ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa
ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa
aa phir se mujhe chhod ke jaane ke liye aa
even if you are annoyed come just to give me pain
come even if you have to then leave me yet again
kuchh to mire pindar-e-mohabbat ka bharam rakh
tu bhi to kabhi mujh ko manane ke liye aa
the notion of my love's self-pride please do pacify
you should surely come one day and try to mollify
pahle se marasim na sahi phir bhi kabhi to
rasm-o-rah-e-duniya hi nibhane ke liye aa
even tho no longer close we are as used to be
come even if it's purely for sake of formality
kis kis ko bataenge judai ka sabab ham
tu mujh se khafa hai to zamane ke liye aa
the reason for our parting to whom should i relate
if cross with methen come and to the world narrate
ik 'umr se huun lazzat-e-girya se bhi mahrum
ai rahat-e-jan mujh ko rulane ke liye aa
a lifetime have i missed the joy of tearful ecstasy
life's comfort thus to make me cry, you should come to me
ab tak dil-e-khush-fahm ko tujh se hain umiden
ye akhiri sham'en bhi bujhane ke liye aa
my heart is optimistic yet, its hopes are still alive
come to snuff it out, let not this final flame survive
ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa
aa phir se mujhe chhod ke jaane ke liye aa
even if you are annoyed come just to give me pain
come even if you have to then leave me yet again
kuchh to mere pindar-e-mohabbat ka bharam rakh
tu bhi to kabhi mujh ko manane ke liye aa
the notion of my love's self-pride please do pacify
you should surely come one day and try to mollify
pahle se marasim na sahi phir bhi kabhi to
rasm-o-rah-e-duniya hi nibhane ke liye aa
even tho no longer close we are as used to be
come even if it's purely for sake of formality
kis kis ko bataenge judai ka sabab hum
tu mujh se khafa hai to zamane ke liye aa
the reason for our parting to whom should i relate
if cross with methen come and to the world narrate
ek 'umr se hun lazzat-e-girya se bhi mahrum
ai rahat-e-jaan mujh ko rulane ke liye aa
a lifetime have i missed the joy of tearful ecstasy
life's comfort thus to make me cry, you should come to me
ab tak dil-e-khush-fahm ko tujh se hain umiden
ye aakhiri sham'en bhi bujhane ke liye aa
my heart is optimistic yet, its hopes are still alive
come to snuff it out, let not this final flame survive
chupke chupke raat din aansu bahana yaad hai
chupke chupke raat din aansu bahana yaad hai
ham ko ab tak ashiqi ka vo zamana yaad hai
ba-hazaran iztirab o sad-hazaran ishtiyaq
tujh se vo pahle-pahal dil ka lagana yaad hai
baar baar uthna usi janib nigah-e-shauq ka
aur tira ghhurfe se vo ankhen ladana yaad hai
tujh se kuchh milte hi vo bebak ho jaana mira
aur tira danton men vo ungli dabana yaad hai
khinch lena vo mira parde ka kona dafatan
aur dupatte se tira vo munh chhupana yaad hai
jaan kar sota tujhe vo qasd-e-pa-bosi mira
aur tira thukra ke sar vo muskurana yaad hai
tujh ko jab tanha kabhi paana to az-rah-e-lihaz
hal-e-dil baton hi baton men jatana yaad hai
jab siva mere tumhara koi divana na tha
sach kaho kuchh tum ko bhi vo kar-khana yaad hai
ghhair ki nazron se bach kar sab ki marzi ke khilaf
vo tira chori-chhupe raton ko aana yaad hai
aa gaya gar vasl ki shab bhi kahin zikr-e-firaq
vo tira ro ro ke mujh ko bhi rulana yaad hai
dopahar ki dhuup men mere bulane ke liye
vo tira kothe pe nange paanv aana yaad hai
aaj tak nazron men hai vo sohbat-e-raz-o-niyaz
apna jaana yaad hai tera bulana yaad hai
mithi mithi chhed kar baten nirali pyaar ki
zikr dushman ka vo baton men udana yaad hai
dekhna mujh ko jo bargashta to sau sau naaz se
jab mana lena to phir khud ruuth jaana yaad hai
chori chori ham se tum aa kar mile the jis jagah
muddaten guzrin par ab tak vo thikana yaad hai
shauq men mehndi ke vo be-dast-o-pa hona tira
aur mira vo chhedna vo gudgudana yaad hai
bavajud-e-iddia-e-ittiqa 'hasrat' mujhe
aaj tak ahd-e-havas ka vo fasana yaad hai
chupke chupke raat din aansu bahana yaad hai
hum ko ab tak aashiqi ka wo zamana yaad hai
ba-hazaran iztirab o sad-hazaran ishtiyaq
tujh se wo pahle-pahal dil ka lagana yaad hai
bar bar uthna usi jaanib nigah-e-shauq ka
aur tera ghurfe se wo aankhen ladana yaad hai
tujh se kuchh milte hi wo bebak ho jaana mera
aur tera danton mein wo ungli dabana yaad hai
khinch lena wo mera parde ka kona dafatan
aur dupatte se tera wo munh chhupana yaad hai
jaan kar sota tujhe wo qasd-e-pa-bosi mera
aur tera thukra ke sar wo muskurana yaad hai
tujh ko jab tanha kabhi pana to az-rah-e-lihaz
haal-e-dil baaton hi baaton mein jatana yaad hai
jab siwa mere tumhaara koi diwana na tha
sach kaho kuchh tum ko bhi wo kar-khana yaad hai
ghair ki nazron se bach kar sab ki marzi ke khilaf
wo tera chori-chhupe raaton ko aana yaad hai
aa gaya gar wasl ki shab bhi kahin zikr-e-firaq
wo tera ro ro ke mujh ko bhi rulana yaad hai
dopahar ki dhup mein mere bulane ke liye
wo tera kothe pe nange panw aana yaad hai
aaj tak nazron mein hai wo sohbat-e-raaz-o-niyaz
apna jaana yaad hai tera bulana yaad hai
mithi mithi chhed kar baaten nirali pyar ki
zikr dushman ka wo baaton mein udana yaad hai
dekhna mujh ko jo bargashta to sau sau naz se
jab mana lena to phir khud ruth jaana yaad hai
chori chori hum se tum aa kar mile the jis jagah
muddaten guzrin par ab tak wo thikana yaad hai
shauq mein mehndi ke wo be-dast-o-pa hona tera
aur mera wo chhedna wo gudgudana yaad hai
bawajud-e-iddia-e-ittiqa 'hasrat' mujhe
aaj tak ahd-e-hawas ka wo fasana yaad hai
ai mohabbat tere anjam pe rona aaya
