safar mein dhup to hogi jo chal sako to chalo
safar men dhuup to hogi jo chal sako to chalo
sabhi hain bhiid men tum bhi nikal sako to chalo
kisi ke vaste rahen kahan badalti hain
tum apne aap ko khud hi badal sako to chalo
yahan kisi ko koi rasta nahin deta
mujhe gira ke agar tum sambhal sako to chalo
kahin nahin koi suraj dhuan dhuan hai faza
khud apne aap se bahar nikal sako to chalo
yahi hai zindagi kuchh khvab chand ummiden
inhin khilaunon se tum bhi bahal sako to chalo
safar mein dhup to hogi jo chal sako to chalo
sabhi hain bhid mein tum bhi nikal sako to chalo
kisi ke waste rahen kahan badalti hain
tum apne aap ko khud hi badal sako to chalo
yahan kisi ko koi rasta nahin deta
mujhe gira ke agar tum sambhal sako to chalo
kahin nahin koi suraj dhuan dhuan hai faza
khud apne aap se bahar nikal sako to chalo
yahi hai zindagi kuchh khwab chand ummiden
inhin khilaunon se tum bhi bahal sako to chalo
yunhi be-sabab na phira karo koi sham ghar mein raha karo
yunhi be-sabab na phira karo koi shaam ghar men raha karo
vo ghhazal ki sachchi kitab hai use chupke chupke padha karo
koi haath bhi na milaega jo gale miloge tapak se
ye nae mizaj ka shahr hai zara fasle se mila karo
abhi raah men kai mod hain koi aaega koi jaega
tumhen jis ne dil se bhula diya use bhulne ki dua karo
mujhe ishtihar si lagti hain ye mohabbaton ki kahaniyan
jo kaha nahin vo suna karo jo suna nahin vo kaha karo
kabhi husn-e-parda-nashin bhi ho zara ashiqana libas men
jo main ban sanvar ke kahin chalun mire saath tum bhi chala karo
nahin be-hijab vo chand sa ki nazar ka koi asar na ho
use itni garmi-e-shauq se badi der tak na taka karo
ye khizan ki zard si shaal men jo udaas ped ke paas hai
ye tumhare ghar ki bahar hai use ansuon se hara karo
yunhi be-sabab na phira karo koi sham ghar mein raha karo
wo ghazal ki sachchi kitab hai use chupke chupke padha karo
koi hath bhi na milaega jo gale miloge tapak se
ye nae mizaj ka shahr hai zara fasle se mila karo
abhi rah mein kai mod hain koi aaega koi jaega
tumhein jis ne dil se bhula diya use bhulne ki dua karo
mujhe ishtihaar si lagti hain ye mohabbaton ki kahaniyan
jo kaha nahin wo suna karo jo suna nahin wo kaha karo
kabhi husn-e-parda-nashin bhi ho zara aashiqana libas mein
jo main ban sanwar ke kahin chalun mere sath tum bhi chala karo
nahin be-hijab wo chand sa ki nazar ka koi asar na ho
use itni garmi-e-shauq se badi der tak na taka karo
ye khizan ki zard si shaal mein jo udas ped ke pas hai
ye tumhaare ghar ki bahaar hai use aansuon se hara karo
kahan aa ke rukne the raste kahan mod tha use bhul ja
kahan aa ke rukne the raste kahan mod tha use bhuul ja
vo jo mil gaya use yaad rakh jo nahin mila use bhuul ja
vo tire nasib ki barishen kisi aur chhat pe baras gaiin
dil-e-be-khabar miri baat sun use bhuul ja use bhuul ja
main to gum tha tere hi dhyan men tiri aas tere guman men
saba kah gai mire kaan men mire saath aa use bhuul ja
kisi aankh men nahin ashk-e-ghham tire baa'd kuchh bhi nahin hai kam
tujhe zindagi ne bhula diya tu bhi muskura use bhuul ja
kahin chak-e-jan ka rafu nahin kisi astin pe lahu nahin
ki shahid-e-rah-e-malal ka nahin khun-baha use bhuul ja
kyuun ata hua hai ghhubar men ghham-e-zindagi ke fishar men
vo jo dard tha tire bakht men so vo ho gaya use bhuul ja
tujhe chand ban ke mila tha jo tire sahilon pe khila tha jo
vo tha ek dariya visal ka so utar gaya use bhuul ja
kahan aa ke rukne the raste kahan mod tha use bhul ja
wo jo mil gaya use yaad rakh jo nahin mila use bhul ja
wo tere nasib ki barishen kisi aur chhat pe baras gain
dil-e-be-khabar meri baat sun use bhul ja use bhul ja
main to gum tha tere hi dhyan mein teri aas tere guman mein
saba kah gai mere kan mein mere sath aa use bhul ja
kisi aankh mein nahin ashk-e-gham tere ba'd kuchh bhi nahin hai kam
tujhe zindagi ne bhula diya tu bhi muskura use bhul ja
kahin chaak-e-jaan ka rafu nahin kisi aastin pe lahu nahin
ki shahid-e-rah-e-malal ka nahin khun-baha use bhul ja
kyun ata hua hai ghubar mein gham-e-zindagi ke fishaar mein
wo jo dard tha tere bakht mein so wo ho gaya use bhul ja
tujhe chand ban ke mila tha jo tere sahilon pe khila tha jo
wo tha ek dariya visal ka so utar gaya use bhul ja
apne ehsas se chhu kar mujhe sandal kar do
apne ehsas se chhu kar mujhe sandal kar do
main ki sadiyon se adhura huun mukammal kar do
na tumhen hosh rahe aur na mujhe hosh rahe
is qadar tuut ke chaho mujhe pagal kar do
