aur tera thukra ke sar wo muskurana yaad hai tujh ko jab tanha kabhi pana to az-rah-e-lihaz haal-e-dil baaton hi baaton mein jatana yaad hai jab siwa mere tumhaara koi diwana na tha sach kaho kuchh tum ko bhi wo kar-khana yaad hai ghair ki nazron se bach kar sab ki marzi ke khilaf wo tera chori-chhupe raaton ko aana yaad hai aa gaya gar wasl ki shab bhi kahin zikr-e-firaq wo tera ro ro ke mujh ko bhi rulana yaad hai dopahar ki dhup mein mere bulane ke liye wo tera kothe pe nange panw aana yaad hai aaj tak nazron mein hai wo sohbat-e-raaz-o-niyaz apna jaana yaad hai tera bulana yaad hai mithi mithi chhed kar baaten nirali pyar ki zikr dushman ka wo baaton mein udana yaad hai dekhna mujh ko jo bargashta to sau sau naz se jab mana lena to phir khud ruth jaana yaad hai chori chori hum se tum aa kar mile the jis jagah muddaten guzrin par ab tak wo thikana yaad hai shauq mein mehndi ke wo be-dast-o-pa hona tera aur mera wo chhedna wo gudgudana yaad hai bawajud-e-iddia-e-ittiqa 'hasrat' mujhe aaj tak ahd-e-hawas ka wo fasana yaad hai

GhazalRead Full

ku-ba-ku phail gai baat shanasai ki

ku-ba-ku phail gai baat shanasai ki us ne khushbu ki tarah meri pazirai ki the news of our affinity has spread to every door he welcomed me like fragrance which he did adore kaise kah duun ki mujhe chhod diya hai us ne baat to sach hai magar baat hai rusvai ki how can i say that i have been deserted by my beau its true but this will cause me to be shamed for evermore vo kahin bhi gaya lauta to mire paas aaya bas yahi baat hai achchhi mire harjai ki each time he deserted me, came back to me once more i like this very aspect of my faithless paramour tera pahlu tire dil ki tarah abad rahe tujh pe guzre na qayamat shab-e-tanhai ki just as your heart is full of love, be dear ones by your side may pain of long and lonely nights be never in your store us ne jalti hui peshani pe jab haath rakha ruuh tak aa gai tasir masihai ki when he gently placed his hand upon my burning brow it was as though the saviour's touch had infused my core ab bhi barsat ki raton men badan tutta hai jaag uthti hain ajab khvahishen angdai ki till even now in rainy climes, my limbs are aching, sore the yen to stretch out languidly then comes to the fore ku-ba-ku phail gai baat shanasai ki us ne khushbu ki tarah meri pazirai ki the news of our affinity has spread to every door he welcomed me like fragrance which he did adore kaise kah dun ki mujhe chhod diya hai us ne baat to sach hai magar baat hai ruswai ki how can i say that i have been deserted by my beau its true but this will cause me to be shamed for evermore wo kahin bhi gaya lauta to mere pas aaya bas yahi baat hai achchhi mere harjai ki each time he deserted me, came back to me once more i like this very aspect of my faithless paramour tera pahlu tere dil ki tarah aabaad rahe tujh pe guzre na qayamat shab-e-tanhai ki just as your heart is full of love, be dear ones by your side may pain of long and lonely nights be never in your store us ne jalti hui peshani pe jab hath rakha ruh tak aa gai tasir masihai ki when he gently placed his hand upon my burning brow it was as though the saviour's touch had infused my core ab bhi barsat ki raaton mein badan tutta hai jag uthti hain ajab khwahishen angdai ki till even now in rainy climes, my limbs are aching, sore the yen to stretch out languidly then comes to the fore