ai mohabbat tire anjam pe rona aaya
jaane kyuun aaj tire naam pe rona aaya
love your sad conclusion makes me weep
wonder why your mention makes me weep
yuun to har shaam umidon men guzar jaati hai
aaj kuchh baat hai jo shaam pe rona aaya
every evening was, by hope, sustained
this evening's desperation makes me weep
kabhi taqdir ka matam kabhi duniya ka gila
manzil-e-ishq men har gaam pe rona aaya
lamenting fate, complaining of this life
in course of love each station makes me weep
mujh pe hi khatm hua silsila-e-nauhagari
is qadar gardish-e-ayyam pe rona aaya
the cycle of all mourning stops at me
life's inconstant rotation makes me weep
jab hua zikr zamane men mohabbat ka 'shakil'
mujh ko apne dil-e-nakam pe rona aaya
whenever talk of happiness i hear
my failure and frustration makes me weep
ai mohabbat tere anjam pe rona aaya
jaane kyun aaj tere nam pe rona aaya
love your sad conclusion makes me weep
wonder why your mention makes me weep
yun to har sham umidon mein guzar jati hai
aaj kuchh baat hai jo sham pe rona aaya
every evening was, by hope, sustained
this evening's desperation makes me weep
kabhi taqdir ka matam kabhi duniya ka gila
manzil-e-ishq mein har gam pe rona aaya
lamenting fate, complaining of this life
in course of love each station makes me weep
mujh pe hi khatm hua silsila-e-nauhagari
is qadar gardish-e-ayyam pe rona aaya
the cycle of all mourning stops at me
life's inconstant rotation makes me weep
jab hua zikr zamane mein mohabbat ka 'shakil'
mujh ko apne dil-e-nakaam pe rona aaya
whenever talk of happiness i hear
my failure and frustration makes me weep
dil hi to hai na sang-o-khisht dard se bhar na aae kyun
dil hi to hai na sang-o-khisht dard se bhar na aae kyuun
roenge ham hazar baar koi hamen satae kyuun
it's just a heart, no stony shard; why shouldn't it fill with pain
i will cry a thousand times,why should someone complain?
dair nahin haram nahin dar nahin astan nahin
baithe hain rahguzar pe ham ghhair hamen uthae kyuun
neither door nor threshold 'tis, no temple 'tis nor mosque
why should rivals bid me leave? the street's public domain
jab vo jamal-e-dil-faroz surat-e-mehr-e-nim-roz
aap hi ho nazara-soz parde men munh chhupae kyuun
when she has a lustrous face, as bright as the sun at noon
a burning spectacle is she, why veiled does she remain?
dashna-e-ghhamza jan-sitan navak-e-naz be-panah
tera hi aks-e-rukh sahi samne tere aae kyuun
dagger-like glances, arrow-like airs, fatal well could be
thus even from facing you, your image should refrain
qaid-e-hayat o band-e-ghham asl men donon ek hain
maut se pahle aadmi ghham se najat paae kyuun
prison of life and sorrow's chains in truth are just the same
then relief from pain, ere death,why should man obtain
husn aur us pe husn-e-zan rah gai bul-havas ki sharm
apne pe e'timad hai ghhair ko azmae kyuun
beauty and its self-esteem did spare my rival shame
when she is self-confident, in testing him what gain?
vaan vo ghhurur-e-izz-o-naz yaan ye hijab-e-pas-e-vaza'
raah men ham milen kahan bazm men vo bulae kyuun
she won't call me to her house, by the wayside i can't meet
she is proud of name and grace, and i by form refrain
haan vo nahin khuda-parast jaao vo bevafa sahi
jis ko ho diin o dil aziiz us ki gali men jaae kyuun
let her a non-believer be, unfaithful too, and therefore
if you value faith and heart, then from her street abstain
'ghhalib'-e-khasta ke baghhair kaun se kaam band hain
roiye zaar zaar kya kijiye haae haae kyuun
in poor ghalib's absence say, what tasks are stopped today
then why shed such copious tears, why lament in vain?
dil hi to hai na sang-o-khisht dard se bhar na aae kyun
roenge hum hazar bar koi hamein satae kyun
it's just a heart, no stony shard; why shouldn't it fill with pain
i will cry a thousand times,why should someone complain?
dair nahin haram nahin dar nahin aastan nahin
baithe hain rahguzar pe hum ghair hamein uthae kyun
neither door nor threshold 'tis, no temple 'tis nor mosque
why should rivals bid me leave? the street's public domain
jab wo jamal-e-dil-faroz surat-e-mehr-e-nim-roz
aap hi ho nazara-soz parde mein munh chhupae kyun
when she has a lustrous face, as bright as the sun at noon
a burning spectacle is she, why veiled does she remain?
dashna-e-ghamza jaan-sitan nawak-e-naz be-panah
tera hi aks-e-rukh sahi samne tere aae kyun
dagger-like glances, arrow-like airs, fatal well could be
thus even from facing you, your image should refrain
qaid-e-hayat o band-e-gham asl mein donon ek hain
maut se pahle aadmi gham se najat pae kyun
prison of life and sorrow's chains in truth are just the same
then relief from pain, ere death,why should man obtain
husn aur us pe husn-e-zan rah gai bul-hawas ki sharm
apne pe e'timad hai ghair ko aazmae kyun
beauty and its self-esteem did spare my rival shame
when she is self-confident, in testing him what gain?
wan wo ghurur-e-izz-o-naz yan ye hijab-e-pas-e-waza'
rah mein hum milen kahan bazm mein wo bulae kyun
she won't call me to her house, by the wayside i can't meet
she is proud of name and grace, and i by form refrain
han wo nahin khuda-parast jao wo bewafa sahi
jis ko ho din o dil aziz us ki gali mein jae kyun
let her a non-believer be, unfaithful too, and therefore
if you value faith and heart, then from her street abstain
'ghaalib'-e-khasta ke baghair kaun se kaam band hain
roiye zar zar kya kijiye hae hae kyun
in poor ghalib's absence say, what tasks are stopped today
then why shed such copious tears, why lament in vain?