tum hatheli ko mire pyaar ki mehndi se rango
apni ankhon men mire naam ka kajal kar do
is ke saae men mire khvab dahak utthenge
mere chehre pe chamakta hua anchal kar do
dhuup hi dhuup huun main tuut ke barso mujh par
is qadar barso miri ruuh men jal-thal kar do
jaise sahraon men har shaam hava chalti hai
is tarah mujh men chalo aur mujhe jal-thal kar do
tum chhupa lo mira dil ot men apne dil ki
aur mujhe meri nigahon se bhi ojhal kar do
masala huun to nigahen na churao mujh se
apni chahat se tavajjoh se mujhe hal kar do
apne ghham se kaho har vaqt mire saath rahe
ek ehsan karo is ko musalsal kar do
mujh pe chha jaao kisi aag ki surat janan
aur miri zaat ko sukha hua jangal kar do
apne ehsas se chhu kar mujhe sandal kar do
main ki sadiyon se adhura hun mukammal kar do
na tumhein hosh rahe aur na mujhe hosh rahe
is qadar tut ke chaho mujhe pagal kar do
tum hatheli ko mere pyar ki mehndi se rango
apni aankhon mein mere nam ka kajal kar do
is ke sae mein mere khwab dahak utthenge
mere chehre pe chamakta hua aanchal kar do
dhup hi dhup hun main tut ke barso mujh par
is qadar barso meri ruh mein jal-thal kar do
jaise sahraon mein har sham hawa chalti hai
is tarah mujh mein chalo aur mujhe jal-thal kar do
tum chhupa lo mera dil ot mein apne dil ki
aur mujhe meri nigahon se bhi ojhal kar do
masala hun to nigahen na churao mujh se
apni chahat se tawajjoh se mujhe hal kar do
apne gham se kaho har waqt mere sath rahe
ek ehsan karo is ko musalsal kar do
mujh pe chha jao kisi aag ki surat jaanan
aur meri zat ko sukha hua jangal kar do
aashiqi mein mir jaise khwab mat dekha karo
ashiqi men 'mir' jaise khvab mat dekha karo
bavle ho jaoge mahtab mat dekha karo
jasta jasta padh liya karna mazamin-e-vafa
par kitab-e-ishq ka har baab mat dekha karo
is tamashe men ulat jaati hain aksar kashtiyan
dubne valon ko zer-e-ab mat dekha karo
mai-kade men kya takalluf mai-kashi men kya hijab
bazm-e-saqi men adab adab mat dekha karo
ham se durveshon ke ghar aao to yaron ki tarah
har jagah khas-khana o barfab mat dekha karo
mange-tange ki qabaen der tak rahti nahin
yaar logon ke laqab-alqab mat dekha karo
tishnagi men lab bhigo lena bhi kaafi hai 'faraz'
jaam men sahba hai ya zahrab mat dekha karo
aashiqi mein 'mir' jaise khwab mat dekha karo
bawle ho jaoge mahtab mat dekha karo
jasta jasta padh liya karna mazamin-e-wafa
par kitab-e-ishq ka har bab mat dekha karo
is tamashe mein ulat jati hain aksar kashtiyan
dubne walon ko zer-e-ab mat dekha karo
mai-kade mein kya takalluf mai-kashi mein kya hijab
bazm-e-saqi mein adab aadab mat dekha karo
hum se durweshon ke ghar aao to yaron ki tarah
har jagah khas-khana o barfab mat dekha karo
mange-tange ki qabaen der tak rahti nahin
yar logon ke laqab-alqab mat dekha karo
tishnagi mein lab bhigo lena bhi kafi hai 'faraaz'
jam mein sahba hai ya zahrab mat dekha karo
dhup mein niklo ghataon mein naha kar dekho
dhuup men niklo ghataon men naha kar dekho
zindagi kya hai kitabon ko hata kar dekho
sirf ankhon se hi duniya nahin dekhi jaati
dil ki dhadkan ko bhi binai bana kar dekho
pattharon men bhi zaban hoti hai dil hote hain
apne ghar ke dar-o-divar saja kar dekho
vo sitara hai chamakne do yunhi ankhon men
kya zaruri hai use jism bana kar dekho
fasla nazron ka dhoka bhi to ho sakta hai
vo mile ya na mile haath badha kar dekho
dhup mein niklo ghataon mein naha kar dekho
zindagi kya hai kitabon ko hata kar dekho
sirf aankhon se hi duniya nahin dekhi jati
dil ki dhadkan ko bhi binai bana kar dekho
pattharon mein bhi zaban hoti hai dil hote hain
apne ghar ke dar-o-diwar saja kar dekho
wo sitara hai chamakne do yunhi aankhon mein
kya zaruri hai use jism bana kar dekho
fasla nazron ka dhoka bhi to ho sakta hai
wo mile ya na mile hath badha kar dekho
bhigi hui aankhon ka ye manzar na milega
bhigi hui ankhon ka ye manzar na milega
ghar chhod ke mat jaao kahin ghar na milega
phir yaad bahut aaegi zulfon ki ghani shaam
jab dhuup men saaya koi sar par na milega
aansu ko kabhi os ka qatra na samajhna
aisa tumhen chahat ka samundar na milega
is khvab ke mahaul men be-khvab hain ankhen
jab niind bahut aaegi bistar na milega
ye soch lo ab akhiri saaya hai mohabbat
is dar se uthoge to koi dar na milega
bhigi hui aankhon ka ye manzar na milega
ghar chhod ke mat jao kahin ghar na milega
phir yaad bahut aaegi zulfon ki ghani sham
jab dhup mein saya koi sar par na milega