GhazalRead Full

itni muddat baad mile ho

itni muddat baad mile ho kin sochon men gum phirte ho itne khaif kyuun rahte ho har aahat se dar jaate ho tez hava ne mujh se puchha ret pe kya likhte rahte ho kaash koi ham se bhi puchhe raat gae tak kyuun jaage ho men dariya se bhi darta huun tum dariya se bhi gahre ho kaun si baat hai tum men aisi itne achchhe kyuun lagte ho pichhe mud kar kyuun dekha tha patthar ban kar kya takte ho jaao jiit ka jashn manao men jhuta huun tum sachche ho apne shahar ke sab logon se meri khatir kyuun uljhe ho kahne ko rahte ho dil men phir bhi kitne duur khade ho raat hamen kuchh yaad nahin tha raat bahut hi yaad aae ho ham se na puchho hijr ke qisse apni kaho ab tum kaise ho 'mohsin' tum badnam bahut ho jaise ho phir bhi achchhe ho itni muddat baad mile ho kin sochon mein gum phirte ho itne khaif kyun rahte ho har aahat se dar jate ho tez hawa ne mujh se puchha ret pe kya likhte rahte ho kash koi hum se bhi puchhe raat gae tak kyun jage ho mein dariya se bhi darta hun tum dariya se bhi gahre ho kaun si baat hai tum mein aisi itne achchhe kyun lagte ho pichhe mud kar kyun dekha tha patthar ban kar kya takte ho jao jit ka jashn manao mein jhuta hun tum sachche ho apne shahar ke sab logon se meri khatir kyun uljhe ho kahne ko rahte ho dil mein phir bhi kitne dur khade ho raat hamein kuchh yaad nahin tha raat bahut hi yaad aae ho hum se na puchho hijr ke qisse apni kaho ab tum kaise ho 'mohsin' tum badnam bahut ho jaise ho phir bhi achchhe ho

GhazalRead Full

fasle aise bhi honge ye kabhi socha na tha

fasle aise bhi honge ye kabhi socha na tha samne baitha tha mere aur vo mera na tha vo ki khushbu ki tarah phaila tha mere char-su main use mahsus kar sakta tha chhu sakta na tha raat bhar pichhli si aahat kaan men aati rahi jhank kar dekha gali men koi bhi aaya na tha main tiri surat liye saare zamane men phira saari duniya men magar koi tire jaisa na tha aaj milne ki khushi men sirf main jaaga nahin teri ankhon se bhi lagta hai ki tu soya na tha ye sabhi viraniyan us ke juda hone se thiin aankh dhundlai hui thi shahr dhundlaya na tha sainkadon tufan lafzon men dabe the zer-e-lab ek patthar tha khamoshi ka ki jo hatta na tha yaad kar ke aur bhi taklif hoti thi 'adim' bhuul jaane ke siva ab koi bhi chara na tha maslahat ne ajnabi ham ko banaya tha 'adim' varna kab ik dusre ko ham ne pahchana na tha fasle aise bhi honge ye kabhi socha na tha samne baitha tha mere aur wo mera na tha wo ki khushbu ki tarah phaila tha mere chaar-su main use mahsus kar sakta tha chhu sakta na tha raat bhar pichhli si aahat kan mein aati rahi jhank kar dekha gali mein koi bhi aaya na tha main teri surat liye sare zamane mein phira sari duniya mein magar koi tere jaisa na tha aaj milne ki khushi mein sirf main jaga nahin teri aankhon se bhi lagta hai ki tu soya na tha ye sabhi viraniyan us ke juda hone se thin aankh dhundlai hui thi shahr dhundlaya na tha sainkadon tufan lafzon mein dabe the zer-e-lab ek patthar tha khamoshi ka ki jo hatta na tha yaad kar ke aur bhi taklif hoti thi 'adim' bhul jaane ke siwa ab koi bhi chaara na tha maslahat ne ajnabi hum ko banaya tha 'adim' warna kab ek dusre ko hum ne pahchana na tha