khayal jis ka tha mujhe khayal mein mila mujhe
khayal jis ka tha mujhe khayal men mila mujhe
saval ka javab bhi saval men mila mujhe
gaya to is tarah gaya ki muddaton nahin mila
mila jo phir to yuun ki vo malal men mila mujhe
tamam ilm ziist ka guzishtagan se hi hua
amal guzishta daur ka misal men mila mujhe
nihal sabz rang men jamal jis ka hai 'munir'
kisi qadim khvab ke muhal men mila mujhe
khayal jis ka tha mujhe khayal mein mila mujhe
sawal ka jawab bhi sawal mein mila mujhe
gaya to is tarah gaya ki muddaton nahin mila
mila jo phir to yun ki wo malal mein mila mujhe
tamam ilm zist ka guzishtagan se hi hua
amal guzishta daur ka misal mein mila mujhe
nihaal sabz rang mein jamal jis ka hai 'munir'
kisi qadim khwab ke muhaal mein mila mujhe
qurbat bhi nahin dil se utar bhi nahin jata
qurbat bhi nahin dil se utar bhi nahin jaata
vo shakhs koi faisla kar bhi nahin jaata
ankhen hain ki khali nahin rahti hain lahu se
aur zakhm-e-judai hai ki bhar bhi nahin jaata
vo rahat-e-jan hai magar is dar-badari men
aisa hai ki ab dhyan udhar bhi nahin jaata
ham dohri aziyyat ke giraftar musafir
paanv bhi hain shal shauq-e-safar bhi nahin jaata
dil ko tiri chahat pe bharosa bhi bahut hai
aur tujh se bichhad jaane ka dar bhi nahin jaata
pagal hue jaate ho 'faraz' us se mile kya
itni si khushi se koi mar bhi nahin jaata
qurbat bhi nahin dil se utar bhi nahin jata
wo shakhs koi faisla kar bhi nahin jata
aankhen hain ki khali nahin rahti hain lahu se
aur zakhm-e-judai hai ki bhar bhi nahin jata
wo rahat-e-jaan hai magar is dar-badari mein
aisa hai ki ab dhyan udhar bhi nahin jata
hum dohri aziyyat ke giraftar musafir
panw bhi hain shal shauq-e-safar bhi nahin jata
dil ko teri chahat pe bharosa bhi bahut hai
aur tujh se bichhad jaane ka dar bhi nahin jata
pagal hue jate ho 'faraaz' us se mile kya
itni si khushi se koi mar bhi nahin jata
rukhsat hua to aankh mila kar nahin gaya
rukhsat hua to aankh mila kar nahin gaya
vo kyuun gaya hai ye bhi bata kar nahin gaya
vo yuun gaya ki bad-e-saba yaad aa gai
ehsas tak bhi ham ko dila kar nahin gaya
yuun lag raha hai jaise abhi laut aaega
jaate hue charaghh bujha kar nahin gaya
bas ik lakir khinch gaya darmiyan men
divar raste men bana kar nahin gaya
shayad vo mil hi jaae magar justuju hai shart
vo apne naqsh-e-pa to mita kar nahin gaya
ghar men hai aaj tak vahi khushbu basi hui
lagta hai yuun ki jaise vo aa kar nahin gaya
tab tak to phuul jaisi hi taaza thi us ki yaad
jab tak vo pattiyon ko juda kar nahin gaya
rahne diya na us ne kisi kaam ka mujhe
aur khaak men bhi mujh ko mila kar nahin gaya
vaisi hi be-talab hai abhi meri zindagi
vo khar-o-khas men aag laga kar nahin gaya
'shahzad' ye gila hi raha us ki zaat se
jaate hue vo koi gila kar nahin gaya
rukhsat hua to aankh mila kar nahin gaya
wo kyun gaya hai ye bhi bata kar nahin gaya
wo yun gaya ki baad-e-saba yaad aa gai
ehsas tak bhi hum ko dila kar nahin gaya
yun lag raha hai jaise abhi laut aaega
jate hue charagh bujha kar nahin gaya
bas ek lakir khinch gaya darmiyan mein
diwar raste mein bana kar nahin gaya
shayad wo mil hi jae magar justuju hai shart
wo apne naqsh-e-pa to mita kar nahin gaya
ghar mein hai aaj tak wahi khushbu basi hui
lagta hai yun ki jaise wo aa kar nahin gaya
tab tak to phul jaisi hi taza thi us ki yaad
jab tak wo pattiyon ko juda kar nahin gaya
rahne diya na us ne kisi kaam ka mujhe
aur khak mein bhi mujh ko mila kar nahin gaya
waisi hi be-talab hai abhi meri zindagi
wo khar-o-khas mein aag laga kar nahin gaya
'shahzad' ye gila hi raha us ki zat se
jate hue wo koi gila kar nahin gaya
kamal-e-zabt ko khud bhi to aazmaungi
kamal-e-zabt ko khud bhi to azmaungi
main apne haath se us ki dulhan sajaungi
supurd kar ke use chandni ke hathon men
main apne ghar ke andheron ko laut aungi
badan ke karb ko vo bhi samajh na paega
main dil men roungi ankhon men muskuraungi
vo kya gaya ki rifaqat ke saare lutf gae
main kis se ruuth sakungi kise manaungi
ab us ka fan to kisi aur se hua mansub
main kis ki nazm akele men gungunaungi
vo ek rishta-e-benam bhi nahin lekin
main ab bhi us ke isharon pe sar jhukaungi
bichha diya tha gulabon ke saath apna vajud
vo so ke utthe to khvabon ki raakh uthaungi
samaaton men ghane jangalon ki sansen hain
main ab kabhi tiri avaz sun na paungi
javaz dhund raha tha nai mohabbat ka
vo kah raha tha ki main us ko bhuul jaungi
kamal-e-zabt ko khud bhi to aazmaungi
main apne hath se us ki dulhan sajaungi
supurd kar ke use chandni ke hathon mein
main apne ghar ke andheron ko laut aaungi
badan ke karb ko wo bhi samajh na paega
main dil mein roungi aankhon mein muskuraungi
wo kya gaya ki rifaqat ke sare lutf gae
main kis se ruth sakungi kise manaungi
ab us ka fan to kisi aur se hua mansub
main kis ki nazm akele mein gungunaungi
wo ek rishta-e-benam bhi nahin lekin
main ab bhi us ke ishaaron pe sar jhukaungi
bichha diya tha gulabon ke sath apna wajud
wo so ke utthe to khwabon ki rakh uthaungi
samaaton mein ghane jangalon ki sansen hain
main ab kabhi teri aawaz sun na paungi
jawaz dhund raha tha nai mohabbat ka
wo kah raha tha ki main us ko bhul jaungi
jab tera hukm mila tark mohabbat kar di
jab tira hukm mila tark mohabbat kar di
dil magar is pe vo dhadka ki qayamat kar di