aansu ko kabhi os ka qatra na samajhna
aisa tumhein chahat ka samundar na milega
is khwab ke mahaul mein be-khwab hain aankhen
jab nind bahut aaegi bistar na milega
ye soch lo ab aakhiri saya hai mohabbat
is dar se uthoge to koi dar na milega
shoala tha jal-bujha hun hawaen mujhe na do
shoala tha jal-bujha huun havaen mujhe na do
main kab ka ja chuka huun sadaen mujhe na do
jo zahr pi chuka huun tumhin ne mujhe diya
ab tum to zindagi ki duaen mujhe na do
ye bhi bada karam hai salamat hai jism abhi
ai khusravan-e-shahr qabaen mujhe na do
aisa na ho kabhi ki palat kar na aa sakun
har baar duur ja ke sadaen mujhe na do
kab mujh ko e'tiraf-e-mohabbat na tha 'faraz'
kab main ne ye kaha hai sazaen mujhe na do
shoala tha jal-bujha hun hawaen mujhe na do
main kab ka ja chuka hun sadaen mujhe na do
jo zahr pi chuka hun tumhin ne mujhe diya
ab tum to zindagi ki duaen mujhe na do
ye bhi bada karam hai salamat hai jism abhi
ai khusrawan-e-shahr qabaen mujhe na do
aisa na ho kabhi ki palat kar na aa sakun
har bar dur ja ke sadaen mujhe na do
kab mujh ko e'tiraf-e-mohabbat na tha 'faraaz'
kab main ne ye kaha hai sazaen mujhe na do
ashkon ko aarzu-e-rihai hai roiye
ashkon ko arzu-e-rihai hai roiye
ankhon ki ab isi men bhalai hai roiye
rona ilaj-e-zulmat-e-duniya nahin to kya
kam-az-kam ehtijaj-e-khudai hai roiye
taslim kar liya hai jo khud ko charaghh-e-haq
duniya qadam qadam pe sabai hai roiye
khush hain to phir musafir-e-duniya nahin hain aap
is dasht men bas abla-pai hai roiye
ham hain asir-e-zabt ijazat nahin hamen
ro pa rahe hain aap badhai hai roiye
ashkon ko aarzu-e-rihai hai roiye
aankhon ki ab isi mein bhalai hai roiye
rona ilaj-e-zulmat-e-duniya nahin to kya
kam-az-kam ehtijaj-e-khudai hai roiye
taslim kar liya hai jo khud ko charagh-e-haq
duniya qadam qadam pe sabai hai roiye
khush hain to phir musafir-e-duniya nahin hain aap
is dasht mein bas aabla-pai hai roiye
hum hain asir-e-zabt ijazat nahin hamein
ro pa rahe hain aap badhai hai roiye
mujh pe hain saikdon ilzam mere sath na chal
mujh pe hain saikdon ilzam mire saath na chal
tu bhi ho jaega badnam mire saath na chal
tu nai subah ke suraj ki hai ujli si kiran
main huun ik dhuul bhari shaam mire saath na chal
apni khushiyan mire alam se mansub na kar
mujh se mat maang mira naam mire saath na chal
tu bhi kho jaegi tapke hue aansu ki tarah
dekh ai gardish-e-ayyam mire saath na chal
meri divar ko tu kitna sambhalega 'shakil'
tutta rahta huun har gaam mire saath na chal
mujh pe hain saikdon ilzam mere sath na chal
tu bhi ho jaega badnam mere sath na chal
tu nai subah ke suraj ki hai ujli si kiran
main hun ek dhul bhari sham mere sath na chal
apni khushiyan mere aalam se mansub na kar
mujh se mat mang mera nam mere sath na chal
tu bhi kho jaegi tapke hue aansu ki tarah
dekh ai gardish-e-ayyam mere sath na chal
meri diwar ko tu kitna sambhaalega 'shakil'
tutta rahta hun har gam mere sath na chal
apna gham le ke kahin aur na jaya jae
apna ghham le ke kahin aur na jaaya jaae
ghar men bikhri hui chizon ko sajaya jaae
jin charaghhon ko havaon ka koi khauf nahin
un charaghhon ko havaon se bachaya jaae
khud-kushi karne ki himmat nahin hoti sab men
aur kuchh din abhi auron ko sataya jaae
baaghh men jaane ke adab hua karte hain
kisi titli ko na phulon se udaya jaae
kya hua shahr ko kuchh bhi to dikhai de kahin
yuun kiya jaae kabhi khud ko rulaya jaae
ghar se masjid hai bahut duur chalo yuun kar len
kisi rote hue bachche ko hansaya jaae
apna gham le ke kahin aur na jaya jae
ghar mein bikhri hui chizon ko sajaya jae
jin charaghon ko hawaon ka koi khauf nahin
un charaghon ko hawaon se bachaya jae
khud-kushi karne ki himmat nahin hoti sab mein
aur kuchh din abhi auron ko sataya jae
bagh mein jaane ke aadab hua karte hain
kisi titli ko na phulon se udaya jae
kya hua shahr ko kuchh bhi to dikhai de kahin
yun kiya jae kabhi khud ko rulaya jae
ghar se masjid hai bahut dur chalo yun kar len
kisi rote hue bachche ko hansaya jae
sanwar nok-palak abruon mein kham kar de
sanvar nok-palak abruon men kham kar de
gire pade hue lafzon ko mohtaram kar de
ghhurur us pe bahut sajta hai magar kah do
isi men us ka bhala hai ghhurur kam kar de
yahan libas ki qimat hai aadmi ki nahin
mujhe gilas bade de sharab kam kar de
chamakne vaali hai tahrir meri qismat ki
koi charaghh ki lau ko zara sa kam kar de
kisi ne chuum ke ankhon ko ye dua di thi
zamin teri khuda motiyon se nam kar de