GhazalRead Full

yunhi be-sabab na phira karo koi sham ghar mein raha karo

yunhi be-sabab na phira karo koi shaam ghar men raha karo vo ghhazal ki sachchi kitab hai use chupke chupke padha karo koi haath bhi na milaega jo gale miloge tapak se ye nae mizaj ka shahr hai zara fasle se mila karo abhi raah men kai mod hain koi aaega koi jaega tumhen jis ne dil se bhula diya use bhulne ki dua karo mujhe ishtihar si lagti hain ye mohabbaton ki kahaniyan jo kaha nahin vo suna karo jo suna nahin vo kaha karo kabhi husn-e-parda-nashin bhi ho zara ashiqana libas men jo main ban sanvar ke kahin chalun mire saath tum bhi chala karo nahin be-hijab vo chand sa ki nazar ka koi asar na ho use itni garmi-e-shauq se badi der tak na taka karo ye khizan ki zard si shaal men jo udaas ped ke paas hai ye tumhare ghar ki bahar hai use ansuon se hara karo yunhi be-sabab na phira karo koi sham ghar mein raha karo wo ghazal ki sachchi kitab hai use chupke chupke padha karo koi hath bhi na milaega jo gale miloge tapak se ye nae mizaj ka shahr hai zara fasle se mila karo abhi rah mein kai mod hain koi aaega koi jaega tumhein jis ne dil se bhula diya use bhulne ki dua karo mujhe ishtihaar si lagti hain ye mohabbaton ki kahaniyan jo kaha nahin wo suna karo jo suna nahin wo kaha karo kabhi husn-e-parda-nashin bhi ho zara aashiqana libas mein jo main ban sanwar ke kahin chalun mere sath tum bhi chala karo nahin be-hijab wo chand sa ki nazar ka koi asar na ho use itni garmi-e-shauq se badi der tak na taka karo ye khizan ki zard si shaal mein jo udas ped ke pas hai ye tumhaare ghar ki bahaar hai use aansuon se hara karo

yaro kuchh to zikr karo tum us ki qayamat banhon ka wo jo simatte honge un mein wo to mar jate honge

GhazalRead Full

koi fariyaad tere dil mein dabi ho jaise

koi fariyad tire dil men dabi ho jaise tu ne ankhon se koi baat kahi ho jaise jagte jagte ik umr kati ho jaise jaan baaqi hai magar saans ruki ho jaise har mulaqat pe mahsus yahi hota hai mujh se kuchh teri nazar puchh rahi ho jaise raah chalte hue aksar ye guman hota hai vo nazar chhup ke mujhe dekh rahi ho jaise ek lamhe men simat aaya hai sadiyon ka safar zindagi tez bahut tez chali ho jaise is tarah pahron tujhe sochta rahta huun main meri har saans tire naam likhi ho jaise koi fariyaad tere dil mein dabi ho jaise tu ne aankhon se koi baat kahi ho jaise jagte jagte ek umr kati ho jaise jaan baqi hai magar sans ruki ho jaise har mulaqat pe mahsus yahi hota hai mujh se kuchh teri nazar puchh rahi ho jaise rah chalte hue aksar ye guman hota hai wo nazar chhup ke mujhe dekh rahi ho jaise ek lamhe mein simat aaya hai sadiyon ka safar zindagi tez bahut tez chali ho jaise is tarah pahron tujhe sochta rahta hun main meri har sans tere nam likhi ho jaise