tujh se kis tarah main izhar-e-tamanna karta
lafz sujha to muani ne baghhavat kar di
main to samjha tha ki laut aate hain jaane vaale
tu ne ja kar to judai miri qismat kar di
tujh ko puuja hai ki asnam-parasti ki hai
main ne vahdat ke mafahim ki kasrat kar di
mujh ko dushman ke iradon pe bhi pyaar aata hai
tiri ulfat ne mohabbat miri aadat kar di
puchh baitha huun main tujh se tire kuche ka pata
tere halat ne kaisi tiri surat kar di
kya tira jism tire husn ki hiddat men jala
raakh kis ne tiri sone ki si rangat kar di
jab tera hukm mila tark mohabbat kar di
dil magar is pe wo dhadka ki qayamat kar di
tujh se kis tarah main izhaar-e-tamanna karta
lafz sujha to muani ne baghawat kar di
main to samjha tha ki laut aate hain jaane wale
tu ne ja kar to judai meri qismat kar di
tujh ko puja hai ki asnam-parasti ki hai
main ne wahdat ke mafahim ki kasrat kar di
mujh ko dushman ke iradon pe bhi pyar aata hai
teri ulfat ne mohabbat meri aadat kar di
puchh baitha hun main tujh se tere kuche ka pata
tere haalat ne kaisi teri surat kar di
kya tera jism tere husn ki hiddat mein jala
rakh kis ne teri sone ki si rangat kar di
ab khushi hai na koi dard rulane wala
ab khushi hai na koi dard rulane vaala
ham ne apna liya har rang zamane vaala
ek be-chehra si ummid hai chehra chehra
jis taraf dekhiye aane ko hai aane vaala
us ko rukhsat to kiya tha mujhe maalum na tha
saara ghar le gaya ghar chhod ke jaane vaala
duur ke chand ko dhundo na kisi anchal men
ye ujala nahin angan men samane vaala
ik musafir ke safar jaisi hai sab ki duniya
koi jaldi men koi der se jaane vaala
ab khushi hai na koi dard rulane wala
hum ne apna liya har rang zamane wala
ek be-chehra si ummid hai chehra chehra
jis taraf dekhiye aane ko hai aane wala
us ko rukhsat to kiya tha mujhe malum na tha
sara ghar le gaya ghar chhod ke jaane wala
dur ke chand ko dhundo na kisi aanchal mein
ye ujala nahin aangan mein samane wala
ek musafir ke safar jaisi hai sab ki duniya
koi jaldi mein koi der se jaane wala
samundar mein utarta hun to aankhen bhig jati hain
samundar men utarta huun to ankhen bhiig jaati hain
tiri ankhon ko padhta huun to ankhen bhiig jaati hain
tumhara naam likhne ki ijazat chhin gai jab se
koi bhi lafz likhta huun to ankhen bhiig jaati hain
tiri yadon ki khushbu khidkiyon men raqs karti hai
tire ghham men sulagta huun to ankhen bhiig jaati hain
na jaane ho gaya huun is qadar hassas main kab se
kisi se baat karta huun to ankhen bhiig jaati hain
main saara din bahut masruf rahta huun magar junhi
qadam chaukhat pe rakhta huun to ankhen bhiig jaati hain
har ik muflis ke mathe par alam ki dastanen hain
koi chehra bhi padhta huun to ankhen bhiig jaati hain
bade logon ke unche bad-numa aur sard mahlon ko
ghharib ankhon se takta huun to ankhen bhiig jaati hain
tire kuche se ab mera ta'alluq vajibi sa hai
magar jab bhi guzarta huun to ankhen bhiig jaati hain
hazaron mausamon ki hukmarani hai mire dil par
'vasi' main jab bhi hansta huun to ankhen bhiig jaati hain
samundar mein utarta hun to aankhen bhig jati hain
teri aankhon ko padhta hun to aankhen bhig jati hain
tumhaara nam likhne ki ijazat chhin gai jab se
koi bhi lafz likhta hun to aankhen bhig jati hain
teri yaadon ki khushbu khidkiyon mein raqs karti hai
tere gham mein sulagta hun to aankhen bhig jati hain
na jaane ho gaya hun is qadar hassas main kab se
kisi se baat karta hun to aankhen bhig jati hain
main sara din bahut masruf rahta hun magar junhi
qadam chaukhat pe rakhta hun to aankhen bhig jati hain
har ek muflis ke mathe par alam ki dastanen hain
koi chehra bhi padhta hun to aankhen bhig jati hain
bade logon ke unche bad-numa aur sard mahlon ko
gharib aankhon se takta hun to aankhen bhig jati hain
tere kuche se ab mera ta'alluq wajibi sa hai
magar jab bhi guzarta hun to aankhen bhig jati hain
hazaron mausamon ki hukmarani hai mere dil par
'wasi' main jab bhi hansta hun to aankhen bhig jati hain
is qadar musalsal thin shiddaten judai ki
is qadar musalsal thiin shiddaten judai ki
aaj pahli baar us se main ne bevafai ki
varna ab talak yuun tha khvahishon ki barish men
ya to tuut kar roya ya ghhazal-sarai ki
taj diya tha kal jin ko ham ne teri chahat men
aaj un se majburan taaza ashnai ki
ho chala tha jab mujh ko ikhtilaf apne se
tu ne kis ghadi zalim meri ham-navai ki
tark kar chuke qasid ku-e-na-muradan ko
kaun ab khabar laave shahr-e-ashnai ki
tanz o taana o tohmat sab hunar hain naseh ke
aap se koi puchhe ham ne kya burai ki
phir qafas men shor uttha qaidiyon ka aur sayyad
dekhna uda dega phir khabar rihai ki
dukh hua jab us dar par kal 'faraz' ko dekha
laakh aib the us men khu na thi gadai ki
is qadar musalsal thin shiddaten judai ki
aaj pahli bar us se main ne bewafai ki
warna ab talak yun tha khwahishon ki barish mein
ya to tut kar roya ya ghazal-sarai ki
taj diya tha kal jin ko hum ne teri chahat mein
aaj un se majburan taza aashnai ki
ho chala tha jab mujh ko ikhtilaf apne se
tu ne kis ghadi zalim meri ham-nawai ki
tark kar chuke qasid ku-e-na-muradan ko
kaun ab khabar lawe shahr-e-ashnai ki
tanz o tana o tohmat sab hunar hain naseh ke
aap se koi puchhe hum ne kya burai ki
phir qafas mein shor uttha qaidiyon ka aur sayyaad
dekhna uda dega phir khabar rihai ki