sanwar nok-palak abruon mein kham kar de
gire pade hue lafzon ko mohtaram kar de
ghurur us pe bahut sajta hai magar kah do
isi mein us ka bhala hai ghurur kam kar de
yahan libas ki qimat hai aadmi ki nahin
mujhe gilas bade de sharab kam kar de
chamakne wali hai tahrir meri qismat ki
koi charagh ki lau ko zara sa kam kar de
kisi ne chum ke aankhon ko ye dua di thi
zamin teri khuda motiyon se nam kar de
kuchh kahne ka waqt nahin ye kuchh na kaho khamosh raho
kuchh kahne ka vaqt nahin ye kuchh na kaho khamosh raho
ai logo khamosh raho haan ai logo khamosh raho
sach achchha par us ke jilau men zahr ka hai ik pyala bhi
pagal ho kyuun nahaq ko suqrat bano khamosh raho
un ka ye kahna suraj hi dharti ke phere karta hai
sar-ankhon par suraj hi ko ghumne do khamosh raho
mahbas men kuchh habs hai aur zanjir ka aahan chubhta hai
phir socho haan phir socho haan phir socho khamosh raho
garm aansu aur thandi aahen man men kya kya mausam hain
is bagiya ke bhed na kholo sair karo khamosh raho
ankhen muund kinare baitho man ke rakkho band kivad
'insha'-ji lo dhaga lo aur lab si lo khamosh raho
kuchh kahne ka waqt nahin ye kuchh na kaho khamosh raho
ai logo khamosh raho han ai logo khamosh raho
sach achchha par us ke jilau mein zahr ka hai ek pyala bhi
pagal ho kyun nahaq ko suqraat bano khamosh raho
un ka ye kahna suraj hi dharti ke phere karta hai
sar-ankhon par suraj hi ko ghumne do khamosh raho
mahbas mein kuchh habs hai aur zanjir ka aahan chubhta hai
phir socho han phir socho han phir socho khamosh raho
garm aansu aur thandi aahen man mein kya kya mausam hain
is bagiya ke bhed na kholo sair karo khamosh raho
aankhen mund kinare baitho man ke rakkho band kiwad
'insha'-ji lo dhaga lo aur lab si lo khamosh raho
charagh-e-tur jalao bada andhera hai
charaghh-e-tur jalao bada andhera hai
zara naqab uthao bada andhera hai
abhi to subh ke mathe ka rang kaala hai
abhi fareb na khaao bada andhera hai
vo jin ke hote hain khurshid astinon men
unhen kahin se bulao bada andhera hai
mujhe tumhari nigahon pe e'timad nahin
mire qarib na aao bada andhera hai
faraz-e-arsh se tuuta hua koi taara
kahin se dhund ke laao bada andhera hai
basiraton pe ujalon ka khauf taari hai
mujhe yaqin dilao bada andhera hai
jise zaban-e-khirad men sharab kahte hain
vo raushni si pilao bada andhera hai
ba-nam-e-zohra-jzbinan-e-khitta-e-firdaus
kisi kiran ko jagao bada andhera hai
charagh-e-tur jalao bada andhera hai
zara naqab uthao bada andhera hai
abhi to subh ke mathe ka rang kala hai
abhi fareb na khao bada andhera hai
wo jin ke hote hain khurshid aastinon mein
unhen kahin se bulao bada andhera hai
mujhe tumhaari nigahon pe e'timad nahin
mere qarib na aao bada andhera hai
faraaz-e-arsh se tuta hua koi tara
kahin se dhund ke lao bada andhera hai
basiraton pe ujalon ka khauf tari hai
mujhe yaqin dilao bada andhera hai
jise zaban-e-khirad mein sharab kahte hain
wo raushni si pilao bada andhera hai
ba-nam-e-zohra-jzbinan-e-khitta-e-firdaus
kisi kiran ko jagao bada andhera hai
tanha tanha dukh jhelenge mahfil mahfil gaenge
tanha tanha dukh jhelenge mahfil mahfil gaenge
jab tak aansu paas rahenge tab tak giit sunaenge
tum jo socho vo tum jaano ham to apni kahte hain
der na karna ghar aane men varna ghar kho jaenge
bachchon ke chhote hathon ko chand sitare chhune do
chaar kitaben padh kar ye bhi ham jaise ho jaenge
achchhi surat vaale saare patthar-dil hon mumkin hai
ham to us din raae denge jis din dhoka khaenge
kin rahon se safar hai asan kaun sa rasta mushkil hai
ham bhi jab thak kar baithenge auron ko samjhaenge
tanha tanha dukh jhelenge mahfil mahfil gaenge
jab tak aansu pas rahenge tab tak git sunaenge
tum jo socho wo tum jaano hum to apni kahte hain
der na karna ghar aane mein warna ghar kho jaenge
bachchon ke chhote hathon ko chand sitare chhune do
chaar kitaben padh kar ye bhi hum jaise ho jaenge
achchhi surat wale sare patthar-dil hon mumkin hai
hum to us din rae denge jis din dhoka khaenge
kin rahon se safar hai aasan kaun sa rasta mushkil hai
hum bhi jab thak kar baithenge auron ko samjhaenge
ashk apna ki tumhaara nahin dekha jata
ashk apna ki tumhara nahin dekha jaata
abr ki zad men sitara nahin dekha jaata
apni shah-e-rag ka lahu tan men ravan hai jab tak
zer-e-khanjar koi pyara nahin dekha jaata
mauj-dar-mauj ulajhne ki havas be-maani
dubta ho to sahara nahin dekha jaata
tere chehre ki kashish thi ki palat kar dekha