GhazalRead Full

jab se tu ne mujhe diwana bana rakkha hai

jab se tu ne mujhe divana bana rakkha hai sang har shakhs ne hathon men utha rakkha hai us ke dil par bhi kadi ishq men guzri hogi naam jis ne bhi mohabbat ka saza rakkha hai pattharo aaj mire sar pe baraste kyuun ho main ne tum ko bhi kabhi apna khuda rakkha hai ab miri diid ki duniya bhi tamashai hai tu ne kya mujh ko mohabbat men bana rakkha hai pi ja ayyam ki talkhi ko bhi hans kar 'nasir' ghham ko sahne men bhi qudrat ne maza rakkha hai jab se tu ne mujhe diwana bana rakkha hai sang har shakhs ne hathon mein utha rakkha hai us ke dil par bhi kadi ishq mein guzri hogi nam jis ne bhi mohabbat ka saza rakkha hai pattharo aaj mere sar pe baraste kyun ho main ne tum ko bhi kabhi apna khuda rakkha hai ab meri did ki duniya bhi tamashai hai tu ne kya mujh ko mohabbat mein bana rakkha hai pi ja ayyam ki talkhi ko bhi hans kar 'nasir' gham ko sahne mein bhi qudrat ne maza rakkha hai

GhazalRead Full

dil mein ek lahr si uthi hai abhi

dil men ik lahr si uthi hai abhi koi taaza hava chali hai abhi kuchh to nazuk mizaj hain ham bhi aur ye chot bhi nai hai abhi shor barpa hai khana-e-dil men koi divar si giri hai abhi bhari duniya men ji nahin lagta jaane kis chiiz ki kami hai abhi tu sharik-e-sukhan nahin hai to kya ham-sukhan teri khamushi hai abhi yaad ke be-nishan jaziron se teri avaz aa rahi hai abhi shahr ki be-charaghh galiyon men zindagi tujh ko dhundti hai abhi so gae log us haveli ke ek khidki magar khuli hai abhi tum to yaaro abhi se uth baithe shahr men raat jagti hai abhi vaqt achchha bhi aaega 'nasir' ghham na kar zindagi padi hai abhi dil mein ek lahr si uthi hai abhi koi taza hawa chali hai abhi kuchh to nazuk mizaj hain hum bhi aur ye chot bhi nai hai abhi shor barpa hai khana-e-dil mein koi diwar si giri hai abhi bhari duniya mein ji nahin lagta jaane kis chiz ki kami hai abhi tu sharik-e-sukhan nahin hai to kya ham-sukhan teri khamushi hai abhi yaad ke be-nishan jaziron se teri aawaz aa rahi hai abhi shahr ki be-charagh galiyon mein zindagi tujh ko dhundti hai abhi so gae log us haweli ke ek khidki magar khuli hai abhi tum to yaro abhi se uth baithe shahr mein raat jagti hai abhi waqt achchha bhi aaega 'nasir' gham na kar zindagi padi hai abhi

GhazalRead Full

jhuki jhuki si nazar be-qarar hai ki nahin

jhuki jhuki si nazar be-qarar hai ki nahin daba daba sa sahi dil men pyaar hai ki nahin tu apne dil ki javan dhadkanon ko gin ke bata miri tarah tira dil be-qarar hai ki nahin vo pal ki jis men mohabbat javan hoti hai us ek pal ka tujhe intizar hai ki nahin tiri umiid pe thukra raha huun duniya ko tujhe bhi apne pe ye e'tibar hai ki nahin jhuki jhuki si nazar be-qarar hai ki nahin daba daba sa sahi dil mein pyar hai ki nahin tu apne dil ki jawan dhadkanon ko gin ke bata meri tarah tera dil be-qarar hai ki nahin wo pal ki jis mein mohabbat jawan hoti hai us ek pal ka tujhe intizar hai ki nahin teri umid pe thukra raha hun duniya ko tujhe bhi apne pe ye e'tibar hai ki nahin

GhazalRead Full

hum ko kis ke gham ne mara ye kahani phir sahi

ham ko kis ke ghham ne maara ye kahani phir sahi kis ne toda dil hamara ye kahani phir sahi dil ke lutne ka sabab puchho na sab ke samne naam aaega tumhara ye kahani phir sahi nafraton ke tiir kha kar doston ke shahr men ham ne kis kis ko pukara ye kahani phir sahi kya bataen pyaar ki baazi vafa ki raah men kaun jiita kaun haara ye kahani phir sahi hum ko kis ke gham ne mara ye kahani phir sahi kis ne toda dil hamara ye kahani phir sahi dil ke lutne ka sabab puchho na sab ke samne nam aaega tumhaara ye kahani phir sahi nafraton ke tir kha kar doston ke shahr mein hum ne kis kis ko pukara ye kahani phir sahi kya bataen pyar ki bazi wafa ki rah mein kaun jita kaun haara ye kahani phir sahi