dukh hua jab us dar par kal 'faraaz' ko dekha
lakh aib the us mein khu na thi gadai ki
rasta bhi kathin dhup mein shiddat bhi bahut thi
rasta bhi kathin dhuup men shiddat bhi bahut thi
saae se magar us ko mohabbat bhi bahut thi
kheme na koi mere musafir ke jalae
zakhmi tha bahut paanv masafat bhi bahut thi
sab dost mire muntazir-e-parda-e-shab the
din men to safar karne men diqqat bhi bahut thi
barish ki duaon men nami aankh ki mil jaae
jazbe ki kabhi itni rifaqat bhi bahut thi
kuchh to tire mausam hi mujhe raas kam aae
aur kuchh miri mitti men baghhavat bhi bahut thi
phulon ka bikharna to muqaddar hi tha lekin
kuchh is men havaon ki siyasat bhi bahut thi
vo bhi sar-e-maqtal hai ki sach jis ka tha shahid
aur vaqif-e-ahval-e-adalat bhi bahut thi
is tark-e-rifaqat pe pareshan to huun lekin
ab tak ke tire saath pe hairat bhi bahut thi
khush aae tujhe shahr-e-munafiq ki amiri
ham logon ko sach kahne ki aadat bhi bahut thi
rasta bhi kathin dhup mein shiddat bhi bahut thi
sae se magar us ko mohabbat bhi bahut thi
kheme na koi mere musafir ke jalae
zakhmi tha bahut panw masafat bhi bahut thi
sab dost mere muntazir-e-parda-e-shab the
din mein to safar karne mein diqqat bhi bahut thi
barish ki duaon mein nami aankh ki mil jae
jazbe ki kabhi itni rifaqat bhi bahut thi
kuchh to tere mausam hi mujhe ras kam aae
aur kuchh meri mitti mein baghawat bhi bahut thi
phulon ka bikharna to muqaddar hi tha lekin
kuchh is mein hawaon ki siyasat bhi bahut thi
wo bhi sar-e-maqtal hai ki sach jis ka tha shahid
aur waqif-e-ahwal-e-adalat bhi bahut thi
is tark-e-rifaqat pe pareshan to hun lekin
ab tak ke tere sath pe hairat bhi bahut thi
khush aae tujhe shahr-e-munafiq ki amiri
hum logon ko sach kahne ki aadat bhi bahut thi
meri tanhai badhate hain chale jate hain
meri tanhai badhate hain chale jaate hain
hans talab pe aate hain chale jaate hain
is liye ab main kisi ko nahin jaane deta
jo mujhe chhod ke jaate hain chale jaate hain
meri ankhon se baha karti hai un ki khushbu
raftagan khvab men aate hain chale jaate hain
shadi-e-marg ka mahaul bana rahta hai
aap aate hain rulate hain chale jaate hain
kab tumhen ishq pe majbur kiya hai ham ne
ham to bas yaad dilate hain chale jaate hain
aap ko kaun tamashai samajhta hai yahan
aap to aag lagate hain chale jaate hain
haath patthar ko badhaun to sagan-e-duniya
hairati ban ke dikhate hain chale jaate hain
meri tanhai badhate hain chale jate hain
hans talab pe aate hain chale jate hain
is liye ab main kisi ko nahin jaane deta
jo mujhe chhod ke jate hain chale jate hain
meri aankhon se baha karti hai un ki khushbu
raftagan khwab mein aate hain chale jate hain
shadi-e-marg ka mahaul bana rahta hai
aap aate hain rulate hain chale jate hain
kab tumhein ishq pe majbur kiya hai hum ne
hum to bas yaad dilate hain chale jate hain
aap ko kaun tamashai samajhta hai yahan
aap to aag lagate hain chale jate hain
hath patthar ko badhaun to sagan-e-duniya
hairati ban ke dikhate hain chale jate hain
barbaad-e-mohabbat ki dua sath liye ja
barbad-e-mohabbat ki dua saath liye ja
tuuta hua iqrar-e-vafa saath liye ja
ik dil tha jo pahle hi tujhe saunp diya tha
ye jaan bhi ai jan-e-ada saath liye ja
tapti hui rahon se tujhe aanch na pahunche
divanon ke ashkon ki ghata saath liye ja
shamil hai mira khun-e-jigar teri hina men
ye kam ho to ab khun-e-vafa saath liye ja
ham jurm-e-mohabbat ki saza paenge tanha
jo tujh se hui ho vo khata saath liye ja
barbaad-e-mohabbat ki dua sath liye ja
tuta hua iqrar-e-wafa sath liye ja
ek dil tha jo pahle hi tujhe saunp diya tha
ye jaan bhi ai jaan-e-ada sath liye ja
tapti hui rahon se tujhe aanch na pahunche
diwanon ke ashkon ki ghata sath liye ja
shamil hai mera khun-e-jigar teri hina mein
ye kam ho to ab khun-e-wafa sath liye ja
hum jurm-e-mohabbat ki saza paenge tanha
jo tujh se hui ho wo khata sath liye ja
jao qarar-e-be-dilan sham-ba-khair shab-ba-khair
jaao qarar-e-be-dilan sham-ba-khair shab-ba-khair
sahn hua dhuan dhuan sham-ba-khair shab-ba-khair
sham-e-visal hai qarib subh-e-kamal hai qarib
phir na rahenge sargiran sham-ba-khair shab-ba-khair
vajd karegi zindagi jism-ba-jism jan-ba-jan
jism-ba-jism jan-ba-jan sham-ba-khair shab-ba-khair
ai mire shauq ki umang mere shabab ki tarang
tujh pe shafaq ka saeban sham-ba-khair shab-ba-khair
tu miri shaeri men hai rang-e-taraz o gul-fishan
teri bahar be-khizan sham-ba-khair shab-ba-khair
tera khayal khvab khvab khalvat-e-jan ki ab-o-tab
jism-e-jamil-e-o-naujavan sham-ba-khair shab-ba-khair
hai mira nam-e-arjumand tera hisar-e-sar-buland
bano-e-shahr-e-jism-o-jan sham-ba-khair shab-ba-khair
diid se jan-e-did tak dil se rukh-e-umid tak
koi nahin hai darmiyan sham-ba-khair shab-ba-khair
ho gai der jaao tum mujh ko gale lagao tum
tu miri jaan hai meri jaan sham-ba-khair shab-ba-khair
sham-ba-khair shab-ba-khair mauj-e-shamim-e-pairahan
teri mahak rahegi yaan sham-ba-khair shab-ba-khair
jao qarar-e-be-dilan sham-ba-khair shab-ba-khair
sahn hua dhuan dhuan sham-ba-khair shab-ba-khair
sham-e-visal hai qarib subh-e-kamal hai qarib
phir na rahenge sargiran sham-ba-khair shab-ba-khair
wajd karegi zindagi jism-ba-jism jaan-ba-jaan
jism-ba-jism jaan-ba-jaan sham-ba-khair shab-ba-khair
ai mere shauq ki umang mere shabab ki tarang