varna suraj to dobara nahin dekha jaata
aag ki zid pe na ja phir se bhadak sakti hai
raakh ki tah men sharara nahin dekha jaata
zakhm ankhon ke bhi sahte the kabhi dil vaale
ab to abru ka ishara nahin dekha jaata
kya qayamat hai ki dil jis ka nagar hai 'mohsin'
dil pe us ka bhi ijara nahin dekha jaata
ashk apna ki tumhaara nahin dekha jata
abr ki zad mein sitara nahin dekha jata
apni shah-e-rag ka lahu tan mein rawan hai jab tak
zer-e-khanjar koi pyara nahin dekha jata
mauj-dar-mauj ulajhne ki hawas be-mani
dubta ho to sahaara nahin dekha jata
tere chehre ki kashish thi ki palat kar dekha
warna suraj to dobara nahin dekha jata
aag ki zid pe na ja phir se bhadak sakti hai
rakh ki tah mein sharara nahin dekha jata
zakhm aankhon ke bhi sahte the kabhi dil wale
ab to abru ka ishaara nahin dekha jata
kya qayamat hai ki dil jis ka nagar hai 'mohsin'
dil pe us ka bhi ijara nahin dekha jata
wo apne ghar chala gaya afsos mat karo
vo apne ghar chala gaya afsos mat karo
itna hi us ka saath tha afsos mat karo
insan apne aap men majbur hai bahut
koi nahin hai bevafa afsos mat karo
is baar tum ko aane men kuchh der ho gai
thak-har ke vo so gaya afsos mat karo
duniya men aur chahne vaale bhi hain bahut
jo hona tha vo ho gaya afsos mat karo
is zindagi ke mujh pe kai qarz hain magar
main jald laut aunga afsos mat karo
ye dekho phir se aa gaiin phulon pe titliyan
ik roz vo bhi aaega afsos mat karo
vo tum se aaj duur hai kal paas aaega
phir se khuda milaega afsos mat karo
be-kar ji pe bojh liye phir rahe ho tum
dil hai tumhara phuul sa afsos mat karo
wo apne ghar chala gaya afsos mat karo
itna hi us ka sath tha afsos mat karo
insan apne aap mein majbur hai bahut
koi nahin hai bewafa afsos mat karo
is bar tum ko aane mein kuchh der ho gai
thak-haar ke wo so gaya afsos mat karo
duniya mein aur chahne wale bhi hain bahut
jo hona tha wo ho gaya afsos mat karo
is zindagi ke mujh pe kai qarz hain magar
main jald laut aaunga afsos mat karo
ye dekho phir se aa gain phulon pe titliyan
ek roz wo bhi aaega afsos mat karo
wo tum se aaj dur hai kal pas aaega
phir se khuda milaega afsos mat karo
be-kar ji pe bojh liye phir rahe ho tum
dil hai tumhaara phul sa afsos mat karo
mere bare mein kuchh socho mujhe nind aa rahi hai
mire baare men kuchh socho mujhe niind aa rahi hai
mujhe zaaea na hone do mujhe niind aa rahi hai
mire andar ke dukh chehre se zahir ho rahe hain
miri tasvir mat khincho mujhe niind aa rahi hai
to kya saare gile-shikve abhi kar loge mujh se
kuchh ab kal ke liye rakkho mujhe niind aa rahi hai
sahar hogi to dekhenge ki hain kya kya masail
zara si der sone do mujhe niind aa rahi hai
tumhara kaam hai saari hisen bedar rakhna
mire shane pe sar rakkho mujhe niind aa rahi hai
bahut kuchh tum se kahna tha magar main kah na paaya
lo meri diary rakh lo mujhe niind aa rahi hai
mere bare mein kuchh socho mujhe nind aa rahi hai
mujhe zaea na hone do mujhe nind aa rahi hai
mere andar ke dukh chehre se zahir ho rahe hain
meri taswir mat khincho mujhe nind aa rahi hai
to kya sare gile-shikwe abhi kar loge mujh se
kuchh ab kal ke liye rakkho mujhe nind aa rahi hai
sahar hogi to dekhenge ki hain kya kya masail
zara si der sone do mujhe nind aa rahi hai
tumhaara kaam hai sari hisen bedar rakhna
mere shane pe sar rakkho mujhe nind aa rahi hai
bahut kuchh tum se kahna tha magar main kah na paya
lo meri diary rakh lo mujhe nind aa rahi hai
udas raat hai koi to khwab de jao
udaas raat hai koi to khvab de jaao
mire gilas men thodi sharab de jaao
bahut se aur bhi ghar hain khuda ki basti men
faqir kab se khada hai javab de jaao
main zard patton pe shabnam saja ke laaya huun
kisi ne mujh se kaha tha hisab de jaao
adab nahin hai ye akhbar ke tarashe hain
gae zamanon ki koi kitab de jaao
phir us ke baa'd nazare nazar ko tarsenge
vo ja raha hai khizan ke gulab de jaao
miri nazar men rahe dubne ka manzar bhi
ghhurub hota hua aftab de jaao
hazar safhon ka divan kaun padhta hai
'bashir-badr' ka koi intikhab de jaao
udas raat hai koi to khwab de jao
mere gilas mein thodi sharab de jao
bahut se aur bhi ghar hain khuda ki basti mein
faqir kab se khada hai jawab de jao
main zard patton pe shabnam saja ke laya hun
kisi ne mujh se kaha tha hisab de jao
adab nahin hai ye akhbar ke tarashe hain
gae zamanon ki koi kitab de jao
phir us ke ba'd nazare nazar ko tarsenge
wo ja raha hai khizan ke gulab de jao