GhazalRead Full

na ji bhar ke dekha na kuchh baat ki

na ji bhar ke dekha na kuchh baat ki badi aarzu thi mulaqat ki ujalon ki pariyan nahane lagin nadi gungunai khayalat ki main chup tha to chalti hava ruk gai zaban sab samajhte hain jazbat ki muqaddar miri chashm-e-pur-ab ka barasti hui raat barsat ki kai saal se kuchh khabar hi nahin kahan din guzara kahan raat ki na ji bhar ke dekha na kuchh baat ki badi aarzu thi mulaqat ki ujalon ki pariyan nahane lagin nadi gungunai khayalat ki main chup tha to chalti hawa ruk gai zaban sab samajhte hain jazbaat ki muqaddar meri chashm-e-pur-ab ka barasti hui raat barsat ki kai sal se kuchh khabar hi nahin kahan din guzara kahan raat ki

sab log jidhar wo hain udhar dekh rahe hain hum dekhne walon ki nazar dekh rahe hain the couplet contrasts common attention with the speaker’s sharper, second-level observation. while the crowd stares at the beloved, the lover reads the crowd’s gaze—measuring desire, envy, and fascination. it hints at possessiveness and a quiet rivalry: the beloved is one, but the eyes upon them are many. the emotional core is alert, slightly jealous, and intensely self-aware.

GhazalRead Full

gahe gahe bas ab yahi ho kya

gaahe gaahe bas ab yahi ho kya tum se mil kar bahut khushi ho kya mil rahi ho bade tapak ke saath mujh ko yaksar bhula chuki ho kya yaad hain ab bhi apne khvab tumhen mujh se mil kar udaas bhi ho kya bas mujhe yunhi ik khayal aaya sochti ho to sochti ho kya ab miri koi zindagi hi nahin ab bhi tum meri zindagi ho kya kya kaha ishq javedani hai! akhiri baar mil rahi ho kya haan faza yaan ki soi soi si hai to bahut tez raushni ho kya mere sab tanz be-asar hi rahe tum bahut duur ja chuki ho kya dil men ab soz-e-intizar nahin sham-e-ummid bujh gai ho kya is samundar pe tishna-kam huun main baan tum ab bhi bah rahi ho kya gahe gahe bas ab yahi ho kya tum se mil kar bahut khushi ho kya mil rahi ho bade tapak ke sath mujh ko yaksar bhula chuki ho kya yaad hain ab bhi apne khwab tumhein mujh se mil kar udas bhi ho kya bas mujhe yunhi ek khayal aaya sochti ho to sochti ho kya ab meri koi zindagi hi nahin ab bhi tum meri zindagi ho kya kya kaha ishq jawedani hai! aakhiri bar mil rahi ho kya han faza yan ki soi soi si hai to bahut tez raushni ho kya mere sab tanz be-asar hi rahe tum bahut dur ja chuki ho kya dil mein ab soz-e-intizar nahin sham-e-ummid bujh gai ho kya is samundar pe tishna-kaam hun main ban tum ab bhi bah rahi ho kya

Explore Similar Collections

Romantic FAQs

Romantic collection me kya milega?

Romantic se related curated sher, selected ghazal excerpts aur context-friendly reading flow milega.

Kya is page ki links internal hain?

Haan, collection links, writer links aur detail links sab Kuch Alfaaz ke internal routes par map kiye gaye hain.

Collection ko kaise explore karein?

Type filter (Sher/Ghazal/Nazm), featured picks aur similar collections rail use karke fast discovery kar sakte hain.