tujh pe shafaq ka saeban sham-ba-khair shab-ba-khair
tu meri shaeri mein hai rang-e-taraaz o gul-fishan
teri bahaar be-khizan sham-ba-khair shab-ba-khair
tera khayal khwab khwab khalwat-e-jaan ki aab-o-tab
jism-e-jamil-e-o-naujawan sham-ba-khair shab-ba-khair
hai mera nam-e-arjumand tera hisar-e-sar-buland
bano-e-shahr-e-jism-o-jaan sham-ba-khair shab-ba-khair
did se jaan-e-did tak dil se rukh-e-umid tak
koi nahin hai darmiyan sham-ba-khair shab-ba-khair
ho gai der jao tum mujh ko gale lagao tum
tu meri jaan hai meri jaan sham-ba-khair shab-ba-khair
sham-ba-khair shab-ba-khair mauj-e-shamim-e-pairahan
teri mahak rahegi yan sham-ba-khair shab-ba-khair
socha hai ki ab kar-e-masiha na karenge
socha hai ki ab kar-e-masiha na karenge
vo khuun bhi thukega to parva na karenge
is baar vo talkhi hai ki ruthe bhi nahin ham
ab ke vo ladai hai ki jhagda na karenge
yaan us ke saliqe ke hain asar to kya ham
is par bhi ye kamra tah-o-bala na karenge
ab naghhma-tarazan-e-bar-afrokhta ai shahr
vasokht kahenge ghhazal insha na karenge
aisa hai ki siine men sulagti hain kharashen
ab saans bhi ham lenge to achchha na karenge
socha hai ki ab kar-e-masiha na karenge
wo khun bhi thukega to parwa na karenge
is bar wo talkhi hai ki ruthe bhi nahin hum
ab ke wo ladai hai ki jhagda na karenge
yan us ke saliqe ke hain aasar to kya hum
is par bhi ye kamra tah-o-baala na karenge
ab naghma-taraazan-e-bar-afrokhta ai shahr
wasokht kahenge ghazal insha na karenge
aisa hai ki sine mein sulagti hain kharashen
ab sans bhi hum lenge to achchha na karenge
ek pal mein zindagi bhar ki udasi de gaya
ek pal men zindagi bhar ki udasi de gaya
vo juda hote hue kuchh phuul baasi de gaya
noch kar shakhon ke tan se khushk patton ka libas
zard mausam banjh-rut ko be-libasi de gaya
subh ke taare miri pahli dua tere liye
tu dil-e-be-sabr ko taskin zara si de gaya
log malbon men dabe saae bhi dafnane lage
zalzala ahl-e-zamin ko bad-havasi de gaya
tund jhonke ki ragon men ghol kar apna dhuan
ik diya andhi hava ko khud-shanasi de gaya
le gaya 'mohsin' vo mujh se abr banta asman
us ke badle men zamin sadiyon ki pyasi de gaya
ek pal mein zindagi bhar ki udasi de gaya
wo juda hote hue kuchh phul basi de gaya
noch kar shakhon ke tan se khushk patton ka libas
zard mausam banjh-rut ko be-libasi de gaya
subh ke tare meri pahli dua tere liye
tu dil-e-be-sabr ko taskin zara si de gaya
log malbon mein dabe sae bhi dafnane lage
zalzala ahl-e-zamin ko bad-hawasi de gaya
tund jhonke ki ragon mein ghol kar apna dhuan
ek diya andhi hawa ko khud-shanasi de gaya
le gaya 'mohsin' wo mujh se abr banta aasman
us ke badle mein zamin sadiyon ki pyasi de gaya
tum gul the hum nikhaar abhi kal ki baat hai
tum gul the ham nikhar abhi kal ki baat hai
ham se thi sab bahar abhi kal ki baat hai
begana samjho ghhair kaho ajnabi kaho
apnon men tha shumar abhi kal ki baat hai
aaj apne paas se hamen rakhte ho duur duur
ham bin na tha qarar abhi kal ki baat hai
itra rahe ho aaj pahan kar nai qaba
daman tha taar taar abhi kal ki baat hai
aaj is qadar ghhurur ye andaz ye mizaj
phirte the 'mir' khvar abhi kal ki baat hai
anjan ban ke puchhte ho hai ye kab ki baat
kal ki hai baat yaar abhi kal ki baat hai
tum gul the hum nikhaar abhi kal ki baat hai
hum se thi sab bahaar abhi kal ki baat hai
begana samjho ghair kaho ajnabi kaho
apnon mein tha shumar abhi kal ki baat hai
aaj apne pas se hamein rakhte ho dur dur
hum bin na tha qarar abhi kal ki baat hai
itra rahe ho aaj pahan kar nai qaba
daman tha tar tar abhi kal ki baat hai
aaj is qadar ghurur ye andaz ye mizaj
phirte the 'mir' khwar abhi kal ki baat hai
anjaan ban ke puchhte ho hai ye kab ki baat
kal ki hai baat yar abhi kal ki baat hai
bana gulab to kante chubha gaya ek shakhs
bana gulab to kante chubha gaya ik shakhs
hua charaghh to ghar hi jala gaya ik shakhs
tamam rang mire aur saare khvab mire
fasana the ki fasana bana gaya ik shakhs
main kis hava men uduun kis faza men lahraun
dukhon ke jaal har ik su bichha gaya ik shakhs
palat sakun hi na aage hi badh sakun jis par
mujhe ye kaun se raste laga gaya ik shakhs
mohabbaten bhi ajab us ki nafraten bhi kamal
miri hi tarah ka mujh men sama gaya ik shakhs
mohabbaton ne kisi ki bhula rakha tha use
mile vo zakhm ki phir yaad aa gaya ik shakhs
khula ye raaz ki aina-khana hai duniya
aur us men mujh ko tamasha bana gaya ik shakhs
bana gulab to kante chubha gaya ek shakhs
hua charagh to ghar hi jala gaya ek shakhs
tamam rang mere aur sare khwab mere
fasana the ki fasana bana gaya ek shakhs
main kis hawa mein udun kis faza mein lahraun
dukhon ke jal har ek su bichha gaya ek shakhs
palat sakun hi na aage hi badh sakun jis par
mujhe ye kaun se raste laga gaya ek shakhs
mohabbaten bhi ajab us ki nafraten bhi kamal
meri hi tarah ka mujh mein sama gaya ek shakhs
mohabbaton ne kisi ki bhula rakha tha use
mile wo zakhm ki phir yaad aa gaya ek shakhs
khula ye raaz ki aaina-khana hai duniya
aur us mein mujh ko tamasha bana gaya ek shakhs
yun to pahle bhi hue us se kai bar juda
yuun to pahle bhi hue us se kai baar juda
lekin ab ke nazar aate hain kuchh asar juda
gar ghham-e-sud-o-ziyan hai to thahar ja ai jaan
ki isi mod pe yaron se hue yaar juda
do ghadi us se raho duur to yuun lagta hai