meri nazar mein rahe dubne ka manzar bhi
ghurub hota hua aaftab de jao
hazar safhon ka diwan kaun padhta hai
'bashir-badr' ka koi intikhab de jao
wo kab aaen khuda jaane sitaro tum to so jao
vo kab aaen khuda jaane sitaro tum to so jaao
hue hain ham to divane sitaro tum to so jaao
kahan tak mujh se hamdardi kahan tak meri ghham-khvari
hazaron ghham hain anjane sitaro tum to so jaao
guzar jaegi ghham ki raat ummido to jaag uttho
sambhal jaenge divane sitaro tum to so jaao
hamen rudad-e-hasti raat bhar men khatm karni hai
na chhedo aur afsane sitaro tum to so jaao
hamare dida-e-be-khvab ko taskin kya doge
hamen luuta hai duniya ne sitaro tum to so jaao
use 'qabil' ki chashm-e-nam se derina taalluq hai
shab-e-ghham tum ko kya jaane sitaro tum to so jaao
wo kab aaen khuda jaane sitaro tum to so jao
hue hain hum to diwane sitaro tum to so jao
kahan tak mujh se hamdardi kahan tak meri gham-khwari
hazaron gham hain anjaane sitaro tum to so jao
guzar jaegi gham ki raat ummido to jag uttho
sambhal jaenge diwane sitaro tum to so jao
hamein rudad-e-hasti raat bhar mein khatm karni hai
na chhedo aur afsane sitaro tum to so jao
hamare dida-e-be-khwab ko taskin kya doge
hamein luta hai duniya ne sitaro tum to so jao
use 'qabil' ki chashm-e-nam se derina talluq hai
shab-e-gham tum ko kya jaane sitaro tum to so jao
ai husn-e-lala-fam! zara aankh to mila
ai husn-e-lala-fam! zara aankh to mila
khali pade hain jaam! zara aankh to mila
kahte hain aankh aankh se milna hai bandagi
duniya ke chhod kaam! zara aankh to mila
kya vo na aaj aenge taron ke saath saath
tanhaiyon ki sham! zara aankh to mila
ye jaam ye subu ye tasavvur ki chandni
saaqi kahan mudam! zara aankh to mila
saaqi mujhe bhi chahiye ik jam-e-arzu
kitne lagenge daam! zara aankh to mila
pamal ho na jaae sitaron ki aabru
ai mere khush-khiram! zara aankh to mila
hain rah-e-kahkashan men azal se khade hue
'saghhar' tire ghhulam! zara aankh to mila
ai husn-e-lala-fam! zara aankh to mila
khali pade hain jam! zara aankh to mila
kahte hain aankh aankh se milna hai bandagi
duniya ke chhod kaam! zara aankh to mila
kya wo na aaj aaenge taron ke sath sath
tanhaiyon ki sham! zara aankh to mila
ye jam ye subu ye tasawwur ki chandni
saqi kahan mudam! zara aankh to mila
saqi mujhe bhi chahiye ek jam-e-arzu
kitne lagenge dam! zara aankh to mila
pamal ho na jae sitaron ki aabru
ai mere khush-khiram! zara aankh to mila
hain rah-e-kahkashan mein azal se khade hue
'saghar' tere ghulam! zara aankh to mila
kath-putli hai ya jiwan hai jite jao socho mat
kath-putli hai ya jivan hai jiite jaao socho mat
soch se hi saari uljhan hai jiite jaao socho mat
likha hua kirdar kahani men hi chalta phirta hai
kabhi hai duuri kabhi milan hai jiite jaao socho mat
naach sako to nacho jab thak jaao to aram karo
tedha kyuun ghar ka angan hai jiite jaao socho mat
har mazhab ka ek hi kahna jaisa malik rakkhe rahna
jab tak sanson ka bandhan hai jiite jaao socho mat
ghuum rahe hain bazaron men sarmayon ke atish-dan
kis bhatti men kaun indhan hai jiite jaao socho mat
kath-putli hai ya jiwan hai jite jao socho mat
soch se hi sari uljhan hai jite jao socho mat
likha hua kirdar kahani mein hi chalta phirta hai
kabhi hai duri kabhi milan hai jite jao socho mat
nach sako to nacho jab thak jao to aaram karo
tedha kyun ghar ka aangan hai jite jao socho mat
har mazhab ka ek hi kahna jaisa malik rakkhe rahna
jab tak sanson ka bandhan hai jite jao socho mat
ghum rahe hain bazaron mein sarmayon ke aatish-dan
kis bhatti mein kaun indhan hai jite jao socho mat
munh faqiron se na phera chahiye
munh faqiron se na phera chahiye
ye to puchha chahiye kya chahiye
chaah ka meyar uncha chahiye
jo na chahen un ko chaha chahiye
kaun chahe hai kisi ko be-ghharaz
chahne valon se bhaga chahiye
ham to kuchh chahe hain tum chaho ho kuchh
vaqt kya chahe hai dekha chahiye
chahte hain tere hi daman ki khair
ham hain divane hamen kya chahiye
be-rukhi bhi naaz bhi andaz bhi
chahiye lekin na itna chahiye
ham jo kahna chahte hain kya kahen
aap kah liije jo kahna chahiye
baat chahe be-saliqa ho 'kalim'
baat kahne ka saliqa chahiye
munh faqiron se na phera chahiye
ye to puchha chahiye kya chahiye
chah ka meyar uncha chahiye
jo na chahen un ko chaha chahiye
kaun chahe hai kisi ko be-gharaz
chahne walon se bhaga chahiye
hum to kuchh chahe hain tum chaho ho kuchh
waqt kya chahe hai dekha chahiye
chahte hain tere hi daman ki khair
hum hain diwane hamein kya chahiye
be-rukhi bhi naz bhi andaz bhi
chahiye lekin na itna chahiye
hum jo kahna chahte hain kya kahen
aap kah lije jo kahna chahiye
baat chahe be-saliqa ho 'kalim'
baat kahne ka saliqa chahiye
ba-nam-e-taqat koi ishaara nahin chalega
ba-nam-e-taqat koi ishara nahin chalega
udaas naslon pe ab ijara nahin chalega
ham apni dharti se apni har samt khud talashen
hamari khatir koi sitara nahin chalega
hayat ab sham-e-ghham ki tashbih khud banegi
tumhari zulfon ka istiara nahin chalega
chalo saron ka khiraj nok-e-sinan ko bakhshen
ki jaan bachane ka istikhara nahin chalega
hamare jazbe baghhavaton ko tarashte hain
hamare jazbon pe bas tumhara nahin chalega
azal se qaaem hain donon apni zidon pe 'mohsin'
chalega paani magar kinara nahin chalega
ba-nam-e-taqat koi ishaara nahin chalega
udas naslon pe ab ijara nahin chalega
hum apni dharti se apni har samt khud talashen
hamari khatir koi sitara nahin chalega
hayat ab sham-e-gham ki tashbih khud banegi
tumhaari zulfon ka istiara nahin chalega
chalo saron ka khiraj nok-e-sinan ko bakhshen
ki jaan bachane ka istikhara nahin chalega
hamare jazbe baghawaton ko tarashte hain
hamare jazbon pe bas tumhaara nahin chalega
azal se qaem hain donon apni zidon pe 'mohsin'
chalega pani magar kinara nahin chalega
falak se chand sitaron se jam lena hai
falak se chand sitaron se jaam lena hai
mujhe sahar se nai ek shaam lena hai
kise khabar ki farishte ghhazal samajhte hain
khuda ke samne kafir ka naam lena hai
muamla hai tira badtarin dushman se
mire aziiz mohabbat se kaam lena hai
mahakti zulfon se khushbu chamakti aankh se dhuup
shabon se jam-e-sahar ka salam lena hai
tumhari chaal ki ahistagi ke lahje men
sukhan se dil ko masalne ka kaam lena hai
nahin main 'mir' ke dar par kabhi nahin jaata
mujhe khuda se ghhazal ka kalam lena hai
bade saliqe se noton men us ko tulva kar
amir-e-shahr se ab intiqam lena hai
falak se chand sitaron se jam lena hai
mujhe sahar se nai ek sham lena hai
kise khabar ki farishte ghazal samajhte hain
khuda ke samne kafir ka nam lena hai
muamla hai tera badtarin dushman se
mere aziz mohabbat se kaam lena hai
mahakti zulfon se khushbu chamakti aankh se dhup
shabon se jam-e-sahar ka salam lena hai
tumhaari chaal ki aahistagi ke lahje mein
sukhan se dil ko masalne ka kaam lena hai
nahin main 'mir' ke dar par kabhi nahin jata
mujhe khuda se ghazal ka kalam lena hai
bade saliqe se noton mein us ko tulwa kar
amir-e-shahr se ab intiqam lena hai
tum intizar ke lamhe shumar mat karna
tum intizar ke lamhe shumar mat karna
diye jalae na rakhna singar mat karna
miri zaban ke mausam badalte rahte hain
main aadmi huun mira e'tibar mat karna
kiran se bhi hai ziyada zara miri raftar
nahin hai aankh se mumkin shikar mat karna
tumhen khabar hai ki taqat mira vasila hai
tum apne aap ko be-ikhtiyar mat karna
tumhare saath mire mukhtalif marasim hain
miri vafa pe kabhi inhisar mat karna
tumhen bataun ye duniya ghharaz ki duniya hai
khulus dil men agar hai to pyaar mat karna
milenge raah men 'asim' ko ham-safar kai aur
vo aa raha hai magar intizar mat karna
tum intizar ke lamhe shumar mat karna
diye jalae na rakhna singar mat karna
meri zaban ke mausam badalte rahte hain
main aadmi hun mera e'tibar mat karna
kiran se bhi hai ziyaada zara meri raftar
nahin hai aankh se mumkin shikar mat karna
tumhein khabar hai ki taqat mera wasila hai
tum apne aap ko be-ikhtiyar mat karna
tumhaare sath mere mukhtalif marasim hain
meri wafa pe kabhi inhisar mat karna
tumhein bataun ye duniya gharaz ki duniya hai
khulus dil mein agar hai to pyar mat karna
milenge rah mein 'asim' ko ham-safar kai aur
wo aa raha hai magar intizar mat karna
sab zarurat ka to saman hai ghar mein rahiye
sab zarurat ka to saman hai ghar men rahiye
kya hua gar koi halkan hai ghar men rahiye
bhiid men bhi na the siine se lagane vaale
aaj to shahr hi viran hai ghar men rahiye
saans ghut jaegi divaron ke ke andar ik din
aur sunte hain ki darman hai ghar men rahiye
band hain mandir o masjid ki dukanen saari
aaj bazar ye sunsan hai ghar men rahiye
kal talak mulk se bahar jo kiye dete the
ab to un ka bhi ye farman hai ghar men rahiye
har maraz men nahin hoti hai suhulat itni
bhuuk se marna to asan hai ghar men rahiye
qaid phir qaid hi hoti hai magar hasb-e-hal
sab se behtar yahi zindan hai ghar men rahiye
aap dil se mujhe be-dakhl kiye dete hain