jis tarah saya-e-divar se divar juda
ye judai ki ghadi hai ki jhadi savan ki
main juda girya-kunan abr juda yaar juda
kaj-kulahon se kahe kaun ki ai be-khabron
tauq-e-gardan se nahin turra-e-dastar juda
ku-e-janan men bhi khasa tha tarah-dar 'faraz'
lekin us shakhs ki saj-dhaj thi sar-e-dar juda
yun to pahle bhi hue us se kai bar juda
lekin ab ke nazar aate hain kuchh aasar juda
gar gham-e-sud-o-ziyan hai to thahar ja ai jaan
ki isi mod pe yaron se hue yar juda
do ghadi us se raho dur to yun lagta hai
jis tarah saya-e-diwar se diwar juda
ye judai ki ghadi hai ki jhadi sawan ki
main juda girya-kunan abr juda yar juda
kaj-kulahon se kahe kaun ki ai be-khabron
tauq-e-gardan se nahin turra-e-dastar juda
ku-e-jaanan mein bhi khasa tha tarah-dar 'faraaz'
lekin us shakhs ki saj-dhaj thi sar-e-dar juda
wo be-wafa hai to kya mat kaho bura usko
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko
ki jo hua so hua khush rakhe khuda us ko
nazar na aae to us ki talash men rahna
kahin mile to palat kar na dekhna us ko
vo sada-khu tha zamane ke kham samajhta kya
hava ke saath chala le udi hava us ko
vo apne baare men kitna hai khush-guman dekho
jab us ko main bhi na dekhun to dekhna us ko
abhi se jaana bhi kya us ki kam-khayali par
abhi to aur bahut hoga sochna us ko
use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe
miri du'a ki khuda de ye hausla us ko
panah dhund rahi hai shab-e-girafta-dilan
koi batao mire ghar ka rasta us ko
ghhazal men tazkira us ka na kar 'nasir' ki ab
bhula chuka vo tujhe tu bhi bhuul ja us ko
wo be-wafa hai to kya mat kaho bura us ko
ki jo hua so hua khush rakhe khuda us ko
nazar na aae to us ki talash mein rahna
kahin mile to palat kar na dekhna us ko
wo sada-khu tha zamane ke kham samajhta kya
hawa ke sath chala le udi hawa us ko
wo apne bare mein kitna hai khush-guman dekho
jab us ko main bhi na dekhun to dekhna us ko
abhi se jaana bhi kya us ki kam-khayali par
abhi to aur bahut hoga sochna us ko
use ye dhun ki mujhe kam se kam udas rakhe
meri du'a ki khuda de ye hausla us ko
panah dhund rahi hai shab-e-girafta-dilan
koi batao mere ghar ka rasta us ko
ghazal mein tazkira us ka na kar 'nasir' ki ab
bhula chuka wo tujhe tu bhi bhul ja us ko
zindagi kawish-e-baatil hai mera sath na chhod
zindagi kavish-e-batil hai mira saath na chhod
tu hi ik umr ka hasil hai mira saath na chhod
log milte hain sar-e-rah guzar jaate hain
tu hi ik ham-safar-e-dil hai mira saath na chhod
tu ne socha hai mujhe tu ne sanvara hai mujhe
tu mira zehn mira dil hai mira saath na chhod
tu na hoga to kahan ja ke jalunga shab bhar
tujh se hi garmi-e-mahfil hai mira saath na chhod
main ki biphre hue tufan men huun lahron lahron
tu ki asuda-e-sahil hai mira saath na chhod
is rifaqat ko sipar apni bana len ji len
shahr ka shahr hi qatil hai mira saath na chhod
ek main ne hi ugaae nahin khvabon ke gulab
tu bhi is jurm men shamil hai mira saath na chhod
ab kisi raah pe jalte nahin chahat ke charag
tu miri akhiri manzil hai mira saath na chhod
zindagi kawish-e-baatil hai mera sath na chhod
tu hi ek umr ka hasil hai mera sath na chhod
log milte hain sar-e-rah guzar jate hain
tu hi ek ham-safar-e-dil hai mera sath na chhod
tu ne socha hai mujhe tu ne sanwara hai mujhe
tu mera zehn mera dil hai mera sath na chhod
tu na hoga to kahan ja ke jalunga shab bhar
tujh se hi garmi-e-mahfil hai mera sath na chhod
main ki biphre hue tufan mein hun lahron lahron
tu ki aasuda-e-sahil hai mera sath na chhod
is rifaqat ko sipar apni bana len ji len
shahr ka shahr hi qatil hai mera sath na chhod
ek main ne hi ugae nahin khwabon ke gulab
tu bhi is jurm mein shamil hai mera sath na chhod
ab kisi rah pe jalte nahin chahat ke charag
tu meri aakhiri manzil hai mera sath na chhod
raat-bhar chand ki galiyon mein phiraati hai mujhe
rat-bhar chand ki galiyon men phirati hai mujhe
zindagi kitne hasin khvab dikhati hai mujhe
in dinon ishq ki fursat hi nahin hai varna
us dariche ki udasi to bulati hai mujhe
tod deta huun ki ye bhi kahin dhoka hi na ho
jaam men jab tiri surat nazar aati hai mujhe
din isi farq ke jangal men guzar jaata hai
raat yadon ka vahi zahr pilati hai mujhe
saath jis roz se chhuta hai kisi ka 'azar'
jaise kamre ki har ik chiiz darati hai mujhe
raat-bhar chand ki galiyon mein phiraati hai mujhe
zindagi kitne hasin khwab dikhati hai mujhe
in dinon ishq ki fursat hi nahin hai warna
us dariche ki udasi to bulati hai mujhe
tod deta hun ki ye bhi kahin dhoka hi na ho
jam mein jab teri surat nazar aati hai mujhe
din isi farq ke jangal mein guzar jata hai
raat yaadon ka wahi zahr pilati hai mujhe
sath jis roz se chhuta hai kisi ka 'azar'
jaise kamre ki har ek chiz daraati hai mujhe
nil-gagan mein tair raha hai ujla ujla pura chand
nil-gagan men tair raha hai ujla ujla puura chand
maan ki lori sa bachche ke duudh katore jaisa chand
munni ki bholi baton si chatkin taron ki kaliyan
pappu ki khamoshi shararat sa chhup chhup kar ubhra chand
mujh se puchho kaise kaati main ne parbat jaisi raat
tum ne to godi men le kar ghanton chuma hoga chand
pardesi suuni ankhon men shoale se lahrate hain
bhabi ki chhedon sa badal aapa ki chutki sa chand
tum bhi likhna tum ne us shab kitni baar piya paani
tum ne bhi to chhajje uupar dekha hoga puura chand