ab to sarkar ka elaan hai ghar men rahiye
us ki tasvir in ankhon ke liye kaafi hai
aur phir miir ka divan hai ghar men rahiye
sab zarurat ka to saman hai ghar mein rahiye
kya hua gar koi halkan hai ghar mein rahiye
bhid mein bhi na the sine se lagane wale
aaj to shahr hi viran hai ghar mein rahiye
sans ghut jaegi diwaron ke ke andar ek din
aur sunte hain ki darman hai ghar mein rahiye
band hain mandir o masjid ki dukanen sari
aaj bazar ye sunsan hai ghar mein rahiye
kal talak mulk se bahar jo kiye dete the
ab to un ka bhi ye farman hai ghar mein rahiye
har maraz mein nahin hoti hai suhulat itni
bhuk se marna to aasan hai ghar mein rahiye
qaid phir qaid hi hoti hai magar hasb-e-haal
sab se behtar yahi zindan hai ghar mein rahiye
aap dil se mujhe be-dakhl kiye dete hain
ab to sarkar ka elan hai ghar mein rahiye
us ki taswir in aankhon ke liye kafi hai
aur phir mir ka diwan hai ghar mein rahiye
phul khile hain likha hua hai todo mat
phuul khile hain likha hua hai todo mat
aur machal kar ji kahta hai chhodo mat
rut matvali chand nashila raat javan
ghar ka amad-kharch yahan to jodo mat
abr jhuka hai chand ke gore mukhde par
chhodo laaj lago dil se munh modo mat
dil ko patthar kar dene vaali yaado
ab apna sar us patthar se phodo mat
mat 'amiq' ki ankhon se dil men jhanko
is gahre sagar se naata jodo mat
phul khile hain likha hua hai todo mat
aur machal kar ji kahta hai chhodo mat
rut matwali chand nashila raat jawan
ghar ka aamad-kharch yahan to jodo mat
abr jhuka hai chand ke gore mukhde par
chhodo laj lago dil se munh modo mat
dil ko patthar kar dene wali yaado
ab apna sar us patthar se phodo mat
mat 'amiq' ki aankhon se dil mein jhanko
is gahre sagar se nata jodo mat
dukh-dard ke maron se mera zikr na karna
dukh-dard ke maron se mira zikr na karna
ghar jaao to yaron se mira zikr na karna
vo zabt na kar paengi ankhon ke samundar
tum rah-guzaron se mira zikr na karna
phulon ke nasheman men raha huun main sada se
dekho kabhi kharon se mira zikr na karna
shayad ye andhere hi mujhe raah dikhaen
ab chand sitaron se mira zikr na karna
vo meri kahani ko ghhalat rang na de den
afsana-nigaron se mira zikr na karna
shayad vo mire haal pe be-sakhta ro den
is baar baharon se mira zikr na karna
le jaenge gahrai men tum ko bhi baha kar
dariya ke kinaron se mira zikr na karna
vo shakhs mile to use har baat batana
tum sirf isharon se mira zikr na karna
dukh-dard ke maron se mera zikr na karna
ghar jao to yaron se mera zikr na karna
wo zabt na kar paengi aankhon ke samundar
tum rah-guzaron se mera zikr na karna
phulon ke nasheman mein raha hun main sada se
dekho kabhi kharon se mera zikr na karna
shayad ye andhere hi mujhe rah dikhaen
ab chand sitaron se mera zikr na karna
wo meri kahani ko ghalat rang na de den
afsana-nigaron se mera zikr na karna
shayad wo mere haal pe be-sakhta ro den
is bar bahaaron se mera zikr na karna
le jaenge gahrai mein tum ko bhi baha kar
dariya ke kinaron se mera zikr na karna
wo shakhs mile to use har baat batana
tum sirf ishaaron se mera zikr na karna
so lene do apna apna kaam karo chup ho jao
so lene do apna apna kaam karo chup ho jaao
darvazo kuchh vaqt guzaro divaro chup ho jaao
kis kashti ki umr hai kitni mallahon se puchhne do
tum se bhi puchhenge ik din dariyao chup ho jaao
dekh liya na akhir mitti mitti men mil jaati hai
khamoshi se apna apna hissa lo chup ho jaao
is viran-sara ki malik ek purani khamoshi
avazen deti rahti hai mehmano! chup ho jaao
aisa lagta hai ham apni manzil par aa pahunche hain
duur kahin ye rone ki avaz suno chup ho jaao
khud ko sabit karne se bhi badh jaati hai tanhai
kaun si girhen khol rahe ho sehr-garo chup ho jaao
ped purana ho jaata hai nae parinde aane se
baat adhuri hi rahti hai kuchh bhi kaho chup ho jaao
so lene do apna apna kaam karo chup ho jao
darwazo kuchh waqt guzaro diwaro chup ho jao
kis kashti ki umr hai kitni mallahon se puchhne do
tum se bhi puchhenge ek din dariyao chup ho jao
dekh liya na aakhir mitti mitti mein mil jati hai
khamoshi se apna apna hissa lo chup ho jao
is viran-sara ki malik ek purani khamoshi
aawazen deti rahti hai mehmano! chup ho jao
aisa lagta hai hum apni manzil par aa pahunche hain
dur kahin ye rone ki aawaz suno chup ho jao
khud ko sabit karne se bhi badh jati hai tanhai
kaun si girhen khol rahe ho sehr-garo chup ho jao
ped purana ho jata hai nae parinde aane se
baat adhuri hi rahti hai kuchh bhi kaho chup ho jao