nil-gagan mein tair raha hai ujla ujla pura chand
man ki lori sa bachche ke dudh katore jaisa chand
munni ki bholi baaton si chatkin taron ki kaliyan
pappu ki khamoshi shararat sa chhup chhup kar ubhra chand
mujh se puchho kaise kati main ne parbat jaisi raat
tum ne to godi mein le kar ghanton chuma hoga chand
pardesi suni aankhon mein shoale se lahraate hain
bhabi ki chhedon sa baadal aapa ki chutki sa chand
tum bhi likhna tum ne us shab kitni bar piya pani
tum ne bhi to chhajje upar dekha hoga pura chand
jate jate ye nishani de gaya
jaate jaate ye nishani de gaya
vo miri ankhon men paani de gaya
jagte lamhon ki chadar odh kar
koi khvabon ko javani de gaya
mere hathon se khilaune chhin kar
mujh ko zakhmon ki kahani de gaya
hal na tha mushkil ka koi us ke paas
sirf vaade asmani de gaya
khud se sharminda mujhe hona pada
aaina jab mera saani de gaya
mujh ko 'azar' ik fareb-e-arzu
khub-surat zindagani de gaya
jate jate ye nishani de gaya
wo meri aankhon mein pani de gaya
jagte lamhon ki chadar odh kar
koi khwabon ko jawani de gaya
mere hathon se khilaune chhin kar
mujh ko zakhmon ki kahani de gaya
hal na tha mushkil ka koi us ke pas
sirf wade aasmani de gaya
khud se sharminda mujhe hona pada
aaina jab mera sani de gaya
mujh ko 'azar' ek fareb-e-arzu
khub-surat zindagani de gaya
jaane wale mujhe kuchh apni nishani de ja
jaane vaale mujhe kuchh apni nishani de ja
ruuh pyasi na rahe aankh men paani de ja
vaqt ke saath khad-o-khal badal jaate hain
jo na badle vahi tasvir purani de ja
tire mathe pe mira naam chamakta tha kabhi
un dinon ki koi pahchan purani de ja
jis ki aghhosh men kat jaaen hazaron raten
meri tanhai ko chhu kar vo kahani de ja
rakh na mahrum khud apni hi rifaqat se mujhe
aaina mujh ko dikha de mira saani de ja
jaane wale mujhe kuchh apni nishani de ja
ruh pyasi na rahe aankh mein pani de ja
waqt ke sath khad-o-khal badal jate hain
jo na badle wahi taswir purani de ja
tere mathe pe mera nam chamakta tha kabhi
un dinon ki koi pahchan purani de ja
jis ki aaghosh mein kat jaen hazaron raaten
meri tanhai ko chhu kar wo kahani de ja
rakh na mahrum khud apni hi rifaqat se mujhe
aaina mujh ko dikha de mera sani de ja
aankhon mein chubh gain teri yaadon ki kirchiyan
ankhon men chubh gaiin tiri yadon ki kirchiyan
kandhon pe ghham ki shaal hai aur chand raat hai
dil tod ke khamosh nazaron ka kya mila
shabnam ka ye saval hai aur chand raat hai
campus ki nahr par hai tira haath haath men
mausam bhi la-zaval hai aur chand raat hai
har ik kali ne odh liya matami libas
har phuul pur-malal hai aur chand raat hai
chhalka sa pad raha hai 'vasi' vahshaton ka rang
har chiiz pe zaval hai aur chand raat hai
aankhon mein chubh gain teri yaadon ki kirchiyan
kandhon pe gham ki shaal hai aur chand raat hai
dil tod ke khamosh nazaron ka kya mila
shabnam ka ye sawal hai aur chand raat hai
campus ki nahr par hai tera hath hath mein
mausam bhi la-zawal hai aur chand raat hai
har ek kali ne odh liya matami libas
har phul pur-malal hai aur chand raat hai
chhalka sa pad raha hai 'wasi' wahshaton ka rang
har chiz pe zawal hai aur chand raat hai
viran sarae ka diya hai
viran sarae ka diya hai
jo kaun-o-makan men jal raha hai
ye kaisi bichhadne ki saza hai
aine men chehra rakh gaya hai
khurshid misal shakhs kal shaam
mitti ke supurd kar diya hai
tum mar gae hausla tumhara
zinda huun ye mera hausla hai
andar bhi zamin ke raushni ho
mitti men charaghh rakh diya hai
main kaun sa khvab dekhta huun
ye kaun se mulk ki faza hai
vo kaun sa haath hai ki jis ne
mujh aag ko khaak se likha hai
rakkha tha khala men paanv main ne
raste men sitara aa gaya hai
shayad ki khuda men aur mujh men
ik jast ka aur fasla hai
gardish men hain kitni kaenaten
bachcha mira paanv chal raha hai
viran sarae ka diya hai
jo kaun-o-makan mein jal raha hai
ye kaisi bichhadne ki saza hai
aaine mein chehra rakh gaya hai
khurshid misal shakhs kal sham
mitti ke supurd kar diya hai
tum mar gae hausla tumhaara
zinda hun ye mera hausla hai
andar bhi zamin ke raushni ho
mitti mein charagh rakh diya hai
main kaun sa khwab dekhta hun
ye kaun se mulk ki faza hai
wo kaun sa hath hai ki jis ne
mujh aag ko khak se likha hai
rakkha tha khala mein panw main ne
raste mein sitara aa gaya hai
shayad ki khuda mein aur mujh mein
ek jast ka aur fasla hai
gardish mein hain kitni kaenaten
bachcha mera panw chal raha hai
tanhai se hai sohbat din raat judai mein
tanhai se hai sohbat din raat judai men
kya khuub guzarti hai auqat judai men
rukhsat ho chala tha tab daman na tira thama
afsos ki malte hain ab haath judai men
kya zikr hai aansu ka zalim miri ankhon se
khun-nab hi tapke hai yak zaat judai men
jab vasl tha un rozon yak dil hi pe aafat thi
ab jaan ka hai sauda haihat judai men
ye nala-o-zari ye khastagi o khvari
jidhar ko chalun 'joshish' hain saat judai men
tanhai se hai sohbat din raat judai mein
kya khub guzarti hai auqat judai mein
rukhsat ho chala tha tab daman na tera thama
afsos ki malte hain ab hath judai mein
kya zikr hai aansu ka zalim meri aankhon se
khun-nab hi tapke hai yak zat judai mein
jab wasl tha un rozon yak dil hi pe aafat thi
ab jaan ka hai sauda haihat judai mein
ye nala-o-zari ye khastagi o khwari
jidhar ko chalun 'joshish' hain sat judai mein